Kamina Koi Kami Na {Update - 002}
__________________________________
Gulam aur uske doston ke josh ko dekh kar mujhe Chand bardai ki yaad aa gayi. Chand bardai ki rachna sunkar logon me naya josh bhar jata tha aur wo wah wah karne lagte the.
Lekin meri hina ko sunayi rachna ne na jaane gulam aur uske doston me kaisa josh bhara tha ki, mujhe ab apne dost kartik ki dard se bhari sirf aah aah hi sunayi de rahi thi.
Magar mera aehsan faramosh dost kartik jiske liye maine gulam aur uske doston ko na jaane kitni dhamkiyan di thi. Wo maar to gulam logon se kha raha tha. Lekin gaaliyan mujhe bak raha tha.
Mai apne dost kartik ki gaaliyan aur uski is aehsan faramoshi ko jyada der tak sahan nahi kar paya. Mai kartik ke diye is dard se gulam aur uske doston ki maar khate khate behosh ho gaya.
Wo log mujhe marte marte kab shant huye aur kartik ka kya hua. Mujhe kisi baat ka koi hosh na raha. Mujhe jab hosh aaya to, mai hospital ke I.C.U. room me tha aur mere bagal wale bed par kartik behosh pada hua tha.
Maine doctor se kartik ki haalat ke baare me puchha to, mai doctor ki baat sunkar hairan rah gaya. Wo kamina dekhne me to, single pasli tha. Lekin is maar se uski puri 11 pasaliyan tooti thi.
Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, jab kartik ke pas 11 pasli thi to, wo apni baki ki pasliyan hum sabse chhupa kar kyo rakhta tha. Mujhe kartik se apne doston se aisi dhokhebaji ki ummid jara bhi nahi thi.
Mai abhi kartik ke diye, is jhatke se bahar bhi nahi nikal paya tha ki, tabhi mere hosh me aane ki khabar sunkar, meri sauteli bahan pihu andar aa gayi. Pihu mujhse jitna jyada pyar karti thi. Mai us se utni hi jyada nafrat karta tha.
Mere itna jyada kamina hone ki asli vajah, bhi sirf wo hi thi. Use dekh kar, mai kabhi is baat ko nahi bhool pata tha ki, mere ek nahi, do bap hai. Wo mere dusre bap ki aulad aur meri sauteli chhoti bahan hai.
Meri maa ne sirf paise ke liye, mere garib aur sidhe saade bap ko chhod kar, ek amir paise wale se shadi kar li thi. Mere naam ke sath, mere asli bap ki jagah, us amir aadmi ka naam, mere bap ke roop me jud gaya tha.
Mai aur pihu alag alag bap ki santan jarur the. Magar hum dono ne ek hi maa ki kokh se janam liya tha. Ek hi maa ki kokh se janam lene ke bad bhi, pihu ke andar apne bap ke ache gun the aur mere andar tha, meri maa ka kaminapan.
Mujhe bachpan se hi meri umar ke ladke, mere do do bap kah kar, mera majak udaya karte the aur mohalle pados ki aurten bhi, meri maa ko lekar, dabi juban me khusar fusar karti rahti thi.
Logon ki inhi sab baton ne mere man me aisa jahar ghola tha ki, mera rishton ke upar se viswas hi uth gaya tha. Mere man se meri maa ke liye ijjat khatam hone ke sath sath, meri bahan ke liye nafrat ghar kar gayi thi.
Mai apni maa aur bahan ke hote huye bhi, maa ki mamta aur bahan ke pyar se puri tarah se anjan tha. Pihu se to mai kabhi sidhe muh baat bhi nahi karta tha. Lekin wo thi ki, mujh par jaan diya karti thi.
Mere hosh me aane ki khabar sunte hi, pihu aur kartik ki bahan kartika bhagti huyi andar aayi. Pihu ki aankhen aansuon se bhari huyi thi aur wo aate hi mere seene se lipat kar rone lagi.
Use is tarah lipat kar rota dekh kar, uske aansuon se ek pal ke liye mera dil bhi pighalne ko hua. Lekin agle hi pal maine pihu ko khud se door jhatakte huye kaha.
Mai :- “chal, ab ye tera aansu bahane ka natak bahut ho gaya. Abhi mai mara nahi, jinda hu. Jab mai mar jau, to meri laash se lipat kar…….”
Mai apni dhun me, pihu ko jhidakta hi ja raha tha ki, achanak hi usne gusse me aakar, mere gaal par ek jordar tamacha jad diya. Mai uske maare gaye is tamache se sann sa rah gaya.
Mujhe ab bhi yakin nahi ho pa raha tha ki, ek chuyi muyi si ladki, jo meri chhoti bahan hai aur meri baat ka jabab dene se bhi ghabrati hai, usne abhi abhi mere gaal par thappad jama diya hai.
Lekin mai abhi pihu ke diye is jhatke se bahar nikal bhi nahi paya tha ki, tabhi kartika ne pihu ke aansuon se bhare chehre par tamacha jad kar, mujhe us se bhi bada dusra jhatka de diya.
Mai apne gaal par pade, thappad ko to sah gaya tha. Lekin pihu ke gaal par pade is thappad ne mere tan badan me aag laga di. Mai apne aape se bahar ho gaya aur maine gusse me uth kar, kartika ki gardan pakad li.
Lekin mai jyada der tak apne pairon par khada nahi rah paya. Ye shayad mujhe padi maar ka asar tha ki, kartika ki gardan pakadte hi mujhe chakkar se aane lage aur mai ladkhada kar, jamin par dhamm se girte hi, behosh ho gaya.
Mai jab dobara hosh me aaya, tab tak kartik ko bhi hosh aa chuka tha. Uske pas humare dusre dost vishal aur arpan baithe huye the. Wo dard se karahte huye, unko apni aap beeti sunane me laga tha.
Arpan to bilkul gau (cow) ki tarah sidha sadha ladka tha. Use ladai jhagda hote dekh kar hi, chakkar aane lagte the. Lekin vishal bahut badmash londa tha aur hamesha apni pants me 6 inch ka sabji katne ka chaku rakh kar ghumta tha.
Ye alag baat hai ki, uske ye chaku rakhne wali baat hum doston ke alawa koi bhi nahi janta tha aur na hi aaj tak usne apne is chaku se kisi ko ghayal kiya tha. Bas ek baar uski galti se, uski khud ki lulli hi, is chaku se ghayal ho gayi thi.
Magar apni lulli ko ghayal kar lene ke bad bhi, uske sar se chaku rakhne ka bhoot nahi utra tha aur uski is dileri ko hum sab dost salam karte the. Uske sath hone par hume kisi se bhi dar nahi lagta tha.
Yahi vajah thi ki, vishal ko apne pas pate hi, kartik ki mari haddi me bhi josh aa gaya tha aur ab wo apni dard bhari dastan unhe karah karah kar suna raha tha. Lekin mujhe hosh me aaya dekhte hi, uska gussa bhadak utha.
Kartik :- “ye bhosdi wala to meri jaan lene par hi tula tha. Wo to hume maarte maarte ruk gaye the. Lekin is kamine ka pitte pitte dil nahi bhara tha. Isliye isne apna manhoos muh khol kar, unko hume fir se peetne ke liye majbur kar diya.”
Kartik ki ye baat sunkar, maine bhi un logon ko apni safayi di. Bhala duniya me aisa kuan sa dost hoga, jise apne dost ko pitte dekh kar gussa nahi aata. Lekin un kamino ko bhi isme meri hi galti najar aayi.
Wo dono bhi is sab ka dosh mujhe hi dene lage aur fir humare hosiptal se chhutne ke bad, gulam se humara samjhota karwane ki baat kah kar chale gaye. Unke jaane ke bad hi, kartika andar aa gayi.
Lekin usne meri taraf dekha tak nahi aur aakar kartik ka haal chal puchhne lagi. Wo shayad mere uski gardan pakadne ki baat ko lekar, mujhse naraj thi. Lekin mai khud bhi samajh nahi pa raha tha ki, maine aisa kyo kiya.
Mere dil me pihu ke liye, kabhi koi pyar ya hamdardi nahi rahi thi. Aise me kartika ke usko thappad marne par, mera kartika ki gardan pakad lene wali baat ne mujhe khud bhi soch me daal diya tha.
______________________________