• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance ISHQIYA – A Tale Of True Love

Status
Not open for further replies.

Atharva Mittal

Mon Coeur T'appartient !!!
21
46
13
ZINDAGI THAM BHI JAAYE TERI BAAHON MEIN,
TO BHI KOI GUM NAHI.

TUJHE PAAYA HAI JABSE MAINE,
SAMAJH GAYA HUN KE TERE BIN

HUM BHI HUM NAHI.



First of all very warm greetings to all of you guys!!! Ye meri pehli story hone waali hai iss forum par. Basically ye ek Romantic Thriller hai jismein aapko dher saara Action bhi dekhne ko milega.

I hope ki ye kahani aapko pasand aaye. Aur koyi bhi galti ya kami lage to zaroor bataiyegaa.

To pesh hai aapki khidmat mein....


“ISHQIYA – A Tale Of True Love”


IMG-20211029-210006
 
Last edited:

Atharva Mittal

Mon Coeur T'appartient !!!
21
46
13
INDEX


Update ♡ 04♡Update ♡ 05♡
Update ♡ 06♡Update ♡ 07♡Update ♡ 08♡Update ♡ 09♡Update ♡ 10♡
Update ♡ 11♡Update ♡ 12♡Update ♡ 13♡Update ♡ 14♡Update ♡ 15♡
Update ♡ 16♡Update ♡ 17♡Update ♡ 18♡Update ♡ 19♡Update ♡ 20♡
Update ♡ 21♡Update ♡ 22♡Update ♡ 23♡Update ♡ 24♡Update ♡ 25♡
Update ♡ 26♡Update ♡ 27♡Update ♡ 28♡Update ♡ 29♡Update ♡ 30♡
Update ♡ 31♡Update ♡ 32♡Update ♡ 33♡Update ♡ 34♡Update ♡ 35♡
Update ♡ 36♡Update ♡ 37♡Update ♡ 38♡Update ♡ 39♡Update ♡ 40♡
Update ♡ 41♡Update ♡ 42♡Update ♡ 43♡Update ♡ 44♡Update ♡ 45♡
Update ♡ 46♡Update ♡ 47♡Update ♡ 48♡Update ♡ 49♡Update ♡ 50♡
Update ♡ 51♡Update ♡ 52♡Update ♡ 53♡Update ♡ 54♡Update ♡ 55♡
Update ♡ 56♡Update ♡ 57♡Update ♡ 58♡Update ♡ 59♡Update ♡ 60♡
Update ♡ 61♡Update ♡ 62♡Update ♡ 63♡Update ♡ 64♡Update ♡ 65♡
Update ♡ 66♡Update ♡ 67♡Update ♡ 68♡Update ♡ 69♡Update ♡ 70♡
Update ♡ 71♡Update ♡ 72♡Update ♡ 73♡Update ♡ 74♡Update ♡ 75♡
Update ♡ 76♡Update ♡ 77♡Update ♡ 78♡Update ♡ 79♡Update ♡ 80♡
Update ♡ 81♡Update ♡ 82♡Update ♡ 83♡Update ♡ 84♡Update ♡ 85♡
Update ♡ 86♡Update ♡ 87♡Update ♡ 88♡Update ♡ 89♡Update ♡ 90♡
Update ♡ 91♡Update ♡ 92♡Update ♡ 93♡Update ♡ 94♡Update ♡ 95♡
Update ♡ 96♡Update ♡ 97♡Update ♡ 98♡Update ♡ 99♡Update ♡ 100♡
Update ♡ 101♡Update ♡ 102♡Update ♡ 103♡Update ♡ 104♡Update ♡ 105♡
Update ♡ 106♡Update ♡ 107♡Update ♡ 108♡Update ♡ 109♡Update ♡ 110♡
Update ♡ 111♡Update ♡ 112♡Update ♡ 113♡Update ♡ 114♡Update ♡ 115♡
Update ♡ 116♡Update ♡ 117♡Update ♡ 118♡Update ♡ 119♡Update ♡ 120♡
Update ♡ 121♡Update ♡ 122♡Update ♡ 123♡Update ♡ 124♡Update ♡ 125♡
Update ♡ 126♡Update ♡ 127♡Update ♡ 128♡Update ♡ 129♡Update ♡ 130♡
Update ♡ 131♡Update ♡ 132♡Update ♡ 133♡Update ♡ 134♡Update ♡ 135♡
Update ♡ 136♡Update ♡ 137♡Update ♡ 138♡Update ♡ 139♡Update ♡ 140♡
Update ♡ 141♡Update ♡ 142♡Update ♡ 143♡Update ♡ 144♡Update ♡ 145♡
Update ♡ 146♡Update ♡ 147♡Update ♡ 148♡Update ♡ 149♡Update ♡ 150♡
Update ♡ 151♡Update ♡ 152♡Update ♡ 153♡Update ♡ 154♡Update ♡ 155♡
Update ♡ 156♡Update ♡ 157♡Update ♡ 158♡Update ♡ 159♡Update ♡ 160♡
Update ♡ 161♡Update ♡ 162♡Update ♡ 163♡Update ♡ 164♡Update ♡ 165♡
Update ♡ 166♡Update ♡ 167♡Update ♡ 168♡Update ♡ 169♡Update ♡ 170♡
Update ♡ 171♡Update ♡ 172♡Update ♡ 173♡Update ♡ 174♡Update ♡ 175♡
Update ♡ 176♡Update ♡ 177♡Update ♡ 178♡Update ♡ 179♡Update ♡ 180♡
Update ♡ 181♡Update ♡ 182♡Update ♡ 183♡Update ♡ 184♡Update ♡ 185♡
Update ♡ 186♡Update ♡ 187♡Update ♡ 188♡Update ♡ 189♡Update ♡ 190♡
Update ♡ 191♡Update ♡ 192♡Update ♡ 193♡Update ♡ 194♡Update ♡ 195♡
Update ♡ 196♡Update ♡ 197♡Update ♡ 198♡Update ♡ 199♡Update ♡ 200♡
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Death Kiñg

Lucky..

“ɪ ᴋɴᴏᴡ ᴡʜᴏ ɪ ᴀᴍ, ᴀɴᴅ ɪ ᴀᴍ ᴅᴀᴍɴ ᴘʀᴏᴜᴅ ᴏꜰ ɪᴛ.”
6,666
25,377
204
:congrats: for new story start
 
  • Like
Reactions: Atharva Mittal

Atharva Mittal

Mon Coeur T'appartient !!!
21
46
13
PROLOGUE UPDATE

LOCATION :- UNKNOWN

DATE :- AUGUST 20/2021..

Ek bahut hi bada kamra ya ye kahun ki ek vishalkay hall hai ye. Bahar jaane ka koi raasta nazar nahi aa raha. Na koi khidki na hi darwaza.

Par us se bhi zyada hairani ki baat ye ki hall mein sirf ladkiyan hai. Ab aap kahenge ki isme hairani wali kya baat hai to aapko bata doon ki ye sabhi ladkiyan jinki ginti aaram se 150 ke paar hogi bahut hi buri halat mein hain. Kamzor shareer , bojhil aankhen , aesa lag raha hai ki kayi dinon se kuchh khaya hi na ho. Sabhi ke chehron par aansuon ke nishaan , joki ab sookh chuke the. Saaf zahir tha ki kisi bahut badi mushkil mein thi ye sab ladkiyan.

Tabhi achanak is hall mein koi enter hua.Kahaan se, to jaan lijiye ki deewar mein hi ek darwaza hai joki sirf bahar se hi khul sakta, andar se dekhne par yahi lagta hai ki wo ek plain deewar hai.

Haan to koi andar enter hua, ek 22–23 saal ka ladka , achhi kad – kaathi aur muscular shareer ka maalik. Poori black dress pehni hui hai inhone aur us dress par bold & capital mein likha hai – “RESISTANCE”. Chehre par ek mask hai , aur sirf uski neeli aankhen hi nazar aa rahi hain.

Ye in ladkiyon mein nazar ghumakar kisi ko khojne ki koshish kar raha hai. Aur ek ladki ke chehre par inki nazar theher gayi. Uski halat dekh kar aankhon mein aansoon aa gaye aur sirf itna hi keh paaya – “ISHI”.

Iske muh se nikli aawaz bahut hi dheemi thi par shayad us ladki ne inke dil ki awaaz joki bahut tezz thi, sun li thi aur nazar uthakar iski taraf dekha. Pehle to pehchaan nahi paayi par jaise hi us ladke ki aankhen Dekhi to khushi ka thikana nahi raha inki. Ye wo aankhen thi jise ye hazaron ki bheed mein bhi pehchaan sakti thi. Aur ye bhi sirf itna hi keh paayi – “ADI”.

Aur isi ke saath us ladke ke sabr ka baandh toot gaya aur wo apne ghutnon par aa gaya. Donon ki aankhon mein aansoon the aur dono hi ek doosre ko ek tak dekh rahe the. Baaki ladkiyan bhi samajh gayi thi ki ab unki mushkilein khatam hone waali hain aur un sab ke chehron par bhi muskaan thi.

Tabhi wo ladki apne ladkhadate kadmon se khadi huyi aur us ladke paas jaane lagi. Dono ki hi dhadkan tez raftaar se chal rahi thi. Wo ladki iske kareeb aayi aur uska wo mask nikaal diya.

Tabhi wo jhat se khada hua aur uss ladki ko apne aap mein samet liya. Us ladki ne bhi ise kas kar bheench liya jaise kahin jane hi na dena chahti ho. Dono ki aankhon se paani beh raha tha aur chehre par thi khushi – aseem khushi.

Tabhi us ladke ne uske chehre ko thamkar alag kiya aur poore chehre par kisses ki bauchhar kar di. Baaki sabhi ladkiyon ki aankhon mein bhi aansoon the inke pyaar ko dekh kar. Tabhi,

LADKA – Tum... tum… mujhe dobara chhodkar mat jana….. main….. main tumhare bina nahi reh sakta. Please kabhi mat jana.

Ye kehne mein jaise usne apni saari shakti laga di ho esa laga. Idhar uski baat sunkar us ladki ne sirf naa mein sar hilaya aur dono fir se gale lag gaye.

Tabhi dobara darwaza khula aur ek ek karke andar dakhil hone lage kayi aadmi. Sabhi ne same ladke jaise dress pehna hua tha but unke chehron par mask nahi tha. Aur sabhi ki aankhen nam thi. Tabhi wo pehle wala ladka un sab aadmiyon ke saamne aaya aur apni haath ki muthhi ko upar ki taraf karke kholte hue kaha,

RESISTANCE DISSOLVED………

3 SAAL PEHLE ( 3 YEARS BACK ) :-
 
Last edited:

Atharva Mittal

Mon Coeur T'appartient !!!
21
46
13
UPDATE – 1
THE FIRST DAY

PLACE :- IMPERIAL COLLEGE OF SCIENCE & TECHNOLOGY {ICST} [MUMBAI]

DATE :- JULY 4/2018




PLACE INFO :-

IMPERIAL COLLEGE OF SCIENCE & TECHNOLOGY…..

MOTTO – LEARNERS TODAY...LEADERS TOMORROW


India’s best science & technology institute. Established in 1974 it has became a hub of future champions.

450 acre mein faila ek bahut hi khubsurat sansthan jismein Academic faculty ki sankhaya 430 aur 8,000 se bhi zyada students padhte hain yahaan.

17 hostels jinmein se 2 girls ke liye hain , saath hi well equipped laboratories aur ek vishalkaya Convocation Hall kuchh features hain iske.

Laghbhag har tarah ki sports ke liye fields aur courts bane hain yahaan. Academics, Sports, Dramatics and much more , yahaan ke students gajab ke talented hain.

National Level Entrance Test mein badhiya rank laane ke baad hi aap is institute mein padh sakte hain. Competition ka andaza isi baat se laga sakte hain ki test clear karne waale 75 – 80% students hi yahaan aa paate hain.




So abhi – abhi naye admissions huye hain aur freshies ne aana shuru kiya hai yahan. Aur saath hi ragging bhi chaalu hi hai. Ab koyi bhi college ya institute ho ragging karne ka jugaad to laga hi lete hain kuchh talented baalak va baalikayen. Aur isi ko lekar baat chal rahi hai do ladkiyon mein joki abhi campus mein maujood hain…..

[ Ladki 1 – L1 , Ladki 2 – L2 ]

L1 – Yaar mujhe to bahut darr lag raha hai pata nahi kya karwayenge. Kahin kachra naa ho jaaye pehle hi din.

L2 – Dekh ragging to hogi hi meri bhi huyi thi par haan ye to ab depend karta hai ki seniors ka mood kaisa hoga.

L1 – Di aap kuchh karo naa mujhe bachao na iss sab se.

L2 – Ismein main kuchh nahi kar sakti.

L1 – To matlab ragging deni hi padegi. Dekho to us ladke se uthak baithak karwa rahen hai. Main ye sab nahi karne waali.

L2 – Maine kaha main kuchh nahi kar sakti par koyi aur hai jo tujhe bacha sakta hai. Ab ye to tera luck hai ki wo teri help karega ya nahi.

L1 – Please please use bolo na meri help karne ko. Ya mujhe batao kahaan milega vo main request kar loongi.

L2 – Ok. Chal mere saath. Par ek baat yaad rakhiyo use oonchi awaaz mein baat karne waale logon se bahut nafrat hai. To tu apna typical style mat dikhayio.

L1 – Aap aise kyon keh rahi ho. Main to kitni masoom hoon.

L2 – Masoom.Tu masoom... Kabhi sheeshe mein khud ko dekha hai tune ISHU.

[INTRO: ISHIKA SINHA (HEROINE)– Age–18.

Doodh se gore rang ki chaadar apne oopar odhe ek husn ki mallika.

Chehra doodh sa hi safed , jismein thoda pinkish radiance bhi jhalakta hai. Jaise ki agar thoda dabaav diya jaaye uspar to pura chehra hi gulaabi ho jaaye. Saath hi lagta hai ki jahaan bhar ki maasoomiyat ka yahi iklouta thikaana ho.

Aankhen, Brown colour hai inki aankhon ki putliyon ka aur kuchh to gehraayi hai imein, jismein koyi bhi kho jaaye.

Baal... kaale rang ko hi ek nayi paribhasha dete wo jismein halke brown colour ki bhi jhalkiyan dekhi jaa sakti hain.

Honth, gulaabi rangat liye wo gulaab ke samaan hi honth inke roohani chehre par chaar chaand lagane ke liye kaafi hain.

Height, na zyada aur naa kam, face cut bhi apne aapmein hi khoobsurti ki misaal, aur apne aapko shape mein bhi rakha hai isne. Exercise, yoga wagerah ka bhi kaafi shouk hai inhe. Aur iss gaane ke bol shayad yahaan fit baithenge ki,


“Tere chehre me woh jadu hai
Bin dor khincha jata hu
Jana hota hai aur kahi
Teri oar chala aata hu”

Abhi – abhi 12th class pass out ki hai with 99% score. Apne ghar ki laadli hai. Inke ghar mein inke Maa – Papa aur inki badi behen (L2) hi hai. Ye ek middle – class family se hai aur bahut hi sweet hai. Bade – chhote har kisi insaan ki respect karti hai.

But , but, she hates those people who smoke or drink. Isse cigarette & sharab se bahut nafrat hai. Yahaan ICST mein scholarship se admission hua hai kyonki Entrance Test mein iska AIR-1 tha. Haan par kabhi – kabhi bahut gusse mein aa jati hai especially with smokers aur drunkards. Chulbuli aur shararti nature ki hai. Par kabhi bhi esi shararat ya mazaak nahi karti jis se koyi hurt ho.

On and on she is a perfect girl.]

Chaliye saath – saath L2 ka bhi introduction de doon...

[ INTRO: ARUSHI SINHA– Age – 19.

Again one of the most beautiful faces you will ever see. Jaisa chehra hai waisa hi mann bhi hai. Ek bahut hi shaant ladki. Apni behan se bahut zyada pyaar karti hai. Ye bhi yahaan scholarship se hi padh rahi hai. ISHIKA jitna to nahi par haan uske aas paas hi score rehta hai iska bhi.


Computer Engineering kar rahi hai ye yahaan se & ISHIKA bhi wahi karegi.

Basically apni behan se bilkul ulat hai. Bahut hi shaant , a little bit shy aur dhairyavaan ladki hai ye. Haan ye single nahi hai , iska ek boyfriend hai aur ye ek doosre se bahut pyaar karte hain. Ab wo kaun hai , ye to aapko aage pata chalega.]

BACK TO STORY :-

So, ye dono ladkiyan joki campus se baahar aa chuki thi, filhaal khadi thi ek tea stall se thodi doori par aur wahaan khade ek ladke ko dekh rahi thi.

Jahaan ARUSHI ke face par ek smile thi wahin ISHIKA ke chehre par gussa , kyon, kyonki wo ladka cigarette pee raha tha.

ISHIKA – Di, aap mujhe yahaan kyon laayi ho aapko pata hai na mujhe smoking se kitni nafrat hai.

ARUSHI – Ae tu ye baat please uske saamne mat boliyo. Dekh yaa to thodi si smoking bardaasht kar le ya ragging. Kyonki iske alawa tujhe koyi nahi bacha sakta.

ISHIKA – OK, fine.

Tabhi us ladke ne cigarette fenk di aur ISHIKA ne ek chain ki saans li. Ye dono uske kareeb pahunchi aur ARUSHI ne awaaz di – ADITYA.

Aur jaisa hi wo ladka aur uske saath khada ek aur ladka muda to ISHIKA ke muh se nikal gaya – Tummm...

Hairaani to uss ladke ko bhi huyi ISHIKA ko dekh kar but uske chehre par expressions laana itna aasan kaam nahi hai. Kyon? Kahani padho, khud jaan jaao.

ARUSHI – Tu jaanti hai kya isse??

ISHIKA – Haan.. Nahi.. Di wo…

ARUSHI – Achha chhod. ADITYA ye hai meri behan ISHIKA aur ISHIKA ye hai ADITYA.

Itne mein hi chaai waale ki awaaz aayi – Le ADITYA bhaai chaay.

Aur usne bhi peeche mudkar chaay le li aur peete huye ARUSHI ki hi taraf dekhne laga. Aur wo bhi samajh gayi,

ARUSHI – ADITYA wo aaj iska first day hai yahaan aur tumhe to pata hi hai na ragging wagerah. Aur ye bahut nervous hai uss wajah se. Agar tum un logon ko mana kar do iske liye to…

Beech mein hi wo ladka bola – Hmmm, chalo bol deta hoon.

Uski baat sunkar ARUSHI bahut khush ho gayi aur usse thanks kehne lagi. Aage badhne se pehle ye jaan na zaroori hai,

[INTRO: ADITYA VARDHAN (HERO)– Age–19. RAAZ, ye iska nickname rakha hai isko jaan ne waalon ne. Kyonki ye sach mein wahi hai, ek paheli jiska solution kisi ke paas nahi hai. Ise zyada baat karna pasand nahi hai. Bahut kam bolta hai aur agar koyi is se oonchi aawaz mein baat kare to bilkul bardaasht nahi hota janaab se. Aur kisi mein itni himmat bhi nahi hai ki inse uss tarah baat kare.

Laghbhag 6 feet height, well – built body, aur inke cuts bhi kaafi had tak kapdon ke oopar se bhi pata lag jaate hain. And on contrary of that ek bahut hi masoom sa chehra. Lagta hai jaisa koyi shaant sa bacha ho. Aankhon ka colour blue hai iski. Hairstyle kaafi unique hai aur ek uncommon si shine jhalakti hai iske baalon se suraj ki roshni mein.

India’s brightest student. All India Topper in 10th board, in 12th board, in ICST Entrance Test and University Topper in First year Examinations at ICST.

Iske jaisa student aaj tak nahi dekha , ye kehna hai ICST ke sabhi professors ka aur kahen bhi kyon na. Ye janaab to professor logon ki bhi galtiyaan nikaal dete hain. Isko bhi scholarship mil jaati aasani se but ye fees bharta hai wo bhi apni khud ki kamaayi se. Reason baad mein.

Sports mein bhi awwal. Last year National level University Sports Meet mein ICST ko winners trophy mili kyonki unke paas ADITYA hai. Champ in Cricket, Athletics, Football & Basketball. A true leader, team ko kese chalana hai ye behatreen tareeke se jaanta hai. Last year ICST ke sabhi players se best isine nikalwaaya tha kyonki yahi in sab ka Captain tha.

But wait he’s not completely perfect. Iska ek bahut famous dialogue hai jo ye jagah jagah chipkata rehta hai – Duniya mein aesi koyi cheez ya insaan exist nahi karta jo ADITYA ko control kar sake. But to the contrary ek cheez aesi hai aur wo hai iska gussa.

Jab ye gusse mein hota hai to fir bas bhagwaan hi maalik hai. Iski family nahi hai. Kyon? Wo baad mein pata chalega par haan ek baat clear kar doon ki ye orphan nahi hai. Ek kami aur bhi hai isme wo ye ki ye smoking karta hai. Daily karta hai par believe me he is not an addict. Jis second iska mann karega ye tabhi chhod dega. To chaliye is safar par jismein ham iss RAAZ ko jaanenge.]

Saath hi ye bhi,

[INTRO: DEV MALHOTRA – Age – 19.

ADITYA ka best friend. Wo insaan yahi hai jo ADITYA naam Ke RAAZ ke baare mein sab kuchh jaanta hai. Dono ki dosti 15 saal purani hai aur ek doosre ke baare mein sabse zyada jaante hain.

Ye MALHOTRA GROUP OF INDUSTRIES joki India ki leading businesses mein se ek hai uska iklouta vaaris hai.

So, saath hi ye hi wo ladka hai jiska zikr maine ARUSHI ke intro mein kiya tha. Yep, he’s ARUSHI’s boyfriend.

Waise aapko bata doon ki ye dono hi ek doosre se bahut pyaar karte the but izhaar nahi karte the. Tab ADITYA ne hi inki setting karwayi thi. Isiliye ARUSHI hamesha se hi ADITYA ke prati respectful rahi hai. Ye bhi Computer Engineering hi kar raha hai, ab jo ADITYA karega wahi ye karega. Ye to Universal Truth hai.]

So, guys ye ho gaye chaar important introductions is kahani ke.

BACK TO STORY :-

So chaay ka glass waapis karne ke baad ye nikalne hi waale the ki tabhi peeche se ek ladke ne aawaz lagayi, – ADITYA mujhe kuchh baat karni thi tumse.

ADITYA ne ek pal uski taraf dekha fir DEV ko ishaara kar diya jise wo bhali bhaanti samajh gaya. Usne ARUSHI ko aage chalne ko kaha aur ye teeno nikal gaye campus ki taraf.

ISHIKA ne ek baar peeche mudkar ADITYA ki taraf dekha par wo us ladke se kuchh baat kar raha tha.

So, ye teeno chalte huye pahunche campus ke andar jahaan ragging chaalu hi thi. DEV in dono se thoda peeche chal raha tha. Jaise hi ISHIKA wahaan pahunchi to unmein se ek ne awaaz lagayi, joki shayad inka leader tha,

L – Ae ladki kahaan chali, idhar ham log baithe dikhayi nahi de rahe, wish kaun karega.

Tabhi ISHIKA ki side se DEV aage aaya aur use dekh kar wo sabhi ragging masters khade ho gaye.

L – Haan DEV aaj idhar kaise.

DEV – Wo sab chhod is ladki ki ragging nahi hogi aur tum sab bhi kaan kholkar sun lo koyi ise pareshaan nahi karega.

L – Lekin kyon. Sabki Ragging hoti hai iski bhi hogi.

Ye baat wo bahut akad kar bola tha,

DEV – ADITYA ne kaha hai ki iski Ragging nahi hogi. Kaaran jan ne ka shouk hai to us se puchh liyo.

Bas uski saari akad zameen mein ghuss gayi aur uski jagah aa gaya chehre par dar aur maathe par paseena.

L – Arre nahi nahi, ab ADITYA Bhai ne bola hai to hame kya dikkat hogi. (ISHIKA ki taraf dekh kar) Tum jaao tumhe koyi Pareshaan nahi karega.

Uski ek dam se baithi huyi awaaz sunkar DEV & ARUSHI ke chehron par muskaan aa gayi. Wahin ISHIKA ki hairaangi peak par thi.Tabhi ARUSHI ne usse ishaara kiya aur teeno aage ki aur badh gaye.

ISHIKA ke chehre par hairaani ke bhaav dekh kar ARUSHI ne kaha,

ARUSHI – Madam ab aapne yahin padhna hai to aise shock aur surprise hone ki aadat daal hi lo. Ye to student tha abhi to uske naam par Professors ke reaction dekhna.

ISHIKA surprised to thi aur saath hi soch rahi thi,

ADITYA...HAI KYA YE...
 
Last edited:

Sauravb

Victory 💯
8,104
14,284
174
Amazing starting..college life romantic story my fav
 
  • Like
Reactions: Atharva Mittal
Status
Not open for further replies.
Top