Bhatakta Rahi 1234
Well-Known Member
- 2,567
- 4,578
- 143
Awesome update..Badi maa thodi soch mein uthi pat phir muskura kar kaha ki ye pratiyogita Karma ne jeet li hai aur ab muqabla barabari pbarabarie ya hai agali phai, pratiyogita akhiri hogj aur jo wo jeetega wo jeet jayega.
Dhanywaad
Iske baad badi maa chali gayi aur sath bhi chitrawati bhi par wo palat palat kar mujhe dekh rahi thi aur main use… Iske baad ghar wale daudkar aaye aur mujhe gale laga lia hum log khushi khushi andar chale gaye…
UPDATE 135
Ek muqabla jeetne ki khushi humare cheharon par badi saaf saaf dikh rahi thi sab bhagwan ka dhanywaad kar rahe the, par main janta tha ki bhagwan ke sath sath kisi aur kA bhi dhanywaad karne ki zaroorat hai, khair hum sab log bahut khush the Anuj aur Jaggu Kaaljung ka majaak udate huye bol rahe the ki kaisa lagta Kaaljung kavita bolte huye, teeno auratein bhi kaafi khush thi.. hum sab log aise hi baithkar apani jeet ki khushi manate huye baatein karte rahe, thodi der baad main utha aur bahar nikal kar ek jagah ki or nikal gaya, baagh mein se hote huye jab main wahan pahucha to nirash hua kyonki shayad jis wajah se aaya tha wo poori nahi hui thi..
To phir wohin baith gaya aur khubsurat kudrat ke nazaron ko dekhne laga… kitni shant jagah thi ye Sath hi kitni sureeli bhi, pakshiyon ki awaazein jaise wo koi geet gumguna rahe ho, sath hi talaab se pani ke bahne ki awaaz, paas hi mein khelte huye chhote pillon ki awaaz, man bahut acha aur halka mahsus kar raha tha, aur isee beech ek behad sureeli awaaz aur mere kaano mein padi.. maine awaaz ki talash mein sir ghumakar dekha aur jo dikha usse mere honthon par muskan aa gayi..
Samne behad khoobsurat Chitrawati khadi hui thi,
Chitrawati: lagta hai tum meri manpasand jagah ko hathiyana chahte ho..
Usne muskurate huye kaha.. uski muskurahat dekh kar kuch pal ke liye to main kho hi gaya… phir hosh mein aate huye bola..
Me: nnnahi aisa kuch nahi hai..
Chitrawati: phir kaisa hai, kyunki kai baar dekha hai humne tumhe yahan..
Me- ho sakta hai ki ye meri bhi manpasand jagah banti ja rahi ho.
Chitrawati: aisa kaise ho sakta hai humari jagah ko tum apani manpasand jagah mat banao…
Me- koi jaankar thode hi kuch pasand karta hai apane aap hi pasand aa jate hain.
Chitrawati- acha ye baat to sahi boli tumne,
Me- waise bolna to mujhe aur kuch bhi hai.
Chitrawati: to bolo na..
Me- aaj ke liye bahut bahut dhanyawad, tumhari wajah se hi main muqabla jeet paya.
Chitrawati- are wo to kuch nahi humne tumhara udhar chukaya.
Me- mera udhar maine kab tumhe udhar diya?
Chitrawati- Tumne mujhe Jo kuch samjhaya wo.. aur dekh rahe ho na main kavita mein baat nahi kar rahi hun… to Kavita ka udhar kavita se..
Aur wo aur main khilkhilakar hansne lage… maine aas paas niharte huye kaha:
Kitni khoobsurat jagah hai na?
Chitrawati: haan isse khoobsurat kuch ho hi nahi sakta..
Me- isse zyada to nahi pata par iske jitna to hai..
Chitrawati: sach mein itna khoobsurat kuch aur bhi hai kya?
Maine apani ek ungali ko charo taraf kisi compass ki tarah ghumaya aur phir uski taraf karke bola: tum..
Chitrawati- kya hum??? Wo bhi itane khoobsurat,.. nahi nahi maana humne tumhari jeetne mein madad ki hai par iska matlab ye nahi ki tum humari jhoothi tarif karo…
Me- main to sachhi hi kar raha hun, mujhe to barabar hi lag rahi hai tumhari khoobsurati..
Chitrawati- agar aisa hai to tum theek se jante nahi ho..
Usne mujhe dekhte huye bola
Me- main janna chahta hun.
Maine uski aankhon mein dekhte huye kaha..
Chitrawati- hum jagah ki baat kar rahe hain, tum abhi is jagah ko theek se jante nahi ho..
Me- aur main tumhari… .
Wo meri baat sunkar muskurai aur phir boli- chalo humare sath.
Me- kahan?
Chitrawati- janne ke liye… Ab chalo..
Me- acha theek hai chal raha hun..
Aur phir main uske peeche peeche chal diya, bagh ke bagal mein ek ped ke kinare se hote huye ek rasta tha jo mere liye naya tha hum usme chal diye wo aage aage chalte huye margdarshan kar rahi thi main mantra mugdha sa uske peeche peeche chala ja raha tha..
Rasta aage jakar ek gufa mein badal gaya aur patla bhi ho gaya..
Me- kahan le ja rahi ho tum jitna aage badhte ja rahe hain rasta patla hota ja rha hai.
Chitrawati- kyun dar rahe ho kya?
Me- tum sath ho to bilkul nahi..
Chitrawati- baatein bahut banate ho..
Me- aadat hai shayad..
Chitrawati- ab araam se aao rasta thoda sankara hai aur andhera bhi hoga.
Ye kahte huye usne mud kar meri taraf apana hath badha diya… mujhe jab samajh aaya to Maine uska hath tham liya… uski komal ungaliyon ke sparsh matra se hi badam mein jhurjhuri si fail gayi… wo aage mud kar chalne lagi main peeche se uska hath thame chal raha tha.
Thoda aage badhe to samneh se thodi roshni aa rahi thi.. thoda aur aage jakar mujhe theek se dikha to aisa lag raha tha ki gufa ki deewar mein ek chhota sa chhed ho rakha hai teen fita chauda 4 fit ke kareeb uuncha..
Chitrawati humein uske paas le gayi chhed ke doosri taraf ka hissa pattiyon se dhaka hua tha isliye us paar kya tha kuch samajh nahi aa raha tha…
Chitrawati ne mudkar meri taraf dekha aur boli- hum aa gaye.
Me- acha yahi lane wali thi tum…
Chitrawati- haan to janna chahoge..
Me- bilkul..
Chitrawati- to phir
Me- to pHir kya??
Chitrawati- humara hath..
Me- tumhara hath.. phir mujhe samajh aaya main uska hath pakade huye tha aur wo baar baar hath chhodne ke liye ishara kar rahi thi.. par mujhe uska hath pakad kar itni khushi mil rahi thi ki main chhodna hi nahi chah raha tha.. khair na chahte hue bhi maine uska hath chhoda aur Phir usne paas hi mein rakha ek danda uthaya, main sochne laga ye danda kyun bhai aur is dande ki kya jarurat hai.. wo danda lekar jhukkar us khidki numa jagah mein baith gayi aur phir mud kar meri taraf dekha aur boli: aao baitho..
Apane bagal mein bachi hui jagah par ishara karte huye usne bola..
Main thoda asahaj hokar jhukkar sawdhani se uske bagal mein usi ki tarah pair latkakar baith gaya kyunki jagah kam thi to hum dono bilkul sat kar baithe the…
Uske paas hone se uske badan ki khushbu se mujhe nasha sa ho raha tha.. jab main baith gaya to wo boli- to taiyar ho?
Me- kis liye
Chitrawati- janne ke liye.
Me- tumhe?
Chitrawati- jagah ko..
Aur phir usne danda jo uske hath mein tha aage kia aur latakati pattiyon ki bel ko dande se ek taraf sarka kar dande ko ek patthar mein atka diya . Aur phir samne jo nazara tha use dekhkar to meri aankhein khuli ki khuli rah gayin..
Humare upar se pani ki ek dhaar neeche gir rahi thi talaab mein pani ki ek chaudi par patli si jaise chadar ho wo humare samne thi aur nirantar bahti ja rahi thi, pani ke paar ke phool ped talaab us chadar mein dekhne par aise maloom ho rahe the jaise hil rahe ho sab kuch ek swapnlok jaisa lag raha tha… kuch aisa najara tha ki hum jharne ke andar baithe hon aur upar se pani nirant bah raha ho…
Sach hi maine apani zindgi mein kabhi kuch aisa nahi dekha tha.. main nazare ki khoobsurati mein khoya hua tha tabhi Chitrawati mujhse boli: kyun ab kya lagta hai ab bhi humare barabar khoobsurat hai ye…
Me- uhhmmm nahi ye thoda zyada hai… par koi nahi tum doosre number ho.. aur wo number bhi kuch bura nahi hai…
Chitrawati: humein number do banne mein koi pareshani nahi hai..
Me- waise mujhe aur bhi tumse kuch kahna hai
Chitrawati: kya
Me- dhanywaad.
Chitrawati: wo to pahle hi kar diya..
Me- uske liye nahi ye nazara dikhane ke liye, ya kahun ki khud se khoobsurat nazara dikhane ke liye..
Chitrawati: tumhe hum khoobsurat nazara lagte hain.
Me- haan bahut hi khubsurat, aisa ki nazar hi na hate haaan bas isse thoda sa kam…
Maine samne ki or ishara karke kahaa to wo hansne lagi..
Chitrawati- aaj tum kuch alag alag si baatein kar rahe ho par nahi tum humesha hi alag si baatein karte ho..
Me- ise main apani tarif samjhunga…
Chitrawati- aur humne tarif na ki ho to??
Me- to…..
Main uski aankhon mein dekhte huye bola.. ek to hum itne kareeb baithe huye the usske badan ki khushbu mujhe besudh kar rahi thi upar se itni pass se uski jheel si aankhon mein dekhte huye main kahin aur hi khone laga mujhe ye bhi yaad nahi raha ki main kya bolne ja raha tha.
Chitrawati- kya hua aise kya dekh rahe ho?
Boloo?
Me- huh? Ohh main tumhe dekh raha hun..
Chitrawati- humein kyun? Samne dekho kitna khoobsurat nazara hai.
Me- tum nazare ko kyun dekhti ho?
Chitrawati- hum islliye kyunki humein acha lagta hai, humare man ko thandak deta hai.. humari saanso ki gati ko thoda dheere kar deta hai.
Me- main bhi..
Chitrawati-main bhi kya?
Me- main bhi tumhe isliye dekh raha hun kyunki mujhe acha lagta hai, man ko thandak milti hai, aur saanse thodi dheere ho jati hain.
Chitrawati meri baat sunkar meri aankhon mein dekhne lagi, koi kuch nahi bol raha tha bahar prakrati apana madhur sangeet suna rahi thi aur hum dono ek doosre ko bas dekhe ja rhe the.. phir Chitrawati ko jaise kuch yaad aaya ho aur wo nazarein hata kar samne dekhne lagi..
Main ab bhi usi ki taraf dekh raha tha.
Me- acha mujhe tumse kuch poochna hai?
Chitrawati- aur bhi poochna hai..? Theek hai poocho…
Me- tum meri ek galti maaf kar sakti ho?
Chitrawati- matlab hum kuch samjhe nahi kaunsi galti?
Me- bas ye batao kya tum meri galti ke liye mujhe maaf kardogi?
Chitrawati- haan par kaunsi galti ki hai tumne jo maaf kar dun..
Me- hai ek galti.. jiske liye mujhe tumse maafi chahiye hogi?
Chitrawati- ohfo ab bolo bhi kaunsi galti??
Me- ye.
Aur itana kah kar maine aage jhukkar apane honthon ko uske raseele naram Honthon par rakh diya aahhh kya sukhad ehsaas tha wo itne mulayam aur raseele honth jaise muh mein ras malai bhar li ho.. maine bas ek pal ke liye uske Honthon ko chuma aur phir bapis ho gaya… par us ek pal mein hi maine kya pa lia main hi janta tha …
Wo bilkul hairan ho gayi… uske chehre par hairani ke alava koi aur bhaw nahi dikha mujhe…
Me- isi galti ki maafi maang raha tha main.. kardogi na maaf.
Wo kuch nahi boli bas saamne dekhne lagi..
Mujhe chinta hone lagi ki kahin kuch gadbad to nahi kar diya maine…
Me- tum kuch bol kyun nahi rahi..
Thodi der baad Chitrawati boli: ab tumhe jana chahiye, jaldi hi tumhari agali pratiyogita shuru ho jayegi..
Main hairan aur pareshan ho gaya mujhe lagne laga sale galti kar di tune usne mujhe jeetne mein madad ki aur main usko choomne laga gadha hun main bilkul. Maine socha abhi kuch bhi karunga to ye aur gussa ho jayegi isse acha iski saari baatein manta hun aur baad mein manane ki koshish karunga..
Me- theek hai chalte hain…
Wo thoda peeche khiski aur phir khadi ho gayi.. aur jaise hi main uthne ko hua wo boli..
Chitrawati- ek aur baat tum humare sath is raste se nahi jaoge..
Me- hain phir kaunsseeeeeeeeeeeeeeaaaaaaaaaaaaaaaa.
Main itna hi bol paya tha ki usne mujhe dhakka de diya aur main us khidki numa jagah se kareeb 20 feet ki unchai se thapppp se talaab mein ja gira… meri to gand hi phat gayi… sala kahan wo itne ache se baat karti thi jeetne mein madad ki aur ab seedha talab mein fenk dia..
Ye tune udti lakdi apane pichwade mein le li hai karma beta… main talaab se nikal kar poora ghoom kar bapis sabke paas aaya…
Iske baad kya hua aur kya pratikriya hogi Chitrawati ki aur sath hi usse Karma aur sathiyon ki kya mushkilein badhengi ye sab agali update mein.. aap sab apani comments karke zaroor bataayein kaisi lagi Update bahut bahut dhanyawad.
Kuch purane update padh kar
Ye hi dekhne layak hoga bhai.. Bahut bahut dhanyavadBhai, gaand masti bahut chadhi thi na Karma ko. Gaand pe ek laat maar ke talaab mein fenk diya.
Ab dekhna ye hai ki Karma ki gaand pe ye laat Masti mein padi hai ya uski gaand masti ka bhoot utaarne ke liye.
Idea badhiya haiKuch purane update padh kar
Jaldi hi unke bhi haal pata chalne wale hainnice update
thoda dhyan ganv me bhi do
papa aur bahu ke kya hal h
Nice wala update. Waiting for next.
Nice update
Awesome update..
Chitrabati to jaldi pat gayi bahut badhiya update diya hai apne
Bahut bahut dhanyawad dosto