NawTDoggy
नटखट शरारती कुत्ता
- 233
- 828
- 109
Aapka ek ek shabd bilkul sahi aur sateek hai. Jis par guzarti hai wahi jaanta hai galat ilzaam lagne par kya kya guzarti hai ek insaan par. Apna saya bhi saath chor deta hai ???Pre-face
ILZAAM इल्जाम yeh woh word hai jiska kabhi na har insaan ka isse pala pada hi hoga chahe chota ho ya bada ....ILZAAM ,
kabhi na kabhi kisi na kisi ki zindagi me usper laga hi hoga chahe tv ka channel change karne ka ilzaam laga ho bachpan me ya kaam na karne ka ilzaam ho ...
kisi na kisi tarah ilzaam insaan apni zindagi me lagta hi raha hai ...
per bachpan me ilzaam lagna or baat hai ...or jawani me ilzaam lagna or baat hai ...
ek ilzaam jab jawan ya mature insaan ki per lagta hai toh uski puri zindagi ..ka har nek kaam us ek ilzaam ke aage chota pad jata hai ..
kaise kisi ache insaan ko bhi ek bade gunaahgaar jaise insaaf ke tarajoo me tola jata hai ..yeh dikhane ki koshish hai yeh story me ...
aaj kal bada comman sa hai kisi per bhi ilzaam lag jaana ...ab ilzaam chahe sucha ho ya jhutha us ek ilzaam se us insaan ka pura jivan tak tabaah or barbaad ho jata hai ...
kisi ko marne ke liye jada kuch nahi karna hai bas ek ilzaam laga do ....uska character-assassination apne aap ho jata hai ...bahar ka insaan toh us insaan ko gunaahgaar samjhne lagta hi hai ..per asal dukh toh jab hota hai jab apne bhi us insaan ke ache or nek kaamo ko nazar andaaz karke usse gunahgaar samjhne lagte hain ...
or aise me badi asaani ke kuch loog keh bhi dete hain ...ilzaam lagane wale ko maaf kardo ya uske akela kardo ...kyuki maaf karna sabse badi baat hai .. samay khud hi usse apne aap saza dega .....
per kya such me kisi ko aise hi maaf kar dena kya such me sahi hai ...jisne aapke ache kaamo ke baad bhi aapko ek jhunthe ilzaam se gunaahgaar sabit kar diya ...
kya asal me use such me itni asani se maaf karna kya sahi hai ????...
jisne aapko gunahgaar saabit karke insaaf ke taraazo ke samne khada kar diya kya usko maaf karna itna asaan hai ???
kya jis aap maaf karna chahte hain kya asal me woh aapki us maafi ke layak bhi hai ????
or agar aapne use maaf kar bhi diya toh us humiliation , badnaami ka kya jo us insaan ne us insaan per jhuntha ilzaam lagne ke baad sahi thi ????
kya maafi se uska woh guzra pal uski woh tadap ,,uska woh mansik tanaav jo usne us ilzaam ke baad saha tha badal jayega ????
kya aise loogon ko maaf karna sahi hai ????
aise hi kuch sawalon ki wajah se is kahani ko likh raha hun ....
mere ek bade hi pyaare dost ne kaha tha ....aise loogon ko bhulakar unhe isolate kar dena chahiye ..ya unko unke haal per choad dena chahiye ???? yeh unki soch hai ...ise galat kehna mere ya kisi ke liye sahi nahi hai ...kyuki har insaan ki soch har dusre insaan se alag hoti hai ..
per kuch sawal the jo unki soch ke baad dimaag me aaye ...jinko aapke samne rak raha hun ..jaise ki
maar se jada maafi se aise loog samjh jaate hain ..per kya such me aisa hi hai ????
koi aapke character per koi bhi jhunta ilzaam laga de or aap use aise hi jaane do ???
uske isolation kya aapka character wapas sab sahi maan lenge ..unka kya jinke samne us insaan ne aapko gunahgaar sabit karke aapke har ache kaamo ke liye nazar andaaz kar diya ????
kya aise hi maaf kardena ya isolate kar dena us ilzaam lagane wale or aapke liye sahi hai ???
jab tak aap sehte rehnge aise loog apna ilzaam lagate rahenge ..." kehte hain ki kamine insaan ke shor se jada ache insaan ki chupi khatarnaak hoti hai ..."
story likh kar kisi dost ko nicha dikhana mera maqsad nahi hai ...kyuki apne dost ko nicha dikhakar main khush nahi hun per jaise unki soch hai waise hi or logon ki bhi soch hogi ..per insab me us insaan ka bhi sochna banta hai jis insaan ne us ek jhunthe ilzaam ke chalte apne har ache kaam ko darkinar hote dekha hai ..us ek ilzaam ne uske pure character ka chirharan kar diya jo insult use feel hui hogi yeh toh wohi janta hoga ...uske baad bhi kya kisi ko asaani se maaf kardena kya sahi hai ...
...per jab baat aapke charitra (character ) ki ho toh stand or virrodh karna bhi jarori hai ..
verna aise ilzaam lagte rehnge ..ab faisla aap per hai jawab do ya maaf karte raho ....
logon ke carrier tabah ho jate hain in ilzaam se ..kisi ko kitna kuch sehna padta hai yeh aapne kisiko ko apne ass-pass dekha hi hoga ..
yeh story padkar ek insaan bhi iske piche ke matlab ko samjh gaya or usne faisla kar liya ki jawab dena hai ya maaf karna hai ...
toh mera likhna safal ho jayega ...
kyuki kisi ko barbaad karne ke liye marne ya pitne ki zarorat nahi bas ek ilzaam hi kaafi hai ...