Update 23
Arshu(man me): kya me unse jane se pehle baat karlu? Nahi agar unhe ye pata chal gaya to unhe kitna bura lagega, kahi wo mujhse baat karna hi na band kar de... Me kya karu? Kahi mene unse apne dil ki baat keh di to humara ye rishta bhi na kharab ho jaye.
Kafi der tak dono asu bahate rehte he, or kisi tarah dono so jate he.
Ab Aagey dekhna he ke akhir kese dono apne pyaar ko ek dusre ko samjha payenge, kyu ke dono hi is dar me he kahi unhone apne dil ki baat bol di to pata nahi kya ho jayega.
Kyu ke dono hi apne se zyada ek dusre ko pyaar karte he.
Or ye koi aisi situation bhi nahi thi jaha dono ek dusre se khul kar baat kar pate, kyu ke samaj me to ise paap kaha jata he, aisi baate karna ek abnormal si chiz thi. To kese wo dono ek dusre se apne pyaar ke bare me baat kar lete. Akhir in dono ki life me kya hona he? Jo bhi hoga Aagey pata chal jayega❤❤
_________________________________________________
Ab Aagey:
Ek or Raat ke khatam hone ke baad naya din nikal aya, lekin Aaj ka din shayad Aarav or Arshu ki zindagi ka sabse mushkil din hone wala tha. Dono apne ane wale kal se anjaan the.
Subah Aarav ki nind khul chuki thi, uske chehre par udasi thi, or ho bhi kyu na, jis se ek pal dur rehna Aarav ko gavara nahi tha, shayad aaj ke baad wo use kabhi nahi dekh paye. Wo fresh hokar ata he or apni diary nikal kar usme apni dil ki baate likhne lagta he. Likhte waqt Aarav ki aakhe nam thi.
Aarav diary locker me rakh kar Arshu ke room me chala jata he. Aarav uske room ke andar ajata he, Arshu ke chehre par bhi sote hue udasi hi thi. Aarav bed ke paas niche beth jata he, wo Arshu ke chehre par jo baal bikhre hue the use hatata he,
Aarav: Arshu..... Kabtak sona he tumhe? College jane ke liye late ho jayega.
Arshu uski awqaz se apni aakhe kholti he, or apne samne Aarav ka hasta chehra dekh uske bhi chehre par muskurahat ajati he. Arshu to bas Aarav ko ek tak dekhe ja rahi thi.
Arshu: please kya aap apna jana cancel nahi kar sakte?
Aarav: Arshu please.... Aise to me chah kar bhi nahi ja paunga... Mene tumse promise kiya he na, tum kabhi bhi call karo, me humesha pick karunga, kitna bhi important kaam kyu na ho. Weekend par tumse milne bhi aunga.
Arshu bas haa me gardan hilati he, or wo fresh hone chali jati he.
Aarav niche ajata he, uske parents wahi the, Sandeep news dekh raha tha or Suman kitchen me thi. Aarav Akar Sandeep ke paas beth jata he.
Aarav: Good Morning papa.
Sandeep: Good Morning beta.
Aarav: papa mene Arshu se baat kar li he, wo maan gayi he. Me aaj raat ko hi chala jaunga.
Sandeep: okay beta, ab tumne faisla kar hi liya he to....
Aarav: papa aap chinta kyu kar rahe ho? Me ata rahunga ghar.
Ye sab Suman ne sun liya tha. Uska bhi mood kharab ho jata he. Aarav Suman ki taraf dekhta he to wo naraz thi, wo utkar kitchen me chala jata he. Or piche se Suman ko hug kar leta he.
Aarav: mummy kyu subah subah muh fulaya he aapne?
Suman koi response nahi deti.
Aarav: mummy please aise mat karo na. Mene kaha na me weekend par ata rahunga. Apne saath aapki narazgi lekar jau kya me? Or koi maa apne bete se agar naraz ho to us bete ka koi bhi kaam accha nahi ho sakta........ or shayad is ke baad aapko shikayat ka moka nahi milega
Usne bahot gehri soch me kaha
Suman: bas bas.... Ab rehne do, lekin yaad rahe agar kabhi call karna bhul gaye ya humara call pick nahi kiya to waha akar pitayi karungi.
Suman uski taraf palat kar use ungli dikhate hue kehti he.
Aarav: don't worry mummy...
Suman: lekin aaj hi kyu jana he kuch dino baad chale jana..
Aarav: mummy jitni jaldi ye project shuru ho jaye utna hi accha he.
Suman: okay.
Aarav waha se akar dining table par beth jata he, tabhi Arshu bhi niche ajati he. Arshu ab bhi udas si thi. Sab log saath me breakfast karte he, kuch der bethne ke baad Arshu or Aarav college ke liye nikal jate he.
Aarav: Arshu please aise udas mat raho, mujhse nahi dekha jata. Me nahi jaunga lekin please aise mat karo.
Aarav car drive karte hue us se kehta he.
Arshu: to me kya karu? Kahi aap waha jakar itne busy ho jao ke milne ana to dur ki baat, call bhi na karo.
Arshu bade narazgi se kehti he.
Aarav: aisa kabhi nahi hoga Arshu...
Arshu: promise?
Aarav: pakka promise!
Kuch der me Aarav Arshu ko uske college drop kar deta he, or apne college nikal jata he. College pahoch kar wo Rashid ko call karta he tahi Rashid bhi piche hi ajata he.
Rashid: are piche hi hu bol.
Aarav: chal Canteen me beth te he mujhe kuch baat karni he.
Rashid: okay chal.
Or dono Canteen me jakar beth jate he.
Rashid: ab bata kya hua?
Aarav: darasal me Bangalore jaa raha hu kuch waqt ke liye.
Rashid: Bangalore? Ek minute aise suddenly jaa raha he, kahi us ladki ki wajah se to nahi jaa raha tu?
Aarav: kyaa baat kar raha he tu. Me to ek project start karne jaa raha hu, isliye mujhe waha hona zaruri he.
Rashid: kesa project?
Fir Aarav use apne project ke bare me bata deta he.
Rashid: hmmm... Dekh mujhe to ab bhi teri baat par yakeen nahi ho raha he, lekin ab tu jana chahta he to me kon hota hu tujhe rokne wala.
Aarav: yaar Rashid at least tu to aise baat na kar. Me sach keh raha hu, or baat mere pyaar ki he to wo ab mujhe bhulna hi padega. Usme hi sab ki bhalayi he.
Rashid: chal thik he, tu kehta he to maan leta hu.
Dono kuch der baate karte he, or apni class me chale jate he.
College chutne ke baad Aarav or Rashid bahar ajate he.
Aarav: Rashid tu chala ja mujhe sir se milna he, unhe bata to du.
Rashid: chal thik he, or kitne baje jaa raha he tu?
Aarav: raat 9 baje flight he meri.
Rashid: chal thik he me ajunga.
Or wo apne raste chal deta he.
Aarav staff room ki taraf jaa raha tha ki tabhi use Sonal dikh jati he. Wo sochta he ke use bhi baat kar le.
Sonal ko Rahul ka call araha tha, lekin wo nhi pick karti, dusri baar jab call ata he tab bhi wo pick nahi karti, lekin tabhi Aarav use awaaz lagata he, or Sonal se by mistake call pick hojata he.
Aarav: hi Sonal.
Sonal: hi Aarav, tum......
Sonal heran thi ke Aarav us se baat kar raha he.
Aarav: darasal Sonal me apni Study khatam kar raha hu or ek business ke silsile se Bangalore jaa raha hu.
Sonal: congratulations Aarav, hope tum jesa chahte ho waise hi sab ho jaye.
Aarav: thanks... Or Sonal please tumhe meri koi bhi baat ka bura laga ho to i am sorry... Lekin mene kabhi tumhara dil dukhane ke intention se nahi kaha. I am really sorry...
Sonal: Aarav please tum maafi mat mango. In sabme meri hi galati thi. Ab tum ja rahe ho to purani baate chhodo. And Best of luck
Usne Aarav se haath milate hue kaha.
Aarav: thanks
Or Aarav staff room ki taraf chal deta he. Sonal bhi waha se nikal jati he. Lekin unki sari baate Rahul ne sun li thi.
Rahul: kya baat he, bahot sahi time par call kiya mene to, Aarav ko to uske kiye ki saza milegi hi. Lekin ab us chamiya ko sabak sikhana hoga. Thanks Aarav mere raaste se hatne ke liye.
Or uske chehre par ek shaitani hasi ajati he.
_________________________________________________
Aarav staff room me ajata he. Jaha sare teacher mojud the.
Wo sabko apne jane ki baat bata deta he, lekin ye sab sunke pata nahi kyu Virat ko kuch ajib sa lagta he. Aarav sabko bolkar bahar ajata he uske piche Virat bhi ajata he.
Virat: Aarav ruko!
Aarav: kya hua bhaiya?
Virat: tum suddenly kyu ja rahe ho?
Aarav: mene kaha na ke me apne project ke silsile me jaa raha hu.
Virat: mujhe aisa kyu lag raha he ke tum jhut bol rahe ho?
Aarav: n.....nahi to me kyu jhut bolunga.
Virat: dekho Aarav tumne ek baar mujhe kaha tha na ke kesi bhi situation ho usme thande dimag se kaam lena chahiye. Aaj yahi baat me tumhe kehna chahunga.
Aarav: bhaiya aap galat samajh rahe he, aisi koi baat nahi he.
Virat: okay, lekin kabhi bhi zarurat pade to be jhijak call kar dena, even tum pareshan hoge to bhi call karna, lekin please apni pareshani apne dil tak mat rakhna.
Aarav: h...ha bhaiya me yaad rakhunga.
Virat: okay, apna dhyan rakhna, call to me karte rahunga tumhe.
Aarav: Okay
Or Aarav waha se Arshu ko lene chala jata he.
_________________________________________________
Dusri taraf Arshu bhi bahot udaas thi. Uska man kahi bhi nahi lag raha tha. Break me jab Arshu or Taniya Canteen me bethi thi tab bhi Arshu bahot udas thi.
Taniya: Arshu kya hua tumhe? Tum aaj itni udas kyu ho?
Arshu kuch nahi kehti,
Taniya: jiju ne kuch bol diya kya?
Arshu waha se uth kar ground ke ek taraf ajati he jaha koi nahi tha, or waha akar rone lagti he. Taniya uske piche chali ati he.
Taniya: Arshu tum ro kyu rahi ho, mene kuch galat keh diya kya?
Arshu bas naa me gardan hilati he.
Taniya: tum please rona band karo, or mujhe batao na kya hua?
Taniya kisi tarah Arshu ka rona band karwa deti he.
Taniya: ab batao kya hua?
Arshu: Wo....wo mujhse dur jaa rahe he.
Or Arshu firse rone lagti he.
Taniya: Arshu tum please mujhe thik se batao na kya baat he?
Fir Arshu Taniya ko Aarav ka naam liye bina sabkuch bata deti he.
Taniya: pagal to isme rone wali kya baat he? Ek kaam karo tum aaj hi us se baat kar lo.
Arshu: ye nahi ho sakta Taniya. Kabhi nahi..
Taniya: accha tum mujhe batao wo kon he, me baat karungi.
Arshu: wo kabhi nahi manenge, or agar unko ye baat pata chali to kahi wo mujhse baat karna na band karde. Mujse milne bhi na aye.
Taniya: Arshu tum mujhe batao to wo kon he?
Arshu na me gardan hila deti he.
Taniya: Arshu dekho tum waqt mat barbad karo, jitna jaldi ho sake use baat karlo, kahi aisa na ho ke jab tum us se baat karne jao tabtak bahot der ho jaye.
Arshu: wo kabhi nahi manenge Taniya... Or agar ye baat unhe pata chali to wo mujhse na hi baat karenge or nahi milenge, or me nahi reh sakti unke bina... Unki awaaz sune bina...
Arshu firse rone lagti he.
Arshu bhi apni jagah par sahi thi, kyu ke wo thodi na janti thi ke Aarav bhi us se apni jaan se zyada pyaar karta he. Dono khudse zyada ek dusre ko pyaar karte he, ek taraf Aarav jo Arshu ko khush dekhne ke liye har wo kaam karne me laga tha, lekin usko ye nahi pata tha ke Arshu ki khushi to khud us se hi judi he. Wahi Arshu ko dar tha ke Aarav ko ye sab pata chala to wo ek haste khelte rishte ko bhi na kho de.
Taniya use chup karati he, tabhi break khatam ho jata he or dono apni class me chali jati he.
Aarav Arshu ke college pahoch chuka tha, Arshu bahar ajati he, or akar car me beth jati he, Wo window ke bahar dekh rahi thi.
Aarav: Arshu...
Arshu: ha?
Wo window ki taraf dekhte hue hi kehti he.
Aarav: Arshu meri taraf dekho....
Arshu ab bhi uski taraf nahi dekhti, Aarav car rok leta he or Arshu ka chehra apni taraf kar leta he.
Aarav: tum ro rahi thi Arshu?
Arshu: n..... nahi to.
Aarav: accha! Jhut bolne lagi tum mujhse, Arshu please tumhari narazgi apne saath le kar nahi jana chahta me.
Arshu: me aapse naraz nahi hu, bas mujhe aapke bina bilkul accha nahi lagega.
Aarav: Arshu tum kya soch rahi ho kya me khushi khushi tumse dur jaa raha hu?
Arshu: mera ye matlab nahi tha.
Aarav: Arshu tum dekhna tumhe shikayat ka moka hi nahi milega.
Aarav ne kuch sochte hue kaha.
Aarav: chalo bhi ab has do na. Meri girlfriend aise mayus si bilkul acchi nahi lagti.
Aarav uska dhyan bhatkane ko kehta he, is se Arshu ke chehre par bahot pyaari si smile ajati he, saath hi saath wo sharma bhi jati he. Fir Aarav ghar ke liye drive karne lagta he.
Arshu(man me): itna shok he mujhe girlfriend banane ka?
me to khushi khushi ban jaungi. Besharam... Aapki wajah se hi me bhi pagal ho gayi hu. lekin bhai to sirf mazak me kehte he, kese samjhau aapko ke me sachme aapse pyaar karne lagi hu...
Or wo ye sochte hue sharma jati he.
Thodi der baad dono ghar ajate he, sablog saath milkar lunch kar lete he. Arshu pura waqt Aarav ke saath hi thi, shaam ko 7 baje wo Airport jane ke liye nikane wala tha, shaam ke kareeb 5 baje hue the Rashid uske ghar ajata he, Arshu or Aarav uske room me the, Rashid ki mummy door open karti he or use Aarav ke room me bhej deti he. Arshu Aarav ka haath apne haatho me kas kar jakde hue bethi thi.
Rashid: kya baate chal rahi he Heer Ranjha ki?
Wo mazak me keh deta he, lekin ispar Arshu sharma jati he.
Arshu: me aapke liye coffe le kar ati hu.
Rashid: iski koi zarurat nahi he Arshu rehne do.
Arshu: lekin me laungi, bas.
Rashid: ohh aapki zidd ke Aagey ajtak koi jita he?
Fir Arshu niche chali jati he. Rashid akar Aarav ke side beth jata he.
Rashid: or bata ho gayi sari packing?
Aarav: haa sabkuch ho gaya.... Waise Rashid mujhe tujhse bahot zaruri baat karni he.
Rashid: ha bolna kya baat he?
Aarav: Rashid tu janta he meri jaan sirf Arshu me basti he, or ab me to yaha nahi hounga, please Rashid Arshu ka dhyan rakhna.
Rashid: ye koi kehne wali baat he yaar, infact me abhi ate ate kuch socha he, agar tujhe thik lage to bata.
Aarav: kya socha he?
Rashid: me soch raha tha ke kyu na Arshu ka admission humare college me hi kar de, mere hote hue to waha use koi bhi problem nahi hogi.
Aarav: ha tum thik keh rahe ho, mujhe bhi koi chinta nahi hogi ab. Me me papa se baat kar lunga. Arshu ka khayal rakhna Rashid. Or ghar pe ate rehna.
Rashid: yaar tu fikr mat kar, tu bas apna khayal rakhna, or ha agar koi bhi zarurat lagi to be jhijak call kar diyo, jo bhi situation ho me humesha saath rahunga.
Aarav ko ye sun kar bahot accha laga, Rashid ke hote use Arshu ki fikr karne ki zarurat hi nai thi.
Aarav: thanks yaar Rashid
Fir Arshu upar sabke liye Coffee lekar ajati he.
Jese jese waqt beet raha tha, pata nahi kyu Arshu ki dhadkan tez hoti jaa rahi thi. Aarav ne Arshu ke admission ke bare me Sandeep se baat kar li thi. 7 baje sab ghar se nikal jate he Airport par. Sandeep or Suman aage ki seat par the or Rashid, Aarav or Arshu piche, Arshu ne Aarav ka haath kas kar pakda tha.
Sablog Airport par pahoch gaye, Flight jane me bas kuch time tha to Aarav flight me enter karne ke liye jane lagta he.
Suman: beta apna khayal rakhna, or koi problem ho to kabhi bhi call karna thik he.
Wo Aarav ko gale se lagakar kehti he.
Aarav: okay mummy aap chinta mat kijiye.
Sandeep: dekho tum ja rahe ho kaam se lekin kaam ka zyada stress leneki koi zarurat nahi he, or sabse pehle call karna pahoch kar me ate rahunga waha par.
Sandeep Aarav ko gale lagate hue kehta he.
Aarav Arshu ke nazdeek ata he. Arshu ki akho me asu the.
Arshu: promise yaad he na?
Aarav: ha yaad he.
Arshu: agar promise toda to kabhi baat nahi karungi aapse.
Arshu us se lipat kar rone lagti he.
Aarav: Arshu please rona band karo... Mene promise to kiya he na tumse...
Lekin Arshu to usko apne se alag karne ko tayar hi nahi thi.
Flight ki announcement ho rahi thi.
Sandeep: beta flight ka waqt ho gaya he, jane do use.
Arshu: apna khayal rakhna, I Love You.....
Or wo Aarav ke gaal par kiss karti he. Aarav Rashid ke gale se milta he or use Akho Akho me hi ishara kar deta he ki Arshu or uski family ka khayal rakhe. Aarav waha se aage badh jata he.
Aarav(man me): i am sorry mujhe pata he me ye thik nahi kar raha, lekin me or kya karu. Jo meri kismat me he usi par chal raha hu. I'll always love you Arshu.
Or uske akho se asu ane lag jate he. Jese jese Aarav aage badh raha tha wo Arshu ki nazro se gayab hota ja raha tha. Arshu ab bhi ro rahi thi. Or akhir kar Aarav sabhi ki nazro se ojhal ho jata he. Sablog Airport se bahar ajate he, ghar ane ke baad Suman ne Rashid ko dinner ke liye bitha liya, lekin waha kisi ka bhi khane ka man nahi kar raha tha, dinner ke baad Rashid bhi nikal jata he. Arshu apne room me ajati he. Wo Aarav ki tasveer ko apne haath me leti he.
Arshu: ye kya kiya aapne? Aise mere dil me pyaar bhar kar mujhe akela chhod kar chale gaye? waha ja kar kisi chudail ko mat pasand kar lena, warna me jaan le lungi uski. kese aapko batau me apne dil ki baat? Bahot hasi aarahi he na meri halat par aapko? Kaash aap bina bataye samajh jaye ke me aapse kitna pyaar karne lagi hu. I Love You...
Arshu uske photo par kiss kar deti he, uski aakho se asu ajate he.
Arshu Aarav ki tasveer aone sine se lagaye bas karvate badal rahi thi. Bahot koshish karne ke baad uski aakh lag jati he.
_________________________________________________
Akhir kaar Aarav Arshu se dur ho hi gaya, lekin kya wo Arshu ko apne dil se dur kar sakta tha? Lekin ek baat abhi bhi clear nahi he ki Aarav akhir soch kya raha he? Kya sach me wo wahi karega jo usne sabse kaha tha? Aarav ke dimag me kya chal raha he ye sab to aage pata chal hi jayega. Wahi Rahul ko bhi pata chal gaya tha ke Aarav yaha se jaa raha he, ab Rahul aage kya karne ki soch raha he, or in sab me Sonal ka kya role hoga? Ye sab to pata chal hi jayega. Tabtak ke liye Stay Tuned ❤❤