- 4,439
- 8,871
- 144
Last edited:
Bro?Fuck!!!!!!!185 votes sirf dekhne ke liye hai, real votes to 15 ke karib hi hai baki 170 votes bekar ke hain, wo kahte hain na hathi ke dant dikhane ke aur khane ke aur.
Upar mein jo poll hai uska total number.Konse votes
Bro?
Upar mein jo poll hai uska total numb
It's time to pay back.
Iska matlab hai jaisa reply aur likes aayega usi ke according update aayega, koi fix duration nahi hoga.Ab ye kya h bhai?
Wo isliye Bhai kyonki sirf 15 log ke aaspass hi loyal hai baki sab koi ka 1 ya 2 likes hi hain aur sath hi sath comments bhi.Oh okay
Usme kese fake votes aye?
Mast update h bhai...Update 90Recap: In the previous update humne padha tha ki Sagar aur Salman naam ke two boys kisi sundar aur hot ladki ko apne jaal mein phasane ke liye plan bana rahe the aur wahi dusri aur Anushka apne husband se sexually nakhush thi, jiske karan Anushka ne khule aam Arjun ko apna boyfriend banane ke liye proposal de diya tha.
Skilled Fighting and Terror
Now Next >>>
Vikramaditya College
Hostel, Krithi Room
Some Days Ago
Time - 3:45 pm ~
Krithi apne room mein padh rahi thi Anupama ka phone ring ho raha tha, Anupama bathroom mein thi jiske karan phone lagatar ring ho rahi thi jiske karan Krithi ko apni study mein focus karne mein problem aa rahi thi.
Krithi apni jagah se uth kar apne Anupama didi ka phone check karne ke liye gayi, screen par saaf saaf likha hua show ho raha tha private number.
Private number ke hone ka matlab tha ki Krithi ko call nahi pick karna hai, Anupama ne Krithi ko pahle se hi mana kar rakha tha ki private number screen par flash hone par call receive nahi karna hai.
Par Krithi hamesha se hi janna chahti ki aakhir aisa kya raaz hai ki private number likha hone par uski Anupama didi call receive nahi karne ke liye bolti hai, Krithi ne kai baar apni didi se puchha tha par har baar Anupama ne ye kah kar taal diya tha ki sahi samay aane par main tumhe khud hi bata dungi.
Aaj Krithi ne apne Anupama didi ke baton ko najarandaz kar call receive kar liya.
Phone Call
Krithi: Hello.
???: No answer.
[Samne wala Krithi ki aawaz sunkar udhar se kuchh bhi nahi bola.]
Krithi: Hello kaun hain aap kuchh bolte kyon nahi hain, yadi aapko baat nahi karni hai to call kyon lagaya hai.
[Krithi ne thodi gusse wale swar mein kaha.]
???: No answer.
[Phir bhi udhar se koi response nahi aaya.]
Krithi: Phone rakho abhi didi bathroom mein busy hai, yadi aapko sirf didi se hi baat karna hai to.
[Krithi ne behad hi gusse wali bhav se junjhlate huye ek baar phir se kaha.]
Udhar se samne wale person ne call cut kar diya.
Krithi sab bhul kar ek baar phir se apni padhai mein busy ho gayi.
25 minutes baad Anupama bathroom se bahar nikal aayi.
Anupama ne apne phone ko check kiya to private number se call aaya hua dekha, jise Krithi ne receive kar liya tha.
Anupama bina Krithi ko kuchh bole hi kamre se bahar nikal gayi.
Jaldi hi Anupama ek aisi jagah aa gayi jahan uske aas pass koi nahi tha aur Anupama ne call connect kar diya, jise samne wale ne kuchh hi ring mein receive kar liya.
Anupama: Hello master!!
Master: Hello princess!!
Anupama: Kahiye kya baat hai jo aapko mujhe call karna pada aur Krithi ne aapki aawaz sun to nahi liya??
Master: Nahi Krithi ne meri aawaz to nahi suna hai, maine kuchh bola hi nahi jaise hi udhar se Krithi ki aawaz mere kano mein pada main khamosh hi raha.
Anupama: Okay okay thik hai master, phir bhi kahiye kya baat hai jo aapne mujhe call kiya??
Master: Mujhe tumhe ek baat batani hai aur tumse kuchh advice chahiye princess.
Anupama: Okay kahiye kya baat hai master??
Master: Kuchh dino se kuchh log Arjun ki family ki photo khinch rahe hain, lagta hai wo sab koi bada plan kar rahe hain.
Anupama: Aur kuchh information hai unlogo ke bare mein??
Master: Yes! Sabhi ke sabhi local gunde hain aur unka main leader hai Jaggu dada.
Master ne apni baat ko aage continue rakhte huye kaha.
Master: Kya Jaggu dada ka koi personal dushmani hai Arjun ya uski family se??
Anupama: Ha, jab Arjun yahan diamond City mein naya naya aaya tha tab ek lady ko bachane ke liye Jaggu dada se lad gaya tha, Jaggu khud ko bahut bada gunda samajhta hai aap uska ye bharam ko aaj dur kar dijiye master use pata chalna chahiye ki jo wo khud ko samajh baitha hai wo hai nahi.
Master: Thik hai little princess bye.
Anupama: Bye! Apna khayal rakhna master.
Master: Thik hai tum meri fikar na karo.
[Call Disconnected]
Master ko Jaggu dada ke thikana ka location pata tha.
Jaggu Mansion,
Time - 9: 25 pm~
Jaggu apne sathiyon ke sath wine pi raha tha aur cigarette ka kash laga raha tha aur Arjun se apna badla kaise lena hai yahi planning kar raha tha.
Jaggu ke ek aadmi ne kaha boss hum undono bacche aur mahila ko yahan utha kar le aate hain, phir us chhokre ko yahan bulayenge aur jaan se maar denge.
Jaggu: Nahi re jaan se nahi marna hai sala ne mujhe gardan pe aisa mara hai ki meri gardan aaj tak thik nahi huyi hai, main hamesha dard aur pareshani se tadapta rahta hoon.
Jaggu ne aage apni baat ko jari rakhte huye kaha.
Jaggu: Sala us chhokre ko yahan lekar aana hai aur mujhe bhi uski gardan aise hi dekhna hai jaise mera hai, tab us launde ko pata chalega ki meri kya power hai aur jab dard se tadapte rahte ho to kaisa lagta hai.
Phir se Jaggu ke ek aadmi ne kaha.
"Boss bekar mein us launde ko kyon jinda chhodenge, direct jaan se hi maar dete hain kahani hi khatam kar dete hain us launde ka".
Jaggu: Nahi re mujhe us launde ko maut nahi dena hai, use bhi meri tarah hi sari jindagi tadapta rahna hai jaise main tadap raha hoon tabhi mera badla pura ho payega.
Samne se ek aawaz aayi, aur tum sabka ye sapna kabhi bhi pura nahi ho payega ye sirf ek khawab hi ban kar rah jayega.
Un sabke samne ek black uniform pahne ek aadmi khada tha jiske dono kandhe ke pichhe talwar(sword) latak raha tha, pura chehra dhaka hua tha sirf uski kali aankhen dikhayi de rahi thi, jisme samne wale ke liye dahshat dikh raha tha.
Kaun ho be tum aur yahan gate ke andar kaise aa gaye, Jaggu ka ek aadmi adhirta se bol pada.
Shaksh: Main kaun hoon ye tumhare liye janna jaruri nahi hai phir bhi main tumhe bata deta hoon, mujhe bahut kam log hi jante hain aur jo mujhe jante hain log mujhe Kaal kah kar pukarte hain.
*Hahahaha*
Jaggu ke sath sath wahan par maujud sabhi log Kaal ki baat sunkar jor jor se has pade.
Kaal: Has lo jitna hasna hai, kyonki aaj ke baad phir se tumlog kabhi is tarah se has nahi paoge.
Jaggu: Sale mere ghar mein aakar mujhe hi dhamki de rahe ho, lagta hai tumhe apni jaan payari nahi hai jo yahan marne chale aaye.
Kaal: Sahi kaha tumne mujhe meri jaan bilkul bhi payari nahi hai, magar mere boss ki family ke against jo bhi jayega use jinda rahne ka koi hak nahi hai, main usse uski sanse chhin leta hoon.
Jaggu: Kaun hai be tumhara boss??
Kaal: Ye jaana tumhare liye jaruri nahi hai, tumhe jo bhi karna hai kar lo main tumhe sirf 2 minutes ka samay deta hoon, phir meri bari aayegi aur tum sab chah kar bhi kuchh nahi kar paoge.
[Kaal ko pahle se hi pata tha ki inki strength bahut kam hai.]
Jaggu: Bhun ka rakh do sale ko bahut jayada bol raha hai, kutar do iske pankh aur maar kar kisi gali mein phenk do.
[Jaggu ne bade hi josh ke sath apne aadmiyon se kaha, jaise samne wala banda unke liye ek mamuli aadmi ho jise Jaggu ke aadmi badi hi aasani se dher kar denge.]
*Bang*
*Bang*
*Bang*
Jaggu ke panch aadmiyon ne ek sath bullet fire karna start kar diya.
Kaal ne kuchh bullets ko apne dono sword se rok liya, kuchh ko apne body ko angle mein modte huye escape kar gaya aur kuchh bullets ko apni position change kar bekar kar diya.
Ek minutes ke andar hi Jaggu ke aadmiyon ke sabhi bullets khatam ho chuki thi aur Kaal ko ek bhi bullets chhu tak nahi paya.
Ab Jaggu ke mansion ka haal aisa tha ki Jaggu aur uske sabhi bande darr se thar thar kanp rahe the aur pure body se pasina nikal raha tha, aaj unke samne koi real figher tha.
Kaal ne wapas apne dono swords ko apne kandhe ke pichhe mayan(quiver) mein daal liya aur bola.
Kaal: Ha to tum log kya kah rahe the tum log Arjun ko jindagi bhar ka dard dene wale ho, chalo thik hai tum sabke pass ab hathiyar to hai nahi, chalo main bhi tum sabko jitne ka equal chance deta hoon, main bhi bina koi hathiyar ke tum sabse ladunga.
Jaggu jo darr se abhi bhi kanp raha tha apne aadmiyon se bola, jao re maar dalo sale ko.
[Jaggu ne thoda sahas juta kar kaha.]
Ek bande ne Jaggu se kaha boss hum unse nahi lad payenge uski speed bahut tez hai.
Jaggu: Sale tum sab ek sath jao, tum sab 10 ho aur wo akela hai.
Jaggu ke sabhi aadmi ek sath Kaal ki aur apne dhadkte dil ke sath Kaal ko marne ke liye daude.
[Pahle se un sabke dil mein darr tha, aur fight ka ek niyam hai ki tumhare dil mein koi darr nahi hona chahiye, warna samne wala tumpar bhari padta hai.]
Kaal ne apne ek kick se Jaggu ke ek aadmi ko kandhe par de mara, us bande ka haal bhi Jaggu jaisa hi ho gaya.
Ek bande ne Kaal ke face par punch marna chaha jise Kaal ne apne quickness ke chalte bekar kar diya aur uske face par ek left punch jad diya.
2 minutes ke andar hi Jaggu ke sabhi aadmi jamin par dher ho gaye aur Kaal apni positin se hila tak nahi, Kaal ne kisi ke pair par to kisi ke kandhe par to kisi ke pet par kick aur punch jad diya tha, jabki Kaal ne apne strength ka sirf 30% power use kiya tha.
Pure Jaggu mansion mein sirf Jaggu ke aadmiyon ke dard se chikhne ki aawaz gunj rahi thi.
Jaggu ne aaj tak aisi skilled fighting kabhi nahi dekhi thi jo 10 bande ko ek sath ek hi position mein rah kar maar de.
Kaal ka face to nahi dikh raha tha magar Kaal ke face par ek devil muskan thi.
Kaal chal kar Jaggu ke pass gaya jo darr se ab aur bhi jayada kampne laga tha.
Kaal ne Jaggu se kuchh bhi nahi bola aur Jaggu ke left kandhe par ek punch jad diya.
Jaggu ko ek tez dard hua magar uska kandha pahle jaisa ho chuka tha, magar Jaggu ki chikhne ki aawaz pure Jaggu mansion mein phail gayi.
Jaggu: Sir kaun ho aap jisne mere kandhe ko thik kar diya jise bade bade doctor bhi thik nahi kar paye.
[Jaggu ke labz mein ab Kaal ke liye respect ki bhavna thi.]
Kaal: Maine tumhe pahle bhi kaha hai mujhe bahut kam hi log jante hain, jo mujhse milte hain unki maut pakki hai, tum sab lucky ho ki main tum sabko jinda chhod raha hoon.
Kaal ki baat sunkar ek baar phir se Jaggu ki puri body mein jhurjhuri hone lagi aur pura body pasina pasina hone laga, kuchh bunde uske mathe se *tap tap* kar jamin par girne lagi.
Kaal: Daro mat, agar mujhe tumhe jaan se marna hi hota to main tumhare kandhe thik nahi karta, tumhari sabhi history pata hai mujhe tum logo ko bas apne manoranjan ke liye darate ho, jisse log tumhari respect kare.
Kaal ne aage apni baat ko jari rakhte huye kaha.
Kaal: Aaj ke baad se sare galat kaam karna band kar do logo ko darane se tumhare liye respect nahi aayegi, isliye ho sake to logo ki madad karo.
Jaggu: Ji ji sir main ab se main kisi ko bhi pareshan nahi karunga.
[Jaggu ne apne haklate huye jaban se kaha.]
Kaal: Thik hai phir main chalta hoon agar dubara tumne ya tumhare kisi bhi sathi ne Arjun, Arjun ki family ya kisi begunah ke sath koi bhi galat kiya to yaad rakhna agli baar tumlog sidha nark ka rasta dekhoge, koi bhi tum sabko mere kahar(terror) se bacha nahi payega.
Jaggu: Sir sir tea ya coffee pite jaiye.
[Jaggu ne bade hi respect se Kaal se kaha.]
Kaal: Nahi uski koi jarurat nahi hai main chalta hoon.
Kaal ne ek baar phir se 8 feet unchi gate ko paar kar chala gaya, lekin jane se pahle sabhi ko thik karta chala gaya.
Dhire dhire Jaggu ke sabhi aadmi dard se karahte huye Jaggu ke pass aa gaye.
"Boss kaun tha ye aadmi jisne aapke kandhe ko apne ek hi punch se thik kar diya aur hum sabko ek ek punch aur kick mein dher kar diya aur sath hi sath hamare bullets se aise bach gaya jaise uske liye ye sab koi khilona ho, Jaggu ke ek aadmi ne bade hi curiosity ke sath kaha".
Jaggu: Mujhe nahi pata lekin jo bhi tha Arjun ka koi well wisher hoga, jis Arjun ne mere kandhe ke shape ko bigad diya tha aaj usi ke ek aadmi ne mere kandhe ko wapas thik kar diya, ab mera kandha thik ho gaya hai ab main kisi ko bhi pareshan nahi karunga aur tum sab bhi aaj se logo ko pareshan karna band kar doge aur logo ki help ki shuruaat karenge.
Ji ji ji boss bilkul aisa hi hoga ek aadmi ne dard se karahte huye kaha.
Jaggu ne kaha sala kya aadmi tha jo jhakham dena bhi janta hai aur jhakham ko thik karna bhi janta hai, maa kasam aaj tak apun ne iske jaisa na ek bhi bande ko dekha hai aur na hi kabhi suna hai.
[Flashback Ends]
Now Back to The present Day.
Rohan Home,
Time - 10: 15 AM
Aaj ek baar phir se Arjun, Rohan ke ghar aaya hua tha.
Arjun, Rohan aur Rashi teeno hi Rohan ke room mein apni exam ki taiyaari kar rahe the.
Sabhi ek dusre ki weak topic mein help kar rahe the. Abhi half hour hi beeta tha ki Rohan ki bhabhi Keerthi sabhi ke liye tea lekar aayi.
Keerthi: Lo jaldi jaldi tea pi lo maine tum sabke liye special tea banaya hai.
[Keerthi ne ye baat Arjun ki aur dekh kar kaha aur smile kar di.]
Arjun: Par bhabhi main to tea nahi pita hoon.
[Arjun ne Keerthi ko pareshan karne ke liye kaha.]
Keerthi: I know bachu ki tum mujhe pareshan kar rahe ho ye baat aadhi sach hai ki tum tea nahi pite ho, magar yadi tea mein sugar na ho aur sirf milk se bani ho to tea pite ho, isliye maine sabhi ke liye alag alag type ki tea banayi hai.
Arjun ne Keerthi se apni tea ke cup ko lete huye kaha.
Arjun: Thanks bhabhi par aapko kaise pata chala ki main tea without sugar pita hoon??
Keerthi: This is none of your business phir bhi bata deti hoon, mujhe Amika ki bhabhi Anu se ye baat pata chali hum teeno(Anu,Keerthi aur Anushka) mein achhi dosti ho gayi hai.
Arjun: Aur kya kya pata kar liya aapne mere bare mein meri pyari Anu darling se meri chatur chalak lomdi bhabhi??
Keerthi: Main chali tum apna tea khatam karo aur sochte raho.
Keerthi bahar chali gayi aur yahan Arjun ko uljhan mein chhod kar chali gayi ki Keerthi ne kaun kaun se secret Arjun ke bare mein pata kar liya tha.
Arjun ne apni uljhan ko chhod kar ek baar phir se dono ke sath padhai mein focused ho gaya.
Abhi mushkil se ek hour gujra tha ki Keerthi sabke liye Arjun ki pasand ki coffee lekar aa aayi.
Arjun: Lagta hai aapne sabhi kuchh mere pasand aur napasand ke bare mein bahut achhe tarah se jaan liya hai.
[Arjun ne coffee ki mug ko lekar ek chuski lete huye kaha.]
Keerthi: Ab jayada dimag par jor mat dalo aur apna coffee enjoy karo main chali apne kamre mein.
Keerthi ke bahar jate hi Rashi ne Rohan se kaha.
Rashi: Dear apni bhabhi ko bacha lo Arjun se nahi to ye Arjun tumhari bhabhi ka sara dana chug jayega, mujhe to aisa hi lag raha hai.
[Keerthi ne Rohan ko chhedte huye kaha.]
Rohan: Ab main kya kar sakta hoon Rashi, jab bakri khud hi katne ke liye ready hai.
[Rohan ne bhi bina kisi fikar kiye ye baat bebaki ke sath bol diya.]
Arjun: Ab tum dono baten karna band karo aur padhai par focus karo jiske liye tum dono ne mujhe yahan bulaya hai.
Teeno hi ek baar phir se apni apni padhai mein focused ho gaye.
In teeno ko yahan padhne dete hain hum kuchh ghanta pichhe past mein chalte hain.
Kajal Home,
Previous night,
Time- 9: 30 pm~
Shreya aur Sara dono ek kamre mein soyi huyi thi, Sara ne jabardasti kar Shreya ko yahin par rok liya tha jiske karan Madhuri ko bhi Nadhiya ke sath Kajal ke ghar par hi sona pada tha.
Shreya: Kya baat hai Sara ki tumne mujhe yahan rok liya mujhe apne ghar bhi nahi jane diya??
Sara: Wo wo Arjun ne mujhe tumse baat karne ke liye kaha hai ki tum hi meri uljhan ko dur kar sakti ho.
Shreya: Ha kaho kis bare mein baat karna hai tumhe mujhse??
Sara: Wo baat ye ki main aapse kaise kahun kuchh samajh nahi aa raha hai, pata nahi aap mere bare mein kya kya samajh lengi??
Shreya: Aap nischint hokar boliye jo bhi baat hai uske baad hi main aapse kuchh kah paungi.
Sara: Wo baat ye hai ki kahin aap sab mujhe galat to nahi samajhte hain ki maine dusre mardon ke sath physical relationship bana liya.
Shreya: Aapne isi baat ke liye mujhe yahan rok liya aur is baat ke liye aap pareshan thi.
Sara: Ha.
Shreya: Phir aap apne dimag se ye baat nikal dijiye ki koi bhi aapko galat samajhta hai, hum sabhi aapki majburi ko samajhte hain ki kaise aapne apne us pati ke liye apni izzat ko daav par laga diya jiska marna kuchh hi dino mein nischit tha, phir bhi aapne husband ke liye jo sahi tha karti rahi.
Shreya ne thodi apni sans ko durust kar aage kaha.
Shreya: Sara ji hum sabke dil mein aapke liye bahut hi respect hai, arey jo nari apne suhag ke liye hamesha peeda jhelti rahi wo galat kaise ho sakti hai bhala.
Sara: Matlab aap sabke dil mein mere liye koi galat vichar nahi hai.
Shreya: Bilkul nahi balki main tumhe kuchh batati hoon, jisse tumhe puri tarah se samajh aa jayega ki hum sab koi bhi tumhe galat nahi samajhte hain.
Sara: Kya??
Shreya: Tum janti ho ki main pregnant hoon??
Sara: Ha mujhe pata hai.
Shreya: Ha par tum ye nahi janti ho ki main Arjun se pregnant huyi hoon.
[Shreya ne puri story Sara ko suna diya.]
Shreya: Ab tum batao kya maine kuchh galat kiya??
Sara: Nahi galat tab hota jab kisi ke dil ko dukhi kiya jata par aapne sabki khushi ke liye kiya hai.
Shreya: Thik usi tarah tumne jo bhi kiya apne us pati ko jinda rakhne ke liye kiya, jiska marna pahle hi doctor ne 100% confirm kar diya tha, aap prashansha(tarif) ke hakdar hain, isliye salam hai aapko mera.
Sara: Matlab aapke hone wale bacche ka baap Arjun hai.
Shreya: Yes!!
[Shreya ne bebak hokar kaha jaise Shreya ko ye baat batane mein koi problem hi na ho.]
Sara: Matlab jis Arjun ko main ab tak college mein padhne wala ladka samajhti thi, wo ek bacche ka bhi baap banne wala hai.
[Sara ne Shreya ko chhedte huye kaha jaise Sara, Shreya ka majak uda rahi ho.]
Shreya: Ab tumhari sabhi uljhan dur ho gayi ho to so jaiye.
Sara: Mera ek sawal hai aapse.
Shreya: Puchho.
Sara: Kya aapko Arjun khush kar paya tha??
Shreya: Tum khud hi uske sath kar ke dekh lo tumhe khud hi pata chal jayega.
[Shreya ne Sara ko chhedte huye kaha aur Sara ki aankhon mein dekh kar smile kar di.]
Sara: M- Mujhe lagta hai Arjun aapko khush nahi kar paya hoga, baccha paida karna alag baat hai aur kisi aurat ko khush karna alag baat hai.
Shreya: Phir tum Arjun ko aajma kar dekh hi lo, tumhe apni nani ki yaad na aa gayi to kahna.
Sara: Aisa kya??
Shreya: Bilkul bilkul.
Sara: Kitni der tak kiya tha aur size kitna hai??
Shreya: Jab bhi karta hai 1 hour se jayada hi karta hai, jo ek normal mard 10 baar mein kar pata hai.
Sara: Itni jayada stamina hai kya Arjun ka??
[Sara ne shocked hote huye kaha, Sara ki aankh hairani se badi badi ho gayi.]
Shreya: Yes!!
[Shreya ne bade garv ke sath kaha.]
Sara: Par aapne ab bhi uska(Arjun ka) size nahi bataya Shreya ji??
Shreya: Wo to tum guess kar lo ya phir Arjun ko khud hi aajma lo phir tumhe khud hi pata chal jayega, main tumhe nahi batane wali hoon kuchh mehnat khud se karo.
[Shreya ne Sara ki eyes mein dekhte huye smile kar diya jaise Shreya, Sara ke dil ka haal janna chahti ho.]
Sara: Good night Shreya mujhe neend aane lagi hai.
Sara: Good night Sara.
Shreya ne kamre ka light off kar diya aur dono neend ki haseen sapne mein chali gayi.
Vikramaditya College,
Time - 1: 15 pm
College ke bahar Sagar aur Salman cigarette ka kash uda rahe the aur apne shikar ka intezar kar rahe the.
Sagar: Kya be koi dhang ki ladki nahi hai kya tere is sahar mein, sala intezar karte karte 2 hours gujar gaye hain aur abhi tak kisi par mera dil aaya hi nahi hai jo chodne layak maal ho.
[Sagar ne cigarette ka ek kash lekar dhuwan hawa mein udate huye Salman se kaha.]
Salman: Sala abhi tak maine tujhe 50 se jayada ek se badh kar ek shandaar item dikhaya hai, par tumhe to waisi ladki chahiye hoti ho jo kisi heroine ko takkar deti ho ya heroine se bhi jayada kadak maal ho.
Sagar: Abe sale apun aise hi kisi ko uthane ka risk nahi leta hai jo apun ke dil ko bha gaya apun usi ke liye khatra mol leta hai, phir chahe mujhe kuchh bhi kyon na karna pade.
Sagar: Phir intezar karo dost koi na koi ek aisi ladki jarur college hostel se bahar aayegi jo tumhare dil aur dimag dono mein utar jayegi.
Salman ne aage apni baat ko continue rakhte huye kaha.
Salman: Humne two hours tak intezar kiya hai, two hours aur sahi.
[Salman ne Sagar ka patience banaye rakhne ke liye kaha.]
Sagar: Tum thik kah rahe ho dost waise bhi shikar karne mein jitna wakt aur mushkilen aati hai utna hi jayada maja bhi aata hai.
Salman: Phir hamare pass ek hi tarika hai dost.
Sagar: Kya??
Salman: Wait karna.
Sagar: Thik hai dost wait karte hain.
[Sagar ne cigarette ka kash lekar ek baar phir se dhuwan ko hawa mein chhodte huye bola.]
Salman aur Sagar pichhle two hours se college ke bahar apne shikar ke liye wait kar rahe the aur ab bhi unka waiting jari thi.
Har gujarte samay ke sath Sagar ki bechaini apne shikar ko pane ke liye badhta hi ja raha tha.
Dono dost Salman aur Sagar apne shikar ka intezar karte karte ek ghanta phir se gujar gaya ab time 2:15 ho chuki thi.
Sagar: Kya be koi dhang ki maal kyon nahi mil rahi hai yaar, sala ek mahine se jayada gujar gaya hai kisi mast laundiya ko chode huye.
Salman: Sala tharki chodne ke liye tumhe kitni hi ladkiyan mil sakti hai par nahi tumhe to koi heroine jaisi ladki hi pasand aati hai.
Sagar: Sahi kaha dost mere lund ko heroine jaisi ladki hi pasand aati hai warna apun ek mahine kya two mahine bhi bina kisi ladki ko chode rah sakta hai.
Salman: Thik hai phir wait karo jab tak tumhe tumhari mann pasand ladki nahi mil jati hai.
Sagar: Wait hi to pichhle teen ghante se kar raha hoon par sala abhi tak koi aisi ladki mili hi nahi hai jo apun ki mann ko chhali chhali kar de aur mere dil aur dimag dono mein utar jaye.
*Ring ring*
Abhi dono dost wait kar hi rahe the ki Sagar ka phone baj utha.
Mobile par samne wala ka call dekh kar Sagar ke face par smile aa gayi.
Sagar ne badi hi utsukta ke sath call receive kar kaha.
Sagar: Hello dadaji.
Sagar ke dadaji jinka naam Manikchand hain jo pahle state Karnataka ke chief minister rah chuke hain udhar se bola.
Manikchand: Hello bete kaise ho aur kya kar rahe ho??
Sagar: Kuchh nahi dadaji aapke hi dikhaye huye raste par chal raha hoon, main yahan ek engineering college ke bahar apne shikar ka pichhle teen ghante se wait kar raha hoon.
Manikchand: Shabash beta bilkul sahi raste par ja rahe ho tum, tum apne dadaji ka naam garv se uncha kar rahe ho.
[Manikchand ne bade hi garv ke sath kaha jaise ye uske liye koi bahut bada kaam ho.]
Sagar: Ye sab aapke hi diye huye gyan (lessons) ka kamaal hai dadaji.
Manikchand: Phir thik hai lage raho jab tak tumhe tumhari pasand ki maal chakhne ke liye nahi mil jati hai.
Sagar: Ji ji bilkul dadaji aapke hi gun(character) hain mujhme jab tak mujhe meri pasand ki ladki nahi mil jati hai tab tak main apne shikar ka wait karta rahunga.
Manikchand: Phir thik hai bete phone rakhta hoon aur koi bhi problem ho to mujhe ek call kar dena.
Sagar: Bilkul dadaji aap meri bilkul bhi fikar na kare main sab sambhal lunga.
Manikchand: Bye bete.
Sagar: Bye dadaji.
[Call Disconnected]
Sagar aur Salman dono college ke bahar wait karte karte aur 30 minutes gujar gaya.
Jitna jayada time gujar raha tha Sagar ka dil aur dimag apne shikar ko pane ke liye aur bechain hota ja raha tha.
Planet
Plutonium
Queen ke room mein Acharya aur queen dono aage kya hone wala hai us ghatna par vichar kar rahe the.
Acharya: Putri abhi Arjun ke liye ek khatra pahle se hi hai Daniel, jo Arjun ko 3km ki distance se bhi shoot kar sakta hai aur Daniel kab Arjun ko shoot karne wala hai ye koi bhi nahi janta hai.
Acharya ne aage apni baat ko continue rakhte huye bola.
Acharya: Aur ye Sagar aur Salman bhi aa gaye hain, kya Arjun teeno se ek sath nipat payega??
Queen: Ye to main bhi nahi janti hoon Acharya ki aage kya hone wala hai, ek sath Arjun in sabse kaise niptega aur nipat payega bhi ya nahi.
Acharya: Putri jis tarah ki ladki Sagar ko pasand hai us category mein Arjun ki teeno bahne(sisters) Nivetha, Krithi aur Anupama aati hain.
Queen: Aapne bilkul sahi kaha Acharya jis tarah ki ladki Sagar aur Salman college ke bahar wait kar rahe hain us category mein Arjun ki teeno bahne(sisters) Nivetha, Krithi aur Anupama hi hai.
Acharya: Putri Anupama khud ko dono se bacha sakti hai lekin yadi Krithi ya Nivetha, Sagar aur Salman ke hath aa gaye to bahut bura hone wala hai.
Queen: Ha Acharya aapne bilkul satya hi kaha hai aur main bhi isi baat ko lekar pareshan hoon, na to hum dono apne vachan ke anusar Arjun ki koi help karenge aur na hi aapka roop Kaal kuchh kar payega, kyonki Kaal sirf samne wale ko hi maar sakta hai jo abhi secret roop se Arjun ko protect karta hai aur sath hi Kaal ko na apne bare mein kuchh pata hai aur na hi Arjun ke bare mein pata hai.
Queen ne apni baat ko aage continue rakhte huye kaha.
Queen: Acharya yadi dono ladke Anupama ko le jate hain to thik hai warna anarth ho sakta hai.
Acharya: Aasha karo putri ki sab kuchh achha ho.
Queen: Ha Acharya hum sirf dekh hi sakte hain lekin koi bhi interfere nahi kar sakte hain, ye ladayi Arjun ko khud apne kabiliyat par ladni hogi.
Acharya: Thik hai putri ab mujhe jane ki permission do.
Queen: Jarur Acharya aapko meri permission hai.
Acharya, queen Srinidhi ke kamre se bahar nikal gaya.
[Acharya ke jate hi Srinidhi ne khud se kaha ek promise to main pahle hi tod chuki hoon Acharya, Arjun ki help kar par ab dubara nahi karungi.
Daniel abhi Arjun ko shoot nahi kar payega jab tak Arjun diamond City mein hai kyonki Daniel ke liye ek perfect location nahi hai abhi philhal ke liye.]
***
That's all for this update, hope you enjoyed some good time here. The update comprises 4.9k words.