UPDATE 87
Shaam ke waqt Aryan apne ghar aata hai, waha use apni puri family dikhti hai siwaye Ashu ke. Phir wo sab dinner karne lagte hai, jese hi Ashu neeche aati hai, use Aryan ko dekh ek jhatka sa lagta hai. Usne expect hi nahi kiya tha ki wo ghar par hai. Wo Aakar dining table par beth jaati hai, phir sab chup chap khaana khaate hai. Dinner karne ke baad Anjali aur Ashu kitchen ka kaam nibtati hai. Apna kaam nibtaane ke baad Ashu upar jaane lagti hai.
Rajesh: Ashu yaha aao beta, tumse kuch baate karni hai.
Ashu wapas aakar lounge mai pade sofe par beth jaati hai, jaha uski dadi aur mummy bhi bethi hui thi. Use samjh hi nahi aa raha tha ki unhe ab kya baat karni hai.
Rajesh: beta, m chahta hu tum dono ek baar phir apne riste ke baare mai achhe se sochlo, jis tarah tum dono apni jindagi bitana chahte ho, aesa hona bahut takleefdeh hoga, hamare liye bhi aur tumhare liye bhi.
Uski baat sunkar dono samjh jaate hai ki unhe kya baat karni hai.
Aryan: papa plz, aap baar baar ye baat karke hame sharminda na kare. Hamare beech koi attraction ya lust nahi hai jo ham is baare mai dobara soche. Ham ek dusre se bahut pyaar karte hai, aur hamne kafi soch samjhkar hi ye faisla liya hai.
Aryan apne papa ki aur dekhta hua kehta hai.
Rajesh: ok, chalo hamne maan liya ki tum ek dusre se bahut pyaar karte ho, lekin aage kya???
Aryan: papa ham apki marzi ke khilaf kuch nahi karenge, lekin agar kabhi aap log maan jaaate hai to ham dono shadi kar lenge.
Aryan bina kisi jhijhak ke bolta hai, jabki Ashu unki baate sar jhukaye hue sun rahi thi.
Anjali: tum dono ne ye bhi socha hai ki agar tum dono shadi kar bhi lete ho to ye samaz, ye log kya karenge tumhare saath.
Aryan: mummy, mujhe kisi se koi farq nahi padta, mere liye sirf aap log ahmiyat rakhte ho. Agar aap log hamare pyaar ko samjh jaate ho to hame kisi aur ko kuch bhi samjhane ki jarurat nahi nahi hai.
Rajesh: lekin beta samaz, ristedaro ke bina kisi ka kaam nahi chal sakta hai.
Kuch der waha khamoshi chha jaati hai.
Rajesh: tu kya chahti hai Ashu.
Rajesh ab Ashu se bhi aakhiri baar puchh lena chahta tha.
Ashu: papa jo Aryan ne kaha hai, m bhi wesa hi chahti hu.
Ashu najre jhukakar kehti hai.
Rajesh: to kya tumhare pyaar ke aage hamari ijjat ki koi ahmiyat nahi hai.
Rajesh ki baat sunkar Ashu turant uthkar apne papa ke paas aakar beth jaati hai, wo uska haath apne haatho mai lekar kehti hai.
Ashu: papa plz aesa mat boliye, ham apse bahut pyaar karte hai. Lekin ham kya kare, ham ek dusre ke bina bhi to jinda nahi reh paayenge. Lekin ham ye nahi chahte ki aap hamare is riste ke liye jabardasti raazi ho, agar aap chahoge to na hi ham kabhi milenge, na hi ek dusre ki kbhi shkl dekhenge.
Uski baat sunkar Rajesh ko us par proud feel hota hai.
Rajesh: to beta mere kehne se tu shadi karle, jis ladke se tu chahegi m teri shadi us se hi kara dunga.
Rajesh aakhiri baar unhe samjhane ki kosis kar raha tha,ye sunkar Ashu apne papa ka haath chhod deti hai.
Ashu: papa agar aap meri jaan bhi mangonge na to m uff tak nahi karungi, lekin meri life mai Aryan ki jagah koi aur nahi le sakta, kabhi bhi nahi.
Ashu puri dridhta ke saath bolti hai. Waha bethe teeno shaks unke pyaar ko samjh rahe the, kuch der baad waha thodi khamoshi chhai rehti hai.
Rajesh: ok, aur agar hamne tumhare pyaar ko kabhi bhi accept nahi kiya to..
Rajesh ek baar aur confirm kar lena chahta tha.
Ashu: to ham hamesha aese hi rahenge,jese ab tak reh rahe hai.
Ashu bhaari si awaaz mai kehti hai.
Rajesh: theek hai bhai, aaz ke baad jesa tum chaho, wesa hi karo.
Uski baat sunkar dono ko uska matlab samjh nahi aaya.
Aryan: mtlb.
Rajesh: mtlb ye ki ham apne bachho ko is tarah se til til marta nahi dekh sakte, tum dono hi to hamare jivan bhar ki punji ho. Tum dono yaha se kahi door chale jaao, jaha tumhe koi jaanne wala na ho. Waha jakar tum shadi karlo aur apni life jiyo.
Rajesh ne kehne ko to keh diya lekin uski aankho se ye kehte hue Aanshu tapak aaye.
Ashu: papa, aesa kabhi nahi ho sakta ki ham aap logo ko chhod kar jaaye. Hamne jo galti ki hai, uski saza apko hamse alag rehkar kyu mile. Aap maane ya na maane m apko chhod kar kahi nahi jaane wali.
Ashu apne papa ke gale lagte hue kehti hai. Uski aankho mai bhi Aanshu aa jaate hai, ab maahol kaafi gamgeen ho chuka tha.
Rajesh: to bachho, tum yaha saath rehkar is duniya ka saamna nahi kar paoge. Tumhari bhalai isi mai hai ki tum yaha se dur chale jaao.
Ashu: papa aapne hame paala hai posa hai, itna bada kiya hai, hamari har ek ichha puri ki hai aur jab hamari baari apki sewa karne ki aayi hai tab ham aap sabko chhod kar chale jaaye, nahi papa.
Anjali: to tum dono yaha rehkar ek dusre ke kabhi nahi ho paoge.
Anjali bhi apni aankhe saaf karte hue kehti hai.
Aryan: papa ham apni khushiyo ki khaatir, apni family ka tyaag nahi kar sakte. Jis tarah ham ek dusre ke bina nahi jee sakte usi tarah ham ap sabke bina bhi nahi reh sakte hai.
Aryan bhi uthkar apne papa ke pero ke paas beth jaata hai. Unke man mai apne liye itna pyaar dekh, wo sab bahut proud feel kar rahe the.
Rajesh: to beta iske siwa koi aur rasta bhi to nahi hai tum dono ko ek karne ka.
Aryan: papa agar aap log hamare saath hai to ham puri duniya se lad sakte hai.
Anjali: maa baap to hamesha apne bacho ke saath hi hote hai.
Nirmala: mtlb tum dono ko inka ye naya rista manjoor hai na.
Bahut der se chup bethi Nirmala ab baat clear karna chahti hai, tab dono ek saath Ha keh dete hai. Unke muh se Ha sunkar Ashu aur Aryan ki khushi ka to koi thikana hi nahi raha. Undono ne un sabko gale laga liya.
Ashu,Aryan: thanks mummy, papa,dadi.
Nirmala: bas bas ab maska mat lagao.
Nirmala: Rajesh kya soch raha hai beta.
Rajesh ko kuch sochta paakar dekh wo poochti hai.
Rajesh: kuch nahi maa, bas soch raha hu ki ye duniya kese react karegi ki..
Rajesh kehta kehta ruk gaya.
Nirmala: Rajesh tu tensn na le, bhagwan jaroor koi na koi rasta jaroor dikhayega. Ye sab aane waale waqt par chhod do.
Rajesh: aap sahi keh rahi ho maa.
Phir kuch der baad Aryan uthta hua bola.
Aryan: ok mummy, m chalta hu.
Anjali: kaha.
Aryan: apne flat par.
Rajesh: jab teri baat nahi maani tab bhi tu hamse door tha aur ab maan li hai tab bhi tu wahi jaa raha hai.
Rajesh uski baat sunkar thoda loudly kehta hai.
Aryan: matttt...matlb.
Rajesh: mtlb ye ki mere dono bachhe ab hamare paas hi rahenge.
Uski baat sun dono bhai behan ke chehre khil jaate hai.
Anjali: jyada khush hone ki jarurat nahi hai, tum dono tab tak alag hi rahoge jab tak ki koi solution nahi nikal jaata.
Anjali unhe dekh hasti huyi kehti hai, jabki wo dono sharm se paani paani ho jaate hai.
Anjali: dekho to ab kese sharma rahe hai dono, pehle to sharm aayi nahi..
Nirmala: chalo bhai ab sone jaate hai, bahut der ho gayi hai.
Nirmala khade hote hue boli, jabki uski saath saath Ashu bhi khadi ho gayi. Sab sone chale gaye the, Aryan apne room mai aata hai to paata hai ki wo kamra ab Ashu ki cheezo se bhara pada hai. Use pata to tha hi ki Ashu ab uske room mai rehti hai. Aryan bed par lait kar aaz ke baare mai sochne lagta hai. Aaz wo bahut jyada khush tha. Dheere dheere raat beetne lagi, Ashu apni dadi ke room mai laiti huyi thi.
Ashu: thanku dadi, aapne hamare liye itna sacrifice kiya.
Niramala: maa baap ka farz to bachho ke liye sacrifice karna hi hai beta.
Nirmala uske maathe ko choomte hue kehti hai.
Nirmala: wese agar tu chahe to Aryan ke saath hi so sakti hai.
Uski baat sun Ashu sharm se najre jhuka leti hai.
Nirmala: jaa.. chali jaa..
Uski baat sunkar Ashu na mai sar hilati hai.
Nirmala: iska mtlb jab mai so jaungi tab jayegi tu, pehle ki tarah.
Nirmala muskurate hue kehti hai.
Ashu: nahi dadi..wo..
Nirmala: ja chali ja, teri mummy ko nahi bataungi.
Nirmala uska sar puchkar kar kehti hai, aur Ashu use tightly hug karti hui waha se Aryan ke room mai chali jaati hai.