• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Aapka sabse favourite female character?

  • Kajal

  • Rashmika

  • Anu

  • Kriti

  • Krithi

  • Rashi

  • Anupama

  • Sriya

  • Shivangi

  • Divya

  • Shreya

  • Nadhiya

  • Ravina

  • Nayanthara

  • Anushka

  • Trisha, Sri Leela, Hansika, Pooja, Amala, Twinkle

  • Seetha, Pavitra, Diviya, Keerthy

  • Ko

  • Ii

Results are only viewable after voting.

dhalchandarun

[Death is the most beautiful thing]
4,424
8,860
144
Besabari se intezaar kar rahe hai next update ka dhalchandarun bhai....
Complete ho gaya hai kuchh hi der mein aa jayega.
 
  • Like
Reactions: dhparikh and parkas

dhalchandarun

[Death is the most beautiful thing]
4,424
8,860
144
Update 102
[Something Else]
[An eye for an eye]

Recap: In the previous update humne padha tha ki Arjun ko Kalpana se apne dadaji ke katil aur Shivangi par jisne attack kiya tha uske bare mein pata chala tha sath hi Arjun ne Rohit ko proof diya tha ki wah WILLIAMS se fight mein jeet sakta hai, par aage kya hone wala hai ye to samay hi decide karega. Mumbai mein underground fight ke liye sirf 3 days hi bacha hua tha.

Now Next: >>>

Kajal Home,
2 Days Before Fight``¥

Sabhi sham mein Kajal ke ghar ke bahar garden mein practice ke baad baithe huye the aur apni aage aane wali chunautiyon ke bare mein soch rahe the.

images

Kajal: Arjun kya information mili inspector Vijay se??

Arjun: Chachi mujh par attack mein Sriya mam ke husband Rajendra ka koi hath nahi hai, Inspector Vijay ka kahna hai ki Rajendra sirf apne work pe focus kar raha hai jisse shoe company ka owner Vinod ab aur bhi jayada usse khush hai. Vijay uncle ne Rajendra ko hamesha hi carefully watch kiya hai aur abhi bhi kar rahe hain, par unhone(Rajendra) koi aisa kaam nahi kiya hai jis par doubt kiya ja sake.

Kajal: Hmmm.

images-2

Rashmika: Iska matlab hume Raghav par najar rakhni hogi.

Kajal: Sahi kaha tumne.

***
__________
_____________

Kajal ke ghar ke bahar sabhi Arjun, Rohit aur Rohan ko see off karne ke liye aaye the.

Rashi: Arjun aur Rohan tum dono ek dusre ka khayal rakhna. Tum dono sath ho to tumhari power badhti hai aur tum dono ek dusre ko complete karte ho.

images-3

Kriti: My love apne kaam mein safal hona yahi dua hai meri. Bhai ke katil ko uske kiye karmon ki saja aise dena ki uski aatma tak kanp uthe.

Sithara: Arjun beta tum hamare liye wo chirag ho jiske hone se hamare jeevan mein roshni hai aur na hone se sirf andhera, isliye apna khayal rakhna. Hum sabke liye tum jadu ki chirag ho.

“Arjun koi tumse milne ke liye tumhara intezar kar raha hai jo abhi dharti par aaya bhi nahi hai, isliye hum sabke paas wapas sakhushal laut aana, Shreya ne Arjun ka hath apne abdomen(pet) par rakhte huye Arjun se kaha”.

images-1

Anu: Arjun, you know you are my saviour, jo tum na hote to aaj main na hoti isliye sabhi ke liye sahi salamat wapas aana, yaad rakhna ki hum sab tumhare liye intezar kar rahe honge.

Dhruv: Bhaiya abhi mujhe aapke sath bahut khelna hai, abhi mujhe aapse fight bhi sikhna hai aapne mujhe promise kiya hai aapko apna promise pura karna hai.

Nadhiya: Arjun beta tum hume jine ki nayi wajah dete ho tumhare khush hone se sabhi khush hote hain aur tumhare dukhi hone se sabhi dukhi hote hain, jao aur apne bhai ka badla pura kar lautna yahi aashirwad hai mera.

Pavitra: Arjun tum sabhi bichhde huye family ka milan karane aaye ho, tumhe abhi bhi bahut kuchh karna hai abhi tumhe Shivangi ki family ko bhi khoj kar sabka milan karana hai, tum haar nahi sakte ho jao aur apne dushman ki aankh mein aankh daal kar uski chhati se khoon nikal kar aana.

Arjun: Leela tum mujhse kuchh nahi kahogi??

[Arjun ne Leela ki aankhon mein dekhte huye kaha.]

images-3

Sri Leela: Arjun tumhara jeevan hamesha khushi se bhara rahe yahi dua hai meri rab se, main LORD KRISHNA se pray karti hoon ki tumhare jeevan ke sabhi dukh mujhe mil jaye aur mere hisse ka sabhi khushi tumhe mil jaye.

[[Sri Leela ke ye kathan ne ek baar phir se Shivangi aur Kriti ko sochne ke liye majboor kar diya ki kya sach mein Leela, Arjun ko bhool chuki hai ya phir abhi bhi uske dil mein pyar zinda hai.]]

“Bhabhi kya aap mujhse kuchh nahi kahengi Arjun ne Shivangi se kaha”??

images

Shivangi: Mujhe kuchh samajh nahi aa raha hai Arjun main tumse kya kahun!??

Arjun: Kuchh na kahiye mujhe aapki aankhon ki ye aansu bayan kar rahi hai aapke dil ki halat, aap fikr na karen main aapko surakshit milunga.

Sara: Arjun ab ek baar phir se meri bahan ko wo dukh na dena jo abhi wo sab rahi hai.

images-4

Sriya: Arjun yaad hai na tumne mujhse picnic tour par kuchh promise kiya hai, tumhe wo pura karna hai aur sath hi abhi tumhe apni love Kriti aur Shivangi ko bahut sara pyar dena hai, jaise ab tak tum maut ko hara kar hamare sath ho waise hi WILLIAMS ko bhi maut dekar wapas aana.

“Bhai, tumne mujhe ek bhai ka pyar diya hai, kabhi kabhi mujhe aisa lagta hai jaise hum pahle bhi bhai bahan the jo kisi wajah se hum alag ho gaye hain, abhi mujhe apne bhai ko bahut sara pyar dena hai, Krithi ne Arjun ko apne gale se lagate huye kaha”.

Arjun: Nnnnnn bilkul nahi didi aise aapke aankh mein aansu achhe nahi lagte hain, wo aap hi ho jisne mujhe ek bahan ka pyar diya hai.

Arjun: Chachi aur mausi chalta hoon main, main janta hoon ki meri teeno mata ka aashirwad sada mere sath rahta hai jo mujhe kisi kavach ki tarah meri har khatre se raksha karti hai.

“Bilkul, dono ne Arjun ko apne gale se lagate huye kaha”.

***

Arjun: Ab aap sab mujhe jane ki permission dijiye.

Sabhi ne ha mein apni gardan hila diya.

***
_____
_________

Rohit, Rohan aur Arjun teeno ek sath nikla pade MUMBAI ke liye jahan kya hone wala tha kisi ko nahi pata tha.

[[Inside the Car]]

Rohit car driver kar raha tha, Rohan aur Arjun dono pichhe baithe huye the.

Rohan: Arjun, mere bhai whatever the situation comes I will always stand for you.

Arjun: I know.

Car apni constant speed se badh rahi thi, lagbhag 12 se 14 ghante ki driving thi.

Teeno hi bari bari se car ko drive kar rahe the aur thoda thoda ek dusre ko rest de rahe the.

***

Jab teeno MUMBAI pahuche to subah ho chuki thi aur ab fight ke liye sirf 1 din hi bacha hua tha.

Rohit, Arjun aur Rohan teeno fight se ek din pahle pahuch chuke the.

Rohit: Arjun maine fight organiser se baat kar liya hai bahut bahas baji ke baad tumhe ye fight ka mauka dene ke liye organiser ready ho gaya hai.

Arjun: Okay bhaiya ye ek achhi news hai.

Rohan: Hmmm.

_____
_______

Diamond City,
Some Hours Ago
Raghu House``¥

Raghav ne Daniel ko information de diya tha ki Arjun Mumbai ja raha hai.

Raghav: Tumhe Arjun ko jaan se marne ka perfect samay aur place mila hua hai, Mumbai tumhara apna area hai aur tumhe Mumbai se jayada perfect jagah aur nahi mil sakta hai Arjun ka kaam tamam karne ke liye.

Daniel: Thik hai Raghav baki ke money ready rakhna ye trip Arjun ka last trip hoga kyonki mere 2 dost Jack aur Morgan ek sath Arjun par attack karenge.

Raghav: I hope ki es baar tum fail nahi hoge tumne 2 baar Arjun ko jaan se marne ki koshish ki hai, par dono hi baar wo tumhare attack se safe raha hai, es baar tumhara last chance hoga yadi es baar bhi tum fail huye to mera tum par jo believe tha wo tut jayega aur mujhe kisi aur ki talash karni hogi.

Daniel: Pata nahi Raghav dono kaise mere attack se bach jate hain, dono ko kaise pata chal jata hai ki unhe bullet hit karne wali hai.

Raghav: Mujhe wo sab kuchh nahi pata hai, I want him that fucking bustard dead.

[Raghav ne phone par hi gusse se kaha, kyonki har badhte din ke sath Raghav ke dil mein Arjun ke liye gussa aur nafrat badhti hi ja rahi thi.]

Daniel: Okay! Yadi es baar bhi wo mere shot se bach gaya to yudh aamne samne ka hoga kisi ko marna hoga ye battle samapt hone ke liye.

Raghav: Thik hai ye tumhara last chance hoga.

[[Call Disconnected]]

________
__________

Ek baar to sabko pata hai ki Arjun par Daniel ka attack picnic tour par hua tha, par dusri baar kab hua tha. Let's go back in the past.

Some Days Ago
FLASHBACK

Arjun aur Rohan dono Manikchand ke ghar se wapas laut rahe the, jab dono ghar wapas laut rahe the tab DANIEL bhi dono se 2 km ki distance se chase kar raha tha. Daniel ki success rate 3 km ki distance par 95% thi wahin abhi Arjun aur Daniel ke bich ki duri sirf 2km thi matlab Daniel ka success rate almost 100 % tha.

Daniel ke face par ek smile thi ki wo es baar Arjun ko jaan se maar dega aur uska deal pura ho jayega.

Daniel ne apne sabhi factors ko dhayan mein rakhte huye Arjun par shoot kiya tha, aim bilkul perfect thi bullet dono ko hit karne hi wali thi ki Arjun ne bike ko thoda sa left ki aur mod diya jisse bullet dono ke right side se nikal gaya.

Ek baar aur Daniel ne shoot kiya par natija wahi hua dono Daniel ki shoot ko bahut hi easily escape kar gaye the.

Ye sab itna easily kaise ho pa raha tha, dono aasani se bullet ko kaise escape kar pa rahe the. Ye sab ka ek hi reason tha *Srinidhi* ek aur jahan Srinidhi ne Arjun ko uski intermediate college ke samay lagatar 2 years tak hawa(air) mein ho rahe halchal ko feel karne ki training di thi, wahin Srinidhi ke paas Rohan ke liye samay nahi tha isliye Rohan par apni power ka use kar Rohan ke sense organs ko bahut jyada active kar diya tha jisse Rohan bhi air mein ho rahe vibrations ko feel kar pata hai aur usne training ke samay aankh par patti hone ke bawajood bhi Arjun ke vaar ko easily escape kar liya tha.

Jab Raghav ko ye baat pata chali ki Arjun phir se bach gaya hai to uska gussa kaphi jayada badh gaya tha, par Raghu ke kahne ke karan usne Daniel ko last chance dene ka decision liya tha.

***
__________________________________________________________________

Jogender jo KAAL ka boss hai aur Anupama aur Krithi ke pita hain sath hi diamond City ke MLA hain, Kaal ne apne boss Jogender ko call kiya tha.

[[Phone Conversation]]

Jogender: Hello! Bolo Kaal kya khabar hai??

Kaal: Boss Arjun par aaj phir se kisi ne long distance se shoot kiya tha.

Jogender: Arjun safe hai ya nahi KAAL???

[Jogender ne fikr jahir karte huye Kaal se puchha, Jogender ke heart ki speed ek baar phir se abnormal ho gayi thi ki kisi ne uske bhanje par aaj ek baar phir se attack kiya hai aur Jogender ke darr ka sabse bada karan tha dushman ke bare mein pata na hona.]

Kaal: Ji boss Arjun thik hai, par mujhe lagta hai mujhe Arjun ko protect karne ki jarurat nahi hai.

Jogender: Tumhe aisa kyon lagta hai KAAL???

[Jogender ne surprise hote huye Kaal se puchh liya.]

Kaal: Ji Ji boss wo Arjun aur uska dost Rohan jitna simple dikhte hain utna hain nahi, kyonki jis tarah se main apne aas paas air mein ho rahe vibrations ko feel kar bullet ko dodge ya escape kar sakta hoon, usi tarah se dono bhi bullet ko easily escape kar jate hain. They are something else that we don't know about both of them.

Jogender: Jo bhi ho KAAL main apni bahan Raveena aur bhanje Arjun se dur hoon par mujhe dono ki safety chahiye, tum samajh rahe ho na main kya kahna chahta hoon.

Kaal: Thik hai boss main Arjun ke sath rahunga, main aapka dard feel kar sakta hoon aap apni hi bahan se dur ho aur sabhi ki nafrat aap akele akele jhel rahe ho, kaise kar lete ho boss aap itna!!??

[Kaal ne apne boss ke liye mann mein respect aur garv ke bhav se kaha.]

Jogender: Ye sab bahut easy hai KAAL, jab hum kisi se sacche dil se pyar karte hain to hum sabse pahle uski safety chahte hain phir chahe hume uske liye kuchh bhi karna pade hum kisi bhi had tak chale jate hain koi bhi limit cross kar jate hain, thik hai Kaal aur ek baat Anupama aur Krithi par bhi apni nazar banaye rakhna.

Kaal: Ji boss main dhayan rakhunga.

[[Call Disconnected]]

[[Kaal ko hamesha hi apne boss Jogender par garv hota rahta hai kyonki Jogender goodness ki definition hai, par kabhi bhi kisi ke samne show off nahi karta hai, apni patni Nayanthara ki narajgi jhelta rahta hai par kabhi apni patni ko kuchh nahi bolta hai. Jogender ke ye sabhi secrets sirf Anupama aur Kaal ko hi pata hai]]

***

[[Call disconnect hote hi Jogender ne apne mann mein kaha, mujhe maaf karna Raveena, Arjun aur Nivetha main chah kar bhi tum teeno ko nahi apna sakta hoon, jab tak hamara dushman khul kar samne nahi aa jata hai, main tum teeno se dur rah sakta hoon, apni patni Nayanthara ka nafrat jhel sakta hoon, bahan Raveena aur bhanje Arjun ke pyar se dur rah sakta hoon, mujhe apne patni ke bhai aur bhabhi ki beti Nivetha se dur rahna hi hoga jab tak sab kuchh hamare anukul na ho aur hamara dushman hamare samne na ho. Main tum sabhi ko sirf abhi ke liye safe hi dekhna chahta hoon.]]

Update 85 mein hum sabhi ne jana tha ki ek shaks Nivetha ke bare mein bol raha tha, mujhe maaf karna Pramod aur Swati main Nivetha ko chah kar bhi apne sine se laga nahi pa raha hoon, usse bol nahi pa raha hoon ki tum meri family ka hissa ho, tum mere patni ke bhai aur bhabhi ki beti ho, wo koi aur nahi balki Gajendra hi tha.

[FLASHBACK ENDS]

****
_______
__________

Mumbai Last Night
Before Fight
Daniel Hideout.

Daniel: Morgan aur Jack main Arjun ko 2 baar jaan se marne mein na kamyab ho chuka hoon, dono hi baar meri accuracy 100% thi phir bhi pata nahi kaise Arjun aur uska dost dono 2 baar mere shootout se bach gaye.

Daniel ne aage apni baat ko continue rakhte huye kaha.

Daniel: Es baar mujhe Raghav ne last chance diya hai Arjun ko jaan se marne ka, kya es baar hamara mission unsuccessful ho jayega, aaj tak hamara koi bhi mission fail nahi hua hai?? Hume Raghav se Arjun ki killing ke liye ek hefty amount mila hai 12 million rupees.

Jack: Don't worry Daniel ye trip Arjun aur uske dost ka last trip hoga, hamara mission na pahle kabhi fail hua hai aur na hi es baar fail hoga. Hum teeno ki ye mission bhi successful hoga.

Morgan: You are absolutely right Jack, we are going to attack them while going back.

[Jab ve sabhi wapas laut rahe honge tab hamara attack hoga un par.]

***
__________

Next Day
At Fighting Ring

Jab logo ko pata chala ki Williams fight mein participate karne wala hai to logo ne Williams ka fight dekhne ke liye double aur triple amount pay kar dekhne aaye huye the, kyon ki ye pahli baar tha jab WILLIAMS fight ke liye INDIA aaya tha aur jab se logo ko pata chala tha ki WILLIAMS AKA *THE BEAST* ne RANJAN AKA *THE DEVIL* ko hara diya hai tab se WILLIAMS logo ke bich aur bhi jyada popular ho gaya tha. Pura fight ring ke bahar ka area seat full tha aur bahut sare log terrace par se bhi show ko dekh rahe the jo ye bata raha tha ki log kis kadar se WILLIAMS ka fan ban chuke the.

Arjun, Rohan aur Rohit teeno hi yahan present the.

***
________
________________

Williams aur ek fighter mein ladai chal rahi thi jisme Williams apne opponents ko ek mauka diye bina hi apne name *THE BEAST* ki tarah hi kisi ghayal sher ki bhanti vaar kiye ja raha tha.

Samne wala opponents Williams par apna bhar pur punches aur kicks ka istemal kar raha tha par uska kicks aur punches itna strong nahi tha ki vo WILLIAMS *THE BEAST* ko koi lethal(ghatak) damage kar sake.

Last mein Williams ne apne samne wale opponents ki gardan ko tod diya aur aur uski maut ho gayi. Dono ke bich ka fight sirf 4 minutes mein hi samapt ho chuka tha.

Kai logo ke muh se ek hi sentence nikla. Oh fuck, ek aur Williams ke hath mara gaya, ye bhi kamjor nikla, fight mein koi maja hi nahi aaya, kash! Koi ek aisa fighter hota jo Williams ko ek tough challenge kar pata, jo hume thrill aur excitement deta.

*Williams* *Williams* *Williams*

Log *Williams* *Williams* name ki shor kar rahe the jo pure fight ring ke auditorium aur buildings mein gunj raha tha. Shor itna jyada tha ki logo ko dusra kuchh sunayi hi nahi de raha tha. Sirf ek cheez hi sunayi de raha tha WILLIAMS is the best. We love Williams. Nobody can beat WILLIAMS, HE IS UNANIMOUSLY UNDEFEATED. We love you Williams.

[WILLIAMS ko koi bhi nahi hara sakta hai, he is stronger than anyone's calibre.]

***

Rohit: Dekh raho ho Arjun log kis had tak Williams ka fan ban chuke hain, 40 days pahle yahi log *THE DEVIL* *THE DEVIL* ka shor karte, sabhi DEVIL ke liye pagal rahte the par aaj *Williams* *Williams* ka shor kar rahe hain, log sirf kamyab log ko hi yaad karte hain phir chahe ho jeet kisi tarah se bhi ho by *hook* or *crook*.

Arjun: Dekh raha hoon bhaiya aur sun bhi raha hoon. Log badi jaldi dusro ko bhul jate hain.

Rohan: Arjun sambhal kar dost, he is a fucking monster, uska har punch aur kick mein bahut jyada power hota hai, block karna thoda difficult ho sakta hai, try to dodge, slip and escape his moves and make him tired.

[Uske moves ko block karne ki bajaye uski moves se bachne ki koshish karna aur ho sake to use thakane ki koshish karna.]

Arjun: Yeah main apna dhyan rakhunga.

Rohan: Aur mere indication(sanket) par focus karna, jo humne plan banaya hai.

Arjun: Yes, main focus(dhyan) karunga.

Rohit: Get ready to pay him back what he gave us. Avenge the death of our brother.

(Ready ho jao use saja dene ke liye jo usne hume diya hai.)

Arjun ki aur se Rohit ke reply par koi jawab nahi aaya sirf Arjun ne ek smile kar diya jiska ek hi matlab tha, I am ready, main use maut ke alawa kuchh nahi dunga.

***

Williams: Is there anybody who dares to fight with me Who doesn't love his love!!??

[Koi hai jo mujhse fight karna chahta hai jise apni zindagi pyari nahi hai, jab logo ka shor band hua to fighting ring se Williams ki aawaz aayi, uski awaz mein ek ahankar ki gandh thi jaise wo bol raha ho ki wah invincible hai use koi nahi hara sakta hai.]]

“I will fight with you, ek ladke ki aawaz aayi”.

Sabhi ne ladke ki aur dekha, sabhi ke mann mein kai tarah ki baat chal rahi thi.

[[Oh fuck ek 18 se 20 saal ka ladka WILLIAMS AKA *THE BEAST* se fight karega, aaj ek aur naujawan ki jaan chali jayegi jisne abhi thik se duniya bhi nahi dekha hoga. Kya ye Williams se fight kar payega, kya karan hai ki ye fight ke liye ek monster se ready ho gaya. Logo ke mann mein bahut sare sawal uth rahe the jiska jawab unhe nahi pata tha sirf unhe itna pata tha ki bahut jald hi ye ladka bhi pahle wale opponents ki hi tarah mara jayega.]]

______
________
__________

Arjun dhire dhire kadmon ke sath chal kar fighting ring ke andar chala gaya, uske chehre par na hi smile thi aur na hi darr ki koi lakir uska ye roop kisi ko samajh nahi aa raha tha. Williams ko bhi Arjun ka reaction samajh nahi aa raha tha.

Williams: Who the hell are you, who doesn't love his life??

[Kaun ho tum jise apni zindagi pyari nahi hai!? Williams ne shock hote huye puchha.]

Arjun: I am your death.

[Main tumhari mrityu hoon.]

Arjun ka ye reply sirf Williams ko hi nahi balki sabhi logo ko ascharya mein daal raha tha.

***

“Kya sach mein ye ladka WILLIAMS ko jaan se maar dega, kisi ne ek dusre vyakti se kaha”.

“Pata nahi par uske chehre ke reaction aur uske reply se aisa lag raha hai jaise wo jo dikh raha hai waisa bilkul bhi nahi hai, he is something else that we don't know, samne wale ka reply aaya”.

“Kya pata aaj ye ladka hume ek tough fight dega”!!

“Dekhte hain dost kya hota hai, kya wakai mein ye ladka WILLIAMS ko maut de payega ya phir aaj Williams ke hathon mara jaayega”.

*Hahaha*

Williams ki ek tez hasi pure fighting ring mein gunj utha.

Williams: You kid, you are my death, it seems that you don't know me. I have killed hundreds of wolds’ best fighters and you are talking about my death, what a joke man!! I have never heard a joke better than this.

[Maine pure world ke 100 se bhi jyada fighters ko kill kiya hai aur tum mere hi maut ke bare mein baat kar rahe ho, achha majak kar lete ho.]

Arjun: Even you don't know me, I am the younger brother of Ranjan AKA *THE DEVIL*.

[[Arjun ka ye jawab sirf Williams ko hi nahi balki sabhi logo ko aur bhi jyada surprise kar raha tha, unke mann mein tarah tarah ke sawal uthne lage, kya ye ladka apne bhai ki maut ka badla lene aaya hai, kya ye ladka apne bhai jaisa powerful hoga, kya ye apne bhai ke maut ka badla pura kar payega. Par sab bekar kisi ko bhi kuchh bhi nahi pata tha jo aage hone wala tha.]]

***

Queen Srinidhi aur Acharya dono planet Plutonium se pahli baar Arjun ki fight dekh rahe the.

Acharya: Putri kya Arjun apna badla pura kar payega, mera mann Arjun ke liye chintit ho raha hai??

Srinidhi: Aap chinta na kare Acharya bas aap fight ko enjoy kijiye aur aage jo hoga usko dekhte rahiye.

***

_________
_____________

Williams: If You also want to die like your brother(Ranjan). Okay fine then, I will fulfill your desire. I will cherish your death like your elder brother.

[Yadi tum apne bhai ki hi tarah maut chahte ho to main tumhari ye wish pura kar dunga. Main tumhari maut bhi usi tarah enjoy karunga jaise maine tumhari bhai ke maut ko enjoy kiya tha.]

Arjun: Then what are you waiting for?? Fulfill your wish!!
(Phir kis liye intezar kar rahe ho, apna wish pura kar lo.)

***

Williams ne apne right hand ka punch Arjun ke face par mara jise Arjun ne tezi se apne face ko right side kar punch ko bekar kar diya, thik usi samay ek powerful kick Arjun ke chest par pada.

*Thud*

Arjun pichhe ki aur 1.5 meter dur jakar floor par gira, jise Arjun ki ek karah nikal gayi.

*Oh no no* ye bhi apne bhai ki tarah mara jayega lagta hai, kisi ek bande ne kaha.

Rohit: What is he doing!!!! Ye hamara plan ka part nahi hai.
(Rohit ne Rohan se kaha.)

Rohan: I don't know what he wants to do bhaiya.

***
Arjun floor ka sahara lekar phir se khada ho gaya aur chal kar WILLIAMS ke samne aakar khada ho gaya.

Williams: It seems you are much weaker than your brother, who can't handle my single kick.
(Lagta hai tum apne bhai se bhi jyada kamjor ho jo mere ek kick ko bhi handle nahi kar paye.)

Arjun ka badle mein koi reply nahi aaya, Williams ka ek ek punch Arjun ke face aur chest par pada, Arjun ne Williams ke face wale punch ko block kiya par chest wala punch tezi se use pada.

*Ahhhh*

Kai logo ke muh se ek sath dard bhari karah nikal gayi.

[Oh man ye apne bhai ke half powerful ke barabar nahi hai, fighting ring ke bahar ek vyakti ke muh se nikla.]

***

Arjun ne bina apne dard ki chinta kiye apne right hand punch se Williams ke face par aim lagaya jise Williams ne apne right hand ko cross kar block kar liya aur apne right kick se Arjun ke shoulder par ek side kick kiya jise Arjun ne tezi se dodge karna chaha par Williams ne apne kick ko bich mein hi rok liya aur Arjun ke chest par ek powerful kick pada.

Arjun pichhe floor par es baar 2 meter ki duri par jakar gira. Bhoomi ki satah kaphi hard thi jisse Arjun ne apne head ko floor par lagne se bacha liya.

Williams ne es baar Arjun ko koi mauka nahi diya aur tezi se Arjun ki aur daudta hua hawa mein chhalang laga kar apne dono ghutno ko fold karte huye Arjun ke chest par kudna chaha jaise hi Williams, Arjun se 30 cm upar tha Arjun tezi se apne right side move ho gaya.

*Thud*

Williams tezi se floor par apne dono ghutno ke bal gira, uske muh se bhi ek dard bhari karah nikal gayi. Isse pahle ki Williams kuchh samajh pata Arjun ka ek right punch uske right gardan par padi.

[[Sabhi logo ki excitement mein ek naya mod aa gaya tha Arjun ke es ek move se, logo ke mann mein ek pal ke liye vichar aaya he is the man who can give him a tough fight.]]

Arjun phir se ek baar apne chehre par bina kisi bhav ke khada tha aur Williams floor par pada hua tha.

Arjun: Stand up you so called the beast. I want to give you equal opportunity to fight.

Williams uth kar tezi se Arjun ki aur bhaga, Williams kuchh kar pata usse pahle hi Arjun ka ek forward kick uske ghutne par padta uske pahle hi Williams slip ho gaya aur Arjun ka forward kick waste chala gaya.

Williams tezi se Arjun ki aur bhaga Arjun ka ek punch Williams ke chest par pada par bina koi dard ki parwah kiye Williams ne Arjun ke gardan ko choke kar jaan se marna chaha, par isse pahle ki wo kamyab ho pata Arjun pichhe ki aur mud gaya aur Arjun ka right hand ke joint ka prahar Williams ke gardan par pada.

Move itna powerful tha ki Williams almost chakkar aane ki awastha mein chala gaya.

***

Arjun apni stance lekar apni position par khada raha.

Williams apni dono hath ko pichhe karte huye Arjun ki aur tezi se bhaga iske pahle ki Arjun kuchh kar pata kuchh powder ke bahut chhote chhote particles Arjun ki aankh mein chala gaya, jisse Arjun ki eyesight chali gayi.

Arjun kuchh karta usse pahle Williams ne Arjun ke chest par ek one inch punch aur ek side kick uske gaal par pada.

*Thud*

Arjun tezi se jameen par apne pith ke bal gira, par Arjun ne ensure kiya ki uska head bhoomi se takkar na ho. Arjun ke lips se kuchh blood nikal aaya.

Williams ke face par ek shaitani smile aa gayi. Williams ne tezi se Arjun ki aur hawa mein fly karta hua ek baar phir se apne dono ghutno ko fold karte huye Arjun ke pet par khud ko land karna chaha, par usse pahle ek baar phir se Arjun apni position se hat gaya aur natija wahi hua, Williams ka dono ghutna jameen par tezi se takraya jisse Williams ka ghutna kaphi hurt hota par usne apne ghutna ko safe rakhne ke liye pahle hi wahan par patti se bandh rakha tha, kyonki wo ye move bahut baar use karta tha jo sabse dangerous moves mein se ek hai.

Arjun floor par apne pairo(leg) par khada ho gaya, Arjun ko kuchh dikhayi nahi de raha tha jisse usne apne dono aankh band kar forward kick push ki stance liye khada ho gaya. Arjun ke dono hand ki hatheli khula hua tha aur sabhi fingers upar sky ki aur point kar raha tha.

[Logo ko samajh nahi aa raha tha ki Arjun ne apni dono aankh kyon band rakhi hai, par wahin Rohan aur Rohit ke face par smile thi, jiska matlab tha ab Williams ka game samapt karne ka waqt aa gaya hai.]]

Williams janta tha ki jaldi hi Arjun ki eyesight laut aayegi isse pahle ki Arjun ki eyesight laut aaye wo Arjun ko wo lethal chot dena chahta tha jisse wo Arjun ki jaan le sake aur fight ko samapt kiya ja sake.

Isliye Williams apne per(leg) par khada hokar dhire dhire Arjun ki aur badhne laga. Kisi ko Williams ki per ki chalne ki aawaz nahi aa rahi thi.

*Tuck* *Tuck* *Tuck*

Phir bhi pure shor gul mein Arjun, Williams ke per ki shoe ki sound ko sun pa raha tha jo dhire dhire uski aur badh rahi thi.

Williams samne aakar Arjun ke dono face par ek sath punch kiya sath hi apne right leg Arjun ke ghutne par waar karna chaha, par isse pahle ki Arjun ko uski punch hit karta Arjun ne apne face ko ek baar left aur ek baar right kar uske move ko khali jane diya aur apne right leg se uske kick ko block kar diya.

Aur tabhi Arjun ke kaan mein Rohan ki whistle ki sound aayi. Aur pahli baar Arjun ke face par smile aa gayi.
(Log hairan rah gaye ki uski aankh band hai phir bhi uske face par smile hai, kyon par kisi ko ek baar phir se kuchh bhi samajh nahi aaya.)

Williams kuchh samajh pata usse pahle hi,

*Ahhh* *ahhh*

Arjun ke dono hand ki middle finger Williams ke aankh mein jakar ghus gaya. Williams careless tha usne socha tha ki ab Arjun kuchh nahi kar sakta hai kuchh der ke liye aur yahi uski sabse badi galti sabit huyi.

Arjun ne tezi se apni dono finger ko bahar nikal liya.

[[Oh my fucking god, this is unbelievable, he has done a next to impossible done. It's pure insane. He is a monster. Aise hi reaction aur bhav sabhi logo ke dil mein uth raha tha. Par Rohit aur Rohan ke face ki smile aur bhi gahri ho gayi. Wahin Acharya aur Srinidhi ko bhi aisi scene ki aasha nahi thi, dono hi Arjun ke es move se aaschrya ho gaye. Ye pura pagalpan tha. Logo ne aaj se pahle kabhi aisa manzar nahi dekha tha jo abhi abhi hua tha, log es par believe nahi kar pa rahe the ki ek 18 se 20 saal ka ladka apni aankh band kar aisa kuchh kar sakta hai aur Williams ko hara sakta hai.]]

Williams ki aankh se khun ki dhara bah rahi thi. 5 minutes baad Arjun ki eyesight wapas laut aayi.

Aur tabhi Arjun ne Williams ke paas jakar bina samay waste kiye Arjun ne Williams ke dono shoulder ko apne ek hath se jhatka dekar aur punch kar dislocate kar diya, ye wahi move tha jo Anupama ne Sagar par kiya tha. Last mein Arjun ne apne hand aur kick ka use kar Williams ke ridh ki haddi ko tod diya jaisa Williams ne Ranjan ke sath kiya tha, aaj use wahi mila. Williams niche floor par dhadaam se gir pada.

“Who are you, who are you”. Who are you, what is your name”??

Logo ki aawaz aane lagi.

Rohit aur Rohan dono chal kar fighting ring mein aa gaye.

“You did it, you did it, Rohan ne kahte huye Arjun ko gale se laga liya, you killed the fucking bustard”.

Rohan: He is my best friend and younger brother of the *DEVIL* aur iska naam hai *KING THE DEVIL*

*KING THE DEVIL* *KING THE DEVIL*.

Logo ke muh se sirf yahi naam nikal raha tha. Kuchh minutes pahle jahan log sirf *WILLIAMS* *WILLIAMS* ka naam le rahe the wahin ab sirf *King the Devil* ka naam sunayi de raha tha.

You did it boy. You did it boy. Hats off to your courage young man, you have proved that you are the real brother of the DEVIL. YOU possess all the qualities of your brother even more than that of he.
(Tum apne bhai DEVIL ke sabhi quality rakhte ho aur yahan tak ki usse bhi jayada.)

Fight ka end ho chuka tha aur sabhi ki juban par sirf ek hi name tha *KING THE DEVIL*.

Sabhi log *King the Devil* ki naam ki jai ghosh karne lage.

[Hail of *King the Devil*]

“Jante ho friends hamara bhai Ranjan kyon mara gaya tha, Rohan ne sabhi se puchh”??

*Nahi* *no* nahi.

Logo ne jawab diya.

“Williams ne hamare bhai Ranjan par ek paste ka use kiya tha jisse Ranjan bhaiya ki eyesight chali gayi thi aur usne uska fayda utha kar Ranjan bhaiya ki jaan le liya tha, aaj usne mere dost par bhi same trick ka use kiya tha, isliye mere dost ne uski dono aankh phod diya, Rohan ne jawab diya, par Williams ko ye nahi pata tha ki mera dost bina aankh ke bhi fight kar sakta hai. Aaj Williams ki karni ne hi uska jaan le liya, ise kaha jata hai an eye for an eye(jaisi karni waisi bharni)”.

*Cheater* *cheater* He was a cheater. Williams is a cheater. Logo ke comments aane lage. Uske sath aisa hi hona chahiye tha, bilkul sahi kiya * King the Devil* ne. Williams ki wajah se humne ek achhe fighter ko kho diya aur pata nahi isne kitne fighter ki aise hi jaan le liya.

***

______
___________

Sabhi log apne apne ghar ja chuke the. Sabhi log ko aaj fight ka ek naya roop dekhne ko mila tha. Sabhi soch soch kar aaschrya mein the ki ek 18 se 20 saal ke ladke mein itna power aur skills hai aur yahan tak ki wo apni aankh band kar bhi fight kar sakta hai.

***

“Thanks ki aapne meri baat ko maan kar ise Williams se fight karne ka chance diya, Rohit ne fight organiser se kaha”.

Fight organiser: Tumhara bhi shukriya ki aaj iski wajah se ek monster ka ant hua, jisne kai achhe fighters ko apne chhal se maar diya.

Rohit: Okay! Ab hume jane ki permission dijiye.

Fight Organiser: Apne inaam ki amount to lete jao.

Rohan: Kitna amount!!??

Flight Organiser: 300 crore rupees.

Rohan: Oh my God! ek fight ke liye itna paisa!!
(Rohan ne aaschrya bhare bhav se kaha.)

Fight Organiser: Wo isliye dost kyonki Rohit ne Ranjan ki lifetime ki earning ko bet(dav) par lagaya tha, 50 crore rupees aur hum badle mein bet ka 6 times pay karte hain.

Rohit: Thik hai phir hum chalte hain.

***

Rohit, Arjun aur Rohan teeno 300 crore rupees liye wapas apne hotel laut aaye. Sham ho chuki thi, isliye teeno ne aaj raat hotel mein hi ruk kar subah wapas lautne ka plan kiya.

***

____________________________________________________________________

That's all for this update, hope ki aap sabko revenge aur fight dono pasand aaya hoga. The update comprises 5.8k words. Sath hi maine es update mein Arjun aur Nivetha ka kya rishta hai Anupama aur Krithi ke sath ye disclose kar diya hai. Sath hi agle update ka hint bhi es update mein de diya hai. Be happy friends till the next update comes.
 
Last edited:

ayush01111

Active Member
1,817
1,967
143
Maza agaya bahut badhiya update bhai

Williams: You kid, you are my death, it seems that you don't know me. I have killed hundreds of wolds’ best fighters and you are talking about my death, what a joke man!! I have never listened to a joke better than this.

[Maine pure world ke 100 se bhi jyada fighters ko kill kiya hai aur tum mere hi maut ke bare mein baat kar rahe ho, achha majak kar lete ho.]

Arjun: Even you don't know me, I am the younger brother of Ranjan AKA *THE DEVIL*.

[[Arjun ka ye jawab sirf Williams ko hi nahi balki sabhi logo ko aur bhi jyada surprise kar raha tha, unke mann mein tarah tarah ke sawal uthne lage, kya ye ladka apne bhai ki maut ka badla lene aaya hai, kya ye ladka apne bhai jaisa powerful hoga, kya ye apne bhai ke maut ka badla pura kar payega. Par sab bekar kisi ko bhi kuchh bhi nahi pata tha jo aage hone wala tha.]]

***

Queen Srinidhi aur Acharya dono planet Plutonium se pahli baar Arjun ki fight dekh rahe the.

Acharya: Putri kya Arjun apna badla pura kar payega, mera mann Arjun ke liye chintit ho raha hai??

Srinidhi: Aap chinta na kare Acharya bas aap fight ko enjoy kijiye aur aage jo hoga usko dekhte rahiye.

***

_________
_____________

Williams: If You also want to die like your brother(Ranjan). Okay fine then, I will fulfill your desire. I will cherish your death like your elder brother.

[Yadi tum apne bhai ki hi tarah maut chahte ho to main tumhari ye wish pura kar dunga. Main tumhari maut bhi usi tarah enjoy karunga jaise maine tumhari bhai ke maut ko enjoy kiya tha.]

Arjun: Then what are you waiting for?? Fulfill your wish!!
(Phir kis liye intezar kar rahe ho, apna wish pura kar lo.)

***

Williams ne apne right hand ka punch Arjun ke face par mara jise Arjun ne tezi se apne face ko right side kar punch ko bekar kar diya, thik usi samay ek powerful kick Arjun ke chest par pada.

*Thud*

Arjun pichhe ki aur 1.5 meter dur jakar floor par gira, jise Arjun ki ek karah nikal gayi.

*Oh no no* ye bhi apne bhai ki tarah mara jayega lagta hai, kisi ek bande ne kaha.

Rohit: What is he doing!!!! Ye hamara plan ka part nahi hai.
(Rohit ne Rohan se kaha.)

Rohan: I don't know what he wants to do bhaiya.

***
Arjun floor ka sahara lekar phir se khada ho gaya aur chal kar WILLIAMS ke samne aakar khada ho gaya.

Williams: It seems you are very weaker than your brother, who can't handle my single kick.
(Lagta hai tum apne bhai se bhi jyada kamjor ho jo mere ek kick ko bhi handle nahi kar paye.)

Arjun ka badle mein koi reply nahi aaya, Williams ka ek ek punch Arjun ke face aur chest par pada, Arjun ne Williams ke face wale punch ko block kiya par chest wala punch tezi se use pada.

*Ahhhh*

Kai logo ke muh se ek sath dard bhari karah nikal gayi.

[Oh man ye apne bhai ke half powerful ke barabar nahi hai, fighting ring ke bahar ek vyakti ke muh se nikla.]

***

Arjun ne bina apne dard ki chinta kiye apne right hand punch se Williams ke face par aim lagaya jise Williams ne apne right hand ko cross kar block kar liya aur apne right kick se Arjun ke shoulder par ek side kick kiya jise Arjun ne tezi se dodge karna chaha par Williams ne apne kick ko bich mein hi rok liya aur Arjun ke chest par ek powerful kick pada.

Arjun pichhe floor par es baar 2 meter ki duri par jakar gira. Bhoomi ki satah kaphi hard thi jisse Arjun ne apne head ko floor par lagne se bacha liya.

Williams ne es baar Arjun ko koi mauka nahi diya aur tezi se Arjun ki aur daudta hua hawa mein chhalang laga kar apne dono ghutno ko fold karte huye Arjun ke chest par kudna chaha jaise hi Williams, Arjun se 30 cm upar tha Arjun tezi se apne right side move ho gaya.

*Thud*

Williams tezi se floor par apne dono ghutno ke bal gira, uske muh se bhi ek dard bhari karah nikal gayi. Isse pahle ki Williams kuchh samajh pata Arjun ka ek right punch uske right gardan par padi.

[[Sabhi logo ki excitement mein ek naya mod aa gaya tha Arjun ke es ek move se, logo ke mann mein ek pal ke liye vichar aaya he is the man who can give him a tough fight.]]

Arjun phir se ek baar apne chehre par bina kisi bhav ke khada tha aur Williams floor par pada hua tha.

Arjun: Stand up you so called the beast. I want to give you equal opportunity to fight.

Williams uth kar tezi se Arjun ki aur bhaga, Williams kuchh kar pata usse pahle hi Arjun ka ek forward kick uske ghutne par padta uske pahle hi Williams slip ho gaya aur Arjun ka forward kick waste chala gaya.

Williams tezi se Arjun ki aur bhaga Arjun ka ek punch Williams ke chest par pada par bina koi dard ki parwah kiye Williams ne Arjun ke gardan ko choke kar jaan se marna chaha, par isse pahle ki wo kamyab ho pata Arjun pichhe ki aur mud gaya aur Arjun ka right hand ke joint ka prahar Williams ke gardan par pada.

Move itna powerful tha ki Williams almost chakkar aane ki awastha mein chala gaya.

***

Arjun apni stance lekar apni position par khada raha.

Williams apni dono hath ko pichhe karte huye Arjun ki aur tezi se bhaga iske pahle ki Arjun kuchh kar pata kuchh powder ke bahut chhote chhote particles Arjun ki aankh mein chala gaya, jisse Arjun ki eyesight chali gayi.

Arjun kuchh karta usse pahle Williams ne Arjun ke chest par ek one inch punch aur ek side kick uske gaal par pada.

*Thud*

Arjun tezi se jameen par apne pith ke bal gira, par Arjun ne assure kiya ki uska head bhoomi se takkar na ho. Arjun ke lips se kuchh blood nikal aaya.

Williams ke face par ek shaitani smile aa gayi. Williams ne tezi se Arjun ki aur hawa mein fly karta hua ek baar phir se apne dono ghutno ko fold karte huye Arjun ke pet par khud ko land karna chaha, par usse pahle ek baar phir se Arjun apni position se hat gaya aur natija wahi hua, Williams ka dono ghutna jameen par tezi se takraya jisse Williams ka ghutna kaphi hurt hota par usne apne ghutna ko safe rakhne ke liye pahle hi wahan par patti se bandh rakha tha, kyonki wo ye move bahut baar use karta tha jo sabse dangerous moves mein se ek hai.

Arjun floor par apne pairo(leg) par khada ho gaya, Arjun ko kuchh dikhayi nahi de raha tha jisse usne apne dono aankh band kar forward kick push ki stance liye khada ho gaya. Arjun ke dono hand ko hatheli khula hua tha aur sabhi fingers upar sky ki aur point kar raha tha.

[Logo ko samajh nahi aa raha tha ki Arjun ne apni dono aankh kyon band rakhi hai, par wahin Rohan aur Rohit ke face par smile thi, jiska matlab tha ab Williams ka game samapt karne ka waqt aa gaya hai.]]

Williams janta tha ki jaldi hi Arjun ki eyesight laut aayegi isse pahle ki Arjun ki eyesight laut aaye wo Arjun ko wo lethal chot dena chahta tha jisse wo Arjun ki jaan le sake aur fight ko samapt kiya ja sake.

Isliye Williams apne per(leg) par khada hokar dhire dhire Arjun ki aur badhne laga. Kisi ko Williams ki per ki chalne ki aawaz nahi aa rahi thi.

*Tuck* *Tuck* *Tuck*

Phir bhi pure shor gul mein Arjun, Williams ke per ki shoe ki sound ko sun pa raha tha jo dhire dhire uski aur badh rahi thi.

Williams samne aakar Arjun ke dono face par ek sath punch kiya sath hi apne right leg Arjun ke ghutne par waar karna chaha, par isse pahle ki Arjun ko uski punch hit karta Arjun ne apne face ko ek baar left aur ek baar light kar uske move ko khali jane diya aur apne right leg se uske kick ko block kar diya.

Rohan: Oh my gog ek fight ke liye itna paisa!!
(Rohan ne aaschrya bhare bhav se kaha.)

Fight Organiser: Wo isliye dost kyonki Rohit ne Ranjan ki lifetime ki earning ko bet(dav) par lagaya tha, 50 crore rupees aur hum badle mein reward ka 6 times pay karte hain.

Rohit: Thik hai phir hum chalte hain.

***

Rohit, Arjun aur Rohan teeno 300 crore rupees liye wapas apne hotel laut aaye. Sham ho chuki thi, isliye teeno ne aaj raat hotel mein hi ruk kar subah wapas lautne ka plan kiya.

***

____________________________________________________________________

That's all for this update, hope ki aap sabko revenge aur fight dono pasand aaya hoga. The update comprises 5.8k words. Sath hi maine es update mein Arjun aur Nivetha ka kya rishta hai Anupama aur Krithi ke sath ye disclose kar diya hai. Sath hi agle update ka hint bhi es update mein de diya hai. Be happy friends till the next update comes.

[/QUOTE
 
dhparikh

Well-Known Member
10,322
11,923
228

Nice update....
 
  • Like
Reactions: dhalchandarun

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
42,769
111,158
304

Shaandar jabardast Romanchak Update 👌 👌 🔥
Arjun ne Williams se badla le liya auruse use buri tarh se maut de diya .
Daniel ka agla waar kafi ghatak hogaa dekhte kaise nipatata hai 😊 😊
 
dhalchandarun

[Death is the most beautiful thing]
4,424
8,860
144
Besabari se intezaar kar rahe hai next update ka dhalchandarun bhai....
Update posted friends.
Nice update....

Excellent update waiting for next

Nice update bro

nice update

Waiting for the fight with William and Waiting for revenge with manikchand

Jabardast update

Nice update....

Mast update bhai

Bahut hi badhiya update diya hai dhalchandarun bhai....
Nice and beautiful update....

Msst update bro
Mzza Aya
Next level update
Fight ka intezar rhr ga

Fantastic update

Shaandar jabardast Romanchak Lovely Update 👌 👌 💓💓
Arjun ko Willliams se Fight ladkar Bhai ke maut ka badla lena hai 😏 😏
Ab use Dada ke maut ka sach aur unpe attack karne wale dono ke taar manikchad se jude rahe iske janch me kafi gade murde ukhdenge .
Sree Leela bhi Arjun ke prati pyaar ko bhulne ki jagah badhta jaa Raha hai 😘😘

Fantastic brother❤️

Bro i just read your story complete till now in the last two days. This is one of the best story i have ever read. Hats off to your imagination and thinking. Keep posting new posts and i will always be there to support you.

After reading the story i have really become a great fan of you and your story.

Fantastic update Bhai

Fantastic update Bhai

Nice update

Bahut hi mazedar update

Nice and superb update....

Super update

waiting for the next update....

Waiting for next excitement and update

Bhai sach bolu bahut sare part padhne padega phir se or ek baar shuru kiya to office ka kaam pending ho jata hai

Abhi yad nai aa raha hai...
Lagta phirse se ek bar read karna padega....

intezaar rahega....

Besabari se intezaar kar rahe hai next update ka dhalchandarun bhai....

Intzar rahega 😊

intezaar rahega....

intezaar rahega....
 
Top