Update-2
Ladka-aapko kaise pata… mera matalab aap unhe kaose jante hai…. Sorry maine jo kuch vi kaha uske loye unheat bataiyega wo gussa ho jayenge aur vi…
Ladka lagvag gidgidate hue bola...
Insaan - daro mat… mai tumhari koi complain nahi karne wala… don’t worry… tumhe pata hai ham teen dost the college me… Mai, Ganesh, aur Ramesh…
Ladka – kya aap hi ho hritik….
Ladka puri tarah shock tha…
(kyu shock tha yeh sabko baad me pata nahi chalega)
Wo insaan haan me sar hilata hai haste muskurate hue…
Hritik – Achha ek kahani hai mere paas jo lagvag tum logo ki condition se milta hai…. Par thori purani hai hare time ka… kya tum dono sunna chahoge…
Yeh keh k wo dono ki or dekhne lagte hai. … dono ko jab pata chalta hai ki story hamari condition ki hai toh dono excited ho gaye… aur jaldi se haan me sar hila diya…
Flash Back
Do dost apana school khatam karke collage life me enter kar rahe the unka her kadam me ek excitement tha… unhone suna tha school kaatne k baad bas mazze hai college me… naye naye khwaab khwahis leke wo college me dakhil hote hai… wo dono nayi jagah naye log naye dost yeh sab soch k excited the…
Unmese ek Ganesh tha toh dusra Ramesh dono school se hi jigiri the… aise hi class karte hue kuch din bite naye dost bane kuch se anban vi hua… at last jab year end hone me 3 mahine baki the toh ek late admission hua….. Aur yeh tha apna hritik… usse bilkul akela rehna pasand tha wo ek lauta aisa tha jo class me lakh khubsurat hote hue bhi kisi ko dekhta tak nahi tha… jiski wajah se lakiya usse khadus aur attitude wale me ginne lage the…. Hamesha class time pe aata aur jake last bench pe baith jata aage k sare khali hone k wabjud…
Ek din wo apne sit pe baith hia khud me magan tha… kuch ussi class k bigde hue ladke aate hai aur uska copy jo desk pe rakha tha use uthha k fek dete hai aur hasne lagte haiiske wajah se sare class ki najar last bench pe chala jata hai… hritik ki chehra gusse se laal ho gaya tha… sab ko laga ab toh yeh ladke gaye ya ladne k chakkar me yeh jayega… kuch toh hone wala hai… Hritik ek jhatke se uthha aur unki or gusse se dekha uski aankhe dekh kar wo ladke vi thora dar gaye…. Wo aage badhne laga unn ladko ki taraf wo pichhi hatane lage… ab hiritik bench se bahar aagaya tha…
Wo aage aaya aur apni copy leke return un ladko p paas aaya… . Aur guse me hi ek baar nichhe ki or dekha… fir jab usne sar upar kiya toh usse face me ek aisi smile thi jise dekh k kisi ko vi sukun mil jaye…. Fir muskurate hue un sabse… .
Hritik – bhaiyo…. Dekho aap sab ne copy fek me mere sath majak kiya… aur maime dara k majak kiya don’t mind…..
Bolke wo bench pe baitne hi wala tha ki fir uthke bola… iss baar aankh me gussa aur face pe saitani hansi thi…
Hiritik – Actually mind it... If want to break your own bones… I am angle for few… DEMON for all…
Wo baith aur khud me magan ho gaya…. Uski aankhe dekh kab unladako me himmat nahi tha kuch bolne ka wo sab chale gaye waha se… yeh dekh k ladkiyo k himmat puri khatam ho gaya bulana dur ki baat hai uski or dekhne ki himmat vi nahi raha... Ek ladki class me thi jo yeh sab dekh k amile kar rahi thi… wo uthi aur uske paas wale bench pe jake baith gai aur dekhne lagi….