- 3,887
- 7,893
- 144
Last edited:
Nice update....Update 97
LUCK FAVOURS
Recap: In the previous update humne padha tha Anupama ne kaise Sagar ke karmon(deeds) ka saja diya tha aur dusri taraf Rashi aur Krithi ne Arjun ke sath kuchh achhe pal ko enjoy kiya tha, jabki Daniel kab se Arjun ka wait kar raha tha nadi ke kinare aane ke liye, par 4 days gujar chuka tha lekin abhi tak Arjun nadi ke tat(kinara) par nahi gaya tha, Daniel ko vishwas tha ki ek din Arjun river ke bank par jarur aayega aur wo apne kaam ko anjaam de payega.
Now Next: >>>
[Evening of 6th day of the tour.]
Arjun, Rohan aur Amit teeno shaam ke wakt ek sath baithe tour ke bare mein baat kar rahe the.
Rohan: Arjun!!! bhai yahan kitna sukun hai aisa lagta hai ki yahin is jungle mein apna ek ghar bana kar yahin rahun, yahan koi pollution, koi responsibility aur koi chinta nahi sirf sukh ki anubhuti hoti hai.
Arjun: Bilkul sahi kaha tumne Rohan magar humne yahan dharti par janm liya hai to apni responsibility pura hi karna hoga.
Amit: Yes!!!! Bilkul sahi chhote bhai sabhi ko apna apna karm karna hi padta hai koi bhi isse bach nahi sakta hai.
Rohan: Arjun kya hum kal nadi ke tat par chale abhi tak hum wahan nahi gaye hain??
Amit: Par wahan jakar kya karoge Rohan, hum dono swimming jante hi nahi hain sirf Arjun hi janta hai??
Arjun: Bilkul right bhaiya.
Rohan: Arey chalo na chalte hain swimming nahi aati hai to kya hua, hum sirf nadi ke bahte huye jal-dhara ko enjoy karenge.
Amit: Arjun chalo Rohan ki baat maan lete hain ye itna force kar raha hai to iski wish puri kar dete hain.
Arjun: Thik hai bhaiya kal hum teeno nadi ki aur chalenge.
Rohan: Thik hai phir kal ka program pakka raha.
Arjun: Done! Your wish will be fulfilled.
Kajal Tent,
Time- 8:55 pm~
Kajal: Arjun kal tour ka last day hai kya tumne tour ko achhe se enjoy kiya??
Arjun: Yes my queen ye tour bahut hi yaadgar raha aur sabhi ke bare mein kuchh kuchh naya chij janne ko mila sath hi apne doston, didi aur apni love Kriti ke sath achha time spend hua.
Kajal: Thik hai pahle ghar chalte hain phir mere pass bahut sare sawal hain jinka jawab hume khojna hai aur mujhe tumse bhi kuchh janna hai.
Arjun: Thik hai chachi aapko jo bhi janna ho mujhse main jarur bataunga.
Kajal: Okay phir chalo sote hain kal phir jungle ke alag bhag ko dekhne chalna hai.
Arjun: Chachi kal Rohan, Amit bhaiya aur main hum teeno nadi ki aur ja rahe hain.
Kajal: Thik hai chale jana phir mujhe dusri aur jana hai.
Arjun: Okay!! Aap ja sakti hain.
Dono king aur queen ek dusre ki bahon mein so gaye.
***
[Next Morning]
Agali subah tour ka last day tha sabhi apne apne subah ke kaam se free ho gaye.
Sri Leela ke face par jahan six days se smile saji rahti thi aaj uske face par smile gayab thi, kyonki use pata tha ki wo ab Arjun ko sirf class room aur canteen mein hi dekh payegi.
Kriti: Kya hua Leela tumhara face sad kyon lag raha hai, aaj se pichhle six days tak to tumhare face par hamesha smile rahti thi phir aaj tumhare chehre par ye udasi kaisi hai???
[Kriti ne Leela ko udas dekhkar pareshan hote huye puchh liya.]
Sri Leela: Kuchh nahi didi yahan kitna achha lag raha tha, lekin aaj phir se hume wapas ghar jana padega.
[Leala ne apne dil ki baat ko chhupa liya aur baat ko dusri aur lekar chali gayi.]
Kriti: Ha mann to sabhi ka kuchh tumhare jaisa hi hai Leela, sabhi jungle ki khubsurti aur shant vatavaran mein itna kho gaye ki kisi ka dil nahi kar raha hai yahan se wapas ghar jane ka.
Sriya jo ab tak dono ka baat sun rahi thi bich mein Kriti ki baat ko support karte huye boli.
Sriya: You are right Kriti kisi ka dil nahi kar raha hai yahan se jane ka, par hume jana hi padega wapas apni purani jindagi mein.
***
Morning ka nastha kar Rohan, Amit aur Arjun chal pade jungle ki aur jahan Arjun ke liye khatra wait kar raha tha Daniel ke roop mein jo pichhle 6 days se Arjun ka wait kar raha tha nadi ke paar ki village ke ek chhoti si pahadi mein jiski height 700 meter thi.
Arjun, Amit aur Rohan teeno dhire dhire nadi ki aur pahuch rahe the finally 110 minutes paidal chalne ke baad jungle ke last chhor par pahuch gaye aur ab nadi ka kinara bas sirf kuchh hi kadam rah gaya tha.
Daniel ko achanak Arjun ka chehra najar aa gaya. Daniel count kar pa raha tha ki wah apne position se Arjun par target karta hai to bullet Arjun ko 7 seconds mein jakar hit karegi. Arjun ke thoda pichhe Rohan aur Rohan ke pichhe Amit chal kar aa raha tha. Daniel ke face par ek mysterious muskan thi kyonki jahan wo 3 km ki distance se Arjun ko apna nishana banane wala tha jisme uska accuracy 95% hota hai par abhi distance sirf 2 km hi tha matlab uski accuracy lagbhag % hoti aur Arjun ko ek hi shot mein maar sakta tha.
Daniel ko koi fark nahi padne wala tha ki bullet sirf Arjun ko nahi balki Arjun ke sath dusre ki bhi jaan le lagi.
Daniel ne Arjun par target focus kar bullet ko fire kar diya. Daniel ne bullet ko sabhi chije wind factor aur altitude ke sath sare factors ko carefully observe kiya tha. Bullet ki trajectory bilkul sahi ja rahi thi aur Arjun ko hit karne wali thi.
Bullet sidhe Arjun ki aur tezi ke sath badh rahi thi aur Arjun ko hit karne ke liye ab sirf 3 seconds baki rah gaya tha.
Rohan: Arjun bacho koi chij tumhari aur tezi se aa raha hai. Rohan ne jaise kaha ab sirf 2 seconds hi rah gaya tha, Arjun ka legs(per) fisla aur Arjun sidha nadi mein jakar gira, bullet sidhe Rohan aur Amit ko hit karne wali thi magar jaldi hi Rohan ne Amit aur khud ko bullet ki path se side kar liya jisse dono safe rah sake. Agar kuchh mili seconds Rohan ne late kiya hota to bullet Amit ki jaan le leti.
Bullet sidha jakar ek ped se penetrate ho gayi jo ped ke aar paar chali gayi, aap anuman laga sakte hain ki bullet ki speed kitni rahi hogi aur usme apne target ko damage karne ke liye kitna force raha hoga.
[Target missed]
App assume(kalpana karna) kar sakte hain ki bullet ki speed kitni rahi hogi jo ped ke aar paar chali gayi.
Amit aur Rohan niche jameen par laite huye the jabki Arjun 5 minutes se nadi ke andar hi tha, bahar nahi aaya tha.
Daniel ne apna target miss kar diya tha, lekin Daniel ko sabse jayada pareshan kar raha tha ki Arjun nadi mein gir pada wo to thik hai lekin pichhe wale ko bullet ke bare mein kaise pata chala aur dono bullet ke path se itni jaldi side kaise ho gaye.
***
Daniel ne Raghav ko call laga diya jise Raghav ne jaldi hi receive kar liya.
Raghav: Hello Daniel!
Daniel: Hello!!! target miss ho chuka hai Arjun nadi ke andar chala gaya hai 7 minutes se jayada ho gaya hai, lekin Arjun pani se bahar nahi aa raha hai aur uske pichhe two boys the unhe kaise pata chala bullet ke bare mein mujhe kuchh samajh nahi aa raha hai???
[Daniel ne apni pareshani vyakt karte huye Raghav se kaha.]
Raghav: Come back for now, ispe hum baad mein baat karte hain.
Daniel: Okay!! Raghav as you wish, I am coming back!!!
***
12 minutes ke baad Arjun nadi se bahar aaya jo Rohan aur Amit se lagbhag 150 meter ki duri par tha.
Arjun chal kar dono ke pass aaya.
Arjun: Rohan tumhe kaise pata chala ki koi chij meri aur tezi se aa rahi hai??
Rohan: I don't know sayad maine air(hawa) mein ho rahe vibration(kampan) ko feel kar liya tha.
[Arjun soch mein pad gaya ye kaise possible hai ye to Srinidhi, Arjun ko kaha karti thi ki apne vatavaran mein air ki vibration ko feel karo isse tum pata laga paoge ki tum par kisi ne hidden attack kiya hai. Kya iska matlab Rohan ke sapne mein Srinidhi aayi thi, how it can be possible?? Mere sapne mein jo aayi thi kya wo bhi Srinidhi thi, agar ha to phir uski aawaz Srinidhi se alag kyon thi?? Kya Srinidhi mujhse kuchh chuppa rahi thi aur wo two(2) logo ke sapne mein kaise aa sakti hai??]
Arjun ke mann mein kai sawal chal raha tha magar kisi ka bhi jawab Arjun ko nahi pata tha.
Arjun: Rohan ye attack hum par hua hai kisi ko bhi batana mat abhi sab pareshan ho jayenge, hum dono ghar jakar is topic par aaram se baat karte hain.
Rohan: As you wish Arjun!!!
Arjun: Bhaiya aap bhi ye baat kisi se na kahe.
Amit: Thik hai chhote bhai.
***
Sabhi ghar wapas aa chuke the time 7 pm ho raha tha.
Arjun: Okay! Rohan aur Rashi kal tum dono sharp 7 AM ko mere ghar aa jana.
Next Day
Kajal Home,
Time- 7:00 AM~
Arjun ke ghar Rashi aur Rohan dono time par aa chuke the sath hi Amika aur Anu bhi aa gayi thi, Arjun ne call kar unhe bhi aane ke liye bol diya tha. Krithi ko Arjun college se khud hi lekar aa gaya tha.
Rohan: Okay Arjun tumne mujhe aur Rashi ko yahan kyon bulaya hai???
Arjun: Mere mann mein kai sawal chal rahe hain Rohan jiska jawab main janna chahta hoon.
Kajal: Kaisa jawab Arjun??
Arjun: Chachi kal mujh par kisi sniper ne shoot kiya tha magar Rohan ne mujhe sachet kar diya, main janna chahta hoon ki Rohan ko kaise pata chal gaya bullet ke bare mein.
Ye tum kya kah rahe ho Arjun kal tum par kisi ne attack kiya tha aur tumne hume abhi tak bataya nahi, Rashmika ne pareshan aur narajgi dono ke mile jule bhav ke sath kaha. Yahi reaction Kajal, Rashi aur baki sabhi ka bhi tha.
Arjun: Mausi main sabko ek sath batana chahta tha aur kal time nahi tha isliye nahi bata paya.
[Chaliye sabhi garden mein abhi pata chal jayega ki maine aap sabko kisliye bulaya hai, Arjun ne sabhi se kaha.]
Sabhi ek sath garden mein the.
Arjun: Rashi main Rohan ke sath kuchh karne wala hoon, kya tumhe mujh par trust hai??
Rashi: Yes! Mujhe tum par utna hi bharosa hai jitna ki khud par aur Rohan par hai.
Arjun ne Rohan ki aankhon par ek kali(black) patti bandh diya.
Arjun: Rohan kya tum ready ho test ke liye??
Rohan: Yes, par mujhe karna kya hai Arjun ??
Arjun: Main tum par prahar karne wala hoon, tumhe mere vaar se bachna hai aur dhayan rahe main tumhare body ke jis hisse par vaar karunga usi part ko tumhe mere prahar se bachna hai, got it.
Rohan: Yes!!Par Arjun main khuli aankh se tumhare prahar se bach nahi paunga phir main band aankhon se tumhare vaar se kaise bach paunga??
[Rohan ne chinta bhare swar mein kaha aur Rohan ke sath sath baki log bhi Arjun ke decision se unke face par chinta ki lakir tha.]
Arjun: Aap sabhi mujh par trust kijiye main Rohan ko hurt nahi karunga.
Rohan: Okay I am ready, mujhe tum par bharosa hai ki tum mujhe koi bhi chot nahi doge.
***
Garden mein Rohan aur Arjun aamne samne the. Arjun stance lekar taiyar ho gaya Rohan par prahar karne ke liye.
Arjun ne apne right hand ke punch ko Rohan ke muh par nishana lagaya, Arjun ka punch Rohan ko hit karta usse pahle Rohan ka face Arjun ke line of Action se dur chala gaya aur Arjun ka prahar khali chala gaya.
Agli baar Arjun ne apne right punch ko Rohan ke chest par aur apne right kick se Rohan ke kandhe ko nishana banaya jise Rohan ne khud ko pichhe ki aur jhuka kar khud ko Arjun ke prahar se bacha liya.
Arjun ne jitna bhi prahar kiya ek bhi vaar Rohan ko hurt nahi kar paya har baar Rohan, Arjun ke vaar se bach gaya.
Rohan,Kajal, Rashmika, Rashi, Krithi, Anu aur Amika sabhi surprise the wahin Arjun ne jo socha tha same waisa hi hua.
Arjun: Amika suna hai tum knife se target ko bahut hi satik nishana lagati ho chalo aaj hum sab tumhare achuk nishana ko dekhna chahte hain.
Amika: Okay Arjun, mujhe kya karna hoga??
Arjun: Tumhe Rohan ko hit karna hai apne achuk vaar se.
Amika: What??????
[Amika ke sath sath sabhi surprise rah gaye Arjun ki baat se ki Arjun aisa kaise kar sakta hai, Rohan hamara dost hai enemy nahi.]
Rashi: Ye tum kya bol rahe ho Arjun, use chot lag sakti hai.
Arjun: Rashi just trust me, Rohan ko kuchh nahi hoga, agar tumhe mujh par belive nahi hai to main bhi Rohan ke pass khada rahunga yadi Rohan ko knife hit karne wali hogi to main Rohan ko protect karunga.
Rashi: Okay! Phir thik hai.
Arjun: Rohan aur Amika kya tum dono ready ho??
Both: Yes!!!
Rohan sabhi se 8 meter ke distance par khada ho gaya sath hi Arjun bhi Rohan ke pass khada ho gaya.
Amika ne apna pahla nishana Rohan ke left leg par lagaya jise Rohan ne apne left leg ko knife ki direction se dur kar diya aur vaar khali chala gaya.
Next time Amika ne Rohan ke right shoulder par nishana lagaya jise Rohan ne apne right shoulder ko left ki aur le aaya jisse knife Rohan ke right side se nikal gaya.
Ab sabhi ko bharosa ho gaya ki Rohan sabhi prahar se bach sakta hai.
Amika ne iske baad kai sare vaar kiye jise Rohan ne khali jane diya.
***
Arjun ne Rohan ki aankh se kali(black) patti hata diya.
Rashmika: Arjun ye kaise possible hai ki Rohan band aankhon se tumhare prahar se bach gaya aur knife ke vaar se bhi bach gaya??
Arjun: Mausi iska jawab mujhe nahi pata lekin jab mujh par attack hua tha to Rohan ko pahle hi pata chal gaya tha aur ye tabhi possible hua jab Rohan ke sapne mein ek ladki aayi thi.
Arjun: Rohan kya tum hum sabko apne sapne ke bare mein bata sakte ho??
Rohan: Sorry Arjun main kisi ko nahi bata sakta hoon.
Arjun: Koi baat nahi aaj tumhare test ke karan mujhe pata chal gaya hai ki wo ladki kaun hogi??
Rohan: Kaun????
Arjun: Srinidhi.
Rohan: Ye tum kaise kah sakte ho Arjun???
Arjun: Kyonki abhi tumne jo kiya hai wo Srinidhi bahut easily kar sakti hai aur Srinidhi ne hi mujhe ye sab chije sikhayi thi, magar mujhe ye sab sikhne mein pure two years lag gaye the.
Rohan: Phir main ye sab itna easily kaise kar pa raha hoon???
Arjun: Mujhe nahi pata usne mujhse bahut kuchh chhupaya hai lagta hai.
Kajal: Main sabhi ko ek raaz batana chahti hoon.
Rashmika: Kahiye didi??
Kajal: Anupama hum dono bahno se achhi fight kar sakti hai, tour ke 3rd night ko Anupama ne bade hi easily 5 logo se ek sath fight kiya tha aur use sab kuchh pahle hi pata tha aisa lagta hai, Anupama mujhse bhi jayada Arjun ke bare mein janti hai aisa lagta hai.
Kajal ki baat se sabhi ke face par aascharya ka bhav tha.
Krithi: Par mam ye kaise possible hai mujhe iske bare mein kyon nahi pata hai??
Kajal: Sayad wo sabhi se apna raaz chhupana chahti ho isliye hume nahi bataya.
Rashmika: I got it isliye maine birthday party wali night ko uske face par kuchh ajeeb dekha tha jo main samajh nahi pa rahi thi.
Arjun: Chachi par aapko kaise pata ki Anupama didi aap dono se achhi fight kar sakti hai aur mere bare mein aap dono se jayada janati hai???
Kajal: Kyonki uski fighting skill hum dono bahon se bahut hi shandar tha, usne jis ladke ka hath dislocate kiya tha use Anupama ne ye bola tha ki ab usko thik sirf teen koi hi kar sakta hai.
Arjun: Kaun kaun??
Kajal: Ek Anupama khud, dusra Anupama ka master aur tisra tum Arjun.
Arjun: Par Anupama didi ko kaise pata chala ki main us ladke ka hath thik kar sakta hoon???
Kajal: Yahi baat to mujhe tumse janna hai Arjun ki use pata kaise chala??
Arjun: I don't know chachi.
Kajal: Arjun tum ye batao kya tum aisa kar sakte ho jaisa Anupama ne kaha hai??
Arjun: Yes! I can do that.
Kajal: Aur ye tumne kaise sikha hai Arjun???
Arjun: Chachi ye sab mujhe Srinidhi ne sikhaya hai.
Kajal: Kaun hai ye Srinidhi jo hum sabke liye ek paheli ban gayi hai??
Arjun: Mujhe nahi pata chachi, Rohan ke sapne ke according wo Rohan ki bahan hai phir mere sath two years tak kyon rahi aur meri help karti rahi mujhe better banne mein, mere pass bhi bahut sawal hai par jawab ek bhi nahi hai.
Kajal: Okay! Let's leave this topic, kya Anupama ka master Kaal hai jo tumhe protect karta hai aur yadi wo Kaal hai to phir Anupama tumhe kyon hurt aur disrespect karti hai??
Arjun: Ye aap kaise kah sakti ho chachi ki Anupama ka master Kaal hai???
Kajal: Main sure nahi hoon Arjun par jaisa detail hume Jaggu ne Kaal ka diya tha waisa hi Anupama ke master ka uniform tha aur uski bhi sirf aankhen hi dikh rahi thi aur pichhe two swords latak raha tha.
Arjun: Abhi hum ye nahi kah sakte hain chachi par hamare pass sawal kai sare hain aur jawab ek bhi nahi hai.
Rashmika: Arjun kya jaise Rohan ko bullet ke bare mein pata chal gaya tha, kya tumhe bhi pata chal gaya tha??
Arjun: Yes!!! Ye training mujhe Srinidhi ne diya tha.
Rashi: Par Rohan ko kisi ne training nahi diya hai.
Kajal: Rohan kya tum iske bare mein kuchh bata sakte ho???
Rohan: Mujhe kuchh bhi pata nahi hai mam iske bare mein.
Rashmika: Okay, Rohan ke pass ye sab hona hamare liye koi khatre ki baat nahi hai par abhi sabse jayada important hai who attacked Arjun??
Anu: Right.
Amika: Right.
Arjun: Chachi main to sniper se khud ko protect kar lunga par sawal yahi hai kisi ne mujh par attack kyon kiya???
Kajal: Listen everybody jab tak hume sniper ke bare mein pata na chal jaye hume bahut hi careful rahna hoga.
Amika: Right. It is the best thing we can do.
Rashi: I also agree.
Rashi: Krithi didi aapne bataya tha ki Anupama didi ke phone par kisi private number se call aata hai, am I right??
Krithi: Yeah! Right.
Rashi: May be ki private number Anupama didi ke master ka ho.
Kajal: Anything can possible.
Krithi: Mam kya mujhe Anupama didi se puchhna chahiye???
Kajal: No! Anupama ne yadi tumse ye sab itne years se chhupa rakha hai to tumhe usse nahi puchhna chahiye, Anupama ke according use fight karte huye kisi ne nahi dekha hai jabki maine dekha hai.
Anupama jo bhi chhupa rahi hai wo khud hi hamare samne aa jayega, kyonki sach chhupaya nahi ja sakta hai ek na ek din sabke samne aa hi jata hai.
Anu: Absolutely right.
Arjun: Matlab chachi Anupama didi ko ye bhi pata hoga ki main Sagar aur Salman ke pass aane wala hoon, isliye Anupama didi ne us din dono ke sath kuchh bhi nahi kiya aur mere aane ka wait kiya tha.
Rashmika: Exactly! Smart girl.
Arjun: Okay aaj ka class khatam hota hai kal hum college mein milenge.
***
Rashi, Rohan, Amika aur Anu ghar chale gaye. Arjun ne Krithi ko hostel chhod diya.
Kajal Home
Time- 8:50 pm~
Arjun, Rashmika aur Kajal teeno Arjun ke bed par baithe the.
Arjun: Kya chachi jisne mujh par attack kiya usme Sriya mam ke husband ka hath ho sakta hai??
Kajal: Koi wajah??
Arjun: Yes, I fucked his wife and he knows kya wo shant rahega??
Rashmika: Yes, ye ho sakta hai.
Arjun: Chachi aapne mujhse kaha tha ki aapki bestfriend Shruti aapse thik se baat nahi kar rahi hai kya uske husband ko bhi mere aur Shruti ke bare mein pata chal gaya hai??
Rashmika: Right, ye bhi possible ho sakta hai, kyonki Shruti apne husband Raghav se kuchh bhi nahi chhupati hai.
Arjun: Phir hume Sriya mam ke husband Rajendra aur Shruti ke husband Raghav dono par jasoosi karni hogi.
Kajal: Aur ye hum karenge kaise???
Arjun: Mere pass ek plan hai??
Kajal: Kya??
Arjun: Rajendra par najar Akhil chacha ke dost inspector Vijay rakh sakte hain aur Raghav par jasoosi Shreya bhabhi ke husband Ranjit kar sakte hain.
Rashmika: Plan achha hai par kya ye dono shamil hain??
Arjun: Ye to nahi pata mausi hum sirf koshish hi kar sakte hain andhere mein tir(arrow) marne ki jab tak target hamare samne na ho??
Kajal: Okay, abhi philhal yahi karte hain.
***
Raghu Home
Previous Night
Time- 9:45 pm~
Raghav, Raghav ka dost Raghu aur Daniel teeno ek sath the.
Raghav: Ha Daniel bolo kya hua tha???
Daniel: Maine correct nishana lagaya tha, magar Arjun ka per(leg) sayad slip ho gaya tha aur wo nadi mein gir pada tha, lekin mujhe abhi bhi ek baat samajh nahi aa rahi hai ki Arjun ke pichhe two boys the ve kaise bach gaye???
Raghav: Dekho Daniel mujhe sirf Arjun ki maut chahiye baki kisi se matlab nahi hai, tum jitna jaldi ho sake ye kaam pura karne ki koshish karo, kyonki ve sab bhi hume khojne ke liye kuchh jarur karenge.
Daniel: Fikar na karo Raghav kismat ek baar sath deti hai baar baar sath nahi deta hai, agli baar jaise hi Arjun city ke bahar jayega uska last day hoga.
Raghav: Jaldi karo main uski maut dekhne ke liye tadap raha hoon.
Daniel: Jaldi kyon kabhi kabhi shikar easily hath nahi aata hai, bahut intezaar karna padta hai.
Raghu: Raghav, Daniel bilkul sahi kah raha hai hume patience rakhna hoga.
Raghav: Okay jisa tum dono kaho par main jald se jald apna badla pura karna chahta hoon.
Zinc City
Manikchand Home
Pichhle seven days se is ghar mein koi khush nahi tha. Wajah tha Sagar ka left hand jo dislocate ho gaya tha aur doctors ne apne hath khade kar diye the ki ve sab thik kar payenge. Sagar abhi tak painkillers ka use kar raha tha par doctors ne unhe jayada painkillers ki tablets lene se mana kar diya tha.
***
Manikchand: Salman wo kaun tha jisne mere Sagar ka ye haal kiya hai main use parlok pahucha dunga.
Salman: Ji ji dadaji wo koi ladka nahi ek ladki thi jisne Sagar ka ye haal kiya hai.
Manikchand: Ladki ka naam kya hai, sirf naam batao hum us ladki ko aisi saja denge ki wo apne ruh ko bhi pahchane se daregi ???
Salman: Ji ji dadaji us ladki ka naam nahi pata hai par ladki ne Sagar se ye kaha tha ki ab sirf Arjun hi uska hath thik kar sakta hai aur dusra koi nahi.
[Salman ke itna bolte hi Sagar ke dadaji Manikchand, Sagar ki maa Kalpana aur pita Dhanush ko umeed ki ek kiran najar aayi ki uska beta thik ho sakta hai.]
Manikchand: Ye Arjun kahan milega???
Salman: Ji dadaji wo ladka Arjun Vikramaditya Engineering college mein padhta hai.
Manikchand: Jao re aur ye launde Arjun ko utha kar le aao, agar aane se mana kare to jabardasti utha kar le lena.
[Manikchand ne apne logo se kaha unme se Manikchand ke two chief aadmi the jo Manikchad ke hukum par kuchh bhi kar sakte the aur kisi bhi had tak ja sakte the.]
1. Ballu: (Age: 53 years.)
{{{Isne aaj tak apne malik Manikchand ke kahne par na jane kitne hi logo ko maut ki neend sula diya hai aur apne malik ke liye na jane kitni hi ladkiyon aur aurte ko Manikchand ke samne pesh kar diya hai. Ye sirf apne garm dimag se kaam leta hai aur sabhi chij apne takat ke bal par hi karna chahta hai, ise apne takat par bahut hi ghamand hai. Height lagbhag 6 feet ki hai aur body bhi achhi hai.}}}
2. Kallu.(Age 50 years.)
[[[[Ye bhi Ballu ki tarah 6 feet height ka mota tagda vyakti hai jo apne malik ke kahne par kuchh bhi karne ke liye hamesha ek per(legs) par khada rahta hai. Ye Ballu se thoda alag isliye hai kyonki ye apne dimag se kaam leta hai aur Manikchand ko advice deta hai ki kya karna hai aur kya nahi karna hai.]]]]]
Ji ji hum abhi jate hain aur us launde Arjun ko lekar aate hain Ballu ne apne malik Manikchand se kaha.
***
Vikramaditya
Engineering College
Ballu aur Kallu apne apne panch aadmiyon ke sath Vikramaditya college ke gate par khade the.
Ballu: Gate kholo hume andar jana hai aur yahan ki dean Ramya madam se milna hai, hum ex- CM Manikchand ke aadmi hain.
Security guard: Aap jo bhi aap bina Ramya mam ke permission ke bina andar nahi ja sakte hain aur waise bhi abhi class chal rahi hai.
[Security guard ne itne logo ko ek sath jeep se utarte dekh kar kaha.]
Ballu ne apni jeb se ek chaku nikal kar security guard ke gardan par laga diya.
Security man: Tumhe kya lagta hai main tumhare darane se darr jaunga ye to tumhari sabse badi bhool hai, tum sab mujhe maar kar agar andar gaye to yaad rakhna, Ramya mam tum sabko kabhi bhi maaf nahi karne wali hai aur tab tum sab Ramya mam se baat karna to bhul hi jao wo waise logo se sakht nafrat karti hai jo rules ke khilaaf jate hain.
Security guard ne aage apni baat ko continue rakhte huye kaha.
Security guard: Aur tumne kya kaha tha ki tum sab ex-CM Manikchand ke aadmi ho, sayad tum sab jante nahi ho ki yahan CM Mahendra Agarwal ka beta Arjun isi college mein padhta hai aur uske dad Mahendra Agarwal ji bhi Ramya mam ke rules ko follow karte hain, unka respect karte hain to phir tum sab unke permission ke bina andar jane ki sochna bhi mat.
Ballu ne Arjun ka naam sunkar security guard ke gardan se apni chaku ko dur karte huye kaha.
Ballu: Achha ye Arjun sach mein CM sahab ka beta hai kya???
Security guard: Kyon tum mere jija ya sala ho jo main tum sabse majak karunga.
Kallu ne baat ko bigadte huye dekh kar kaha.
Kallu: Achha thik hai aap ek kaam kijiye aap Ramya madam ko jakar bata dijiye ki hum sab unse kuchh jaruri baat karna chahte hain.
[Kallu ne bade respect ke sath security guard se kaha, kyonki wo samajh Chuka tha ki yahan mamla kharab ho rahi hai.]
Security guard: Ye huyi na baat aise pyar aur respect se baat karo dhamki dene ka nahi aur main kisi ki dhamki de darta nahi phir chahe wo koi bhi kyon na ho, jab tak main galti nahi karta hoon.
[Security guard ne apne face par smile late huye kaha.]
Security man: Tum sab yahin bahar ruko main Ramya mam ko tum sabki khabar dekar aata hoon.
***
[Ramya mam cabin]
Security man: Madam kuchh aaye hain kahte hain ki wo sab ex-CM Manikchand ke aadmi hain aur aapse milna chahte hain.
Ramya: Thik hai Kishan jao aur unhe apne sath hi andar lekar aa jao.
Kishan: Ji madam abhi lekar aata hoon, sale sab mujhe pahle dara rahe the unhe laga tha main unse darr kar andar aane dunga.
Ramya: Good job Kishan! Tum bahut hi achhe se apni duty nibha rahe ho.
Kishan ne gate ka lock kholte huye kaha, chalo mere sath Ramya mam ne tum sabko aane ki permission de diya hai.
[Some Moments Later]
Kallu aur Ballu dono Ramya mam ke cabin mein the.
Ramya: Ha ji kahiye aap dono ko mujhse kya baat karni hai aur agli baar yahan kisi ko dhamki dene se pahle soch lena??
[Ramya mam ne dono se bade hi respect ke sath kaha.]
Kallu: Ji mera naam kallu hai aur iska naam Ballu hai, main baat ko ghuma phira kar na kahte huye sidhe mudde par aata hoon. Hum sab Arjun se milna chahte hain.
Ramya: Thik hai 20 minutes wait kijiye uska class over hone hi wala hai hum use yahan hi bula dete hain.
Kallu: Ji thik hai hum intezar karte hain.
[25 minutes Later]
Arjun, Ramya mam ke cabin mein tha.
Arjun: Ji mam kahiye aapne mujhe kyon bulaya??
Ramya: Arjun ye dono tumse kuchh baat karna chahte hain.
Arjun: Ji kahiye aap dono ko mujhse kya kahna hai??
Kallu: Yahan nahi chalo bahar chalte hain hume tumse kuchh important baat karni hai.
Arjun ne Ramya mam ki aur dekha, Ramya mam ne yes mein apni swikriti apni mundi(head) hila kar de diya.
Arjun: Okay!! Chalo bahar chalte hain.
***
Arjun: Ha boliye kya baat hai??
Kallu: Tum hamare sath chalo tumhare dad hamare malik Manikchand ke bahut achhe dost hain.
Arjun: Achha tum sab ex-CM ke aadmi ho.
Kallu: Ha tumne bilkul sahi samjha.
Arjun: Thik hai phir aap dad se hi baat kar lijiye main chhuti ke baad aap sabhi ke sath chalta hoon.
Kallu: Thik hai.
***
[After the College]
Kallu: Tumhare dad ne permission de diya hai aur tumhe information mil hi chuka hoga.
Arjun: Ha mujhe dad se permission mil gaya hai, Okay chalo hum khud aapke pichhe pichhe aa rahe hain, aapko pareshan hone ki jarurat nahi hai.
Arjun: Chachi main aur Rohan aa rahe hain aaj aap akele ghar chali jaiye.
Kajal: Thik hai jao par raat hone se pahle hi aa jana thik hai.
Arjun: Thik hai chachi aap fikar na karen main jald hi ghar laut aaunga.
***
Manikchand Home,
Time- 3:20 pm~~``¥^^
70 minutes ki driving ke baad Arjun ne bike ko Manikchand ke ghar ke pass roka.
Kallu: Chalo andar chalte hain.
Arjun: Chaliye.
Arjun aur Rohan dono ghar ke andar chale gaye. Ghar bahut hi aalishan bana hua tha.
Arjun aur Rohan dono Manikchand ke samne ek sofe par baithe huye the.
Arjun: Ha kahiye dadaji aapne mujhe kyon bulaya hai koi khas wajah aur yadi aapko mujhse milna tha to aapne mujhe bula liya hota inhe bhejne ki kyon jarurat pad gayi aapko???
Manikchand: Wo Arjun bete baat darasal ye hai ki hum nahi jante the ki mujhe tumse kaam hai.
Arjun: Thik hai phir kya baat hai ki aapko mujhse kaam pad gaya, aapka jo bhi kaam hai dad kar dete ya phir chacha ji se bol dete main bhala aapka kya kaam kar sakta hoon??
[Arjun ne na samajhne wali andaaz mein kaha.]
Manikchad: Wo Arjun bete baat ye hai ki main sidhe point par aata hoon. Sagar mera grandson hai jiske left hand ko kisi ladki ne dislocate kar diya hai, lekin us ladki ne ye bhi kaha tha ki ab sirf tum hi uska hath thik kar sakte ho.
Arjun: Maaf kijiye dadaji main Sagar ka hath thik kar sakta hoon, lekin usne meri bahan par buri najar daali hai, isliye I am sorry , I can't help you in this matter. Usne jo bhi kiya hai wo maafi ke layak nahi hai. Mujhe lagta hai ki us ladki ne Sagar ko isliye jinda chhod diya hai ki sayad wo ladki Kalpana aunty, Dhanush uncle aur aapke bare mein janta ho. Achha hua iski mulakat mujhse nahi huyi warna main iska aur bhi jayada bura haal kar deta.
Manikchand: Beta Arjun, Sagar ke hath thik kar do iske liye main tumhe wo dunga jo tum mujhse kahoge.
Arjun: Soch lijiye dadaji ki aap mujhe wo de doge.
[Arjun ne apne face par ek devil muskaan late huye kaha.]
Manikchand: Sochna kya hai Arjun beta tum maang kar dekh lo main wo chij tumhe jarur dunga jiski tum kaamna karoge.
Arjun: Thik hai phir mujhe Sagar ki dono aankhen chahiye jis aankh ne meri bahan par buri najar daala hai.
[[[[^^Arjun ki baat se Manikchand, Sagar ke pita Dhanush, uski maa Kalpana aur sabhi log shocked rah gaye par Rohan ke face par koi bhaav nahi tha, wo janta tha ki Arjun apni bahan par buri najar daalne wale ko itni easily maaf nahi kar sakta hai.^^]]]]
Manikchand kuchh der shoch mein rah gaya par kuchh bol na saka. Thode der baad usne phir se kaha.
Manikchand: Arjun beta par tum akele ho tumhari koi bahan nahi hai sirf ek chhota bhai hai Dhruv.
Arjun: Galat dadaji pahle meri koi bahan nahi tha, lekin college mein mujhe ek bahan mil gayi hai jo mujhse itna jayada pyar karti hai ki uski liye main kisi ki jaan pal bhar mein le sakta hoon aur jarurat padi to main uske liye apna sar ke 1000 tukdon mein kaat sakta hoon.
Arjun ki baat se aur koi bhi kuchh na bol paya, sab samajh gaye ki wo Sagar ko thik nahi karne wala hai.
Arjun: Thik hai ab aap sab mujhe jane ki permission dijiye main chalta hoon. Mujhe nahi pata tha ki Sagar aapke family ka hissa hai. Ho sake to Sagar ko ek achha insaan banaye aur ise apne karmon ki saja bhugatne dijiye.
Arjun aur Rohan dono bina kisi ki baat sune ki aage unka kya reaction hoga ghar se nikal pade.
[[[¥¥Planet: Plutonium¥¥]]]
Aacharya: Putri Arjun ne Manikchand ki baat na maan kar aage hone wali incidents(ghatna) ko nyota de diya, jahan pahle dono family ke relationship achhe the wo ab dhire dhire bigadti chali jayegi.
Queen: Ye to hona hi tha Aacharya, Manikchand ko ab apne bure karmon ko bhugatne ka sahi samay aa gaya hai.
Aacharya: Bilkul sahi putri Manikchand ko uske kiye ki saja bhogna hi pade sirf Arjun ko Manikchand ke galat kaam ke bare mein janne ki der hai aur ye bhi ki usi ne Arjun ke dadaji ka murder Kallu aur Ballu se karaya hai.
Queen: Ye bhi Arjun ko jald hi pata chalne wala hai Aacharya niyati apna khel khel rahi hai aur samay Manikchand ki viprit Sagar ke karmon ki saja ke sath start ho chuka hai.
Aacharya: Bilkul thik putri aur ab wo samay dur nahi lag raha hai jab Arjun aur tum phir se ek ho jaoge.
Queen: Main bhi usi pal ki pratiksha kar rahi hoon Aacharya jab mujhe meri aatma ek baar phir se mil jayegi.
***
That's all for this update, hope you enjoyed this. The update consists of 5.7k words.