Update 13
Mega Update E
Subah Aarav uthkar workout karne ke baad apne room me tha,
Aarav: kya me Arshu se aaj hi baat karlu? ek kaam karta hu, jab use college se pick karne jaunga tab Arshu se bol dunga ke me us se kitna pyaar karta hu. Ha ye sahi rahega.
Aarav bahot zyada khush tha. Kyu ke aaj wo apne pyaar ka izhaar karne jaa raha tha.
Fir wo room se bahar ane ko hota he ke tabhi Arshu bhi uske Room me enter karti he or dono ek dusre se takrate he, wo dono bilkul ek dusre se chipke hue the, Aarav to Arshu ki aakho me kho hi gaya tha, wahi Arshu bhi madhosh si ho gayi thi. Hosh me aneke baad wo khud ki sambhalte he.
Arshu: dekh kar nahi chal sakte bhai aap? Or Kiske khayalo me ho aap?
Wo aake chodi karte hue puchti he.
Aarav: he koi bahot khubsurat ladki..
Arshu: haaaa.... Or abtak mujhe bataya bhi nahi aapne.
Aarav: are wo... Wo me to mazak kar raha tha chalo.
Fir wo log breakfast karte he, aaj Aarav bas Arshu ke khayalo me khoya hua tha. Wo log college ke liye nikal jate he. Arshu ko college chhod kar wo apne college chala jata he jaha Rashid uska wait kar raha tha.
Aarav: good morning bhai.
Rashid: good morning.
Aarav: or bata utar gayi thakan?
Rashid: ha bhai, kal pura din ghar se bahar nahi aya me, waise mene suna he kal koi Substitute teacher aya he kuch Dino ke liye. Sala hasta hi nahi he, apne claas mate ne bataya he.
Aarav: wo hase ya na hase hume kya.
Fir wo dono class me chale jate he. Ek ke baad ek period nikalta he, jab Aakhri period tha tab Rashid Aarav se kehta he
Rashid: last period usi ka he bhai, dekhte he
Aarav: ha dekhte he.
Kuch der baad jab wo teacher class me ata he to Aarav to use dekh hairan reh jata he. Sablog use wish karte he. Aarav to use dekh kar shock me chala gaya.
Aarav(man me): Virat bhaiya yaha par, or Dehradhun me bhi yahi the. Or ab ye yeha. Ye kya chal raha he . Kya me abhi unse baat karu? Nahi... Baadme baat kar lunga.
Fir teacher class lena shuru karta he uski nazar abtak Aarav par nahi padi thi. Period khtam hote hi wo nika jata he or sab log nikal jate he.
Aarav: Rashid tu chala ja mujhe kuch kaam he, kal milte he.
Rashid: chal thik he, bye.
Fir Aarav jaldi se staff Room ki or badhta he tabhi waha se Virat bahar ata he. Jab dono ek dusre ko dekhte he to heran se reh jate he.
Virat: Aarav tum?
Aarav: ha bhaiya me to use class me hu. Mene socha baadme aapse baat kar lunga.
Virat: kese ho Aarav tum? Or ghar par sab thik he na?
Virat Aarav ko gale lagate hue puchta he.
Aarav: sab thik he bhaiya, lekin Aap yaha or itne saal se kaha the aap?
Virat: Aarav chalo kahi beth kar baat karte he.
Fir wo dono ground me chale jate he college chutt gaya tha isliye sab ghar ja rahe the to waha koi nahi tha.
Aarav Arshu ko call karta he
Aarav: ha Arshu mujhe thoda late hoga to tum wahi rukna me thodi der me ata hu tumhe lene.
Arshu: bhai don't worry me Taniya ke saath chali jaungi.
Aarav: okay.
Aarav: ab bataye bhaiya aap yaha teacher?
Virat: ha darasal me Dehradhun me reh raha hu. Or me jis college me padhata hu waha ke principal se mere acche relations he, or unhone mujhe kuch din pehle kaha ki Delhi ke college me kuch dino tak As a Substitute teacher chale jao isliye me yaha aya hu.
Aarav: mene aapko 2 baar dekha Dehradhun me, lekin aapse mil hi nahi paya.
Virat: kese?
Fir Aarav use sab bata deta he Dehradhun ki trip ka.
Virat: accha! Usdin me apne dosto ke saath wah tha.
Aarav: bhaiya, lekin me aapko itne salo se contact karne ki koshish kar raha hu. Lekin aapka koi ata pat hi nahi tha. Or bhaiya Shr.... Shreya didi kaha he?
Ye naam sunte hi Virat ki aakho se asu ajate he.
_____________________________________________
Aage badhne se pehle hum jaan lete he ke akhir Virat kon he or Aarav kese janta he. Or Shreya kon he. Or Aarav ko Arshu se pyaar kyu hua ye sab jaan lete he
Flashback:
Aaj Aarav car chalane keliye legal age ho chuka tha Wo car to sikh chuka tha lekin apni legal age ka wait kar rah tha, or aaj wo 19 saal ka ho chuka tha. Or uska Driving license bhi agaya tha. Abtak Aarav ke dil me Arshu ke liye ek behen se hatkar koi feeling nahi thi, lekin uska ye din uski life ka sabse bada turning point ban ne ja raha tha. Ghar me aaj sab kush the, sabse phle use Arshu ne hi wish kiya. Breakfast karne ke baad Aarav car le kar bahar jana chahta tha.
Arshu: bhai me bhi aaungi aapke saath.
Aarav: nahi Arshu, please mujhe akele jane de, me tujhe kal lekar jaunga. Hum dono hi, okay.
Arshu: nahi bhai, mujhe jana he matlab jana he.
Sandeep: beta zid mat karo kal chali jana aaj use jane do kaha jana he use.
Arshu ka muh utar gaya.
Aarav: dekho Arshu, mene car to sikh li he, lekin aajtak bahar nahi le gaya, or me nahi chahta ke meri Arshu ko me Risk me le kar jau. 1-2 din me car ko road par chala lu fir me tumhe apne saath roz ghumaunga, okay?
Aarav ne uska chehra apne haatho me thamte hue kaha.
Arshu: okay, lekin aapko roz mujhe drop karna hoga, mujhe pick karna hoga or ghumane le jana hoga.
Aarav: done meri jaan.
Sandeep: beta Aaram se chalana car okay?
Aarav: don't worry papa.
Fir wo car lekar nikal jata he. Wo car ko ek anjaan raste par le kar jata he, or ek pahadi raste par le jata he. Pahadi rasta hone ke bawjud wo rasta kafi accha tha. Isliye Aarav waha chal deta he. Wo ek khali jagah dekhta he, jaha se khayi or pahado ka dilkash nazara tha (jaha Aarav Arshu ko le kar gaya tha). Wo car waha par le jata he, or car se bahar ajata he. Aarav ko wo jagah Bahot pasand ayi. Wo aise hi kuch der wah rukta he, achanak uski nazar khayi ki taraf ek Patthar par bethe ladke par padti he. Jo bada pareshan lag raha tha. Aarav thoda sehem gaya or wo uske paas jata he.
Aarav: Excuse me, are you all right?
Ladka: hahahaha... Sala zindagi ki lagi padi he or tum puch rahe ho sab thik, kamal he... ohh sorry tum mujhe kaha jante ho. I am fine man.
Aarav ko thoda ajeeb laga wo ladke me Sharab bhi pi rakhi thi to Aarav ko chinta thi kahi ye kuch galat na karde.
Aarav: i think we can talk. Mujhe lagta he aapko koi problem he, but i wish whatever you are going through, that will all end up in good.
Kisi paraye insan se apne liye care karta dekh wo ladke ko bhi accha laga.
Ladka: shukriya dost. Lekin kuch thik nahi hoga. Kuch bhi nahi.
Aarav: if you don't mind you can share with me, waise mera naam Aarav he.
Ladka: nice name, myself Virat.
Aarav: bada accha naam he aapka, waise aap piche aa jaye. Kahi per fisal gaya to...
Virat: koi baat nahi Aarav, life me apne hato se insan fisalne se accha me hi fisal jau.
Fir Aarav uske nazdeek jata he uske kandhe par haath rakhta he. Or use khayi se thoda dur karta he.
Aarav: bhaiya i can understand aap kisi pareshani se guzar rahe ho, lekin aise waqt me khudko sambhalna hota he na ki bikhar jana hota he.
Virat ne drink to kar rakhi thi lekin use bhi koi chahiye tha jis se wo apne dil ki baat share kar sake.
Virat: Aarav, life me kayi baar aisi situation aajati he jaha khudko sambhalna namunkin ho jata he.
Aarav: bhaiya agar aap bura na mane to aap mujhse share kar sakte ho, i promise apki baat mujh tak hi rahegi.
Virat: hahaha, nahi Aarav agar mene bata diya to tum khud mujhe kahoge ki ja is khayi me kud kar mar ja.
Aarav: nahi bhaiya, me aisa kuch nahi kehne wala, or agar aap problem bata dete he to shayad me aapki kuch help kar saku.
Virat: accha! To Baat ye he ki me ek ladki se bahot pyaar karta hu lekin us se kehne se dar lag raha he.
Aarav: bhaiya itni se baat, agar wo bhi aapse pyaar karti he to wo aapka pyaar accept kar legi, or aap agar us se kahoge hi nahi to use pata kese chalega. I'm sure wo ladki zarur samajhegi.
Virat: impossible!!
Aarav: aisa kyu keh rahe ho aap?
Virat: kyu ke jis ladki se me pyaar karta hu, wo meri sagi behen he.
Ye sunte hi Aarav ke pero tale zameen khisak jati he, wo phli baar aisa kuch sun raha tha, wo to jese sadme me jaa chuka tha.
Virat: kyu ho gayi bolti band. Tum to bas soch kar hi itne sadme me chale gaye, agar to me use keh deta hu ye baat to?
Aarav ki kuch samajh nahi aaraha tha, use Virat par gussa aa raha tha, lekin after all kisi ki jaan chali jane se bachana wo uske liye first priority thi.
Aarav: dh....dhekhiye bhaiya, ye sab galat he.
Virat: kyu galat he? Tum to aaj ke zamane ke ladke hona, to samaj ke nazarye se hatkar practically batao kyu galat he?
Is waqt Aarav ke paas koi jawab nahi tha.
Virat: nahi milega koi jawab, chhodo bhi yaar.
Aarav: dekhiye bhaiya, mujhe lagta he aapko ghar jana chahiye.
Kafi der Aarav use samjhata he, fir Virat bhi man jata he. Aarav virat ko apni car se uske ghar chhod deta he. Uske ghar Shreya thi jo Virat ki behen he. Wo Virat ki aisi halat dekh kar pareshan hoti he, or Aarav ko shukriya bolti he Aarav waha se nikal jata he. Lekin uske dimag me sirf yahi sb chal raha tha.
Aarav: yaar kya ye sach tha? Me sapne me to nahi hu, akhir kese koi apni hi behen se, chiiii.. Lekin Wo to ek acche family se he or ye sab kese? Ahhhh. Mera dimag kharab ho rah he.
Fir wo ghar chala jata he, Arshu uske paas ati he lekin aaj Aarav ke dimag me bas aaj jo kuch hua wahi chal raha tha.
Aarav Virat se mila karta, Aarav ne use bahot samjhaya, lekin kya kare pyaar jab hojata he to kuch bhi samajh nahi ata, lekin iske chalte Aarav ko bhi nai pata chala ke wo bhi Arshu se pyaar kar betha he, ek din Aarav Virat ko milne gaya, or waha ja kar dekha to uska ghar band tha, usne aasas walo se pucha lekin koi nahi janta tha ke wo kaha gaye he. or Aarav use dhundta raha lekin kuch pata nahi chala.
____________________________________________
Present:
Jese hi Shreya ka naam Virat ne suna uske aakho se ansu ane lage.
Aarav: k...kya hua bhaiya, aap ro kyu rahe ho?
Virat use sab batata he.
Flashback:
Aaj Shreya Apni padhai ke liye 3 saal Dehradhun jane wali thi.
Virat bahot udaas tha. Usne abtak use apni dil ki baat nahi batiyi thi.
Shreya: kya hua Virat, tum itne udas kyu ho?
Virat: kuch nahi.
Shreya: accha! Me jaa rahi hu isliye? Oye pagal me koi humesha ke liye thodi jaa rahi hu? Hum milte rahenge roz call par baate karenge.
Virat: Shreya mujhe tumse kuch kehna he.
Shreya: ha bolo
Virat: please mere saath bahar chalo. Fir batata hu.
Ghar me uske parents the isliye wo Shreya ko bahar le gaya. Lekin jese hi usne Shreya se apni dil ki baat kahi to Shreya ke Aakho se bas Asu beh rahe the. Usne Virat se kuch nahi kaha sirf itna kaha ke use ghar jana he. Virat ki kuch samajh nahi aya, wo use ghar le gaya, Shreya ko jane ke liye kuch der thi to wo apne room me jati he ek letter likh kar kahi chupa deti he. Jate waqt wo Virat ki taraf nazar bhi nahi dalti, Virat ko is se baht hurt hota he. Uske janeke baad Virat apne room me aakar ro raha tha. Sham ko uske mobile par Shreya ka msg ata he.
Message: Mere room me, jo drawer he usme mene ek letter rakha he, padh lena. Bye.
Virat use call krta he to mobile switch off tha. Wo jaldi se uske Room me jata he or drawer me se ek letter milta he.
Letter:
Virat, tum pagal ho gaye ho jo bhi tum soch rahe ho wo kabhi nahi ho sakta, kabhi bhi nahi. Me kya sochti hu wo chhodo lekin agar humare parents ko Pata chala to kya hoga tumne socha he? Wo to jeete ji mar jayenge. Or kya tum apni khushi ke liye, apne pyaar ke liye unhe takleef de sakte ho? Nahi na.
Mujhe pata he tum bahot takleef me ho. Or me tumhe kabhi takleef me nahi dekh sakti, or jo tum soch rahe ho wo kabhi nai ho sakta, us wajah se tumhe or zyada takleef hogi, or me apne Virat ko kese Takleef du? Ab hum is duniya me kabhi nahi mil payenge Virat, me tumhe takleef me kabhi nahi dekh pati, isliye apni jaan dena yahi mujhe sahi lag raha he, rona mat. Agar tum mujhse sachme pyaar karte ho to apne saath kuch bhi galat nahi karoge, hum is duniya me to ek nahi ho sakte, lekin yaha se alag or ek duniya he jaha hum pakka milenge, lekin ek shart par agar tum apni life me kuch kar jao, or ha tum shadi bhi karoge, or jis se shadi karoge usko apni Shreya samjh kar hi pyaar karoge, okay? Or ha mummy papa ka dhyan rakhna. Chinta mat karna hum is duniya me to ek nahi ho paye lekin iske baad hum ek zarur honge.
I Love You Virat.
Ye sab padh kar Virat ke haath kaap rahe the, wo zameen par hi beth gaya, or bahot der rone ke baad uske ghar Police station se call ata he, ke Shreya ka Accident ho gaya he. Wo ab is duniya me nahi rahi.
___________________________________________
Aarav ye sab sunke or wo letter padh kar dang reh jata he.
Virat: uske baad hum Delhi chhod kar chale gaye or tabse hum Dehradhun me reh rahe he.
Kuch der waha shanti cha jati he. Fir wo dono nikal jate he.
Aarav bilkul sadme me jaa chuka tha.
Aarav(man me): Virat bhaiya ke saath ye bahot bura hua. Lekin ab ye sab se mujhe bahot ghabrahat ho rahi he, agar mene Arshu se bol diya to kahi wo..... Nahi.... Kya karu, kya me Arshu se baat karu ya nahi.
Fir wo car ko ek cafe par rok leta he, uska sar bhari ho chuka tha. Lekin jese hi wo andar jata he to uski to duniya hi ujad gayi. Uska dil to mano dhadakna hi bhul chuka tha. Uske akho se Asu behne lage.
____________________________________________
Aaj ke update me bas itna hi, ab Aagey jo kuch hoga wo jan ne ke liye jude rahiye. Stay Tuned ❤❤