Chapter -2 (Suicide or Murder ? )
Dipesh :- Sikha meri ex girlfriend thi ..vo bahut hi positive mind vali ladki thi vo suicide nhi kar sakti hai ..lekin is insan ne uska katl kar diya ….uske paiso ke liye ..jis flat me vo rahti thi vo bhi ab iska ho gya hai ..
Suman :- ham sabko pta tha ki Abhay ek gusse vala insan tha ..ye gusse me aake kya kar de..koi nahi jan sakta..ek bar to isne Shikha par hath bhi uthaya tha your honor ..
“ji mai unki neighbour Nisha hoon ….us din bhi mai late night tv dekh rahi thi …jab muje in dono ki ladne ki awaze sunayi di …”
“kya neighbour hone ke nate aapne ye nahi socha ki mujhe inki madad kar deni chahiye …ya jakar dekh lena chahiye ....” vakeel ne Nisha se puccha …
Nisha :- inke jhagde to aam the…week me do char bar ladayi to hoti rahti thi ..rat me ladayi hoti aur agle din phir dono ek ho jate to kyo bewajah burayi lo…. ,..
“Actually is waqt mera maksad ye nahi Mr. Siddhant…ki is case ka natija kya hoga …because It’s so simpe ..mai bas ye janna chahta hoon ki kathghare me khade is insasn me aapne aisa kaun sa gun dekha jo ham me se kisi ko nazar nahi aa aaya ” samne vale vakil Mr.Bhandari bole ..
Sid :- Kaun sa gun..nahi prosecutor sahab..aisa koi vishesh gun to apne client me nahi dekha ..sau bat ki ek bat ye hai judge sahab..ki aaj mai adalat me upasthit hun ye prove karne ki mere client Mr. Abhay sikha ki maut ke liye responsible nahi hai ..na ki Abhay ke character ke certification ke liye ….abhi abhi hamne jo suna ..han Abhay me arrogance hai ,fraud hai ..cheater hai ..etc etc ..par isse ye knha prove hota hai ki Abhay hatyra bhi hai …
Bhandari :- by the way ye case suicide karne ke liye prerit karne ka hai na ki murder ka…
Sid :- lekin suicide ke liye tabhi uksaya ja sakta hai jab kisi ne suicide kiya ho ….ywe suicide ka case nahi hai ..ye ek murder hai …It’s case of murder ..
Judge :- Murder ?
Sid :- ji han your honor …Murder aur mai ise prove bhi kar sakta hoon..pahle mai ye sabit karungaa ki Shikha ne suicide nahi kiya iske bad mai ye sabit karunga ki Shikah ka murder hua tha ….your honor sabse pahle mai Abhay ke mobile ke screenshot dikhana chahunga …jisme saaf saaf likha hai ki mujhe maaf kar do shikha ..mai sirf tumse pyar karta hoon …aur meri life me bas ab tum hi ho .aur ise sabit karne ke liye ham is Friday shadi karne vale hai …
Bhandari :- obvisously inhe guilt feel hua hoga Your honor ..par us guilt ka kya fayda jiske aate aate der ho chuki ho ..
Sid :- der ho chuki ho? Lekin der to nahi huyi thi ..3:20 min par inhone message bheja tha aur usi waqt Shikha ne rply bhi kiya tha ….
Bhandari :- lekin phir bhi usne apni jan isliye le li kyonki vo bahut jyada gusse me thi…janlleva gusse me …..
Sid -: Bhanadri sahab ..aapne mera kam aur aasan kar diya ..your honor janleva gusse me hote huye koi bhi insan apne suicide note ke ant me smile karti huyi smily nahi dalega …aur jabki Abhay ke rply pde ja chuke the aur itne bhayanak gusse me koi kaise suicide note ke ant me smily dalega ..iska ek hi matlab niklta hai ki Shikha ne suicide nahi krna chahti thi ..vo keval ye letter likhkar Abhay ko parkhna chahti thi…
Bhandari :- aapko ye bhram kab aur kaise ho gya …
Sid :- Bhandari ji ..mujhe ye bhram tab hua jab mai Shikha ke ghar thoda janch pdtal ke liye gya …your honor..ynha par ek book hai jo sikha ke ghar se mili thi …isme bookmark ke nishan hai ..sath me Shikha ke anguliyo ke bhi aur book ke cover par hi chay ke cup ka nishan hai..iska matlab tha ki chay bnayi gayi aur bookmark bhi lgaya gya ..taki kitab bad me pdi ja sake ..par gaur krne vali bat hai jaise bhandari sahab ne kha ki janleva gussa ..kaun sa insan itne gusse me chay bnayega ..kitab pdega ..vo bhi ek comedy book thi ..aur Police Report ke mutabik washing mchine me kuchh kapde paye gye ..jo ki halkwe gile the ..
Judge :- siddhant ji aakhir aap kahna kya chahte hai
Sid :- your honor ..ek ladki jo ki apne boyfriend se naraz hai ..marne ke liye taiyar hai vo pahle apne gande kapde dhone ke liye dalti hai phir chay bnati aur ek comedy book pdti hai..aur phir suicide note par ek smily chipkati hai aur bde hi aaram se fansi ke phande par jhool jati hai ..It’s natural your honor…
Bhandari :- ho sakta hai your honor Sikha ne ye sab kam khud ko normal dhikhane ke liye kiya ho ..man bhalane ke liye ..lekin iska koi fayda nahi hua finally toot kar bikhar kar usne suicide jaisa kadam utha liya ho ..
Judge :- I am agree with you Mr.Bhandari par Mr siddhant ne is suicide par kuchh aham sawal uthaye hai jinke jawab milna bahut jaruri hai ;..
Bhandari :- kaise aur kaun se jawab your honor …kya aab ham ye janna chahte hai ki ye suicide nahi murder hai ..to agar murder hai to kaise .. ham alreadyjante hai ki watchmen khidaki se andar ghusa tha ..aur vo darwaza khola jo pahle se hi andar se band tha ..How it’s a murder
Sid :- Maine jo sawal uthaya hai Bhandri ji ..uska jawab hai mere pas ..uske liye mujhe ek pryog karke dikhana hoga ..ijjajt chahata hoon your honor …
Judge :- ijajat hai ..
Sid :- your honor ab mai Shikha ki hatya ka rupantran dikhata hoon..Shikha ke flat ki height thi 10 feet ..vnha se fan ek feet neeche latak raha tha..fan se lekar gale tak jo chunni thi..uski lambai ek feet ..Shikha ka kad 5^6 inch ..jis stool par vo khadi thi uski height 2 feet..Bhandari ji aapko jodna aata hai ..kyon na aap meri help kar de…kya aap bta sakte hai ..ki kitna naap nikla ..
Bhandari :- 10 me se ek feet huye 9 aur baki ke ankde milakar hote hai 8^5 feet ..
Sid :- hone chahiye 9 feet par nikle 8^5.. 5 inch knha rah gye ..
Bhandari :- ungliyon par khadi ho gayi hogi ..
Sid :- pairo ki ungliyon par khadi ho gayi hogiaisa karke to do teen inch kam kar diye hoge ..agree baki ke teen inch ka fasla kaise tay kiya ..Judge saheb mai Inspector Rathore ko bulana chahta hoon…
Let continued .>>>>>>>>