sam21003
Active Member
- 634
- 246
- 43
Ye ishaq nahi aasan ek aag ka dariya haiUPDATE 17
Aryan coffee shop se bahar aaya aur bike uthakar Ashu ke pas aa gaya. Ashu bike par beth gayi. Jab Aryan bike chalane laga to Ashu kehti hai-
Ashu: bike park ki taraf lele.
Aryan majak m bolta hai-" park mai kisliye,mujhe maarne ke liye gunde bulaye hai kya".
Ashu: tujhe marne ke liye mai hi kafi hu.
Aryan naughty style mai kehta hai-" kahi tu mere sath kuch aesi wesi harqat karne ki to nahi soch rahi na".
Ashu ko uski baat par hasi aayi but wo gussa dikhate hue boli-" tujhse thodi der chup ni betha jata kya".
Khair,wo park pahuch gaye. Aryan ne bike khadi ki aur dono ped ke neeche bani hui jagah par beth gaye. Dopehar ka time tha to park mai bahut kam log the.
Aryan: bata yaha kisliye lekar aayi hai.
Ashu: tujhe apne bf se milana hai.
Aryan ko ek pal ke liye bahut gussa aaya,but phir usne chill kiya kyonki wo 100% sure tha ki Ashu ki life mai koi nahi hai.
Aryan: theek hai,agar tujhe use jaan se marwana hai to bula le.
Ashu: matlab kya h tera.
Aryan: simple aur saaf matlab hai,teri life mai mere siwa koi aur nahi aa sakta. Agar koi aaya to teri kasam Ashu m use jaan se maar dunga.
Ashu ko bahut gussa aaya uski baat sunkar but usne control kiya
Ashu: dekh Aryan,tu meri baat thande dimaag se sun. Jo tu chahta hai,hamare beech aesa kuch bhi nahi ho sakta,kabhi bhi nahi,marte dam tak nahi.
Aryan: hoga,jarur hoga aur isi janam mai hoga.
Ashu gusse se chillate hue kehti hai-" tujhe meri baat samjh mai kyu nahi aati,ham bhai behan hai,hamare beech mai aesa sochna bhi paap hai,samaz in baato ko nahi manta".
Aryan bhi taw mai aa chuka tha-"paap punya ka kaam to bhagwan ka hai,ye uspar chhod de. Aur rahi baat samaj ki to mujhe farq nahi padta samaz se".
Ashu: tere farq padne ya na padne se kuch nahi hota Aryan. Ham is samaz mai rehte hai to hame samaz ke banaye hue niyamo par hi chalna padta hai,na ki tere dimag mai panpe in gande vichoro ki.
Aryan: Ashu plz tu samjhne ki kosis kar,m is samaz,niyam, kanoon,pap in sabse bahut door aa chuka hu,m ab mar to sakta hu lekin peeche nahi hat sakta. M tujhe kitna chahta hu m shabdo m bayan bhi nahi kar sakta Ashu.
Aur ye kehte hue Aryan ki aankho mai aanshu aa gaye. Ye dekhkar Ashu thodi normal hui aur pyaar se boli-"Bhai meri baat dhyan se sun.tu hi soch,agar mummy papa ko pata chal gaya ki tere dimag mai ye sab chal raha hai to wo hi tujhe maar denge aur khud bhi mar jayenge. Is duniya mai is riste ko koi nahi apnayega jo tu chahta hai. Maa,baap,dost, ristedar sab tere against ho jayenge. Mummy,papa,dadi sab tujhse itna pyaar karte hai kya tu chahta hai ki unka sir sabke saamne neecha ho,kya tu chahta hai ki wo sharm se mar jaye. Nahi na...tu kabse mujhse pyaar karta hai 4 sal,5 sal,6 sal bas. Lekin unhone hame pala hai,hamari har ichha puri ki hai,agar hame ek cheenkh bhi aa jaye to puri puri raat wo jaag kar kaat dete hai. To kya 5-6 saal ke pyaar ke liye tu unka 23 saal ka karz bhool jayega. Unhone hamse bahut ummide lagayi hai,bahut bharosa karte hai ham par. To tu kese sirf apne pyar ke liye itne logo ka bharosa tod sakta hai".
Ye sab baate sunkar Aryan jese sihar sa gaya ho,ek pal mai hi jo uske parents ne unke liye kiya wo sab uski aankho ke saamne se guzar gaya. Wo apne apko gaali dene laga ki kyu wo sirf apne pyaar ke baare mai hi soch raha hai. Uski jindagi par aur bhi to bahut logo ka haq hai na, to phir kyu wo ye sab kar betha. But ye bhi to sach hai na ki wo Ashu se beintiha pyar karne laga tha. Tab Aryan bheegi hui palko se Ashu ko kehta hai-" tu theek keh rahi hai Ashu,m sirf apne baare mai hi soch raha hu. Meri life mere mummy papa ki bhi to den hai to m phir kyu ye sab bhool gaya. Lekin sachhai ye bhi to hai na ki m tujhse bahut pyaar karta hu,m tere pyaar mai itna aage nikal aaya hu ki m ab peeche nahi hat sakta".
Aur ye bolkar Aryan rone laga.tab Ashu bhi roti hui boli-" bhai mujhe bahut afsos hai ki m tere liye kuch bhi nahi kar sakti. But agar mai teri behan na hoti na to shayad aaz m sab kuch bhoolkar tera pyaar accept kar leti. Lekin ham dono ka rista bahut pak hai Aryan".
Aryan-" mujhe pata hai but m kya karu. M sab samjh raha hu but mera dil to nahi samjhta na kuch bhi,ye to bas tujhe hi chahta hai. Tu hi bata kya karu m".
Ashu ko Aryan ki halat dekhkar bahut taras aa raha tha. Wo az achhi tarah samjh gayi thi ki Aryan us se kitna pyaar karta hai but wo bhi to bahut majbur thi.
Ashu: Aryan m samjh gayi hu ki jitna pyaar tu mujhse karta hai shayad is duniya mai koi aur nahi kar sakta lekin m bahut majbur hu Aryan. M apna parents,samaz ke virudh nahi ja skati.
Aryan: to m kya karu Ashu,tu hi bata.
Ashu: Aryan m tujhe hurt nahi karna chahti,but tu sab kuch bhool ja. Isme hi ham sab ki bhalai hai.
Aryan: tujhe jara bhi farq nahi pad raha Ashu.
Ashu ye sunkar apne apko rok nahi payi aur Aryan ke gale lag gayi.
Ashu: bahut farq pad raha hai Aryan,bs m dua kar sakti hu ki agle janam mai ham bhai behan na ho. Is se jayada mai tere liye kuch nahi kar sakti. Tu mujhe bhool ja Aryan".
Aryan kuch nahi bola bas Aanshu bahata raha,phir kuch sochkar bola-" theek hai jesa tu kahega m aesa hi karunga,m tujhe bhoolne ki puri kosis karunga,lekin agar nahi bhool paaya to.."
Ashu: Aryan tujhe bhoolna padega. Apne baare m nahi to mere baare m soch. M apne liye kisi ko bhi hurt nahi karna chahti.
Aryan: bs mujhe hurt kar sakti h.
Ashu: m bahut jayada majbur hu.
Phir wo kuch der aese hi chup chap bethe rahe,dono ki aankho mai aanshu the. Phir Aryan ne Ashu ko ghar chalne ke liye kaha aur wo ghar ke liye nikal gaye.
Aur doob ke jaana hai