Nice updateUpdate 6
Bhanu ne dekha ki Nazia ka msg aaya hua hai, usne turant khola toh woh msg dekh ke khush ho gaya ki Nazia khud ussey chatt pe milna chahti hai.
Usne msg kr diya ki woh free hai. Turant he msg bluetick ho gaya toh Bhanu ko samajh aaya ki Nazia bhabhi uske msg ka he intezar kar rahi thi.
Toh usne msg kiya:
Main: Kkrh? Didi..(chedhte hue kaha, Nazia samajh gayi ki yeh mazakiye mood pe hai, toh usne bhi socha ki aaj mazak woh bhi kregi krke)
Nazia: Kuch nahin. Tum batao?
Main: Bas aise he office pe baitha hun.
Nazia: Main tumse bahut gussa hoon. Itni badi baat tumne mujhe nahin bataya aur dost kehte ho khuddko.
Main: Aap dost hoti toh bata deta, aap toh meri didi nikli (thoda tease krke kehta hun)
Nazia bhi masti main aa gayi...
Nazia: Sirf dost banne ka toh iraada nahin hai tumhara, jahan tak mujhe lagta hai, hai na? (Pehli baar na jaane kyun Nazia haan ka intezar krne lagi, uska Mann kr rha tha ki bhanu haan bolde)
Main: Iraada toh apke shohar banne ka hai, banne do gi kya? (Maine bhi uski awaaz se aa rahi masti sunn ke bol diya, jab iraade sacche ho toh bolne main kya harz)
Nazia ki dhadkanein maanon rukh si gayi..yeh sunke usey na jaane kyun accha bhi laga...lekin kashkamash thi woh bole kaise...
Main: Aap ho? Line pe?
Nazia: Hmm (badi mushkil se bol payi)
Main: Dekhiye.. uss raat ko maine jo bhi kaha woh sach tha, sacche dil se bola maine, main aapse bahut bahut zyada pyar krta hun... Aur main aapse shaadi Krna chahta hun... Main ek ladka hun aur aur aap ek ladki, bas na umar mere liye maayne rakhti hai na kuch aur.. bas aap aur aap he maayne rakhti ho...
Nazia: (khushi ke aansoon aankhon main liye) Ab rukh bhi jao....
Main rukh gaya, uski awaaz se samajh aa gaya tha ki woh ro rahi hain...
Main: Sorry, maine aapko rula diya... Mujhe maaf kijiye..(maine udas swar main kaha)
Nazia: (uski sorry wali tone sunke aur bhi zyada pighalne lagi, kyunki aajtak usey akhtar ne sirf maara he tha..bhanu ka itna pyar dekh woh muskurane lagi... Aajtak usey sirf bezzati ke alawa kuch nhi mila aur aaj usey koi kh*da ke roop main dekh raha tha) Sorry mat bolo.
Nazia ki awaaz sunn, main samajh gaya tha ki woh bhi emotional ho rahi hai agle side se.
Main: Toh haan keh dijiye na, main aapka bahut acche se khayal rakhunga, aapko har din, raat, subah dopahar sham khush rakhunga, aur jis din na rakh paya, woh din mere liye aakhri din hoga.
Nazia: Chup badmash, aisa nahin bolte, mujhe pata hai tum mujhe khush rakhoge, (yeh baat uske munh se fisal gayi lekin bhanu ne thik sunn liya tha)
Main: Toh iska matlab haan hai..?
Nazia: (sharmate hue) Do shart pe meri haan hai..
Main: (excited awaaz main) Qabool hai...
Nazia: Arey sun to lo...
Main: Haan boliye na..
Nazia: Pehle toh mujhe niqaah Krna hai,
Main: qabool hai..
Nazia: (yeh sunn sharmate hue, ki bhanu itni jaldi jaldi baatein accept kr rha tha) Aur dusra aur sabse important, ki mera shauhar mujhse bahut pyar kre, mujhe kabhi pyar nahin mila aur hamesha he dukh mila hai, mere dost hone ke naate tum sab jante ho, isiliye kabhi dukh mat dena aur kabhi mujhe rulana mat.
Main: qabool hai...
Nazia: (bhari saanson se) Tumne teen baar qabool keh diya hai...pata hai na?
Main: Qabool hai mujhe isiliye 3 baar kaha hai maine, aapse bahut pyar krta hun, zindagi main hamesha khush rakhunga, yeh mera waada hai, aap bhi keh dona, ki qabool hai.
Nazia: Pehle aaj sham ko ek picture lagi hai, woh chalte hain.
Main: Thik hai, main tickets book kr deta hun, aap acchi saree pehen ka aana.
Nazia: Abhi se hukum chalana shuru, mujhe jo pasand hoyega main wahi pehnungi, samjhe bacchu.
Main: Accha, thik hai, dekh lenge, agar aap mujhse pyar krti ho toh sham ko saree dekh ke samajh jaunga ki aapki bhi haan hai, aur agar nahin toh aap apni marzi ka pehen ke aao.
Nazia: Main toh suit aur salwar pehen ke aaungi.
Main: Dekh lenge.
Nazia: aur kuch bolna hai tumhe? (Bade pyar se puchte hue)
Main: Haan..
Nazia: Kya?
Main: I love you Nazia,
Nazia shaant ho gayi, do pal toh maanon uski zabaan he sil gayi.
Main: Aap ho?
Nazia: Hmm (sukhe hue gale se kehti hai)
Main: Thik hai sham ko milte hain.
Nazia: Hmmm...(Krke woh cut kr deti hai call, aur baith jaati hai bed pe, dil main na jaane ek alag si utsukta dikhne lagi)
*****************************************
Flat No.502
Sumita didi teyyar baithi thi, ek dum saj dhaj ke, unki maa Srimati Padma ne samose tal diye they. Sumita ko dekhne aaj ladke aane wale they.
Ghabrayi hui Sumita, jiski majboori thi yeh shaadi krne ki, saj dhaj ke baithi hui thi. Tabhi door pe knock hota hai aur ladke wale aa jaate hain.
Ladke ka naam tha Aman, uski family main Maa, baap, aur ek shadi shuda didi thi jinka naam tha Anushka, saare log ladki dekhne aaye they.
Aman ne aate saath he kursi par baithi Sumita ko dekha aur hairani se ankhein badi ho gayi ki itni khoobsurat ladki baithi hui thi saamne. Swarg se utri koi apsara lag rahi thi, Sumita. Aman ne apni nazron se poora bhaanp liya tha Sumita ko, lambi taangein, lamba kad, gora roop aur chehra anokha.
Aman ki aankhein hatt he nahin rahi thi, aur yeh dekh uski anushka didi ne uske paet pe koni maari.
Aman ki maa: (poore control ke saath) Aapki bitiya kaafi Sundar hai.
Anushka didi: Waqayi kaafi Sundar hai, tumne kitna tak padha hai?
*Ladke wale aane se kuch ghante pehle*
Sumita ki maa: Beti agar woh puche kitna padha toh dasvi pass keh dena, ussey zyada mat kehna, ladke ka govt job hai, woh clerk hai, toh tumne MBA kiya hai kahogi toh uski patni ussey zyada padhi likhi hai sochke woh rishta na tod de.
Sumita didi ne dil pe patthar rakh ke kaha.
Sumita: Ji, maa aap log jaisa kahein.
Sumita ko yeh rishta hargiz manzoor nahin tha lekin maa papa ke liye woh kr rhi thi.
Sumita ne Anushka didi ke sawal ka jawab dete hue kaha: Sirf dasvi pass hoon didi main toh.
Yeh sunn Aman ek dum chaud main aa gaya, aur ab woh khulke baith gaya.
Sumita ki maa: Woh kya hai na, padhayi likhayi main bachpan se he bahut kamzor rahi hai, (Sumita sab sunn rahi thi, har chiz lekin kuch nahin bol sakti thi, usey accha nahn lag raha tha, na he usey ladka bhi pasand aaya tha)
Aman: Dekh ke he lag raha hai, khana banana toh janti ho na?
Sumita ne haan main sar hila diya, kyunki woh kuch nahin bol paa rahi thi, college main MBA main top krne wali ladki ko iske munh se sunna padh raha tha.
Sumita ki maa: Jii, arey main toh bhool he gayi, humari bitiya ne aap logon ke samose banaye hain khayiye aur batayiye (kehte hue Sumita ke haath main tray de deti hai, aur aankhon se parosane ka ishara karti hai)
Sumita, aman ko dekhti hai, height thik thak, sar pe baal nahin they.
Aman bade garv se samosa uthata hai aur Sumita ko dekhta hai, ki kya kamaal ke taare hain uske jo itni khoobsurat biwi milegi usey, Aman ki nazar, Sumita ki gori kamar pe jaata hai, ek dum chikni kamar pe, shayad uski gandi nazron ka asar tha ki Sumita ne apni kamar chupa li.
Sumita: Jii, aur lijiye.
Aman: Na na, kafi hain, padhayi likhayi kari hoti toh pata hota ki tel kitna kharab chiz hai, koi na humare ghar aaogi toh sab seekh jaogi.
Yeh sunn jahan Sumita ko gussa aane laga wahan uski maa ne bhaanp liya aur jhuti hansi hasne lagi.
Sumita ki maa: Damadji bada accha mazak kr lete hain, sense of humour bahut accha hai damad ji ka...he he he (kehte hue jhuti hansi hans deti hai, jisey sunkar Sumita ko aur gussa aa raha tha lekin kya karti bechari)
Aman: Dekho, humare ghar aana hai toh sab khana, bartan dhona yeh sab Krna hoga, humein aapke pitaji ne waada kiya tha ki housewife he denge, aur deal isi baat ki hui thi hai na, sasurji?
Sumita ke papa thode sensitive they aur woh jante they ki beti ko iss aadmi ko dena galat hai lekin apni patni ke haathon majboor they.
Sumita ki mummy ne baat kaat te hue keh diya: Arey woh kya kahenge ji, aap bas hamari bitiya ko khush rakhiyega aur kuch nahin chahiye.
Aman ko bada proud feel ho raha tha ki Sumita har raat ab uski hai. Ragad ke chodne ke sapne dekhne laga woh. Woh baar baar Sumita ko gandi nazron se dekhta jiska anumaan Sumita ke poore parivar ko ho chuka tha.
Tabhi Aman ki maa kehti hai: Dahej ka kya scene hai aap logon ka? Deal 50 lakh main final kr dete hain, warna iske kanpur wale mausaji ne 1 crore ki deal di thi, woh toh mere bete ko aapki beti pasand aa gayi, warna hum 1 crore se kam deal he nahin krte kyun Anushka?
Sumita yeh sunn apne pitaji ko dekhne lagi. Woh bhi besahara nazron se.
Sumita ki maa: Jii, 50 lakh hum jaise taise kr he lenge.
Aman: Jii, kr lijiyega, warna hum beech mandap se uth ke chale jayenge, phir karati reh jayiyega apni beti ki shaadi.
Sumita ko ab bahut gussa aa chuka tha woh soch rahi thi ki iss aadmi ke saath apni poori zindagi bitani hogi? Iss aadmi se? Lekin uski maa ne apni badi aankhon se usey chup rehne ko kaha.
Aman ki maa: Arey Sumita ke papa, Inke mausaji ne jo rishta laya tha woh kuch car, kya naam tha uska zaban pe bhi nahin aa raha.
Aman ka munh aur khul gaya aur usne kaha.
Aman: Woh maa innova dene wale they,
Sumita ke papa, Aman ko dekhne lage ki kaise yeh log aur demand kr rhe hain jabki poori PF ke paisey he dahej aur shaadi pe chale jayenge.
Sumita ki maa: Jii, yeh kaunsi badi baat hai hum bhi de denge. Kyun ji?
Sumita ke papa: Ji, koshish krenge, baat pakke se nahin keh sakte. Jitna Paisa tha saari sampatti beti ke liye he hai aur shaadi ke kharche pe he nikal jayega.
Aman ki maa (beech main kat te hue): Arey bhaisahab aapne socha hai toh ho he jayega, toh ek innova bhi done. Beti ab aashirwaad lelo hum chalte hain. Panditji se fix karake hum ek date nikalenge aur dono bacchon ki shaadi krwa denge.
Sumita na chahte hue bhi Aman, uski maa aur Anushka ke pairon ko touch krti hai. Sumita ke pitaji uski mann ki vyatha samajh rahe they.
Aman: Chalte hain sasurji, aur Sumita, badi khushnaseeb ho tum.
Kehte hue woh log nikal gaye.
Sumita hairan pareshan baithi rahi. Sumita ki maa kaafi khush thi ki beti ki shaadi fix ho gayi krke.
Sumita ki maa: Arey heera jaisa ladka mila hai humari Sumita ko. (Kehte hue woh Sumita ko gale laga leti hai)
Sumita: Heere ki khan ka koyla hai yeh ladka, main issey shaadi nahin krungi.
Pyar achanak se ek thappad main badal gaya.
CHHHAATTAAKKKKK.
Sumita dekhti reh gayi.
Sumita ki maa: Itna accha rishta mila hai tumhe samjhi. Ab jaa kapde badal le, aur shaadi chup chap se kr lena aur (sumita ke papa ko dekhte hue) Aap kal innova ki advance krke aa jayiyega, samjhe.
Sumita ke papa: Lekin humare paas itne paisey nahin hai.
Sumita ki maa: Udhar le lijiye,
Sumita ke papa: Humein kaun dega udhar?
Sumita ki maa: Maine suna hai Block 7 main reh rahe bhanu naam ke ladke ne naya company start Kiya hai, croron rupaiy kama rha hai, aur Sumita ne usey university time pe kaafi madad ki hai ussey maang skte hain.
Sumita yeh sunn hairan reh gayi, ki bhanu itna kuch kr gaya.
Sumita ke papa: Haan maine bhi suna hai, accha he ho gaya uss ladke ka, bechara kitna pareshan rehta tha jab bhi humare ghar aata tha, aur Sumita se kitna lagav hai uska.
Sumita: Aap ussey kuch nahin mangenge samjhe.
Sumita ki maa: Chup, samjhi, hum jante hain tera accha kya hai aur bura kya hai, aur aap kal jaake ussey kuch paisey le aayiye, advance ke liye, samjhe.
Sumita ke papa: Koshish krunga.
Sumita apne kamre main jaake laet jaati hai apne kapde utarke, bra aur panty sab utar ke laet jaati hai, uski aankhon se neend gayab he ho chuki thi woh Aman ko yaad krti toh usey gussa aa jaata, phir uske khayal bhanu ki taraf gaye, kaise woh uske paas padhne aata tha aur chori chori usey dekhta rehta tha. Usne thaan liya tha ki woh ussey milne jayegi aur job mangegi.
*****************************************