• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Aapka sabse favourite female character?

  • Kajal

  • Rashmika

  • Anu

  • Kriti

  • Krithi

  • Rashi

  • Anupama

  • Sriya

  • Shivangi

  • Divya

  • Shreya

  • Nadhiya

  • Ravina

  • Nayanthara

  • Anushka

  • Trisha, Sri Leela, Hansika, Pooja, Amala, Twinkle

  • Seetha, Pavitra, Diviya, Keerthy

  • Ko

  • Ii

Results are only viewable after voting.

dhalchandarun

[Death is the most beautiful thing]
4,314
8,580
144
Srita ya phir Keerti
Sriya ke sath phir. Sayad update 104 ya 105 mein scene aa jayega ye update 103 complete ho gaya hai, isme Daniel, Jack aur Morgan ki fight hai Arjun aur uske group ke sath ye update complete ho hi chuka hai.

Sayad 11 baje raat tak aa jayega yadi mujhe neend nahi aaya to 3.9k words likh liya hai maine.
 
parkas

Well-Known Member
27,858
61,702
303
Sriya ke sath phir. Sayad update 104 ya 105 mein scene aa jayega ye update 103 complete ho gaya hai, isme Daniel, Jack aur Morgan ki fight hai Arjun aur uske group ke sath ye update complete ho hi chuka hai.

Sayad 11 baje raat tak aa jayega yadi mujhe neend nahi aaya to 3.9k words likh liya hai maine.
Besabari se intezaar rahega next update ka dhalchandarun bhai....
 
Iron Man

Try and fail. But never give up trying
42,399
109,607
304

Intzar hai 😊 😊
 
dhalchandarun

[Death is the most beautiful thing]
4,314
8,580
144
  • Like
Reactions: park

dhalchandarun

[Death is the most beautiful thing]
4,314
8,580
144
Update 103
Not This Time

Recap: In the previous update humne padha tha ki kaise Arjun ne apne bhai Ranjan ke katil ko uske kiye karmon ki saja diya tha. Arjun, Rohan aur Rohit teeno bet ki money lekar wapas hotel aa chuke the aur dusri taraf Daniel ne apne dono dost Jack aur Morgan ke sath mil kar Arjun ki killing ke liye koi plan banaya tha jo kal hone wala tha.

Now Next: >>>

At The Hotel Room
Time -9:30 pm |||||||||

Arjun, Rohan aur Rohit teeno dinner karne ke baad ek hi kamre mein baithe huye the.

Rohan: Tum kar kya rahe the Arjun hamara plan tha ki Williams ko ladai mein thakana hai aur tum usse fight mein ulajh gaye the, that was a bad idea!!??

Arjun: Yeah maine jo kiya wo hamare plan ka hissa nahi tha magar main ye dekhna chahta tha ki wo kitna powerful hai aur sath hi main Ranjan bhaiya ke dard ko feel karna chahta tha aur sath hi isse mera practice bhi ho raha tha khud ko dusre ke prahar ko jhelne ki.

Rohan: Par kuchh bhi kaho Williams tha ek dangerous aur powerful fighter sath hi ek aisa vyakti jo apni jeet ke liye kuchh bhi karne ke liye hamesha ready rahta tha, yadi wo hamare Ranjan bhaiya ki tarah ek true fighter hota to aaj wo zinda hota.

Arjun: Ha sale ki kick badi fast aur strong thi chest par laat badi jor ki padi thi abhi bhi chest par thoda thoda dard hai.

Rohit: Arjun tumne kisi ko abhi tak kyon nahi bataya hai ki tum apne maksad mein kamyab ho chuke ho!!??

Arjun: Main unhe ye khushi ghar jakar dena chahta hoon bhaiya, main sabhi ke face ka reaction aur happiness dekhna chahta hoon, yadi maine phone se ye khabar de diya to maine unke chehre ki khushi dekhne se vanchit rah jaunga.

Rohan: Bahut achha socha hai tumne dost, mujhe hamesha tum par proud feel hota hai, hamara rishta college mein kaise hua tha aur aaj kaise ho gaya hai.

Arjun: Sab time time ki baat hai Rohan, time hamesha badalta rahta hai.

Rohit: Arjun ab ye paise tumhare hain inka kya karna hai, ye responsibility main tumhe deta hoon.

Arjun: Nahi bhaiya ye paise mere kisi bhi kaam ki nahi hain, maine already soch rakha hai inka kya karna hai.

Rohit: Bahut achhe, aaj tumne sabhi ke bharose ka maan rakha hai, apne bhai ko sacchi tribute diya hai, tum ek nek dil insan ho Arjun. Tum bilkul apne bhai Ranjan ki hi tarah ho jisme Ranjan ki sabhi goodness(achhai) hai.

Rohan: Ab so jate hain subah jaldi nikalna bhi hai mujhe bahut joro ki neend aa rahi hai.

Arjun: Rest ki to mujhe bhi jarurat hai body ki relief ke liye.

Teeno ek hi kamre mein so gaye.

***

Mumbai
Daniel Hideout
Time - 9:47 pm|||

“Tum dono ne suna kuchh aaj fight mein kisi ne Williams aka *the beast* ko kisi ne jaan se maar diya, Morgan ne room ke andar aate huye Jack aur Daniel se kaha”.

Daniel: Ye kaise ho sakta hai es samay Williams pure world ka sabse dangerous aur powerful fighter tha aur uski maut yahan India mein ho jaye, ye impossible hai.

[Daniel ne shock se apna muh phade phade kaha, aisa hi reaction abhi kuchh Jack ke face par bhi tha.]

Morgan: Yahi sach hai dost maine khud jakar es baat ko confirm kiya hai ki kisi ne aaj fight mein Williams ka dono aankh phod diya aur jaan le liya.

Jack: Ab ye kaun aa gaya hai jo Williams se bhi jayada powerful hai, jiske bare mein hume nahi pata hai??

Morgan: Ye to mujhe bhi pata nahi dost, par ha mujhe itna pata chala ki uska name logo ke mukh se *King The Devil* suna hai.

Daniel: Arey chhodo Williams jiye ya mare hume kya, hume sirf bas apne mission par focus karna hai aur kal jab wo wapas laut raha hoga tab un par attack karna hai, yaad rahe ye hamara last chance hai. Mission ka fail hone ka matlab hai hamari jo pahchan bani huyi hai wo chali jayegi. Hamara jo respect hai sabhi ke dil se dhire dhire kam hone lagega.

Morgan: Fikr nahi karne ka dost kal wo launda Arjun ka last day hoga.

“Bilkul bilkul aisa hi hoga, Jack ne Morgan ki baat par apni sahmati jatate huye bola”.

Daniel: Chalo peg banao yaar bahut dino se tum dono ki company ko maine enjoy nahi kiya hai.

Waise hum dono Arjun par attack karenge tum bas Arjun ki car ki tyre ko puncture kar dena aur road par dur se hi nazar rakhna, Jack ne sabhi ke liye ek ek peg banate huye bola.

Daniel: Jaisa tum dono kaho par yaad rahe Arjun bhi ek fighter hai.

Morgan: Ha ha hume pata hai kitni baar hume bologe.

[Location Unknown]

“Boss pata hai aaj kisi ne hamare ek aadmi ka jaan le liya, ek vyakti ne apne samne baithe ek shaks se kaha”.

Kaun mara gaya aur kisne maar diya, samne wale shaks ne kaha.

“Boss ji ji wo kisi ne aaj Mumbai ke ek fight mein Williams ko jaan se badi hi berahmi se jaan se maar diya”.

Maine tumhe kitni baar kaha hai ki mujhe aise chhote chhote khabar mat diya karo, ek Williams gaya to kya hua uska jagah koi aur le lega, samne wale shaks ne vyakti ke sawal ka jawab diya.

Ji ji par boss isse pahle bhi hamare kai aadmi mare ja chuke hain, sabse pahle 2 saal pahle Iron City mein kisi ne hamare 2 log ko jaan se maar diya tha aur kuchh mahine pahle bhi hamare 2 log copper City mein mare ja chuke hain aur ab Mumbai mein bhi kisi ne Williams ko jaan se maar diya, vyakti ne samne baithe shaks se ek baar phir se kaha.

Shaks: Wo sab kamjor the jo mare gaye, mujhe aise kamjor logo ki koi jarurat nahi hai, mujhe sirf aur sirf usi se matlab hota hai jo hamesha vijeta hota hai aur yaad rahe jis din tum bhi apne kisi bhi mission par fail huye mujhe tumhari bhi koi jarurat nahi rah jayegi, got it.

Vyakti: Ji Ji boss main ye baat bahut achhe se janta hoon, kyonki wo main hi hoon jo aap ke bare mein sabse jyada janta hai.

Shaks: Good jao ab aur apna kaam dekho mujhe aise chhote chhote khabar mat diya karo.

Ji boss! Vyakti ne samne chair par baithe shaks se kaha aur kamre se bahar nikal gaya.

***
_______
__________________

Kajal Home
Time - 9:45 pm||

Kajal ke ghar sabhi maujood the. Kriti ki puri family Kajal ke ghar par hi tha sath hi sath Sriya aur uski saas Sukanya bhi maujood thi. Sabhi raat ka thoda bahut dinner kar baithe huye the aur Arjun ko hi yaad kar rahe the.

Kriti: Kajal mam Arjun ne hume abhi tak call nahi kiya hai jabki fight kabki samapt ho chuki hogi.

[Kriti ne Arjun ke liye chinta vyakti karte huye kaha.]

images-1

Kajal: Pata nahi Kriti, Arjun ya kisi aur ne abhi tak hume kyon call nahi kiya hai.

Kriti: Mam! Arjun thik to hoga na mujhe chinta ho rahi hai uski.

Kajal: Ha Kriti, Arjun bilkul safe hoga nahi to hum sabka dil bechaini aur darr se ghabra raha hota abhi es waqt.

Rashmika: Aapne bilkul sahi kaha didi, Arjun sahi salamat hai kyonki hum sabka dil abhi Arjun ke safe hone ki gawahi de raha hai.

Dhruv: Aap chinta na karen bhabhi Arjun bhaiya bilkul thik hoga.

Nadhiya: Achha tumhe kaise pata chhote prince??

Dhruv: Oh nani aap bhul kaise jati ho ki Arjun ne mujhe fight ki training dene ka promise kiya hai aur Arjun bhaiya apna promise kabhi bhi break nahi karte hain.

Sriya: Lagta hai chhote Dhruv ko kuchh jyada hi pata hai apne bhai ke bare mein.

Dhruv(Nods): Yes! He is my best buddy.

***

Next Morning

Arjun, Rohan aur Rohit teeno breakfast kar car se Mumbai se Karnatak Diamond City ke liye ravana ho gaye.

Car ek constant speed se chal rahi thi jahan aage inke liye ek badha ya yu kahun ki ek bahut bada khatra inka intezar kar rahi thi. Car Maharashtra state se nikal kar Karnataka State mein enter ho chuki thi aur abhi car ek viran area se gujar rahi thi ki, car ke back(pichhe) wale tyre ko aakar ek ke baad ek 3 bullets lagi jisse car unbalanced hoti chali gayi. Wo to kismat sahi raha ki Rohan ne car ko sambhal liya aur car ko koi bhi damage nahi hua.

Daniel ne apne target ko 2.5 km ki distance se bahut hi satik hit kiya tha.

Teeno gadi se bahar nikle hi the ki inke samne 2 vyakti Jack aur Morgan teeno ke samne aakar khade ho gaye.

***

Dono vyakti Jack aur Morgan apne shikar Arjun ko hi ghur rahe the, jaise ek lion apne shikar ko shikar se pahle ghur ghur kar dekhta hai.

Rohan: Arjun lagta hai ye dono ko tumse bada prem hai jo tumhe hi itne prem se dekh rahe hain, sala mujhe bhi koi itna prem se dekh leta.

[Rohan ne Arjun ki aur dekh kar smile karte huye kaha.]

Arjun: Lagta to kuchh aisa hi hai dost jaise ye aaj mujhe jinda nahi chhodne wale hain.

(Arjun ne bhi badle mein smile karte huye kaha.)

Rohit: Tum dono to Jack aur Morgan ho na tum dono yahan Kerala mein kya kar rahe ho aur tumhara tisra sathi Daniel kahan hai wo kahin dikhayi nahi de raha hai!??

[Rohit ne phir se kuchh sochte huye kaha, oh matlab ab samjha hamare gadi par bullet Daniel ne hi chalaya hai, maine thik kaha na.]

T-tum itna sab kaise jante ho hamare bare mein aur tumhe ye bhi pata hai ki bullet Daniel ne fire kiya hai.
(Morgan ne haklate huye apni baat pura kiya.)

“Ye janna tumhare liye important nahi ki main kaise janta hoon, Rohit ne Morgan se kaha”.

Jack: Phir to tum ye bhi jante hoge ki aaj tak hamara koi bhi mission fail nahi hua hai aur aaj ka bhi hamara mission fail nahi hoga, already ye 2 baar Daniel ke shoot se bach gaya hai aur es baar hume last chance mila hai, aaj Arjun ka marna nischit ho chuka hai. Aaj ye hum dono se zinda bach kar nahi ja payega aur na hi tum dono ja paoge.

Rohan: Thik hai thik hai bhai Arjun ko jaan se maar lena usse pahle hamari ek wish puri kar do, kahte hain ki marne wale ki last wish puri ki jati hai, bolo hamari wish pura karoge??

Morgan: Bolo kya wish hai tumhari yadi hum kar sake to kar denge tum sab bhi marne ke baad hume yaad rakhoge ki hum dono ne tum sabki last wish pura kar diya??

Rohan: Meri wish hai ki tum hume sirf ye bata do ki Arjun ko tum log kyon jaan se marna chahte ho, kisne tumhe Arjun ko jaan se marne ke liye bheja hai??

Jack: Ye hamare rule ke khilaf hai hum kisi ko nahi batate ki kisne hume mission diya hai phir chahe hamari jaan hi kyon na chali jaye, isliye hume maaf karna hum tumhari ye wish puri nahi kar sakte hain.

[Lekin mujhe ye baat baar baar pareshan karti hai ki tum dono Daniel se bach kaise gaye, aaj tak Daniel kabhi bhi apne target ko hit karne mein fail nahi hua tha, aaj tak uska sabhi mission 100% successful raha hai.]

Rohan: This is not important for you to know, tum sirf apna kaam karo jo karne aaye ho kyonki mujhe pata hai tum dono hume kuchh bhi nahi batane wale ho.

Rohit: Arjun, Jack ko mere hawale kar do, main use handle kar lunga tum Morgan ko sambhal lena.

Arjun: Thik hai bhaiya jaisa aap kaho.

Rohan: Arey mujhe bhi to kisi ko marne ka mauka do, ya sirf main show hi dekhta rahun!??

Morgan: Tum teeno hamare bare mein jaan kar bhi aise baat kar rahe ho, tumhe lagta hai ki tum hum dono ko jaan se maar sakte ho, we are best in our work. We have completed several missions like this before without any failure.

Rohit: Thik hai tum best hi raho khud mein par tum dono hume itni easily maar sako ye bhi possible nahi hai, hum bhi thoda fight kar lete hain.
(Rohit ne ek kamini muskan ke sath Morgan ki aankh mein aankh daal kar bola.)

Arjun jakar Morgan ki aur khada ho gaya jabki Rohit, Jack ke samne khada ho gaya.

Yadi kisi ko meri help chahiye to mujhe pukar lena main help karne se mana nahi karunga, pichhe kahade Rohan ne dono se smile karte huye kaha.

Rohit: Thik hai Rohan par inhe bhi barabar ka mauka milna chahiye isliye tum fight se dur hi rahna ye muqabla 2 vs 2 ka hi hoga.

Rohan: Thik hai Rohit bhaiya jaisa aap kaho. Par inka tisra sathi Daniel kahan hai??

Rohit: Wo ek sniper shooter hai Rohan, wo kahin dur khada ye sab dekh raha hoga ya phir wo Mumbai se hamara pichha kar raha hoga aur ye dono hamara yahan par wait kar rahe honge.

Jack: Right Daniel ye sunischit karega ki hamare bich koi na aaye, isliye wo sabhi par nigrani rakh raha hoga.

***
_______
_________

[[Arjun Vs Morgan]]

Arjun aur Morgan dono hi ek dusre ke samne khade the dono hi ek dusre ki aankh mein aankh daal kar ek dusre ko dekh rahe the.

Arjun: Ab fight karoge bhi ya yuhi mujhe ghurte rahoge??

____

Morgan ne Arjun par tezi se apne right hand ki mutthi ko band karte huye Arjun ke chest par mara jise Arjun ne apne left hand se block kiya aur apne right kick se Morgan ki knee par waar kiya jise Morgan ne tezi se apne apne leg ko hawa mein 90° turn kar block kar liya dono ke leg aapas mein bhid gayi.

Arjun ne Morgan ke right hand ko chhod kar us par apne right hand ka punch mara jise Morgan ne badi easily apne left hand ko cross kar block kar liya aur tezi se apne head ko Arjun ke face par de mara.

Arjun sambhal pata ki usse pahle hi ek kick Arjun ke chest par pada jisse Arjun pichhe ki aur kuchh dur chala gaya.

Rohan: Wow, nice move Arjun kya kar raha hai yaar puri takat laga kar hit kar na aur jaldi se game over kar hume jaldi ghar chalna hai.

Arjun ne Rohan ki baat par koi jawab nahi diya balki tezi se daudta hua Morgan ki aur bhaga jaise hi Arjun, Morgan ke paas pahucha Morgan ne Arjun par apna right kick para jise Arjun ne niche jameen par slide karte huye Morgan ke ghutne par ek right kick de mara.

Morgan thoda sa unbalance hua aur uska fayda utha kar Arjun ne tezi se khada hokar uske muh par ek right punch jad diya par usi samay Morgan ne khud ko sambhal kar Arjun ki head par apna sar ka waar kiya jise Arjun ne es baar apne head ko line of collision se hata kar apna sar uske chest par de mara, thik usi samay Morgan ne apne right hand ka ek punch Arjun ke pith par jad diya.

Dono hi abhi tak ek dusre ko tough fight de rahe the.

Ek baar phir se dono ek dusre ke samne stance lekar khade ho gaye.

Arjun ne Morgan ki chest par ek ek side kick ka parahar kiya jise Morgan ne badi easily khud ko line of angle se dur kar liya aur Arjun jab tak sambhal pata usse pahle hi ek kick Arjun ke ghutne par padi.

Arjun thoda sa unbalance hua jiska fayda utha kar Morgan ne apna sar Arjun ke head par de mara.

Rohan: Kya kar raha hai Arjun, game over kar na yaar kyon irritate kar raha hai, jaise Williams*the beast* ka game over kiya waise hi iska chapter close kar na yaar sabhi humse milne ke liye tadap rahe honge, itna to tum Williams se bhi nahi pite the jitna ki tum isse pit rahe ho.

Jaise hi Morgan ko pata chala ki Arjun ne Williams ko mara hai ek pal ke liye uske andar darr ne janam le liya par agle hi pal usne apne darr par kabu pakar usne Arjun ke chest par ek laat marna chaha jise Arjun ne tezi se apni body ko uske opposite ghuma kar uske naak par apni elbow de mara jisse Morgan ke nose se blood ki bunde jameen par girne lagi.

Very sweet, this is what I wanted, Rohan ki aawaz aayi. Sath hi Rohan ki ek whistle ek aawaz aayi, nice move Rohan.

Par jaldi hi Morgan apni dard ko bhul kar Arjun ke right kaan par apna punch jadna jise Arjun ne khud ko left ki aur slip kar ek baar phir se apna punch Morgan ke chest par de mara.

Agli baar Arjun ne Morgan ko koi bhi sambhalne ka mauka nahi diya aur backward flip laga kar apna kick uske face par jad diya.

Kyonki Arjun ne jump ke liye ground ka sahara liya tha isliye uske kick mein aur bhi jyada power thi jiske karan Arjun ka spinning kick uske face ka aur bhi bura haal kar gaya.

Rohan: Now jaldi se game over kar hume abhi bahut dur jana hai.

Morgan ne apni pocket se knife nikal liya aur sidha Arjun ki chest ko aim laga kar phenka jise Arjun ne apne body ko left side bend kar diya jisse knife sidhe car se jakar takra kar niche gir pada.

Agle hi pal Arjun ne tezi se hawa mein fly karta hua apne right kick ko aage ki aur le jakar uske gaal par jad diya jisse wo bhumi par niche gir pada isse pahle ki Morgan, Arjun par koi prahar karta Arjun ne hawa mein hi phir se jump laga kar apne dono ghutno ko fold karte huye Morgan ke pet par land kar gaya.

Es move mein itna power tha ki Morgan ki dard se karah nikal gayi, par Morgan ne khud ko Arjun ki giraft se khud ko dur karna chaha isse pahle Arjun ne ek ke baad ek kai punch uske face aur chest par jad diya.

Arjun khada hokar ab Morgan ko ghurne laga jaise hi Morgan apni bachi huyi power ko ikatha kar uthna chaha ek baar phir se Arjun ne tezi ke sath Morgan ki aur daud laga kar uski gardan ko marod diya. Morgan jameen par niche gir pada aur kuchh hi pal mein apna hosh khokar apni jaan gawa baitha.

***
_____
_________

[[Jack Vs Rohit]]

Wahin dusri aur Rohit aur Jack ka fight scene itna lamba nahi chala, jaise hi Jack ne Rohit par kick kiya Rohit ne badi tezi se khud ko line of action se hata kar Jack ke leg ko hawa mein hi apne leg se block kar liya, jaise hi Jack ne Rohit par punch karna chaha ki Rohit ne uske vaar ko dodge kar apna punch uske pet par jad tezi se ek powerful force ke sath jad diya.

Isse pahle ki Jack sambhal pata Rohit ne uske kanpati par ek side kick jad diya, kick mein itna power tha ki Jack ki dard se karah nikal gayi aur sar chkkar khane laga, isse pahle ki Jack khud ko sambhal pata Rohit ne Jack ke left hand ko ek jhatka ke sath joint ke paas ek tez prahar kar diya jisse uske left hand ki joint ki haddi ek *katt* ki aawaz ke sath tut gayi.

Agle hi pal Rohit ne uske right hand ko bhi ek powerful jhatke ke sath tod diya aur almost Jack ko uski death tak lekar chala gaya.

Jack ko abhi kuchh aur hosh aata usse pahle hi Rohit ne Jack ki gardan marod di aur uska kaam tamam ho gaya.

Jab Jack ka game over hua wahin Morgan apne sathi Jack ki maut ka nazara dekh kar thoda sa darr uske dil mein jarur bhar gaya tha par wo apni puri takat aur skills se Arjun se fight karta raha aur usne Arjun ko ek tough challenge diya.

***

Jab Arjun ne Morgan ka game over kar diya to usne Rohit se kaha.

Arjun: Bhaiya in dono ka kya karna hai, hum inhe yahan yuhi nahi chhod sakte hain????

Rohit: Tum dono jaldi se car ki tyre ko change kar lo, main dono ko jungle ki aur lekar chhod deta hoon.

Rohit dono ko jungle ki aur le gaya jabki Rohan aur Arjun car ko thik karne mein lag gaye.

***

Arjun, Rohan aur Rohit teeno apni manzil ke liye nikal pade jahan kai log inka besabri se wait kar rahe the.

Rohan ek baar phir se car ko drive kar raha tha, Rohit aur Arjun dono back seat par baith gaye. Car ek constant speed ke sath apni manzil ki aur chal pada.

__________
______________

Kaphi samay beet chuka tha, Morgan aur Jack ki koi khabar nahi tha, Daniel pareshan ho raha ki dono ne abhi tak use koi contact kyon nahi kiya hai, ek ghanta beet chuka tha par Daniel ko dono ke bare mein koi khabar nahi mili. Usne ghatna sthal par aakar dekha wahan par Daniel ko sirf jameen par blood ka nishan mila sath hi thodi si dur Morgan ka knife mila jise wo jarurat ke liye istemal karta tha kabhi kabhi jab wo tough challenge mein hota tha varna dono Jack aur Morgan hand to hand combat fight mein believe karte the aur abhi tak apne sare shikar ko dono ne apne hand se hi anjam diya tha aaj pahli baar Morgan ne apni knife ka istemal kiya par wo bhi uska sath chhod gaya aur Morgan apna death ko prapt hua.

Daniel ko jab ye samajh aaya ki Arjun aur uske sathi ne dono ka kaam tamam kar diya hai to uska gussa badhta hi ja raha tha. Isse pahle ki wo Arjun aur uski family ke bare mein kuchh aur karne ki plan banata ek shaks apne face ko cover kiye huye uske samne aakar khada ho gaya, jiske pichhe pith par 2 swords latak rahi thi.

Daniel apne samne wale bande ka sirf aankh hi dekh paya.

Daniel: Kaun ho tum, tum yahan kya kar rahe ho chale jao yahan se es waqt mein bahut gusse mein hoon??
(Daniel ne ek halki aawaz mein apne samne wale shaks se bola.)

Tum gusse mein ho ya dukh mein usse mujhe koi fark nahi padta hai, tum Arjun par 2 baar attack kar zinda bach chuke ho, lekin es baar nahi, I will not give you this time any chance for escaping.

Daniel: K-kaun ho tum aur tum yahan kya kar rahe ho, kya rishta hai tumhara Arjun ke sath, ve sabhi ja chuke hain phir tum yahan kya kar rahe ho??

[Daniel samne wale shaks ke jawab sunkar ek sath usne samne wale se kai sawal puchh liya.]

Main wohi hoon jisse tum 2 baar jinda bach kar ja chuke ho par es baar nahi, samne wale shaks ka jawab aaya. Main tumhe jinda jane dunga yadi tum mujhe ye bata do ki tum Arjun ko kyon marna chahte ho. Give the information and I will let you go alive.

Daniel: Ye hamare wasul ke khilaf hai main tumhe sach kabhi nahi bata sakta hoon, chahe kuchh bhi ho jaye, mujhe koi bhi keemat pay(chukana) karna pade main chuka dunga.

Thik hai phir last time apne god ko yaad kar lo, tumhari aatma ko shanti mil jayegi, main tumhe bhi tumhare dono dost ke paas bhej deta hoon tum teeno wahan par ek sath hi apne kiye deeds(karm) ki saja bhogna(reap) samne wale shaks ne Daniel se kaha.

***

Daniel ne samne wale ka koi jawab na dekar Daniel ne Morgan ki chaku ko utha kar tezi se samne wale shaks ki aur phenk diya jise samne wale shaks ne knife ko apne left hand se pakad liya iske bawajood ki knife ki gati kaphi thi jo kisi ko ghatak chot dene ke liye enough hota hai, par samne wala shaks ek aisa yoddha(warrior) tha jo aaj tak unbeatable tha aur fighting ki sabhi skills mein skilled(nipun) tha jiske bare mein sirf kuchh log hi jante the, jo bhi enemy se uska samna hua tha use sirf maut hi mili thi.

Samne wale shaks ne Daniel par wahi chaku 🗡️ itni tez gati ke sath phenka(throw) ki Daniel jab tak khud ko sambhal pata tab tak chaku uske gardan ki kaphi gahrai tak andar ghus gayi.

Chaku ka zakhm itna deep tha ki Daniel ki gardan se blood ki ek tez dhar gir kar jameen ko laal karne laga aur hal badhte pal ke sath jameen Daniel ki khun se red hota chala gaya.

Kuchh hi minutes mein Daniel ne dard se tadap tadap kar apni jaan gawa diya usko bhi apne dono sathi ki tarah apna maut prapt ho gaya.

Raghav ke teeno hi killers ka ek hi din teen alag alag vyakti ke hathon mrityu ko prapt huyi aur teeno ne alag alag skills ka use kar teeno ko maut di.

***

[[Phone Calls]]

Anupama: Hello master boliye kya khabar hai, Arjun safe to hai na mujhe bas shooter ki fikr ho rahi hai, kyonki sayad hand to hand combat mein wo khud ko bacha sakta hai??

Kaal: Ha princess Arjun aur uske dono sathi bilkul thik hain aur dono ghar ke liye nikal chuke hain, tumne jaisa guess kiya tha thik usi tarah se hua, aaj bhi ek bande ne Arjun ki car par attack kiya par khud hi apne dono sathi ke pass na aakar dur se hi road par nazar rakh raha tha sayad ye unka plan ka hissa raha ho, par mujhe aisi feeling aa rahi thi ki wo apne sathi ko khojne jarur aayega jab use apne sathi ka koi khabar nahi milega, isliye main uske aane ki wait kar raha tha. Wo kuchh samay baad aaya aur apne ant ko prapt ho gaya.

images

Anupama: Master aapne ye janne ki koshish nahi kiya ki kaun hai in sab ke pichhe ka mastermind, if we find the mastermind behind it then we can solve this problem permanently??

Kaal: Nahi princess hume abhi bhi careful rahna hoga mujhe isse koi bhi information nahi mila, maine iske aankh mein wafadar hone ki chamak dekhi thi isliye maine ise time waste na kar direct jaan se maar diya, kyonki wo mujhe koi bhi information nahi deta.

Anupama: Koi baat nahi master aapne bahut achha kiya, abhi kuchh der ke liye ye khatra tal chuka hai aur Arjun bhi apne mission mein safal raha hai, usne Williams ko jaan se maar diya hai ye ek achhi khabar hai, bye master ab aap bhi ghar aa sakte hain.

Kaal: Bye princes, Take care.

[[Call Disconnected]]

***
___________
________________

Kajal Home
Time - 9:45 pm ||

Sabhi evening se hi Kajal ke ghar par Arjun, Rohan aur Rohit ka wait kar rahe the pal pal gujarte (passing) samay ke sath sabhi ke dil ki dhadkan bhi badhti ja rahi thi, kyonki fight samapt huye lagbhag 30 hours beet chuka tha teeno ne hi ghar par ab tak koi contact nahi kiya tha.

AD_4nXeQyuG4zBJ2gk5hpYla8GHxZoFq1GIPZisLYEnr2Zgbo8roQp8UtQVEG_-3gmHRtcFnLu2xX_MeWhNqNg6lnVYe1kyJ2Q-nMIEVUGnqNI_VMrGC99sCjnNgIVYN41msuxHMplYghQ=s320

Kriti: Mausi teeno kab aayenge bahut samay beet chuka hai aur abhi bhi teeno ki koi khabar nahi aayi hai aur na hi humne unhe ab tak koi call kiya hai, kya hum call kar unse baat kar le kya mujhe bahut darr lag raha hai??

AD_4nXfN1FIhBiv-pi9qk_J4inqzmiSNC5nggMXT1IHS8gz6eABbX-j2-jB-RZnvd3yMIHIoR_7mmcUISp_Djbo6kxUl30YBfTeteGAXk0lJOQvzHuV7S6iFfentvgjb4ZjLgZnrCPfyGQ=s320

Rashmika: Aur 1 se 2 ghanta wait kar lete hain Kriti, yadi sabhi 1 ya 2 ghante ke andar nahi aate hain to hum call kar pata kar lenge, yadi sabhi ne hume abhi tak koi contact nahi kiya hai to iske pichhe jarur koi na koi karan(cause) hoga.

Kriti: Thik hai mausi aap jaisa kaho.

Shivangi sabse dur akeli baithe Arjun aur Kriti ke bare mein hi soch rahi thi uske mann mein kai tarah ke sawal uth rahe the, aaj Ranjan ki death huye 1 mahina se bhi jyada beet chuka tha aur abhi tak wo khud ko Kriti ka gunehgar hi khud ko maan rahi thi, kabhi kabhi uske mann mein ye khayal aata ki mujhe Arjun aur Kriti ki life se bahut dur chale jana chahiye, kabhi kabhi wo khud hi soch baithti ki yadi mere jane ke baad Arjun ko maa aur papa ki koi khabar mil gayi to Arjun meri maa aur family ko kya jawab dega ki Arjun ke karan(cause) hi wo ghar chhod kar chali gayi, phir use kabhi kabhi Arjun ki nani Pavitra ka khayal aata ki jo galti usne ki thi kya use bhi ye galti karni chahiye. Shivangi jab akeli hoti to apne hi khayal mein dubi rahti kya Ranjan mujhe maaf kar payega, ye alag baat hai ki Ranjan ne mujhe Arjun ke sath physical relationship banane ke liye permission de diya tha par kya wo kabhi ye accept kar payega ki uski bahan ka pyar hi uski patni ne chhin liya. Arjun ne bhi mujhe aaj tak kabhi ek patni ki tarah nahi dekha hai wo hamesha mujhe abhi tak bhabhi hi bolta aaya hai, kya use hamara naya rishta accept hoga. Yadi main ghar chhod kar chali gayi to kya sabhi mujhe Pavitra ki tarah yaad karenge ya mujhe bhul jayenge. Kriti ne bhi mujhse abhi tak Arjun aur mere bare mein koi baat nahi ki hai, kya use mera aur Arjun ka rishta accept nahi hai, ye alag baat hai ki Kriti sabhi ko Arjun ke sath sexual relationship banane ki permission de deti hai par kya wo mujhe Arjun ki patni ke roop mein dekh payegi ki uski bhai ki patni hi uski hi hone wale pati ki patni ban chuki hai.

images-1

[Sayad nahi Shivangi ke dil mein andar se ek awaz aayi.]

[[Ha mujhe ghar chhod kar chale jana chahiye yahi sabhi ke liye thik rahega kyonki jahan main hoti hoon sabhi kuchh barbad ho jata hai, yahi sabhi ke liye thik rahega. Arjun ke wapas aane ke kuchh din baad main kisi ko bina bataye hi ghar chhod kar chali jaungi main apni hi nanad ka pyar nahi chhin sakti hoon.]]

[[Mujhe maaf karna Sara didi main phir se aapke pyar se vanchit rah jaungi mujhe aapka pyar sayad mere kismat mein likha hi nahi hai, ek baar phir se hum dono ko ek dusre se dur hona hoga aur es baar hum phir se kabhi nahi milenge.]]

“Shivangi ka dhyan ghar ke samne car ke rukne se tut gayi aur uska dhyan Arjun ki car ki aur chala gaya”.

***

________________________________________________________________________

That's all for this update. I hope you guys will enjoy this. The update comprises 5.3 k words. Sath bane rahiye aage kya hone wala hai iske bahut sare clue maine previous ke updated mein chhod rakha hai.

Ek aur baat friends main khud hi bahut sari stories padhta hoon, isliye ho sake kabhi kabhi story late se aa sakti hai sath hi sath mujhe apni study par bhi dhyan dena padta hai. Update aap sabhi ko regular intervals par milta rahega. Baki mere sath es journey mein jude rahiye hum sab mil kar es story ko iske ant tak le jayenge. Story mein abhi bahut sari ghatna aana shesh hai abhi bahut kuchh aana shesh hai abhi bahut kuchh hona shesh hai abhi story start ho rahi hai.
 
Last edited:

dhalchandarun

[Death is the most beautiful thing]
4,314
8,580
144
Maza agaya bahut badhiya update bhai

UpDaTe PoStEd guys. Sorry for the delay mujhe neend lag gayi thi update to lagbhag raat mein hi complete ho gaya tha, kuchh bacha tha jise maine abhi complete kar post kar diya.
Bhai sabar kar le office me hu review raat ko

Nice update....

Shaandar jabardast Romanchak Update 👌 👌 🔥
Arjun ne Williams se badla le liya auruse use buri tarh se maut de diya .
Daniel ka agla waar kafi ghatak hogaa dekhte kaise nipatata hai 😊 😊

nice update

Superb excellent work but baar -2 English conversation likhne se achchha hai ek baar likh do ki yahan baat English me hogi bt Hindi me likha ja raha hai isse hoga ye word count kam hoga or time bhi bachega likhne ka baki aapki marji waiting for next

Msst update bro
Laffi chije clear ho gyi h
Well done
Ab bss wait h ki agge kya kya hoga

Next update me Arjun kese bChe ga?
Yhi ek question h abhi kr lie to

Nice update

Bahut hi mazedar update

Aik dam mast pharo update tha Maza agya
Fight scene acha rha or ab wapsi ka wait hai joh attack hona he os ka logo ko bi koi plain se dhond kr khatam kr do or ragov kutta ko bi jaldi se

Zabardast update Bhai
Ab to jeet ka jasn aur husn Ka tadka lagna bhi jaruri bnta hai
Intjaar rahega next update ka

Bro tum ko vishwas hi nahi hai hum par

Kuch cheeze clear karo
1) kaal ke jo boss hai vo kabhi Arjun ke papa hote hai kabhi vo Arjun ke mama please clear once .
2) William ki maa bhen ek kar the the king of beast ne
3);300 cr is this for real sala vm ke ghar par raid marwao ge
4) ab agla number kiska hai mahender ji ka ya ragahav ka
5) till now story se clear hai shivangi and kriti dono hi biwi hai Arjun ki but what about sri leela
6) Arjun and Rohan are like super hero till now in 102 updates
7) anu ko bahut dino baad dekha apne saviour ke pass
8)kya William ko Arjun hi mare ye jaruri tha bhai kyu ki jiska baap cm ho or chacha RAW me usko khud Jane ki kya jarurat thi

Aey confusion mat create karo vo wala part tha na jisme baat ho Rahi thi Arjun or anupma ke bare me

Nice and superb update....

Bahut hi shaandar update diya hai dhalchandarun bhai....
Nice and lovely update.....

Jabardast update. Waiting for next update

Awesome update

Nice update....

Shandar update bro

Mere one liner par story ka word count karne ki dhamki yaha sab ke coments par appreciation galat baat I am hurted

Romanchak. Pratiksha agle rasprad update ki

Mast update h bhai...🔥🔥🔥🔥🔥

Mast update h bhai...🔥🔥🔥🔥🔥

Sex is not important in the story apart from sex story can be made beautiful by adding such a thrillful scenes like these in update 102. I am a big fan of such stories.
Waiting eagerly for next update.

Abe chal ab to Mai bhul bhi gya apni wish ko mujhe nahi lagta agle 10-12 update me bhi tum meri wish puri karoge and if you are planning so do it with gifs

Hahahha mujhe pata tha tum Aisa hi kuch bologe bhagwan se dar balak apne reader ka dil dhukha rahe ho

No guesses bro this time
Spoiler ho jae ga nhi to lol 😆😂

Next update kab milega

Vj4u ki story me bahut fight scene hai take help from there sanveer and Arjun fight common hai

Nahi tumne bola tha na fight ka to us hisab se fight ke bare me likhne ke liye use refer karo bahut mast and details fight sequel hai try it once

Are nahi par haaine abhi tak jo fight sequel padhe hai abhi tak he was best

Konsa fighting style hai 👀 mujhe bhi batao

Hmmm....hand 2 hand fighting 👀
Nice...jabs...hook vagrah dekh lena maza aa jayega 😋

Ooh...thoda freestyle aur kickboxing bhi mix kar dena...Yuri Boyka wali feeling aa jayege 😋

Actually this is my second comment on this form.

intezaar rahega....

Sriya ya phir Keerti

Besabari se intezaar rahega next update ka dhalchandarun bhai....

I am reading this story from the starting.
 
Last edited:
  • Like
Reactions: parkas

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
42,399
109,607
304
Update 103
Not This Time

Recap: In the previous update humne padha tha ki kaise Arjun ne apne bhai Ranjan ke katil ko uske kiye karmon ki saja diya tha. Arjun, Rohan aur Rohit teeno bet ki money lekar wapas hotel aa chuke the aur dusri taraf Daniel ne apne dono dost Jack aur Morgan ke sath mil kar Arjun ki killing ke liye koi plan banaya tha jo kal hone wala tha.

Now Next: >>>

At The Hotel Room
Time -9:30 pm |||||||||

Arjun, Rohan aur Rohit teeno dinner karne ke baad ek hi kamre mein baithe huye the.

Rohan: Tum kar kya rahe the Arjun hamara plan tha ki Williams ko ladai mein thakana hai aur tum usse fight mein ulajh gaye the, that was a bad idea!!??

Arjun: Yeah maine jo kiya wo hamare plan ka hissa nahi tha magar main ye dekhna chahta tha ki wo kitna powerful hai aur sath hi main Ranjan bhaiya ke dard ko feel karna chahta tha aur sath hi isse mera practice bhi ho raha tha khud ko dusre ke prahar ko jhelne ki.

Rohan: Par kuchh bhi kaho Williams tha ek dangerous aur powerful fighter sath hi ek aisa vyakti jo apni jeet ke liye kuchh bhi karne ke liye hamesha ready rahta tha, yadi wo hamare Ranjan bhaiya ki tarah ek true fighter hota to aaj wo zinda hota.

Arjun: Ha sale ki kick badi fast aur strong thi chest par laat badi jor ki padi thi abhi bhi chest par thoda thoda dard hai.

Rohit: Arjun tumne kisi ko abhi tak kyon nahi bataya hai ki tum apne maksad mein kamyab ho chuke ho!!??

Arjun: Main unhe ye khushi ghar jakar dena chahta hoon bhaiya, main sabhi ke face ka reaction aur happiness dekhna chahta hoon, yadi maine phone se ye khabar de diya to maine unke chehre ki khushi dekhne se vanchit rah jaunga.

Rohan: Bahut achha socha hai tumne dost, mujhe hamesha tum par proud feel hota hai, hamara rishta college mein kaise hua tha aur aaj kaise ho gaya hai.

Arjun: Sab time time ki baat hai Rohan, time hamesha badalta rahta hai.

Rohit: Arjun ab ye paise tumhare hain inka kya karna hai, ye responsibility main tumhe deta hoon.

Arjun: Nahi bhaiya ye paise mere kisi bhi kaam ki nahi hain, maine already soch rakha hai inka kya karna hai.

Rohit: Bahut achhe, aaj tumne sabhi ke bharose ka maan rakha hai, apne bhai ko sacchi tribute diya hai, tum ek nek dil insan ho Arjun. Tum bilkul apne bhai Ranjan ki hi tarah ho jisme Ranjan ki sabhi goodness(achhai) hai.

Rohan: Ab so jate hain subah jaldi nikalna bhi hai mujhe bahut joro ki neend aa rahi hai.

Arjun: Rest ki to mujhe bhi jarurat hai body ki relief ke liye.

Teeno ek hi kamre mein so gaye.

***

Mumbai
Daniel Hideout
Time - 9:47 pm|||

“Tum dono ne suna kuchh aaj fight mein kisi ne Williams aka *the beast* ko kisi ne jaan se maar diya, Morgan ne room ke andar aate huye kaha Jack aur Daniel se kaha”.

Daniel: Ye kaise ho sakta hai es samay Williams pure world ka sabse dangerous aur powerful fighter tha aur uski maut yahan India mein ho jaye, ye impossible hai.

[Daniel ne shock se apna muh phade phade kaha, aisa hi reaction abhi kuchh Jack ke face par bhi tha.]

Morgan: Yahi sach hai dost maine khud jakar es baat ko confirm kiya hai ki kisi ne aaj fight mein Williams ka dono aankh phod diya aur jaan le liya.

Jack: Ab ye kaun aa gaya hai jo Williams se bhi jayada powerful hai, jiske bare mein hume nahi pata hai??

Morgan: Ye to mujhe bhi pata nahi dost, par ha mujhe itna pata chala ki uska name logo ke mukh se *King The Devil* suna hai.

Daniel: Arey chhodo Williams jiye ya mare hume kya, hume sirf bas apne mission par focus karna hai aur kal jab wo wapas laut raha hoga tab un par attack karna hai, yaad rahe ye hamara last chance hai. Mission ka fail hone ka matlab hai hamari jo pahchan bani huyi hai wo chali jayegi. Hamara jo respect hai sabhi ke dil se dhire dhire kam hone lagega.

Morgan: Fikr nahi karne ka dost kal wo launda Arjun ka last day hoga.

“Bilkul bilkul aisa hi hoga, Jack ne Morgan ki baat par apni sahmati jatate huye bola”.

Daniel: Chalo peg banao yaar bahut dino se tum dono ki company ko maine enjoy nahi kiya hai.

Waise hum dono Arjun par attack karenge tum bas Arjun ki car ki tyre ko puncture kar dena aur road par dur se hi nazar rakhna, Jack ne sabhi ke liye ek ek peg banate huye bola.

Daniel: Jaisa tum dono kaho par yaad rahe Arjun bhi ek fighter hai.

Morgan: Ha ha hume pata hai kitni baar hume bologe.

[Location Unknown]

“Boss pata hai aaj kisi ne hamare ek aadmi ka jaan le liya, ek vyakti ne apne samne baithe ek shaks se kaha”.

Kaun mara gaya aur kisne maar diya, samne wale shaks ne kaha.

“Boss ji ji wo kisi ne aaj Mumbai ke ek fight mein Williams ko jaan se badi hi berahmi se jaan se maar diya”.

Maine tumhe kitni baar kaha hai ki mujhe aise chhote chhote khabar mat diya karo, ek Williams gaya to kya hua uska jagah koi aur le lega, samne wale shaks ne vyakti ke sawal ka jawab diya.

Ji ji par boss isse pahle bhi hamare kai aadmi mare ja chuke hain, sabse pahle 2 saal pahle Iron City mein kisi ne hamare 2 log ko jaan se maar diya tha aur kuchh mahine pahle bhi hamare 2 log copper City mein mare ja chuke hain aur ab Mumbai mein bhi kisi ne Williams ko jaan se maar diya, vyakti ne samne baithe shaks se ek baar phir se kaha.

Shaks: Wo sab kamjor the jo mare gaye, mujhe aise kamjor logo ki koi jarurat nahi hai, mujhe sirf aur sirf usi se matlab hota hai jo hamesha vijeta hota hai aur yaad rahe jis din tum bhi apne kisi bhi mission par fail huye mujhe tumhari bhi koi jarurat nahi rah jayegi, got it.

Vyakti: Ji Ji boss main ye baat bahut achhe se janta hoon, kyonki wo main hi hoon jo aap ke bare mein sabse jyada janta hai.

Shaks: Good jao ab aur apna kaam dekho mujhe aise chhote chhote khabar mat diya karo.

Ji boss! Vyakti ne samne chair par baithe shaks se kaha aur kamre se bahar nikal gaya.

***
_______
__________________

Kajal Home
Time - 9:45 pm||

Kajal ke ghar sabhi maujood the. Kriti ki puri family Kajal ke ghar par hi tha sath hi sath Sriya aur uski saas Sukanya bhi maujood thi. Sabhi raat ka thoda bahut dinner kar baithe huye the aur Arjun ko hi yaad kar rahe the.

Kriti: Kajal mam Arjun ne hume abhi tak call nahi kiya hai jabki fight kabki samapt ho chuki hogi.

[Kriti ne Arjun ke liye chinta vyakti karte huye kaha.]

images-1

Kajal: Pata nahi Kriti, Arjun ya kisi aur ne abhi tak hume kyon call nahi kiya hai.

Kriti: Mam! Arjun thik to hoga na mujhe chinta ho rahi hai uski.

Kajal: Ha Kriti, Arjun bilkul safe hoga nahi to hum sabka dil bechaini aur darr se ghabra raha hota abhi es waqt.

Rashmika: Aapne bilkul sahi kaha didi, Arjun sahi salamat hai kyonki hum sabka dil abhi Arjun ke safe hone ki gawahi de raha hai.

Dhruv: Aap chinta na karen bhabhi Arjun bhaiya bilkul thik hoga.

Nadhiya: Achha tumhe kaise pata chhote prince??

Dhruv: Oh nani aap bhul kaise jati ho ki Arjun ne mujhe fight ki training dene ka promise kiya hai aur Arjun bhaiya apna promise kabhi bhi break nahi karte hain.

Sriya: Lagta hai chhote Dhruv ko kuchh jyada hi pata hai apne bhai ke bare mein.

Dhruv(Nods): Yes! He is my best buddy.

***

Next Morning

Arjun, Rohan aur Rohit teeno breakfast kar car se Mumbai se Karnatak Diamond City ke liye ravana ho gaye.

Car ek constant speed se chal rahi thi jahan aage inke liye ek badha ya yu kahun ki ek bahut bada khatra inka intezar kar rahi thi. Car Maharashtra state se nikal kar Kerala State mein enter ho chuki thi aur abhi car ek viran area se gujar rahi thi ki, car ke back(pichhe) wale tyre ko aakar ek ke baad ek 3 bullets lagi jisse car unbalanced hoti chali gayi. Wo to kismat sahi raha ki Rohan ne car ko sambhal liya aur car ko koi bhi damage nahi hua.

Daniel ne apne target ko 2.5 km ki distance se bahut hi satik hit kiya tha.

Teeno gadi se bahar nikle hi the ki inke samne 2 vyakti Jack aur Morgan teeno ke samne aakar khade ho gaye.

***

Dono vyakti Jack aur Morgan apne shikar Arjun ko hi ghur rahe the, jaise ek lion apne shikar ko shikar se pahle ghur ghur kar dekhta hai.

Rohan: Arjun lagta hai ye dono ko tumse bada prem hai jo tumhe hi itne prem se dekh rahe hain, sala mujhe bhi koi itna prem se dekh leta.

[Rohan ne Arjun ki aur dekh kar smile karte huye kaha.]

Arjun: Lagta to kuchh aisa hi hai dost jaise ye aaj mujhe jinda nahi chhodne wale hain.

(Arjun ne bhi badle mein smile karte huye kaha.)

Rohit: Tum dono to Jack aur Morgan ho na tum dono yahan Kerala mein kya kar rahe ho aur tumhara tisra sathi Daniel kahan hai wo kahin dikhayi nahi de raha hai!??

[Rohit ne phir se kuchh sochte huye kaha, oh matlab ab samjha hamare gadi par bullet Daniel ne hi chalaya hai, maine thik kaha na.]

T-tum itna sab kaise jante ho hamare bare mein aur tumhe ye bhi pata hai ki bullet Daniel ne fire kiya hai.
(Morgan ne haklate huye apni baat pura kiya.)

“Ye janna tumhare liye important nahi ki main kaise janta hoon, Rohit ne Morgan se kaha”.

Jack: Phir to tum ye bhi jante hoge ki aaj tak hamara koi bhi mission fail nahi hua hai aur aaj ka bhi hamara mission fail nahi hoga, already ye 2 baar Daniel ke shoot se bach gaya hai aur es baar hume last chance mila hai, aaj Arjun ka marna nischit ho chuka hai. Aaj ye hum dono se zinda bach kar nahi ja payega aur na hi tum dono ja paoge.

Rohan: Thik hai thik hai bhai Arjun ko jaan se maar lena usse pahle hamari ek wish puri kar do, kahte hain ki marne wale ki last wish puri ki jati hai, bolo hamari wish pura karoge??

Morgan: Bolo kya wish hai tumhari yadi hum kar sake to kar denge tum sab bhi marne ke baad hume yaad rakhoge ki hum dono ne tum sabki last wish pura kar diya??

Rohan: Meri wish hai ki tum hume sirf ye bata do ki Arjun ko tum log kyon jaan se marna chahte ho, kisne tumhe Arjun ko jaan se marne ke liye bheja hai??

Jack: Ye hamare rule ke khilaf hai hum kisi ko nahi batate ki kisne hume mission diya hai phir chahe hamari jaan hi kyon na chali jaye, isliye hume maaf karna hum tumhari ye wish puri nahi kar sakte hain.

[Lekin mujhe ye baat baar baar pareshan karti hai ki tum dono Daniel se bach kaise gaye, aaj tak Daniel kabhi bhi apne target ko hit karne mein fail nahi hua tha, aaj tak uska sabhi mission 100% successful raha hai.]

Rohan: This is not important for you to know, tum sirf apna kaam karo jo karne aaye ho kyonki mujhe pata hai tum dono hume kuchh bhi nahi batane wale ho.

Rohit: Arjun, Jack ko mere hawale kar do, main use handle kar lunga tum Morgan ko sambhal lena.

Arjun: Thik hai bhaiya jaisa aap kaho.

Rohan: Arey mujhe bhi to kisi ko marne ka mauka do, ya sirf main show hi dekhta rahun!??

Morgan: Tum teeno hamare bare mein jaan kar bhi aise baat kar rahe ho, tumhe lagta hai ki tum hum dono ko jaan se maar sakte ho, we are best in our work. We have completed several missions like this before without any failure.

Rohit: Thik hai tum best hi raho khud mein par tum dono hume itni easily maar sako ye bhi possible nahi hai, hum bhi thoda fight kar lete hain.
(Rohit ne ek kamini muskan ke sath Morgan ki aankh mein aankh daal kar bola.)

Arjun jakar Morgan ki aur khada ho gaya jabki Rohit, Jack ke samne khada ho gaya.

Yadi kisi ko meri help chahiye to mujhe pukar lena main help karne se mana nahi karunga, pichhe kahade Rohan ne dono se smile karte huye kaha.

Rohit: Thik hai Rohan par inhe bhi barabar ka mauka milna chahiye isliye tum fight se dur hi rahna ye muqabla 2 vs 2 ka hi hoga.

Rohan: Thik hai Rohit bhaiya jaisa aap kaho. Par inka tisra sathi Daniel kahan hai??

Rohit: Wo ek sniper shooter hai Rohan, wo kahin dur khada ye sab dekh raha hoga ya phir wo Mumbai se hamara pichha kar raha hoga aur ye dono hamara yahan par wait kar rahe honge.

Jack: Right Daniel ye sunischit karega ki hamare bich koi na aaye, isliye wo sabhi par nigrani rakh raha hoga.

***
_______
_________

[[Arjun Vs Morgan]]

Arjun aur Morgan dono hi ek dusre ke samne khade the dono hi ek dusre ki aankh mein aankh daal kar ek dusre ko dekh rahe the.

Arjun: Ab fight karoge bhi ya yuhi mujhe ghurte rahoge??

____

Morgan ne Arjun par tezi se apne right hand ki mutthi ko band karte huye Arjun ke chest par mara jise Arjun ne apne left hand se block kiya aur apne right kick se Morgan ki knee par waar kiya jise Morgan ne tezi se apne apne leg ko hawa mein 90° turn kar block kar liya dono ke leg aapas mein bhid gayi.

Arjun ne Morgan ke right hand ko chhod kar us par apne right hand ka punch mara jise Morgan ne badi easily apne left hand ko cross kar block kar liya aur tezi se apne head ko Arjun ke face par de mara.

Arjun sambhal pata ki usse pahle hi ek kick Arjun ke chest par pada jisse Arjun pichhe ki aur kuchh dur chala gaya.

Rohan: Wow, nice move Arjun kya kar raha hai yaar puri takat laga kar hit kar na aur jaldi se game over kar hume jaldi ghar chalna hai.

Arjun ne Rohan ki baat par koi jawab nahi diya balki tezi se daudta hua Morgan ki aur bhaga jaise hi Arjun, Morgan ke paas pahucha Morgan ne Arjun par apna right kick para jise Arjun ne niche jameen par slide karte huye Morgan ke ghutne par ek right kick de mara.

Morgan thoda sa unbalance hua aur uska fayda utha kar Arjun ne tezi se khada hokar uske muh par ek right punch jad diya par usi samay Morgan ne khud ko sambhal kar Arjun ki head par apna sar ka waar kiya jise Arjun ne es baar apne head ko line of collision se hata kar apna sar uske chest par de mara, thik usi samay Morgan ne apne right hand ka ek punch Arjun ke pith par jad diya.

Dono hi abhi tak ek dusre ko tough fight de rahe the.

Ek baar phir se dono ek dusre ke samne stance lekar khade ho gaye.

Arjun ne Morgan ki chest par ek ek side kick ka parahar kiya jise Morgan ne badi easily khud ko line of angle se dur kar liya aur Arjun jab tak sambhal pata usse pahle hi ek kick Arjun ke ghutne par padi.

Arjun thoda sa unbalance hua jiska fayda utha kar Morgan ne apna sar Arjun ke head par de mara.

Rohan: Kya kar raha hai Arjun, game over kar na yaar kyon irritate kar raha hai, jaise Williams*the beast* ka game over kiya waise hi iska chapter close kar na yaar sabhi humse milne ke liye tadap rahe honge, itna to tum Williams se bhi nahi pite the jitna ki tum isse pit rahe ho.

Jaise hi Morgan ko pata chala ki Arjun ne Williams ko mara hai ek pal ke liye uske andar darr ne janam le liya par agle hi pal usne apne darr par kabu pakar usne Arjun ke chest par ek laat marna chaha jise Arjun ne tezi se apni body ko uske opposite ghuma kar uske naak par apni elbow de mara jisse Morgan ke nose se blood ki bunde jameen par girne lagi.

Very sweet, this is what I wanted, Rohan ki aawaz aayi. Sath hi Rohan ki ek whistle ek aawaz aayi, nice move Rohan.

Par jaldi hi Morgan apni dard ko bhul kar Arjun ke right kaan par apna punch jadna jise Arjun ne khud ko left ki aur slip kar ek baar phir se apna punch Morgan ke chest par de mara.

Agli baar Arjun ne Morgan ko koi bhi sambhalne ka mauka nahi diya aur backward flip laga kar apna kick uske face par jad diya.

Kyonki Arjun ne jump ke liye ground ka sahara liya tha isliye uske kick mein aur bhi jyada power thi jiske karan Arjun ka spinning kick uske face ka aur bhi bura haal kar gaya.

Rohan: Now jaldi se game over kar hume abhi bahut dur jana hai.

Morgan ne apni pocket se knife nikal liya aur sidha Arjun ki chest ko aim laga kar phenka jise Arjun ne apne body ko left side bend kar diya jisse knife sidhe car se jakar takra kar niche gir pada.

Agle hi pal Arjun ne tezi se hawa mein fly karta hua apne right kick ko aage ki aur le jakar uske gaal par jad diya jisse wo bhumi par niche gir pada isse pahle ki Morgan, Arjun par koi prahar karta Arjun ne hawa mein hi phir se jump laga kar apne dono ghutno ko fold karte huye Morgan ke pet par land kar gaya.

Es move mein itna power tha ki Morgan ki dard se karah nikal gayi, par Morgan ne khud ko Arjun ki giraft se khud ko dur karna chaha isse pahle Arjun ne ek ke baad ek kai punch uske face aur chest par jad diya.

Arjun khada hokar ab Morgan ko ghurne laga jaise hi Morgan apni bachi huyi power ko ikatha kar uthna chaha ek baar phir se Arjun ne tezi ke sath Morgan ki aur daud laga kar uski gardan ko marod diya. Morgan jameen par niche gir pada aur kuchh hi pal mein apna hosh khokar apni jaan gawa baitha.

***
_____
_________

[[Jack Vs Rohit]]

Wahin dusri aur Rohit aur Jack ka fight scene itna lamba nahi chala, jaise hi Jack ne Rohit par kick kiya Rohit ne badi tezi se khud ko line of action se hata kar Jack ke leg ko hawa mein hi apne apne leg se block kar liya, jaise hi Jack ne Rohit par punch karna chaha ki Rohit ne uske vaar ko dodge kar apna punch uske pet par jad tezi se ek powerful force ke sath jad diya.

Isse pahle ki Jack sambhal pata Rohit ne uske kanpati par ek side kick jad diya, kick mein itna power tha ki Jack ki dard se karah nikal gayi aur sar chkkar khane laga, isse pahle ki Jack khud ko sambhal pata Rohit ne Jack ke left hand ko ek jhatka ke sath joint ke paas ek tez prahar kar diya jisse uske left hand ki joint ki haddi ek *katt* ki aawaz ke sath tut gayi.

Agle hi pal Rohit ne uske right hand ko bhi ek powerful jhatke ke sath tod diya aur almost Jack ko uski death tak lekar chala gaya.

Jack ko abhi kuchh aur hosh aata usse pahle hi Rohit ne Jack ki gardan marod di aur uska kaam tamam ho gaya.

Jab Jack ka game over hua wahin Morgan apne sathi Jack ki maut ka nazara dekh kar thoda sa darr uske dil mein jarur bhar gaya tha par wo apni puri takat aur skills se Arjun se fight karta raha aur usne Arjun ko ek tough challenge diya.

***

Jab Arjun ne Morgan ka game over kar diya to usne Rohit se kaha.

Arjun: Bhaiya in dono ka kya karna hai, hum inhe yahan yuhi nahi chhod sakte hain????

Rohit: Tum dono jaldi se car ki tyre ko change kar lo, main dono ko jungle ki aur lekar chhod deta hoon.

Rohit dono ko jungle ki aur le gaya jabki Rohan aur Arjun car ko thik karne mein lag gaye.

***

Arjun, Rohan aur Rohit teeno apni manzil ke liye nikal pade jahan kai log inka besabri se wait kar rahe the.

Rohan ek baar phir se car ko drive kar raha tha, Rohit aur Arjun dono back seat par baith gaye. Car ek constant speed ke sath apni manzil ki aur chal pada.

__________
______________

Kaphi samay beet chuka tha, Morgan aur Jack ki koi khabar nahi tha, Daniel pareshan ho raha ki dono ne abhi tak use koi contact kyon nahi kiya hai, ek ghanta beet chuka tha par Daniel ko dono ke bare mein koi khabar nahi mili. Usne ghatna sthal par aakar dekha wahan par Daniel ko sirf jameen par blood ka nishan mila sath hi thodi si dur Morgan ka knife mila jise wo jarurat ke liye istemal karta tha kabhi kabhi jab wo tough challenge mein hota tha varna dono Jack aur Morgan hand to hand combat fight mein believe karte the aur abhi tak apne sare shikar ko dono ne apne hand se hi anjam diya tha aaj pahli baar Morgan ne apni knife ka istemal kiya par wo bhi uska sath chhod gaya aur Morgan apna death ko prapt hua.

Daniel ko jab ye samajh aaya ki Arjun aur uske sathi ne dono ka kaam tamam kar diya hai to uska gussa badhta hi ja raha tha. Isse pahle ki wo Arjun aur uski family ke bare mein kuchh aur karne ki plan banata ek shaks apne face ko cover kiye huye uske samne aakar khada ho gaya, jiske pichhe pith par 2 swords latak rahi thi.

Daniel apne samne wale bande ka sirf aankh hi dekh paya.

Daniel: Kaun ho tum, tum yahan kya kar rahe ho chale jao yahan se es waqt mein bahut gusse mein hoon??
(Daniel ne ek halki aawaz mein apne samne wale shaks se bola.)

Tum gusse mein ho ya dukh mein usse mujhe koi fark nahi padta hai, tum Arjun par 2 baar attack kar zinda bach chuke ho, lekin es baar nahi, I will not give you this time any chance for escaping.

Daniel: K-kaun ho tum aur tum yahan kya kar rahe ho, kya rishta hai tumhara Arjun ke sath, ve sabhi ja chuke hain phir tum yahan kya kar rahe ho??

[Daniel samne wale shaks ke jawab sunkar ek sath usne samne wale se kai sawal puchh liya.]

Main wohi hoon jisse tum 2 baar jinda bach kar ja chuke ho par es baar nahi, samne wale shaks ka jawab aaya. Main tumhe jinda jane dunga yadi tum mujhe ye bata do ki tum Arjun ko kyon marna chahte ho. Give the information and I will let you go alive.

Daniel: Ye hamare wasul ke khilaf hai main tumhe sach kabhi nahi bata sakta hoon, chahe kuchh bhi ho jaye, mujhe koi bhi keemat pay(chukana) karna pade main chuka dunga.

Thik hai phir last time apne god ko yaad kar lo, tumhari aatma ko shanti mil jayegi, main tumhe bhi tumhare dono dost ke paas bhej deta hoon tum teeno wahan par ek sath hi apne kiye deeds(karm) ki saja bhogna(reap) samne wale shaks ne Daniel se kaha.

***

Daniel ne samne wale ka koi jawab na dekar Daniel ne Morgan ki chaku ko utha kar tezi se samne wale shaks ki aur phenk diya jise samne wale shaks ne knife ko apne left hand se pakad liya iske bawajood ki knife ki gati kaphi thi jo kisi ko ghatak chot dene ke liye enough hota hai, par samne wala shaks ek aisa yoddha(warrior) tha jo aaj tak unbeatable tha aur fighting ki sabhi skills mein skilled(nipun) tha jiske bare mein sirf kuchh log hi jante the, jo bhi enemy se uska samna hua tha use sirf maut hi mili thi.

Samne wale shaks ne Daniel par wahi chaku 🗡️ itni tez gati ke sath phenka(throw) ki Daniel jab tak khud ko sambhal pata tab tak chaku uske gardan ki kaphi gahrai tak andar ghus gayi.

Chaku ka zakhm itna deep tha ki Daniel ki gardan se blood ki ek tez dhar gir kar jameen ko laal karne laga aur hal badhte pal ke sath jameen Daniel ki khun se red hota chala gaya.

Kuchh hi minutes mein Daniel ne dard se tadap tadap kar apni jaan gawa diya usko bhi apne dono sathi ki tarah apna maut prapt ho gaya.

Raghav ke teeno hi killers ka ek hi din teen alag alag vyakti ke hathon mrityu ko prapt huyi aur teeno ne alag alag skills ka use kar teeno ko maut di.

***

[[Phone Calls]]

Anupama: Hello master boliye kya khabar hai, Arjun safe to hai na mujhe bas shooter ki fikr ho rahi hai, kyonki sayad hand to hand combat mein wo khud ko bacha sakta hai??

Kaal: Ha princess Arjun aur uske dono sathi bilkul thik hain aur dono ghar ke liye nikal chuke hain, tumne jaisa guess kiya tha thik usi tarah se hua, aaj bhi ek bande ne Arjun ki car par attack kiya par khud hi apne dono sathi ke pass na aakar dur se hi road par nazar rakh raha tha sayad ye unka plan ka hissa raha ho, par mujhe aisi feeling aa rahi thi ki wo apne sathi ko khojne jarur aayega jab use apne sathi ka koi khabar nahi milega, isliye main uske aane ki wait kar raha tha. Wo kuchh samay baad aaya aur apne ant ko prapt ho gaya.

images

Anupama: Master aapne ye janne ki koshish nahi kiya ki kaun hai in sab ke pichhe ka mastermind, if we find the mastermind behind it then we can solve this problem permanently??

Kaal: Nahi princess hume abhi bhi careful rahna hoga mujhe isse koi bhi information nahi mila, maine iske aankh mein wafadar hone ki chamak dekhi thi isliye maine ise time waste na kar direct jaan se maar diya, kyonki wo mujhe koi bhi information nahi deta.

Anupama: Koi baat nahi master aapne bahut achha kiya, abhi kuchh der ke liye ye khatra tal chuka hai aur Arjun bhi apne mission mein safal raha hai, usne Williams ko jaan se maar diya hai ye ek achhi khabar hai, bye master ab aap bhi ghar aa sakte hain.

Kaal: Bye princes, Take care.

[[Call Disconnected]]

***
___________
________________

Kajal Home
Time - 9:45 pm ||

Sabhi evening se hi Kajal ke ghar par Arjun, Rohan aur Rohit ka wait kar rahe the pal pal gujarte (passing) samay ke sath sabhi ke dil ki dhadkan bhi badhti ja rahi thi, kyonki fight samapt huye lagbhag 30 hours beet chuka tha teeno ne hi ghar par ab tak koi contact nahi kiya tha.

AD_4nXeQyuG4zBJ2gk5hpYla8GHxZoFq1GIPZisLYEnr2Zgbo8roQp8UtQVEG_-3gmHRtcFnLu2xX_MeWhNqNg6lnVYe1kyJ2Q-nMIEVUGnqNI_VMrGC99sCjnNgIVYN41msuxHMplYghQ=s320

Kriti: Mausi teeno kab aayenge bahut samay beet chuka hai aur abhi bhi teeno ki koi khabar nahi aayi hai aur na hi humne unhe ab tak koi call kiya hai, kya hum call kar unse baat kar le kya mujhe bahut darr lag raha hai??

AD_4nXfN1FIhBiv-pi9qk_J4inqzmiSNC5nggMXT1IHS8gz6eABbX-j2-jB-RZnvd3yMIHIoR_7mmcUISp_Djbo6kxUl30YBfTeteGAXk0lJOQvzHuV7S6iFfentvgjb4ZjLgZnrCPfyGQ=s320

Rashmika: Aur 1 se 2 ghanta wait kar lete hain Kriti, yadi sabhi 1 ya 2 ghante ke andar nahi aate hain to hum call kar pata kar lenge, yadi sabhi ne hume abhi tak koi contact nahi kiya hai to iske pichhe jarur koi na koi karan(cause) hoga.

Kriti: Thik hai mausi aap jaisa kaho.

Shivangi sabse dur akeli baithe Arjun aur Kriti ke bare mein hi soch rahi thi uske mann mein kai tarah ke sawal uth rahe the, aaj Ranjan ki death huye 1 mahina se bhi jyada beet chuka tha aur abhi tak wo khud ko Kriti ka gunehgar hi khud ko maan rahi thi, kabhi kabhi uske mann mein ye khayal aata ki mujhe Arjun aur Kriti ki life se bahut dur chale jana chahiye, kabhi kabhi wo khud hi soch baithti ki yadi mere jane ke baad Arjun ko maa aur papa ki koi khabar mil gayi to Arjun meri maa aur family ko kya jawab dega ki Arjun ke karan(cause) hi wo ghar chhod kar chali gayi, phir use kabhi kabhi Arjun ki nani Pavitra ka khayal aata ki jo galti usne ki thi kya use bhi ye galti karni chahiye. Shivangi jab akeli hoti to apne hi khayal mein dubi rahti kya Ranjan mujhe maaf kar payega, ye alag baat hai ki Ranjan ne mujhe Arjun ke sath physical relationship banane ke liye permission de diya tha par kya wo kabhi ye accept kar payega ki uski bahan ka pyar hi uski patni ne chhin liya. Arjun ne bhi mujhe aaj tak kabhi ek patni ki tarah nahi dekha hai wo hamesha mujhe abhi tak bhabhi hi bolta aaya hai, kya use hamara naya rishta accept hoga. Yadi main ghar chhod kar chali gayi to kya sabhi mujhe Pavitra ki tarah yaad karenge ya mujhe bhul jayenge. Kriti ne bhi mujhse abhi tak Arjun aur mere bare mein koi baat nahi ki hai, kya use mera aur Arjun ka rishta accept nahi hai, ye alag baat hai ki Kriti sabhi ko Arjun ke sath sexual relationship banane ki permission de deti hai par kya wo mujhe Arjun ki patni ke roop mein dekh payegi ki uski bhai ki patni hi uski hi hone wale pati ki patni ban chuki hai.

images-1

[Sayad nahi Shivangi ke dil mein andar se ek awaz aayi.]

[[Ha mujhe ghar chhod kar chale jana chahiye yahi sabhi ke liye thik rahega kyonki jahan main hoti hoon sabhi kuchh barbad ho jata hai, yahi sabhi ke liye thik rahega. Arjun ke wapas aane ke kuchh din baad main kisi ko bina bataye hi ghar chhod kar chali jaungi main apni hi nanad ka pyar nahi chhin sakti hoon.]]

[[Mujhe maaf karna Sara didi main phir se aapke pyar se vanchit rah jaungi mujhe aapka pyar sayad mere kismat mein likha hi nahi hai, ek baar phir se hum dono ko ek dusre se dur hona hoga aur es baar hum phir se kabhi nahi milenge.]]

“Shivangi ka dhyan ghar ke samne car ke rukne se tut gayi aur uska dhyan Arjun ki car ki aur chala gaya”.

***

________________________________________________________________________

That's all for this update. I hope you guys will enjoy this. The update comprises 5.3 k words. Sath bane rahiye aage kya hone wala hai iske bahut sare clue maine previous ke updated mein chhod rakha hai.

Ek aur baat friends main khud hi bahut sari stories padhta hoon, isliye ho sake kabhi kabhi story late se aa sakti hai sath hi sath mujhe apni study par bhi dhyan dena padta hai. Update aap sabhi ko regular intervals par milta rahega. Baki mere sath es journey mein jude rahiye hum sab mil kar es story ko iske ant tak le jayenge. Story mein abhi bahut sari ghatna aana shesh hai abhi bahut kuchh aana shesh hai abhi bahut kuchh hona shesh hai abhi story start ho rahi hai.
Shaandar jabardast Romanchak Super Dhanshu Update 👌 👌 👌
Arjun Daniel ke attack se bach gaye aur unpe paltwar karte huye dushman ko bhi khatam kar diya 😃 😃 Daniel ka chapter close ho gaya ab Raghav kya karega 😏
Maharashtra ki border kerla se kaha milti ? Karnataka hona chaiye
 
  • Like
Reactions: dhalchandarun

dhalchandarun

[Death is the most beautiful thing]
4,314
8,580
144
Shaandar jabardast Romanchak Super Dhanshu Update 👌 👌 👌
Arjun Daniel ke attack se bach gaye aur unpe paltwar karte huye dushman ko bhi khatam kar diya 😃 😃 Daniel ka chapter close ho gaya ab Raghav kya karega 😏
Maharashtra ki border kerla se kaha milti ? Karnataka hona chaiye
Oh sorry abhi correct kar deta hoon, chalo isse ye to mujhe pata chala ki story ko carefully read Kiya ja raha hai, aapse pahle bhi kitne logo ne padha hoga par kisi ne dhyan nahi diya.

Correct kar diya. Thanks a lot Iron Man for being a careful reader.
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Iron Man
Top