sheikh
Member
- 106
- 120
- 58
Shandaar updateUpdate 245
Is ghar me me pehle bhi aa chuka tha, us samay mask pehne hue tha, abki baar bina mask ke hi aaya tha, mene car park ki hi thi ki ek naukar aur naukarani daudte hue hamari car ke paas aa gaye aur Krupaliji ko namaste kehne lage, hum bahar nikale, saman to kuchh tha nahi to wo dono wapas chale gaye. Hum darwaje ki aur badhne lage, me aas pass dekh raha tha, darwaje ke pass mene do banduk dhari log khade dekhe the. Wo pehle bhi khade rehte the to koi ascharya nahi hua. Abhi hum ghar ke darwaje par pahuche hi the ki ander se ek aurat daudte hue aayi jo Krupaliji ki hum umra hi thi. Aakar wo sidhe Krupaliji ke gale lag gayi.
Padma : Kaisi hai aap?
Krupali : Achchhi hu bhabhi, aap kaisi ho?
Padma : (Muskurate hue)Waisi hi hu,abhi subah hi maji ne bataya aap aa rahi ho, aapne kyu nahi kaha ki aap aa rahi ho? (Usne halki narajgi se kaha)
Krupali : Mene socha ki aapko pata hi hoga, bhaiya ne to aane ko kaha tha.
Padma : (Wo thodi udas ho gayi kyu ki uska pati kaha usko sab batata tha)Chalo koi baat nahi, tabhi uski nigah Shiv par padi to uski ankhe badi ho gayi.)Ye????
Krupali : Ye Shiv hai, iske liye to aaye hai.
Padma : (Hath jod ke)Namaste, aaiye. (Mene bhi hath jod kar namaste kiya, hum ander aaye)Aap dono bethiye, me maji ko bulati hu. (Kehte hue wo ander jane lagi par jate hue bhi wo muje dekh rahi thi, unke chehre par kuchh ajeeb tha, jaise wo mujme kuchh dhundh rahi ho, wo ander chali gayi aur thodi hi der me wo apani saas ke sath lauti)
Kamnadevi : Kappuuuu. (Awaj sun kar Krupali khadi ho gayi aur samne se daudte hue apani maa ke gale lag gayi)Kaise hai meri beti?
Krupali : Achchhi hu maa, aap kaisi ho?
Kamnadevi : Me achhi hu. (Dono thodi der ek dusare ke gale lagi rahi, fir Kamnadevi ki najar Shiv par padi, ek baar fir wo usko dekhti reh gayi)Are beta tum??? (Shiv ko dekh kar wo boli)
Krupali : (Apani maa se alag hote hue)Aap isse janti ho?
Kamnadevi : Janti to hu, par naam bhul gayi, kya naam tha shhh..
Krupali : Shiv.
Kamnadevi : Ha Shiiiiv. (Me bhi khada hua aur unke pair chhune laga to unhone mere kandhe pakad liye)Jite raho beta.
Krupali :Aap kaise janti ho isse?
Kamnadevi : Wo us din function me aaya tha na, Mamta ke sath me, tab mili thi.
Krupali : Oh! Haa. (Padma kab se Shiv ko hi dekh rahi thi)(Mene bhi dekha ki wo muje hi dekh rahi thi, me thoda asahej hone laga, pata nahi kyu wo aise dekh rahi thi)
Kamnadevi : Aao betho, beta. (Usne fir ek baar Shiv ko gaur se dekha)
Krupali : Papa kaha hai?
Kamnadevi : Wo to nikal gaye, keh rahe the ki Kappu aaye to phone karne ko kehna.
Krupali : Me phone kar leti hu. (Keh kar usne apane papa ko phone lagaya, jaise hi samne se call received hui)Hello papa, hum ghar pahuch gaye hai. (Samne se kuchh baat hui)Ji papa(...) ha(....) ji papa. (Usne phone rakh diya)
Kamnadevi : Kya kaha unhone?
Krupali : Keh rahe the ki khana khane ka samay ho gaya hai, khana kha kar bade khet wali haweli aa jao.
Kamnadevi : Waha kyu?
Krupali : Wo Shiv se milna chahte hai, uske liye hi to aaye hai hum.
Kamnadevi : (Unhone Shiv ko dekha, aur wo soch me pad gayi, isko kyu waha bula rahe hai? Kahi unhe bhi to wohi nahi lag raha jo muje lag raha hai, nahi nahi, muje baat karni hogi unse)Padma, inki khatirdari kar, me abhi aayi. (Unke chehre par chinta dekh)
Krupali : Kya hua mummi??
Kamnadevi : Are kuchh nahi, me abhi aayi. (Kehte hue wo apane kamare ki aur badh gayi, ander jate hi usne apane pati ko phone lagaya)Hello.
Udesinh : Hello.
Kamnadevi : Aapne unhe waha kyu bulwaya hai?
Udesinh : (Normally hi)Kyu, kya hua?
Kamnadevi : Dekhiye, muje sach sach bataiye, aapne unhe waha kyu bulaya hai?
Udesinh : Kya hua bagyawan, kyu aisa puchh rahi ho?
Kamnadevi : Aap us ladke se mil chuke ho pehle?
Udesinh : Nahi, pehlibar milunga, kyu kya hua? (Kamnadevi, wo khamosh ho gayi, wo kya kahe kuchh samaj me nahi aa raha)Hellooo.
Kamnadevi : Aap sach keh rahe hai????
Udesinh : Tum kehna kya chahti ho? Meri to kuchh samaj me nahi aa raha?
Kamnadevi : (Thoda darte hue)Aapko kyu milna hai us ladke se?
Udesinh : Ye gol gol ghuma kar kyu baat kar rahi ho, sidhe sidhe kaho.
Kamnadevi : Wo ladka...(Wo bolte bolte ruk gayi)
Udesinh : Me sun raha hu.
Kamnadevi : Wo ladka, muje jana pehchana sa lagta hai.
Udesinh : (Wo samaj raha tha ki wo kya kehna chahti hai, par fir bhi anjan bante hue)Kehna kya chahti ho?
Kamnadevi : Dekhiye, aap aisa waisa kuchh bhi nahi karenge.
Udesinh : Abhi bhi gol gol baate kar rahi ho, kehna kya chahti ho, aur me kya karunga? (Udesinh ko maan me hasi aa rahi thi, kyu ki usne jaisa socha tha waisa hi usko lag raha tha)
Kamnadevi : Wo ladka.. wo ladka...(Uski juban uth nahi rahi thi)
Udesinh : Ye kya laga rakkha hai tumne, jo kehna hai saaf saaf kaho.
Kamnadevi : wo ladka muje thoda thoda Yegendrabhaisahab jaisa lag raha hai.
Udesinh : (Anjan bante hue)Ye kya keh rahi ho tum?
Kamnadevi : Ha, me sach keh rahi hu, kya aap sach me nahi jante?
Udesinh : Nahi.
Kamnadevi : Aap yahi aa jaiye, me usko waha nahi bhej rahi, pata nahi aap kya karoge.
Udesinh : Ye kya bachcho jaisi bate kar rahi ho, ek taraf to keh rahi ho ki wo Yogendra jaisa dikhta hai, dusari aur keh rahi ho ki usko yaha nahi bhejogi, kehna kya chahti ho tum.
Kamnadevi : Kahi wo Yogendrabhaisahab ka beta....
Udesinh : (Uske chrehre par ek muskan si aa gayi, par wo shant hi raha)Ye kya bevakufi kar rahi ho Kamna, usko mare barso ho gaye hai, aur abhi tak mene usko dekha bhi nahi hai, mene to usko kisi aur kaam ke liye bulaya tha, par tumhari bato se lag raha hai ki ab to muje is ladke se milna hi padega. Aur tum apane dimag se ye baat nikal do, wo Yogendra ka beta nahi ho sakta, aise to kayi log hote hai jinki sakal milti hai, hamne dekha hai ki kayi filmstar ya famouse logo ke duplicate hote hai to kya wo uska beta ya ristedar ho jayega. Tum kham kha hi kuchh jyda soch rahi ho, Kappu ne bataya tha ki wo koi anath ladka hai, mene to bas uski madad karne ke liye hi bulaya hai.
Kamnadevi : Aap sach keh rahe ho na?
Udesinh : Agar tuje aisa lagta hai to tu bhi unke sath aa jana, bas.
Kamnadevi : (Uska dil abhi bhi nahi maan raha tha par uske pati ki bate sun kar usko bhi yakin hone laga ki ye uska vahem hai)Thik hai ji. (Usne phone rakh diya, kuchh soch kar wo bahar aayi, Padma ne unke samne nasta rakhvaya tha par koi kuchh kha nahi raha tha)Kya hua, nasta karo.
Krupali : Nahi mummy, fir khaya nahi jayega. (Usne bhole pan se kaha)(Me dekh raha tha ki apani mummi ke samne Krupali ji ek chhoti bachchi ke jaise bartav kar rahi thi aur bol bhi waise hi rahi thi)Abhi bhi chhoti bachchi hi hai tu, ab to sudhar ja. (Kehte hue wo uske baju me beth gayi, wo side se unke gale lag gayi, wo unka shir sehlane lagi)
Kamnadevi : (Shiv ko dekh kar)Achchha beta, tumhare maa-baap kon the, mera matlab hai tumhe kuchh pata hai?
Shiv : Nahi aunty, muje kuchh pata nahi hai.
Krupali : Aisa kyu puchh rahi ho mummy? (Usne apani maa ko gaur se dekhte hue puchha)
Kamnadevi :Are kuchh nahi, aise hi puchh rahi thi. (Padma ki aur dekh kar)Beta khane ke liye bol de, me bhi inke sath hi khet par ja rahi hu.
Padma : Kyu maji?
Kamnadevi : Wo bahot samay ho gaya hai na, to socha me bhi ghum aati hu. Tuje aana hai?
Padma : Jaisa aap kaho.
Kamnadevi : Thik hai tu bhi chalna.
Padma : Ji maaji. (Keh kar wo ander gayi, khana lagwane)
Kamnadevi : (Shiv ki aur dekh kar)Maaf karna beta, par bas jigyasa ho rahi hai, kya sach me tum apane maa baap ke bare me kuchh nahi jante?
Shiv : Nahi aunty, me kisi bhikhari ke pass se mila tha.
Kamnadevi : Kitne saal ke the tum?
Shiv : Thik se to pata nahi, par char panch saal ka raha hounga.
Krupali : Kya baat hai mummy, aap kyu is se itna puchh rahi hai?
Kamnadevi : Mene kaha na bas jigyasa se puchh rahi hu. (Tabhi mere mobile ki ring baji, mene dekha to Swarnaji ka call tha, me sochne laga ki uthau ya nahi, kyu ki wo dono mere samne hi dekh rahi thi, mene call utha liya)
Shiv : Hello.
Swarna : Kuchh maat bola, jo me puchhu bas uska ha ya na me jawab dena.
Shiv : Hmmm.
Swarna : Sab thik hai?
Shiv : Ha.
Swarna : Mere ghar pahuch gaye tum?
Shiv : Ha.
Swarna : Papa se mile?
Shiv : Nahi. (wo khamosh ho gayi, fir kuchh soch kar)
Swarna : Dekho, unse akele maat mila. (Me kya jawab deta iska to me kuchh nahi bola)Hello, sun rahe ho.
Shiv : Ha.
Swarna : Krupali hai tumhare sath?
Shiv : Ha.
Swarna : Thik hai, par agar kuchh ho to turant muje phone kar dena, muje bahot chinta ho rahi hai, tum samaj rahe ho na.
Shiv : Thik hai. (Unhone call kaat diya, mene phone jeb me rakh diya)
Krupali : Kiska phone tha.
Shiv : Nahi koi khas nahi, mere ek dost ka phone tha, school ki baat kar raha tha. (Tabhi Padmaji aa gayi)
Padma :Khana lagwadiya hai maaji.
Kamnadevi : Chalo beta. (Hum dono ko kaha unhone, fir hum khane beth gaye, hamari aur bhi bate hui, aunty mujse mere bare me puchhe ja rahi thi aur me unhe bata raha tha, Padma bas sab sun rahi thi, humne kahana khatam kar liya, me sofe par betha)Me kapade badal leti hu. (Padma ko)Tumhe bhi badalne hai to badal lo.
Padma : Ji maaji. (Krupali ko)Aap chalegi mere sath?
Krupali : (Usko to Shiv ke sath hi bethna tha par wo boli)Ha chaliye. (Wo dono upar chali gayi, me bethe bethe soch raha tha, sab ajeeb tha, aunty jis tarha se mujse sawal jawab kar rahi thi wo is aur issara kar raha tha ki Beenaji jo keh rahi hai wo sahi hai shayad. Agar aisa hai to fir muje satark rehna hi padega, par dusari aur muje bhi apane bare me jaan na tha, kya yahi sach hai ki ye sirf ek anuman hi hai) (Kamare me pahuch kar)
Padma : Aap iske sath me?
Krupali : Kya kehna chahti ho bhabhi? (Krupali me itni to samaj thi ki wo ye nahi puchh rahi thi ki uske aur Shiv ke bichh jo hua hai us bare me puchh rahi ho)
Padma : Aap janti hai na ki hum dono jan na chahte the ki isaka hamare gharwalo ke sath kya sambandh hai?
Krupali : Aap kehna kya chahti ho bhabhi?
Padma : Jab ye ladka yaha aaya tha tab mene kaha tha ki iske hath me wahi dhaga tha jo hamare pariwar ko bandha gaya tha. (Apane kapade nikalte hue)
Krupali : Kya bhabhi aap bhi, hamari us waqt baat hui to thi ki jaruri nahi ki wo dhaga sirf hamare pariwar ke liye ho, babaji sabko bandh rahe the to uske hath me bhi hoga.
Padma : Agar aisa hai to fir us dhage ka kya hua jo babaji se le kar wo tino gayi thi.
Krupali : Aap kuchh jyada hi soch rahi ho bhabhi, kaha ki baat kaha jod rahi ho aaap.
Padma : Aisa kya jadu hai is ladke me?
Krupali : (Thodi asahaj hote hue)Aap paheliya kyu buja rahi ho bhabhi, jo kehna hai khul kar kahiye.
Padma : Ye ladka koi to jadu janta hai, warna aap uski aur se nahi bol rahi hoti, Beenabhabhi, Mamtadidi, Swarnadidi aur ab aap.
Krupali : Pata nahi aap kya keh rahi ho, meri to kuchh samaj me nahi aa raha, wo Shiv hai, ek anathladka hai wo, ek aam ladka hai, pata nahi kya kya soch rahi ho aap.
Padma : Achchha, ek aam ladka hai, pehle Mamdadidi ke sath aaya, fir pata chala ki Beenabhabhi bhi janti hai, fir pata chala ki Swarnadidi bhi janti hai, aur ab pata chala ki aap bhi janti ho. Upar se papa ne usko yaha bulaya hai, ye ek aam ladka hai.
Krupali : Me usko isliye janti hu, kyu ki Swarnadidi ke waha gayi thi tab mili thi me, aur ye mere pati ke sath bussiness karta hai to wo bhi jante hai, unhone hi usko hamare ghar rehne ko bulaya tha, wo kisi trainning ke liye aaya hai, abhi kuchh dino me chala bhi jayega.
Padma : Aapko dekh kar lagta nahi ki ye koi bussiness partner hai Vashisthji ka.
Krupali : Ye kya paheliye buja rahi ho aap, itne dino se wo hamare ghar me reh raha hai to kya jan pehchan nahi hui hogi jo aap aisa keh rahi ho.
Padma : Matlab ye koi khas nahi hai, hai na?
Krupali : Khas kaise nahi hai, wo ek achchha ladka hai, sab se ijjat se baat karta hai, koi galat kaam nahi karta, to kya hum us se achchhse baat bhi nahi kar shakte?
Padma : Chaliye, koi baat nahi, ye to waqt hi batayega ki wo kya hai. (Kehte hue wo apane kapade le kar bathroom me chali gayi, Krupali maan hi maan soch rahi thi ki inse bach kar rehna padega, kahi unko uske aur Shiv ke bare me pata na chal jaye.thodi der baad wo saree change kar ke aa gayi, aur ayine ke samne beth kar khud ko sawarne lagi)Aap itni khus kaise hai? (Padma ne sidhe hi sawal puchha)
Krupali : Fir wahi baat, kehna kya chahti ho aap?
Padma : Aap janti ho ki me aur aap kis paresani se gujar rahe hai, aur jaisa aap keh rahi thi aapke ghar me mahol bhi thik nahi hai, isiliye puchh rahi hu ki aap itni khus kaise?
Krupali : To kya me sab ke samne rote hue rahu? Jo problem hai so hai, sabke samne rone se kya hal nikal aayega? Aur ab mere ghar me koi dikkat nahi hai, meri saas bhi samaj gayi hai, Pruthvibhai aaye the mere ghar, unhone jis tarha se baat ki uske baad se meri saas ne kuchh nahi kaha muje, ulta wo keh rahi thi ki koi baat nahi ho jayega sab, abhi umar hi kya hai.
Padma : (Gaur se dekhte hue)Wo aaye the?
Krupali : Ha aaye the, aapko nahi pata?
Padma : (Dukhi swar me)Wo kaha muje kuchh batate hai. (Wo thoda sad feel kar rahi thi, fir wo kuchh nahi boli. Khud ko thoda thik kiya, sawara aur khdi hui)Chalo achchha hi hai, apki muskil to hal ho gayi.
Krupali : (Dukhi hone ka dikhawa kar ke)Muskil hal hui hai ki nahi wo abhi kaha pata hai, kuchh dino baad hi pata chalega, date jo najdik hai.
Padma : Hmmmm.
Krupali : Aap ka kya hal hai, dawaiya thik se le rahi ho na?
Padma : Ha le rahi hu.
Krupali : Aap chinta maat kijiye, aap ka bhi ho jayega. (Padma ne chaunkte hue gaur se Krupali ko dekha to Krupali sakpaka gayi, usko bhi apani galti ka ehsas hua par fir sambhalte hue)Mera matlab hai hum dono ka sab achchha ho jayega.
Padma : (wo bas fika muskurayi)Chaliye chalte hai, (Wo dono niche chali gayi)
Kamnadevi : (Jab wo dono niche aa gayi)Chalo chalte hai. (Hum sab bahar nikale, Padma ko dekhte hue)Ja car nikal la.
Krupali : Hamari car se chalte hai na.
Kamnadevi : Kya teri kya meri, kya fark padta hai, waise bhi usko rasta pata hai, wo chala legi. (Padma car le aayi, Kamnadevi pichhe beth gayi, Krupali bhi unke sath hi beth gayi to muje aage bethna pada, Padma ne ek najar Shiv ko dekha fir car aage badha di, gaav se nikal kar car bahar aa gayi, kuchh der chaude raste par chalne ke baad unhone ek chhote raste par car mod di, pichhe Krupaliji aur unki maa baat kar rahi thi par aage hum dono chup hi the, karib aadhe ghante baad car ek kachche raste par aa gayi, yaha bhi najdik gaav dikh raha tha par hum bahar the, akhir muje ek bada sa haveli jaisa ghar dikha, aas pass khet the aur kayi log kaam kar rahe the, kheto ke bich se hote hue car us makan ki aur badhi, waha ab bade bade paid the, unke bich bhi rasta bana hua tha, akhir car us haveli numa makan ke samne ja kar ruki. Hum sab bahar nikale, mene dekha to waha kayi log kaam kar rahe the, waha kuchh log banduk liye bhi khade the. Waha bane ek lakadi ke sofe par ek aadmi betha hua tha, aur pas me khat par ek aur, me unhe pehchan gaya, wo Krupali ji ke bhai the, aur dusare sakhs ki umar se pata chal raha tha ki wo shayad unke pitaji the, yani ki agar Beenaji ka kehna sahi hai to ye wo sakhs tha jisne meri jaan lene ka prayas kiya tha, meri najar un par hi thi, aur wo bhi muje hi gaur se dekh rahe the, Krupaliji aur unki maa aage chal rahi thi, unke pichhe Padmaji aur unke pichhe me. Waha ja kar Krupaliji ne unke pair chhue.
Krupali : Namaste pitaji.
Udesinh : Jiti raho, khus raho. (Padma ne bhi unke pair chhue, me bas khada tha waha par)
Pruthvi : Tum kyu aayi yaha? (Usne tikhe swar me kaha, to Padma seham si gayi)
Kamnadevi : Mene kaha tha. (Pruthvi chup ho gaya)
Udesinh : (unhone ek najar meri aur dali fir apani patni ko dekhte hue)Akhir tumhe visvas nahi aaya, hai na?
Kamnadevi : (Thoda jhepte hue)Aisi koi baat nahi hai, mene socha bahot din ho gaye to chale aaye.
Krupali : Kis bare me baat kar rahe ho pitaji?
Udesinh : Kuchh nahi beti, betho tum log. E sukhiiiii.
Sukhi : Ji malik.
Udesinh : Sabke liye pani le aao.
Sukhi : Ji malik.
Udesinh : (Meri aur dekhte hue)To tum ho Shiv. (Me abhi bhi khada hi tha)Khade kyu ho betho. (Me ek jagah beth gaya.)Sach me yakin karna muskil hai. (Kamnadevi unhe hi dekh rahi thi)Mera matlab hai ki is umar me tum padh rahe ho, bussiness kar rahe ho aur ha wo daud ki taiyari bhi kar rahe ho, sach me yakin karna muskil hai wo bhi tum jaise ladke ke liye jinke aage pichhe koi nahi hai.
Shiv : Aapse kisne kaha ki mere aage pichhe koi nahi hai? (Udesinh bas us ko dekh raha tha, jis sahejta se wo bol raha tha usko yakin tha ki usko is baat ka pata nahi hai ki uske samne kon betha hua hai, upar se uski damdar aawaj jo kisi sher ke dahadne jaisi lag rahi thi)(Mene bhi jitna ho sake apani aawaj me narmayi lane ka prayas karte hue kaha) Mera matlab hai ki kayi log hai jo mere sath hai, un sabke sahare hi me ye sab kar paya hu. (Me apane chehre par muskurahat bhi le aaya).
Udesinh : (Muskurahat se)Kon log hai?
Shiv : Mere dost, mere apane gharwale, aur kuchh jo meri sahayta karte hai.
Udesinh : Tumhare gharwala? Me samja nahi, mene to suna tha ki tum anath ho.
Shiv : Aapne sahi suna hai, me anath hi hu, par anathalay hi mera ghar hai.
Udesinh : Oh! Aisa. Chalo achchhi baat hai. (Apani bivi par ek janar dal kar)Bhai bura maat maan na, mere tumhare bare me suna to tumse milne keliye khud ko rok nahi paaya, isliye tumhe yaha bulwaliya. (Me kuchh nahi bola, bas muskuraya) waise kuchh batao apane bare me.
Shiv : Kya jan na chahte hai aap?
Udesinh : (Apane chehre par muskan ke sath)Jo tum batana chaho, kon hao, kya jante ho apane bare me, anathalay kaise pahuche?
Kamnadevi : Mene sab puchha is se, kabse me is se yahi sab puchh rahi thi, isko apane bare me kuchh bhi nahi pata hai, wo kon hai, kaise waha pachucha, kuchh bhi nahi.
Udesinh : To hame bhi batao, hum bhi sun na chahte hai, ha agar tumhe etraj na ho to.
Shiv : (Sahaj bhav se)Muje kya etraj hoga, jaha tak muje pata hai ki me char panch saal ka raha haunga jab me Jankidasji ko ek sadak par ek bhikhari aurat ke pass mila tha, fatehal kapade the, unhone police bulwayi aur muje apane sanrakhsan me le liya, uske baad unhone mere bare me pata karne ki koshis ki, police ne bhi koshis ki par kuchh pata nahi chala, bas tab se wahi hu.
Udesinh : Kad kathi achchhi hai tumhari, rang bhi ekdum chokha hai, kisi bade ghar ke malum hote ho.
Shiv : Wo to pata nahi, par ha mera ghar bhi bahot bada hai, aur bahot se log hai.
Udesinh : (Muskurate hue)Matlab anathalay na.
Shiv : (Muskurate hue)Ji.
Udesinh : Bhai tumhari bate sun kar bahot achchha laga, aksar log is paristhiti me apane aapko lachar aur besahara samajte hai, par tum khud ko majboot samajte ho, tumhari aawaj, tumhari bate, kahi se bhi nahi lagta ki tum bechare ho.
Shiv : Jaha tak muje pata hai, bechara wo hota hai jiska koi bhi nahi hota, ha maa baap nahi hai par mere sath jo log hai, wo bahot hai mere liye.
Udesinh : Sach me tumse mil kar dil khus ho gaya, ab pata chal raha hai ki aise hi log tumhare itne karib nahi ho gaye honge, tum ho hi aise, kisi ka bhi dil sakte ho. Agar bura na mano to bamare sath bethoge? (Kamnadevi ka dil dhadakne laga, wo asankao se bhar gaya, wo apane pati ko gaur se dekhne lagi, usko asanka hui ki wo kahi kuchh kar na de, par wo kya bolti)(Me apani jagah se khada hua aur unke samne ja ke khada ho gaya, ek najar mene unpar dali, aur unke pas me beth gaya, unhone apana hath uthaya, aur mere kandhe par rakh diya, aur kandha dabaya)Bahot majboot sharir hai tumhara. (Unke hath bhi bahot sakht the, yakinan unme bahot takat hogi)Barso ho gaye jo koi hamare baju me betha ho, kyu Kamna? (Kamnadevi muskurayi) Bura maat man na par hume tum apane se lage.
Shiv : Ji uncle. (Jaisa bhi mene socha tha yaha aisa kuchh bhi nahi ho raha tha, wo swabhavik taur par hi baat kar rahe the, meri bhi samaj me nahhi aa raha tha ki jo Beenaji aur dusare log bata rahe hai unme koi sachchayi bhi hai ki nahi, inki bato se aisa kuchh bhi nahi lag raha tha ki un bato me koi sachchayi ho, ya to ye natak kar rahe the ya to fir wo sari bate galat thi.)
Udesinh : Agar hum tumhare koi kaam aa shake to hume khusi hogi. (Kamnadevi bhi yakin nahi kar pa rahi thi, unhe bhi lagne laga tha ki jo kuchh log keh rahe hai wo sab juth hai, uske pati aise bilkul nahi hai)
Shiv : Thank you uncle, par muje aisi koi awasyakta nahi hai.
Udesinh : Par agar hum kuchh kar paye to hume khusi hogi, ye mat sochna ki hum koi chhote mote aadmi hai, tum soch bhi nahi sakte us se kayi jyada dault hai hamare pass.
Shiv : Me aisa kuchh bhi nahi soch raha, aapke pass jo daulat hai wo aapki hai, muje jo kamana hai wo me khud kama lunga.
Udesinh : Sabbas beta, ab yakin ho raha hai muje ki aaj tum jis bhi mukam par ho sahi ho, tum kabil ho. Par tumhari jankari ke liye me bata du ki hamari dharm patni ko aisa lagta hai ki tum hamare kisi apane jaise dikhte ho, aur yakin mano ki hume bhi kuchh aisa hi lagta hai, aur jiske jaise tum dikhte ho wo hamare dil ke bahot karib hai, uske liye to hum kuchh kar nahi paye, par agar tumhare liye kuchh kar paye to hume khusi hogi.
Krupali : Kiski baat kar rahe ho aap?
Udesinh : Hai koi, par hum apane mathe par ek kalank le kar ghum rahe hai, hume sach me khusi hogi jo hum us kalank ko mita sake to. (Shiv ki aur dekh kar)Hume pata hai tumhe paiso ki jarurat hai, apane liye na sahi par apane un gharwalo ke liye jo tumhare sath hai, hume pata hai tum donation bhi ikattha karte ho, to humse bhi le lo.
Shiv : Apne kaha ki muje kya chahiye, is liye mene aapko mana kiya, aap aagar anathalay ke liye kuchh dena chahte hai to jo aapko thik lage wo de sakte hai.
Udesinh : Sach me, jaisa socha tha us se kahi badh kar paya hai tumhe. Pruthvi, hamari bag lao to jara.
Pruthvi : (Khade hote hue)Ji pitaji. (Uski kuchh samaj me nahi aa raha tha ki aakhir uske pitaji karna kya chahte hai? Wo jitne pyar se baat kar rahe hai uske dimag ki to aisi taisi ho gayi thi, jaise ki usko samaj me aaya tha ye ladka agar wohi hai to fir ye aise kyu baat kar rahe hai, ya fir ye wo hai hi nahi, wo ander se ek bag le aaya aur apane pita ko de di)
Udesinh : (Unhone bag kholi to ander noto ki gaddiya thi, unhone meri aur ghumayi)Kitne chahiye. (Mene noto ki gaddio ko dekha aur fir unki aur)
Shiv : Jo aapko thik lage, par ek baat kehna chhunga.
Udesinh : Ha bolo.
Shiv : Aap agar donate hi karna chahte hai to me anathalay ke account ka number de deta hu, aap usme jama karwa dijiye.
Udesinh : (Bag ko band karte hue)Bhai kamal hai, aur kamal ho tum. Humne achchhe achchho ko paiso ko dekh kar lalchate hue dekha hai, humne puri bag khol ke tumhare samne rakh di par majal hai ki tumhare chehre par ek lakir bhi badali ho. Tumhari jagah koi aur hota to paise abhi le leta, kuchh apane liye rakh leta ya pure hi rakh leta, anathalay ko deta ki nahi pata nahi, par tumhare ander inke liye jara bhi moh nahi hai, man na padega.
Shiv : Aapko kisne kaha ki mere ander moh nahi hai, par me jo bhi karna chahta hu wo apane un logo ke liye karna chahta hu jo waha hai. Aur dusaro ka paisa dekh kar meri niyat nahi badalti, jo mera hai wo mera hai aur jo dusaro ka hai wo dusaro ka hi hai, us se muje kya lena dena.
Udesinh : Itni kam aayu me ye thehrav, hume pasand aaya. (Munim ko dekh kar)Ye jo account number de usme dus lakh jama karwa dena. (Fir meri aur dekh kar)Thik hai na, ki aur chahiye?
Shiv : Mene kaha na ki aap ko jo sahi lage, aapke diye dus rupey bhi unko hi milenge aur 10 lakh bhi.
Udesinh : Chalo achchhi baat hai. (apani patni ko dekh kar)Ab to tumhare maan me koi shanka nahi hai na? (Kamnadevi ke chehre par sharmindgi ke bhav chhalak aaye, unho ne naa me gardan hilayi)(Fir Shiv ki aur dekh kar Udesinh ne kaha)Aur kisi bhi chiz ki jarurat ho to batana hichkichana nahi.
Shiv : Aapka sukriya.
Udesinh : Are Rukhi, jara sabke liye sharbat to lao, kabse aaye hai ye sab.
Rukhi : Ji malik.
Sharbat pine ke baad.
Krupali : Me jara khet ghum lu, bahot dino baad aayi hu.
Udesinh : Ha jao, tumhara hi to hai. Shiv ko bhi ghumao, usne kaha ye sab dekha hoga.
Krupaliji ne muje apane sath aane ko kaha, Padmaji bhi hamare sath aayi, hum waha ghumne lage, ek do majdoor bhi hamare sath me hi the, wo bagiche se fal tod kar hume de rahe the.
Kamnadevi : Kya laga aapko?
Udesinh : Kisbare me puchh rahi ho?
Kamnadevi : Aapko pata hai me kis bare me puchh rahi hu, kya aapko ye ladka unke jaisa nahi laga.
Udesinh : Tum sach keh rahi thi, iski sakal kafi milti hai, Yogendra jaise hi nain naksh hai, par is se kya hota hai, hum pata karwate hai, ki sach me ye wo hai ki nahi.
Kamnadevi :Aap sach keh rahe hai?
Udesinh : Tumhe kya lagta hai Kamna, us baat ka muje bhi dukh hai, par jaise tum soch rahi ho wo sab itna bhi aasan nahi hai, karodo ki baat hai, agar ye wo hua to ye un sab ka waris hoga, par socho agar wo na hua aur usko pata chal gaya ki sab uske bare me kya soch rahe hai to wo is baat ka fayeda bhi utha sakta hai.
Pruthvi : Ye sab kya itna aasan hai papa?
Udesinh : Aasan to na uske liye hai na hamare liye, agar ye baat bahar aayi to ye sabit karna padega aur ye sab mamla court me chala jayega, ho sakta hai tab tak ke liye sari property par stay bhi lag jaye, ye sab sabit karne me bahot samay lagta hai.
Pruthvi : Mene DNA test ke bare me bhi suna hai.
Udesinh : Tumhe kya lagta hai DNA test karwana itna aasan hai, court ki permition chahiye aur us se pehle ye sabit karna padta hai ki wo test karwana sahi hai ki nahi.
Kamnadevi : Ek baat ka muje santosh hai ki aap itne shant hai.
Udesinh : Tumhe kya laga tha ki me usko nuksan pahuchaunga? (Kamnadevi kuchh nahi boli)Jab meri bivi hi muj par viswas nahi karti to auro ke liye me kya hi kahu.
Kamnadevi : Nahi aisi baat nahi hai, muje pura viswas hai, aapne kuchh nahi kiya hai. (Udesinh sirf fika muskuraya)Me ander jati hu, dekhti hu sab sahi se to chal raha hai na. (Keh kar wo ander chali gayi)
Pruthvi : Ye aap kya kar rahe ho papa, kuchh samaj me nahi aa raha. (Jaise hi mauka mila pruthvi ne apane maan ki baat kahi)
Udesinh : Agar ye sab samajne lagoge to fir hume chinta hi kya rehti. Aise hi koi nirnay nahi liya ja sakta, tel dekho, tel ki dhar dekho, fir apana kaam karo.
Pruthvi : Aapko kya lagta hai, kya ye ladka wo hi hai?
Udesinh : Wo wohi hai ki nahi us baat se koi fark nahi padta Pruthvi, fark us baat se padta hai ki ye hamare kitne kaam aa shakta hai. Tum ye sab nahi samjoge, tum apani aaiyasio me hi raho. (Udesinh hukka pite hue bola)
Pruthvi : Kya papa aap bhi, me sab kaam nahi dekhta kya?
Udesinh : Hume sab pata hai ki tum kya dekhte ho. (Fir hukka pite hue kisi gehri soch me dub gaye)
Hum bagiche me ghum rahe the, taja fal khane me maza araha tha. Takriban do ghante hum waha ruke, uske baad hum ghar ke liye nikalne lage to Krupaliji ne apane papa ke pav chhue, fir PAdmajine bhi chhue to mene bhi unke pav chhue to wo khade ho gaye aur muje gale lagate hue bole.
Udesinh : Jite raho bete, mene kaha hai wo yaad rakhna, kabhi koi jarurat ho to hichkichana nahi.
Shiv : Ji uncle.
Udesinh : Khus raho.
Hum waha se nikal kar ghar aa gaye, thodi der baate hui, aunty bahot khus thi, jo pehle unke chehre par tanav tha wo ab bilkul nahi tha. Krupaliji ne apana ghar bhi muje dikhaya, fir hamne unse ijajat mangi. Aunty ne Krupaliji ko gale laga liya aur unki ankhe num ho gayi, Padmaji bhi unse gale lagi, mene aunty ke pair chhue aur me Padmaji ke bhi pair chhune laga to wo pichhe hat gayi.
Padma : Ye kya kar rahe ho, aap mehman ho hamare.
Kamnadevi : To kya hua beti, tumse chhota hai, haq hai uska. (Me fir jhuka aur unke pair chhue to wo asahaj ho gayi, par boli)
Padma : Jite raho.
Fir hum waha se Krupaliji ke ghar ke liye nikal gaye. Wo muje apane bachpan ke kisse suna rahi thi, me samaj sakta tha ki wo abhi apane ghar se aayi hai to unhe wo sab yaad aa raha hoga. Hum raste me ek jagah ruke aur fir ghar ke liye nikal gaye. Vashisthji ka phone aaya to Krupaliji ne baat ki.
Krupali : Wo kisi kaam ke liye bahar ja rahe hai.
Shiv : To? (Unki muskan dekh kar me unke irade samaj raha tha par me anjan bana)
Krupali : To kuchh nahi, bas bata rahi hu. (Wo thodi narajgi se boli, me muskurane laga)Isme muskurane ki kya baat hai.
Shiv : Bas aise hi.
Aise hi hasi mazak karte hue hum ghar pahuch gaye, raat ke dus baj gaye the, bhukh lagi thi to humne khana khaya. Uske baad me apane kamare me chala gaya. Mene dekha to Swarna ji ke char panch msg the. Itni raat ko baat karna muje thik nahi laga, mene bas msg kar diya.
Shiv : Hi. (Turant hi msg aaya)
Swarna : Kaha ho tum?
Shiv : Krupaliji ke ghar. (Thodi der koi msg nahi aaya)
Swarna : Baat kar shakte ho?
Shiv : Aap call karo, me room me hi hu. (Thodi der baad call aayi)Hello.
Swarna : (Dhimi aawaj me)Tum thik ho na?
Shiv : Ha thik hu.
Swarna : Papa se mile.
Shiv : Ha mila.
Swarna : Kya kaha unhone?
Shiv : Aisa kuchh khas nahi kaha, unhone meri madad ki, anathalay ke liye donation diya. (Wo khamosh ho gayi)Hello.
Swarna : Ha sun rahi hu.
Shiv : Jis tarha se aap sab keh rahe ho muje to aisa kuchh nahi laga.
Swarna : Meri bhi samaj me nahi aa raha hai. (Kuchh der ruk kar)Achchha chhodo wo sab, tum thik ho wahi bahot hai. Me rakhti hu, kal shanti se baat karte hai.
Shiv : Thik hai, good night.
Swarna : Good night. (Fir unhone call cut kar diya, me sochne laga ki akhir sach kya hai? Ye sab me soch hi raha tha ki darwaje par dastak hui)
Update 245

Mast update BhaiUpdate 245

Bahut jabardast update bhai aakhirkaar hero aur uske tau ji ki pheli mulakat ho hi gayi aur Kamnadevi hero ke baare acha sochti hai use pata hai uska pati kaisa hai isliye Udesingh uske samne acha ban raha hai aur use shak tha kafi hai ki Shiv hi Shivansh hai but sath me agar wo Shivansh nahi bhi nikla toh bhi wo hero ka use karna chahta hai aur Padma bechari pati aur sasural se pareshan use Krupali aur hero par shak ab dekhte hai iska number kaise lagega aur donation bhi mil gaya bhale hi sab hero ka hi hai but abhi bhi hero ko Udesingh par ma toh pura bharosa hai aur na hi shak hai puri tarah se dekhte hai ab shayad Krupali me door knock kiya haiUpdate 245