• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Aapka sabse favourite female character?

  • Kajal

  • Rashmika

  • Anu

  • Kriti

  • Krithi

  • Rashi

  • Anupama

  • Sriya

  • Shivangi

  • Divya

  • Shreya

  • Nadhiya

  • Ravina

  • Nayanthara

  • Anushka

  • Trisha, Sri Leela, Hansika, Pooja, Amala, Twinkle

  • Seetha, Pavitra, Diviya, Keerthy

  • Ko

  • Ii

Results are only viewable after voting.

parkas

Well-Known Member
28,017
62,054
303
Update - 100th
THE VENGEANCE

Recap: In the previous update humne padha tha ki kuchh gundo se ladai ke samay accidentally Arjun aur Shivangi ka vivah ho gaya tha aur dusri taraf Rohit, Ranjan ki dead body ko lekar aaya tha jaise hi ye khabar sabko pata chali sabhi ki halat kharab ho gayi.

Now Next: >>>

Ranjit: Khud ko sambhalo Arjun yadi tum hi tut gaye to phir baki sab ka kya hoga, tumhe himmat se kaam lena hoga.

Arjun: Bhaiya kya isliye hum sabko itni raat mein ek sath bulaya gaya hai??

[Arjun ne nam aankhon se Rohit se puchha.]

Rohit: Ha Arjun yadi tumhari aisi halat hogi to tum apne hone wali biwi Kriti, apni sasu maa aur apne Shivangi bhabhi ka khayal kaise rakh paoge, isliye himmat se kaam lo ye samay pariksha ka hai tumhare vyaktitva ka hai ki tum kathin paristhithi mein khud ko kaise sambhal pate ho, mere bare mein socho yadi main tut gaya hota to main Ranjan ko akele yahan lekar aa bhi nahi paya hota???

***

“Mausi mausi uthiye na kya ho gaya hai aapko, Leela ne rote huye kaha jisse sabhi ka dhayan Ranjan ki maa Sithara ki aur gaya jo emotionless awastha mein chali gayi thi”.

Rohit: Dekh rahe ho Arjun abhi tumhari hone wali saas ka ye haal hai yadi tumne jaldi kuchh nahi kiya to jaldi hi Kriti aur Shivangi ka haal bhi aisa hi hoga aur jab Leela ki maa Trisha ko ye baat pata chalegi to uska bhi yahi haal hoga, sabko tumhe hi is dukh se bahar nikalna hoga. Aaj tumhari sabse kathin pariksha ki ghadi hai.

Arjun: Main kya karun Rohit bhaiya mujhe kuchh bhi samajh nahi aa raha hai??

Rohit: Pahle tum sabko jaldi hi yahan bula lo, kyonki Ranjan ne mujhse apni aakhiri sans lete waqt kaha tha ki uski bidai yatra mein sabhi uske sath ho.

Arjun: Leela mera ek kaam karogi??

Leela: Bolo Arjun aaj tumne pahli baar mujhse kuchh manga hai, main tumhe mana nahi kar sakti hoon, tum jo bhi kahoge main jarur karungi!!

[Leela ne kisi tarah apni baat ko purn kiya.]

Arjun: Tum mere phone se sabko call kar yahan bula lo aur unse kahna ki sabhi ko Arjun ne bulaya hai.

Leela: Thik hai Arjun jaisa tum kaho.

Leela, Arjun ka phone lekar ghar ke andar chali gayi.

[Inside The House]

[Phone Calls]

Leela: Hello Rohan tum sabko Arjun ne bulaya hai, maine location send kar diya hai jitna jaldi ho sake yahan aa jao.

***

Leela: Hello Krithi didi tumhare bhai ne aap dono bahno ko Kriti didi ke ghar bulaya hai, it's urgent to come as soon as possible.

***

Leela: Hello Nivetha aapko Arjun ne bulaya hai maine aapko location share kar diya hai aap Amit bhaiya ke sath aa jaiye abhi.

***

Leela: Mam it's I, Leela. Arjun called you, come here at Kriti didi home as soon as you come along with your whole family.

AD_4nXcXgO2XAsiokp90u1Agh33xP-fCJZh1aND9kMJPFgszSGt8M3s6V2r_HUUqhA1BkkkfW7a6nMl8_nyTnaaQe0mm6-_YAg20oRE1j-Mm8DtkYPDkP-xOnr4o9OfjFQWDPOgaCbClIQ=s320

Leela: Hello Amika!! I am Leela. come here Arjun called you and don't forget to bring your mother and bhabhi along with you.

Leela: Hello Sriya mam it's Leela. Come to meet your bestie. She is waiting for you. She needs you so come here as fast as possible.

Iron City
Trisha Home

*Tring* *Tring*

Trisha ka phone ring hua. Trisha ne call dekha jo new number se tha. Trisha ne call pick kar kaha.

Trisha: Hello kaun??

Sri Leela: Mom main bol rahi hoon.

Trisha: Bolo Leela kya baat hai aur ye number kiska hai, tum thik to ho na??

[Trisha ne fikr karte huye kaha.]

Leela: Mom ye number Arjun ka hai, mom Ranjan bhaiya ne aapko bulaya hai aap aur dad yahan aa jaiye??

Trisha: Thik hai Leela main subah aati hoon tumhare dad ke sath.

Leela: Nahi mom bhaiya subah chale jayenge aap dono jaldi se abhi aa jaiye, unhone aap dono ko abhi milne ke liye bulaya hai.

Trisha: Thik hai Leela main 1 ghante mein aa jaungi, par Ranjan aaya aur mujhe bataya nahi??

Leela: Mom unhe samay nahi mila batane ke liye, thik hai mom call rakhti hoon, bye.

Trisha: Bye.

[Call Disconnected]

***

“Mom mujhe maaf kar dijiye maine aapko satya nahi bataya. Aap jab yahan aaogi to aapko ek sath kai chije pata chalengi mom, par aapko himmat rakhna hoga nahi to Kriti didi ka dil tut jayega, yadi aapne Kriti didi se ye kaha ki main Arjun se pyar karti hoon. Par samay aisa ban gaya hai ki aapko bolne ka samay hi nahi milega aur aapko khud hi pata chal jayega ki Arjun aur Kriti didi dono ek dusre se pyar karte hain. Ye to kuchh bhi nahi mom par jis bete ke liye aapne ek aur bacche ka plan nahi kiya jab aapko pata chalega ki wahi beta aapka payara hum sabka jaan se jaan se payara Ranjan bhaiya hume chhod kar hum sabse bahut dur ja chuke hain jahan se koi laut kar nahi aata hai tab aapke dil mein kitna dard hoga main feel kar pa rahi hoon mom, Leela ne apni nam aankhon se apne mann mein kaha”.

***

Leela jo abhi tak khud ki aankh se aansu ki dhara rok kar sabse baat kar rahi thi ab khud ko rok na payi aur apne kamre mein akele jor jor se ro padi.

Leela: Bhaiya aap hume chhod kar kyon chale gaye, ek hi to bhai tha mera jise main rakhi bandhti thi, jaise main bhaiya kah pati thi, ab main kise apna bhai kahunga. Jiske liye main yahan aayi wo mujhe kabhi milega nahi par mujhe jayada dukh nahi hua kyonki wo meri badi bahan ko mil gaya, par aapka yu mujhe chhod kar chale jane mere dil ko kante ki tarah chubh rahi hai bhai, aisa lag raha hai jaise koi mere dil par kanta se chhed kar raha ho.

Leela ki aksmat heart ki rate increase hone lagi, lekin Leela ne jaldi hi khud ko sant kar kaha.

**Nahiiiiii**

Main aise nahi tut sakti hoon mujhe mausi, maa, bhabhi aur didi sabhi ko sambhalna hoga.

Leela ne apni aankh se bahte aansu ko saaf kar apna chehra pani se saaf kar liya aur bahar aa gayi.

[Outside The Home]

Arjun: Mom please uth jaiye main aapko aise nahi dekh sakta hoon, kuchh to boliye mom.

Sithara: No response!!!

Arjun: Mom please uth jaiye, kya ho gaya hai aapko mom??

Kajal: Arjun inki heartbeat continuously slow ho rahi hai, yadi aisa hi chalta raha to iski blood pressure dhire dhire bahut kam ho jayega aur ek samay aisa aayega jab ya to ye permanently coma mein chali jayegi ya phir mind ko uchit matra mein oxygen na milne ke karan inka brain ka cell dead ho jayega aur inki maut ho jayegi.

Arjun: Mom please uth jaiye aapne mujhe apna beta kaha hai, mom please uth jaiye.

Sithara: No response!!!

Arjun: Mom Ranjan bhaiya ne aap sabhi ki responsibility mujhe di hai please aap uth jaiye, kuchh to boliye mom, main unhe kya jawab dunga ki maine aap sabka khayal nahi rakha.

Sithara: ..... No response!!

Arjun: Mom yadi aap mere 3 count karne tak aap nahi uthi to main apne hath ki patti khol raha hoon. Aaj aapke dono bete ka ek sath death ho jayega.

Sithara: No response!!!

Arjun: 1...... 2.......3.

Arjun ne apne 3 tak ki counting pura kar liya par Sithara ne koi response nahi diya.

Arjun ne dhire dhire apne hath ki patti hata diya aur apne hath ko Sithara ke gaal ke upar rakh diya, kyonki jakhm abhi bhi taza tha isliye dhire dhire blood nikal kar Sithara ke gaal ko geela karne lagi.

Sithara jo sab kuchh apne aankhon se dekh pa rahi thi par kuchh response nahi kar pa rahi thi, na hi aankh se aansu nikal rahi thi aur na hi rone ki aawaz aa rahi thi yani ki wo sunya awastha mein chali gayi thi, sirf Sithara ke pulse rate dhire dhire drop ho raha tha. Jaise hi Sithara ke mind ko apne dusre bete ko khone ka darr dil aur dimag mein aaya.

*Nahiiiiiiiiii*

Sithara ki ek tez chikh pure vatavaran mein phail gayi.

Arjun: Mom please shant ho jaiye.

Abhi Arjun ne itna hi bola tha ki Kriti ke ghar ke paas ek sath kai gadiyan aakar ruki.

Ramya, Rohan aur Amika teeno ki family pahuch chuki thi.

Anupama aur Krithi, Nivetha aur Amit, Sriya aur uski saas sabhi ek sath pahuch gaye.

Arjun: Mom dekhiye Ranjan bhaiya ko sabhi vida karne aaye hain. Mom unhe aise dukhi hokar vida na kijiye unhe bilkul bhi achha nahi lagega ki unki maa ki aankh mein aansu ho, bhaiya mar kar bhi aapki aankh mein aansu nahi dekh sakte hain.

Arjun: Mom kya bhaiya kabhi aapki aankhon mein aansu dekhna chahte the??

Sithara: N-a-h-i n-a-h-i k-kabhi n-a-h-i usne hamare liye hamesha ghar se dur rahna chuna hic hic aur aur usne apni mausi ko bhi hamari help karne se mana kar diya, hic hic kyonki wah khud hamari dekh bhal karna chahta tha.

Arjun: Mom kya aap bhaiya ki aatma ko dukhi karna chahti hain aansu baha kar.

Sithara: Nahi nahi kabhi nahi.

Arjun: Mom phir aap please shant ho jaiye hum sabke liye, Kriti mam ke liye aur Shivangi ji ke liye bhi!!

Arjun: Oh!!! Kriti mam kahan hai wo kahin dikhayi nahi de rahi hai aur na hi Shivangi bhabhi kahin dikhayi de rahi hain??

AD_4nXexr183Uc3dprKBS1DDL923v34jRtaDIEsFlS7NMhuyGtV_QPT8Fd_xyC-s5yHpVLdXwaxPKJEQEfCuJ4QC59eCtnGKx77NbGIooRlCvCRAQVF8gegDmErBNDo2yfyjNQFCLJDW=s320

Kajal: Arjun dono ghar ke andar chale gaye hain, chinta na karo unke pichhe Rashmika aur Sara gayi hai unhe sambhalne ke liye.

Arjun: Mom jaldi se andar chaliye unki bhi halat kharab ho rahi hogi.

Sithara: Ye ye tumne kya kar liya Arjun maine apne pati, apne ek bete ko kho chuki hoon aur main tumhe nahi khona chahti hoon. Tumhe kuchh ho gaya to Kriti ka kya hoga??

Arjun: Mom phir aap hi apni saree ki patti bandh dijiye, pahle Kriti mam ne bandha tha aur ab aap bandh dijiye.

Sithara ne apni saree ke aanchal ko phad kar Arjun ke hathon mein bandhte huye kaha.

Sithara: Jao aur Kriti ko sambhalo, main thik hoon.

Arjun: Pakka na mom??

Sithara: Ha.

[[Kriti Room]]

Rashmika: Kriti shant ho jao.

Kriti: Kaise shant ho jaun mausi pahle papa chhod kar chale gaye aur ab bhaiya bhi hume chhod kar chale gaye???

Rashmika: Jivan isi ka naam hai Kriti jo hona rahta hai wo hokar rahta hai, hume usi ke sath jeena hota hai aur iske example tumne meri maa aur meri story ko sun chuki ho aur jara Shivangi ke bare mein socho jisne kabhi apni maa, baap aur family ka chehra nahi dekha hai aur hum dono bahno ne khud bhi apni maa ke alawa kisi ko nahi jante the jab tak ki Pavitra mausi nahi mil gayi.

[[Rashmika ne apni baat ko support karte huye aage kaha.]

AD_4nXfPev_x5SZQzq1KFN2FtLahsCZP71Kojx8cPukIJTjXlXJ8Zog_MxiRUxc_LgnlwFuitP9RrcZ5vrlw6BJYRYEwi0DODPDaqRG5yvwYgym4sE8C28LjmtJ59XkYKy8k4VuOi6SEuw=s320

Rashmika: Phir tum Mahatma Buddha ka principle kaise bhul gayi ki ye jiwan dukho ka ghar hai, jitna jayada kamna karoge utna hi jayada peeda hogi, isliye ye dukh tyag do. Main janti hoon ki ye samay bahut kathin hai par jaise kali raat ke baad surya ka uday hota hai thik usi tarah se dukh ke baad sukh ka aana nischit hai.

AD_4nXccKs0RKJA3Al0LXVPPknhzaHfkJC4Fq_Zol-FatsNJ0COsIheCXQkP_yzC1AI5Tup1HaeLD6k5n4cNSdMhsGNW2-AWaO_fcD9ZfmDlFnUxmMuRbCxS9Qc-cqb8VSEGwBR4HZgDKQ=s320

Kriti: Mausi bhaiya ki yaadon ko bhulna itna easy nahi hai.

Rashmika: Maine kabhi yaadon ko bhulane ke liye nahi kaha Kriti, maine sirf tumhe khud ko shant rahne ke liye kaha hai, kyonki tumhare ye aansu kabhi bhi tumhare bhaiya nahi dekh sakte hain, isliye apni aansu saaf karo aur apne bhai ko bida karo aur unki aatma ki shanti ke liye pray karo.

[Shivangi Room]

Jab Sithara ki halat kharab huyi to ek sath Kriti aur Shivangi dono apne apne kamre ki aur bhag gayi, Rashmika jahan Kriti ke paas chali gayi to wahin dusri taraf Shivangi ke pichhe pichhe Sara gayi.

Shivangi: Didi ye sab hamare sath hi kyon hota hai pahle hamare mata pita hume chhod kar chale gaye, phir aapke pati aapko chhod kar chale gaye phir mere pati ke death ke khabar milne se pahle hi mere sath Arjun ka wo incident jisse maine apne hi nanad ke hone wale pati ka pyar chhin liya.

Sara: Shant ho jao meri bahan jab hum kuchh khote hain tabhi hume kuchh aur milta hai thik usi tarah se jaise jab ek koi chij samapt hota hai to ek nayi chij ka janm hota hai, mujhe hi dekh lo mujhe pata tha ki ek din mere pati ki death ho jayegi phir bhi main apna karm kar rahi thi, jab tak mere pati jinda rahe maine unka dekh-bhal pure dil ke sath kiya.

Shivangi: Didi mujhe Ranjan ko khone ka jitna dukh hai utna hi dukh hai Arjun ko Kriti se alag karne ka.

Sara: Chhoti shant ho jao dekho jab tak tum khush thi, tab maine tumse thik se baat nahi kiya aur aaj tumhare dukh ne mujhe tumhare paas le aaya hai, chalo shant ho jao aur bahar chalo. Ye jivan aisa hi hota hai Shivangi kabhi phool to kabhi kante hamare jivan mein aate hain phir bhi jivan chalta rahta hai, yadi sabhi yahan apne kisi ki mrityu par sirf aansu bahate rahe to aansuon ka ek samandar ban jayega.

“Ab bahar chalo aur apne pati ko antim baar dekh lo, Sara ne Shivangi ki aankh se aansu saaf karte huye kaha”.

***

Jab Sara, Shivangi ko kamre se bahar lekar aayi thik usi samay Rashmika, Kriti ko uske kamre se bahar lekar aayi aur thik usi samay Arjun ghar ke andar dakhil hua.

Arjun saaf saaf dekh pa raha tha ki dono ki aankh se aansu bah kar dono ke kapde ko bhigo chuki hai, dono ki aankh ro rokar laal ho chuki hai. Arjun ko kuchh samajh nahi aaya ki dono se kya kahe.

Arjun: Mausi inhe lekar bahar chaliye kisi ne abhi tak bhaiya ko nahi dekha hai.

***

Bahar Rohan, Amit, Rohit, Suresh, Dinesh aur Ranjit ne Ranjan ki dead body ko bahar nikal liya.

Sabne Ranjan ki body dekhi jo unke samne bejan pada tha, kisi ko kuchh samajh hi nahi aa raha tha ki Ranjan ko kya hua tha!!

Kriti, Sriya apne best friend ko apne gale se laga kar ro padi.

Sriya: Kriti dekho tum akeli nahi ho dekho Ranjan ko bida karne ke liye kitne log aaye hain, Ranjan bahut hi khush-kismat hai jo use itna log bida karne aaye hain. Phir mrityu jivan ka ant nahi ek naye jivan ki shuruaat hai, kya pata Ranjan jaldi hi hamare paas kisi aur roop mein aa jaiye. Hume Ranjan ko bida karna hoga taki Ranjan ki aatma ki shanti mil sake.

***

Wahin Sithara ne jab apne bete ke bejan sharir ko dekha to uska ruh tak kamp gaya, koi maa ye kaise bardast kar pati ki wo jinda ho aur uska 26 years ka beta jiski nayi nayi shadi huyi ho wo use chhod kar usse dur chala gaya ho.

Sithara behosh hokar girne hi wali thi Kajal ne use apne ek hath se pakad liya.

Arjun: Leela jaldi se andar se pani lekar aao.

Sri Leela ka itna sunna ki tezi se ghar ke andar bhagi.

***

Arjun ne Sithara ke muh par pani mara, jisse wo hosh mein aa gayi.
Sithara, Kajal ko apne gale se laga kar phut phut kar rone lagi.

Arjun: Mom maine pahle bhi aapse kaha hai aur ab bhi kah raha hoon, main Ranjan bhaiya ki jagah kabhi bhi nahi le sakta hoon lekin main har wo kaam karunga jo Ranjan bhaiya aapke liye karte, main aapke liye Ranjan bhaiya ke jaisa banne ki koshish karunga.

Sithara: Hic-hic m- main j-jantiiii hoon ki t-tum mera aur hum sabka k-kh-khayal rakhoge par Ranjan mere paas laut kar kabhi nahi aa sakta hai Arjun.

Sithara aage kuchh bolne hi wali thi ki ek car ghar ke samne aakar ruki jisse Leela ki maa Trisha aur uske pita Jagdish gadi se utre aur dhire dhire chal kar sabhi ke najdik aane lage, jisse Leela ke heart ki speed badh gayi.

Jab Trisha ki najar ghar ke samne bahut sare gadiyan par padi aur rone ki aawaz suni to uska dil kisi anjane darr se bhar gaya.

Trisha apne ladkhadate kadam ke sath chal kar sabke paas aayi aur jaise hi uski najar samne nirjiv padi Ranjan par gayi apna hosh kho baithi aur dhadaam se jameen par gir kar behosh ho gayi.

Sabka dhayan Trisha ki aur gaya.

Arjun: Mom dekh rahi ho yadi aisa hi chalta raha to bilkul bhi achha nahi hoga, please mom shant ho jaiye.

***

Sree Leela ne jaldi se apne mom Trisha ke face par pani chidka jisse Trisha apne hosh mein aa gayi.

Leela: Mom please aisa na kijiye, jo pure City ko control karti hai aaj usi ki ye halat mujhse nahi dekha jayega mom. Main pahle hi bhaiya ko kho chuki hoon ab yadi aapko bhi kuchh ho gaya to main sah nahi paungi mom, isliye please mom aap shant ho jaiye main aapko aise nahi dekh sakti hoon.

***

“Ye sab kaise ho gaya didi, Trisha ne apni badi bahan Sithara ko apne gale se lagate huye kaha”.

Sithara: M-mujhe k-kuchh bhi n-n-na-nahi pata hai ch-chh-chhoti mujhe Arjun, Kriti aur Shivangi se pata chala tha ki Ranjan aa raha hai aur usne sabko milne bulaya hai main nahi janti thi ki wo hum sabse aise milna chahta hai.

Sara: Dekh rahi ho Shivangi kya ho raha hai yahan ab tum bhi shant ho jao aur apne mausi aur sasu maa ko sambhalo.

*Mausi ye kya ho gaya aapne jiske sath mujhe jivan bitane ke liye chuna tha wahi mujhe chhod kar chale gaye, Shivangi ne Trisha ko rote huye apne gale se lagate huye kaha”.

Shivangi: Mausi kya mere nasib mein akela hi rahna likha hua hai jo sab mujhe bich mein hi chhod kar chale jate hain, kya itne paap kiye the maine apne pichhle janam mein jo mujhe kisi ka sath nahi milta hai, kya main itni badnaseeb hoon.

Kajal: Chup ho jao Shivangi jara unke bare mein socho jinko pati ka sukh ek bhi din ke liye nahi milta hai, tumhare samne khadi hai meri mausi Pavitra jinke pati ki maut suhagrat ke samay hi ho gayi aur aaj tak vidhwa hai, samajh sakti ho wo kin paristhiti se gujar chuki hai.

Pavitra: Ha beti mujhe bhi aisa hi feel hua tha jab mere pati ki maut huyi thi, aaj wo sari ghatna mere aankhon ke samne najar aa rahi hai, jab mujhe kuchh bhi samajh nahi aa raha tha ki mujhe kya karna hai aur main apni bahan se dur ho gayi. Ek bahan se dur huyi to mujhe Ramya ke roop mein ek nayi bahan mil gayi. Yahi sach hai Shivangi beti jab hum kuchh khote hain to hume kuchh dusra chij mil jata hai, yahi nature ka niyam hai jo sab par lagu hota hai.

***

Arjun: Rohan sabhi taiyari ho gaya hai kya, mujhe jald se jald bhaiya ko yahan se lekar jana hoga??

Rohan: Ha Arjun sab kuchh ready ho gaya hai.

Arjun: Chachi aap aur mausi yahan sabka khayal rakhna main bhaiya ko lekar ja raha hoon.

Kajal: Thik hai Arjun jao main aur Rashmika yahan sab sambhalne ki koshish karungi, phir mere sath aur bhi log hain inhe sambhalne ke liye.

***

Arjun aur baki sab mil kar Ranjan ko lekar chale gaye.

***

“Mam mujhe maaf kar dijiye maine aapke sath bahut badtameezi ki hai, Anupama ne Kriti mam ki aankh se bahte aansu ko saaf karte huye kaha”.

Anupama: Main nahi janti hoon ki ye samay aapse maafi maangne ka hai ya nahi par aaj se main aapse kabhi bhi galat vyavhar nahi karunga, I am really very very sorry mam. Mujhe maaf kar dijiye.

[Anupama ne Kriti mam ki aankh se aansu saaf kar diya par khud ke aankh mein aansu aane se rok nahi payi.]

[Krithi aaj apni bahan ko pahli baar kisi se maafi maangte huye dekh rahi thi jo khud mein ek ajooba se kam nahi tha.]

Anupama ka ye vyavhar yadi kisi aur din hota to sayad Kriti, Anupama ko apne gale se laga kar maaf kar deti par aaj Kriti ne Anupama se kuchh na kaha sirf Anupama ki aankh se bahte aansu ko saaf kar diya jiska ek hi matlab tha ki Kriti ne Anupama ko maaf kar diya hai.

***

“Mam aaj se main aapko apna bhabhi swikar karti hoon, chahe kuchh bhi ho jaye main hamesha aapke sath khada rahunga, Krithi ne Kriti ko apne bahon mein bharte huye kaha”.

Krithi: Bhabhi dekhiye aapki favourite student aaj se aapki nanad huyi, please mere bhai ke liye shant ho jaiye. Yadi aapko kuchh ho gaya to mera bhai jinda nahi rahega aur yadi mere bhai ko kuchh ho gaya to main jinda nahi rahungi aur yadi mujhe kuchh ho gaya to Anupama didi jinda nahi rahegi, isliye aapko mere bhai ki kasam please aap aisa na kijiye aur shant ho jaiye.

Kriti jo Arjun se apni aatma ki gahrai se pyar karti thi wo apne premi ke kasam ke aage na chah kar bhi shant ho gayi.

***

“Ab aap bhi shant ho jaiye Shivangi ji aap ye bhi nahi bhul sakti ki aap vidhwa hone se pahle hi kuchh ghante pahle Arjun ki patni ban chuki hain, aapko aapke naye pati ki kasam yadi aap Arjun ki thodi si bhi respect karti hain to please shant ho jaiye, Anupama ne dhire se Shivangi ke kaan mein kaha”.

Shivangi bhi na chahte huye shant ho gayi magar dil ko kaun samjha sakta hai, Shivangi aur Kriti abhi bhi andar se ro rahi thi.

***

Leela: Mom aur mausi aap dono bhi shant ho jaiye kya mujhe bhai ke jane ka dukh nahi hai, maine bhi apne eklote bhai ko khoya hai par kya karun main ro bhi nahi sakti hoon, mujhe Arjun ne aap sabko sahi salamat rakhne ki responsibility jo diya hai.

Krithi: Main tumhare dukh ko samajh sakti hoon Leela ki apne eklote bhai ko khone se kaise lagta hoga, mujhe Arjun ko khone ka darr hi andar tak hila kar rakh deti hai, jab bhi aise khayal aata hai meri ruh bhi kanp jati hai.

Nivetha: Hum sab aapke sath hain mam, dekho aapko Arjun kya mila aapko itne family ek sath mil gayi hai. Aapko jab bhi jarurat hogi hum sab aapke sath khade rahenge.

Anu: Ha Kriti ji hum sab aapke sath khade rahenge jaise aaj khade hain.

Ramya: Ha Kriti shant ho jao aur apne bhaiya ke aatma ki shanti ke liye dua karo.

***

[[AT GRAVEYARD]]

Ranjan ki lash jal rahi thi, jo is baat ka sanket tha ki wo ab bahut dur ja chuka hai.

Sabhi agal bagal ek sath baithe the.

Arjun: Rohit bhaiya kya hua tha Ranjan bhaiya ke sath jo unhone pichhle 18 days se Shivangi bhabhi se baat nahi kiya tha??

Rohit: Abhi kuchh ghante pahle hi Ranjan ne Mumbai ke hospital mein apna dam toda hai Arjun.

Arjun: Kya hua tha Ranjan bhaiya ko aur Shivangi bhabhi ko kya pata tha Ranjan bhaiya ke bare mein jo unhe pahle hi aisa kuchh hone ki feel ho rahi thi??

Rohit: Shivangi ji ko bhi Ranjan bhaiya ke bare mein jayada pata nahi tha, par ha unhe sirf itna pata tha ki Ranjan ek underground fighter hai aur Ranjan ne Shivangi ko ye kaha tha ki uski death kabhi bhi ho sakti hai.

Arjun: Ranjan Bhaiya ki death kaise huyi Rohit bhaiya??

FLASHBACK,
**25 DAYS AGO**~

Malaysia ke ek underground ring mein fight chal rahi thi, mukabla aise 2 fighters ke bich tha jo world ke sabse best underground fighter the aur dono ne apni life mein ek bhi mukabla nahi hara tha.

  • Ranjan(**AKA DEVIL**): Ranjan pichhle ek saal se 20 fights se lagatar jitta aa raha tha, usne world ke sabhi best underground fighters ko haraya tha aur pure world mein DEVIL ke name se popular hua tha. DEVIL ka fight dekhne ke liye log tickets ko pahle hi book kar lete the, DEVIL ka jab bhi fight hota tha sabhi tickets bahut pahle hi sale ho jati thi, yahan tak ki log tickets ke liye double aur triple pay karte the. Log DEVIL ko kaphi pasand karte the wo sabhi ke dil mein raaz karta tha kyonki wo apne kisi bhi opponents ki jaan nahi leta tha, log Ranjan ke is vyaktitva ko kaphi pasand karte the. Aisa koi bada country nahi bacha tha jahan log DEVIL ko nahi jante the par underground fight ka ek rule ye bhi hai ki log fighter ke face ko bahar public nahi karte hain aur unki personal life mein koi interfere nahi karte hain.

  • Williams(THE BEAST): Ye bhi apna koi mukabla nahi hara tha, ye ek AMERICAN underground fighter hai jo bahut hi krur swabhav ka hai jo apne opponents par thoda sa bhi raham nahi karta hai aur use jaan se maar deta hai.

Dono ke bich ring mein kadi takkar ki ladai ho rahi thi par Ranjan aka DEVIL, Williams aka THE BEAST par bhari pad raha tha par sayad Williams ko apni haar bardast nahi ho pa rahi thi, isliye usne fight ke bich mein hi koi powder ka istemal kiya tha Ranjan par jisse kuchh minutes ke liye Ranjan ki eyesight chali gayi thi aur usne mauke ka fayda utha kar Ranjan ki backbone(reedh ki haddi ko tod diya) aur aaj Ranjan ki maut se ladte huye death ho gayi. Mere dost ne maut ko harane ki bahut koshish par nakamyab raha aur apne ant ko prapt hua.

**FLASHBACK ENDS**

Rohit: Bas yahi thi Ranjan ke maut ki kahani. Usne mujhe marne se pahle kaha tha ki jab uski antim yatra ho to uska pura parivar sath ho aur mujhe khushi hai ki mere dost ki ye wish puri ho gayi, balki maine jitna socha tha usse bhi jayada yahan itni raat mein Ranjan ke liye aaye hain, kitna khush-kismat hai mera dost jo use ye nasib hua, par mera mere dost ke alawa aur koi nahi tha aaj main uske jane ke baad anath ho gaya hoon Arjun, ab mera koi nahi hai jise main apna kah sakun aur jiske liye mujhe jine ki khawaish ho.

Arjun ko pata chalte hi ki uske bhai ki maut ek dhokhe ka karan huyi hai uski aankh gusse se laal hone lagi, nathune phulne aur pichakne laga, hath ki mutthi kasne lagi. Aisa lagne laga jaise wo apne krodh ki agni mein Williams ko jala kar bhasm kar dena chahta ho.

Arjun: Ye Williams kahan milega bhaiya, mujhe uski maut chahiye. I want to kill him myself.

[Main khud use maut dunga.]

Rohit: Ye tum kya bol rahe ho Arjun, tum hosh mein to ho, Williams ek pashu ke saman hai jo apne dushman ko jaise bhi chahe chhal ya bal se sirf maut deta hai. Pahle hi hum sab Ranjan ko kho chuke hain ab koi bhi tumhe nahi khona chahega.

Arjun: Mujhe kuchh nahi hoga bhaiya, aap sirf mujhe Williams kahan milega ye bata dijiye uska marna mere hi hathon likha hua hai lagta hai.

Rohit: Tum uski takat ko nahi jante ho Arjun isliye aisa bol rahe ho Williams aka THE BEAST koi sadak chalta hua insaan nahi hai jise jab chahe koi bhi maar sakta hai wo maut ka dusra naam hai.

Rohan: Rohit bhaiya ye aap isliye bol rahe ho ki aap Arjun ke bare mein kuchh bhi nahi jante ho, Arjun kya yadi Arjun ki permission ho to WILLIAMS ko main hi khatam kar sakta hoon par ye hak main Arjun se nahi chhin sakta hoon, ye jung Arjun ki hai aur use ye khud hi pura karega sirf main apne dost ke sath khada rahunga.

Arjun: Rohit bhaiya aaj se aap hamari family ho aaj ke baad phir kabhi dubara mat kahna ki aap anath ho, aaj se aur abhi se main aapki sabhi responsibility leta hoon jaise pahle Ranjan bhaiya ne liya tha.

Rohit: Tum thik waise hi baat kar rahe ho Arjun jaisa Ranjan kiya karta tha, main tum dono ko Williams ka pata jarur dunga lekin tum dono ko pahle ye proof karna hoga ki tum dono Williams aka *The Beast* ko jaan se maar sakte ho, nahi to phir Williams aka THE BEAST ko bhul jao.

Arjun: Thik hai bhaiya Ranjan bhaiya ka kaam pura hone ke baad Williams ko underground fight ke ring mein hi marna hoga jahan par wo khud ko sikandar samajhta hai aur apne aapko sabse bada samajh baitha hai. Main nahi janta hoon ki wo mujhse jayada powerful hai ya nahi par uska chhal hi use uski maut tak le jayega. Jis dhokhe ke sahare usne kai fighters ko maut di hai wahi dhokha uski khud ki jaan le lega, lekin wo samajhne ke liye jinda nahi rahega ki uska dhokha hi uski maut ka karan(cause) bana.

Arjun: I’ll give him fucking *death*. Aur tab hoga mera badla pura aur Ranjan bhaiya ke aatma ko shanti milegi ki uske chhote bhai ne uske maut ka inteqam le liya hai.

***

That's all for this update, the update comprises 4.9k words. Sorry guys ye update thoda late se aaya par main thoda busy tha. Hope ki aap sabko achha lage.Read from this link.
Bahut hi shaandar update diya hai dhalchandarun bhai....
Nice and lovely update....
 
dhparikh

Well-Known Member
10,311
11,915
228

Nice update....
 
  • Like
Reactions: dhalchandarun

dhalchandarun

[Death is the most beautiful thing]
4,421
8,849
144
Msst update bro
Kuch jyda h nhi h bolne ke lie
But ye h ki ab shivangi aur arjun ka new relation kese dekhe ge sb?
And ye chij h ki ab kya arjun underground fights se bch pae ga
Arjun nahi bacha to story ka the end ho jayega.
Hahaha 😂 😂 😂 😂 😂.
 
  • Like
  • Haha
Reactions: Neerav and parkas

dhalchandarun

[Death is the most beautiful thing]
4,421
8,849
144
Mera mtlb tha ki
Underground ki fights me jyda involve hua to
Wapis kese aye ga fights se
Jayada involve nahi karunga, abhi bahut sare scenes ek sath chal rahe hain.
 
  • Like
Reactions: Neerav
Top