• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Immortals

Ristrcted

Now I am become Death, the destroyer of worlds
Staff member
Moderator
41,741
36,968
304
Last edited:

Zoro x

🌹🌹
1,689
5,420
143
UPDATE - 126

Madhu thodi pareshan si thi.....usko samajh nahi aa raha tha jo bhi usne dekha wo sapna hi tha.....yaa phir wo sach tha.....

Wo baar baar koshish kar rahi thi.....khud ko ye samjhane ki ke wo sab sapna hi hoga......wo aisa kuch kar hi nahi sakti.....par usko ander hi ander lag raha tha ki wo sab sirf koi sapna nahi ho sakta.......to usne pichle din hi iss baare mein pata karne ke liye pahle to wo saari baatein usne kahi pe likh li jo usko yaad thi....

Uske baad usne waha pe jo kuch bhi hote hue usne dekha tha....wo sab bhi yaad karke likh liya....jo usne khud kiya tha wo sab bhi....

Itna sab karne ke baad usneStrange world mein pichle 3-4 dinno mein jo kuch bhi hua tha unn sab ke baare mein pata lagaya......wo sab pata lagane ke baad usne phir Elf nation ke baare mein pata lagana shuru kiya.....

Usne waha pe ghati har ek ghatna ke baare mein pata kiya aur uske baad wo ye dekhne lag gayi ki kya kahi par bhi usne jo likha tha....unse milta julta wakhya hua hai yaa nahi....

Par aisa kuch nahi milla usko jisse wo ye kah sakke ki usne jo dekha wo sab sirf koi sapna nahi tha......

Elf nation mein jo kuch bhi hua tha.....wo saari baatein bas kuch logo ko pata thi.....Royal family wale yaa phir wo sab jo waha pe unko bachane mein lage hue the.....baaki sab to apne hosh mein the hi nahi....to ye baatein kahi bahar gayi hi nahi thi....

Par inn sab mein log ghayal hue the......kuch maare bhi gaye the....aur ye baat aise hi jaa nahi sakti thi.....

Leemo ne vaidyon ko bula liya tha Prateek ke kahne pe Mahel mein....aur waha pe jitne bhi log ghayal the unka illaz bhi chal raha tha.....par inn sab mein kuch logo ki maut bhi ho gayi thi......aur jinka illaz chal raha tha unn sab ko ye pata nahi tha aakhir unko chot lagi kaise......

Leemo khud iss baat se anjaan tha.....

Elf Nation mein khabrein aayi thi.....ki kuch sainik ghayal hai aur kuch ki mrityu ho gayi hai.....par kaaran kisi ko pata nahi tha......aur issi wajah se waha pe tarah tarah ki mannghadant kahaniyan banti chali jaa rahi thi......aur innhi kahaniyon ka pata chala tha Madhu ko.....to wo thodi confuse ho gayi thi.....par jaisa usne dekha tha waisa kuch nahi tha waha pe iss wajah se wo khush thi....

Lekin inn sab ke baad jab wo ye yaad karne ki koshish karne lag gayi ki wo aakhir Leader ke pass kaise pahuchi to usko ye baat kahi pe fit hoti samajh nahi aa rahi thi.....aur naa hi ye baat ki Pankaj to uske sath tha.....wo waha se Prateek ke yaha kaise pahuch gaya.....

Usne iska pata lagane ke liye.....Chachi se akele mein milne ka socha tha.....aur wo wahi karne yaha aayi hui thi.....

Iss time ghar pe chachi ke alawa koi aur tha nahi......to wo ghar pe aayi aur usne unse pucha ki Pankaj waha pe kab aaya tha....

Chachi ne usko bataya ki wo waha pe kab aaya tha ye to unko maalum nahi hai par haa wo thoda bimar sa lag raha tha.....Chachi ne usse Pankaj ab kaisa hai ye sab bhi pucha....

Madhu jo sapne dekh rahi thi.....unme uske dekha tha Pankaj ko kuch ho gaya tha.....

Darasal uske dimmag mein wo yaadein ghoom rahi thi jo usne golden power ke kaabu mein aane ke baad kiya tha Elf nation mein.....aur wo iss baat se dari hui thi ki kahi uski wajah se Pankaj ko to kuch nahi hua tha naa....

Halaki abhi Pankaj ekdum se sahi tha.....par Madhu ko ander hi ander ye baat sataye jaa rahi thi kahi usne Pankaj ko koi nuksaan to nahi pahuchaya tha naa....

Pankaj aur Daksh Mama uske liye bahut jyada khass ban gaye the.....

Pankaj to kuch jyada hi......Pankaj ke sath uska jo rista tha wo ekdum se alag sa tha....aur wo issi wajah se darr rahi thi.....

Wo iss wajah se bhi darr rahi thi kyunki jab Pujari ji ne usko uske Mata Pita ki kahani sunayi thi....usme bhi ussi ke karan wo dono alag hue.....

Ye baat jaise usko ander se khaaye jaa rahi thi.....

Kal College jaana tha usko wapas.....par wo wapas jaane se darr rahi thi....ye soch ke ki kahi uski wajah se wapas se uske kisi apne ko koi nuksan naa pahuche.....

Next Day.....

Pichle din Strange world se kuch log Earth pe aaye the......Pujari ji se milne ke liye......

Unn sab ne Pujari ko waha meeting mein kya hua ye sab bataya....aur ye bhi bataya ki Nix samudaaye Strange world ke bahut purani sabyataon mein se ek hai......aur uska yun achanak se palayan kar jaana sabhi ko chubh raha hai.....

Sab iss palayan ka kaaran janna chah rahe the.....

Pujari ji ne unn sab ko wahi Earth pe uss aashram mein ek din rukne ke liye bola.....aur uske baad wo apna jawab unhe denge aisa bol diya tha.....

To aaj subah wo sab wapas se pahuch gaye Pujari ji ke pass....

Pujari ji - Aap sab ko yaha rahke kaisa lag raha hai.....

Unn sab ne unko jaisa laga waisa bataya unko.....

Pujari ji - Main aur mere bahut saare log Strange world ko chod ke yaha aaye hai uske picche kuch wajahein hai.....humara ghar....ab waha pe wo pavitrata nahi rahi jo pahle hui karti thi.....kaali shaktiyon ne apna asar dikhana shuru kar diya tha hamare gharon mein.....aur hum uske liye taiyaar nahi the....iss wajah se humme waha se yaha aana pada....

"To kya aap sab waha se darr ke yaha aa gaye hai..."

"Humne sunna tha Nix samuday bahut bahadur hoti hai....wo kisi se darr ke apna ghar chod de.....ye baat hum nahi maan sakte...."

Jo log aaye the...unhone tarah tarah ki baatein kari...par unmein se ek ne kuch aisa bola ki Pujari ji ka pura dhyaan ussi ke upar chala gaya.....

"Kya aapsab yaha iss wajah se nahi aaye ho kyunki aapke kitab ne ye kaha...."

Ye Nix samuday ke pass ke kabile mein rahne wale logo mein se ek tha....Nix Samuday aur iss kabile ke logo mein bahut banti thi.....ye vyaapar kiya karte the....par phir ekdin sab badal gaya.....

Uss kabile ke sardaar ke mann mein jamin ki lalach aa gayi aur wo apne kabile ko badhane ke liye Nix samuday ke logo pe hamla karne ka vichar karne lag gaya tha.....lekin kuch hi dinno baad usko pata chala ki Nix samuday ke logo ne unke sath ab vyaapar karna band kar diya hai.....sath hi mein ab uss kabile ke logo ka aana jaana bhi bahut hadd tak kam kar diya hai....

Jab unn logo ne iss baat ka karan pata kiye to unko samajh nahi aaya aisa kaise ho sakta hai.....

Nix logo mein se kisi ne unse kaha tha ki unke kitab ne bataya ki tumhare kabile wale Nix samuday pe hamla karne wale hai.....iss wajah se aisa kiya gaya hai....

Uss bande ko ye baat acchi tarah se pata thi ki itni badi baat hui hai....isme uss kitab ka haath naa ho ye ho hi nahi sakta.....

Pujari ji ne usko dekha....aur uski baat ko jhutla ke unn sab ko waha se jaane ko bol diya....sath mein ek saaf saaf jawab bhi de diya....

Ki Nix samuday ko waha pe kisi mahamaari ke aane ki shanka thi...iss wajah se wo sab waha se nikal gaye.....

Sab chale gaye...par wo kabile wala banda rukka raha.....

Wahi dusri taraf.....

Prateek College pahuch chukka tha...aur wait kar raha tha ki kab Madhu waha aayegi....par wo aa hi nahi rahi thi....

Madhu nahi aayi par uski wo bahne aa gayi thi waha pe.....jinka bodyguard banne ka zimma milla tha Prateek ko.....

Unn dono ke sath wo manager ki beti bhi thi.....

Prateek ko laga sayad insab ko pata ho Madhu ke baare mein to usne inse puch liya....

Unn sab ko iske baare mein kuch nahi pata tha.....upar se Madhu ki bahen ne to usko kal call bhi kiya tha.....

Par Madhu ne call hi nahi uthaya tha...aur naa uske baad kuch reply kiya tha....to iss baat se wo thodi chiddhi hui thi Madhu se....

Classes shuru ho gaye to wo sab ke sab chal diye classes karne ke liye.....

Prateek thodi der rukka par phir usko laga sayad Madhu class mein hi ho....to wo waha chala gaya par wo waha nahi thi....

Jab classes shuru hui....uske thodi der baad Madhu college ke ander aayi thi....aur aatein hi wo sidha class mein chali gayi....par late hone ki wajah se usko class mein aane nahi diya....

Madhu waha se nikal kar canteen mein jaake baithi thi....

Tabhi waha pe kuch seniors aa gaye.....Madhu nayi thi college mein.....usko abhi jyada koi janta tha nahi....

Wo seniors pahuch gaye Madhu ke pass

Seniors - New admission ??

Madhu khud pareshan thi.....usne pahle dhyaan hi nahi diya...wo khud ke khayalon mein khoyi hui thi.....

Seniors ne 2-3 baar puccha aur jab koi reaction naa milla to unko gussa aaya aur unme se ek ladke ne paas rakhe hue jug ka pura paani Madhu ke upar daal diya.....

Kismat kharab hoti hai to unnt pe baithe naate aadmi ko bhi kutta kaat leta hai....

Madhu ekdum se ghabra gayi aachanak se paani aane se.....par wo to accha hua ki usne abhi inn sab ke saamne koi jaadu nahi kiya....agar aisa hota to baat bahut badh jaati....

Senior - Ab sunayi dega.....naam kya hai tera....

Madhu usko dekhne lag gayi.....gusse mein....

Picche se kisi ne bola.....lagta hai gungi bahri hai.....abhi bhi sunayi nahi de raha hai.....

Madhu bolne hi wali thi ki ek aur ne kuch aisa bola jo Madhu ke hi nahi balki uske pure pariwar ke bare mein tha....aur phir Madhu ki aankhen chamak gayi....

Baaki sab ko chodd ke Madhu siddha uss bande ke pass pahuch gayi aur ek haath se uska galla pakad ke usko upar utha diya.....

Sab log dekhte rah gaye......unko yakkin nahi ho raha tha....ye aam si dikhne wali dubli patli ladki....itni takat kaha se aayi isme....

Yaha ye chal raha tha iss baat ka pata dean ko yaani ki Madhu ke pita ko chali aur wo pahuch gaye waha pe.....

Unhone jo dekha wo bhauchake rah gaye.....Madhu uss bande ko ek hath se hawa mein uthaye.....dusre hath se uske gaalon ko laal kiye jaa rahi thi....uss bande ka to ek daant bhi nikal aaya tha.....

Dean ne jab dekha ki wo ladka kaun hai....to usne Madhu ko rokne ka socha....

Dean - Madhu....chod do usse......and come to my office....

Madhu ne jaise sunna hi nahi tha.....aur iske wajah se Dean ko uske pass jaana pada....

Dean jaise hi uske pass pahucha....kuch to hua jiski wajah se wo picche dhakka kha ke gir gaya.....ab ye kya tha kisi ko samajh nahi aaya......

Prateek jo abhi class mein baitha tha....usko achanak se golden power ka ahsaas hua.....wo binna teacher ke pata lage hi room se jaldi mein nikala aur Madhu ko dhundhne lag gayaa.....

Jab wo golden power ke karib pahucha to usne dekha....

Madhu ek kamre mein baithi ro rahi thi.....

Wo uske pass gaya.....

Prateek - Madhu.....tum...tum theek ho naa....

Prateek ko waha pe dekh ke Madhu ka rona aur badh gaya,....aur aaj wapas se....wapas se Madhu ne Prateek ko chuwa aur bas chuwa hi nahi balki uske pass aake rone lag gayi....

Prateek ko samajh nahi aa raha tha ki kya hua hai.....itne mein Madhu ki ek bahen waha pe aayi.....aur usne Madhu ko aur Prateek ko waha dekha....

Wo - Madhu....tum theek ho naa.....

Madhu ne jab usko dekha....to wo picche jaane lag gayi......usko iss baat ka darr tha kahi wo iske sath bhi....kuch aisa naa kar de ki usko chot lag jaaye....

Prateek ko ye baat samajh nahi aayi....

Wo - Madhu daro mat.....kuch nahi hua hai.....

Prateek - Kya hua hai.....ye aise kyun ro rahi hai...aur....

Wo - Tumhe pata nahi.....

Itna bol ke usne apna phone Prateek ko de diya...jisme ek video chal raha tha....aur Video mein Madhu kuch logo ko canteen mein maare jaa rahi thi....aur sayad galti se usne Dean ko bhi maar diya tha.....

Prateek ne ye dekha to wo thoda thoda baat ko samajh gaya.....

Prateek - Madhu main tumhe ghar chod aata hu....

Madhu ki bahen - Madhu tumhe ghabrane ki jarurat nahi hai.....ye galti se hua tha....

Madhu ne koi bhi jawab nahi diya...wo bas bahar aayi aur Prateek ke sath gaadi mein baith gayi.....

Car mein bhi Madhu shant si hi thi.....wo to Prateek ka phone bajja to usne car roki baat karne ke liye.....

Prateek - Hmm....theek hai.....

waha se.......

Prateek - nahi thodi pareshan hai.....par theek ho jaayegi...

waha se......

Prateek - nahi main aaj wapas nahi aa paunga...mujhe kuch kaam hai....

Call cut

Prateek - Dean sir theek hai....bas kuch kharoch aayi hai....aur tumpe koi action nahi liya jaa raha hai....

Madhu pahle to chup rahi....Prateek bhi uski halat samajh kar car wapas se chalane lag gaya.....

Madhu - Mujhe yaha aana hi nahi chahiye tha.....meri wajah se sabko nuksan hota hai....

Prateek - Kya baat kar rahi ho Madhu......aisa kuch bhi nahi hai....ye sab bas tumhare dimag mein chal raha hai....

Madhu - Nahi....waha pe jo kuch bhi hua....usme se mijhe bas ye yaad hai ki maine ek ladke ko maara tha.....par tumne wo video dekhi naa....meri wajah se mere Papa....

Prateek - Unko kuch nahi hua hai.....wo bilkul theek hai....

Madhu - Par kya main theek hu......mujhe yaad kyun nahi ki maine waha pe kya kiya tha.....

Prateek ko samajh aa raha tha ye golden power ki wajah se hai par wo ye baat sidhe sidhe madhu ko nahi bata sakta tha....

Aaj ke liye itna hi......
बहुत ही शानदार लाजवाब अपडेट भाई
 
  • Like
Reactions: sorbobhuk

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,997
42,938
354
Hello everyone.

We are Happy to present to you The annual story contest of XForum


"The Ultimate Story Contest" (USC).

Jaisa ki aap sabko maloom hai abhi pichhle hafte hi humne USC ki announcement ki hai or abhi kuch time pehle Rules and Queries thread bhi open kiya hai or Chit Chat thread toh pehle se hi Hindi section mein khula hai.

Well iske baare mein thoda aapko bata dun ye ek short story contest hai jisme aap kisi bhi prefix ki short story post kar sakte ho, jo minimum 700 words and maximum 7000 words tak ho sakti hai. Isliye main aapko invitation deta hun ki aap is contest mein apne khayaalon ko shabdon kaa roop dekar isme apni stories daalein jisko poora XForum dekhega, Ye ek bahot accha kadam hoga aapke or aapki stories ke liye kyunki USC ki stories ko poore XForum ke readers read karte hain.. . Isliye hum aapse USC ke liye ek chhoti kahani likhne ka anurodh karte hain.

Aur jo readers likhna nahi chahte woh bhi is contest mein participate kar sakte hain "Best Readers Award" ke liye. Aapko bas karna ye hoga ki contest mein posted stories ko read karke unke upar apne views dene honge.

Winning Writers ko Awards k alawa Cash prizes bhi milenge jinki jaankaari rules thread mein dedi gayi hai, Total 7000 Rupees k prizes iss baar USC k liye diye jaa rahe hain, sahi Suna aapne total 7000 Rupees k cash prizes aap jeet shaktey hain issliye derr matt kijiye or apni kahani likhna suru kijiye.

Entry thread 7th February ko open hoga matlab aap 7 February se story daalna shuru kar sakte hain or woh thread 28th February tak open rahega is dauraan aap apni story post kar shakte hain. Isliye aap abhi se apni Kahaani likhna shuru kardein toh aapke liye better rahega.

Aur haan! Kahani ko sirf ek hi post mein post kiya jaana chahiye. Kyunki ye ek short story contest hai jiska matlab hai ki hum kewal chhoti kahaniyon ki ummeed kar rahe hain. Isliye apni kahani ko kayi post / bhaagon mein post karne ki anumati nahi hai. Agar koi bhi issue ho toh aap kisi bhi staff member ko Message kar sakte hain.


Rules Check karne ke liye is thread ka use karein — Rules & Queries Thread

Contest ke regarding Chit Chat karne ke liye is thread ka use karein — Chit Chat Thread



Prizes
Position Benifits
Winner 3000 Rupees + Award + 5000 Likes + 30 days sticky Thread (Stories)
1st Runner-Up 1500 Rupees + Award + 3000 Likes + 15 day Sticky thread (Stories)
2nd Runner-UP 1000 Rupees + 2000 Likes + 7 Days Sticky Thread (Stories)
3rd Runner-UP 750 Rupees + 1000 Likes
Best Supporting Reader 750 Rupees Award + 1000 Likes
Members reporting CnP Stories with Valid Proof 200 Likes for each report



Regards :- XForum Staff
 
  • Like
Reactions: Sakti
Top