• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Kagaz ke phool

ABHISHEK TRIPATHI

Well-Known Member
6,401
28,413
218
A
UPDATE 13

Divya apne college mein apna kaam khatam karne ke baad apne kuchh friends ke sath canteen mein baithi thi. Usne group mein kuchh ladke aur ladkian thi aur wo sab baithe batein kar rahe the aur Divya se uske foreign study ke experience ke bare mein puchh rahe the.

“Yeah that was a nice experience. Agar main apni family ko miss na kar rahi hoti toh shayad main apni study wahin complete kar leti.” Divya un sab ko apne lautne ka kaaran bata rahi thi. Tabhi wahan par Mr. Kapoor ka beta Gaurav a tapka.

“Agar ap yahan wapis nahi ati toh humein apke darshan karne ka mauka kaise milta.” Usne Divya ke sath khuleaam flirt karte huye kaha toh Divya ke v kaan khade ho gaye.

Divya(chair se khade hote huye): aiye Mr. Gaurav Kapoor ji. Kaise hain ap. Yahan bas ap hi ki kami thi.

Gaurav: toh hum apki yeh kami puri kar dete hain ismein konsi badi baat hai.

Divya: vaise itna v koi jaruri nahi hai. Agar ap chahein toh apna kaam kar sakte hain hum sab manage kar lenge.

Divya ne bade hi pyar bhare aur meethe andaz se Gaurav ko wahan se nikalne ki hidayat de di par wo toh thehra top ka besharam wo itni jaldi Divya ka peecha kahan chhodne wala tha.

Gaurav: vaise mujhe v koi khaas kaam nahi hai aur apki welcome party mein v toh nahi a paya tha. Toh socha do minute batein kar lete hain.

Divya: ok toh jaisi apki marji.

Gaurav: vaise mujhe toh laga tha k ap humein bhul hi gayi hongi.

Divya: apko main kaise bhul sakti hun mujhe achhe se yaad hai k kaise bhaiya ne apko ek baar party mein peeta tha aur ap rote rote apne papa ke paas bhag gaye the.

Divya ne is baar apni baat se ek karara tamacha Gaurav ke munh par de mara tha. Jiski chot se uske chehre ki kamini si hansi do minute mein gayab ho gayi. Uper se Wahan maujud Divya ke sab dost uski is baat par thahake lagakar has pade. Gaurav ko toh ab apna munh chhipane ko jagah chahiye thi.

“oh i am sorry mujhe yaad aya k mujhe thoda kaam tha. Main tumse baad mein milta hun.” Itna bol kar Gaurav wahan se nikal pada. Uske chehre par gusse ke bhaw saaf dikh rahe the aur uske is gusse ka shikar huya ek ladka jo jate waqt uske raste mein a gaya aur Guarav ne use ek jordar dhakka diya aur wahan se nikal gaya.

“Fukra kahin ka.” Uske jate hi Divya ke dil ki baat uske munh par a hi gayi.

Divya's friend: yaar yeh hamesha se hi aisa hai jab dekho tere age peeche ghumta rehta hai.

Divya: chhod yaar use. Aise ladkon ko lagta hai k har ladki inki jageer hai jab chahe unke peeche pad jao. Yaar ab na main ghar ja rahi hun vaise v iski wajah se mood ka satyanash ho gaya. Aur bhaiya se v bahut saari batein karni hain.

“kabhi humein v mauka do tumhare bhai se batein karne ka. Uska dil behal jayega.” Divya ki ek dost ne use chhedne ke iraade se yeh baat kahi par Divya ko yeh baat jyada achhi nahi lagi par usne use kuchh v nahi kaha bas halka sa hans di.

Fir wo wahan se un sab ko bye bol kar ghar ke liye nikal gayi. Ghar par Kiran apne kamon mein lagi huyi thi aur Rahul apne room mein so raha tha kionk subah wo jaldi uth kar Sonu ke paas chala gaya tha. Divya ghar par pahunchi toh Kiran hall mein kuchh kaam kar rahi thi.

“Mom bhaiya kahan hain?” Divya ne ate hi Kiran se Rahul ke bare mein puchha.

Kiran: beta shayad wo apne room mein so raha hai. Koi kaam tha kya?

Divya: nahi bas aise hi.

Fir Divya bina kuchh bole seedha first floor par apne kamre ki taraf chali gayi. Usne ek baar Rahul ke room ki taraf dekha toh darwaja band tha. Divya ke man mein pata nahi kya aya k wo ek dum se mudi aur Rahul ke kamre ki taraf chal padi. Usne niche dekha toh Kiran apne kaam mein busy thi. Fir usne bade hi aram se dheere dheere Rahul ke darwaje ko kholne ki try ki aur uski kismat se darwaja locked v nahi tha. Wo dheere dheere se darwaja kholne ki try kar rahi thi, jismein wo jaldi hi safal v ho gayi.

Halka sa darwaja khulne ke baad usne Rahul ke kamre mein mundi ghusa kar dekha toh Rahul apne bed par aram se pet ke bal leta huya tha. Usne shirt nahi pehni thi aur uski nangi peeth halki si blanket ke bahar thi. Divya ke dimag mein ek shararti sa khyal aya aur wo dheere se ander gayi aur darwaja band kar diya. Wo dheere dheere bina pairon ki awaj kiye Rahul ki taraf badhne lagi. Rahul ke karib akar usne dekha toh Rahul ek dum mast hokar so raha tha. Divya apne plan ke bare mein soch kar hi muskuraye ja rahi thi.

Tabhi usne blanket ke ek sire se ek dhaga khincha aur use Rahul ke naak ke ander daalne lagi. Rahul ko thodi gudgudi si feel huyi aur usne neend mein hi apna chehra dusri taraf ghuma liya. Par Divya ko is sab mein bahut maja a raha tha toh usne abhi v yeh sab band nahi kiya aur Rahul ke uper se hath nikal kar uske naak mein fir se dhaga ghusane lagi.

Abki baar Rahul ko aur jyada gudgudi huyi aur wo ek dum se palat kar seedha ho gaya. Is chakkar mein Divya ka balance bigda aur wo Rahul ke uper gir gayi.

“Bhaiya kya karte ho ap.” Divya ne Rahul ke uper gire huye hi chilaya. Ab tak Rahul ki neend tut chuki thi aur usne dekha k Divya uske uper giri huyi hai toh usne sab se pehle Divya ko apne uper se uthane mein madad ki aur fir khud v uth kar baith gaya aur side mein padi huyi apni T-Shirt pehan li.

“Tum yahan kya kar rahi ho aur is tarah mere uper kion leti huyi thi.” Rahul ne T-shirt pehante hi usse sawal puchhne shuru kar diye.

Divya: bhaiya main koi chhoti bachi nahi hun jo apke uper let jaun. Wo main toh bas apke sath thodi masti kar rahi thi aur is chakkar mein mera balance bigad gaya aur main gir gayi.

Divya ne badi hi masum si shakal banate huye Jawab diya jise dekh kar ek baar ke liye Rahul v thoda muskura diya par agle hi pal usne v socha k kion na wo v Divya ki thodi taang khinchayi karle.

Rahul(gusse ka natak karte huye): yaar ab tum chhoti bachi nahi ho jo aisi harkatein kar rahi ho. Thoda behave karna seekho ab tum.

Rahul ka aisa avatar dekh kar hi Divya ka munh sa utar gaya. “I am sorry bhaiya, age se dhyan rakhungi.” Divya ne utari si shakal banate huye kaha.

Rahul: han theek hai abhi chhod deta hun but age se dhyan rakhna.

Is baar Divya aur control nahi kar saki aur uski ankhon se ansoo beh nikle. Rahul ko v ahsas huya k usne thoda jyada hi drama kar diya hai.

“are sorry beta. Ro mat main toh majak kar raha tha. Main tum par gussa nahi hun.” Rahul ne Divya ki aankh se ansoo pochhte huye kaha.

“ap sach mein gussa nahi hai na?” Divya ne apni ankhein saaf karte huye fir se puchha toh Rahul ne v samne se naa mein sir hila kar confirm kar diya.

“bhaiya yeh v koi majak karne ka tarika hota hai. Apne toh mujhe dara hi diya. Ab dekhiye main apki kya halat karti hun.” Itna bol kar Divya Rahul ko bed par gira kar uske uper chhad gayi aur use jor jor se marne lagi. Rahul v hasta huya apne ap ko bachane ki kosish kar raha tha. Un dono ki hasne aur chillane ki awaj pure kamre mein gunj rahi thi.
Awesome update
 

manikmittalme07

Well-Known Member
5,116
12,375
189
Wah kya badhiya update hai. Kisi scene ko explain karna to koi aapse sikhe, koi bhi character jo act kar raha hota hai ke padhne wala uski jagah khud ko samajh kar usme kho jata hai aur uske bhav padhne wale ke chehre par aa jaate hain. Yeh achha kiya aapne ke bhai behan ko is tarah mila diya. Wo mr Kapoor ladke wala scene aur yeh bhai ko preshan karne wale scene mein 60s ki movies ki jhalak aa rahi thi, jo ke bahut achha hai. Kyunki asli stories wahi hoti thin.
 

Qaatil

Embrace The Magic Within
2,216
13,286
159

Divya Didn't Like When Her Freind Said “kabhi humein v mauka do tumhare bhai se batein karne ka. Uska dil behal jayega.” Divya ki ek dost ne use chhedne ke iraade se yeh baat kahi par Divya ko yeh baat jyada achhi nahi lagi par usne use kuchh v nahi kaha bas halka sa hans di.
The Days When You Started To Feeling Something Different For Someone Special, These Are The Days When You're Actually Living Your Life. Don't Know What But Yes Divya Is Feeling Something For Rahul.
Waiting For Next Update ?
 
Top