• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Khwahishein (Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 19

Fir Ajith Kajal ki jawaab ka intejaar karne laga...Ek ummeed tha Kajal uska pyar ko apna legi...Aur ek dar bhi tha...Kahi Kajal uska pyar na thukra de.

Ek najar Kajal par daala...Wo hairaani se Ajith ko hi dekh rahi thi...Wo bhi kuch bol nahi paa rahi thi.

Ajith:- (In his mind) Nahi aaj darna nahi...Isse accha mauka kabhi nahi milega.

Ajith ne ek baar fir apne dil ko majbut kiya aur kehna suru kiya.

Ajith:- Aaj se nahi jab se tumhe dekha hai tabse pyar karta hu tumse...Wo kehte hai na love at first sight...Wohi.

Jabse tumse pyar kiya hai tabse mera duniya tumse hi suru hota hai aur tum par hi aa kar khatam.

Paagal sa ho gaya hu mai tumhaare pyar me...Bata nahi sakta tumhe kitna sukun milta hai tumse milna, tumse baatein karna, tumhaare saath rehna, sukh dukh baantna.

Tumse milne ke baad hi mehsus kiya hai maine khushiya kya hote hai aur sukun kise kehte hai...Aane wale kal ka sunhare sapna bhi sajana suru kar diya.



Kajal:- Aisa kya dikha mujhme jo tum mere pyar me itna paagal ho?

Kajal ko bhi Ajith ki munh se apne liye taarif bahut accha lag raha tha.

Ajith:- Sab kuch...Tumhaare andar ki insaaniyat, acchaayi, dosti, baat karne ki tarika, talent aur tumhaara har ek gun. Sabse jyada tumhaara mere saath dosti.

Tumhaara dosti mere jindagi ke sabse hasin pal me se ek hai...Naa hi itni khushiyan pehle kabhi mili thi aur tumhaare bina shaayad hi kabhi mile...Tumhaare saath dosti ke jitne bhi pal bitaaye hai usme har ek vajah mila hai mujhe tumse pyar karne ki.

Tumse pyar na karne ki koi vajah bhi nahi hai.

Kajal:- Aur meri khubsurti?

Ajith:- Dil se tum bahut khubsurat ho.

Kajal:- Chehre se?

Ajith:- Chehre se bhi bahut khubsurat ho...Ye kehna jhuth nahi hoga ki maine tumse jyada khubsurat ladki kabhi dekha hi nahi.

Tumhaare khubsurti me to koi bhi fidaa ho jaayega...Mai bhi ho gaya tha... I appreciate your beauty lekin pyar tumhaare dil ke khubsurati ki vajah se kiya hai.

Chehre ka khubsurati aaj hai kal ka kuch nahi keh sakte...Lekin tum dil se jitna bhi khubsurat ho wo kabhi nahi badlega.

Chehre ki khubsurati dekh kar pyar karne wale kuch hi vakt ke liye pyar karte hai...May be 2 days, 2 weeks, 2 months or 2 years...Isse jyada nahi...Aur mujhe chaahiye tumhaara jindagi bhar ke liye pyar.

Wo pyar jaha sirf do dil ho...Aur naa hi dono ke bich roop, jaat, dharm, haisiyat jaise kuch rukaawat...Wo pyar jo sirf khubsurati tak hi simat kar na reh jaaye...Wo pyar jisme har haalaath aur har majburi se ladne ki taaqat ho...Wo pyar jo hamesha ek dusre ka saath nibhaane ki kaabil ho.

Mai bhi tumse hamesha utna hi pyar karunga jitna aaj karta hu...Vaada karta hu har haal me tumhaara saath dunga.


Kajal ko Ajith ki baaton me sacchai dikh raha tha.

Ajith ka bhi ummeed badh raha tha...Kaash Kajal uska pyar samajh le.

Kajal:- Agar maine tumhaara pyar ko inkaar kar diya to?

Jaha Ajith ki aankho me ummeed dikh raha tha abb waha aansu aa gaye.

Ajith:- Fir bhi tumhaara decision ka respect karunga...Ye tumhaara life hai decision bhi tumhaara hona chaahiye...Mai tumse pyar karta hu to tumhe bhi mujhse pyar karna chaahiye ye jaruri bhi to nahi...Agar aisa hota to ye deal hota pyar nahi.

Khair, mai tumhaare jindagi me khushiyon ka dua karunga...Tumhe har wo khushi mile jo tumne chaaha hai aur waise hi khush rehna jaisa mai apne dost Kajal ko jaanta hu.


Ajith ki aankho me abb aansu tha aur hontho me muskaan.

Kajal:- Lekin tumhaati aankho ki aansu to kuch aur hi bata rahe hai.

Ajith:- Hontho ke muskaan bhi kuch aur hi keh rahe hai...Aansu to khud ke liye hai aur muskaan tumhaare liye.

Abhi bahut dard mehsus kar raha hu...Tumhe khone ka dard...Ek khwahish adhuri rehne ka dard...Lekin tum meri parwah mat karna...Jo tumhaara dil kahe wohi karna.

Dard to bahut ho raha hai...Aisa lag raha hai jaise meri jindagi mujhse dur jaa raha ho...Lekin koi baat nahi aaj nahi to kal sambhal jaaunga...Jaise sambhalta aaya hu.

Aur mai tumhara iss decision ka respect karta hu...Aaj tak tumhara har soch aur faisla ka sammaan kiya hai to isse kyu nahi...Mai bhi to yahi chaahta hu...Tum jaha bhi raho aur jaise bhi raho khus raho...Agar mere bina bhi tumhe khushi mil sakta hai to kyu nahi.

Ajith ka dil toot gaya tha...Lekin wo fir bhi bolta raha...Shaayad Kajal ki khushiyan ne usse itna bolne ki taaqat de diya.

Abb Ajith se aur raha nahi gaya.

Wo waha se jaata isse pehle ek baat yaad aa gaya.

Ajith:- Lekin ek request hai...Hamaara dosti ko mat todna...Pyar bhale hi nahi lekin tumhaara dost bana rehna chaahta hu.

Ajith itna keh kar thoda aur aage badha...Fir ruk gaya.

Ajith:- Agar meri jarurat padi to kabhi bhi yaad kar lena...Chala aaunga tumhaare paas...Tumhaara har mushibat aur pareshaani se lad jaaunga.

Abb Ajith se kuch bola nahi gaya...Bolna to bahut kuch chaahta tha lekin uska toota hua dil usse aage kuch bolne nahi de raha tha.

Ek aakhiri najar Kajal ko dekha aur waapas mud gaya...Abb aankhon se aansu ki jharna behne laga.

Abb wo waha se fir jaane laga...Lekin jaate vakt bhi Kajal ke khushiyon ke liye hi dua karta raha.

Kajal:- Stupid.

Ek pyari si voice me kaha Kajal ne.

Kajal ki iss baat sun kar Ajith ruk gaya...Fir mud kar Kajal ki taraf dekha.

Kajal:- Tumhe hi keh rahi hu.

Kajal Ajith ki taraf badhne lagi.

Ajith ko kuch bhi samajh me nahi aa raha tha ye sab kya ho raha hai.

Kajal:- Tum pyar to bahut karte ho...Lekin meri pyar samajh nahi paaye.

Ajith hairaani se Kajal ko dekhne laga.

Kajal:- Kya tumhe meri aankhon me pyar nahi dikhta?

Kajal ki iss baat ne Ajith ki saari khushiyan waapas lauta diya...Usse to yakin hi nahi ho raha tha Kajal ki baat pe...Ek baar to usse laga ki kahi ye sapna to nahi.

Uska ye bhram tab dur hua jab Kajal uske paas aa kar uski aansu ponchne lagi.

Ek baar fir Ajith Kajal ko dekhne laga...Dono ki aankhein ek dusre se mila.

Aankho se hi Ajith ne fir sawaal puccha...Kajal ne bhi Ajith ko haa me jawaab diya.

Abb Ajith se aur raha nahi gaya...Kas kar usne Kajal ko apne gale laga liya.

Kajal ko gale lagate hi usse duniya bhar ki khushiyan mehsus hua...Jindagi bhar ke liye usse uska pyar mil gaya...Jeene ki vajah aur jeene ki makshad...Fir wo soye hue armaan aur sapne jaag gaye...Dil se bhagwaan ki shukriya adaa kiya usse uska sabse khubsurat taufa dilaane ke liye.

Kajal ko apne baaho me dekh kar Ajith ko Kajal par aur bhi pyar aa raha tha aur khud ko wo bahut hi khus naseeb samajh raha tha.

Ajith:- (To himself) Kabhi tumhaara saath nahi chhodunga.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
:applause: :applause:
So beautiful update.....
Bohot bohot behetereen tareeke se Ajith ne apna pyar ka ijhar kiya hai....
Uska feelings ko jis tarah se likha hai woh kabile tareef tha....
:thanks: for such a superb update..... :hug:
Thanks Aryan bhai for your support and review...Aise hi saath bane rahiye bhai.
 
Top