- 8,204
- 18,202
- 174
Update ::: 62
*************
aaru:- siya drawing room ko andar se lock kar do.. siya bina koi bat kiye uthi aur door lock karke mere paas aa gayi... baki sab mujhe hi hairat hi dekh rahi thi
nandani;- aaru bata de, dekh mere dil ki dhadkan kitni badh gayi hai, aaru mujhse aur sehn nahi ho raha hai.. bata de mujhe sab bata de..... nandani meri judwa behen thi, uski sense mujhse kam kaise ho sakti thi..
aarti didi meri jaan thi meri ek ek rag ko pehchanti thi, par wo bhi nandani jinti mere kareeb nahi ho saki thi.. nandani didi, riya aur siya se badhkar thi mere liye, mere dil k liye...
maine nandani ka chehra thama aur use kiss karne laga.. nandani ne apne hont mere honto se alag kar liye.
nandani;- nahi aaru pehle mujhe sab batao, jo batana chahte ho, ye sab bad me kar lena
aaru:- par abhi mera mann ho raha hai tere sath kuch pal pyar karne ko
nandani;- main jaanti hon aaru tum mujhe behlane ki koshish kar rahe ho
aaru:- to behlane do na.. abb batane wala hon to kuch der wait nahi kar sakti ho
nandani;- nahi hoga wait aaru.. pls for GOD sake jaldi se batao... aisa andaz tumhari fitrat me nahi hai
aaru:- achha baba to fir suno.. tum aur main, hum dono judwa han
nandani :- ye baat to sab jaante han
aaru:- par ye baat sab nahi jaante keh devraj papa aur shalini maa hamare real maa papa nahi han
cahttaaakkkkk........ nandani ne meri god se utar kar khade hote hue ek zordar thappad mere gaal par jad dia tha..
nandani;- ye kya bakwas kar rahe ho tum aaru.. maa hamari maa nahi hai aur papa hamare papa nahi han.... nandani sach me hi out hone lagi thi..
didi, riya aur siya bhi jhatka khaa gayi thee..
aaru:- haan ye sach hai nandani.. tabhi to koi bhi tumhe ya teeno ko nahi bata raha tha..
nandani:- aaru bol do ye sach nahi hai.. nandani ekdumm se hi ghutno par gir padi thi..
didi, riya aur siya foran uthi aur nandani ko ke paas hi baith gayi.. teeno bhi sad ho gai thee.. wo bhi tone jaisi surat banaye hue nandani ko aur mujhe dekh rahi thee
didi;- aaru ye sabb tum kya bol rahe ho
riya:- am shocked aaru, kaise koi ye baat soch sakta ha
siya:- aaru tum mazak kar rahe ho naa..
aaru:- nahi ye sach hai yaar
nandani:- cheekhte hue... to fir sach kya hai aaaruuu
aaru:- thakur pratab singh hamare baba han, hum dono unka hi khun han
kyaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa???
aaru;- haan ye sach hai.. cm ne jo bola tha, wo is waja se bola tha keh mai same to same baba ke jaisa hon.. koi bhi fark nahi hai meri surat me aur baba ki surat me..
nandani aur baki teeno apne sar pakad chuki thee.. jo sunne me aaya tha wo sach me hi sabke liye shocking tha.. main shock proof tha..
nandani uthi aur aa kar dono pair mere dono side karke baith gayi.. aur is baar nandani mujhe khud se kiss karne lagi..thodi der ki kiss ke baad nandani ne mere kandhe par sar rakh diye.. didi, riya aur siya bhi hamare ird gird baith gayee
nandani:- aaru tumne sahi kaha tha k tumhe mere sath pyar karke mujhe shant karna chahiye.. aisi situation me ek tumm hi mujhe sambhal sakte ho.. warna to sach kahun to dimag ki nasen phatne wali ho gai han..
main bhi nandani ko kiss kardi.. riya ko ishara kiya to usne table par pada hua tin pack utha kar mujhe thama dia..
tin pack ki packing khol kar maine nandani ke mohn se laga dia.. nandani ne do ghoont pi kar mohn side kar liya
nandani;- aaru baat kya hai, mujhe sab batao, pratab singh agar hamare baba han to hamari maa kaun han...isse pehle k mere dimag ki nasen phat jaayen, mujhe sab bata do. nandani badi mushkil se khud ko sambhale hue thee
didi, riya aur siya ka ek ek hath nandani par tha, sab mujhe dekh rahi thee...
aaru:- lavanya aunty jise humne aunty samjh rahe the wo hamari maa hai
ek baar firse sabko jhatka laga tha.. nandani to girne wali ho gai thi.. maine aur sab ne usay thama hua tha..
didi;- tum isi liye jaipir gaye the..
aaru;- haan aur maine wahan do din reh kar maa ko bhi puri tarha se sambhal liya ha, abb bohut sukun se han..
nandani mere gale se lag gayi thi.. is baar wo khud ko nahi rok paayi, aur rone lagi.. dheere dheere uska rona badhne laga.. didi, riya aur siya ki ankhen se paani behne laga tha.
abb sabb ko samjh me bhi aa gaya tha, k lavanya aunty kyun hamesha hi dukhi raha karti thi, kyun wo humen paa kar khil jaya karti thee.. kyun wo aksar humse door bhi raha karti thee.. kyun wo aksar humse khul kar baat nahi kiya karti thee.. aise bohut se kyun the
abb ja ke sare kyu hamare saamne khul gaye the.. sab kuch hum jaan chuke the... main nandani ki peeth ko sehlane laga
didi:- hamesha hi to humne lavanya maa ko dard me dekha hai, hum to soch bhi nahi sakte the k baat aisi bhi ho sakti ha.. koi kuch batata bhi to nahi tha..
fir main nandani ko dilasa dete hue, peeth ko sehlate hue baaki ki bhi sari kahani sunane laga.. guzre samay me jo kuch bhi hua tha, wo sab teeno ko batane laga... jo hua tha wo sach me hi bohut dardnaak tha.. baba hum sab se door ho gaye the.. main aur nandani bina shadi ke hi maa ke pet me utar aaye the.. ek maa ke liye kitni badi mushkil ho jati hai aise samay me..
ek to maa se baba hamesha k liye door ho gaye, fir hum maa ke pet me aa gaye.. illegal way se dunya me aa gaye the.. kaise maa sabko batati k wo bina shadi k hi do bachho ki maa ban chuki ha.. baad me bhi kaise unho ne apne ghar walun ko shadi se roka hoga.. mere nana ki family kaise apni beti ko puri zindagi bina shadi ke dekh sakti thi
aisa hona asaan nahi tha, tabhi to maa mama ke paas aksar raha karti thi..
nandani, didi aur riya siya ye jaan kar shocked ho gaayi thee k hum najayaz the, sirf prem milan se is dunya me aaye the.. aur hamare baba agar kahi zinda han bhi to hamare baare me kuch nahi jaante.. wo nahi jaante the k maa ke sath us samay hue milan ki waja se hum dono is dunya me aa gaye the..
sab shocked ho kar sari baaten sun rahe the.. vanita aur hansika ke naam sunkar, dono ki surat dekh kar bhi nandani kuch samjh nahi paayi thi
vianta aur hansika hamare sage nahi the to khun ki kashish utni nahi thi, jitni honi chahiye thi.. main us din dono ke naam jaan kar unke face expression jaan kar sab samjh gaya tha.. nandani nahi samjh saki thi, wo dono par zayada dhayan nahi de paayi thi
aaru:- ek jhakta aur bhi hai tum sab k liye
didi;- aaru abb koi aur bhi jhatka dene ko bacha hai kya?
aaru:- hai naa didi, hamari dono khoi hui behne bhi mil chuki han
kyaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa??? ye jhatka bohut si khushi bhi le kar aaya tha.. nandani jo pehle sad thi, shock me thi, ekdumm se hi wo mujhe kiss karne lagi thi
nandani:- aaru ye tum kya keh rahe ho, itni badi khushi ki khabar bhi tumne hum sabb se chhupa kar rakhi thi
didi;- aaru kaun hai wo dono
riya aur siya jo un charon ke zayada close thee, wo sochne me lag gayi thee.. wo kuch jaan gayi thee, naam jo wahi the dono ke
riya:- didi humne ghor nahi kiya tha, par hum bhi to vanita aur hansika se mil chuke han
kyaaaaaaaaaaaaaaaaaaa?? OH MY GOD....... nandani aur didi ek sath boli
nandani:- mai kyun dono par dhayan nahi de saki
didi;- dono ko dekh kar, dono se milkar mujhe bhi kuch laga tha, dono ki bachpan ki pics bhi to maine dehk rakhi thee, dono ko dekhte hue hi mujhe laga tha k kahi to dekha hai un dono ko
nandani:- aaru ye bohut achhi baat hui hai, abb maa papa aur sab bohut khush ho gaye honge, zarur tumne unhe bhi sab bata diya hoga
aaru:- han wahan sab jaan gaye han..
didi;- aaru to vanita aur hansika ko bhi to hum bata sakte the naa..
siya:- didi dono ke chehre bhi us intro wale din kuch alag se the.. lekin fir dono ne kuch kaha nahi tha
aaru;- pehle hum apne dushman ko khatam kar len.. bohut nuksan kiya hai us gaurav ne hamara
nandani;- us haramzade ko to main beech me se hi cheer kar rakh dungi
aaru;- usay bhi sabke sath rakhna hai nandani, usay marne nahi dena hai humne
didi:- haan aaru bohut dard diya hai us kutte ne sabko.. usay bhi usi dard se guzarna hog..
aaru:- sab hoga didi bas dekhti jaayiye.. abb se padhayi kam aur apne dushman par focus zayada karna hai humen..
nandani:- aaru kya hum abhi vainta aur hansika se kuch na kahen..
aur;- abhi dushman ka bhi khatra hai, aur jaise humen maa aur papa ne pyar dia hai, vaise hi un dono ko bhi priwar ka pura pura pyar mil raha hai, to kisi ka dil nahi dukhana humne.. hamari behno ko unki waja se nayi zindagi, achhhe sanskar mile han. unhe takleef nahi honi chahiye.. dekho agar to wo bhi humen leke soch rahi han to unhe bata bhi sakti ho.. lekin khayal rahe hamare kisi dushman ko, ya kisi bahar wale ko pata nahi chalna chahiye.. un sab ke liye khatra badh sakta hai..
<------------------------------------>
jis din aaru aur nandani se vanita aur hansika mili thee.. unke dil ki dhadkan bhi kuch badal si gai thee.. dono apne baare me sab jaanti thee.. wo kaun han, unka aur kaun kaun hai, ye bat wo achhe se jaanti thi..
lekin wo apne ghar ki location baare nahi jaan saki thi.. aur fir tab us samay dushman bhi pure shehar me phele hue the, to dono bohut dar bhi gayi thee..
vatina aur hansika manish aur meena ko nadi ke kinare mili thee.. bhagwan ki karni aisi hui thi, k dono ek dusre ko kass ke jakde hue the.. dono ek sath hi maa se aur sabse alag ho gai thee.. dono ko kudrat ne nayi zindagi deni thi jo manoj aur mina ke through milne wali thi
dono bhi us din camping k liye dehradun aaye hue the apne kuch doston ke sath.. do bachhiyon ko nadi ke kinare dekha to dono ko utha kar apne camp le aaaye
tab se dono manoj aur mina ki betiyan bann kar rehne lagi thi... manoj aur mina ki koi beti nahi thi, ek beta tha to dono ne vanita aur hansika ko apni betiyan bana liya tha.
mina aur manoj aksar hi dono ko leke baaten karte rehte the..
aaj bhi dono ek sath bed par the.. mina ka sar manoj ke seene par tha
mina:- manoj bhagnan ne humen do betiyan de kar zamane ki sari khushiyan bhi de dali han, par kabhi na kabhi to wo humse door ho hi jaayengi, to kaise main unhe khud se door jate hue dekh paaongi..
manoj ne bhi ek lambi saans li.. aur mina ki peeth sehlate hue bola
manoj:- betiya to vaise bhi paraya dhan hoti han mina, ek na ek din to unhe apne ghar jana hi hota hai..
mina:- apne ghar to sab hi jaati han manoj, par jaane kyun mujhe dono ko dekh kar kuch aur hi lagne laga hai.. dono bhi to apne baare me sab jaanti han.. dono ko bhi to apne ghar ki chah hogi.. apne asli bhai behen, apne asli maa baap ki chah hogi
manoj:-aisi chah to kisi ke dil se ja hi nahi sakti mina.. dekho hamare pyar ke karan kaise wo khud ko sambhale hue han, warna kaun itne samay tak apne pariwar se door reh sakta hai..
mina:- in kuch dino me kuch rang dekh liye han na humne manoj.. business se cheating, fir hamari betiyon ka kidnap.. uspar kuch aur bhi hai hamari betiyon ke chehre par
manoj:- subah dono se baat karenge
mina;- maine poochaa tha dono se, lekin wo kuch sahi se boli nahi theee
<------------------------------------>
vanita aur hansika bhi ek hi room me bed par leti thee.. dono soch me gum thee
dono aaru aur nandani ko leke soch rahi thee
hansika:- vanita hum kya karen, kyun humen lagne laga hai keh wahi hamare bhai behen han
vanita;- mujhe bhi dono ko dekh kar kuch aisa hi lag raha hai hansika
hansika:- kaise ye baat un dono se karen hum, keh hamare bhai behen ke naam bhi aaru aur nandani han.. hum un sabse kho gaye the.. hansika rohansi hote hue boli
vanita bhi tab se hi bohut dard me thi, uska bas nahi chal raha tha keh aaru aur nandani se confirm karen, pata chalne par unko batayen keh wo dono unki gumshuda behne han
vanita:- pata karna padega hansika, kitne saal beet gaye, hume sabse door hue
hansika:- mom dad se kya kahenge vanita, unko pata chala to wo kitne dukhi ho jayenge na
vanita:- hmm dukh to hoga hansika unko, par bataye bina bhi to kaam nahi banega na
<--------------------------->
next morning mina dono ke room me enter hui .. dono ek dusre se lipat kar so rahi thee, mina se ghor se dekha to dono ki ankhon se raat ko bahe aansuon ke nishan the
mina ne apne dil par hath rakh liya... haaye bhagwan meri phool si bachiyan rat bhar roti rahi han. mina bed par dono ke pass pohnchi, dono par jhukte hue dono ke gaal kar kiss kar di
dono thoda sa kasmasayi.
mina:- uth jaao beta, dekho subah ho gai hai..... mina dono ko hilate hue boli
dono neend me thee, raar bhar sochon me thee, roti rahi thee, neend toot hi nahi rahi thi.. mina se nahi raha gaya, wo dono ke sokhe aansu dekh kar sehn nahi kar paa rahi thi
dono ko zabardasti utha diya mina ne
dono ankhen masalti hui uth gayee
dono:- good morning mom
mina;- good morning beta.. tum dono raat ko roti rahi ho kya
dono ko ekdumm se andaza hua k dono rat ko rote hue hi so gayi thee..
dono mina se nazren churane lagee.
mina:- main maa hon tumhari, aur maa betiyo ki friend bhi to hoti hai, kya mujhe bhi apne dil ka haal nahi bataogi tum dono
vanita ne jaise koi faisla kar liya tha
vanita:- mom hum fresh ho kar aati han, fir baat karte han
mina:- theek hai to jaldi se fresh hokar neeche pohncho
40 mint baad sab dining table par baithe hue the, manoj aur mina vanita aur hansika ko dekh rahe the.. aur dono bhi apni mom aur dad ko dekh rahe the..
mina;- haan abb batao kya baat hai, kyun kuch dino se tum dono upset ho
vanita ne hansika ko dekha.. to hansika kuch tension me aa gai thi, kaise wo apne mom dad ko dukhi kar sakte the
manoj:- hansika ko kyun dekh rahi ho vanita beti.. mujhe batao agar kuch problem hai to
vanita;- mom dad.. wo .. wo baat ye hai keh maine aapko college baare bataya tha..ek ladka aur char ladkiyan .. jinho ne college me hungama kar dia tha
mina:- haan par wo to abb tum dono ke friend ban chuke han naa
hansika;- mom jis ladki ne ladke ka collar pakda tha, uska naam nandani aur ladke ka naam aaru hai
mina;- haan to isme kya preshani wali baat hai
manoj samjh gaya tha, nandani aur aaru ka naam jaan kar. manoj ne mina ke kandhe par hath rakh diya.. mina ne manoj ko dekha to, to manoj ki ankhon ka rang dekh kar mina kuch heran reh gai
mina;- ye aapki ankhen ekdumm se aisi kyun ho gai han
manoj;- mina tumne dono naamo par ghor nahi kiya, nandani .. aaru
mina;- kiya na ghor .. nandani aur aaru hi to bataya hai hansika ne.. mina bol to gayi fir foran hi usay yaad bhi aa gaya k ye do naam to wo kai baar apne mohn se ada kar chuki hai, apni dono betiyon ke mohn se ye naam kai baat sun chuki hai..
mina ne ekdumm se apna hath apne mohn par rakh diya.. mina ko jaise jhatka sa lag gaya tha.. vanita aur hansika uthi aur apni mom, apne dad ke paas ja pohchi..
ek ne mom ko to dusri ne apne dad ka hath pakad liya tha.. sath wali chairs paas khench kar wo bhi wahi baith gayi thee..
manoj ki ankhon me bhi paani aane laga tha
manoj:- abhi raat ko hi to baat kar rahe the keh
mina naa me sarr hilane lagi....
mina;- nahi .. nahi .. manoj main kahi nahi jaane dungi apni betiyon ko. ye dono meri betiyan han, janam nahi diya to kya hua, apna khun dekar bada kiya hai maine, apni mamta ki chhaon tale dono ko parwan chadhaya hai..
vanita:- mom hum kahan aap ko chhod kar jaa rahe han
manoj:- mina ek na ek din to ye hona hi tha
mina:- nahi . nahi main ye nahi hote dekh sakti, main dono khud se door nahi hone dungi
"kuan door ja hai aapse mom"
ek awaz sunaai di to sab usi disha me dekhne lage, jidhar se awaz aayi thi, dekha to sanjay aaya hua tha.. sanjay ko dekh kar sab khushi se cheekh pade.. sanjay manoj aur mina ka iklota beta tha.. foreign me padhne gaya hua tha..
"bhaiya" vanita aur hansika cheekhti hui uthi aur bhaag kar sanjay se chipak gayi.. mina aur manoj bhi daud pade the
sab sanjay se milne lage.. vanita aur hansika bhi bohut khush thee.. dono ko kabhi laga hi nahi tha keh sanjay unka saga bhai nahi hai..
mina apne bete se milte hue.. "sanjay beta tumne to hum sabb ko heran hi kar dia"
sanjay;- de diya na jhatka mom.. kuch chhuttiyan mili thee to socha ghoomne se behtar hai aap sab se mil liya jaaye, aur sabko surprise bhi de diya jaaye to laut aa gaya aap sab ke paas.. sanjay mina ke gaalon ko choomte hue bola.. vanita aur hansika abhi bhi side se sanjay se chipki hui thi
fir manoj se mila dono baap bete hate katte the, dono ek dusre ko kass kar milne lage
manoj:- waah mere sher tum to aur bhi sakht jaan ban kar aaye ho
sanjay:- dad aapse to sakht jaan mai nahi ho sakta.. aap to is umar me bhi mujhse kahi badhkar han
manoj aus sab hassne lage.. ekdumm se hi sabka dard khushi me badal gaya tha..
<------------------------------------>
gaurav aur jatin bhi mumbai pohnche hue the.. dono ke bhi mumbai me alag se kuch thikane the, jinke baare me koi nahi jaanta tha.. suraj wahi chhupa hua tha apne kuch admiyon ke sath
gaurav:- suraj tum to kabhi nakam nahi hue, fir is baar kyun tum do baar fail ho gaye
suraj jo shirtless tha, uske badan par zakham aur bhi badh gaye the.. abhi kuch der pehle hi uski pattiyan change hui thee.. bed ki side me padi hui do chairs par gaurav aur jatin baithe hue the.. unke khaas guards kamre ke bahar khade hue the
suraj:- boss is baar ke dushman bhi kam nahi han, warna kaun aisa hai jo mere saamne tik sakta tha.. hamare paas power bhi thi aur dimag bhi..
jatin;- lekin koi aur power se, dimag se tumse tumhare admiyo se badh gaya
gaurav aur jatin jo puri report aate hi jaan gaye the..
gaurav:- ab kitne admi han hamare mumbai me
suraj;- abb to bohut kam reh gaye han boss.. 25 ke kareeb honge..
gaurav;- jatin tumne call karke aur admiyon ko to bulwa liya tha naa
jatin;- haan wo sab farmhouse par han
gaurav;- sabko kaam kar laga do.. koi bhi hamla nahi karega. pehle sari detail jama karo, fir koi plan bana kar kaam karte han.. cm aur suraj pehle hi jald bazi karke kaam bigad chuke han..
<------------------------------------>