Update 61
agli subha naya din nayi roshni leke aaya...ab maine apna business sambhaal liya tha...
aaj main sarita ki saas ki pehli customer ke office jaane wala tha...jo aaj meri rakhel hai...
ye wahi hai jiski naukar ki kahani maine sunayi thi...uski aur uski betiyon ki...
main taiyyar hoke office pahuncha to mera samna ek hasina se hua jo behad hi khoobsurat thi...
jaise bhagwan ne fursat se tarasha ho...
usne apni khoobsurti ko sadharan se kapdo mein chhupa ke rakha tha...
aisa nahi tha ki use dekh kar uske liye mere mann mein hawas jaagi...
par uski vesh-bhusha ke viprit uski khoobsurti ko dekh kar uske bare mein janne ki utsukta huyi...
main usko jaate huye dekh raha tha...
wo dari sehmi si supervisor ke pass gayi to supervisor to jaise ghar ki bhadas uspe nikaalne ke liye hi taiyyar baitha tha...
usne chillana shuru kiya ki ye koyi waqt hai aane ka ghar ki factory hai kya aur pata nahi kya-kya usne bol diya...
wo ladki kuch bol bhi to nahi sakti thi kyunki naukri jaane ka khatra jo tha...
wo bas mundi neeche kiye huye sunti rahi shayad ye uske liye roj ka kaam tha supervisor ki daant sunna...
ye kya mujhe wo dikhayi diya jo shayad kissi ko dikhayi nahi diya kyunki pure staff ka dhyaan supervisor ki taraf tha...
par maine uski aankhon mein aansu dekhe shayad issi ko gareebi ki maar kehte hai...
ab mujhse bardasht nahi huya aur main wahan pahunch gaya...
mujhe dekhte hi supervisor chhup ho gaya to maine pucha...
main- kya ho raha hai yahan...
supervisor- sir iss ladki ne naak mein dam kar rakha hai...time se aati nahi hai aur ooper se kaam mein bhi laparwahi...
main- theek hai main dekh lunga ki inka kya karna hai...
uske baad maine uss ladki se pucha...
main- kya naam hai aapka...
wo darti huyi boli ji disha...
main- mujhe cabin mein aake milo...
uske baad disha haan mein mundi hilake mere peeche-peeche cabin mein aa gayi...
wo bahut hi jyada dari huyi thi aur main uski haalat acche se samajh sakta tha...
shayad isiliye mujhe sadharan bacchpan gujarne diya gaya tha taaki main sab cheezon ko samajh sakun...
cabin mein aake maine usko baithne ko bola...shayad use iski umeed na thi...
main- daro mat baith jao...
thodi dair socchne ke baad wo chair pe baith gayi aur tab maine bolna shuru kiya...
main- daro mat agar main kuch galat karun ya kahun to bejhijhak yahan se chale jaana main tumhe rokunga nahi...
usko shayad ab bhi yakeen nahi aa raha tha...mujhe laga main hi baat shuru karta hoon...
main- mujhe jaanti ho...
usne kuch bola nahi bas haan mein mundi hilayi...
main- kaun hoon mein...
disha- humari company ke M.D...
main- dekho main tumhari haalat aur tumhari majboori dono samajh sakta hoon...tum mujhpe bharosa kar sakti ho...
ye kehte huye maine uska dimag shant kar diya...
waise uske baare mein janna mere liye koyi badi baat nahi thi lekin mujhe harr jagah taaqat ka istemaal karna accha nahi lagta...
main- ab batao kya problem hai...kya majboori hai tumhari...
mere itna bolte hi wo jor-jor se rone lagi...
use shayad umeed na hogi ki koyi usse itne pyaar se baat karega wo bhi itni badi company ka M.D...
wo ye teh nahi kar pa rahi thi ki mujhe bataye ya na bataye...phir usne himmat karke bolna shuru kiya...
disha- sir main, meri choti bahen aur meri maa hum teen hi log hai ghar mein...
meri maa aajkal bimar rahti hai to majburan mujhe hi job dhundhni padi aur badi hi mushkil se mujhe ye job milli hai...
ghar ka saara kaam bhi mujhe hi dekhna padta hai kyunki main meri bahen ki padhayi mein koyi aanch nahi aane dena chahti...
jiski wajah se saari salary maa ke ilaaj aur behan ki padhayi mein hi chali jaati hai...saath hi mera ghar bhi bahut door hai...
company ke pass ghar ka kiraya hum afford nahi kar sakte isiliye mujhe harr roj aane mein deri ho jaati hai...
main- disha phir tum comapany dwara employees ke liye alloted flats mein kyun nahi rehti...
disha- sir maine koshish ki thi to pata chala ki wo flats company ki badi post waale employees ke liye hai...
saath hi jab maine supervisor sir se pucha to unhone bhi mana kar diya ooper se sunaya alag...
ye sab sunkar mujhe uske liye bura lag raha tha to maine pradeep uncle aur deepa aunty ko apne cabin mein aane ke liye bola...
jab wo dono mere cabin mein aaye to deepa aunty ne pucha...
deepa- kya huya rajveer jo tumne humein bulaya...
jiske baad maine dono ko disha ki aapbeeti sunayi to pradeep uncle bole...
pradeep- aisa kuch nahi hai rajveer...kuch flats un employees ke liye hi hai jo ghar afford nahi kar sakte...
saath hi ek rule ye bhi hai ki agar company ke kisi employee ya uske kisi gharwale ko kuch ho jaata hai...
ya unko koyi bimari hai to ilaaj ka saara kharch company uthayegi...
ye sab sunne ke baad disha boli...
disha- sir maine kuch mahine pehle supervisor sir se help mangi thi...
bola tha ki ek mahine ka advance de do...ispe unhone bola ki ghar ki company hai kya jo jab chahe jitne chahe paise le lo...
main- kaun doshi hai aur kaun nahi ye sab baad mein dekhte hai...uncle abhi main disha ko ek flat allot kar raha hoon...
saath hi uski maa ka acche se ilaaj ho sake uski arrangement bhi kar raha hoon...jo bhi formalities hai aap bata dijiye...
pradeep- uski jarurat nahi hai rajveer...main sab karwa deta hoon...
phir unhone pucha ki disha tum kahan tak padhi ho jispe wo boli...
disha- sir humari maa ne kabhi bhi hum dono ki padhayi mein rukawat nahi aane di...khud mehnat majduri karke humein padhati rahi...
kabhi humein apni pareshaniyon ki bhanak tak na lagne di...
jiski wajah se sir main graduation final year mein thi on the base of scholarship jab humein maa ki bimari ka pata chala...
uske baad maine padhayi chhod kar job dhundhni shuru ki aur badi mushkil se kuch mahine pehle mujhe aapki company mein job milli...
ye sab sunne ke baad pradeep uncle bole...
pradeep- ab apni maa ki tension tum na lo aur haan apni padhayi puri karo...main aaj hi tumhare college ke director se baat kar leta hoon...
saath mein agar tum chaho to yahan part-time job bhi kar sakti ho...
waise bhi hum rajveer ke liye secratory ko recruit karne ke liye interview arrange karwane hi waale the...
par mujhe lagta hai ki ab uski jarurat nahi hai...
ye sab sunne ke baad to disha ke jaise pankh lag gaye the aur wo boli...
disha- thank you sir...thank you very much...main aapko kabhi nirash nahi krungi...
disha ko ye sab karte dekh main bola...
main- o hello main tumhe yahan laya aur thank you sirf uncle ko...
jispe wo boli nahi sir tnxxx again and again...fir sab hasne lage...