• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Horror Khooni Jungle

DEVIL MAXIMUM

"सर्वेभ्यः सर्वभावेभ्यः सर्वात्मना नमः।"
5,781
26,827
204
Padhungi tab bataungi. Aaj se chhuti hui sari story padhna start kiya hai. Tumhari is story par bhi meri najar thi Samar. Tumhe batane ki jarurat nahi thi. Tumhara name hi kafi tha.

Aur please hindi me puchh liya karo yaar. Translator me copy pest karte bada jor aata hai.

Aaj sham se ye story padhna start karungi.
Fir to besabri se intjaar rhega mujhe DEVI JI
 
DEVIL MAXIMUM

"सर्वेभ्यः सर्वभावेभ्यः सर्वात्मना नमः।"
5,781
26,827
204
Muje vese dono me koi problem nahi hai. English story bhi me copy pest kar ke padhti hu. Mene aap ki story open ki thi. Par padhi nahi kyo ki mere fast chalu the.

Aap to meri kisse unhoniyo par nahi aae. Magar me aap ki story ke last page ki last post tak sath bani rahungi. Best of luck Samar.
Devi ji
Kisse kahiyo wali story me update ke bad mention jaroor kareyega
 
Shetan

Well-Known Member
14,328
37,996
259
UPDATE 1

Raat ke kareeb 11 baje ka samay ho raha tha. Pura Chamoli gaon ek gehre sannate me khoya hua tha, gaon ki kisi gali chaurahe par ek kutta tak najar nahi aata tha, jaise woh bhi insano ki tarah apne apne gharo me dubak kar bethe hai.

Yahi gaon ke ek ghar ke darvaje ki chaukhat par ek aurat taktaki lagakar bahar ki taraf dekh rahi thi, use yu hi intezar karte kafi samay ho chuka tha.
Kamre me ek ladki so rahi thi, darvaje se aate hawa ke jhonke se uski nind khuli aur woh uthkar beth gayi. Samne usne apni maa ko darvaje par bethe dekha.

" Maa!"

Aurat ne palatkar dekha.

"Payal! Tu soyi nahi abhi tak"

"Haan, tum bhi to nahi soyi"

"Dekh naa tere baba ab tak nahi aaye 11 bajne ko aaye hain"

Ladki apni maa ke bagal me hi beth jati hai.

"Maa tum bhi bewajah chinta karti ho, dekhna baba jarur aaj shahar hi ruk gaye honge"

"To apne seth se kehke ek phone to karva hi sakte the naa kamla ke paas."

" Hmm ye to hai, acha kal baba aaye naa to tum unse jee bhar jhagda karna, lekin ab to andar chalo"

Payal ke kehne par uski maa uthakar andar aa jati hai, lekin use yahi chinta khaye jaa rahi thi ki kahi uska pati jungle ke raste se naa aaye.

Shahar se gaon tak aane jane ke liye ek hi rasta tha, joki is waqt bilkul sunsan tha, raat ke samay koi bhi yahan nahi aata tha.

Sadak par ek aadmi apni cycle ko paidal marte hue aa raha tha, chaudanvi ka chand sare manjar ko roshni se jagmag kar raha tha, lekin ye roshni bhi uss sannate ke darr ko kam nahi kar paa rahi. thi.

Aadmi ko apne kaano me jhinguron ke bolne ki awaz saaf sunayi pad rahi thi. Raat ke kaale sannate ko ye awaze aur shanti se bhar de rahi thi.

"Aaj to sach me bahut jyada der ho gayi, payal ki maa to bahut gussa karegi."

"Kahegi, itni der tak koi kaam karta hai kya, ye, woh"

" Isse acha to aaj Seth ji ke yahan hi ruk jata to sahi tha."

Woh aadmi apne aap se hi baatein karta chal raha tha.

Phir cycle ke handle par latke packet ko dekhkar.

"Nahi, kal payal ka janmdin hai. Agar wahan ruk jata to use ye tohfa kaise deta, kitni khush hogi jab subah uthkar samne ye mobile dekhegi. Kayi din se maang rahi thi."

Yahi sab batein karta woh gaon ki taraf badh raha tha, sidhe raste se abhi bhi kuch 40-45 minute ka samay gaon tak pahuchne me lagne wala tha.

Chand ki dudhiya safedi aur jagmag karte taaron se aasman bhara hua tha, woh aadmi abhi thodi durr hi pahucha tha ki mausam ka mizaz badalne laga, achanak se kaale ghane badalon ne chand ko puri tarah se dhak liya aur harr jagah siyah andhera ho gaya.

Hawa me thandak badhne lagi, barish ki halki halki boonde aadmi ko apne chehre par padti mehsoos hui.

"Huhh! Iss kambakht barish ko bhi abhi aana tha, ek baar main ghar pahuch jata tab nahi aa sakti thi"

Ye kehkar usne apni cycle ke paidal ko tezi se ghumana shuru kar diya.

Lekin achanak se mausam bigadne laga, hawayen tezi se chalne lagi, jis se pedo ke patto ke khadkhadane ka shor badh gaya, musladhar barish hone lagi.

Hawayen itni tez ho gayi ki ab cycle aage badhna bhi mushkil hone laga. Jaise hawayen puri takat se use piche dhakelne ki koshish kar rahi thi.

"Ye! Ye achanak se andhi kaise aa gayi aur ye barish?"

Tez barish aur hawa se uska balance bigda aur ladkhadate hue woh cycle samet sadak par gir pada.

"Ahhh" "ab iss barish ko bhi abhi marna tha aise to main ghar nahi pahuch paunga."

Usne cycle ke handle par latka packet dekha jisme ek naya khareeda mobile phone tha.

"Chalo ye to sahi hai, lekin aise to ye barish me kharab ho jayega. Isse pehle isme pani chala jaye mujhe ghar pahuchana hoga."

Usne apni cycle uthai aur phir se bethkar aage badhne laga, lekin mausam ab aur jyada bigad chuka tha, tez tufaan aur barish me khada rehna bhi mushkil tha.

Ek taraf sidha rasta tha jisse gaon tak pahunchane me aadha ghanta tak lag sakta tha to vahin dusri taraf jungle ka shortcut tha jahan se gaon tak pahuchne me 10-15 minute hi lagte.
Woh ek baar ruka aur kuch sochkar usne apni cycle jungle ki taraf ghuma li.

Hawayen ab bhayanak tufaan ka roop le chuki thi aur barish jaise sab kuch duba dena chahti thi, halaki jungle ke pedo ki vajah se tufaan kuch halka mehsoos ho raha tha lekin ye mausam jungle ko aur darawna bana raha tha.

Jungle ka sara rasta kichad se bhara tha jiski vajah se cycle jyada tez nahi chal paa rahi thi.

"Haan, yahi jungle ke bahar bahar se nikalta hu jyada andar jana sahi nahi hoga, koi jaanwar bhi mil sakta hai udhar."

5 minute baad barish band ho gayi, hawayen bhi halki halki chal rahi thi.

"Huhh! Are ye barish achanak kaise band ho gayi, chalo acha hi hai, lekin ab wapas jane ka koi fayda nahi bas kuch der me jungle khatam ho jayega."

Woh dheere dheere cycle chala raha tha ki achanak usne cycle rok di aur puche mudkar dekha.

"Woh laal si chiz kya thi ped ke paas?"
"Shayad mera vaham hoga."

Woh phir se aage badhne laga lekin 2 laal aankhen use jate hue dekh rahi thi.

Barish ke baad hawa me thand badh gayi thi, aadmi ko ek kanpkapi shareer me mehsoos ho rhi thi, jungle pura shant tha sirf cycle ke paidal ki awaz aur kide makodon ki awaz hi sunai pad rahi thi.
Aas paas dheere dheere dhudh badhne lagi, aur pure jungle ko apne aagosh me le liya, dhundh itni badh gayi ki aage ka rasta dikhna band ho gaya.

Ab uss aadmi ko ghabrahat hone lagi, usne tez tez cycle chalana shuru kiya lekin cycle use bahut bhari mehsoos hui. Jaise cycle par ek nahi do log bethe hai.
Woh puri takat laga raha tha lekin pal pal cycle ka paidal marna mushkil hota jaa raha tha, aadmi ko thand me bhi paseena aane laga ab use darr mehsoos ho raha tha.

Cycle apne jagah se bhi nahi hil rahi thi ab, woh puri takat se use khinchne ki koshish kar raha tha.

"Main kuch madad karuuuuuun?"

Ek halki se sard awaz use apne kaan ke paas sunai di, jaise koi uske kaan ke paas aake hi bol raha ho.

Darr ki ek lehar uske shareer me daud gayi, usne piche mudne ki bhi himmat nahi ki aur cycle se girte padte alag hua cycle ko vahi chhod mobile ko hath me pakde woh ek pal bhi bina gawayen betahasha bhagne laga, kohre me rasta nahi dikh raha tha lekin abhi use raste ko parwah nahi thi.

Bhagte bhagte achanak uska pair kisi chiz se takraya aur woh muh ke bal gira, mobile ka packet uske hath se jakar durr gira, uske chehre se khoon behne laga.
Isse pehle ki woh uth pata, use apne pair par kisi ki mazboot jakad mehsoos hui, jaise kisi rassi se uska pair bandha hua ho, aur ek jhatke se woh piche ki taraf khinchta chala gaya, uski bhayanak chikh jungle me gunjane lagi.

Uska pair ek ped ki bail me uljha hua tha, aur lagatar use piche khinch raha tha, ek pathar jo ki aadha jameen ke andar ghusa hua tha aur uska nukila hissa bahar nikla hua tha uske piche se aaya aur uska pet fadte hue nikla.

Aadmi ko isbar chikne ka bhi moka nahi mila, pathar uske khoon se sann chuka tha aur uss aadmi ke pet se sari antadiyan bahar nikal kar aa rahi thi. Uski aankhe band hone lagi aur aankhe band hone se pehle uski aankho ke samne jo aaya uss se uske dil ki saanse vahin rook gayi.

"Nahiiiiiiiiii.........!"

Ek zordar chikh ke sath uss aurat ki nind khul gayi.

"Maa!..., kya hua?"

"Payal tere baba, mene bahut bura sapna dekha, unhe....unheeee....." Kehte hue payal ki maa rone lagi.

Payal uthi aur pehle apni maa ko pani lakar diya.

"Maa tum chinta mat karo, main dekhti hunn."

Woh bhagte hue bahar gayi aur bagal wale ghar ka darwaja khatkhatane lagi. Kuch hu der me ek aurat ne aakar darwaza khola.

"Kaun hai itni raat gaye...subah aana..." bina dekhe hi bola.

"Arey payal tu"

"Kamla kaki woh baba abhi Ghar nahi aaye...ek baar aap unke seth ke yahan phone karke pucho na."

"Acha acha beth main dekhti hu."

Itne me kamla ka pati bindeswar bhi wahan aa gaya.

Kamla ne payal se number puch ke milaya. Aur payal ko phone pakda diya.

"Hello..."

"Hello...kaun hai?"

"Main hu Seth ji, Kushal ki beti payal."

"Arey payal...kya hua itni raat ko phone."

"Baba aapke yahan ruke hain kya?"

"Nahi to...aaya nahi kya abhi?"

Uski batein sunkar payal ki rahi sahi ummeed bhi jati rahi.

"Tu chinta mat kar beti...jarur kisi dost ke yahan ruka hoga...main subah tak batata hu." K
ehkar phone kat gaya.

"Kya kaha?" Kamla ne pucha.

Payal ne bas naa me sar hila diya.
Kamla ka pati bindeswar andar jakar ek lathi apne sath le aaya aur kamla se bola.

"Kamla main jara sadak tak dekh ke aata hu, tu bhabhi ko dekh tab tak."

"Acha thik hai, suniye "

"Haa bol"

"Jungle ki taraf mat jaayiyega."

"Thik hai."

"Main bhi aati hun."

Bindeshwar aur payal sath sath ghar se nikal gaye.

Bindeshwar aur payal gaon ke bahar tak dekhne gaye, lekin isse aage usne raat me jane se mana kar diya. Payal aage akele jane ki zid karne lagi to use jabardasti vapas apne sath le aaya.

Ghar akar usne dekha ki uski maa aur kamla wahi darwaje par bethe hai.

"Kya hua ji" kamla ne pucha.

"Gaon ke bahar tak to nahi mila, ab subah hi khoj hogi."

Payal ki maa Janki vahi bethakar rone lagi.

"Kuch nahi hoga Kushal bhaiya ko, Subah tak aa jayenge warna pura gaon milke unhe dhundh lega"

"Payal apni maa ko andar le jao" bindeshwar ne kaha.

"Aapane mujhe jane kyun nahi diya"

"Iss bare me behas karke kuch nahi hoga, ab subah hi kuch ho sakta hai, acha hoga apni maa ko sambhalo." Ye kehke bindeshwar aur kamla chale gaye.
Payal apni maa ko andar le gayi.

Subah pure gaon me khabar fail gayi ki kushal ghar nahi lauta aur seth ne bhi bataya ki woh kisi aur jagah bhi nahi ruka.

Gaon ke kai ladke aur aadmi kushal ki khoj me lag gaye, kuch log shahar se gaon ke pure raste me dekhne gaye to kuch shahar me bhi puch rahe the. 10 log 5-5 ka samuh banake jungle me bhi dhundhne gaye, lekin kai ghanto tak kuch pata nahi chala.

Kai budhe aur aurte gaon ki chaupal me bethe the, jab ek naujawan hafta hua wahan aaya.

"Bhadra dada!"

"Kya hua, kuch pata laga"

Bhadranath (gaon ke sarpanch) jinhe log bhadra dada kehte the, ne pucha.

" Haa woh pahadi wali hari taliya hai naa udhar...woh lash...."

Lash shabad sunte hi aurto ne apne muh par hath rakh liya, payal ki maa janki to jaise vahi jamm gayi.

Payal bina kuch aage sune uss taraf daud padi.

Pahadi wali hari taliya yaani ek chota talab. Uske aas paas kai log bheed lagakar jama the, bindeshwar bhi unme khada tha. Payal daudte hue wahan aayi aur bheed ko dhakelte hue unme se nikli.

Samne ka najara dekhkar uske kadam vahi ruk gaye, ek lash kapde se dhaki hui vahan rakhi hui thi.

Payal dheere kadmo se chalti hui vahan pahuchi aur niche bethkar uss lash ke chehre par se kapda hatane lagi.

Bindeshwar ne aage aakar use rokna chaha lekin tab tak kapda hatt chuka tha. Payal ki chikh charo taraf gunj gayi thi.

Ye chehra uske hi pita ka tha, lekin uski dono aankhe nahi thi, jaise kisi ne nikal li thi. Payal dahade mar mar ke rone lagi.

Kushal ki maut ne gaon me jungle ke darr ko aur badha diya, payal aur janki ne apna sab kuch kho diya. Janki to jaise bejaan si ho gayi. Gaon se kisi ne police me complaint nahi karai sabke liye ye jungle ki aatma ka kaam tha.

Police ne bhi apni taraf se jungli jaanwar ka mamla batakar case rafa dafa kar diya.

Bhadranath - pata nahi kya hoga iss gaon ka, 6 mahine me ye aanthvi maut hai. Ab to log iss gaon me aane se bhi darne lage hai.

Rajeswari (bhadranath ki patni) - ab to devi maa hi kuch karengi, ki iss jungle ka sharap khatam ho.

Bhadranath - Haan, bas devi maa hi ab bachaye.

Rajeshwari - kisi aur ka to pata nahi, lekin aapka pota jarur agle mahine aa raha hai.

Bhadranath - acha! Ye bhi thik hai. 5 saalo se to aaya nahi, pehle to harr saal chhutiyo me aata tha.

Rajeshwari - Padhai puri ho gayi hai to chhutiyan manane hi aa rahe hai janab.

Like aur comment karna naa bhule........Next update time milne par dunga.....
Amezing start. Gav ka kya ek darvana mahol banaya hai. Kabile tarif. Maza aa gaya. Aksar log sirf sex padhne ke karan horror padhna pasand nahi karte. Fir bhi aap ne horror par hath ajmaya hai. Vo himmat kabile tarif hai. Aage ki kahani jan ne me bekarar hu. Jaldi kahani aage badhana.
 
Achin_Saha18

Don't trust anyone blindly
Supreme
500
366
63

Nice start
 
10,056
42,024
258
जब जानकी देवी को पता था कि जंगल के शोर्ट रास्ते खतरनाक हो सकते है , वहां छ महीने के अंदर आठ लोगों की हत्याएं हो चुकी है फिर उनके हसबैंड को यह कैसे पता नही ! शर्तिया उन्हे यह मालूम होगा ।
फिर मात्र पन्द्रह - बीच मिनट जल्दी पहुंचने के चक्कर मे ऐसी बेवकूफनामा हरकतें कौन करता है ! ठीक है कैटस् एंड डाॅगस् की सिचुएशन थी लेकिन ऐसी भी नही थी कि मौत सर पर नाच रही थी ।
पायल के पिता जी का यह कदम सरासर गलत था । लेकिन ताज्जुब यह है कि इस गांव के पुलिस क्या कर रहे हैं ! आठ मर्डर और वह भी छ माह के भीतर । यह लोग क्या थाने मे बैठकर सिर्फ मूंगफली ही खा रहे हैं ? ऐसे पुलिसिए को तत्काल प्रभाव से डिसमिस कर देना चाहिए ।

पायल के पिता जी की मौत संदेहास्पद है । कातिल ने उनकी अंतड़ी तक फाड़ दी लेकिन लोगों की मौजदूगी मे उनकी दोनो आंख फोड़ी हुई पाई गई ।
उनकी हत्या पीछे से एक धारदार पत्थर से की गई । यह किसी भूत प्रेत का कारनामा था या किसी जरायमपेशे से सम्बंधित व्यक्ति का , यह विमर्श का विषय हो सकता है । पर चूंकि कहानी हाॅरर पर आधारित है तो भूत प्रेत को इस मौत का कारण मान सकते है ।

खैर , इस रहस्य से पर्दा उठाने के लिए भद्रनाथ साहब के साहबजादे पधार ही रहे है । शायद वह रहस्य से पर्दा हटाने के साथ साथ पायल के जख्मों पर भी मलहम लगाने का काम करें !
खुबसूरत अपडेट समर भाई ।
 
Samar_Singh

Keep Moving Forward
3,195
4,061
144

धन्यवाद SANJU ( V. R. ) जी।

कहानी के 2-3 अपडेट में तो आप कहानी का पूरा अंत बता देंगे।😆😆😆😆

6 महीने में 8 मौत वाली बात तो भद्रनाथ ने कही है, क्या पता गांव वाले क्या जानते है क्या नहीं, हां जंगल के भूतिया होने से कोई अंजान नहीं है।

बात रही कुशल के जंगल से जाने की तो उसका कारण था " the dumb rule of horror story" 😌😌

हॉलीवुड की फिल्मों में एक परिवार किसी घर में रहने आता है, उन्हें पता होता है कि घर भूतिया है यहां कई मौत हो चुकी हैं फिर भी वो वहां से भागने की बजाय रहने लगते है और परिवार के लोगों को मरना पड़ता है।
अगर हॉरर स्टोरीज में किरदार समझदारी से काम ले तो भूत कभी किसी को मार ही ना पाए। फिर भी मैंने पर्याप्त कारण देने की कोशिश की कुशल के जंगल से जाने की। जिस रास्ते से कुशल जा रहा था वो तो असल में जंगल का बाहरी इलाका था वहां तो आत्मा का कोई खतरा नहीं होता लेकिन शायद कुशल के भाग्य में मौत ही लिखी थी।
बाकी जंगल के रहस्य बहुत गहरे है जो आगे जाकर ही पता लगेंगे।

पत्थर वाला दृश्य शायद मैं ठीक से बता नहीं पाया, पत्थर जमीन में गड़ा हुआ था और उसका एक नुकीला हिस्सा बाहर निकला हुआ था, जब कुशल रस्सी द्वारा खींचा जा रहा था तो पत्थर बीच में आ गया और उसके पेट में घुसकर बाहर निकला। तो पत्थर वाली घटना एक हादसा कही जा सकती है।

बाकी उसकी आंखें किसने निकाली और पुलिस क्यों निकम्मी बन गई है ये तो कहानी में आगे जाकर पता चलेगा।

थैंक्यू सो मच फॉर योर रिव्यू।
आज नेक्स्ट अपडेट लिखना शुरू करूंगा। 2- 3 दिन में देता हु।
 
Last edited:

Samar_Singh

Keep Moving Forward
3,195
4,061
144
Next update will come on Sunday
 
Samar_Singh

Keep Moving Forward
3,195
4,061
144
Black I mentioned you.....now give review 🤣 🤗
 
Samar_Singh

Keep Moving Forward
3,195
4,061
144
  • Wow
Reactions: Gaurav1969
Top