If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
micheal-- dev.. tumhari ankhon me ansu?
jaidev apni ankhen saaf karta hua-- "kaash" main pahle hi ship par maujud luteron ko jaan se maar deta... "agar" main ye galati na karta to wo bhi zinda lautne walun me shamil hote.. "lekin" afsos mujhse anjane me bohut badi chook gai.
micheal bade ghor se jaidev ko dekh raha tha. jaidev jitna haseen tha. usse kahin badhkar anokha bhi tha. micheal ke sath sath ship ke sabhi passengers jaidev ek ajooba bhi tha. kai prashn micheal samet sabki dimago me the. kitne kam samay me jaidev ne kitna kuch kar dikhaya tha. ship par wo kis samay gaya. kaise jaidev ne ship par maujud sabhi luteron ko maar kar sahi maano me sabki jaan bachai thi. warna jaisi heavy firing ship par ki gai thi. sab ko laga tha. wo nahi bachenge. par jaidev chhalwa bana ship par gaya aur luteron ko maar kar sabko bacha gaya tha. fir uska highly jump kar aur stephen ko lekar itni tez bhagna. jitne tezi ke sath aam insan khali hath bhi nahi bhaag sakta. aise bohut se prashn the sabke dilon me dimago me..
par micheal ke dimag me kuch aur bhi aa raha tha. jaidev uske liye bhi anokha tha. par behadh masum bhi tha. itne logo ki jaan bachane ki khushi ki bajaye jaidev kuch mar chuke passengers ke liye dukhi thi.
micheal ne ek lambi thandi saans chhodi.. fir wo bola- hmm kaaashh.. mere paas bhi bohut se "kaash" han dev. jab hum samandri safar par nikle the to kaash wo bhayankar samandari toofan na aya hota. kaash hum rasta na bhatak gaye hote.. kaash humen ye samandri lutere na mile hote. mil hi gaye to kaash main aise kamaal kar pata ki un sare luteron ko maar kar jahaz ke in sabhi masumu ko bacha leta. kaash humen pahle se hi sahi disha malum pad gai hoti. to is situation se humen na guzarna padta. ab aage sunoge dev mere paas kitne "kaash" han..
micheal ke "kaash" shabd par bhashan sunkar jaidev ka moh khul gaya tha.
wo ankhen phaad phaad kar micheal ko dekh raha tha. micheal ka andaz e bayan jahan bohut alag kisam ka tha. wahin micheal ke chahre ke bhav bhi jaidev ki samjh se pare the.
micheal aage bola- kaash main tumhare jaisa azad rah pata. lutere jab sabhi passengers ko kidnap karke island par le ja rahe the. to main tumhari hi tarah sabki jaan bacha kar ye reward hasil kar pata. sabki nazron me hero ban jata.. "lekin" ye reward tumhare nasib me tha. tum nahi jante ho dev.. tumne kitna bada karnama saranjam dia hai. is ship par finland ka shahi khandan ke bhi 2 members maujud han. khushkismati se ship ke sabhi passengers ke moh se aisa kuch nahi nikla. jisse luteron ko pata chal sake ki unke paas ek aise khazane ki kunji hath lag gai hai. wo chahen to finland ke shahi khandan ko bandhak bana kar bhari muavaze ki demand kar sakte han.. par wo anjan rahe. wo dekho...udhar dekho dev.. tum jab se ship par aye ho. tumne kisi par dhayan nahi dia. marne walun ke liye gham me doob gaye ho. ye tumhari zaat ka ek aur plus point hai.. har nigah ka focus tum ho dev. wo dekho shahi khandan ke dono members tumpar nazren gaadhe bethe han.
jaidev ne dekha to dekhta hi rah gaya. wo hi nahi. wahan jitne bhi the wo sab ke sab jaidev ko hi dekh rahe the. ab jo jaidev ne unhe dekha to ek rahat bakhsh muskan sabhi ke honto par saj gai.
micheal-- ab zara apna hath utha kar hila do. fir result dekhna tum.
jaidev ne vaise hi kya.. hath utha kar hilane laga. sab dekh kar josh me aaye hath utha kar jaidev ko reply dene lage.
micheal-- ye hai wo reward.. wo har insan pana chahta hai.. kaash ye reward mere hisse me aata. to meri life set ho jati........... meri life set hai dev. bohut zayada set.. itni ki God se kabhi koi gila nahi raha.. ek baat manoge tum meri dev.
jaidev prashn bhari nazron se micheal ko dekhne laga.
micheal-- apni zindagi se "kaash" word ko hamesha hamesha ke liye fanaa kar do. mita do kaash ko apne andar se puri tarah. kaash ye hota to vaisa hota. kaash main aisa kar jata to aaj vaisa nahi aisa hota. vaisa hota. aise hi zindahi me "agar" aur "lekin" ka bhi bada role hai.
jaise main kahta hon.... hum sab luteron ke kaidi ban chuke the. firse kabhi apni dunya me laut nahi sakte the.... "agar" tum na aaye hote to hum kabhi un luteron ki kaid se rehai nahi pa sakte the.... tumne aa kar hum sab ko bacha liya..
"lekin" samjh rahe ho tum dev.. yahan par bhi ek "lekin" hai.... "lekin" God ko hamari zindagiyan manzoor thi.. isliye God ne tumhe ek farishte ki surat hamare paas bhej dia.. "kaash" ko apne andar se fanaa kar do dev... "agar" aur "lekin" par apni zinadgi ka focus badha do. socho, samjho parkho.. kahan "agar" ka istemal tumhare liye tumhare apno ke liye sahi hai.. kitna sahi hai... kahan "lekin" ki value kam ya zayada hai.. jaise hamare ship par tabahi machi to alag alag logo ne alag alag ideas pesh kiye.. wo down level perosns the.
"agar" ship ka captain ya dusre seniors dusre juniors ke "lekin" par soch vichar karte to zaroor hum kisi na kisi manzil par pohnch chuke hote. aur ye ghatna na ghati hoti.. tum kabhi aisa mat karna. dunya ka koi insan perfect nahi ha. jaise main khud me bohut kuch hote hue bhi perfect nahi hon. tumne dekha kaid se azad hone ke bad meri leadership me kaidiyon ko safely is ship par tak pohnchne me asani ban gai. par main perfect nahi tha. perfect hota to bina tumhari help ke sabko bacha kar nikal gaya hota. tum mujhse kahin chhote ho. fir bhi maine tumhari baat maan li. jab hum ship par the. to kisi senior ne kisi chhote ko value nahi di. aur sab bhatak luteron ke hathe chadh gaye.. isliye meri baat palle baandh lena aur jahan apnu ke liye dil me dard rakho. wahi apne se chhoto ki baat par bhi khub vichar karna. ho sakta hai. jo baat tumhare dimag me aaye. wo tumse chhoto ke dimag me aa jaye.. aise baaton par dhayan dene wala chhota nahi ban jata. han chhoto ki mohabbat ke sath sath samjhari ka title bhi apne naam kar leta hai..
micheal ke batane ka andaz aisa tha. ek ek baat ki jaidev ko bohut achhe se samjh aa rahi thi..
aisi hi kai aur baaten micheal ne jaidev se kari. jaidev ke andar ka dukh dard seemat ho chuka tha. wo ab normal sthiti me khada micheal ki baaten sun raha tha.
micheal fir bola-- tumne kaha tum pahle se isi island se the. ye baat mere bheje me nahi utri. baat kuch aur ha. zaroor tum mujhe ya kisi ko batana nahi chahte. koi baat nahi.. mat batao. balki main ye to tumse ye kahunga. ki apni zaat se judi khaas baaten.. jinke baare me insan ko pata ho ki wo uski hadh tak hi rahni chahiye.. wo baaten usay kisi ko batane bhi nahi chahiye.
yahan jaidev bol pada
jaidev-- chache uske liye jhoot bhi bolna pad jaaye..
micheal ke honto par muskan aa gai-- jhoot.. jhoot tumhari nazar me kya hai.
jaidev khamosh raha
micheal-- jhoot asal me us baat ko kahte han. jo sach ke against ho. jisse kisi ka nuksan ho. jis sach ko chhupa lia jaaye. baat ko gol karke bataya jaaye. uss bat se agar kisi ka nuksan nahi hota to wo jhoot nahi hai. jhoot wo hai. jo tumhare conscience par bojh badha de. tumhari rooh ko bechain kar de. tumhari raton ko nind haram kar de.. ya tumhe ek criminal mind insan bana de... kisi begane ke liye ya kisi apne ke liye nuksan ki waja bane. usay jhoot kahte han. khud ki identity ya khaas baten chhupa jana jhoot nahi hota dev.. ise akalmandi kahte han.. hoshiyari kahte han..
jaidev ki ankhen chamak rahi thi. micheal ki sari baaten uske dimag me jaise bethti ja rahi thi. ek ek shabd ek ek baat jaise magnet ke sath judi uske andar utar rahi thi..
jaidev-- main is island par pahle se nahi tha. main baad---
micheal-- nahi dev.. mujhe bhi apna sach mat batana. main zaroori nahi samjhta. han mujhe khushi hogi. agar tum apne dil ki baat mujhse kahoge. isse bharosa badhta hai. ek baat jo maine samjhi hai. wo ye hai. tum wo ho jis baare koi soch bhi nahi sakta.. mera matlab hai. tum aam ladke nahi ho. par dunya walun ke samne tum aam ladke hi bankar rahna. nahi to matlab parast dunya tumhari peeche pad jayegi. tumhari skills ko apne matlab ke liye istemal karne ke liye pagal ho jayegi. koshish karna jitna ho sake khud ko sabse chhupana. khud ko chhupane ke liye kitne bhi jhoot bolne pade.. bolte rahne. par apni zaat se judi khaas baaton ki kisi ko hawa bhi mat lagne dena. aksar aisa dekha hai maine.. apne sage jo humse jaan se bhi badhkar pyar karte han. wo hamare liye khatra ban jate han.
jaidev heran hua-- khatra. apne jo itna pyar karte han. wo kaise khatra ban sakte han..
micheal ke chahre par ek bazurgana muskan aa gai. wo samjh chuka tha. jaidev behadh masum ladka hai. aise me wo jaidev ko zaroori knowledge dekar mann ki sachi khushi paa raha tha.
micheal-- for example.. tum mere bete ho. tumhare andar talent ka bhandar ha. tumhare andar ki skills kuch aisi han. jo tumhe dusron se alag banati hai. tum chunki mere bete hoge. aur kon baap aisa hoga. jo apne bete ko dunya ka sabse powerful, sabse talented, sabse juda jan kar khushi se phoola nahi samayega. mai bhi apni khushi ko apne doston se apne milne walun se share karne lagunga. aise me koi aisi person jiska mann mela hoga. wo mere bete ke talent ko apne matlab ke liye istemal me laane ki sochega. mere bete ko apne under lene ke liye naye naye hathkande istemal karega. agar ko wo mere bete ko yani ki tumhe apne under lene me safal ho gaya to uske waare niyare. tumhe apne control me na le sake to. dev tumne billi wali misal suni hai.
jaidev- konse wali?
micheal-- billi doodh piyegi nahi to ludhka deti hai. bure aur matlab parast log bhi aise hi hote han. jab unke hath kuch na lage. jis chiz ko apne under lene me nakam rahte han. usay kisi aur ke liye istemal me nahi rahne dete.. ya to us chiz ko fanaa kar dete han. ya fir bhari muavaza lekar uske baare me info kisi aur ko bech dete han.
jaidev ki ankhen bhi khul gai aur moh bhi.
micheal ne jaidev ke kandhe ko sahlaya-- aisi hi hai ye dunya mere bhai.. mere mann me tumhare liye kuch aa raha hai. kaho to arz karoon.
jaidev-- ji zaroor.. aap mere bhale ke liye hi ye sab mujhe bata rahe han. sach me main aisi saari baton se anjan tha. itni samjh nahi thi mujhe.
micheal-- isi liye main bhi tumhe itni sari baaten bata raha hon.. main nahi chahta.. dunya tumhare jaise masum aur mann ke ujle ladke ko apne matlab ke liye istemal kare. maine dekha hai tumhari ankhon me..bohut pyar aur bohut dard dikha mujhe tumhari in ankhon me mere liye sab ke liye. dev mere dil me ek arzo jagi hai. tum hamesha hi aise dusron ki bhalai ka kam karte raho. dusron ke liye jeena wala hi ek sacha insan hota ha. mai apne bare me bata doon. main finalnd ka rahne wala hon. aur wahan ek karate center chalata hon. gareebo ko ladne aur jeene ka dhang sikhata hon. main bade paimane par aisa koi kaam nahi kar sakta.. isliye limit me rahte hue jitna ho sake dusron ke kaam aane ki koshish karta hon. har tarah ka hathiyar maine chalana seekha hua hai. uske bawajud bhi main khud ko kuch bhi nahi samjhta. ek trainning center hai france me.. dunya ka sabse bada aur famous trainning center hai wo.. maine koshish kari thi wahan trainning ke liye. mai khud ko is kaabil sabat nahi kar saka ki mera wahan admission ho jata.. wahan ke test bohut hi hard hote han. itne hard ki kam hi ladke ladkiyan wahan tik paate han. wahan admission milna asan nahi hai. wahan ki trainning ke early rounds me hi kai fails hokar center se bahar phenk diye jaate han. kuch ki to jaan bhi chali jaati ha. lekin is sab ke hote hue bhi wo trainning center chal raha ha. aur dunya bhar me khub naam kama raha hao... dev! us trainning center ka kamal jaante ho kya hai..
jaidev ne naahh me sar hila dia
micheal bade josh ke sath bola-- wahan se trainned hoke nikle huon ke baare me ye kaha jata hai. ek trainned person senkdon par nahi hazaron par bhari hota ha. uske ladne ka andaz, uske sochne aur act karne ki capability itni badh chuki hoti hai. aam insan hazaron ki sankhya me milkar bhi uska mukabla nahi kar sakte.. inta best brain aur furtila bankar nikalta hai wo us center se..
micheal ke chahre par jahan betahasha josh tha. wahin ek benaam si hasrat bhi thi. micheal aage bola -- dev tum behadh masum ho. chalak dunya se anjan ho.. dunya tumhe khilona bana kar nachati firegi. dunya walun ke hath me dugdugi hogi.. aur tum kisi bandar ki tarah uske isharaon par nachte firoge, kartab dikhate firoge.. ya to tum kabhi dunya me laut kar hi na jaao. jana hi hai to fir trainning center se trainning le lo.
jaidev- aapko lagta hai. mera wahan admission ho jayega..... jaidev masumiyat se bola
micheal ke honto par muskan aai gai-- wo hathu hath lenge tujhe. tumhare andar ki salahiyatein sab ko chaunka dengi.. mujhe 200% yakin hai. tumhara wahan admission ho jayega.
jaidev- tab wahan mere liye pareshani nahi banegi.. wahan bhi to sab meri skills dekh mere liye swarthi ho sakte han.
micheal-- yahi to us trainning center ka kamal hai dev. wahan ke admit hue sabhi stundents mask me chhupe rah kar trainning hasil karte han. aur dunya bhar ke desho se agents wahan trainning ke liye aate han. koi bhi student kisi dusre ka chahra nahi dekh sakta. tum is bat ki chinta mat karo. aur fir wahan tumhe aisi aisi trainning di jayegi. tum apna chahra hi nahi apni body ki ek ek chiz ko badalne ka kamal hasil kar loge. ungliyon ke fingerprints tak chhupane ke liye wahan trainning di jaati hai. tum soch bhi nahi sakte. agar tum wahan jaoge to wo bankar lautoge. tum bahar ki dunya me hazar saal rahkar bhi nahi ban sakte.
jaidev ki ankhon ke saamne apne parivar ki shaklen lahrane lagi.
jaidev udasi se bola-- fir to mujhe wahan bohut samay lag jayega.
micheal ko jaidev ke lahje me dard ka ahsas mahsus hua
micheal- wahan alag alag trainnings ke liye alag alag departments han. tum farm fill karte samay zarorat ke hisab se options par mark kar sakte ho. jaisi trainning ka tumhara mann ho. vaise hi options maujud honge. jahan tak maine tumhe jancha hai. tumhare andar itni salahiyat hai. ki tum saal bhar me har tarah ki trainning puri kar sakte ho. fir bhi tumhe lage ki time zayada lag jayega to tum psychology par zaroor choose karna. us department me aur kai chhote chhote department han. wahan dunya bhar ke marodn aurton ki nature par trainning di jaati ha. ladai se bhi zayada zarori hota hai. apne mukhalif ko samjhna. kisi ki ankhon me dekh kar bhi usay jana ja sakta hai.. insani chahron ko bhi padha ja sakta hai. ye trainning tumhare liye sabse zayada zaroori hai dev. kabhi koi tumhare sath dhoka nahi kar sakega. koi cheat nahi kar payega tumhe. aur cheater ko apne maksad me kamyab na hone dene wala hi asli insan hota hai.. warna insan dunya me sirf aur sirf thokren khane ke liye rah jata hai.
wahan dev aur micheal 3 ghante tak khade rahe.. dev to nahi par micheal zaroor thak gaya tha. par dev ke bhale ke liye usne apni thakan gawara kar li thi. dev jaise masum farishte ko wo dunya ke bheed me gum hote nahi dekhna chahta tha.. micheal ke trainning center se related jitna bhi knowledge tha. micheal ne wo sara knowledge jaidev ko de dia.
jaidev apne parivar se milne ke liye bohut bechain tha. par achhe bhavashy ke liye dunya ko samjhne ke liye usne kuch samay aur apne parivar se door rahne ka mann bana liya..
island se nikalte samay micheal ke kahne uske sathiyon ne kuch luteron ko apne sath le liya tha.. luteron ke ship se compas aur kuch dusra zaroori saman jo ek ship ke liye zaroori hota hai, wo sath le liya gaya tha.. jald hi wo us area me pohnch gaye. jahan se disha pakad kar wo asan raston par safar karte hue kisi na kisi manzil par pohnch sakte the.
jaidev se kai ladkiyon aur ladkon ne dosti karni chahi thi. par micheal ne jaidev ke paas bhi kisi ko phatakne bhi nahi dia tha. jaidev khud kai ladkiyon aur ladko se baat karne ke liye bechain tha. par micheal janta tha. masum dev ko koi bhi apni baton me phansa kar uske bare me bohut kuch jan sakta hai.. aur micheal aisa nahi chahta tha.
.............................
14 mahine baad...
jaidev CHHATRAPATI SHIVAJI MAHARAJ INTERNATIONAL AIRPORT MUMBAI se bahar nikal raha tha. aaj ka jaidev 14 mahine pahle wale jaidev se totally different tha. aaj ka jaidev apne aap me sab kuch tha. aisa bankar india lauta tha. shayad pure india me uske jaisa koi bhi nahi tha. 14 pahle wala jaidev apni dunya ke baare me totally anjan tha. aaj ke jaidev ke paas dunya ka dher sara knowledge tha. aaj ka jaidev dunya ko jeetne ki kshamta rakhta tha.
jaidev airport bulding se bahar nikla to har nigah me uski shandar personlity ke liye pasandeedgi thi. log rashk bhari nazron se jaidev ko dekh rahe the. jaidev ne ek bharpur nazar charon orr daudai.. fir shan e beniyazi se chalta hau ek taxi ki orr badh gaya.. taxi wala jaidev ko dekh kar attension ho gaya.
jaidev taxi dirver ke kuch bolne se pahle hi "taj hotel" bolta hua taxi ka pichhla door khol kar seat par ja betha.. kuch fasle par abhi bhi kuch nigahen jaidev ka jayza le rahi thi. jaidev ne nazar utha kar udhar dekha. to usay ek bohut hi haseen ladki ka mukhra dikhaai dia.. jo apni 4 ladkiyon ke sath khadi jaidev ko hi dekhe ja rahi thi.. ladkiyan jaidev ko apni orr dekhte pa kar smile karne lagi. jaidev ne coat pocket se gold ka bana cigarette case nikala.. case khol kar ek cigarette nikala aur bade hi dilkash andaz me usay honto me daba liya. fir gold se bane lighter ko ek jhatka dete hue shola banaya aur ladkiyon ko dekhta hua cigarette sulgane laga.
ladkiyan koi raah chalti ladkiyan nahi thi. par jaidev na keval dunya ka haseen tareen mard tha. uske style bhi bade katilane the. ladkiyan jaidev par fida hui jaidev ko smile aur shauk se dekhne lagi.
taxi abhi chali nahi thi.. taxi driver samjhdar tha. wo jaidev ko mirror me dekh kar jaidev ke mann ki baat samjh gaya tha.
jaidev ne sar ke ishare se ladkiyon ko paas ane ka kaha to wo ladkiyan jaise patang ke sath bandhi door ke mafik jaidev ke paas aane lagi.. paas aai to jaidev badi katilana smile ke sath bola..
jaidev-- baerson bad apne desh ki sabse haseen ladkiyon ko dekh raha hon. dekh kar mann fresh ho gaya.. tum sab ek dusre se badhkar haseen ho. jawan ho, pukashish ho. main taj hotel me thahrne wala hon. agar pasand karo to meri company enjoy join kar sakti ho.
jaidev ke ek ek shabd ras tapkata hua tha. ladkiyan bhi ameer ghirane se thee. jaidev sabse haseen ladki ki ankhon me dekhta hua baat kar raha tha.. jaidev ki aisi baat sunkar sabhi ladkiyon ke moh khul gaye. wo ladki bhi jaise jaidev ki ankhon ki bhasha samjh gai thi. uski ankhon ki chamak badhi. fir wo apni firends se boli
"tum sab jao. main tum sab se kale milti hon" bol kar tez kadmo se chalti hui taxi ke dusri orr gai aur door khol kar jaidev ke sath beth gai.
ladkiyan jo jaidev ki personality ke sahar me thi. apni ek dost ko bazi maarte dekh bokhla gai.. ek boli-- ananya tum pagal to nahi ho gayi.. tumhari mummy ko main kya jawab dungi.
ananya-- mummy ko call karke main khud bata dungi. okay.. bye! ab tum sab jaao. chalo driver!!.
driver jaidev ko dekh raha tha. jaidev ke honto par muskan ubhr aai. taxi driver smart banda tha. turant wahan se nikal pada.. jaidev ne ananya ka hath thaam liya.. ananya nisar hoti nigahun se jaidev ko dekhne lagi. fir boli-- kahin tum mujhe koi cheap ladki to nahi samjh rahe ho na.. main abhi se bata doon. main koi giri padi ladki nahi hon. aur na hi--
jaidev ne ananya ke honto par ungli rakh di
jaidev-- haseen ladkiyon ki haseen ankhen hi sab kuch bata dia karti han sweety.. tum giri padi hoti to main tumhe moh bhi nahi lagata. mera bhi standard hai sweety.. tum mere bagal me bethi ho. iska ek hi matlab banta hai. tum kaiyon se alag ho.. dev husan parast hai.. usay haseen ladkiyon ke jhurmat me rahna behadh pasand hai. lekin shart ye hai ki wo sari ladkiyon tum jaisi honi chahiye..
apni tareef par ananya khil uthi thi.. khud wo mumbai ke aneko ladko ke dil ki dhadkan thi. par yahan dev uske dil ki dhadkano me utar aaya tha. dev jaisa haseen mard bhi usne aaj tak nahi dekha tha.
ananya-- matlab! mai tumhari zindagi me aane wali pahli ladki nahi hon.
ananya jaidev ki ankhon me dekhti hui boli. jaidev ananya ko hath ko honto se lagane ke bad bola-- main bhi to tumhari zindagi me aane wala pahla mard nahi hon. kyu maine sahi kaha na.
ladkiyan aisi baat kar guse me aa jaya karti han. par jaidev ka andaz hi itna payara aur shahana tha. ananya uski neeli ankhon ke sahar me aisi jakdi gai thi. mind karna hi bhul gai.
ananya hasrat se boli-- kaash tum mujhe pahle mile hote.
jaidev dilkash andaz me has pada- hahaha! tab kya tum mujhse shadi kar leti.
ananya bhi has padi-- hehehe! no way.. shadi.. wo bhi abhi se. abhi maine dekha hi kya hai is dunya me. abhi to jawani aai hai. abhi to main life ko khub enjoy karna chahti hon. zindagi aur jawani ke sare rangon ko jaanna aur enjoy karna chahti hon.
jaidev-- to mera khayal sahi tha.
ananya- kaisa khayal.
jaidev ananya ke gardan ke piche se hath dusre kandhe par rakh kar ananya ko apne sath satate hue bola-- tumhari kurbat meri aaj ki shaam ko mahka degi.
ananya dhadakte dil ke sath jaidev ki ankhon me dekhti hui boli-- haan aaj ki ye shaam tumhare dum se mere liye bhi yadgar sham ban jayegi. dev ek sach baat kahun..
jaidev-- kaho.
ananya-- ek ladki hoke mujhe aisi baat nahi karni chahiye. par main kar rahi hon. aaj tak jitne bhi lakdo ke sath maine shamen bitayi han. wo sare ladke mere sang shaamo ko enjoy karte khud par garv mahsus kiya karte the. aaj ki sham tumhara sath pa kar main khud par garv mahsus kar rahi hon. dev kya tum aisi hi kai aur shamen mujhe avail ho sakti han.
jaidev ke honto par firse ek dilkash muskan khel gai..
jaidev- ye aap par depend karta hai sweety. tumhare jalve decide karenge aane wali shamo ko.
ananya- tum har lihaz se ek ideal personality ke maalik ho dev. mujhe tumhara jawab pasand aaya. mard ko tum jaisa hi hona chahiye.
jaidev- to fir?
ananya-- itna to mujhe khud par bharosa hai. main aane wali kai shamen apne naam likhwa sakti hon.
jaidev ananya ke chahre par phoonk maarta hua bola-- good!! mujhe bhi daal daal mandalne ki adat nahi hai sweety hai. haseen chahron ke sath sath haseen dil bhi mujhe behadh pasand hai. dusra jo log apni himmat aur abilities ke bal kar khud ko manwate han. main uski bohut kadar karta hon. mujhe lag raha hai. hamara relation aage bhi acha chalta rahega.
ananya khil uthi-- haan dev.. mujhe bhi lag raha hai. tumhari surat me mujhe---
jaidev ne firse uske honto par ungli rakh di-- abhi se sab mat kaho sweety. tum mere bare me janti hi kya ho.. kuch bhi to nahi janti ho tum mere bare me. lo hotel bhi aa gaya..
kuch der me gaadi hotel ke parking me thi.. jaidev ne purse nikala aur bina gine bohut sare note nikal kar drive ko thama diye.. drive ke sath sath ananya ki bhi ankhen chaudi ho gai. wo ab sahi maano me jaidev ko dhayan se dekh rahi thi. jaidev dikhne me hi nahi, attitude me bhi real ka prince tha.
jaidev ananya ko muskurahat se dekhta uski kamar ke gird bazo daale hotel ke andar jane laga. ananya bhi sahar me jakdi jaidev ki kamar par hath rakh gai.
aaj tak ye hota aaya tha. jab bhi ananya is hotel me aati thi to ananya ke sath aane wale ladke hotel me parvesh karte samay garv mahsus kiya karte the. aaj pahli baar ulat ho raha tha. aaj ananya khud par garv mahsus kar rahi thi. uski nazar me jaidev is dharti ka sabse haseen aur charminng mard tha.
jaise hi dono andar enter hue.. andar maujud sari ankhen ka focus jaidev aur ananya par ho gaya. kaiyon ke to moh hi khul gaye the. ananya bhi kam haseen nahi thi. par jaidev.. jaidev to jaise abhi abhi aakash se utra hua dikhai de raha tha. itna glow to kisi ladki ke face par bhi nahi tha. jitna glow jaidev ke chahre par tha. uski neeli gahri ankhen upar se shahana aur bahrpur mardangi liye hue chaal sabke dil ki dhakdno ko jaise freeze kar gai..
ananya ko apne jaidev ke sath aane ke faisle par garv hone laga. jis shandar mard ke aane par pure haal par sannata chhaa gai thi. us shandar mard ki bagal me thi wo.
dono ne kuch lamhe wahi khade rah kar pure haal par nazar daudai aur fir dono reception counter ki taraf badh gaye... wahan ka haal bhi same hi tha..
(asha hai kahani ka ye turning point aap sab ko pasand aaya hoga!
yadi pasand aaya hai to kindly achhe reviews aur likes dekar mere hosle ko aakash ki bulandiyon par pohncha den! pahle bhi aap sabhi pa prem mujhe adhik mil raha hai. pyar to jitna mile.. chah kam nahi hoti!.. bhuk nahi mitti.. aur bhi badhne lagti hai.. kindly meri bhuk bare sochiye)

Shandar aur jaandar update tha bhai... Michael ne Dev ko badehi anokhe andaz mai samjaya aur dev ki kamiyo ko jankar uske bhale ke liye uska margdarshan bhi kiya jiska natija bada hi anokha tha sach mai 14 mahine pehle wale dev ko aur is dev ko dekh kar koi nahi keh sakta ye dono ek hi shaks hai... In 14 mahine mai dev ke sath kya hua uska training kaisa tha aur sath mai itne paise bhi dev ke pass kaha se aye sab janne ki icha bhi hai magar acha kiya uske skip kar ke kyu ki abhi family ke pass jana aur unhe bachana important hai magar age jalkar is training ke baremai janne mai maza ayega