- 521
- 1,802
- 139
Update continue
Shiva apne kamre jakar zameen pe bichi chatai pe let jata hai aur apna keypad phone nikal kar kuch padhne lagta hai abhi use padhte 15min hi hue honge ki kamre k darwaza bajta hai shuvauthta hai aur gate khol deta hai samne ek medium personality wala ladka khada hua tha jiski umr shiva ke barabar hi thi shiva bina kuch bole use rasta de deta hai wo kamee me aata hai shiva ki chatai pe baith jata hai aur shiva se kahta .
Ladka – kya kar rahe the shiva .
Shiva – kuch nahi baat ek raat ki padh raha tha exbii pe .
Ladka – baat ek raat ki matlb tum dead never lie poori padh li .
Shiva – nahi wo bhi padh raha .
Ladka - tujhe lagta hai ki dead never lie jaisi kahani real e dekhne ko mil sakti hai .
Shiva – ye sab fiction hoti hai real nahi .
Ladka – lekin phir bhi agar real me ho toh .
Shiva – toh mai ye kahunga ki ya wo ladka jhooth bol raha hai ya phir wo chutiya hai jo in sab bakwaas pe dhyan de rahe hai jaise tu ye kahaniyan sirf entertainment ke liye hoti inme haqiqat nahi hoti .
Ladka – han tumse mujhe yahi ummeed thi waise ye batao ki tum itni kahaniyan padhte ho net pe books me jahan mil jaye wahan toh tumhe isse milta kya hai .
Shiva – kuch nahi bas accha lagta kuch der ke liye hi sahi mai kisi dusri duniyan me pahuch jata hun aur ye duniyan bilkul waisi hi hoti hai jaisi mujhe chahiye .
Ladka – wo kaise mujhe toh aaj tak aisa kuch kyu mahsoos nahi hua jabki stories toh mai bhi padhta hun .
Shiva – kyuki tum mahsoos kat nahi pate
Ladka – matlb mai kuch samjha nahi .
Shiva – mai samjhata hun jaise ki mai abhi baat ek raat ki padh raha hun toh usme padmini jo heroin hai bahut sundar hai toh mai apni imaginary se uska ek sketch bana leta hun ki shyad aisi dikhti hogi rahul pandey jo hero hai wo ek jawan police wala toh mai samjh lunga ki uski height kareeb 6 feet hogi aur fit shareer hoga aise mai dusre characters ka bhi ek rough sketch bana leta hun toh mujhe padhte waqt lagta hai ki ye sare characters mere samne hai aur is scene me aisi body language hogi bas isi tarah se mai dusri duniya me pahuch jata hun .
Ladka – badi solid imaginary hai tumhari yar .
Shiva – ab chupchap ya toh yaha se nikal ke nahi toh apne muh ko tala laga tum ne mera kafi waqt barbaad kar diya. .
Kah kar shiva apne phone me baat ek raat ki padhne lagta hai ye thriller thi aur thrillers ka toh chaska hota ki jab tak khtm na ho jaye tab tak aap use chhod nahi sakte hai abhi shiva shiva ne ek update adha hi padha tha ki uska kamre ke darwaze pe kisi ne dastak di jab shiva ne koi jawab nahi diya toh dastak dena wyakti kamre me dakhil ho gaya ye archan ka assistant tha shiva use dekhta hai aur samjh jata hai shiva bina kuch bole apna phone kamre me rakh kar uske paas pahuch jata hai shiva ke paas aate hi wo wyakti bahar nikal jata shiva uske peeche peeche chal deta hai jab shiva archan ke paas pahuchta hai toh use archan ke saath ek ladki dikhai deti hai .
Shiva – aapne bulaya .
Archan – han shiva ye rudranshi hai mere dost ki beti orthography ka course kar rahi ise kuch pacchiyon ki photos leni thi toh maine ise yahan bula liya peeche jo jungle hai waha kafi prajati ke panchhi hai waise toh mai ise le jata magar mujhe compitition ke intzam dekhne hai toh tum ise le jao kyuki yaha mere baad tym hi ho jo jungle se wakif ho akhir wo tumhara dusra ghar jo hai .
Shiva – theek chaliye .
Archan – are abhi nahi thodi sham ko jana abhi toh dhoop hai .
Shiva – theek hai .
Kah kar shiva waha se chala jata hai uske jane ke baad rudranshi kahti hai .
Rudranshi – uncle apke students toh bahut deciplined hai .
Archan muskura kar kahte hai .
Archan – han magar shiva ki baat hi kuch aur hai usne aaj tak meri koi baat nahi tali .
Archan ki baton se rudranshi shiva kuch impress ho jati hai aur uske baree me janne ke liye ichhuk bhi wo puchti hai .
Rudranshi – accha ye kaun si city se hai .
Archan – pata nahi nahi .
Rudranshi – pata nahi .
Archan – han ye aaj 1 saal pahle mujhe jungle ke bahar behosh mila tha kaha se aya hai kaun hai kuch pata nahi aisa nahi ki use yaad nahi bas wo batana nahi chahta jab wo mujhe mile tha toh uske shareer pe kafi zakhm the aur gahre zakhm the jisse maine ye andaza lagya ki iski koi dushmani hogi .
Rudranshi – magar is umr me dushmani kuch ajeeb nahi hai .
Archan – ajeeb toh hai magar maine kabhi shiva se poocha nahi jab shiva hosh me aya toh usne mujhse kaha ki mai use apna student bana lun aur martial arts sikhaun aur mai man gya kyuki maine uske andar yoddhaon wale gun dekhe the sach kahun toh kabhi kabhi mujhe usme meri jhalak dikhai deti hai agar ek sentence me shiva ko describe karna ho toh he is the best jitne bhi students yahan hai ya the un sab me mujhe shiva ki takkar ka koi nahi dikha .
Archan ki baat sun ke rudranshi ke man me na jane kyu shiva ko janne ki iccha hone lagi aisa aksar hota hai ki jo cheej dusron se alag hoti hai hum uske baare me janne ke liye kuch jyada hi bechain rahte hai yahi rudranshi ke saath bhi hua .