- 2,922
- 7,255
- 143
Captan Sahab....Baithe Rahiye Khamoshi Se....Kamre Mein Tez Qism Ki Sargoshi Gunji
Fayaz Iske Khilaaf Kaise Karta Jab Ke Revolver Ki Naal Uski Taraf Uthi Hui Thi....
Aur
Revolver Bhi Ek Aise Aadmi Ke Haath Mein....Jiss Ka Chehra Do Hisson Mein Taqseem (Divide) Tha....Us Bhayaanak Raat Ka Tasavoor Fayaz Ke Zahen Mein Rengne Laga....!
Bhayaanak Aadmi Ne Thokar Se Ek Kursi Khiskayi....
Aur
Revolver Ka Rooq Fayaz Ki Taraf Kiye Hue Baith Gaya....!
Fayaz Palkein Jhapkaye Baghair Use Ghoore Jaa Raha Tha....
Achanak
Khauffnaak Aadmi Ke Honth Phail Gaye....Pata Nahi Yeh Muskurahat Thi Ya Aadatan Honthon Mein Khinchav Paida Hua Tha....!
Fayaz Uski Aankhon Mein Is Qism Ki Koi Tabdili Na Dekh Sakha Jise Jazbaati Taghair (Variations) Ka Nateeja Kaha Jaa Sakhta....!
Mera Naam Narvada Hai Captain....Patlo Narvada....Opelo Narvada Na Samajh Baithna....Maine Aaj Tak Ek Meesra Bhi Nahi Kaha....Khauffnaak Aadmi Bola
Achanak Fayaz Ne Sambhaal Liya....
Aur
Awaaz Ghusseli Bana Kar Bola....Kya Main Is Tarah Aane Ka Maqsad Puch Sakhta Hu....?
Aaj Main Giraftaar Hone Aya Hu Captain....!
Bhaag Jao....Mujhe Ghussa Na Dilao....Fayaz Ne Aankhein Nikali
Maalum Hai....Khauffnaak Aadmi Ka Lehja Tanziya (Vyang) Tha....Aap Log Bohath Zaheen (Buddhimaan) Hai....Itna Bhi Na Ho Sakha Ke Us Koobdhe Ki Asliyath Hi Maalum Kar Li Jati....!
Kya Matlab....Kaisa Koobdha....? Main Nahi Samjha....?
Wahi Koobdha Jo Central-Jail Ki Ek Andheri Kothri Mein Ulta Latka Hua Tha....!
Tum Pata Nahi....Kahan Ki Udha Rahe Ho....!
Oohh....To Kya Aap Nahi Jaante....Mujhe Hairath Hai....!
Mera Waqt Na Barbaad Karo....Fayaz Ne Bura Sa Muh Banaya
Samjha....Khauffnaak Aadmi Ne Fikrmand Andaaz Mein Sar Hila Kar Kaha....Aap Shayad La-iLm Hai....Aap Ke Mulk Mein Supritendent Koi Ahemiyat (Importance) Na Rakhta Ho....Haa Thik Hai....
Isliye
To Director-General Bhaage-Bhaage Phira Karte Hai....!