• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Aapka sabse favourite female character?

  • Kajal

    Votes: 140 58.3%
  • Rashmika

    Votes: 75 31.3%
  • Anu

    Votes: 32 13.3%
  • Kriti

    Votes: 46 19.2%
  • Krithi

    Votes: 31 12.9%
  • Rashi

    Votes: 26 10.8%
  • Anupama

    Votes: 26 10.8%
  • Sriya

    Votes: 29 12.1%
  • Shivangi

    Votes: 22 9.2%
  • Divya

    Votes: 17 7.1%
  • Shreya

    Votes: 22 9.2%
  • Nadhiya

    Votes: 23 9.6%
  • Ravina

    Votes: 68 28.3%
  • Nayanthara

    Votes: 25 10.4%
  • Anushka

    Votes: 20 8.3%
  • Trisha, Sri Leela, Hansika, Pooja, Amala, Twinkle

    Votes: 18 7.5%
  • Seetha, Pavitra, Diviya, Keerthy

    Votes: 13 5.4%
  • Ko

    Votes: 6 2.5%
  • Ii

    Votes: 6 2.5%

  • Total voters
    240

dhalchandarun

[Death is the most beautiful thing.]
4,780
9,783
144
  • Like
Reactions: parkas and Arpan003

dhalchandarun

[Death is the most beautiful thing.]
4,780
9,783
144
Nice update bro
Priya ki entry mast hai
Thanks!!! Keep connected. 💕
Khubsurat bhai❤️ ek dam se priya ki entry to superb thi🔥
Thanks brother. 💕
Mast khubsurat update bhai
Thank you very much. 💕
 

dhparikh

Well-Known Member
10,538
12,145
228
Update 114
✿⁠Assembly⁠

Recap: In the previous update humne padha tha ki ek aur jahan Anu ko Arjun ko hamesha hamesha ke liye pane ka rasta mil gaya tha wahin dusri aur Raghav ne apna phone aur() sim dono destroy kar diya tha.

Now Next: >>>

Kriti Hone
Time- 12:15 pm


Kriti ke ghar ke bahar ek police car aakar ruki jisme se Trisha bahar nikli. Trisha ki nazar jab ghar par padi toh ghar bahar se band tha. Trisha ne Leela ko call laga diya.

(Leela picks up the call.)

Leela: Hello mom.

Trisha: Where are you aur baki sab kahan hain??


images-5

Leela: Mom, main Arjun ke ghar par hoon aur mausi bhi yahin() hain(). Shivangi bhabhi aur Kriti didi Arjun ke sath gaye hain sabhi se milne ke liye Arjun ke mom ke paas.

Trisha: Main yahan ghar ke bahar hoon jaldi se ghar aa jao.

Leela: Okay mom abhi aati hoon.


[Call Disconnected]

***

Leela: Rashmika mausi mom ghar par aayi hui hai(), mujhe aur mausi ko ghar drop kar dijiye mujhe car drive karni nahi aati hai.

Rashmika: Sorry Leela main thoda busy hoon abhi. Tum ek kaam karo tum Shruti, Ranjith, Rohit ya phir Shreya ko le ja sakti ho.

Leela: Okay mausi.


[Some Minutes Later]

Rohit ne Leela aur Sithara ko drop kar diya.

Leela: Kya baat hai mom aap yahan achanak kaise aa gayi??

Trisha: Ha ab meri posting yahin par ho gayi hai.

*Wow*

“Ye toh bahut achhi khabar hai mom ki ab aap mere sath rahne wali ho, kab aayi aap??”
(Leela ne apni mom Trisha ko gale se lagate huye kaha.)

Sithara: Ghar chal kar baat kare ya phir tum dono maa aur beti ko yahin par sari baat karni hai??

Leela: Sorry mausi main apne excitement mein sab kuchh bhul gayi ki mom kab se bahar hi khadi hai.

***

Leela: Mom aapke liye bhi ek good news hai.

Trisha: Kya good news hai Leela??

“Shivangi beti ki mom mil gayi hai, Sithara ne Leela ki jagah jawab diya.”


images-6

Trisha: Ye toh sach mein bahut acchi news hai didi.

Leela: Ha mom par kash Shivangi bhabhi ke dad ka bhi pata chal jaye toh kitna achha hota.

Sithara: Leela jao chhoti() ke liye kuchh() bana kar le aao baten toh hoti rahegi.

Leela: Abhi layi mausi.

__________
____________


Ramya Home
Sunday - 2:25 pm


Jab se Samantha ne Ramya ko bataya tha ki Nithya ne apne jeevan sathi ke liye Arjun ko chuna tha tab se Ramya pareshan nazar aa rahi thi, Ramya ke mann mein apni beti Nithya ko lekar tarah tarah ke sawal chal rahe the, jo na toh Pavitra se chhupa() tha aur na hi Samantha se chhupa() hua tha.

Dopahar ke bhojan ke baad Ramya apne kamre mein apni aankh band kar abhi bhi apni beti Nithya aur Arjun ke bare mein hi soch rahi thi.

“Kya baat hai didi, kya soch rahi ho - Pavitra ne kamre ke andar pravesh karte huye kaha??”

Ramya: K-kuchh nahi Pavitra, aao baitho mere paas.

Pavitra: Ye kisi se chhupa nahi hai didi ki jab se aapko Arjun aur Nithya ke bare mein pata chala hai tab se hi aap kuchh soch soch kar pareshan hain, aise pareshan hone ka koi matlab nahi hai didi, jo bhi aapke mann mein hai mujhse share kar lijiye, kya pata main aapki() koi help kar sakti hoon.

“Kya Nithya, Arjun ke sath khush reh payegi?? Arjun ki already ek shadi ho chuki hai aur ek Kriti se hone wali hai– Ramya ne ek deep breathing lete huye apne mann ki baat apni bahan Pavitra se boli.”

“Yadi Arjun ki shadi nahi hui hoti toh definitely Arjun hamari Nithya ke liye best choice hota par chunki Arjun ki already ek shadi ho chuki hai aur ek hone wali hai, isliye kuchh() kehna thoda kathin hai par ha Arjun hamari Nithya ko khush rakh payega ye meri soch hai par aap Nithya ki maa hain aur aapko Nithya ka achha-bura sochne ka pura hak hai, aap Arjun ki koi test le sakte hain ya phir Nithya se baat kar sakti hain ki wo Arjun ke sath khush reh payegi ya nahi.”

Ramya: I agree with you that Arjun is undoubtedly the best choice for our Nithya but how will we give an answer to this society??

Pavitra: Didi ye society sirf apne bare mein sochta hai, aaj bahut kam aise log hain jo dusre ki khushi par khush hote hain, isliye aap ye society ki chinta na karen aap apni Nithya ke bare mein sochiye aap kya karna chahti hain.

“Exactly sasu maa- Samantha ne kamre mein parvesh karte huye kaha.”

Samantha: Pavitra aunty aap thodi der ke liye bahar ja sakti hain, main mom se kuchh private baat karna chahti hoon.

Pavitra: Okay!

(Pavitra kamre se bahar nikal gayi.)

Samantha: Mom, believe me, Arjun is a perfect guy for Nithya. She feels special for Arjun. Dil aur behaviour se toh Arjun sabhi ko abhi bhi khush rakhta hai baki Arjun ki height aur personality ekdum kadak hai wo hamari Nithya ko physically bhi khush rakh payega *smiles*, aap samajh rahi hai na main kya bolna chah rahi hoon.

Ramya: Ha, ha tum jo bolna chah rahi ho main bahut achhe se samajh rahi hoon, aisi gandi gandi khayal tumhare mann mein hi aa sakta hai.

*Hahaha*


images-6

Samantha: I agree with you. Agar ab bhi aapko believe nahi hai toh aap Arjun ka *test drive* kar lijiye waise bhi abhi dono padh rahe hain shaadi toh bahut baad” mein honi hai. Sach kehti hoon aapko bahut maza aayega Arjun ka drive karke.

Ramya: Tum phir se shuru ho gayi, maine tumse kaha tha na ki main ye sab Arjun ke sath nahi karna chahti hoon aur mujhe nahi lagta hai ab main kisi ke sath kar paungi kyonki ab mujhe koi achha() *banda* nahi milne wala hai.

Samantha: Achha aap ye bataye ki Arjun sabhi ko happiness deta hai ya nahi??

Ramya: Deta hai, ye bhi koi puchne wali baat hai.

Samantha: Matlab aap agree karti hain ki wo Nithya ko mentally khush rakhega??

Ramya: Yeah!!

Samantha: Aur mujhe believe hai ki jaise uski personality aur physique hai, Arjun hamari Nithya ko physically bhi satisfy rakh payega aur phir aap ye kaise bhul rahi hain ki uski family sirf prem karna janti hai.


images-7

Ramya: Okay! Phir bhi mujhe Arjun se kuchh personally baat karni hai.

Samantha: Kahin aap Arjun se ye to nahi *puchhne’ wali hain() ki wo aapki beti ko physically khush rakh payega ya nahi??

|Hehehe|

(Isse pahle ki Ramya koi jawab de pati Samantha apne face par smile liye hasti hui kamre se bahar nikal gayi.)

_____
______

Arjun, Kriti, Shivangi aur Kajal charo(4) 3:05 pm ko hi Pearl City se sabhi se bida lekar diamond City ke liye nikal gaye the jabki Sara apni maa Seetha ke paas hi reh gayi thi.

Kajal aur Shivangi ek car mein thi jabki Arjun aur Kriti ek car mein thi. Kriti car drive kar rahi thi jabki Arjun bagal mein baitha hua tha aur aage kya karna hai soch raha tha.

***


[Kriti Car]

Arjun ka phone ring hua. Arjun ne apne pocket se phone nikal kar dekha toh Anu ka call tha. Arjun ne apne face par smile late huye call receive kiya.

Arjun: Hello Anu!!

Anu: Where are you my saviour??

Arjun: I am on the way, I am coming.


images-7

Anu: Kya tum mere ghar aa sakte ho apne ghar jane se pahle??

Arjun: Okay! I am coming. It will take some time.

Anu: No worries. I am waiting for you and there is someone who wants to meet you.

Arjun: Who??

Anu: Surprise.

Arjun: Okay! Okay!!! Let's see.

Anu: You won't be disappointed, bye saviour.


[Call Disconnected]

____
_______


Sunday
Amika Home
Time- 5:45 pm


2 hours and 40 minutes ke baad Arjun ki car Amika ke ghar ke bahar aakar ruki.

Arjun aur Kriti dono car se utar kar Amika ke ghar ke gate ki aur badh gaye.

*Ding dong*

Chunki ghar andar se band tha isliye Arjun ne callbell bajayi. Priya ne ghar ka door open kiya aur apne samne khade shaks ko dekh kar uska chehra surya ki prakash ki tarah khil utha par Priya ne khud par niyantran kar liya.

“Aap kaun hain aur kisse milna hai?? Ek chhoti si bachi ne apne face par smile late huye Arjun se puchha.”

(Arjun jahan chhoti ladki ki aankh ko gaur se dekh kar apne past mein chala gaya jabki Kriti chhoti ladki ki sundarta mein kho gayi, ye kahna bilkul bhi galat nahi hoga ki aaj se pahle Kriti ne kabhi bhi itni sundar aur cute ladki apne life mein kabhi bhi nahi dekhi thi. Aur ladki ki sabse hairan karne wali baat thi uski aankh jo black, white, blue and green sabhi colour ki dikhai de rahi thi jo kisi ajooba se kam nahi thi.)

Arjun: Main Arjun hoon par tum kaun ho, isse pahle maine tumhe yahan kabhi bhi nahi dekha hai aur na hi tum aas paas ki ho aur na hi Amika ki koi rishtedar ho, par mujhe tumhari aankhen kisi ki yaad dila rahi hai??

“Kiski yaad dila rahi hai Arjun??”

(Arjun ke sawal ka jawab dene ke bajay viprit(opposite) ladki ne Arjun se ek sawal daag diya.

[Badi badtameez ladki hai apne se bade vyakti ko naam se bulati hai, arey bhaiya ya uncle bolna chahiye tha na Kriti ne mann hi mann socha.]

Arjun: Wo meri ek college friend thi.

“Achha friend ya girlfriend thi Arjun??”

(Ye kya ye ladki abhi se hi girlfriend ki baat kar rahi hai aur mujhe 12th ke baad hi girlfriend aur boyfriend ki baat pata chali thi, Kriti ne khud hi mann *hi’ mann socha aur khud hi has padi.)

Arjun: Nahi sirf friend thi, par tum kaun ho aur mujhse itne sawal kyun kar rahi ho??

“Main es ghar ki queen hoon aur yadi tumhe ghar ke andar aana hai toh mere sabhi sawal ke jawab dene honge, kya pata tum koi chor ya apradhi ho aur sabhi ko hurt karne aaye ho.”

[Oh my god, kya ladki hai ye abhi se hi dadi amma jaisi baat kar rahi hai, Kriti ne mann hi *mann* socha aur andar hi andar ek baar phir se has padi.]

Arjun: Main kisi ko koi hurt nahi karna chahta aur tum andar jakar Anu ya Amika ko bula do.

“Nahi! Bilkul nahi pahle mere sabhi sawal ka jawab do phir andar aa jana.”

Arjun: Agar maine tumhare sawal ka jawab nahi diya toh??

“Tum ghar ke andar aana ke liye phir bhool hi jao, tum ek kadam bhi ghar ke andar apna pag nahi rakh paoge.”

Arjun: Achha.

“Bilkul.”
(Ladki ne apne face par smile late huye kaha.)

Arjun: Accha! Phir puchh lo jo puchha hai.

“Us ladki ka kya naam hai jiski aankh tumhe meri aankh jaisi lag rahi hai??”

(Dekho toh kitni badtameez ladki hai mere love ko tum bol rahi hai, Kriti ne mann hi mann socha par phir se ek baar shant reh gayi.)

Arjun: Hmmm! Uska naam hai Srinidhi.

“Okay! Aur mujhe sabhi Priya kahte hain, tum mujhe Priya bol sakte ho samajh gaye Arjun.”

Arjun: Haan! Haan samajh gaya ki abhi tak main jisse baat kar raha hoon us cute si ladki ka naam Priya hai.

Priya: Smart boy. Mere sangat(company) mein rahoge toh aur bhi jyada intelligent ho jaoge, isliye mere sath raha karna.

*Hahaha*

[Es baar Arjun aur Kriti dono hi khil khilakar has pade.]

Arjun: Achha tumhari age kitni hai??

Priya: No personal questions, you stupid Arjun. Tumhe abhi tak pata nahi hai ki ladki se uski() age(umar) nahi pucha karte hain—huh.

Arjun: Par tum toh kab se mujhse sawal par sawal kiye ja rahe ho, phir main kyun nahi puch sakta hoon??

Priya: Kyunki tum mere ghar aaye ho isliye jawab toh tumhe dena hi padega you stupid Arjun, kitne buddhu ladke ho tum, mera sath raho dekho main kaise tumhe smart boy bana deti hoon.

Arjun: Okay! Okay main samajh gaya.

(Baap re kya ladki hai ye, Kriti ke mann mein aawaaz aaya.)

Priya: Kya samajh gaye you stupid boy??

Arjun: Yahi ki main tumse nahi jeet sakta hoon, ab kisi ko ghar se bula do mujhe Anu ne yahan bulaya hai milne ke liye.

Priya: Kyun milna chahte ho meri chhoti maa se, tum meri chhoti maa ke koi rishtedar toh ho nahi, kahin tum meri chhoti maa ko hurt toh nahi karne aaye ho, mujhe meri chhoti maa ne tumhare bare mein kuchh bhi nahi bataya hai, phir main tum par kaise believe kar sakti hoon ki tum meri chhoti maa ko jante ho??

Arjun: Dekho ab tum mujhe irritate kar rahi ho aur mujhe gussa bhi aa raha hai.

Priya: Achha! Tumhe gussa bhi aata hai. Mujhe lagta tha ki kisi ko ek chhoti ladki ke sawal par gussa nahi aata hai. Very bad, very bad, gussa human ke brain ko disturb karta hai aur kabhi kabhi brain ki veins rupture ho jati hai jisse *brain hemorrhage* ho jati hai, isliye calm down yourself, okay you stupid boy.

(Oh my god yeh ladki toh abhi hi brain hemorrhage ke vishay mein janti hai jabki ye abhi school bhi nahi gayi hai lagta hai, Kriti ke mann mein khayal aaya aur Priya se khud ko impress hone se na rok payi.)

Arjun: Okay, samajh gaya mujhe ghar ke andar aane ke liye kya karna hoga??

Priya: Mere sawal ka jawab dete jao jab mere sawal khatam ho jayega tum ghar ke andar aa sakte ho.

Arjun(Sad): Thik hai puchho.

Priya: Ye samne wali ladki tumhari wife hai ya girlfriend??

Arjun: Abhi tumne kuchh() der pehle kaha tha no personal questions phir mujhse ye personal question kyun puchh() rahi ho??

Priya: Maine kaha tum mujhse nahi() ‘puchh* sakte ho maine ye nahi kaha tha ki main nahi puch sakti() hoon you stupid boy.

Arjun: Okay ye meri girlfriend hai Kriti.

Priya: Mast jodi hai. Lagta hai ye tumse bahut jyada pyar karti hai. Main tum dono ko ashirwad deti hoon ki tumhari jodi amar rahegi.

(Dekho toh kaisi ladki hai khud hi bitti bhar ki hai aur hum dono ko ashirwad de rahi hai. Kriti ne ek baar phir se mann hi mann socha par achha hai kitna pyara aashirwad diya hai isne.)

“Priya ab bahut ho gaya tumhe jo karna tha tum kar chuki ho.”

[Anu jo door ke pichhe se hi sab kuchh sun rahi thi bahar aate huye boli.]

Priya: Thik hai chhoti maa aapko apne saviour ka bada khayal hai aur aapne mere bare mein socha hi nahi ki mujhe kitni peeda hui hai.

Anu: Sorry Priya. Aao Arjun andar aao, aap bhi andar aa jaye Kriti ji.

***

Arjun, Kriti, Anu aur Priya charo(4) Anu ke room mein baith gaye baki sabhi bahar gaye huye the.

Arjun: Anu tumne kaha tha ki tum koi surprise dene wali ho aur koi mujhse milna chahta hai, kya ye wahi surprise hai, kya Priya hi mujhse milna chahti thi??

Anu: Yup!! How was the surprise??

Arjun: Accha tha par ye kaun hai aur tumhe chhoti maa kyun bol rahi hai??

Anu: Ye Amika ke bhai Priyanshu ki beti hai, kal hi USA se aayi hai isliye main iski chhoti maa hoon.

Arjun: Anu jab ye mujhse milna chahti thi phir mujhe itna pareshan kyon kiya usne??

Anu: Ab ye tum isse hi puchh lo mujhe iske bare mein kuchh nahi pata hai.

Arjun: Priya tumne mujhe pareshan kyon kiya??

Priya: Tumhe jyada bura laga kya Arjun??

Arjun: Jyada nahi par thoda sa bura toh laga.

Priya: Phir mujhe ek baar apne gale se laga lo Arjun tumhari narajgi dur ho jayegi.

Arjun: Achha phir aao mere gale se lag jao.

(Arjun ne apni dono bahen khol di aur Priya jakar Arjun ke gale lag gayi.)

[Jaise hi Priya, Arjun ke gale se lagi Arjun ko aisa feel hua jaise wo apni hi soul(aatma) se mil raha ho, Arjun ko Priya ki touch mein waisi hi feel aane lagi jaise Arjun ko Srinidhi ki touch se milta tha par Arjun ne kabhi bhi Srinidhi ko apne gale se nahi lagaya tha. Arjun ke andar khushi ka sanchar hone laga uska mann khushi se kisi dipak ki tarah prakasit ho utha.]

“Ye, ye kaise ho sakta hai, mujhe tumhari aankh Srinidhi ki tarah dikhai deti hai, tumhara touch bhi Srinidhi ke jaisa hai, Priya kya tum meri Srinidhi ho??”

Priya: Nahi main Srinidhi nahi balki Priya hoon apni chhoti maa ki Priya. Ha yadi tum mujhe bol do ki main tumhari Priya hoon toh main tumhari Priya bhi ban sakti hoon. Aur ek baat main tumhe Arjun hi bolungi.

Arjun ne khud se Priya ko alag kar Priya ki aankh mein dekhne laga par afsos Arjun ko kuchh nahi mila.

Arjun: Koi baat nahi tum mujhe Arjun bula sakti ho.


images-5

Kriti: Aur mujhe kya kahogi Priya??

Priya: Aapko Arjun kya bolta hai??

Kriti: Kabhi Kriti, kabhi mam, toh kabhi my love, toh kabhi janu.

Priya: Phir main bhi aapko kabhi janu, kabhi my love, kabhi mam, toh kabhi Kriti bolungi, aapko koi problem toh nahi hai??

Kriti: Nahi tumhe jo mann kare mujhe bula sakti ho.

Arjun: Okay Anu hum chalte hain.

Anu: Ruko thodi der Amika, Priyanshu, mom aur Priya ki mom ko aa jane do sabhi se mil kar jana.

Arjun: Nahi abhi late ho raha hai.

Priya: Dono ko jane dijiye chhoti maa, hum milte rahenge.

Arjun: Bilkul.

Anu: Okay my saviour aap dono ja sakte hain.

(Arjun aur Kriti ghar se nikal gaye.)

Anu: Priya tum Arjun se milne ke liye itna utawala ho rahi thi phir tumne Arjun ko itna pareshan kyon kiya??

Priya: Ab usne mujhe khud se dur rakh kar mujhe jitni peeda di hai ye uske samne kuch bhi nahi tha chhoti maa, Arjun se main lagbhag 3 years and one month dur rahi hoon.

Anu: Ye kaise possible hai Priya, Arjun ki age lagbhag 20 years hone wali hai phir tum Arjun se 20 years baad mil rahi ho phir tumne 3 years and one month kyon kaha??

Priya: Aapne jo kaha wo bhi sach hai aur maine jo kaha wo bhi sach hai chhoti maa.

Anu: Ek sath dono baten kaise sach ho sakti hai Priya??

Priya: Bilkul ho sakti hai chhoti maa.

Anu: Kaise??

Priya: Kyunki() sabhi planets ki apni apni timeline hoti hai chhoti maa.

Anu: I got it. Jaise Venus, Jupiter, Mars and other planets ki timeline alag alag hai waise hi.

Priya: Exactly.

Anu: Priya ek baat batao Arjun bol raha ki tumhari aankhein Srinidhi ke jaisi hai, kya ye sach hai??

Priya: Nahi chhoti() maa sirf meri aankhein hi nahi balki main puri ki puri Srinidhi hoon, par chunki Arjun ne Srinidhi ko chhote roop mein nahi dekha hai isliye main chehre se Arjun ko Srinidhi ke jaisi nahi lagi.

Anu: Matlab tum puri Srinidhi ho??

Priya: Sirf chehre se par main Srinidhi nahi hoon and you know that very well.

Anu: Yeah! I know, you are the energy source of Arjun.

***
___
—------


Monday
Vikramaditya College
Ramya mam cabin,


Lunch break par Arjun, Ramya mam ke cabin par chala gaya.

“May I come in mam??

(Arjun ne gate ko knock karte huye kaha jisse Ramya ka dhyan Arjun ki aur chali jaye.)

Ramya: Get inside and sit down.

Arjun: Mam boliye kya baat hai aur aap kuchh() pareshan lag rahi hain koi pareshani hai kya??

Ramya: Wo main Nithya aur tumhare liye thoda pareshan hoon Arjun.

Arjun: Koi karan mam??

Ramya: Mujhe doubt hai ki Nithya tumhare sath khush reh payegi ya nahi.

Arjun: Mam, main aapko ek promise karta hoon jis din meri wajah se Nithya ki aankh mein ek boond bhi aansu aaya wahi din Arjun es dharti ko chhod kar chala jayega, phir bhi yadi aapko mujh par bharosa na ho toh aap jab chahe Nithya ka rishta mujhse tod sakti hain.

Ramya ko Arjun ki aankh mein sirf sach hi dikhai diya jo es baat ki gawahi de raha tha ki wo Nithya ko apni jaan se bhi jyada khush rakhega. Apni khushi se pahle Nithya ki khushi ka khayal rakhega.

Ramya: Mujhe tumhari baat se mere mann ki chinta dur hui. Par ek last sawal hai.

Arjun: Puchh() lijiye mam.

Ramya: Tum Kriti, Shivangi aur Nithya kisse sabse jyada pyar karte ho??

Arjun: Kissi se nahi.

Ramya(shocked): Ye kaisa jawab hai Arjun??

Arjun: Mam yahi sach hai. Meri life mein jo bhi hai main sabhi se equally love karta hoon. Phir chahe ho Dhruv ho, chacha ho, mausa ji ho ya phir koi aur. Aur agar sach kahun toh main jitna sabhi se prem karta hoon utna hi aapse() bhi prem karta hoon mam, kyunki main aapko bhi sabhi ke jaisa hi apna family consider karta hoon.

Ramya(Blushes): Hmmmm. I am satisfied now with your answer, you may leave now.

[Arjun cabin se bahar chala gaya jabki Ramya ke dil ki chinta dur karta chala gaya. Ramya mann hi’ mann () ye soch kar muskura padi ki Samantha, Pavitra aur Paritosh sabhi ne sahi kaha tha ki Arjun bilkul sahi choice hai Nithya ke liye. Ramya ka face chamak utha.]

—----


[At College Canteen]

Arjun ka pura group Krithi, Rashi, Nivetha, Amit aur Rohan sabhi ek sath canteen mein baithe the Arjun bhi unke samne jakar Rashi ke bagal mein baith gaya.


images-3

Krithi: Bhai tumhe Ramya mam ne kyun bulaya tha??

Arjun: Wo janna chahti thi ki main uski beti Nithya ko khush rakh paunga ya nahi.

Rohan: Kya matlab hai es baat ka Arjun??

Arjun: Nithya ne mujhe apna dulha bana liya hai, isliye Ramya mam janna chahti thi main Nithya ko khush rakh paunga ya nahi.

*Hahaha*

(Sabhi ek sath Arjun ki baat par has pade.)

Krithi: Kyun mazak kar rahe bhai tumhari already ek shadi ho chuki hai aur ek Kriti mam se hone wali phir wo tumhe apna jeevan sathi kaise chun sakti hai??

Rashi: Ye bilkul possible hai Krithi didi, sab ladki Arjun ko apne premi ke roop mein dekhna chahti hain and I am damn sure ki usne Arjun ko pane ke liye koi na koi bada kand jarur kiya hoga. Nithya, Leela ki tarah apne prem ko sacrifice karne ke bajay apna prem pane ke liye koi game khel gayi hogi warna wo Arjun ko nahi pa sakti thi.

Arjun: Tumne bilkul sahi guess kiya my hottie friend, tum mujhe better samajhne lagi ho.

Krithi: Bhai congratulations.

Rohan: Congratulations.

Nivetha: Congratulations devar ji.

Rashi: Congratulations Arjun.

Arjun: Thanks everybody.

Amit: Par chhote bhai tum ek sath 3 women ko kaise khush rakh paoge??

Arjun(silence): ……..


images-4

“Wo teen nahi balki 30 ko bhi ek sath khush rakh sakta hai, Nivetha ne dhire se Amit ke kaan mein kaha, you know maine tumhe kabhi bataya nahi Arjun ne mujhe birthday party wali night ko ek hi baar mein 2 hours se jyada der tak kiya tha. Meri() halat kisi memne ki tarah ho gayi thi par sach kahoon toh jannat ka maza mil gaya tha.”

[Amit ka face ascharya se bhar gaya aur Amit apni badi badi aankhon se Arjun ko dekhne laga wo Nivetha ki baat par believe nahi kar paya par afsos ki uske paas believe karne ke alawa aur koi option nahi tha.]

Arjun: Aise kya dekh rahe ho bhaiya jaise aap mujhe pahli baar dekh rahe ho??

Amit(Stammering): K-kuchh() nahi chhote bhai.

Arjun: Hmmmm.

“Arjun mubarak ho ek aur kadak maal tumhari ho gayi-Rashi ne dhire se Arjun ke kaan mein boli.”

Arjun: Yup!
(Arjun whispers in Rashi’s ear and smiles.)

Rohan: Kya baat ho rahi hai tum dono mein??


images-2

Rashi: Something private.

{Rohan ne aage kuchh() na kaha par Rohan ko samajh aa gaya ki dono kuchh() naughty baat kar rahe honge.}

Krithi: Bhai chale class ka time ho raha hai.

Arjun: Hmmmm.

(Sabhi apne apne class chale gaye.)


***

Previous Day
Manikchand Home
Sunday - 8:17 AM(⁠θ⁠‿⁠θ⁠)


Manikchand, Ballu, Kallu aur teeno ke sath ek aur shaks Manikchand ke kamre mein tha.

Ballu: Kya khabar hai be Hariya, kuchh() pata chala Arjun ke bare mein ki wo kyon Shivangi ke ghar jata rahta hai??

Hariya: Ha Arjun ki shadi hui hai Shivangi se.

“Ye kya bakwas kar rahe ho, subah subah pi kar aaye ho kya??”

(Sabhi ke kaan mein Manikchand ke gusse se bhari aawaz sunayi diya.)

Hariya: Nahi, nahi maalik bilkul nahi, main apni maa ki kasam khakar() kehta hoon main sach bol raha hoon malik.

Ballu: Chup be tum kisi ki bhi jhooti kasam kha sakte ho ab sidhe sidhe sach batao.

Hariya: Main aap sab se jhoot kaise bol sakta hoon, mujhe apni jaan bahut pyari hai.

Kallu: Ye thik bol raha hai malik ye jhoot bol sakta hai bilkul bol sakta hai par hum logo se nahi.

Manikchand: Par ye kaise ho gaya??

Abhi koi aur kuchh* bol pata ki Manikchand ka phone baj utha.


[[Phone Calls]]

Manikchand: Bolo kya baat hai??

Guard: Koi aapse milne aaya hai, wo khud ko ek doctor bata raha hai aur uska naam Raghav hai, wo bol raha hai ki wo aapse mil kar kuchh() jaruri baat karna chahta hai.

Manikchand: Andar bhejo use.

Guard: Ji malik.


[Call Disconnected.]

***
Manikchand: Bolo kya bolna chahte ho doctor??

Raghav: Main aap ki help kar sakta hoon mantri ji.

Manikchand: Kis kaam mein doctor??

Raghav: Main aapko Arjun ke bare mein jaruri information de sakta hoon.

Manikchand: Bolo doctor kya information hai tumhare paas??

Raghav: Pahli baat aap Shivangi ko jaan se marna chahte hain ye toh mujhe samajh aa gaya hai aur aapne hi Shivangi par attack kiya tha right??

Manikchand: Ye tum kaise bol sakte ho doctor??

Raghav: Kyon ki jab *aapne’ attack karwaya tha mera ek aadmi jiska naam Daniel hai wo Arjun ko marne ke liye Arjun ke pichhe tha.

Manikchand: Tum Arjun ko kyun marna chahte ho??

Raghav: Ye mera personal matter hai mantri ji.

Manikchand: Okay! Maine hi hamla karwaya tha, ab bolo kya information hai tumhare paas??

Raghav: Aapki attack mein Arjun ki accidentally Shivangi se shadi ho gayi thi aur itna hi nahi Shivangi ka pahla husband Ranjan mar chuka hai.

Manikchand: Oh ye baat hai itna sab kand ho chuka hai aur mujhe pata hi nahi chala hai.

Raghav: Aur bhi bahut sari baten aapko janni hai Arjun ke bare mein.

Manikchand: Bolo??

Raghav: Itna hi nahi information ye hai ki Arjun ne *world ke best underground fighter *Williams* ko maar diya hai, usne mere 3 log Daniel, Jack aur Morgan ko bhi maar diya hai and interesting baat ye hai ki teeno hi fighters the.

Manikchand: Aur koi information??

Raghav: Yes! Arjun cyanide poison pikar bhi jinda bach gaya.

Manikchand: How can it be possible, doctor??

Raghav: Yahi sach hai mantri ji.

Manikchand: Aur koi information??

Raghav: Aap itna samajh lijiye ki Arjun ko marna bahut kathin hoga wo 2 baar Daniel ke bullet ko escape kar chuka hai jabki Arjun ne Daniel ko dekha bhi nahi tha, aap samajh rahe hain na main aapko kya hint karna chahta hoon.

Manikchand: Matlab Arjun ko shoot karna bahut mushkil kaam hai.

Raghav: Aap bilkul sahi samajh rahe hain mantri ji.

Manikchand: Aap mujhse kya chahte ho doctor??

Raghav: Help.

Manikchand: Kaisi help??

Raghav: Arjun ki wajah se mera, meri biwi Shruti se divorce hua hai aur divorce karane mein main role nibhai hai Samantha ne isliye main sabse pahle use hi marna chahta hoon.

Manikchand: Okay doctor itni sari information ke badle mein main aapka kaam kar dunga.

Raghav: Thik hai mantri ji ab main chalta hoon.

Manikchand: Ek confirmation chahiye doctor.

Raghav: Kya??

Manikchand: Kya Samantha, Ramya madam ki bahu hai jo es state ki sabse best advocate mein se ek hai??

Raghav: Yes mantri ji.

Ballu: Malik phir mujhe Samantha ko marne ka chance dijiye. Ramya madam ne meri beizzati ki hai mera badla bhi pura ho jayega.

Manikchand: Thik hai par dhyan se.

Ballu: Ji malik.

Raghav: Thik hai phir main chalta hoon.

Manikchand: Okay doctor.

(Raghav apne face par ek kamini smile liye huye Manikchand ke ghar se nikal pada.)


[Conversation Ends]


***

Monday
Kajal Home
Time - 5:05 PM ⁠


Bahar garden mein sabhi apni training ke baad sabhi aage aane wale challenges ke bare mein baat kar rahe the.

Arjun: Listen everybody, jaisa ki aap sabko maine bataya hai mujh par, Kriti mam, Rashmika mausi aur Shivangi ji par Manikchand ne hamla karwaya hai aur Raghav ne apna phone aur sim dono hi destroy kar diya hai isliye hume careful rahna hoga.

Kajal: Right.


images-1

Rashmika: Raghav ke liye Arjun, Samantha, Shruti aur Kajal se sabse jyada problem hui, isliye ye charo Raghav ki list mein shamil ‘hain*. Raghav charo ke liye khatra hai, am I right??

Krithi: Yeah right, mausi.

Rashmika: Dusri baat Manikchand se Shivangi aur Kriti ko sabse jyada khatra hai par sabhi ko careful rahna hoga jaisa hume Manikchand ke past(ateet) ke bare mein pata chala hai.

Rohan: Yeah I agree with you.

Kajal: Fine then jab kisi ko lage koi khatre mein hai call Rashmika or Arjun, ek aur baat koi bhi apne watch ko apne wrist se na khole aur apna mobile apne paas rakhe, is it clear??

Rashi: Yes mam.

Arjun: Okay phir aaj ka class khatam hua.


***


Kajal Home
Time- 9:30 pm|


Arjun, Rashmika aur Kajal teeno Arjun ke kamre mein baat kar rahe the.

Rashmika: Ek good news hai.

Arjun: Kya??

Rashmika: Raghav ne ek naya sim card kharida hai aur kal subah Sunday ko 8:45 AM ko uska sim Manikchand ke ghar ke paas locate hua tha.

Arjun: Aapko kaise pata chala mausi ki Raghav ne new sim card kharida hai??

Rashmika: Shruti ne mujhe Raghav ke documents diye aur maine uske documents pe nazar rakha bas.

Arjun: Wow mausi you are just awesome aap kisi ke documents se bhi pata laga sakte hai kisi ke bare mein.

Rashmika: Thanks me later, pahle ye pata karo ki kya Raghav kal Manikchand ke ghar gaya tha usse milne ke liye.

Arjun: Okay my super queen.


[5 Minutes Later]

Arjun: Yes mausi Kalpana aunty ne confirm kar diya hai wo milne ke liye gaya tha.


images

Kajal: Matlab Raghav ne tumhare bare mein bahut kuchh() Manikchand ko bata diya hoga.

Arjun: Yeah. I know.

Kajal: Rashmika main Shruti ko tumhare hawale chhod rahi hoon uska dhyan rakhna.

Rashmika: Ji didi.

Kajal: Arjun ab Samatha ko protect karna hoga.

Arjun: Main Rohit bhaiya ko ye responsibility de deta hoon.

Kajal: Okay good night, main Dhruv ke paas ja rahi hoon sone ke liye.

Rashmika: Aur main apni sasu maa ke paas ja rahi hoon.

Arjun: Okay. Good night, both of you.

____
_______


Planet Plutonium

Queen Srinidhi apne raj darbar mein apne singhasan(throne) par baithi hui thi aur apne chief mantrigan aur Acharya se kuchh jaruri vartalap kar rahi thi tabhi ek sainik darbar mein dakhil hua.

“Hail of the queen, yadi maharani ki aagya ho toh main kuchh kehna chahta hoon.”

Queen: Permission granted.

“Ji maharani bahar bahut sare log aaye huye hain aur aapse milna chahte hain.”

Queen: Logo ko mujhse milne ke liye kab se permission ki jarurat padne lagi sainik??

“Sorry maharani kshama(pardon), aap abhi jaruri vartalap mein vyast thi isliye humne unhe rok diya iske liye maafi chahta hoon.”

Queen: Okay! Sabhi ko respect ke sath darbar(court) mein laya jaye.

“Ji maharani, aisa hi hoga.”


[Some Moments Later]

Bahut sare mahila aur purush darbar mein dakhil huye.

{Hail of the queen. Hail of the queen– logo ki dhwani darbar mein gunj utha.}

Queen: Aap sabhi ka raj darbar mein swagat hai, boliye aap sab mujhse kyun milna chahte hain??

“Ji, ji maharani hume apne king Arjun ke darshan kara dijiye, hum sab apne king ko dekhne ke liye taras gaye hain.”

Queen: Bas itni si baat. Abhi kara deti hoon.

Logo ke aankhon ke samne Arjun ki chhavi dikhai dene lagi, ye wahi samay tha jab Arjun aur Priya dono baat kar rahe the.

“Ye, ye kya hai maharani ji Arjun toh aapke hi sath hai, court mein ek mahila ne kaha.”

Queen: Wo main nahi hoon.

“Phir ye kaise possible hai ki koi aur aap ka roop dharan kar sakta hai, jabki koi bhi kitna mayavi kyon nahi ho aap ka roop dharan nahi kar sakta hai, ek mantri ne ascharya hokar puchh liya??”

Queen: Aapne bilkul sahi kaha hai koi bhi mera roop dharan nahi kar sakta hai sirf aapke king ko chhod kar.

“Phir ye kaise possible hai kisi ne aap ka roop dharan kar rakha hai jabki wo na toh aap hain aur na hi hamare king, ek dusre mantri ne puchh liya??”

Queen: Ye possible isliye hai kyunki wo Arjun ki energy hai.

“Achha! Ye baat hai tabhi main sochun ki aapke *baal roop* ko kisne dharan kar rakha hai– ek mahila ne kaha.”

“Kitna sundar drishya hai jab hamare king Arjun ki shakti hi uske sath hai, par ye kya wo toh hamare king ko pareshan kar rahi hai, ek vyakti ne kaha??”

Queen: Wo Arjun se thoda naraz hai isliye Arjun ko pareshan kar rahi hai, wo Arjun se lagbhag plutonium planet ke according 1 year dur rahi hai aise itni easily na toh Arjun ko maaf kar sakti hai aur na hi Arjun ko apna satya bata sakti hai.

“Ji, ji maharani ab sab kuchh saaf saaf samajh aa raha hai, kya aur kyon ho raha hai ye sab.”

Queen: Aap log ab ja sakte hain aaj ki sabha yahin samapt hoti hai.

“Ji, ji maharani!”


Sabhi log ke sath mantri gan bhi court se chale gaye. Ab sirf court mein maharani aur Acharya hi bache reh gaye.

Acharya: Putri par abhi tak humne Priya ko kyon nahi dekh paya tha aur mujhe lag raha hai jaise aapne bhi Priya ko aaj hi pahli baar dekha hai.

Queen: Aap sahi keh rahe hain Acharya maine bhi Priya ko aaj pahli baar dekha hai aur hum sabne Priya ko aaj pehli baar isliye* dekha hai, kyonki Priya ki wish ke bina main bhi Priya ko na dekh sakti hoon aur na hi jaan sakti hoon ki wo kya kar rahi hai.

Acharya: Hmmm! Phir mujhe bhi jane ki permission dijiye putri.

Queen: Ji Acharya aap ja sakte hain.

[Acharya ke jate hi Srinidhi ke face par smile aa gayi. Aakhir tum bhi apne king ke paas chali gayi milne ke liye aur tumne mera hi roop dharan kar mujhe phir se apne bachpan ki chhavi dikha di, tum dhanya ho Priya, tumhari jai ho Priya.]




***
________________________________________________________________



That's all for this update. The update comprises 5.8k words. Stay tuned till the next update comes. Till then bye bye friends.
Nice update....
 

dhalchandarun

[Death is the most beautiful thing.]
4,780
9,783
144
  • Like
Reactions: parkas

dhalchandarun

[Death is the most beautiful thing.]
4,780
9,783
144
Mast mazedaar update Bhai
Arjun jald hi plutonium Jane ki tayeari me hai
Abhi itna jaldi. Arjun ko Plutonium planet ke bare mein kuchh bhi nahi pata hai. Thanks 👍.
Shaandar jabardast Romanchak Lovely Romantic Update 💓 💓 🔥 🔥
Thanks a lot. 💕 🌺
Manikchad Raghav milkar planning shuru kar diye idhar Arjun ko Raghav Manikchad ke milne ka pata chal gaya ab samntha ki jaan khatre me dekhte hai kya hoga 😏 😏
Abhi toh mujhe bhi nahi pata hai kya hone wala hai kyonki maine ye scene design nahi kiya hai abhi tak.
Samntha jyada hi notty ho rahi Ramya Arjun ke tanka bhida rahi hai 😊 😊 😊
Priya ne Arjun ko bebs kar diya 😃 😃
Kisi ko toh naughty hona hi padega sabhi ko ideal woman show nahi kiya ja sakta hai.
 

king1969

Well-Known Member
3,656
5,031
143
Bahut hi mazedar update
 

dhalchandarun

[Death is the most beautiful thing.]
4,780
9,783
144

Gurdep

Well-Known Member
2,433
3,020
144
Update 2
The Journey
Begins


Meri journey to bahut pahle hi start ho gayi thi lekin main story ko wahan se start kar raha hoon, jab main 19 years ka hua yani jab mere dad ne engineering college mein mera admission karaya to unhone mujhse puchha!

Dad: Kahan rahna chahoge Arjun hostel mein ya uncle and aunty ke paas tumhara decision final hoga??

Arjun: Dad main hostel mein rahna more prefer karunga to dad ne kaha tumhare mom ne tumhari chachi se baat kar li hai ki tum unke yahan hi rahoge.

Dad ne aage bolna jari rakhte huye aage kaha.

Dad: Aur to aur tumhare chacha and chachi bhi yahi chahte hain ki tum unke pass raho kyonki jyadatar tumhari chachi ko ghar par akele hi rahana padta hai.

Main bhi rahne ke liye agree ho gaya kyonki meri chachi nature wise bahut hi jayada achhi hain aur mera unse ek deep connection hai jo aage story me aapko pata chalti rahegi.

Evening mein dad aur main uncle ke ghar pahuche maine doorbell bajayi to kuchh der ke baad Kajal chachi ne ghar ka door khola.

Maine chachi ke pair chune chahe to unhone mujhe gale se laga liya.


1719576551171

Aur phir mujhse alag hokar papa ke panv chukar blessing liya.

Papa ne unhe sada khush rahne ka ashirwad diya.

Bhale hi papa state ke chief minister the lekin hamesha sabse milansar rahte hain aur to aur mujhe bhi hamesha yahi kaha karte hain ki mere name ka kabhi bhi galat use mat karna.



Waise bhi main unke tarah hi hamesha simple mein hi rahta hoon jayada show off nahi karta hoon.

Kabhi bhi kisi ko pareshan nahi karta hoon aur na hi apne bare mein jayada kisi ko batane ka shauk rakhta hoon.

Jahan tak ho sake main hamesha hi logo ki help kiya karta hoon jab bhi kisi ko meri jarurat ho, phir chahe paristhiti kaisi bhi ho aur kitni bhi mushkil condition hi kyon na ho.

Khair dinner karke dad ghar ke liye nikal gaye ab ghar par main, chachi and uska 4 years ka baby Dhruv hi bache rah gaye.

Hum chachi ke room mein the aur chachi ke room mein serial ka maja lene lage.

Mujhe bhi kuchh kuchh serial dekhna achha lagta hai isliye main bhi unke sath serial dekhne laga.

Khair kuchh der ke baad Akhil chacha duty par se aa gaye.

Maine unke panv chukar blessing liya unhone mujhe hamesha sukhi hone ka ashirwad diya.

Kuchh der ke baad main apne room mein sone ke liya chala gaya kal se mujhe college jana tha, main apni pahli class ke liye bahut hi jayada excited 😊 tha.

***

That's it for this episode, well sath jude rahiye story majedar hoti jayegi.
NICE UPDATE BHAI JI
 
  • Like
Reactions: dhalchandarun

Gurdep

Well-Known Member
2,433
3,020
144
Update 3
First Class

Recap: In the previous update humne jana ki kaise Arjun ka admission college mein hua aur Arjun apne chachi se bahut dino ke baad mila aur sath hi sath Arjun ke dad Mahendra Agarwal apne ghar ke liye nikal gaye.

Now next>>>


Subah excitement mein jaldi 6 baje hi main sokar uth gaya aur ghar ke bahar jakar running kiya garden mein wapas aaya to chachi aur chacha uth gaye the.
Maine unhe good morning wish kiya dono ne bhi mujhe good morning wish kiya.

Kajal chachi ne kaha jakar naha lo.

Main apne room mein jakar naha liya aur kuchh der room mein hi raha ki chachi ne mujhe breakfast ke liye aawaz di.

Maine jakar sabke sath breakfast kiya.

Akhil chacha apne duty par chale gaye.

Chachi ne kaha jakar ready ho jao college ke liye main bhi ready hone ja rahi hoon.

Hum dono college chale gaye college ghar se lagbhag 20 minutes ke distance par tha car ya bike se.

Chachi apne private room mein chali gayi aur main canteen mein time pass karne laga, kyonki abhi class start hone mein time bacha hua tha.


[Characters Introduction]

1)Kriti: 25 years old beautiful girl teacher in the college(computer teacher).

1718369233197

2)Sriya: Physics teacher 28 years beautiful lady with perfect body curve.

1718369628038



[At the classroom]

First lecture mein hi Kajal mam aayi sabhi students Kajal mam ki beauty mein kahin kho gaye.

Mere hi bench pe ek ladka tha wo bhi mam ko ghure ja raha tha aur mujhse kaha bhai kya hot teacher hai na.


1718369233178

Maine kaha chup kar itni bhi hot nahi hai ab main use kya batata ki jise wo hot bol raha hai meri apni hi chachi hai.

Us ladke ne kaha bhai gussa kyon ho raha hai sahi to bol raha hoon ek dum hot and sexy lag rahi hai kasam se puri janleva hai.

Maine kaha chup kar sale meri chachi hai. Itna bolte hi wo ladka chup ho gaya us ladke ko mano kato to khun nahi, kyonki usne mere hi samne meri hi chachi ko hot bol diya.

Sabse pahle Kajal mam ne apna introduction diya.

Phir bari bari se sabka introduction lene lagi.

Sabne apna apna introduction diya aur sath mein maine aur mere bagal wale ladke ne bhi apna introduction diya aur mujhe pata chala ki us ladke ka naam Rohan hai.

2nd lecture mein Kriti mam aayi aur introduction hi hua aur class period end ho gaya.

Young-Woman-Walking

3rd period mein Sriya mam aayi wo bhi sabka introduction lekar chali gayi.


Main canteen mein coffee enjoy kar raha tha ki wo ladka bhi mere pass aa gaya aur mujhse pucha.

Kya tum Arjun Agarwal ho, son of the Mahendra Agarwal?

Maine yes kaha to usne kaha mera name to class mein jaan hi gaye ho.

Main Rohan hoon mere dad tumhare dad ke friend hain unhone hi mujhe tumhare bare mein bataya hai.

Rohan: Will you be my friend?

Rohan: Jaise mere dad tumhare dad ke friend hain.

Arjun: Okay but aage se be careful, next time se no bulgar comments on teachers otherwise you will be punished.

Rohan: Okay my friend as you wish mujhe tumhari shart swikar hai, ab se main koi galat word kisi bhi teacher ke liye use nahi karunga.

Arjun: Okay I'll take a leave kal milta hoon mujhe ghar jana hai Kajal mam mera wait kar rahi hogi.



[At The Home]

Kajal: Kya baat hai Arjun jab se tum aaye ho chup chup ho koi pareshani hai kya?


Arjun: Nahi chachi aisi koi baat nahi hai bas thoda ajib feel kar hoon pata nahi kya.

Kajal: Koi baat nahi aisa hota hai aksar jab hum new place ya environment mein aate hain.

Arjun: Sayad aap thik kah rahi hain aisa hi hai.


1722352009812


Kajal: Okay tum jao fresh hokar aa jao main hum dono ke liye lunch ready karti hoon.

Arjun: Okay aur main apne room mein chala gaya.


***

That's all for this episode stay tuned.
NICE UPDATE BHAI JI
 
  • Like
Reactions: dhalchandarun
Top