• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller Journey: Kabristaan se khajane tak

Thakur

Alag intro chahiye kya ?
Prime
3,240
6,773
159
Thak Thak Thak!

Rat ke 3:38 baje ka waqt ,Assman mein ghane kaale chaye baadlo ke peeche chand ka koi namo nishan tak nahi tha.uper se reh reh kar bijli ki kadkadahat jo is kaali andheri raat mein kabristan ke beecho beech apni jhalak dhika jaati thi. Us samay to bade bade soormayo ki bhi buri halat jo jaaye to wo to phir bhi ek 23 saal ka ladka tha.
Dar aur thand ke wajah se uski halat patli ho rahi thi phir bhi wo ek taboot ko tode ja raha tha.uska hathoda bhi ab jawab dene ko tha itne mein to yeh patthar ko bhi tod de, yeh to phir bhi lakdi ka ek taboot tha.
"saala kis cheej ka bana hai yeh tootne ka naam hi nahi le raha, aur uper se yeh mausam,aur subah bhi hone wali hai,agar jald hi yeh na khula to lene ke dene pad jaayenge"
Nirash ho kar usne aas paas dekha to ek bada sa pathar use dika.
"Theek hai, ab dekh saale tu kaise nahi tootega" keh kar usne bade se pathar ko uthane laga
"baap re! Saala yeh to uska bhi baap hai kamar ki maa chud jaayegi, Lekin saala aaj yeh kaam kiye bina nahi jaaunga.bahut seh liya bahut jhel liya aaj karo ya maro, jai bajrang bali"
poori taakat se utha ke use kubdo ki tarah chalte hue tabbot pe prre jor se de maara.

kadaaakk ! Aur taboot mein ek bada sa ched ho gaya.
"Bhenchod toota toh wo bhi nakre mein, khair apna kaam chal jaayega,bas is pathar ko nikal du" aur yeh keh kar usne pathar nikal ke side mein ludka diya.
Kutte ki tarah haafte hue usne phone ki light jala ke dekha to uska gala hi sukh gaya. Andar bichu, makdi or cheetio ne apna dera jamaya hua tha aur usi ke neeche padi thi ek laash jo abhi pura sadi bhi nahi thi. Laash ki haalat dekh kar wo wahi pe ulti karne laga.
"baap re itni gandi badbu, lekin ek kaam to aasan ho gya yeh pathar ki wajah se iska pet to foot hi gya hai bas ab andar haath dal ke use naikalna baaki hai, usse pehle in keede makodo ka kuch karna padega"
Usne jeb se lighter aur rummal nikala aur ek ladki utha ke mashal jala di aur tabbot mein phek di aur khud peeche hat gaya. Dekhte hi dekhte saare makdi,bichu baagh gaye.
Wo taboot ke paas aaya.ek haath mein wahi rakha glove pehn kar aur doosre se naak pakd kar aanke band kar ke uske pet mein gusa diya.1-2 mint bad aise hi haath maarne ke baad use ek metal ke tukde jesa kuch mehsus hua aur uski aankho mein chamak aa gayi.
"mil gayi, mil gayi saala yeh to sach mai hai, main to yu hi saalo ko talli samajh baitha tha, saala sach bol raha tha"
Aur andar se ekdum haath bahar nikala aur light mein dekhne laga, chaabi jo bilkul chaandi ya aisi hi kisi chamakdar dhatu se bani lag rahi thi,andhere mein bhi chamak rahi thi.
"meri jaan! kab se teri talaash thi tu hi mujhe mere dukho se mukti dilayegi aur mujhe maalamal kar degi" ye bo ke usne chaabi ko choomne hi wala hota hai ke phir badbu se phir ulti karne lagta hai.
"laalach mein saala aadmi ka dimaag hi kharab ho jata hai" haste hue jeb mein daal leta hai tabhi baarish ki boonde girne lagi.
"bhen ka lund! yeh bhi abhi hona tha,khair koi baat nahi. Chaabi aur nakhsha dono mil gaye ab koi tension nahi" keh kar usne deewar ke par chalaang lagayi aur apni tooti si cycle se rafu chakkar ho gya.
Ghar pahunch kar kapde bala ke wo khushi se lete lete us chaabi ko dekne lagta hai.
"bus thode din ki baat hai, ghar pe jo karja hai utaar ke us ghatiya naukari ko laat maar dunga aur saath hi us budhe talke boss ki maa ki chut.
tharki saala ladkiyo ko to itne pyaar se bulata hai meri shakal dekhte hi gaand maarne tak jaata hai. Uper se uski beti saali Randi yu hi rob jhaadti hai aur meri baat baat pe ladkiyo ke saamne bejjati kar deti hai.kisi din saali randi ki gaand mar dunga.saath hi mere office ke dost log, dost? Saala dushman ko bhi naseeb na ho ese dost.Nahi,nahi is acche mauke pe un manhuso ka naam bhi nahi lena chahiye.ab aaram se sote hai subah to apni jindagi badalne wahi hai"
Lekin use kya pta tha ke jindagi to badlegi par waise nahi jaisa usne socha tha.use nahi pata tha ke kis cheej se ulajh raha hai ya to yeh use abaad kar degi ke duniya jeet le ya itna barbaad kar degi ke maut to kya maut ke baad uski aatma bhi anant tak hajaro narko mein kurlati phiregi,anant ta

Lekin use kya pta tha ke jindagi to badlegi par waise nahi jaisa usne socha tha.use nahi pata tha ke kis cheej se ulajh raha hai ya to yeh use abaad kar degi ke duniya jeet le ya itna barbaad kar degi ke maut to kya maut ke baad uski aatma bhi anant tak hajaro narko mein kurlati phiregi,anant tak..y
Ye last part jo he wo story ko ek alag mod dega. Khair shuruaat badhiya he bhai continue karo.
 

Thakur

Alag intro chahiye kya ?
Prime
3,240
6,773
159
"jaggu oye jaggu, uth bhosdike aur mera bhada nikaal bhenchod ghode bech ke sa raha hai,3 mahine ho gaye bhada tera baap dega" bahar se ek gende jaisa aadmi darwaza peet te hue bola.
Aankhe malte hue apni hi masti mein uth raha yeh hai apna hero, ab hero kahu ya villain ya dono khair abhi ke liye to hero hai.
Jagan kumar, 23 saal ka average looking ya yu kahu below average looking,average sa sharir aur thoda bewkoof,aalsi aur thoda tharki.College ki padhayi karne gaon se shehar aaya padhaayi kya karne shehar ki ladkiya taadne
. Aawara ladko ki sangti mein pad gaya aur cigrate phookna daru peena aur ladki taadna bas.naukari ki talaash mein.ghar walo se jid karke apna itna accha kapdo ka karobar hote hue bhi shehar mein khud ka naam banana chahta tha.ghar walo se loan uthwa kar business shuru kiya aur business ki maa chud gayi kyunki saala business ka b bhi nahi seekha college mein, class gya hota to seekhta.

Sapne bade bade lekin bade sapno ke liye struggle bhi bada karna padta hai aur yeh to raha maha aalsi. Le de kar ek sadi si naukari mili jis mein khud ka gujara hi muskil se hota.
3 din pehle baita apne aap ko kos raha tha.
"bhenchod kitna bada chutiya hu main, jindagi ko hamesha halke mein liya aur aaj gotiyan mooh mein aane ko hai, khud to jaisa hu waisa hu par apne pariwar ko bhi dukh de raha hoon. Kitni ijjat thi unki gaon mein lekin ab maine unhe bhi karajdaar bana diya hai.un becharo ne to isi aas mein bheja tha ke shehar mein accha business karega aur gaon mein naam roshan karega.Khud to kya aana tha kabhi ek phone tak nahi kiya apna number hi badal liya.sahi kaha hai kisi ne ke, jab life gaand pe laat marti hai tabhi ghutno mein baithi akal bheje mein ghusti hai.lekin ab is akal ka kya fayada,saare raste to band hai,

Saala esi jindagi to bhagwaan dushman ko bhi naa de"
Yahi budbudata hua raat ke andhere mein cycle ko ghasset kar apni hi soch mein chala ja raha tha, raaste mein kabristan ke diwaar ke paas se nikla to use kuch khodne aur bolne ki awwaze sunai di. Pehli to uski phati lekin phir dhyan se wo deewar ko kaan lagake sunne laga.
"abey kaliye ye jo kuch hum karne ja rahe hai kya is mein kuch milega bhi ya sirf yu hi gaand ghisayi ho rahi hai"ek aadmi kabar khodte hue bol raha tha.
"milega? Chutiye jindagi ban jaayegi, jindagi.jaanta hai us buddhe ne kya kaha tha, aur ye naksha kya ye jhooth hai"doosra aadmi bola.

"lag to kisi tarah ka naksha hi hai kisi khajane ka ho sakta hai iski kya gurantee"ek teesri awaaz bhi uske kaano mein padi. Khajana jagan bade dhyan se sunne laga.
"khajane ka nahi hota to wo buddha ise hamesha apne seene se kyun badh ke rakhta,maine dekha ke kal raat jab us ke bangle mein bijli theek kar raha tha to waha par 3 lambe lambe mushtande kaale kapde pehne haath mein khanjar liye uske kamre mein ghus gaye aur usko baand diya aur peetne lage,mein parde ke peeche chp ke dekh raha tha saala meri to fat ke haath mein aa gayi thi.unhone buddhe ke kapde ki talaashi li aur wo teeno uske kamre ki talaashi lene lage.ek bola buddhe wo chaabi aur naksha kaha par hai bata de to kam se kam teri maut ko thoda aasan kar dunga. Budha khasne laga aur bola thoda paani pila do wo khush hote hue paani laaya aur bola le ab bata de jaldi se, promise karta hu ke jyaada dard nahi hone doonga,buddhe ne kaha mujhe kholo le chalta hun"

"budhe ne de di chabi?"teesra aadmi kodna rok kar bola.
"Lauda diya apna, usne ek book se
Chaabi nikali aur saala unko dikhate hue chaabi nigal gya"
"Matlab chaabi uske peth mein hai"ab doosre bhi ruk gya.
"haan, tabhi bahar police ke siren sunai dene lage, budha bahut chalak tha, usne pehle se hi SOS emergency button laga rakha tha jab wo lock todh kar andar ghuse to wo automatically on ho gya aur police ko khabar pahuch gyi.woh teeno waha se bhagne lage par jaaye jaate buddhe ka gala kaat ke chale gaye"

"to phir kya hua ,aur ye naksha tujhe kaise mila"
"police unke peeche bhaag gayi thi, rahi baat nakshe ki to ye to mujhe pehle se pata tha ke kaha hai, maine us buddhe ko ye apne kapdo se nikal ke ek book mein rakhte dekh liya tha.maine bhi sun rakha tha ke iske paas kisi tarah ke khajane ka naksha hai, maine naksha apne underwear mein daala aur bahar aa gaya.police walo ne mujhse pooch taach karke mujhse shehar emin hi rehne ko kaha aur chod diya"

"agar naksha mil hi gya hai to chaabi ki kya jarrorat, khajana to hum drill machine se bhi tod denge"
"abe chutiye ye chaabi koi aam chaabi nahi hai, ye naksha mein aadhi jaankari hai lekin us jagah ka sahi thikana baaki ka clue us chaabi pe likha hai.aur wo koi box ki nahi hai ek darwaje ki chaabi hai."

"Matlab darwaze ke peeche khajana hi khajana. Fir to bade bade bag mein bharna padega crorepati ho jaayenge hum to"
Crorepati jagan ki aankho mein chamak aa jati hai.
"ab jaldi jaldi haath chalao aaj 3 din ho gye hai wo log bhi isi chaabi ke peeche honge, unhe bhi pata chal gya hoga is buddhe ki kabar ka.hume 3 baje se pehle pehle hi ye kaam karna hai aaj hi"

dosto yeh meri pehli kahani hai jo maine jindagi mein pehli baar likhi hai plz apna pyaar aur sehyog dijiye aur agar kisi chij ko improve karna ho ya fir horror, adultery aur erotic elements daalne ho to bejijhak keh dijiye ga,thank you for reading this.
Jagge ka character kharab dikhaya he par yahi main character bhi he . Budhhe ke nakshe ko wo bakio se kaise hasil karta he uska intjaar he.
 
Top