• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ittefaaq

Goofy

Perfectly Imperfect
37
63
18
Res
 

Goofy

Perfectly Imperfect
37
63
18
Hello Guys,
Ye XF pe Meri Paheli Story hai.

Ye Story sirf imagination pe based hai. Is ke Characters, Locations aur Incidents ka Real life me kisi se koi connection nahi hai. Agar koi bhi Connection nikalta hai to ye bhi Story ke name ke jese sirf ek Ittefaaq hai.

Ye Story ek typical Love Story hai.
Ye Story me Aapko Romance aur Drama milega aur Little bit Action aur Suspense bhi hoga.


Agar baat karu Updates ki to wo Random rahege. Jis ke liye mein maafi chahuga. Mein har roj Updates nahi de pauga. Par Mein Koshish karuga ke week me at least 2 Updates ho jaye.
 
Last edited:

Goofy

Perfectly Imperfect
37
63
18
Res
 

Goofy

Perfectly Imperfect
37
63
18
Res
 

Goofy

Perfectly Imperfect
37
63
18
Introduction

Ittefaaq, Coincidence.

Hum apni Zindagi me kai baar ye shabdo ka istemal karte jab koi Esi situation hummari zindagi me aati hai.

Basically hum Ittefaaq ya Coincidence kehte kise hai?
Jab koi 2 Ghatnaye ese ho ke jese aisa lage ke dono hi Ghatnaye ekdusre se judi hui hai, Connected hai. Ye ek simple si vyakhya hai. Jo ki is shabd ka arth samajne ke liye kaafi hai. Agar iske baare me gaherai se baat kare to fir kaafi kuch likha ja sakta hai.

Kuch logo ka birthday jis din aata he usi din ko unke kisi apne ka bhi birthday hota hai to tab use bhi hum ek Ittefaaq, Coincidence kehte hai. Ye ekdam simple sa udaharan hai Ittefaaq ka, Coincidence ka.

Kai baar esa hota hai ke kisi kareebi ko hum kaafi time se nahi mile hote aur hum unhe yaad kar rahe hote hai. Par tabhi achanak wo khud hi humse milne aa jate he. To use bhi hum Ittefaaq ya Coincidence bolte hai.

Ab Ittefaaq achhe bhi ho sakte he ya bure bhi ho sakte hai.

Ab jese manlo, aapne ek din apne gf ya bf ke sath milkar school ya college bunk kiya aur kisi park me ghumne chale gye. Par wahi Park me Aapke school ya college ka koi khadush professor bhi wha ghumne aaya hota hai aur wo aapko apne bf ya gf ke sath dekh leta hai. Beshaq ye experience thirll deta hai par ye ek bura Ittefaaq hai ke usi din wo Professor bhi usi din chhutti leke usi Park me aaya, jaha aap apne bf ya gf ke sath bunk marke ghumne aaye ho.

Ab har bar esa nahi hota ke Ittefaaq achha hai ya bura wo usi time pata chale. Kai baar uske baare me pata chalne me samay bhi lag sakta hai. Ab wo samay ek din ka ho sakta hai, ek mahine ka ho sakta hai ya fir kuch saalo ka bhi ho sakta hai. Possibilities are Infinite.

Yeh Story Ese hi Ittefaaq pe based hai. Ab wo Ittefaaq ka impact achha hone wala hai ya bura wo to Story me hi pata chalega.

Sabse Pahele Mein aapko is Story ke One of the Main Character ke baare me kuch batana chahunga, Jo ki hai Aarav.

Aarav Ek 22 saal ka Smart Intelligent Ladka he. Aarav ek esa ladka hai jo ki sabki help karne me believe karta he. Aarav ka nature bhi friendly tha. Wo sab se friendly behave karta tha.

Abhi kuch hi Months pahele Apni Engineering khatam ki he. Aarav ki Branch Mechanical thi.

Aarav Padhai me to Achha tha hi par Sports me bhi achha tha. Apni School ki Basketball Aur Cricket Team ka star Player tha. College me aake bhi Sports se lagav nahi chhuta. College ki Basketball team ka bhi Aarav star player raha.

Engineering khatam karne ke bad use College Campus Placement me se hi ek job mill gai par wo use kuch pasand nahi aai to kuch hi dino me wo job Aarav ne chhod di. Fir usne dusri ek job join ki. Wha bhi uska man nahi laga aur usne wo job bhi chhod di.

Vese esa nahi tha ke Aarav apne baap ke paise khata tha. Wo khud kamata tha. Ab aap sab soch rahe hoge ke jab job chhod di to kese kamata he paise? Kahi kuch galat kaam to nahi karta?

Par nahi, Esa nahi hai. Aarav kabhi galat kam karne ki sochta bhi nahi hai.
Dar asal Aarav ko shokh he Travelling ka aur Photography ka. Nayi nayi jagah pe ghumna aur wha ke nature ko najdik se niharna, uske photos clicks karna Aryan ko kaafi pasand tha. Wo aksar jahan bhi uska man kare whan ghumne nikal jaya karta. Aur uske Videos banake wo Youtube pe upload karta. Basically Vlogs banata tha Aarav. Wo Vlogs kaafi achhe banata tha to kaafi sare log useke Vlogs dekhte the. Aur isi se Aarav achha khasa kama liya karta tha.

Story me Aarav ki family ka role hoga, Baki aur bhi characters hoge par unke baare me tab bataya jayega jab unki Story me entry hogi.
 

Goofy

Perfectly Imperfect
37
63
18
Update 1

Sham ka time tha. Shahar ke ek raste pe ek bike par do ladke jaa rahe the. Sham ka time tha to Raste pe kaafi chahal pahal thi. Traffic bhi tha. Dono ladke ek dusre se baate karte hue jaa rahe the.

Kuch der bad wo dono ek Circle pe pahonch gye. Yaha se Sidha Rasta Highway ke taraf jata tha. Left Side wala Shahar ke hi Dusre hisso ke taraf jata tha. Jab ki Right side wala Rasta Shahar ke Baaki hisso se hoke Industrial Area, National Highway aur Dusre kuch Gaav ke taraf jata tha. Bike chalane wale ladke ne Bike ko Left Side pe mod liya.

Abhi usne left side moda hi tha to dekha ke Ek Chhota Doggy Rasta cross kar raha tha. Jo ladka Bike chala raha tha usne Wo chhote Doggy ko dekha aur use bachane ke chakkar me apni bike ko side pe karne laga par Bike ki speed thodi jyada tha aur turning bhi tha to wo ladka bike pe control nahi rakh paya aur bike sleep ho gai.

Dono ladke bike se thode dur gir gaye. Dono ko chot bhi lagi thi. Kuch log aakar un ladko ki help karne lage. Logo ne sahara dekar un dono ladko ko khada kiya. Unki bike jo giri hui thi use Road ke ek side lagai. Sab ne dekha to un dono ladko ke sharir pe ghaav aur unme se khoon bhi nikal raha tha.

Bheed me se Ek aadmi ye dekh ke bola, "Arey, tum dono ko to kaafi khoon nikal raha hai. Tum dono ko Jaldi se koi clinic jana chahiye."

Tabhi bheed me se ek dusra aadmi bola, " Jab Bike sambhal nahi paate to Itni tej chalate kyun ho? "

Us Aadmi ki baat sunke wo dono ladke ek dusre ki taraf dekhne lage.

Idhar bheed dhire dhire kam hone lagi. Aur fir wo Dono ladke rahe aur Unke pass ek aur ladka tha. Ye ladke ne bhi unki help ki thi khade hone me.

Fir wo ladka un dono ladko ki or dekhkar bola, " Aap dono ek kaam kariye. Mere sath chaliye. Yaha se kuch hi dur Ek clinic he. "

Us ladke ki baat sunke ek ladka bola. "Arey Nahi, Hum bike se gaav chale jayege. Clinic jane ke liye ruke to gaav jane me late ho jayega. " Fir usne Dusre ladke ki taraf dekhkar kaha jo hi bike chala raha tha, " Kyun Mehul? "

To wo ladka Mehul apne friend ko dekhte hue bola, " Abe ese jayege to Gharwale aur dantege. "

Mehul ki baat sunke uska friend bola, " Teri baat to sahi he, Par kya kare fir? "

Tabhi Wo Help karne wala ladka bola, " Dekhiye, Ye sab Baate aap dono meri car me beth ke karna. Abhi aap dono ko khoon nikal raha he ghaav me se. Clinic chalte hai. Wha dressing karva lo. Taki Infection ka khatra na rahe aur achha feel hoga aapko."

Ye baat sunke Mehul bola, " Haan, Abhi ye sahi rahega. "

Is ladke ne Mehul aur uske friend ki or delhte hue kaha. " Chaliye fir, Beth jaiye car me. "

Fir Mehul aur uska friend us ladke ki car me jake beth jate hai. Wo dono abhi chot ke vajah se langdate hue chal rahe the.

Wo Ladka bhi fir apni car me aake beth jata hai. Aur Car drive karne lagta hai.

Wo ladka aage akela betha tha. Jab ki Mehul aur uska dost piche bethe the.

Fir Us ladke ne drive karte karte baat shuru ki.

" So, Puppy ko bachane ke chakkar me gir gye?"

" Haan. Puppy ko bachane ke chakkar me Bike sleep ho gai. Thodi speed me bhi thi na Bike. " Mehul ne jawab dete hue kaha.

" Chaliye koi ni. Abhi bas 10 Min me clinic aa jayega. Fikr mat kariye. Jyada late nahi hoga. "

" Ji. Thik he. Thank You. " Mehul ne kaha.

" Hmm. "

Aur fir Wo ladke ne Music laga diya aur Car Drive karne laga.

Kuch 10 Min bad Car ek Complex ke pass ruki.

Drive kar rahe ladke ne Piche mudke Mehul aur uske Dost ko dekha aur bola, "Chaliye, Aa gya Clinic. "

Mehul aur uska friend car se utar gye. Wo ladka bhi Car se bahar nikla. Aur fir teeno lift me chale gye kyuki clinic 2nd Floor pe tha. Us ladke ne Mehul aur uske dost ko sahara diya lift tak jane me. Kyuki abhi dono thik se chal nahi paa rahe the, chot ke vajah se.

Kuch hi pal me wo teeno 2nd floor pe aa gye. Aur Clinic ke andar chale gye. Luckily Clinic me koi aur patients nahi the. To Mehul aur Uske friend ko hi Doctor ne turant attend kiya. Unke zakhmo ki dressing kar di aur patti bhi bandh di. Us Ladke ne payment kiya aur fir Teeno wapas car me aake beth gye.

Wo ladka wapas Car Drive karne laga.

Kuch der bad teeno fir se wo jagah pahonch gye jaha Unki bike slip hui thi.

Mehul ne us anjaan ladke ki or dekha aur bola, " Aapka bahot bahot sukriya. Aapne hummari bahot help ki. "

Mehul ki baat sunke wo ladka muskurane laga, " Arey isme Sukriya ki kya baat he. Ab Ek insaan dusre insaan ki help nahi karega to kon karega? "

Us ladke ki baat sunke Mehul aur uska friend bhi muskurane lage.

" Achha Ab hum nikalte hai, Pahele se hi kaafi deri ho chuki he hume. Gaav me sab pareshan ho jayege aur daant padegi wo alag se. " Mehul ne car se utarkar kaha.

" Pakka aap log bike chala ke jaa paoge na? "

" Haan, hum chale jayege. "

Fir Mehul aur Uska friend road ki side me khadi ki gai bike ke pass pahonch gye.
Unke piche wo ladka bhi aa gya.

Par jese hi wo dono ne Bike ko dekha to unke hosh hi kho gye. Bike ko kaafi damage hua tha. Main to Front suspension ek side se pura tut chuka tha.

" Abe Mehul, Ye to kabada ho gya. " Mehul ke friend ne Mehul se kaafi serious tone me kaha.

" Arey haan Yaar. Ab kya karege? " Mehul ne bhi tension bhari awaj me kaha.

Us ladke ne dono ki baate suni aur un dono se bola, " I think Bike ko kaafi damage hua he. Agar abhi hi garage me dege to bhi aaj hi milna next to impossible he. Ek kaam karte he, Me aap dono ko aapke gaav chhod deta hu. "

" Are Nahi nahi, Pahele se hi hummare vajah se aapko kaafi taklif ho chuki hai, ab or nahi. " Mehul ne us ladke ki taraf dekhte hue kaha.

" Arey isme taklif ki koi baat nahi hai. "

" Hummara Gaav yaha se 25 Km dur hai. "

" No Problem. Bas Aadhe ghante me aapke gaav. Aur Meri Car me petrol bhi he so don't worry. Chalo car me betho, nikalte he aapke gaav ke taraf. "

" Aap kyun khud ko taklif de rahe ho? "

" Isme taklif ki koi baat nahi hai. Ab jyada mat sochiye. Beth jaiye. "

Fir Mehul aur uska friend us ladke ka sahara lekar car me beth jate hai.

Wo ladka bhi aake Car me beth jata hai.

" Aur haan, Dekhiye Bike ka tension mat lijiye. Kal subah hum ise garage me de dege. Sham tak thik ho jayegi. "
Us ladke ne Car start hue kaha.

Mehul aur Uske friend ne us ladke ke taraf dekh kar haan me sir hilaya.

" Achha chaliye bataiye, Aapke gaav ka name kya hai? Aur Kis taraf hai? "

" Ji Gaav ka name he XXXX. Wo XXXX Nadi ke pass. Yaha se Sidhe hi jana hai takreeban 20 Km aur fir Left side mud na hai, wha se kuch 5 Km jesa jane ke bad hummara gaav hai. Nadi ke kinare. "

" Wah, Name suna he mene aapke gaav ka. Rasta bhi janta hu wha ka. Vese Kaafi adbhut najara milta he prakrtuki ka waha esa suna hai mene. "

" Haan, Ye sahi baat hai."


" Vese aapka name to Mehul hai, Par aapke Dost ka name kya hai? "
 

Goofy

Perfectly Imperfect
37
63
18
Update 2

" Mera Name He Ravi. " Mehul ke friend ne Drive kar rahe ladke ki taraf dekhte hue kaha.

" Nice Name. "

" Aapka name kya hai? " Mehul ne Us ladke ki taraf dekhte hue puchha.

" Mera Name hai Aarav. "

" Nice Name. " Mehul ne muskurate hue kaha.

" Achha, Ye Music se disturb to nahi ho rahe ho na?"

" Bilkul bhi nahi. " Ravi ne kaha.

" Balki hume to Maja aa raha hai. " Mehul ne kaha.

" Enjoy then. " Aarav ne bhi muskurate hue kaha.

Fir Aarav apne manpasand songs ka anand lete hue Car Drive karne laga.

Rasta kaafi achha tha to 25 Min me hi Car se wo log Gaav pahonch gye.

" Ye lijiye aa gye Gaav. Ab bataiye kis taraf jana hai? "

" Yaha se tisri jo Gali hai usme hi mera ghar hai. " Ravi ne kaha.

" Okay. "

Fir Aarav ne us gali me Car mod di.

Kuch hi der me Ravi ka Ghar aa gya. Pakka Ghar tha. Vese jyadatar ghar ab pakke the us Gaav me. Par Kaafi ghar abhi kachhe bhi the.

Ravi apna ghar aate hi Car se utar gya.

" Thank You. " Ravi ne Aarav ki taraf dekhte hue kaha.

" Arey No Problem. " Aarav ne Muskurate hue kaha.

Fir Ravi ne apni wrist watch me time dekha to 8 baj rahe the. Fir usne Mehul ki taraf dekhkar kaha, " Abe Mehul, 8 baj gye. Aaj to bahot dant padne wali hai. Jese hi Papa ne ye patti dekhi, achhe se khabar lenge meri. "

Mehul ne bhi Ravi ki baat sunkar kaha, " Bhai, Mera bhi wahi haal hone wala hai. "

" Achha, Chal ab jata hu andar. Kal milte hai. Bye. " Ravi ne Mehul se kaha.

" Bye. "

Fir Ravi apne ghar me chala gya.
Ab Car me Sirf Aarav aur Mehul hi the.

" So ab aapka Ghar kis taraf hai? " Aarav ne piche mudke Mehul se Pucha.

" Mera Ghar yaha se abhi aage hai. Yaha se kuch der bad Khet shuru hote hai to wha hi Hummara ek khet hai, usi me hummara ghar hai. "

" Achha, To farmhouse hai. Nice. Vese abhi aage bethna chaho to beth sakte ho. You can trust Me. " Aarav ne muskurate hue kaha.

Fir Mehul piche se utar kar Aage Aarav ki side me aake beth gya. Aur fir Aarav me car start karke jis taraf Mehul ne bataya us taraf Drive karna start kiya.

Kuch der bad Khet aane shuru ho gye. Aur fir Aarav ko ek Khet me bada bunglow dikha.

" So wo hai aapka Ghar? "

" Haan, Wahi hai. "

" Kaafi achha hai. "

" Thanks. "

Aur kuch hi pal me car wo farmhouse ke pass khadi thi. Wha Entrance pe Bada gate tha aur 2 security Guards khade the Gate pe.

Car ko gate ke pass aye hue dekh ke ek guard car ke pass aaya. Aarav ne car ke windows ka glass down kiya.

Tabhi Side me bethe Mehul ne Guard ki taraf dekhte hue kaha, " Kaka, Jane bhi do ab. Mein Hu, Mehul. "

Guard ne Mehul ko dekha aur uski baat suni aue fir Jake Gate khol diya.

Aarav ne fir Car ko andar le liye.

Gate se andar se Ek pakka Rasta tha jo ke Farmhouse ke Andar ke Side me bane hue Parking tak jata tha. Is Raste ke dono taraf Garden jaisa banaya gya tha.

Kuch hi seconds me Car Parking me khadi thi.

" Kaafi Mast Design he aapke Farmhouse ki. " Aarav ne Mehul ki taraf dekhkar kha.

" Haan, Papa ne kaafi kharcha kiya hai banane me. " Mehul ne bhi Aarav ke taraf dekhte hue kaha.

" Achha Dost, to abhi me nikalta hu. "

" Arey ese kese, Andar toh aaiye. Aap drive karke thak bhi gye hoge. "

" Arey bilkul bhi nahi. In fact muje drive karna kaafi pasand hai. Itna Drive to mere liye aam baat hai."

" Dekhiye, Hum ne aap ki baat mani aur aap hume chhodne yaha Hummare gaav tak aaye. Ab aap bhi meri baat mankar Hummare ghar to chaliye. "

" Achha, Chaliye thik hai. Muje bhi aapki baat manni chahiye ab." Aarav ne muskurate hue kaha.

Aur fir Aarav aur Mehul dono car se nikalte hai aur Bunglow ke andar jane lagte hai.

Fir Dono Hall me aa jate hai. Hall me Ek aadmi betha hua tha. Wo aadmi Mehul ko aate hue dekhta hai par jab uski najar uske hatho par bandhi pattiyo pe padti hai to wo turant khada ho jata hai.

" Mehul, Ye sab kya hai? " Us Aadmi Bhari aawaj me Mehul ke taraf dekhte hue kaha.

Mehul Aarav ki taraf dekhne laga aur fir Dhire se bola, " Ab meri band bajne wali hai. Aapko live dekhne ko milega. "

Aarav ne us Aadmi ko dhyan se dekha tab use esa laga ke jese usne us Aadmi ko pahele kahi dekha hai. Aarav ko Uska chahera thoda jana Pahechana sa lag raha tha. Wo yaad karne laga ke us aadmi ko usne kahan dekha hai.

Idhar us Aadmi ki awaj sunke Ek aurat Bhi wha aa jati hai. Jese hi wo Mehul ko aur uske hath pe bandhi pattiyo ko dekhti hai to wo bhag ke Mehul ke pass aa jati hai aur use dekhte hue Puchhne lagti hai, " Beta, Ye kya hua tumhe? Ye chot kaise lagi? "

" Mehul, Yaha aao. Kahan gye the? "

Us Aadmi ki baat sunke wo aurat us aadmi ke taraf dekhkar bolti hai, " Aap jara shant ho jaiye. Mehul ko chot lagi hai aur aap... "

" Mein wahi jan na chahta hu ke ise chot kaise lagi hai. "

Mehul dhire se Chalte hue Us Aadmi ke pass pahonchta hai. Uske piche wo Aurat bhi Aarav pe ek najar dalke Mehul ke piche wha chali jati hai. Jab ki Aarav wahi khada ho kar sab dekh raha tha.

" Wo Papa, Me aur Ravi Shahar gye the. Wha Bike sleep ho gai. " Mehul ne us aadmi ki aur dekhkar dhire se kha.

" Ohh, Laga hi tha mujhe. Jab meine Parking me teri bike nahi dekhi aur tuje aane me itni der hui tab mujhe laga hi tha ke tu jarur Bike leke shahar gya hai apne dost ke sath. Par Meine mana kiya tha na Bike leke shahar jane ko? Fir Kyu gya tu shahar? " Mehul ke Papa ne uski aur dekhte hue thodi unchi aawaj me pucha.

" Papa wo Movie dekhne. "

" Par Jab meine Bike lekar Shahar jane se mana kiya fir Bike lekar kyun gye tum? " Mehul ke Papa ne fir se unchi awaj me pucha.

" Aap Jara Shant ho jaiye. " Us Aurat ne Mehul ke papa ko kaha.

" To apne bete ko bolo meri baato ko mane. Jab meine kaha tha ke Bike lekar kabhi bhi na jaye Shahar to kyun gya ye? Tum ise kyu nahi samjati ke Apne Baap ki baate maana kare. "

" Beta, Jab Papa ne kaha tha ke Bike lekar mat jana to fir tum kyun gye? " Us Aurat ne Mehul ke pass jake pucha.

" Maa, Bas aaj man kiya Movie dekhne ka. Vese bus se jane wale the par late ho gye to wo bus chhut gai. Ticket humne book kar rakhi thi. To fir Hum Bike le kar chale gye. " Mehul ne us aurat ki taraf dekhte hue kaha.

" Papa, I'm sorry. Aage se me esi galti nahi karuga." Mehul ne apne Papa ke pas jakar kaha.

" Ye Aakhri time hai Mehul. Aage se koi galti na ho is baat ka dhyan rakhna, Aur ye kon hai ? " Mehul ke papa ne Aarav ke taraf dekhkar pucha.

" Papa, Ye Aarav hai. Inhone hi hummari help ki, hume clinic le gye aur hume special gaav chhodne aaye. "


" Achha. " Fir Mehul ke Papa Aarav ke pass jate hue bole, " Tumhara bahot bahot sukriya. Mere Bete ki help karne ke liye. "
 
Last edited:

Goofy

Perfectly Imperfect
37
63
18
Update 3

" Arey Uncle Ji isme Sukriya ki koi baat nahi hai. Ye mera farz tha jo meine Nibhaya. " Aarav ne Mehul ke papa ke taraf dekhkar muskurate hue kaha.

Tabhi Mehul ki Mom bhi Aarav ke pass aate hue boli, " Beta, Aaj ke samay me jaha Duniya me jyadatar log apne kaam se hi kaam rakhte he usme Tumhare jese Dusro ki madad karne wale log kam bache hai. Beta, Meri ek baat manlo. Jab Tum Mehul ko yahan tak chhodne aaye ho to abhi Hummare sath aaj khana bhi kha lo. "

Aarav soch me pad gya. Wo soch raha tha ke agar wo khane ke liye ruk jayega to Raat kaafi ho jayegi.

Aarav ko ese sochta hua dekhkar Mehul ke Papa ne Aarav ko pucha, "Kis soch me gir gye? "

Mehul ke Papa ki aawaj sun kar Aarav apne khyalo se bahar aaya.

" Maaf Kijiyega Uncle Ji, Aunty Ji. Agar me Khane ke liye Ruka to kaafi der ho jayegi yaha se nikalte samay. " Aarav ne Mehul ke Papa aur Mom ki taraf dekhte hue kaha.

" To Aap esa kijiye Yahin Ruk jaiye Raat ko. Vese bhi aap ne bola tha na Car me ke hum Bike garage me dene jayege, to subah hum sath nikal jayege. " Mehul ne kaha.

" Mehul, Apne swarth ke liye kisi aur ko pareshan karna acchi baat nahi hai. " Mehul ke Papa ne Mehul ki taraf dekhte hue kaha.

Dar asal Mehul ke Papa ko is baat se koi aitraaz nahi tha ke Aarav unke yaha khana khaye. Par Aarav unke ghar me Puri raat rahe is baat ke liye wo ready nahi the. Par wo Sidhe Sidhe ye baat Aarav ke samne batana nahi chahte the kyuki Akhir kar Unke Bete Mehul ki Help ki thi Aarav ne.

" Papa, Mein unko pareshan thode kar raha hu. Balki mein to Unki Help hi kar raha hu. EK hi din ki to baat hai. Aur aapko pata hai Inko vese bhi Hummare gaav aane ko ichha thi kyuki Hummare Gaav ki taarif kaafi suni thi. Par Ye kabhi aa nahi paaye the. Ab aaj Ittefaaq se inka yaha aana ho gya par abhi raat ko to ye gaav ka kuch dekh nahi payege. To kal ke din thoda to thoda, yaha ka nazara to dekh lenge, Kyu Aarav Ji? " Mehul ne kaha.

Mehul ke Papa ye soch ke pareshan the ke Kahi Aarab yaha Raat rukne ko man gya to?

Jabki Mehul ki baat sunkar Aarav bhi soch me pad gaya. Aarav ko Mehul ki baat sahi lag rahi thi. Par Aarav uncomfortable feel kar raha tha ye sochke ke jinhe wo janta bhi nahi unke wha Raat rahena hoga use.

Fir usne thode der sochne ke bad faisla kiya ke Gaav to wo koi dusri baar aa hi sakta hai. Ese Raat ko ajnabi ke yaha rukna use sahi nahi laga. Khud ke liye bhi aur Mehul ki family ke liye bhi.

Aarav ko ese sochte hue dekhkar Mehul ki Mom ne kaha, "Beta, Itna mat socho. Ek hi raat ki to baat hai. Tumne mere bete ki itni help ki to hummara bhi farz banta hai ke hum bhi tumhari help kare. Aur tum esa bilkul mat sochna ke tum yaha ek raat rukoge to hume pareshani hogi. Hummare ghar me 2 Room ese he jo ke khali hi hai. Tum usme ruk sakte ho. "

Ye baat sunke Mehul ke Papa aur pareshan ho gye.

Aarav ne bhi Mehul ki Mom ki baat suni aur fir Usne Mehul ke Papa ki taraf dekha. Aarav ko Unke expressions dekh ke laga ke wo kuch khush nahi hai uske yaha rukne ki baat se. Fir Aarav ne faisla le liya ke wo yaha Nahi Rukega. Abhi jese hi Aarav ne apna ye faisala batane ke liye apna muh khola hi tha ke uske kaano me ek mithi si awaaj padi jo ki use jaani pahechani lagi.

" Papa, Mummy Mein Aa gayi….."

Aur apni baat ko apne muh me hi rakhkar usne jis taraf se aawaj aai thi us taraf, Hall ke entrance door ki taraf dekha.


Aur jese hi Aarav ne us taraf dekha to wo dekhta hi reh gya. Aarav ne apni najaro se Jo dekha uspe use yakeen hi nahi ho raha tha.
 
Last edited:
Top