Update 60
ek din maa apne kamre mein chair pe khadi thi...main jaise hi kamre mein ghusa to wo kaun aaya ye dekhne ke liye peeche mudi...
mudte hi wo apna santulan khokar girne lagi...mere ander se aawaz aayi nahi aur main unhe pakadne ke liye bhaagne laga...
par wo giri nahin aisa lag raha tha jaise wo hawa mein jhool rahi ho...
phir aaram se wo nicche aa gayi...unka mujhe pata nahi par ye dekh ke main hairaan rah gaya tha...
main- maa...mujhe kabhi pata nahi chala aap udd sakti hai...
maa- mujhe bhi nahi pata tha...wo ye baat chair pe baithte huye kehti hai...
main- aapne ye nahi kiya...
maa- bilkul nahi...tumne kya mujhe jadugarni samjha hai...
main- maa...aap bas shant ho jayo...kuch mat karo...kuch mat socho...bas mujhe dekho...
maa- raj...
chinta unke chehre pe mujhe dikh rahi thi lekin phir bhi wo maan gayi...
maine apna dhyaan wahan lagaya aur maa ke saath us kursi ko bhi hawa mein udta dekhne laga...
kursi kuch dair hilne ke baad hawa mein uthne lagi...
raj...dadi ki awaaz mere kaano mein padi to mera dhyaan bhang huya jisse wo kursi aur maa dono neeche aa gaye...
dadi ne phir aake mujhe aur maa ko sab bataya jo hum pehle bhi jaante the...
par ab uska saboot bhi samne tha...aise hi din beetne lage ab main sapna bua ke saath bhi masti karne laga tha...
saath hi ab main yoga aur dhyaan lagane ki koshish karne laga...
main apni shakti ka prayog karne laga jisme raat ko maa, dadi, chachi ke kapde gayab karna bhi shamil tha...
phir ek din sania bua ne mujhe maa aur dadi ke saath dekh liya...
saath hi unhone hamari adhoori baatein bhi suni jisse unhe ye pata chala ki kya chal raha hai...
magar tab wo wajah nahi jaanti thi jisse wo bahut gusse mein thi...
jiske chalte raj ghar se bahar chala gaya...ab use apne vicharon pe control karne ki jarurat nahi thi...
bas wo bahut akela mehsoos kar raha tha...ek baar phir sann-sannnn car ko highway pe daudane laga...
kahan ja raha tha pata nahi...kyun jaa raha tha pata nahi...
wo raat ke andhere mein ek sun-saan mandir mein pahucha...
wahan pe sirf ek bulb laga tha...par na jane kyun ye use kuch jana pehchana lag raha tha...
wo mandir mein jaake baith gaya aur subah hone tak wahin raha...subah ki pehli kiran uske maathe pe padi...
uski aankhen bojhil si thi...wo bahut jyada thaka hua aur pareshan tha...
use to laga tha ki ye sab sania bua ko pata chalega to tension khatam ho jayegi par ye to pagal kar degi use...
tabhi kisi ne uske sar pe haath fera...raj ko thoda accha laga...
jab raj ne haath pherne waale shaks ko dekha to uska matha thanakne laga...
uski wajah thi ki ye wahi baba the jo iske pehle bhi use issi jagah pe updesh de gaye the...
raj- baba...aap...
baba- pehle pani piyo...
ye keh kar baba raj ko apne kamandal se pani pilane lage...
raj- baba...main...
baba- chupp...ek dum chupp...fir uske sar pe apna haath jor se rakha...
dabav itna jyada tha ki raj behonsh ho gaya aur uski aankhon ke samne uske maa-pitaji aa gaye...
dono ko dekh ke wo unke gale lag gaya aur behonshi mein hi uski aankhon se pani zar-zar gir raha tha...
kuch 10 minute baad woh pani ki thapkiyo se utha...jab utha to bada taro-taza mehsoos kar raha tha lekin wahan pe baba nahi the...
wo idhar-udhar dekhne laga to use baba mandir se bahar nikalte dikhe aur unke haath mein ek tokri thi jisme phal the...
baba- ye lo khao...
raj ko bhukh bahut lagi thi jisse wo turant 2 phal uthake kha gaya phir bola...
raj- baba...abhi shaant lag raha hai...par main kya karu baba...aapne pyaar baantne ko kaha to wo maine baanta...
magar aaj mera khud ka ghar tutne ki kagaar pe hai...mera margdarshan karo baba...
baba hasne lage...raj stabdh tha...wo sirf unhe hanste huye dekh raha tha...
raj- kya hua baba...
baba- tu kaun hai ye jaanta hai na...fir bhi mujhse puch raha hai...
raj bhramit ho gaya use samajh nahi aa raha tha ki baba ne aisa kyun kaha...
raj ko asmanjas mein hi chhod kar baba apna jhola aur kamandal uthaaye jaane lage...
raj- baba...main kya karu...kaise bachau...
baba jor se bole...
baba- raja hai...raja ki tarah raj kar...raja sabka hota hai...kisi ek kaa nahi...
jaa tere sapne mein teri maa aayi thi...jaa tera sab accha hoga...
yaad rakh tere agal-bagal jo bhi hai wo tere adheen hai aur fir wo aage badh gaye...
raj kuch dair socchta raha aur phir wapis neend ke aagosh mein chala gaya...shaam tak sota raha mandir mein hi...
shaam ko jab uski neend khuli to wo mandir ki seedhiyon pe baith ke baba ki baatein socchne laga aur uske baad ghar aa gaya...