• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Kagaz ke phool

1,204
3,127
143
UPDATE 17

Sonu apni garage par apne office mein baitha kuchh files dekh raha tha shayad uski garage se related hi hoga kuchh. Itne mein Rahul uske office mein enter huya.

“Are wah bhai tu kab se padhayi likhayi ke kaam karne laga?” Rahul ne ander ate hi Sonu ki khichayi chalu kardi.

Sonu(file ko side mein rakhte huye): sale tujhe kya lagta hai yeh garage bhagwan bharose chal raha hai. Jab se papa ne garage chhoda hai tab se sab hisab kitab dekh raha hun aur tu mujhe gadha samjhta hai kya?

Rahul: are yaar tu toh gussa hi kar gaya. Main toh majak kar raha tha main janta hun k tu kitna budhimaan purush hai.

Sonu: bhenchod ab yeh kya bakchodi pel raha hai. Chal chhod aur bata kya khayega.

Rahul: sale tujhe khane ke bina aur kuchh sujhta nahi hai kya. Jab dekho khana khana karta rehta hai bas.

Sonu: sale agar khana hi nahi khayenge toh kaam kya ghanta karenge.

Rahul: han theek hai but jo tu karta hai ise khana nahi thusna kehte hain.

Sonu: dekh ab tu mere sath khane ki baat par behas mat kar. Agar tujhe nahi khana toh theek hai but mujhe toh khane de.

Rahul: nahi nahi abhi hamare paas bilkul v time nahi hai. Humein party se milne jana hai.

Sonu: bhai tujhe pata hai na k khali pet nahi reh sakta main. Kion meri gaand maarne pe tula hai.

Rahul: yaar tu abhi uth aur mere sath chal. Laut te waqt tujhe kuchh achha sa khila kar lata hun.

Sonu: toh fir theek hai. Chal chalte hain.

Yeh bol kar Sonu Rahul ke sath bahar ki taraf chal pada. Fir dono plot dekhne ke liye wahan se nikal gaye. Wo plot dekhne Sehar sabse busy aur saaf suthre ilake mein jane wale the.

Sonu: bhai tujhe kya lagta hai k Uncle tujhe Restaurant kholne denge?

Rahul: pata ni bhai but itna toh clear hai k chahe jo v ho jaye main nahi rukne wala.

Sonu: han vaise v ab toh Aunty v humare sath hain.

Rahul: han wo toh hai par main unhein is sab mein nahi ghasitna chahta. Hum khud hi nipat lenge.

Sonu: han bhai main toh hun hi hamesha tere sath. Bas khana khane ka time de diya kar.

Sonu ki baat sun kar Rahul hans pada aur sath mein Sonu v hasne laga. Itne mein wo dono plot par pahunch gaye aur wahan par ek car pehle se maujud thi. Wahan par property agent Sharma v khada tha.

Sonu(dhire se): bhenchod yeh chutiya yahan kya kar raha hai.

Rahul: yahi plot dikhane wala hai.

Sonu: sale yeh toh ek number ka kamina hai, yeh toh sala apni maa ke pet se v paise leke nikla hoga.

Rahul: ek baar baat karne mein hamara kya jata hai.

Sonu: tu ja main nahi jaunga iske paas.

Rahul: kion?

Sonu: meri ek baar isse ladayi ho gayi thi aur maine ise bhar bhar kar gaalian di thi.

Rahul: chal theek hai fir tu yahin ruk main jake ata hun.

Itna bol kar Rahul ne bike side mein lagayi aur Sharma ki taraf chal pada. Sharma ne v use apni taraf ate dekha but uska dhyan Sonu ki taraf nahi gaya jo k thoda side mein jakar khada ho gaya tha.

Sharma(Rahul ko ate dekh): aiye chhote seth ji ap hi ka intezar kar raha tha.

Rahul: han wo bas thoda late ho gaya.

Sharma(halka sa muskura kar): are sarkaar koi baat hi nahi. Vaise aur sunaiye Sinha saab ka kya haal hai.

Rahul: thik hain wo v.

Sharma: kabhi unse v kahiye k hamare layak koi kaam ho toh.

Rahul: wo kya hai na Sharma ji k mera interest unke kaam mein thoda kam hi hai.

Sharma: thik hai Sarkar. Filhal toh ap yeh plot dekhiye. Bahut hi shandaar hai ek dum market ke beecho beech. Kafi busy area hai aur saaf safayi v kamal ki hai.

Sharam ki baat sun kar Rahul us jagah ka achha se muyana karne laga. Jagah toh use theek hi lag rahi thi.

Rahul: sharma ji plot toh theek thaak hi lag raha hai. Par ap price thoda dekh kar lagayie.

Sharma: ab ap v toh jante hi hain k is ilake mein property ke prices kafi high hain. Main toh fir v apko dekh kar hi laga raha hun. Aur vaise v yeh konsa mera khud ka plot hai. Ab samne wali party mujhe jitni chhut degi utna hi kar paunga main toh.

Rahul: han main apki baat samjhta hun but fir v maine pata kiya hai aas paas Bhaw itna v jyada nahi hai.

Sharma: abhi apke liye kya kam aur kya jyada. Itne mein apko kya fark padega.

Rahul: dekhiye sharma ji agar toh apko yeh soch kar deal karni hai k main Sinha ka beta hun aur mere paas bahut paise hain jo main aise hi udata firunga toh mujhe is plot mein koi interest nahi hai. Main jo v kar raha hun apne balbute kar raha hun toh mujhe sahi cost mein sahi cheej chahiye. Ab ap dekh lijiye apke liye kya sahi baithta hai.

Sharma: are ap toh bura hi maan gaye. Agar apko yeh plot pasand aya hi hai toh kion chhodna. Main samne wali party se baat karke thoda bhaotal karta hun.

Rahul: toh fir ap pehle unse baat kar lijiye fir main dekhta hun k yeh mere budget mein sahi baithta hai yah nahi.

Sharma: ap bilkul chinta na karein aj sham tak kuchh karta hun.

Rahul: toh theek hai abhi hum chalte hain.

Fir Rahul wapis apni bike ke paas a gaya aur Sonu v use ate dekh Bike ki taraf chala a raha tha.

Sonu(bike ke paas akar): han toh fir kya bola wo Sharma.

Rahul: plot toh achha hai but bhao thoda jyada maang raha hai. Usko bola hai k thoda kam karwaye.

Sonu: mujhe nahi lagta yeh bc bhao kam karne ko manega.

Rahul: han toh fir koi aur dekh lenge. Sham tak ka bola hai usne. Uske baad kya karna hai sochte hain. Chal baith garage chalte hain ab.

Sonu(bike par baithte huye): aur wo loan ka kya huya?

Rahul: mama ji ne bola toh hai k ab sab kuchh jaldi hi nipat jayega but dekhte hain k kya hota hai.

Sonu: lagta hai ab sab achha hi hoga.

Fir Rahul ne Bike age badhayi aur wo bazaar ke beech se dhire dhire bike chalate huye guzar raha tha k tabhi uska dhyan kisi aadmi par pada. Us aadmi ko dekhte hi Rahul ke dimag mein kuchh aisi yaad trigger huyi k usne eka ek breaks daba diye. Jiske karan Sonu puri tarah se age ki tarah girne laga.

Sonu(khud ko sambhalte huye): bhenchod kya kar raha hai. Marega kya.

Rahul(us aadmi ko dhundhne ki kosish karte huye): sorry yaar. Tu ek kaam kar yeh bike sambhal main abhi aya.

Yeh bol kar Rahul Sonu ke age se hi bike se utar gaya aur Sonu ne Bike pakad li. But isse pehle k Sonu usse kuchh puchh pata wo Usi taraf ja chuka tha yahan par usne us aadmi ko dekha tha.
Nice update
 
ABHISHEK TRIPATHI

Well-Known Member
6,401
28,413
218

Superb update
 
Top