Update 21
mai aur richa us lady ko dekhte rahe aur wo bank ke andar ghus gayi...
mai aur richa bhi fir us bank me ghus gaye....
mai seedha unke cabin ke pass chala gaya...
lady-ji boliye aapko kya kaam hai...
mai-ji mujhe aapse baat karni hai..
lady-dekho ye office hai koi kaam hai to batao...
mai kuch socha aur bola ki mujhe is bank me account kholwana hai...
lady-general account dusre counter par khulta hai..yahan sirf bussiness account hi khulta hai...
mai-mujhe bussiness account hi kholna hai...
lady-account me minimum balance 10 lakh hona chahiye...
mai-haan ho jayega...
lady-tumhari property honi chahiye is country me...dekh kar to nahi lagta ki tum is country ke ho...
mai-aapko bhi to dekh kar nahi lagta aap is coutry ki ho...
lady-actually mai bachpan me india me thi fir dad ke saath yahan aakar settle ho gayi...
mai-ji ek baat puchoon...
lady-pucho...
mai-kya aap married ho...
lady mujhe ghoor kar dekhi aur boli-ae mr apne kaam se matlab rakho...ye bank hai samjhe aur mai yahan ki employee...sharm nahi aata hai apne se double age ki lady par line maar rahe ho...
mai-sorry mera wo matlab nahi tha...mai to bas....
lady-mr tum sab document lekar aao...like passport, propety documnet, id card... mai account open kar dungi...aur koi bakwas nahi....ab ja sakte ho...
mai bhi nikal gaya wahan se lekin nikalte nikalte unke cabin par dekha to naam likha hua tha shanti kumari...lekin meri maa ka naam to shanti nahi tha....
richa-kya hua...
mai-tum maa par matlab shanti par najar rakho...kuch pata chale to pata karo...mai aata hoon bahar se...
mai turant wahan se nikla aur chal diya bahar..kyonki mujhe account kholne ke liye yahan ek property chahiye tha..to mai internet par search kiya aur ek achha sa ghar 1 crore me kharid liya...sara paper work karne me raat ho gaya lekin fully furnished ghar mujhe mil gaya..mai richa ko bhi adress dekar bula liya...
richa-kahan gayab the din bhar...
mai-ye ghar kharid raha tha...kal fir bank jana hai...
richa-thik hai...aaj mai din bhar baith baith kar thak gayi hoon...
mai bhi use kuch nahi bola aur ek room me akar so gaya wahi richa bhi dusri room me jakar so gayi....
agle din mai fir subah 10 baje unke cabin ke pass pahuch gaya...
shanti-sara document laye ho...
mai-ji laya hoon...
mai abhi unko document de hi raha tha ki ek aadmi court paint me andar ghusa...
aadmi-what is this shanti....tumne is saal ka target poora nahi kiya hai...jaise jaise tumhari umra badh rahi tum kaamchor hote ja rahi ho...
shanti-sorry sir..mai kosis kar rahi hoon...
aadmi-kya kaam kar rahi ho ..sirf aati ho baithti ho aur chali jaati ho...kya kaam kiya hai tumne...koi improvement to dikh hi nahi raha...
mai-dekhiye aap tamiz se baat kijiye inse...
aadmi-she is working under me...mai senior hoon iska...ise daat sakta hoon chahu to ise is bank se fire bhi kar sakta hoon...mr tum apne kaam se matlab rakho samjhe...ye bank ijjat se nahi paise se chalta hai...
aadmi daat te hue shanti ko bola-i dont want any excuse...mujhe result chahiye samjhi...
mai dekha shanti sar jhukaye khadi thi aur lagbhag unki ankhon se anshoon nikalne hi wala tha ki mera khoon khoul gaya...
mai apne chair se utha aur aur us manager ka gala pakad liya aur use dhakel kar dewar se sata diya...
mai-kya hai be jab se room me ghusa hai kutte ki tarah bhouke ja raha hai..
manager-dekho ye galat hai tumhe jail ho sakti hai mujhse badtamiji mat karo...
mai uska gala daba diya..sale ki saans rukne lagi to doudte hue shanti mere pass aayi...
shanti-ye kya kar rahe ho chodo inko chodo...ye bolkar wo mera haath pakad li...tab jakar maine apna haath thoda sa dheela kiya sale ke gardan se...
mai-kitna paisa kam pad raha hai inke target ka...
manager hafte hue saans sambhal kar bola-dedh crore...
mai-thik hai kal tak mai 5 crore daal dunga tere bank me...ab nikal is room se aur dobara mujhe pata laga na ki tune inko kuch bola..to soch lena aaj to tu bach gaya inke karan ...agli baar nahi bachega...
wo bhi samajh gaya mai koi amir ladka hoon isliye wo bina kuch bole wahan se chupchap dubak kar nikal liya...
shanti-thank you..lekin mujhe tumhara ahshan nahi chahiye...
mai-mai koi ahshan nahi kar raha aap par...mujhe waise bhi paise to rakhna hi hai bank me ...isliye to account khulwa raha hoon...
shanti-aap gusse me lagta hai bekabu ho jate ho...
mai-aap mujhe tum bula sakti ho...
shanti is baar fir mujhe ghoor kar dekhi...
shanti-mjhpar try karke koi fayda nahi samjhe...
mai socha sala har baar mai bolna kuch chahta hoon lekin matlab kuch aur nikal jata hai...
khair maine account khulwaya aur fir nikal gaya bank se....
ab mujhe bas do hi kaam tha...pahla apne baap ke us paper ke bare me pata karna jo richa bol rahi thi..dusra shanti ke bare me pata karna...ye sochte hue mai ghar aa gaya...