Anajali bhi bari khushnasheeb hogi jo aisi dost mili ho jisne uske marne ke baad sirf uske liye uske husband se ek tarah ka compromise hi kee, yeh shaadi toh bilkul bhi na thee. Lekin jiske liye wo iss ghar mein aaye thee wo bachha toh usse nafrat karta tha, toh kaisa lagta hoga kee jo kurbani usne dee wo kaheen bekar toh na ho gayee, lekin phir bhi wo saye mein hi rah ke sara pyar lutati aaye theee uspe.
Aur wo bachha bhi kya kare, jis wakt mein usse apne baap ka sahara chahiye tha, us wakt us baap ne hi uske samne ek ajnabee ko uski maa ke roop mein laaa ke rakh diya, kaise wo usse kubool kare apne maa ko bhool ke kisi aur aurat ko uska darja kaise de, uska komal man toh usse dushman hi samjhega, aur jisse usse abhi sahare chahiye tha, wo toh apni duniya mein mast tha.
Toh wo akelapan, bebasi kisi doosri aurat ko apni maa kee jagah dekh ke , ek ghutan, dheere-dheere nafrat banne lazmi ho gaya.
Lekin jab pata chala kee jisse wo nafrat karte aaya hain, wo toh usse hamesha hi pyar karti aaye hain, jisne uske liye hi itni bari qurbaani dee hain, toh glani toh honi hee thee, lekin pachhtawa ke saath-saath pyar bhi aana hi tha uspe jisne bas usse door se hi sahi bas pyar hi lootaya hain.
kehne ke toh yeh kagaz ke phool hain, jisme sugandh na hi hoti hain, lekin kritrim sugandho se usko mehkane kee kosis kar rahi hain kiran, lekin akhir kab tak usme wo jaan dalne kee kosis karti rahegi, uski shaadi toh bas naam matra kee hain, prem hi toh wo sugandh hain jiski usse jaroorat hain jo kee un dono kee beech hain hee nahin. Lekin koi bhi fool bina sugandh ke bekar hoti hain, bas usse door se dekhne mein jo khoobshoorati lagti hain paas aake ussse virakti mehsoos hoti hain.
Kya wo sugandh kaheen aur se dhoondhegi kiran, kya pata dekhte hain.