- 127
- 405
- 79
JASOOS.......
(Mera naam Rakesh he.meri umr ab 50 saal he. Me peshe se ek jasoos hu.
Mene apne is peshe ki shurvaat 22 saal ki umar se ki is meri 28 saal ki meri journey me mene aise aise case dekhe Jo dimag hi nahi Dil bhi hila dete he.
Jab mene ye case ki baate raka se ki to usne kaha kya me ye sab apni story ke jariye logo tak pahucha sakta hu.kuch sochne ke baad mene use Haan kardi.)
Namskaar dosto me aap ka dost Raka ek nai our romanchk kahani aap ke samne leke AA Gaya hu aap ne padha hi hoga ki me Jo ye story likhne ja raha hu vo kuch had tak vastvikta se le Raha hu our usme mere kuch masale milake ek achi story aap ke liye lane ki koshish kar raha hu.
jitna pyar aap ne meri KOMAL ko diya aasha karta hu utna hi pyar aap sab RAKESH JI ko denge.
(Kahani vastvikta PE aadharit jarur he par mene pura khayal rakha he ke kisi ki bhavnaye na dukhe our kisi ko meri kahani se bura na Lage )
(CASE :- 1) Jo dekha vo samaj se pare....
Rakesh apne guru Subhash Babu Bose ke saath pichle 3salo se the. Bose Babu Jane Mane jasoos our ek ache guru he.
Kuch din se Bose Babu pareshan se Nazar aa rahe the.Rakesh ko ye baat Nazar aa gai our Rakesh apne guru se puch bethe.
Rakesh:- kya baat he sir aap kuch din se pareshan lag rahe ho.
Bose Babu :- ab kya batau Rakesh beta muje ab ye shehar chod kar apni beti Shilpa ke pass Jana hoga par muje is kaam se dur nahi Jana Mera man hi nahi Maan Raha.
Rakesh:- are itni si baat sir aap didi ko keh dijiye ki vo yaha aakar rahle.
Bose Babu :- tumhe kya lagta he Rakesh ki mene ye socha nahi hoga par uske pati ka pura business vahi par he to vo dono yaha aana sabhav nahi he.par ek rasta he mere pass.
Rakesh:- konsa rasta sir ji?
Bose Babu :- tum Rakesh tum.....
Rakesh :- mtlb me samjha nahi sir.
Bose Babu :- me vaha jaunga to mere ye jasoosi ka kaam meri beti ya damad muje karne nahi denge iska mtlb me retire hi samjhlo to Mera ye kaam tum aage badhao our mene tumhe Jo sikhaya he our Jo tum meri har case me help karte ho usase to muje yakin he ke tume vo baat he jo jab me Jawan tha to mujme thi.....
Rakesh :- par sir muje abhi bahut kuch sikhna he our aap bhi nahi rahoge mere saath to me kya hi case ka hal nikal paunga.
Bose Babu :- Rakesh Rakesh galat baat mene tumhe kya sikhaya he khud par bharosa rakho our rahi baat meri to me phone par tumhe nirdesh deta rahunga our ek khaas baat, utho aao mere saath.
Bose Babu Rakesh ko lekar apne kamre me aate he our apni almari khol kar dikhate he jisme kafi sari notbook padi thi
Bose Babu :- ye dekho Rakesh ye meri sari case ki details he jo mene apne Puri jindagi me suljhai he tum apne Khali samay me ise padha Karo tumhe our bhi nai nai jankari milegi
Rakesh to ye sab dekh ke kush ho jata he kyu ki use bhi ek kamyab jasoos banana tha bilkul Bose Babu ki tarah
Rakesh:- sir ye to mere liye mtlb aap ne is bhuke ko panchpakwaan hi de diye..
Bose Babu :- hahahaha Rakesh muje tum pasand ho pata he kyu?
Rakesh :- kyu sir?
Bose Babu :- kyu ki tumhe sikhne ki chah he our yahi baat tumhe khas banati he.ab ye tay raha ki me kal hi apni beti ke Ghar jaunga our yaha ka kaam tum sambhalna ye Ghar our apna office dono ko thik se sambhalna.ab jakar office me betho our me kuch der aaram karta hu
Rakesh Haan bolkar office me apni jagah par Beth jata he tabhi andar se awaaj aati he.
Bose Babu :- Tumhe ab ye office sambhalna he to meri khursi ab se tumhari he vaha betho our samne Jo file padi he usko dekho agar koi kaam ka case he to ye case apne haath me lo our inspector jay ko call kar ke bata do ki tum is case par kaam kar rahe ho vo tumhe baki jankari dega our us ladke se Mila bhi dega ab me sone ja raha hu to muje uthana nahi our Haan best of luck for your 1st case.
Rakesh apni jagah se uth kar office ki Mane table par jata he our Bose Babu ki khursi ko prnam kar ta he our vo file utha kar case padhne lagta he.
Rakesh:- are baap re ye to ek bade aasami ka case he our ladke ka kya naam he Sanju hhhmmmmm apne pita ke sadharan si mout ko khoon kah raha he. Dekhte he is baat me kitna dam he
(Kya Rakesh ne ye case le liya he?
Our Haan to ab kya kya sunane milega.....sab pata chalega agle part me to Bane rahiye )