• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Aapka sabse favourite female character?

  • Kajal

    Votes: 174 59.6%
  • Rashmika

    Votes: 93 31.8%
  • Anu

    Votes: 37 12.7%
  • Kriti

    Votes: 56 19.2%
  • Krithi

    Votes: 37 12.7%
  • Rashi

    Votes: 37 12.7%
  • Anupama

    Votes: 32 11.0%
  • Sriya

    Votes: 34 11.6%
  • Shivangi

    Votes: 27 9.2%
  • Divya

    Votes: 22 7.5%
  • Shreya

    Votes: 26 8.9%
  • Nadhiya

    Votes: 26 8.9%
  • Ravina

    Votes: 82 28.1%
  • Nayanthara

    Votes: 29 9.9%
  • Anushka

    Votes: 25 8.6%
  • Trisha, Sri Leela, Hansika, Pooja, Amala, Twinkle

    Votes: 26 8.9%
  • Seetha, Pavitra, Diviya, Keerthy

    Votes: 17 5.8%
  • Ko

    Votes: 8 2.7%
  • Ii

    Votes: 8 2.7%

  • Total voters
    292

dhalchandarun

[Death is the most beautiful thing.]
5,782
16,700
174
Update 169
Diamond Cuts Diamond

Previously ~ Swati: Papa ji hamari Nayna* ko Jogendra bhaiya se achha ladka aur koi nahi mil sakta hai.

Pramod: Tumne bilkul sahi kaha.

Swati: Aur sabse badi baat ye hai ki Narendra ji ne khud iss rishte ko apni sahmati de diya hai. Hamari Nayna* ko uss ghar mein kabhi koi takleef nahi hogi, balki hamari Nayna* khud dusre logo ki takleef ko dur karegi.

Swati ki iss baat par sabhi ne apna apna sahmati de diya.

Now Next: >>>

[Kajal Home
Previous Day]

Arjun ne raat ka bhojan kiya aur usne garden mein aakar KAAL ko yaad kiya, agle hi pal KAAL uske samne aakar khada ho gaya.

KAAL: Prince aapne mujhe kaise yaad kiya???

Arjun: The Invisible ko mare huye aaj 3 days aur 8 hours beet chuka hai, lekin The Nightmare ki aur se ab tak koi reply nahi aaya hai.

KAAL: Prince Arjun! Kal ke liye ready ho jaiye, kal hum sabke samne sabse badi musibat aane wali hai jiska naam The Ajooba hai. Main aapko sirf itna bol sakta hoon ki kisi ki jaan nahi jayegi, last mein sab kuchh achha hoga.

Aage KAAL ne Arjun ko kuchh bhi bolne ka mauka nahi diya aur wahan se gayab ho gaya, Arjun bhi apne room mein chala gaya.

Rashmika: Aisa kya bataya tumhe KAAL ne jisse tum pareshan ho??

Arjun: Yahi ki kal koi The Ajooba naam ka ek banda aane wala hai.

Rashmika: Lekin tum itne pareshan kyun dikh rahe ho???

Arjun: Mujhe KAAL ka jawab pareshan kar raha hai usne mujhe sidha sidha koi jawab nahi diya, bas baat ko gol gol ghuma diya aur gayab ho gaya.

Rashmika: Chinta chhod do aur so jao, kyunki kal ki fight ke liye tumhe achhi neend ki jarurat padne wali hai.

Arjun: Hmmm.

***
_____

[[Present Day]]

Subah ka 9:45 AM ho raha tha.

The Nightmare, The Ghost and The Ajooba teeno ek sath the.

The Ajooba: Master! Ab mujhe Diamond City jaane ki permission dijiye, main aapke dushmano ko samapt karne ke liye bahut hi jyada excited hoon.

The Nightmare: Bilkul jao aur Arjun ke sath sath college mein jitne bhi students aur teachers hain sabhi ko jaan se maar do. I want all of them dead.

The Ajooba: Bilkul aisa hi hoga master, main 2 hours mein sabhi ko maar kar wapas laut aaunga.

The Nightmare: Tumhe itni der kyun lagegi, jab tum sabhi ko ek pal mein samapt kar sakte ho???

The Ajooba: Sabhi ki puri body ko dhire dhire jala kar maarunga.

The Nightmare: Theek hai jaisa tumhe theek lage wo tum kar sakte ho. Bas main sabhi ko mara hua dekhna chahta hoon khas kar Arjun ko.

Aage The Ajooba ne kuchh nahi kaha aur hawa mein gayab ho gaya.

Jaise hi Ajooba sabhi ko maarne ke liye Diamond City ke liye gaya, Jogendra ke mobile mein The Ghost ne ek text message send kar diya.

[Arjun aur baki sabhi ki dead bodies tumhe kuchh der mein mil jayega, bacha sakte ho toh bacha lo sabhi ko. Arjun ke sath sath sabhi ke life ki countdown start ho chuki hai, sabhi ke paas ab sirf 2 ghante ka jeevan shesh rah gaya hai.]

Jogendra ne jaise hi ye message padha uske mathe se pasina nikal aaya, hamesha ki tarah message read karte hi message ek baar phir se khud hi delete ho gaya.

Jogendra janta tha ki KAAL ke hote huye kisi ko kuchh nahi hoga.

Phir bhi usne KAAL ko khud ke samne aane ke liye yaad kiya.

Jogendra ke yaad karte hi KAAL uske samne prakat ho gaya.

KAAL: Kya baat hai sir?? Aap itne tension mein kyun lag rahe hain?

Jogendra ne KAAL ko The Ghost ke message ke baare mein bata diya.

KAAL: Aap bilkul bhi chinta na* karen sir, main kisi ko kuchh bhi nahi hone dunga.

Jogendra: Theek hai tum jaldi se jao aur sabki raksha karo, mujhe kuchh theek nahi lag raha hai.

KAAL: Okay sir!

***
_____

[[Vikramaditya College]]

Arjun ke sath sath sabhi students ka class chal raha tha.

Arjun jab se college aaya tha tab se uska dil kisi anjaan darr* ki wajah se bechain tha.

Rashi se Arjun ki ye baat chhupa hua nahi tha.

Isliye wah Arjun ki ghabrahat ko dur karne ke liye apna right paon Arjun ke paon se rub kar rahi thi jisse Arjun ka dhyan thoda bhatak raha tha aur Arjun ko thoda sa achha feel ho raha tha.

Jaise hi The Ajooba Arjun ke college campus mein land hua, achanak sabhi classes ke room ka temperature badhne laga, sabhi students aur teachers ko pasina aane laga aur garmi ki wajah se pyas ke karan sabhi ka gala sukhne laga.

Rashi: Ye kya ho raha hai Arjun, achanak se itni garmi kyun badh rahi hai aur itni pyas kyun lag rahi hai, aisa lag raha hai jaise aas paas koi volcano erupt hua ho???

Arjun: I don't know, lekin mujhe subah se hi kuchh ghabrahat ho rahi hai.

Aage koi aur kuchh bol pata usse pahle sabhi ke kaan mein ek aawaz sunayi diya.

“Arjun kahan chhup kar baithe ho jaldi se bahar aa jao?? Yadi tum 3 minutes ke andar bahar nahi aaye toh ye temperature dhire dhire aur bhi badhta jayega aur sabhi log yahan tadap tadap kar apni jaan kho denge jiska jimmedar sirf tum hoge.”

Rohan: Arjun lagta hai The Ghost ka ek aur sathi apne sathiyon ka humse badla lene ke liye aa gaya hai.

Arjun: Lagta toh kuchh aisa hi hai, chalo bahar chal kar dekhte hain.

Rohan: Kajal mam aap sabhi room ke andar hi rahiye. Arjun aur main bahar dekh kar aate hain ye kya musibat hai.

Kintu Rohan ki baat bhala kahan koi sunne wala tha.

Arjun aur Rohan ke sath sath sabhi students aur teachers bhi bahar aa gaye.

Jaise hi sabhi classes se bahar aaye sabhi ko college ke campus mein lagbhag 15 feet ka ek robot jaisa monster jeev dikhayi diya.

Arjun aur Rohan ko monster ke samne khada dekh kar Anupama, Leela, Krithi, Rashi aur Nivetha ke sath sabhi teachers ki heartbeat badh gayi.

Krithi: Nivetha didi ye kya bala hai??? Ye toh koi monster lag raha hai?? Mera bhai usse kaise lad payega?? Mujhe bhai ki bahut chinta ho rahi hai.

Nivetha: Mujhe bhi betu ki bahut chinta ho rahi hai, Krithi.

Rashi: Aap dono fikar na* kijiye. Arjun aur Rohan par bharosa kijiye, wo dono jarur iss monster ko maar payenge.

Rashi ne bol toh diya magar khud uska dil bhi dono ke liye bechain tha, uski bhi heartbeat fast thi.

Rohan: Arjun kya ye koi robot hai??

Arjun: I don't know, maine KAAL se puchha tha lekin usne mujhe kuchh bhi nahi bataya tha, sirf mujhse itna kaha tha ki agli baar jo aane wala hai wo hum sabke liye sabse bada khatra hone wala hai, iska naam The Ajooba hai.

“Achha hua ki tum sab bhi Arjun ke sath bahar aa gaye, waise bhi mera pahla shikar Arjun hai uske baad ek-ek karke iss college ke sabhi students aur teachers maare jayenge.”

((Hahahaha))

The Ajooba ki hasi pure college mein gunz utha.

Arjun ne aage The Ajooba ko kuchh bolne ka koi mauka nahi diya, Arjun ne KAAL ke dwara di huyi magical dagger ko yaad kiya aur agle hi pal uske haath mein wo magical dagger aa gaya.

Arjun ne The Ajooba par jaise hi wo dagger chalaya, wo dagger The Ajooba ke body ke paar chala gaya.

Arjun aur baki log ye nazara dekh kar hairan rah gaye jabki ek baar phir se The Ajooba ki hasi pure college mein gunz utha.

((Hahahaha))

The Ajooba: Tumhe kya lagta hai Arjun, jaise tum dono ne mil kar baki logo ko maara hai waise hi mujhe bhi maar doge?? Tumne ab mujh par jo prahar kiya hai uska parinam bhi dekh lo.

Kintu The Ajooba kuchh kar pata usse pahle hi Arjun aur Rohan ne aankhon hi aankhon se ek dusre ko ishara kiya aur dono hawa mein jump laga kar The Ajooba ko maarne ke liye gaye.

Kintu isse pahle ki Arjun aur Rohan dono The Ajooba tak pahuch pate.

Usse pahle The Ajooba ne apni dono hathon mein aag ka ek chhota sa gola bana liya aur Arjun aur Rohan par prahar kar diya.

Isse Arjun aur Rohan dono peeth ke bal niche jameen par gir pade, jisse dono ke muh se dard bhari cheekh nikal gayi jo sabhi ke dil ko chhed kar gayi.

*Bhai*
*Betu*

Krithi aur Nivetha dono Arjun aur Rohan ki aur daud kar ja rahe the ki agle hi pal dono apni jagah par hi ruk gaye.

Kyunki agle hi pal The Ajooba ke muh se ek 10 centimetres radius ka aag ka gola nikla jo tezi se Kajal mam ki aur badhne lagi.

Kajal ko aag ka wo gola kahan dikh raha tha wo sirf apne king ko ghayal awastha mein jameen par gira hua dekh rahi thi aur uski aankhon se aansu nikal kar jameen ko geela kar rahi tha.

((Ahhhhh))

Isse pahle ki wo aag ka gola Kajal mam ko touch karta, Rashi gole ke samne aakar khadi ho gayi jisse Rashi ka left hand buri tarah se jal gaya aur uske muh se dard ki ek tez cheekh nikal gayi.

Rashi ki cheekh sun kar wah hosh mein aayi tab usko pata chala ki abhi abhi kya hua hai.

Kajal: Ye tumne kya kiya Rashi, tumne meri jaan bachane ke liye apni jaan jokhim mein kyun daal diya???

Rashi: Mam yadi main bich mein na* aati toh ye peeda aapko hoti jo mujhe bilkul bhi achha nahi lagta.

Krithi aur Nivetha ke sath baki sabhi daud kar Rashi ke paas aa gaye.

Krithi: Nivetha didi ye kya ho gaya? Rashi ka hath itna jyada jal gaya hai ki wo kai dino tak college nahi aa payegi.

Kajal: Rashi ye tumne kya kar diya? Yadi ye chot mujhe lagta toh achha hota! Mujhe khushi hoti ki maine apne King ke liye ye dard saha hai.

Rashi ne Kajal mam ke sawal ka koi jawab nahi diya sirf uske honthon par ek halki si smile aa gayi.

The Ajooba: Lagta hai yahan log ek dusre ki jaan bachane ke liye kuchh bhi kar sakte hain???

((Hahahaha))

The Ajooba: Achhi baat hai, main bhi dekhta hoon tum sab kab tak ek dusre ke liye apni jaan khatre mein daal sakte ho.

Agle hi pal The Ajooba ne ek aur aag ka bada sa gola Kriti mam ki aur phenk diya jo tezi se uski aur badhne lagi.

Kintu isse pahle ki wo aag ka gola Kriti mam ko touch karta Rashi apni dard ko bhul kar Kriti mam aur aag ke gole ke bich mein aa gayi.

Iss baar Rashi ka right hand buri tarah se jal gaya aur uske muh se ek baar phir se dard bhari cheekh nikal gayi.

The Ajooba: Ahhh! Tum sabki tadap dekh kar mujhe kitna sukun mil raha hai ye main bata nahi sakta hoon. Kash! Mere master ye sab dekhne ke liye yahan hote.

Ye scene dekh kar Rohan aur Arjun dono ki aankhon se aansu nikal aaya.

Wo dono ab bhi jameen par pade huye dard se karah rahe the.

Kriti: Ye tum kyun kar rahi ho Rashi??? Usne mujhe apna nishana banaya tha phir wo waar tumne khud par kyun liya????

Rashi: Kriti mam main sirf itna janti hoon ki jab tak main yahan rahungi kisi ko bhi koi chot nahi lagne dungi.

“Arjun aur Rohan ke liye mere dil mein kitna pyar hai ye mujhe kisi ko prove karne ki jarurat nahi hai, phir bhi ye ghav maine khud par lekar Arjun ko ye praman diya hai ki main Arjun ki tarah apno ke liye kisi ki jaan le bhi sakti hoon aur apni jaan de bhi sakti hoon.”

Rashi ka dono hath buri tarah se jala hua dekh kar Nivetha ki aankhon se swata hi aansu nikal aaya.

Yahi haal Krithi, Kriti, Kajal, Leela Ramya, aur Anupama ka bhi tha.

Phir bhi Nivetha thoda sa khush thi ki Arjun aur Rohan ke alawa koi aur bhi hai jo apno ki raksha ke liye apni jaan bhi de sakti hai aur uske badle ke liye kisi bhi had* tak ja sakti hai.

((Hahaha))

The Ajooba: Tum log ka family drama dekh kar mere dil ko bahut sukun mil raha hai, ab mera agla prahar sahan karne ke liye ready ho jao.

*Argh*

The Ajooba ne ek aur aag ka gola Rashi ki aur phenk diya, wah iss baar Rashi ko puri tarah se jala dena chahta tha. Lekin isse pahle ki wo aag ka gola Rashi ko touch karta, usse pahle Anupama ne wo aag ka gola apne left hand mein le liya, jisse campus mein uski dard bhari cheekh nikal gayi.

Ye nazara dekh kar Rashi ke face par ek halki si smile aa gayi ki koi aur bhi hai jo Arjun ki family ke liye apni jaan de sakti hai.

Rashi: Ye aapne kyun kiya didi??

Anupama ne Rashi ke sawal ka koi jawab nahi diya sirf ek halki si smile kar diya.

Krithi: Didi! Mujhe garv hai aap par ki aap meri badi bahan ho.

Anupama: Smiles.

Arjun: Kajal mam aap sabko lekar yahan se dur chale jaiye.

Kajal: Main tum dono ko aise khatre mein chhod kar bilkul nahi jaungi, tum dono bhi *chotil() ho.

Arjun: Mam please aapko meri kasam hai, aap sabko lekar class ke andar jaiye, mujhe aur Rohan ko kuchh nahi hoga, main aap sabko aise ghayal hote huye aur nahi dekh sakta hoon. Aap sabke shareer par lag rahi har ek ghav mere dil mein kisi sui ki tarah chubh rahi hai.

Kajal: Nahi, main nahi manti hoon aisi kasam ko. Hum sab tum dono ko aise khatre mein chhod kar nahi ja sakte hain.

Arjun: Theek hai phir Rohan ke alawa aaj ke baad koi bhi mujhse baat nahi karega. Yadi aap sabko mujh par bharosa hai toh please aap sab andar chale jaiye.

Kajal: Theek hai lekin yaad rakhna yadi aaj tum dono ko kuchh bhi hua toh aaj hum sab bhi apni jaan de denge.

Krithi: Bhai.

Nivetha: Betu.

Krithi aur Nivetha dono ne sirf ek hi shabd kaha, lekin dono ki aankh ki aansu bata gayi ki dono kya bolna chahti hain.

Thodi der baad sabhi class room mein chale gaye, kyunki sabhi ko Arjun ne baat hi aisa bol diya tha.

((Hahaha))

Tabhi The Ajooba ek baar phir se jor jor se hasne laga.

The Ajooba: Bahut achha ab pahle tujhe khatam karunga uske baad sabhi students ko zinda jala kar bhasm kar dunga.

Kintu agle hi pal Rohan aur Arjun ke sath KAAL aakar khada ho gaya.

KAAL ko apne samne dekh kar Rohan aur Arjun bhi khada ho gaye jo ab tak dard se karah rahe the.

The Ajooba: Lagta hai tum hi KAAL ho??

KAAL: Tumne bilkul hi theek samjha, main hi KAAL hoon. Ab tum kisi aur ko koi chot nahi de paoge.

((Hahahaha))

The Ajooba: Pahle apni jaan toh bacha lo phir dusre ki suraksha karne ke baare mein sochna.

Agle hi pal The Ajooba ne KAAL ki aur aag ka ek bada sa gola phenk diya.

Wah aag ka gola KAAL ki uniform se takra kar aise gayab ho gaya jaise vatavaran mein hawa gayab ho jati hai.

KAAL ko safe dekh kar The Ajooba ne ab apne dono hathon se aag ka 2 bada gola nikaal kar Arjun aur Rohan ki aur tezi se phenk diya.

Jaise hi wo dono aag ke gole Arjun aur Rohan ko hit karne wala tha Arjun aur Rohan dono hi aag ke gole ke raste se hat gaye.

Wo aag ke gole ab canteen ki aur badh rahe the, ye dekh kar Rohan aur Arjun ke heartbeat badh gayi aur dono ke muh se ek sath nikla.

“Oh no! Ye kya kar diya maine??"

((Hahaha))

Tum dono ne khud ko aag ke gole ke raste se hata kar bahut badi galti kar diya hai, ab apni aankhon se canteen ke logo ki maut ka nazara dekho.

“Hahaha, tum sabko aise bebas dekh kar mujhe bahut achha lag raha hai.”

Arjun: KAAL ji kuchh kijiye. Main ab unn logo ko ghayal hote huye nahi dekh sakta hoon.

KAAL: Aap chinta na karen prince. Main unn logo ko kuchh bhi nahi hone hoga.

“Hahaha.”

The Ajooba: Kaise bachao-ge tum unn logo ko main bhi dekhta hoon?? Yadi tum yahan se gaye toh main Arjun aur Rohan ko jala kar maar dunga aur nahi gaye toh unn logo ki maut nischit hai. Ab tum kise bachao-ge inn dono ko ya phir canteen ke logo ko??? Ab jo bhi marega mujhe khushi hi milega.

Kintu KAAL ne The Ajooba ki baat ka koi jawab nahi diya aur apni peeth par se apni ek sword ko nikaal liya aur apni sword se bola.

[Hey divine sword aaj mujhe tumhari divya powers ki jarurat hai, jao aur apni divine powers se hum sabhi ki raksha karo. Jao aur apne dushman ko ye ehsaas kara do ki tum kisi bhi khatre ko ek pal mein samapt kar sakte ho.]

KAAL ne sword ko hawa mein chhod diya.

Sword hawa mein kuchh upar ki aur jakar tezi se ghumne laga jiske karan sword se blue colour ki rays nikalne lagi.

Dekhte hi dekhte blue rays pure college mein phail gaya.

Jaise hi aag aur blue rays ki aapas mein takkar hua dono aag ke gole hawa mein gayab ho gaye aur tut gaya The Ajooba ka sapna.

Blue rays ne jaise hi Anupama, Rashi, Arjun aur Rohan ko touch kiya charo(4) ke ghaw aur dard dono hi swata samapt ho gaya.

Kriti, Kajal, Leela, Krithi, Ramya aur Nivetha ye dekh kar sabhi ke chehre par smile aa gayi.

Krithi: Rashi aur didi aap dono theek ho???

Rashi: Yeah! Hum dono ki peeda bhi samapt ho gayi hai, pata nahi ye kaisa chamatkar hai.

Kriti: Rashi aur Anupama tum dono hum sabse kitna prem karti ho, aaj iska praman tum dono ne hum sabhi ko de diya hai.

College ka temperature jo lagatar badh raha tha jisse sabhi ki halat kharab ho rahi thi wah ab dhire dhire phir se normal ho gaya.

Sath hi sath sabhi ko kuchh der pahle jo garmi ke karan pyas lag rahi thi ab sabhi ko pyas se rahat mil gayi.

The Ajooba ye sab dekh kar dang rah gaya ki uske alawa kisi aur ke paas bhi supernatural powers hai.

Phir bhi The Ajooba shant tha, kyunki usko lagta tha ki usko koi samapt nahi kar payega.

KAAL ne apni dusri sword ko The Ajooba ki aur tezi se chala diya, kintu wo sword The Ajooba ke paar chali gayi aur wah sword phir se KAAL ke pith par wapas aa gayi.

((Hahaha))

The Ajooba: Jitna bhi koshish karna hai kar lo, lekin mujhe koi bhi nahi maar payega.

Rohan: Master! Ye kya ho raha hai?? Ye aapki sword aur dagger dono se kaise bach gaya? Sword aur dagger dono hi uske body ke paar kaise chali ja rahi hai?????

KAAL: Kyunki wo koi object nahi hai isliye aisa ho raha hai, Rohan.

Arjun: What do you mean?? Kya uske paas bhi koi magical powers hai jisse usne aapki dagger aur sword dono ko na* kaam kar diya hai???

KAAL: Nahi uske paas koi magical powers nahi hai. Main ye bolna chah raha hoon ki main usko samapt nahi kar sakta hoon, kyunki wo sunlight ki energy se bana hua hai aur energy ko kabhi samapt nahi kiya ja sakta hai.

((Hahaha))

The Ajooba: Maine pahle hi kaha tha ki mujhe koi bhi nahi maar sakta hai, mujhe tum sabke chehre par ye pareshani dekh kar bahut maza aa raha hai.

Rohan: Master! Yadi hum isko maar nahi payenge phir Arjun ka badla kaise pura hoga?? Nivetha bhabhi ko justice kaise milega??

Arjun: Ha KAAL jab tak ye Ajooba marega nahi, tab tak ye mujhe The Ghost aur The Nightmare ke paas jaane nahi dega phir kaise puri hogi meri pratigya???

((Hahaha))

The Ajooba: Bilkul sahi. Na* hi tum sab mujhe maar paoge aur na* hi aaj main tum sabko yahan se zinda bach kar jaane dunga.

“Arjun tumhari pratigya aaj bhale hi puri nahi hogi, lekin maine apne master se jo promise kiya hai wo jarur pura hoga. Thodi der se hi sahi lekin aaj tum sabki maut mere hathon se nischit hai.”

Agle hi pal The Ajooba ne apne muh se aag nikaalna shuru kar diya jo Arjun, KAAL aur Rohan teeno ki aur tezi se badhne lagi.

Isse pahle ki wah aag teeno tak pahuch pata, KAAL ka jo sword hawa mein tha usse nikal rahi blue rays ne aag ke gole ko bich raste mein hi destroy kar diya.

((Hahaha))

KAAL: Aur tumhe kya lagta hai?? Main tumhe nahi maar sakta hoon ye sach hai, lekin iska ye bilkul bhi matlab nahi hai ki tum hum sabko maar sakte ho.

The Ajooba ne ek baar phir se aag ko apne muh se nikaal kar teeno ki aur bhej diya, iss baar aag ka gola pahle se size mein double se bhi jyada tha.

Kitnu ek baar phir se natiza wahi hua, KAAL ki sword hawa mein aur bhi tezi se ghumne laga aur sword se nikal rahi blue rays ne raste mein hi aag ke gole ko destroy kar diya.

Ye dekh kar The Ajooba surprise rah gaya ki usne jaise hi badi aag ka gola banaya waise hi sword se blue rays ke nikalne ki intensity aur bhi badh gayi hai.

The Ajooba ko aisa feel hua jaise sword koi object nahi hai, balki uske paas apna dimaag hai jo ye janta hai ki kab kya karna hai.

((Hahaha))

KAAL: Tumhe bhi jitna koshish karna hai karke dekh lo. Kisi ko maarne ki bahut dur ki baat hai, tum ab kisi ko ek chhota sa ghav bhi nahi de sakte ho.

Arjun: Lekin KAAL yadi aisa hi chalta raha toh ye fight kabhi samapt hi nahi hoga, koi toh aisa tarika hoga jisse hum iss musibat se chhutkara pa sakte hain.

KAAL: Prince! Iss universe mein aisi koi problem nahi hai jiska koi solution nahi hota hai, bas hume problem ko carefully dekhne ki jarurat hoti hai.

Arjun: Phir iska kya solution hai? Kya aap mujhe iss musibat ko dur karne ka koi solution bata sakte hain?? Solution kitna bhi kathin kyun na* ho main wo kaam jarur pura karunga.

KAAL: Prince! Aaj se 4 days pahle tumhe kisi se The Ajooba ke iss problem se chhutkara pane ka solution pahle hi mil chuka hai, aap thoda sa apne dimag mein jor daliye, kya ho sakta hai wah solution jisse hum iss musibat se lad sakte hain????

Arjun: Kisne diya hai mujhe wo solution mujhe kuchh yaad nahi aa raha hai.

KAAL: Yaad karo Dhruv ne tumhe kisi ki story sunaya tha jis din tumne The Invisible ko maara tha.

Arjun: Ha yaad aaya, lekin ab bhi main kuchh samjha nahi pa raha hoon.

KAAL: Jis tarah se jahar ka kaat jahar hota hai. Lohe ki kaat khud loha hi hota hai, usi tarah se The Ajooba energy ka ek roop hai jise koi energy hi samapt kar sakti hai.

Arjun: Main aapka ishara samajh gaya mujhe aage kya karna hai.

KAAL: Phir Priya ko help ke liye jaldi se bula lijiye. Ek matr wahi hai jo hum sabko iss musibat se chhutkara dila sakti hai.

Rohan: Master! Priya ye kaam kaise kar sakti hai jo kaam hum teeno milkar bhi nahi kar pa rahe hain??

KAAL: Rohan bas kuchh der wait karo tumhe khud hi iss sawal ka jawab mil jayega.

Rohan: Okay master!

Arjun ne mann hi mann Priya se kaha.

[Priya! Hum sabki raksha karo, hume iss musibat se bahar nikalo. Yadi sach mein tum mujhe apna dost samajhti ho toh hum sabki raksha karo. Mujhe iss samay tumhare help ki jarurat hai, sirf tum hi The Ajooba ko samapt kar sakti ho.]

Arjun ke yaad karte hi Priya jo apne class room mein thi wo Arjun ke samne aakar khadi ho gayi.

Iss bich The Ajooba ne jitne bhi aag ke gole ka prahar kiya tha wo sab KAAL ki sword se nikal rahi blue rays ne destroy kar diya tha.

Rohan ko kuchh samajh nahi aaya ki Priya achanak se yahan kaise aa gayi, wo sirf Priya ko a-palak dekhne laga.

((Hahaha))

The Ajooba: Tum log mera kuchh nahi kar sake toh ab ye chhoti si ladki tum sabki mujhse raksha karegi, chalo pahle main isko hi samapt kar deta hoon jisse tum sabka illusion tut jayega ki ye cute si ladki tum sabki raksha kar sakti hai.

Agle hi pal The Ajooba ne Priya par ek ke baad ek aag ke gole ka barsaat kar diya jo Priya ke paas jakar uske body ke andar jaane lagi.

Rohan aur The Ajooba dono hi ye nazara dekh kar dang rah gaye, dono ko kuchh samajh nahi aaya ye kaise ho raha hai, jabki ye scene dekh kar Arjun aur Kaal ke chehre par smile aa gayi.

“Ye kaise sambhav hai ki koi ladki surya ki energy ko apne andar dharan kar sakti hai???? It's impossible – The Ajooba ne gusse bhare swar mein jor se chilla kar kaha.”

Rohan: Master! Mujhe bhi samajh nahi aa raha hai, jise ab tak main ek chhoti si ladki samajh raha tha usme itni powers kahan se aa gayi ki wo sunlight ki energy ko apne andar dharan kar rahi hai??

KAAL: Wo isliye Rohan kyunki Priya energy ka ek roop hai jisne iss samay ek ladki ka roop dharan kar rakha hai.

Rohan: Oh! Toh ye baat hai, main ab tak Priya ko sirf ek super intelligent girl hi samajh raha tha.

KAAL: Smiles.

Arjun: Smiles.

((Hahaha))

The Ajooba: Bhale hi tum bhi energy ka roop ho ladki, lekin mujhe koi bhi samapt nahi kar sakta hai. Ye ladai aise hi kai varsho tak bina kisi result ke chalti rahegi, kyunki I am immortal.

Priya(Smiles): Achha! Phir apni puri takat laga kar hum sab par prahar karo, jara mujhe bhi pata chale ki tum mein surya ki kitni energy hai. Inn chhote chhote aag ke gole se mujhe tumhare sath khelne mein maza nahi aa raha hai.

The Ajooba: Ab dekho mera prachand roop, ab tak main sabhi ke sath khel raha tha lekin yadi tum sabko marne ki itni hi jaldi hai toh main tum sabki wish abhi pura kar deta hoon.

Agle hi pal The Ajooba ke body ke har hisse se aag ka gola nikal kar Arjun aur Rohan ki aur tezi se badhne lagi, sath hi sath college ke pure campus aur sabhi class ke students ki aur badhne lagi.

The Ajooba: Ab bacha sakti ho toh bacha lo sabhi ko, ab pura college ek sath marne wala hai, hahaha*.

The Ajooba ka ye prahar dekh kar Priya ke face par jo smile thi wo aur bhi gahri aur mysterious ho gayi, wo jo chah rahi thi wahi galti The Ajooba ne kar diya tha.

Priya ne apna muh khol kar jor se saans ko apne andar lena shuru kar diya.

Jisse hawa ke sath sath sabhi aag ke gole jo Arjun, Rohan aur baki students ki aur ja rahi thi wo Priya ki aur aane lagi jaise koi magnet lohe ko apni aur attract kar leta hai.

Dekhte hi dekhte sabhi aag ka gola Priya ke muh ke andar chali gayi, The Ajooba bhi hawa mein gas ki tarah udd kar Priya ke muh se hote huye Priya ke pet mein chali gayi.

Priya ne Arjun, Rohan aur pure college par aayi huyi sabse badi musibat ko ek pal mein samapt kar diya.

Jaise hi The Ajooba maara gaya KAAL ki sword khud hi KAAL ke paas aa gayi.

Priya(Smiles): Dharti par aane par aaj mujhe pahli baar itna swadisht bhojan mila hai, lekin mera pet ab bhi khali khali sa lag raha hai, koi baat nahi, meri maa ke hath se bana hua bhojan meri bhukh ko shant kar degi.

Arjun, Rohan aur KAAL teeno Priya ki iss baat par has* pade.

Priya: Arjun maine tumhara kaam pura kar diya hai, ab main chalti hoon. Yahan par aaj jo bhi hua hai wo sirf tumhe, Rohan aur KAAL ko hi yaad rahega, baki sabhi log aaj yahan par jo kuchh bhi hua hai wo sabhi bhul jayenge.

Priya ne aage Arjun ko kuchh bolne ka mauka nahi diya aur college ke campus se gayab ho gayi.

Rohan: Master! Ye kya tha? Priya mein itni powers hogi ye maine kabhi nahi socha tha. Yadi aapko pahle se ye baat pata tha, phir aapne mujhe ye baat pahle kyun nahi bataya tha??

KAAL: Kyunki yahi Priya ki wish hai, Priya ki wish ke bina koi bhi uska sach nahi jaan sakta hai.

Rohan: It's okay, master!

Arjun(loudly): KAAL ji.

KAAL ne Arjun ki aur dekha jahan gusse se uski aankh laal ho chuki thi

KAAL: Yes, prince???

Arjun: Kya aap Anupama didi aur Rashi ka ghav theek kar sakte hain??

KAAL: Bilkul kar sakta hoon lekin uski koi jarurat nahi hai.

Arjun: Kyun???

KAAL: Kyunki jis tarah se aapke aur Rohan ka ghav theek ho gaya hai, usi tarah se meri sword se nikal rahi blue rays ne Rashi aur Anupama dono ki ghav aur peeda dono ko puri tarah se theek kar diya hai.

Arjun: Thank you.

KAAL: Smiles.

Arjun: Aaj The Nightmare ne sabhi ka jaan lena chaha hai, aaj usne apni sabhi limits ko cross kar diya hai, aaj usne apni life ki sabse badi galti kiya hai. Kya ab bhi The Ghost ke paas koi hai jo yahan aane wala hai????

KAAL: Nahi ab The Ghost aur The Nightmare akele hain.

Arjun: Main ab aur wait nahi kar sakta hoon aur na* hi dono ko Diamond City aane ka koi mauka dena chahta hoon, ab main kisi apne ko iss tarah se peeda mein nahi dekh sakta hoon.

Rohan: Master! Arjun bilkul sahi bol raha hai.

KAAL: Theek hai phir aaj college ki chhuti ke baad hum teeno hi The Ghost aur The Nightmare ko unke karmon ki saza dene ke liye unke paas chal rahe hain.

Arjun: Okay!

Rohan: Smiles.

Arjun: Now, you may leave the college.

***
______________________________________________________________________________________

That's all for this episode, the update comprises 5.2k words. I hope that you guys will enjoy the update, bye bye till the next episode comes. The Nightmare and The Ghost ka last weapon bhi maara ja chuka hai. Next episode mein The Nightmare aur The Ghost dono ka kaam bhi tamam ho jayega.
 
dhalchandarun

[Death is the most beautiful thing.]
5,782
16,700
174
intezaar rahega....
Update 169 has been posted friends!!
Bahut hi shaandar update diya hai dhalchandarun bhai....
Nice and lovely update....

Very good work Priya ki story or mast-2 girl Raveena ki chanchalta ne char Chand laga diye.... Waiting for next

Thanks for the new update

Congrats for 2.6 M

Awesome update

To aakhirkar top 5 gone. Magar ab best of the best bachey hai Ajooba the Ghost and the nightmare. Final battle ka time aa raha hai lekin in 4 bachey huay din me Arjun kia kia karta hai aur purey college ko kaisay bachata hai. Sath me kaisay woh Rashmika n Shurti ko baby deta hai aur is beech me Sonali n Samantha bachay huay hain unka number kab aata hai.

Bahut hi shandar update

nice update

Bhaut Hee Jabardast Aur Bhadiyaa Update Diyaa Hee 🔥 🫀 🫦 💗 :love3: :perfect::superb::ecs::balle::wave::applause::applause:
Keep It Up 👍👌🖐️🤟🙋‍♂️

Shandaar update

Nice and superb update....

Nice update

Nice update....

Superb update and excellent story

Nice update....

Bahut hi shandar update

Bahut badiya update, story me thoda natkhat pan bhi achha lagta hai

168? Wow last time dekha toh 120 the kuch. Hats off! dhal👀

Shaandar Update

dhalchandarun bhai next update kab tak aayega?

Jabardast update

waiting for the next update....

intezaar rahega....

Koi ni hum intezaar kar lenge. Take your time.

intezaar rahega....

intezaar rahega....

intezaar rahega....

intezaar rahega....

intezaar rahega....
 
  • Like
Reactions: parkas

pagal nandu

Extra 2 A B
129
123
43
Thanks for new update. Aap ek imaandar writer ho jo apne readers ko disappoint nhi karta. Aap jaise-taise karke regular update post karte ho jo forum pe bohot kam dekhne milta hai. Isliye mai apko support karta hun
 
Last edited:

Skb21

Well-Known Member
3,047
4,863
158
Super excellent majedar update The Nightmare or The Ghost ki aakhri ummid ko bhi Priya ne nasht kar diya ab un dono ki bari hai waiting for next
 
  • Like
Reactions: parkas

Vikas678

Member
221
240

Super
 
parkas

Well-Known Member
31,318
67,509
303

Bahut hi badhiya update diya hai dhalchandarun bhai....
Nice and beautiful update....
 
dhparikh

Well-Known Member
12,123
13,878
228

Top