• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller Khatarnaak Ungliyan (completed)

syed arshad

Well-Known Member
2,922
7,255
143
Sir Actually bat aisi hai ke maximum log erotics ke piche bhagte hai, par hum to hai hi Yaar. Din mein kam se kam 4-5 bar to check kar hi lete hai ke update aaya ya nhi.

:thanks: Bittu Bhai
Inshallah Ab Aap Ko Zyada Intezar Nahi Karunga Bhai Update Ke Liye Do Ya Teen Din Mein Yeh Series Complete Ho Jayegi Uske Baad Ki Series Regular Update Post Karne Ki Koshish Karunga
 
  • Like
Reactions: spyder

syed arshad

Well-Known Member
2,922
7,255
143
Aur bhai mai to Sirf aapki stories hi padhta hu, aapne imran mein aisa interest jagaya ki ab jata hi nhi.

:thanks: Bittu Bhai
Imran Ka Nasha Aisa Hi Hai Bhai Main Bhi Kabhi-Kabhi Padhne Baithta Hu To Padhte-Padhte Saari Raat Guzar Jati Hai Lekin Dil Bharta Hi Nahi
 
  • Like
Reactions: spyder

syed arshad

Well-Known Member
2,922
7,255
143
Is Tarah 15 Minute Guzar Gaye....
Lekin
Imran Ki Waapsi Na Hui....!


Captain Shameem Sonch Raha Tha Ke....
Agar
Jazeere Mein Daakhil Hone Koi Raasta Imran Ko Mil Gaya Hota To Fauri Taur Par Uski Waapsi Hoti....Tanha Daakhil Hone Ka Khatra Mol Na Leta....
To Fir
Kya Use Koi Haadsa Pesh Aya Hai....Aisi Surat Mein Use Kya Karna Hoga....!


Achanak Usne Mattu Ke Aadmiyon Se Kaha....Apne Jazeere Ki Taraf Wapas Chalo....!


Aur Sahab....Wo....!


Unhe Yaqeenan Koi Haadsa Pesh Aya Hai....Main Jazeere Se Coast-Guards Se Raabta Khayam Kar Ke Helicopter Talab Karunga....!


Mattu Ke Aadmiyon Ne Ajeeb Nazron Se Ek-Dusre Ki Taraf Dekha....
Aur
Rooq Tabdil Kar Ke Chappu Chalane Lage....Machli Ka Jaal Khinch Kar Samet Liya Gaya Tha....!
______________________________________________________________________________

Imran Kuch Der Tak Paani Sataah Hi Par Tairta Raha....

Fir
Ghota Lagaya....Zer-E-Aab (Underwater) Roshni Wali Torch Usne Dono Haathon Se Thaam Rakhi Thi....
Aur
Pairon Se Back Strokes Lagata Hua Aage Badh Hi Raha Tha Ke Achanak Aisa Mehsoos Hua Jaisa Dono Pairon Mein Phanda Padh Gaya Ho....Dono Panje Ek-Dusre Se Jakadh Kar Rahe Gaye....Yaqeenan Wo Phanda Hi Tha....
Kyun Ke
Ab Us Rassi Ko Khincha Jane Laga Tha....!


Imran Damm Saadhe Khinchta Chala Gaya....Sonch Bhi Nahi Sakhta Tha Ke Achanak Is Qism Ke Kisi Surat-E-Haal Ka Saamna Hoga....!


Fir Use Apni Torch Ki Roshni Mein Do Frogman Nazar Aye....Jin Ke Haathon Mein Zer-E-Aab Chalaye Jane Wali Bandooqein Dikhi....Bure Phanse....Imran Ne Soncha....
Lekin
Ab Ho Hi Kya Sakhta Tha....!


Thodi Der Baad Uska Jism Kisi Thons Qism Ki Cheez Se Takraya....
Aur
Khinche Jane Ka Amal Bhi Ruk Gaya....Saath Hi Aisa Mehsoos Hua Jaise Tez Qism Ki Roshni Mein Naha Gaya Ho....Torch Uske Haathon Se Choot Kar Dur Phisalti Chali Gayi....Jiss Ka Matlab Yeh Tha Ke Wo Ab Thons Zameen Par Padha Hua Hai....!


Uthne Ki Koshish Ki To Mehsoos Hua Ke Pairon Mein Ab Bhi Phanda Padha Hua Hai....Kisi Na Kisi Tarah Baith Kar Wo Phanda Nikaalne Laga....Tez Qism Ki Roshni Aankhon Mein Chaka-Chaund Paida Kar Rahi Thi....Thodi Si Jad-O-Jahad Ke Baad Usne Pairon Se Phanda Nikaal Liya....
Aur
Ghutnon Ke Bal Baith Kar Gehri-Gehri Saansein Lene Laga....!


Wo Ab Kisi Chath Ke Niche Tha....
Achanak
Do Afraad Fir Dikhayi Diye....Jinke Haathon Mein Machine-Guns Thi....Unhone Imran Ko Uthne Ka Ishaara Kiya....!


Main Koi Badi Machli Nahi Hu....Imran Ghurraya....Mujh Se Aadmiyon Ka Sa Bartav Karo....!


Ek Ne Machine-Gun Se Saamne Wale Darwaaze Ki Taraf Ishaara Kiya....!


Imran Ne Shaano Ko Jumbish Di....
Aur
Darwaaze Ki Taraf Chal Padha....!


Yeh Ek Lambi Surang Sabeet Hui....Uske Piche Wala Musalaah Aadmi Torch Roshan Kiye Hue Raasta Dikha Raha Tha....!


Ek Jagaah Use 30-40 Seedhiyan Bhi Tai Karni Padhi....
Aur
Fir....Wo Achanak Khule Aasmaan Ke Niche Aa Gaya....Sar Par Suraj Chamak Raha Tha....
Aur
Patthreeli Zameen Tapp Rahi Thi....!


Imran Ne Mudh Kar Dekha....Un Dono Musalaah Aadmiyon Ka Kahin Pata Na Tha....Jo Use Yahan Tak Laye The....!


Imran Ne Seedhiyon Ko Bhi Talaash Karne Ki Koshish Ki....Jin Ke Zariye Yahan Tak Pahuncha Tha....
Lekin
Unka Nishaan Bhi Kahin Na Mila....!


 
Last edited:
  • Like
Reactions: spyder

syed arshad

Well-Known Member
2,922
7,255
143
Dhoop Ki Shiddath Ka Ehsaas Tapti Hui Chattaanon Ki Wajah Kuch Aur Zyada Ho Gaya Tha....!


Koi Saayedar Jagaah....Imran Ne Soncha....
Varna
Thodi Hi Der Mein Halath Tabaah Ho Jayegi....Chattaanon Ke Darmiyaan Koi Ghaar Talaash Karne Laga....!



Ajeeb Si Chattaanein Thi....
Agar
Yahan Bhi Un Logon Ne Apna Koi Adda Bana Rakha To Uski Nauiyath Kya Hogi....
Aur
Kya Wo Hawai Humle Se Bach Sakhenge....? Imran Ko Yaqeen Tha Ke Uski Waapsi Na Hone Ki Bina Par Captain Shameem Coast-Guards Se Raabta Khayam Karega....!



Imran Chattaanon Ke Darmiyaan Bhatakta Phir Raha Tha Ke....
Achanak
Use Jaguar Ki Awaaz Sunayi Di....!



Khush-Aamdeed Mr Imran....Tum Badi Asaani Se Phans Jate Ho....!


Darasal Tum Se Milna Chahta Tha....Varna....Imran Jumla Pura Kiye Baghair Khamosh Ho Gaya


Bohath Khoob....Bhala Mujh Se Kyun Milna Chahte The....!


Is Maskharepan Ka Matlab Jaanna Chahta Hu....!


Kya Matlab....!


Gherna....Pakadhna....
Aur
Fir....Badi Asaani Se Nikal Jane Dena....Aakhir Yeh Kiss Qism Ka Khel Hai....Tum Hume Kya Baavar Karana Chahte Ho....?



Is Baar To Main Tum Se Sirf Yeh Puchna Chahta Hu Ke Tumhari Aur Karnel Faizi Ki Rihaayi Kaise Hui....Kiss Ne Tumhare Aadmiyon Ki Rehnumayi Ki Thi....?


Oh....Bas Itni Si Baat....Imran Hans Kar Bola....Humara Apna Tareeqa Hai....Is Par Roshni Nahi Daali Jaa Sakhti....!


Mujhe Shak Hai Ke Clara Dickson Ne Tum Logon Ki Nishaandehi Ki Thi....!


Bachchon Ki Si Baatein Kar Rahe Ho Dost....Imran Ne Sanjheedgi Ikhtiyaar Karte Hue Kaha


Fir Yeh Bhi Mumkeen Nahi Ke Kisi Aur Tarah Tumhari Rihayi Hui Ho....Jaguar Ki Awaaz Ayi....Clara Dickson Ghaddaari Ki Martakab (Doshi) Ho Rahi Hai....!


Kiss Ke Khilaaf....? Imran Ne Sawaal Kiya


Tumhe Isse Koi Sarokaar Na Hona Chahiye....!


To Tum Yeh Samajhte Ho Ke Clara Dickson Hum Se Mil Gayi Hai....!


Main Is Par Bhi Yaqeen Nahi Kar Sakhta....Jaguar Ki Awaaz Ayi


Fir Kya Kehna Chahte Ho....?


Is Sawaal Ke Jawaab Mein Jaguar Ki Awaaz Na Sunayi Di....!


Imran Chandh Lamhe Wahin Khada Raha....
Fir
Aage Badha....
Aur
Dhoop Ki Tamaazath Se Bachne Ke Liye Koi Saayedar Jagaah Talaash Karne Laga....!



Aakhirkar Ek Aisa Ghaar Mil Hi Gaya Jo Hairath Angez Taur Par Hawaadar Aur Thanda Tha....
Lekin
Wo Jagaah Na Mil Sakhi Jahan Se Uthne Wale Dhuein Ne Is Jazeere Mein Daakhil Hone Ki Tarqeeb Di Thi....Ho Sakhta Tha Ke Wo Bhi Mahez Ek Shaabdha (Trick) Raha Ho....Unhe Jazeere Ki Taraf Mutawajjah (Attract) Karne Ke Liye....!



 
  • Like
Reactions: spyder

syed arshad

Well-Known Member
2,922
7,255
143
Imran Ghaar Ke Ek Kone Mein Teek Kar Sonchne Laga....Ke Ab Use Kya Karna Chahiye....Kashti Ko Chhode Khaasa Waqt Guzar Gaya Tha....Is Dauraan Mein Wo Wahan Ruki Na Hogi....Yaqeeni Taur Par Captain Shameem Mattu Ke Jazeere Ki Taraf Wapas Gaya Hoga....
Aur
Wahan Se Coast-Guards Ke Raabta Khayam Karne Ki Koshish Karega....
Baherhaal
In Logon Ne Aas-Paas Ke Kayi Veeran Jazeeron Par Qabza Kar Rakha Hai....
Aur
Yeh Qabza Pata Nahi Kab Se Jaari Ho....Is Jazeere Mein Wo Surang Aur Seedhiyan Chandh Dino Mein To Ban Na Gayi Hogi....Imran Sonchta Aur Ungta Raha....Wo Mutmayeen (Santusht) Tha Ke Is Jazeere Par Coast-Guards Ke Helicopters Zaroor Land Kar Sakhenge....
Aur
Apne Thikaane Par Ba-Asaani Pahunch Jayega....!



Imran Ne Kuch Aur Haath-Pair Pasaare Aur Ungne Laga....
Lekin
Yeh Kaifiyath Der Tak Barqaraar Na Rahe Sakhi....Pata Nahi Kyun Chaunk Padha Tha....Aankhein Phaadhe Chaaron Taraf Dekhne Laga....
Aur
Dobara Ung Jane Ka Irada Kar Hi Raha Tha Ke Chaunkne Ki Wajah Maalum Ho Gayi....!



Yeh Ek Awaaz Thi....Insaani Karaah Jo Takleef Ki Sheedath Ki Bina Par Be-Ikhtiyaar Nikli Ho....!


Imran Uth Gaya....
Kyun Ke
Awaaz Ki Simt (Disha) Ka Bhi Andaaza Ho Gaya Tha....Baayein (Left) Janib Wali Dhalaan Mein Utarne Laga....Karaah Fir Sunayi Di....
Aur
Use Yaqeen Ho Gaya Ke Sahi Simt Jaa Raha Hai....Ghaar Ke Vasaath Ka To Ab Ho Raha Tha....Wo Dhalaan Mein Utarta Raha....
Aur
Fir....Rehnumayi Karne Wali Dardnaak Awaaz Ke Bohath Khareeb Pahunch Gaya....!



Yeh Ghaar Ke Andar Ek Aur Ghaar Ka Dahaana Maalum Hota Tha....Imran Bedhadak Us Dahaane Se Bhi Guzar Gaya....
Aur
Karaahane Wale Par Padhne Wali Pahli Nazar Tafseeli Thi....!



Wo Farsh Par Aundha Padha Hua Tha....
Aur
Uski Baayi (Left) Taang Mein Zanjeer Nazar Ayi....Jiss Ka Dusra Sira Lohe Ki Ek Mekh (Spike) Se Maslak (Connect) Tha....!



Imran Phurti Se Aage Badha....
Aur
Jhuk Kar Use Seedha Karne Laga....Chehra Dekhna Chahta Tha Uska....!



 
  • Like
Reactions: spyder

syed arshad

Well-Known Member
2,922
7,255
143
Roberto....Imran Ki Zubaan Se Be-Ikhtiyaar Nikla
Aur
Shakista Haal Qaidi Ne Aankhein Khol Di....!



Oh Mere Khuda....Wo Kamzor Si Awaaz Mein Bola....Mr Imran....!


Lekin Tum Is Haal Ko Kaise Pahunche....Imran Ne Hairath Se Kaha


Siyaah Faam Silvas Ke Haathon Jaguar Ke Hukm Par....!


Aakhir Kyun....?


Clara Dickson Tanzeem (Sanstha) Ka Saath Chhod Gayi Hai....Jaguar Mujhe Uska Aadmi Samajhta Hai....
Halaanke
Main Tanzeem Ka Wafadar Hu....Mujhe Afraad Se Koi Sarokaar Nahi....!



Is Haal Ko Pahunch Jane Ke Baad Bhi Tanzeem Ke Wafadar Ho....Imran Ne Ahista Se Pucha


Haa Mr Imran....!


Jin Logon Ka Aitemaad (Bharosa) Tum Par Se Uth Gaya Ho....Unke Darmiyaan Rahne Se Kya Faida....!


Roberto Ne Koi Jawaab Na Diya....Wo Clara Dickson Ke Khaas Aadmiyon Mein Se Tha....Har Waqt Uske Saath Rehta Tha....Isi Bina Par Kabhi-Kabhi Imran Ne Yeh Bhi Soncha Ke Kahin Wo Khud Hi Jaguar Na Ho....
Lekin
Ab Usko Is Haal Mein Dekh Kar Ise Khaarj-Az-Imkaan (Sambhava Se Bahar) Qaraar Dena Padha Tha....!



Kya Tum Yahan Tanha Ho....Imran Ne Kuch Der Baad Pucha


Main Nahi Jaanta....Roberto Bharrayi Hui Awaaz Mein Bola....Bas Kabhi-Kabhi Jaguar Ki Awaaz Sunta Rehta Hu....Wo Mujh Se Maalum Karna Chahta Hai Ke Clara Dickson Kahan Hai....
Lekin
Kya Tum Fir Qaidi Bana Liye Gaye Ho Mr Imran....!



Imran Ne Use Bataya Ke Wo Kiss Tarah Is Jazeere Par Pahuncha Tha....!


Tab To Tumhare Saathi Zaroor Humlavar Honge Mr Imran....!


Ho Sakhta Hai....
Lekin
Main Tumhare Liye Kya Karu....
Agar
Mere Saathiyon Ke Hatthe Chadh Gaye To Meri Hukumat Ke Qaidi Ban Jaoge....Imran Ne Kaha



Main Is Silsile Mein Kya Kar Sakhta Hu....Roberto Ne Dardnaak Lahje Mein Kaha


Main Kuch Na Kuch Zaroor Kar Sakhunga....Imran Ne Kaha....
Lekin
Tumhe Apni Tanzeem Se Alhaidgi (Seperate) Ikhtiyaar Karni Hogi....!



 

syed arshad

Well-Known Member
2,922
7,255
143
Agar Tum Kisi Tarah Is Zanjeer Se Nijaath Dila Sakho To Main Tumhare Saathiyon Ke Humlavar Hone Se Pahle Hi Faraar Ho Sakhta Hu....!


Wo Kiss Tarah....?


Yeh Main Abhi Nahi Bataunga....!


Faraar Ho Kar Jaoge Kahan....? Imran Ne Ahista Se Pucha


Filhaal Yeh Bhi Nahi Bataunga....!


Acha To Fir....Mujhe Bhi Saath Liye Chalne Ka Vaada Karo....Imran Bola


Badi Ajeeb Baat Kahe Rahe Ho....Roberto Ne Hairath Se Kaha


Main Apne Aadmiyon Se Filhaal Dur Rehna Chahta Hu....
Aur
Mujhe Jaguar Se Zyada Clara Ki Talaash Hai....!



Kyun Mr Imran....?


Yeh Abhi Nahi Bata Sakhta....!


To Tum Mere Saath Chaloge....!


Yaqeenan....Main Chahta Hu Ke Jab Mere Aadmi Is Jazeere Par Land Kare To Main Unhe Yahan Na Milu....!


Tum Se Khauff Maalum Hota Hai Mr Imran....!


Kiss Qism Ka Khauff....!


Kahin Aur Le Jaa Kar Gharq (Dooba) Na Kar Do....!


Sawaal Hi Nahi Paida Hota....Yahan To Is Haal Mein Tumhe Qatl Bhi Kar Sakhta Hu....Bas Ek Bada Sa Patthar Uthau....
Aur
Tumhare Sar Par De Maaru....!



Yeh Bhi Thik Hai Mr Imran....Achi Baat Hai....Main Tumhe Apne Saath Le Chalunga....!


Uske Pairon Mein Wo Zanjeer Ek Khufal (Lock) Se Daali Gayi Thi....Imran Ne Khufal Ka Jayeza Liya....
Aur
Fir....Achanak Chaunk Kar Roberto Ko Dekhne Laga....!



Kya Baat Hai Mr Imran....Is Tarah Kyun Dekh Rahe Ho....!


Tum Yahan Kab Se Qaid Ho....?


Koi Ek Hafte Se....!


Tumhare Khane-Peene Ka Kya Intezaam Hai....!


Khud Pakata Khata Hu....Tum Dekh Rahe Ho Ke Zanjeer Kitni Badi Hai....Main Dur Tak Harkath Kar Sakhta Hu....Udhar Baayi (Left) Janib Ek Chota Sa Ghaar Hai....Jiss Mein Bawarchi-Qaane Ka Saara Samaan Maujood Hai....!


Imran Uth Kar Batayi Hui Simt (Disha) Badh Gaya....Waqai Kuch Dur Ek Aur Dahaana Dikhayi Diya....Usme Daakhil Hote Hi Roberto Ke Bayaan Ki Tasdeeq (Pushti) Ho Gayi....
Aur
Iska Bhi Andaaza Ho Gaya Ke Wo Dhuaan Isi Bawarchi-Qaane Ka Raha Hoga....Jise Dekh Kar Usne Jazeere Mein Daakhil Hona Ka Faisla Kiya Tha....!



Imran Yahan Koi Aisi Cheez Talaash Karne Laga Jise Le Kar Khufal Par Zor Aazmayi Ki Jaa Sakhti....Jald Hi Ek Lakdhi Haath Lag Gayi....Jisse Ek Corksrew Aur Ek Suaa Bhi Maslak (Connect) Tha....!


 
  • Like
Reactions: spyder

syed arshad

Well-Known Member
2,922
7,255
143
Imran Fir Usi Jagaah Wapas Aa Gaya Jahan Roberto Ko Chhod Gaya Tha....Uske Khareeb Baith Kar Usne Sargoshi Ki....Roberto Main Tumhe Is Zanjeer Se Nijaath Dila Sakhta Hu....
Lekin
Kuch Der Pahle Hum Bade Ghair Mohtaat (Asavdhani) Andaaz Mein Baat Kar Rahe The....Kya Humari Awaazein Jaguar Tak Na Pahunchi Hongi....Usi Tarah Jaise Hum Yahan Uski Awaaz Sunte Rahe The....!



Roberto Fauri Taur Par Kuch Na Bola....Uske Chahre Par Zardi (Pila) Chhaa Gayi Thi....!


Usko Usi Haal Mein Chhod Kar Imran Zanjeer Ke Khufal Ki Taraf Mutawajjah (Attract) Ho Gaya....
Aur
Khufal Ke Suraakh Mein Suaa Daal Kar Use Mohtaat (Savdhaan) Andaaz Mein Jumbish Dene Laga....
Fir
Shayad 3 Minute Bhi Na Guzre Honge Ke Khufal Khul Gaya....
Aur
Roberto Ki Taang Zanjeer Ke Bal Se Azaad Ho Gayi....!



Wo Uth Baitha....
Lekin
Bohath Zyada Khauff Nazar Aa Raha Tha....!



Ab Batao....Faraar Ki Kya Surat Hogi....? Imran Ne Sargoshi Ki


Mujhe Wo Jagaah Maalum Hai....Jahan Ek Underwater Scooter Langar Andaaz Hai....Usme Kam-Az-Kam Chaar Aadmi Asaani Se Baith Sakhte Hai....!


Kya Tum Use Operate Kar Sakhoge....Imran Ne Ahista Se Pucha


Bilkul Kar Sakhunga....!


Thik Hai....Lekin....Jaoge Kahan....?


Tum Iski Fikr Na Karo....Tumhe Meri Zaat Se Koi Nuqsaan Nahi Pahunchega....Roberto Ne Kaha


Main Faida Ya Nuqsaan Ki Baat Nahi Kar Raha....Bas Yeh Maalum Karna Tha Ke Jaoge Kahan....Jaguar Ke Qaidi Banne Ke Baad Koi Tumhara Dost Bhi Sabeet Ho Sakhega Ya Nahi....!


Yeh Sab Mujh Par Chhod Do....Usne Kaha....
Aur
Imran Ki Aankhon Mein Be-Yaqeeni Dekh Kar....
Fir
Bola....Ek Mehfooz Jagaah Mere iLm Mein Hai....
Lekin
Ooohhh....Haa....Ek Zaroori Baat To Rahe Gayi....Underwater Scooter Mein Baith Kar Tum Bilkul Khamosh Rahoge....!



Imran Ne Fikrmand Andaaz Mein Sar Ko Jumbish Di....
Aur
Wo Sonchne Laga....Kya Yeh Zaroori Tha Ke Roberto Use Yahan Is Haal Mein Milta....
Fir
Usne Laparwaahi Se Shaano Ko Jumbish Di....
Aur
Roberto Ki Taraf Mutawajjah (Attract) Ho Gaya....Jo Ab Aaghaziya Ke Sar Bandh Dibbe Mein Ek Thaile Mein Rakh Raha Tha....!



 
  • Like
Reactions: spyder
Top