- 3,187
- 6,255
- 144
INDEX
CHAPTERS
Characters Introduction
Latest Update: Update 84
Upcoming Update: Birthday Celebration
CHAPTERS
Characters Introduction
Latest Update: Update 84
Upcoming Update: Birthday Celebration
Last edited:
Thanks!!!Nice update....
Thanks parkas bhai.Bahut hi badhiya update diya hai dhalchandarun bhai....
Nice and beautiful update....
Bahut jayada countless kyonki Arjun ki age hi infinite hai.Arjun ke life mein bahut saare females aane wale hai...aage baadmein padhte hoon
Thanks man!!Nice update....
Nice update....Update 83: Atonement and Forgiveness.
Recap: In the previous update humne padha tha ki kaise Krithi ne Amika ko help karne ke liye apne plan mein Amika ko phansaya tha aur dusri aur Sukanya, Arjun ke sath aage badhne ke liye ready thi phir bhi uske mann mein kuchh doubts the ki Arjun uski pyas ko shant kar payega ya nahi jise Sriya ne clear kar diya tha.
Now Next >>>
Saturday early morning ko Arjun ki aankh khul gayi, Arjun uth kar fresh hua aur garden mein apni practice karne laga kuchh hi der baad Rashmika aur Kajal dono ne Arjun ko join kar liya aur teeno ne ek dusre ki practice mein help ki.
[After The Breakfast]
Nadhiya nani aur Shreya bhabhi ne breakfast ready kar diya, breakfast ke baad Dhruv apne school chala gaya aur Arjun aur Kajal dono college chale gaye.
***
Sriya ko college gaye huye 20 days gujar chuke the, Sriya ka apne pati Rajendra se lagbhag badla pura ho hi gaya tha, isliye aaj Sriya bhi college aa gayi padhane ke liye sach to ye tha ki Sriya bhi college ko bahut miss kar rahi thi.
***
[At The College Canteen]
Arjun ka pura group ek sath baitha tha jisme Arjun bhi shamil tha.
Jaise hi Sriya mam ne college ke campus mein enter kiya, sabhi students Sriya mam ko wapas college mein aate dekh bahut hi jayada khush ho gaye aur sabhi students Sriya mam ko wish karne lage aur sath hi sath unke face par bhi smile aa rahi thi ki ab phir se unhe Sriya mam ka lecture attend karne ko milega, akhir sabhi students kaise khush na hote Sriya mam hai hi aisi jo sabhi students ke dilon mein raaj karti hai aur jab aaj phir se ek baar unki favourite Physics teacher wapas college mein laut aayi ho to sabhi students ke face par smile aana aur unka khush hona relevant (lajami) tha.
Wahin jaise hi Amit ki najar Sriya mam par padi, Amit ke face par ek payari si smile aa gayi, jo 20 days se gayab tha jab se Arjun ne sabhi ko apne aur Sriya mam ki story sunaya tha jab Arjun Copper City gaya tha.
Aakhir Amit ke face par smile kaise na aati apni bahan ko Amit ne itne dino ke baad jo dekha tha, wahin Nivetha ke bhi face par chamak badh gayi ki aaj uske premi Amit ke face par smile wapas laut aayi hai jo kitne hi dino se apni bahan ki wajah se gayab tha, Nivetha ko samajhte der na lagi ki ye sab Sriya mam ke wapas college mein aane ke karan hua hai.
***
[In The Classroom]
Sriya mam ka class tha, sabhi students besabri se Sriya mam ka wait kar rahe the.
[Sriya enters into the classroom]
All students: Good morning mam.
Sriya: Good morning to all students.
Sri Leela: Welcome and good to see you mam again in the classroom.
Sriya: Thanks Leela, I was going through a tough phase that's why I couldn't come to the classes, I beg pardon for your inconvenience dear.
Leela: No worry mam it is part of life, we can understand your situation such kind of things happen in our lives.
Sriya: Okay students let's get started another new topic.
Rashi: Mam if you don't mind, I wanna give you a suggestion, can I???
Sriya: Okay Rashi, go ahead I am listening.
Rashi: Okay mam could we start LIGHT??
Sriya: Okay, so dear students we are going to discuss THE LIGHT.
Sriya: Can anybody explain what is light?
Almost every students raised their hands up.
Sriya: Okay Leela you are given chance, explain what is LIGHT??
Leela: Light is the form of energy which helps us to see other objects.
Sriya: Can you further explain, how does it help in seeing objects??
Leela: Yes man, when the light emitted from any object reachs to our eyes then we can see the object.
Example: Case 1. When an object is kept in dark place then the light emitted from the object doesn't reach to our eye therefore the object is not visible.
Case 2. While an object is kept in the presence of light then the light emitted from the object reachs to our eyes and thus makes the object visible.
Sriya: Good job, Leela you may sit down.
Sriya: Can anybody explain more about light??
Arjun, Rohan and Rashi raised their hands up.
Sriya: Okay Rohan first you are given chance.
Rohan: Mam light can travel in all media infact it doesn't need any medium to travel means it can travel in vaccum while sound cannot propagate in vaccum.
Sriya: Okay, good job Rohan, you may sit down, Rashi, can you explain further??
Rashi: Mam as Rohan told sound cannot travel in vaccum, our natural satellite moon is an example of vaccum therefore we cannot hear the sound in the moon.
Sriya: Excellent answer Rashi, you may also sit down.
Sriya: Arjun now it's your turn can you further elaborate some points on light???
Arjun: Mam we witness different phenomena of light in our daily lives.
Viz: Refraction, Reflection, Rainbow, Scattering of light, Diffraction, Dispersion, Halo, Polarization, Aurora, Cloud iridescence, Interference, Photoelectric effect, Bleeding sky, Sundog, Total internal reflection etc.
Sriya: Okay Arjun may sit down in the upcoming classes we will discuss these topics.
[Class Ends]
***
[Kriti Mam Cabin]
Kriti aur Sriya dono aaj ek baar phir se sath baithe baat kar rahe the.
Kriti: To phir aaj tum college aayi ho iska matlab tumhara badla pura ho gaya, am I right??
Sriya: Nahi abhi sirf aadha hi pura hua hai abhi aadha baki hai.
Kriti: Lekin Sriya tumne mujhe kaha tha, mujhe hacking sikhne ke liye apna badla pura karne ke liye??
Sriya: Ha lekin ab uski jarurat nahi padi isliye maine tumse kuchh nahi kaha is bare mein.
Kriti: Kya main karan(cause) jaan sakti hoon?
Sriya: Ha kyonki jab main apne sasur ji ke antim yatra mein gayi thi, tab mujhe Rajendra ko dekh kar samajh aa gaya tha ki ab hacking ki jarurat nahi padegi mujhe, maine Rajendra ke face par prakshit(atonement) ke bhav dekhe the.
Kriti: Fine, but ek baat tumne aur kahi thi ki tumhara badla pura karne mein Arjun tumhari help karega.
Kriti: Kya main jaan sakti hoon ki tumne Arjun ka bhi sath liya ya nahi jaise tumne mera sath nahi liya?
Kriti ke is sawal se Sriya ka face sharm se jhuk gaya, Sriya ke rone ki aawaz nahi aayi par aankh se tear(ansu) ki dhara tap tap jamin par girne lagi.
Kriti apne chair se uth kar Sriya ke pass gayi aur Sriya ko apne bahon mein bhar liya.
Kriti: Hey babe shant ho jao, I know ki tum apne hi student ke sath wo karne par majbur ho gayi jo tum kabhi nahi karne wali thi, main janti hoon ki tumhara soul(aatma) ab galani se bhar raha hai.
Kriti: Sriya magar ek baat hamesha yaad rakhna na main tumhe kabhi doshi samjhungi aur na hi Arjun, isliye tum kabhi ye mat sochna ki tumhari respect hum dono ki najron mein kam ho jayegi, balki tumhare liye mera respect aur badh gaya hai Sriya ki kaise tum apne hi student ke samne nangi laiti hogi, tumne apne aatma ko kaise samjhaya hoga I can feel it, jo tumne kiya iske liye bahut himmat ki jarurat hoti hai jo sayad mujhme kabhi nahi hota tumhari jitni himmat, tumhari himmat ko mera salam hai Sriya, you will always be my bestfriend okay.
Sriya: Hmmm, tum kabhi mujhse dur nahi rahogi na maine sab kuchh kho diya apna maa, papa aur bhai sabkuch.
Sriya: Jiske liye maine sab kuchh chhoda usi insaan ne mujhe dhoka diya.
Kriti: Forget your past, ye sirf tumhe peeda degi aur jo hua hai use accept karo, jab tumhare mann mein Arjun ke liye prem ka janam hoga tab tumhe khud samajh aa jayega ki tumne koi galat nahi kiya hai.
Sriya: Nahi Kriti sayad main Arjun ke prem ko deserve nahi karti hoon, maine to sirf apna badla pura karne ke liye Arjun ka istemaal kiya hai.
Kriti: Ab bhul bhi jao is baat ko aur apne dil mein Arjun ke liye prem jagao, phir ye tumhare andar jo galani ke bhav hai khud hi samapt ho jayega aur tumhari peeda ka bhi ant ho jayega.
Sriya: I will try to forget this and will try to embrace the truth.
Kriti: Hmm, now ab rona band karo.
Sriya: Hmmm.
***
Arjun apne group ke sath canteen mein baitha tha, Arjun ka phone ring hua Arjun ne phone check kiya to unknown name flash ho raha tha screen par.
Arjun apne group se thoda dur jakar call receive kiya.
[Unknown Phone Call]
Arjun: Hello kaun?
Unknown: Main inspector Vijay bol raha hoon.
Arjun: Yes sir kahiye kya baat hai??
Vijay: Arjun, tumhe aur Sriya madam ko ek baar phir se police station aana hoga.
Arjun: Kyon sir ab kya problem hai sab kuchh sort out to ho gaya tha na phir kya problem ho gayi??
Vijay: Kya us raat ko tum par two serial killers ne attack kiya tha Arjun aisa mujhe doubt hai??
Arjun: Yes sir.
Vijay: Tumhe aur Sriya mam ko apna statement dena hoga phir iske liye.
Arjun: Okay sir main kal aata hoon.
Vijay: Kal nahi tum dono ko abhi aana hoga kuchh hi ghanto ke andar.
Arjun: Okay sir hum aa rahe hain.
Vijay: Okay come soon kid.
[Call Disconnected]
***
College ki chhutti hone hi wali tha, Arjun ne message likh kar Sriya mam ko send kar diya.
*Beep*
Sriya ka phone beep hua, Sriya ne phone check kiya to Arjun ka message tha.
Kriti: Kya baat hai Sriya tumhare face se phir se chamak kaise gayab ho gayi?
Sriya: Arjun ka message hai, inspector Vijay ne hum dono ko bulaya hai hum dono ko phir se ek baar Copper City jana hoga.
Kriti: Kab jana hai?
Sriya: Abhi jana hoga.
Kriti: Okay no problem chale jao.
Sriya: Mujhe tension ho rahi hai pata nahi ab unhe kya janna hai hum dono se??
Kriti: Hey babe just calm down yourself, Arjun sab handle kar lega okay.
Sriya: Ahem(Aisa hi ho).
***
College ki chhuti ke baad ek baar phir se aaj Kriti aur Sriya dono Arjun ke ghar par thi.
Rashmika: Arjun tum akele nahi jaoge main ya phir Kajal didi dono mein se koi ek tumhare sath jayega.
Arjun: Okay aap dono hi decide kar lijiye ki mere sath kaun jayega??
Kajal: Okay Rashmika ja rahi hai tumhare sath.
Arjun: Okay mausi get ready.
***
[After Sometime]
Ek baar phir se aaj Arjun aur Sriya dono Rashmika ke sath Copper City ke liye nikal gaye.
Car Rashmika drive kar rahi thi.
3 Hours ki driving ke baad car Copper City ke police station ke bahar ruki.
[Copper City Police Station]
Teeno hi Rashmika, Arjun aur Sriya chal kar police station ke andar gaye.
Ek taraf jahan Sriya ne andar dekha use dekh kar believe nahi kar pa rahi thi aur wahin dusri aur Arjun ne police station mein jo bhi dekha, unhe dekh kar Arjun bahut hi jayada surprise aur khush dono ek sath hua.
Arjun chal kar unke pass gaya.
Arjun: Hello Sonali mam kaisi hain aap, aapko phir se 2 months baad wapas dekh kar achha laga???
Sonali: Mujhe bhi tumse phir se mil kar khushi huyi Arjun.
Wahin dusri aur Sriya abhi bhi kuchh bhi react nahi kar pa rahi thi ki jo unke samne hai sach hai ya koi sapna, Sriya ke samne unke pita Damodar aur maa Sonali thi.
Aakhir Sriya mam itni aasani se kaise believe kar leti, apne maa aur pita ko pure 4 years ke baad dekh rahi thi aur dono hi Sriya ko ektak dekh rahe the.
Sriya ki maa Sonali apni beti Sriya ki manodasha ko samajh gayi aur khud Sriya ke pass jakar apne gale se laga li.
Dono hi maa beti ki aankhen nam thi Sriya ne jaise hi kahna chaha.
*MAA*
Sriya ke muh se bas MAA itna hi nikla tha ki Sonali ne Sriya ko bich mein hi rok diya aur kaha kuchh na bol meri little princess, jo bhi hai hum ghar chal kar aaram baat karenge okay abhi tum shant raho.
Sriya kuchh na bol saki bas ha mein apni gardan hila di.
***
Arjun: Kahiye sir hum apna statement dene ke liye ready hain.
Vijay: No need for that kid maine tum dono ko inse milan karwane ke liye hi bulaya tha, tumhare chacha Akhil se tumhara number isi liye maine liya tha baki sari baten tumhe Sonali madam ke ghar jane par pata chal jayega.
Arjun: Thank you sir.
Vijay: Koi baat nahi kid kabhi meri help ki jarurat ho to beshak mujhse maang lena okay, main tumhare chacha Akhil ka bahut hi purana dost hoon.
Vijay: Sonali mam maine aapka kaam kar diya ab aap sab apne ghar ja sakti hain.
Sonali: Shukriya inspector Vijay.
Vijay: It's my honour mam ki mujhe aap se phir se milne ka mauka mila.
***
Sriya apne mata aur pita ke sath ghar pahuchi wahin Arjun aur Rashmika unhe follow karte huye ghar pahuche.
***
[Amit Home]
Jab Sriya aur Arjun dono hi ghar ke andar pahuche to dono ki najar Rajendra par padi jo Amit ke sath ek sofe par baitha hua tha, jise dekh kar dono hi Sriya aur Arjun ko gussa aane laga.
Sonali ek baar phir se apni beti Sriya ke mann ka haal jaan gayi aur Sriya ko shant rahne ke liye kaha.
Sonali: Kuchh nahi kaho my little princess main tumhe puri details mein sab kuchh batati hoon chalo mere sath mere kamre mein.
Sonali: Sriya beti ye kaun hai Sonali ne apni finger ko Rashmika ki aur point karte huye kaha.
Sriya: Mom ye Arjun ki mausi hai par aap Arjun ko kaise janti hain?
Sonali: Kyonki tumhare ghar se jane ke baad maine Iron city mein as a physics teacher join kar liya tha aur wahin Arjun se meri mulakat huyi.
Sonali ne apni baat ko aage continue rakhte huye kaha.
Sonali: Magar mujhe hamesha is baat ka dukh rahega ki meri sabse favourite student ne exam hi nahi diya jo college ki sabse brilliant student thi!!!
Sriya: Ye kya kah rahi ho maa Arjun state topper hai par isse bhi kaun brilliant student thi college mein mom mujhe janne ki wish hone lagi hai, kyonki abhi tak Arjun hi mujhe sabse brilliant student laga hai.
Sonali: Thi ek ladki jiska naam Srinidhi tha lekin usne exam hi nahi diya aur aise gayab ho gayi jaise air(hawa) atmosphere (wayumandal)mein gayab ho jati hai.
Sonali: Okay andar chalo pahle mere sath mere room mein wahin sab kuchh batati hoon, phir tum aaram se apna decision lena ki tumhe jamai ji(Rajendra) ko maaf karna hai ya nahi, Rashmika ji aap bhi hamare sath andar chaliye.
Teeno andar chale gaye wahin Arjun bahar chala gaya Amit ke sath.
***
[Sonali Room]
Sriya: Ha mom ab mujhe bataiye Rajendra yahan kya kar raha hai??
Sonali: Okay batati hoon aaj se four(4) days pahle ki baat hai.
***
[Flashback 4 days Ago]
Rajendra, Amit ke ghar pahucha. Rajendra se Sriya ki koi bhi family member nahi mila tha par Rajendra ne Sriya ke phone mein apne sasur Damodar, apni saas Sonali aur apne sala Amit ka photo dekha tha.
Damodar: Hello beta kaun ho tum kisse milna hai??
Rajendra ne khud ke andar sahas bharte huye kaha.
Rajendra: Ji main aapse hi milne aaya hoon, main Sriya ka pati Rajendra hoon.
Abhi Rajendra ne itna hi bola tha ki....
*Chataaak*
Ek thappad uske gaal par jor se padi jisse Rajendra ke muh se ek dard bhari ahhhh nikal gayi.
Damodar: Tumhara himmat kaise hua yahan aane ki aur tum kis Sriya ki baat kar rahe ho main kisi Sriya ko nahi janta hoon, dafa ho jao yahan se aur dubara kabhi bhi yahan laut kar mat aana humare liye wo manhus mar chuki hai.
Rajendra ne dard bhari aawaz mein hi kaha ek baar meri baat to sun lijiye...
Rajendra ka abhi sentence pura bhi nahi hua tha ki Rajendra ke dusre gaal par phir se ek thappad pada.
Damodar: Maine kaha na dafa ho jao yahan se she is dead for us.
Rajendra ne phir se dard bhari aawaz mein kaha ji aapke Sriya ko kisi ne jaan se marne ki koshish ki hai.
Damodar ne itna hi suna ki uska pyar apne beti ke liye jaag gaya, asal mein Sriya ke liye kisi ke dil mein pyar kabhi khatam hua hi nahi tha bas sabhi sirf Sriya se dur ho gaye the aur koi baat nahi hoti thi.
Damodar: Kya kaha tumne ek baar phir se kahna??
Rajendra: Ji aapki beti ko kisi ne jaan se marne ki koshish ki hai.
Damodar: Kisne kiya aisa aur kyon kiya aisa?
Rajendra: Ji maine Sriya ko jaan se marne ki koshish ki hai.
*Chataak*
Abhi Rajendra ne itna hi bola tha ki ek thappad aur uske gaal par padi magar is baar thappad marne wala Sriya ke dad Damodar nahi the, balki is baar thappad Sriya ki mom Sonali ne mara tha jo abhi abhi ghar ke andar aayi thi jo kahin bahar gayi thi.
Sonali: Kya kaha tumne, tumne meri Sriya ko jaan se marne ki koshish ki jise humne aaj tak ek thappad nahi mara tumne use jaan se marne ki koshish ki aur tumhari himmat kaise ho gayi tumhara yahan khada hone ki abhi ke abhi nikal jao yahan se agar tum yahan maafi maangne aaye ho to wo to tumhe kabhi milne se rahi.
Rajendra: Ji main yahan maafi maangne nahi aaya hoon balki apne gunah ko kabul karne aaya hoon jo maine aaj tak kiya hai.
Sonali: Kaisa gunah aur kaun kaun se dard diye hain tumne meri Sriya beti ko??
Rajendra ne ek ek kar apne sare gunah ko Sonali aur Domodar ke samne kabul karna shuru kiya ki kaise wah apni patni Sriya ko dhokha dekar nayi nayi ladkiyon ke sath maja karta raha, jab Sriya ko sach ka pata chala to use jaan se marne ke liye killers bheje aur jab ye plan bhi fail ho gaya to doctor ke murder ke case mein Arjun aur Sriya ko phasana chaha.
Damodar: Hum tumhe aise hi kabhi maaf nahi karne wale the aur na hi hum kabhi tumse milne wale the, lekin jo gunah tumne kiya hai iske baad to tum humse maafi ki bilkul bhi umeed nahi rakhna nikal jao ab yahan se hum tumhe apni najron ke samne dekhna bhi nahi chahte hain.
Rajendra: Ji main isliye yahan nahi aaya hoon ki aap mujhe maaf kar de aur na main ye umeed karta hoon ki Sriya mujhe maaf kar de, balki main yahan isliye aaya hoon ki aap Sriya ko apna lijiye aur use maaf kar dijiye.
Damodar: Aur ye tumhe kisne kah diya ki hum unhe maaf kar denge usne jo galti ki hai uski saja bhog rahi hai, hum chahte hain hamari beti jahan bhi rahe sukh se rahe lekin maafi to Sriya ko bhi nahi milne wali hai.
Rajendra: Humne jo bhi kiya galat kiya magar Sriya ke bare mein sochiye uski peeda ke bare mein sochiye, Sriya ne jiske liye apna ghar parivaar chhoda usi ne use dhokha diya aaj Sriya bilkul akeli ho gayi hai use ek maa aur baap ke pyar ki jarurat hai.
Sonali: Jo bhi ho sabko apne karmon ki saja milta hi hai aur Sriya ko bhi mil rahi hai.
Rajendra: Ji nahi Sriya apne karmon ki saja bhugat chuki hai ab use maaf kar dijiye jab tak aap Sriya ko maaf nahi kar dete hain main yahin par aapke ghar ke bahar rahunga.
Damodar: Thik hai main bhi dekhta hoon tum kab tak yahan bhukhe payase rah pate ho ya phir yahan tum sirf sahanubhuti pane ke liye aaye ho.
Dono pati patni ne gate band kar diya.
***
Thand ka din tha raat ho chuki thi, lagatar sheet gir rahi thi jo Rajendra ko kapkapa rahi thi.
Teen din gujar chuke the magar Rajendra apni jagah se tas se mas nahi hua tha. Dono hi pati patni ne Rajendra ko bahut achhe se observe kiya tha Rajendra ki halat kharab hoti ja rahi thi magar Rajendra apni baat par kayam raha.
***
Dono husband aur wife apne kamre mein andar baat kar rahe the.
Damodar: Kya hume ise maaf kar ek mauka deni chahiye??
Sonali: Ji iska sankalp atal hai isne bina kuchh khaye piye yahan three days gujar diye hume ise ek last chance deni chahiye kyonki sabki ko apni galti sudharne ka ek last chance milni hi chahiye.
Damodar: Thik hai jaisa tum kaho Sonali.
***
[Back To The Present]
Sonali: Iske baad Rajendra ne hi hume ye idea diya ki hum inspector Vijay se baat kar tumhe yahan bulaye magar mujhe ye nahi pata tha ki Arjun bhi tumhare sath aayega.
Sriya jo sab bade hi dhayan se sun rahi thi uski aankhe nam thi.
Sriya: Mom kya aap sabne mujhe maaf kar diya hai aur aap sab mujhse naraz nahi ho???
Sonali: Hum tumse naraz hi kab the pagal tum yahan ek baar aakar humse baat karke to dekhti, hum to bas tumhara pichhle 4 years se yahan aane ka intezar kar rahe the.
Sriya: Mujhe maaf kar dijiye mom ki maine ek baar bhi aapse baat karne ki bhi koshish nahi kiya.
Sonali: Chal ab ye aankhon se nadi ki dhara bahana band karo aur mere gale se lag jao jo pichhle 4 years se tadap rahi hai tumhe apne bahon mein bharne ke liye.
*Mom*
Sriya ke muh se bas itna hi nikla aur apni maa Sonali ke bahon se lipat kar jor jor se rone lagi.
Sriya(sniff sniff): Mom I am sorry, I am very very sorry mujhe maaf kar dijiye ab se main kabhi bhi bhul se bhi koi galti nahi karungi.
Sonali: Chal koi baat nahi my princess galti sabse hoti hai aur tumse bhi ho gayi, tumhe ek baar hume achhe se samjhaya to hota ki tum Rajendra se hi shadi karogi hum khushi khushi tumhari shadi Rajendra se kara dete.
Sriya: Mujhe maaf kar dijiye mom, aur kya mujhe Rajendra ko maaf karni chahiye kyonki jahan ek aur Rajendra ne mujhe asahniya dard diya hai to wahin dusri aur mujhe phir se aap sab se mila kar mujhe itni khushi di hai ki main sambhal nahi pa rahi hoon.
Sonali: Ye tumhara personal decision hai Sriya ki tum Rajendra ko maaf karti ho ya nahi humne to Rajendra ko apna damad swikar kar liya hai lekin meri baat mano to use ek last chance deni chahiye.
Sonali: Aap kya kahti hain is bare mein Rashmika ji?
Rashmika: Ji mere khayal se ek chance Rajendra ko milni chahiye phir dekhte hain Rajendra kya karta hai apni galtiyon se sabak lekar achhe rah par chalta hai ya phir wahi galti dubara karta hai.
Sriya: Ji yadi aap dono ki yahi wish hai to main Rajendra ko ek last chance jarur dungi.
***
Wahin dusri aur Arjun aur Amit ek sath ghar ke bahar lawn mein baithe the.
Arjun: Ye kya bhaiya aap yahan kaise??
Amit: Ye ghar mera hi hai chhote bhai aur Sriya meri badi bahan hai, Sonali meri maa hai aur Damodar mere dad hain.
Arjun: Kya baat kar rahe hain bhaiya, agar ye sach hai to na aapne mujhe kabhi bataya ki Sriya mam aapki didi hai aur na hi Sriya mam ne kabhi mujhe bataya ki aap Sriya mam ke chhote bhai ho.
Amit ne apni didi ki puri story Arjun ko suna diya aur aage Arjun se kaha.
Amit: Isliye maine Nivetha ko bhi nahi batayi thi ye baat??
Arjun: Phir to aapka kalyan hona fix hai bhaiya jab Nivetha bhabhi ko ye baat pata chalegi to aapka kya hoga upar wala hi jane.
Amit: Uski koi jarurat nahi padegi chhote bhai kyonki maine Nivetha ko kuchh din pahle hi ye baat already bata diya hai pahle use thoda achha nahi laga lekin phir samajh gayi.
Arjun: Phir thik hai aap pitne se bach gaye bhabhi se.
Amit: Ha ye to hai chhote bhai.
***
Dinner ke baad sabhi ek sath baithe the Sriya bahut khush thi isliye Sriya ne sabke liye khud hi khichdi banayi thi.
Sonali: Arjun tumne hum sab par bahut bada ahsan kiya hai meri Sriya ka sath dekar aur ise safe rakhkar.
Arjun: Aisi koi bhi baat nahi hai mam, jaise aap meri favourite teacher hain waise hi Sriya mam bhi meri favourite teacher hai aur sath hi Kriti mam ki bestfriend hai.
Amit: Aur tumhara bade bhai ki badi bahan bhi to hai.
Sonali: Ye kya kah rahe ho Amit tum Arjun ke bada bhai kaise ho gaye??
Amit ne sabhi ko Arjun aur apna story bata diya jitna jaruri tha.
Sonali: Achha kiya Arjun to pahle se hi mera favourite student tha aur ab se mere bete ka bhai hai matlab Arjun ab se mere bete jaisa ho gaya hai.
Sabhi apne apne room mein sone ke liye ja chuke the.
Sriya aur uske husband Rajendra dono ek room mein the, Arjun aur Rashmika dono ek room mein the kyonki Rashmika ne Sonali se kah diya tha ki wah Arjun ke sath hi so jayegi.
***
[Sriya Room]
Rajendra: Main janta hoon Sriya ki maine jo bhi gunah kiya hai use maaf nahi kiya ja sakta hai, maine karm hi aise kiye hain aur main tumse ye bhi nahi kah raha hoon ki maine tumhe tumhari family se mila diya isliye mujhe maaf kar do, tum jo bhi saja mujhe dena chahti ho de sakti ho, main tumhari har diye huye punishment ko sahne ke liye ready hoon.
Sriya: Main janti hoon jo tumne kiya hai use maaf nahi kiya ja sakta hai magar tumne mujhe mere maa, papa aur bhai se wapas mila diya sath hi sath maa aur Rashmika ne tumhe ek last chance dene ke liye kaha hai isliye main tumhe maaf karti hoon.
[I give you *pardon*]
Rajendra: Thank you Sriya ki tumne mujhe maaf kar diya magar maine jo karm kiye hain maine khud hi uska saja chun liya hai.
Sriya: Aap kis saja ki baat kar rahe hain Rajendra??
Rajendra: Yahi ki ab main kisi bhi aurat ke sath physical relationship nahi banaunga yahan tak ki tumhare sath bhi nahi aur main ye promise maine khud se apne mare huye baap ki kasam khakar kiya hai aur yahi hoga mere karmon ki sahi atonement(prakashit).
[I will never make physical relationship with any woman]
[This is the atonement of my evil deeds]
Sriya: Ye tumne kaisa kasam kha li hai Rajendra phir tumhari jarurat ka kya hoga aur sath hi meri jarurat ka kya hoga???
Rajendra: Tumhari jarurat wahi pura karega jisne ab tak tumhara sath diya hai pahli baar tumne Arjun ke sath mujhse badla lene ke liye sex kiya, lekin ab tum uske liye apne dil mein prem jagao phir tumhare mann mein jo galani ke bhav aa rahe hain uska end ho jayega aur tumhe aseem shanti aur khushi milegi.
Sriya: Tum puri tarah se badal gaye ho Rajendra tumhare dil mein pahle jo galat khayal the wo samapt ho rahe hain aur tum pure nek insaan ki aur badh rahe ho jisse maine pyar kiya tha aur pata hai tumhe, meri bestie Kriti ne bhi yahi baat kahi thi ki main Arjun ke liye apne dil mein prem jagaun phir mere dil mein koi bhi galani ke bhav nahi rahenge.
Rajendra: Thank you ki tumne mujhe maaf kar diya magar maine apne mare huye baap ki kasam khayi hai ki jis sex ke karan main tumse dur ho gaya tha ab main sex ke bare mein na kabhi sochunga aur na hi kabhi kisi ke sath karunga aur mera decision final hai jise main chah kar bhi nahi badal sakta hoon aur tumhari friend ne bilkul tumse sahi kaha hai tumhe wahi karni chahiye jo Kriti ne tumse kaha hai.
Sriya: Ji main samajh gayi par ab bhi ek problem hai??
Rajendra: Yahi na tumne mujhse kaha tha ki ek din meri maa bhi Arjun se chudegi yahi sawal hai na tumhare dil mein to mera jawab hai ye decision main tum par chhodta hoon, lekin ha jo bhi decision ho tumhara mujhe mat batana kyonki main ab aur bardast nahi kar paunga tumhara koi bhi punishment.
Sriya: Ji thik hai Rajendra ab so jate hain.
***
[Amit Room]
Wahin Amit apne kamre mein soya hua tha aur Arjun ke bare mein soch raha tha ki Arjun ko humne chun kar koi bhi galat nahi kiya hai. Sabhi Arjun ko pasand karte hain aur yahan tak ki Arjun mom ka bhi favourite student hai. Amit sochte sochte sapno ki duniya mein chala gaya.
***
[Sonali Room]
Damodar: Kaun hai ye Arjun jise sab itna pasand karte hain??
Sonali: Arjun hamare respected chief minister Mahendra Agarwal ka beta hai ek do baar main mili hoon inke mata pita se jab dono Arjun se milne hostel aate the dono bahut hi achhe hain.
Damodar: Kya baat kar rahi ho Sonali matlab CM sahab ka beta hamare Amit ka dost hai, meri Sriya beti ka favourite student hai aur meri wife ka bhi favourite student hai.
Sonali: Lekin Arjun isliye sabka favourite nahi hai ki Arjun CM ka beta hai balki Arjun khud hi ek mystery hai sabke liye, jo kab kya karega koi nahi janta hai itna to main jaan hi gayi hoon Arjun ke bare mein pichhle two years se.
***
That's all for this update.
Total words count: 5 k