• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Kundali Bhagya

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

My143mysweet

New Member
30
69
18
Update 258

Prakruti ne socha tha ki Shiv sidhe hi mana kar dega par jab Shiv ne kaha ki kitne de sakte hai to wo thodi chid gayi thi, usko lag raha tha ki Shiv bhi paiso ki demand karega.

Prakruti : (Chidte hue)Tumhe jigne chahiye utne denge, tum bolo to.

Shiv : (Maze lete hue)Wohi to puchh raha hu, socho agar mene kaha ki ek lakh aur tumhare papa shayad dus lakh dene ko taiyar ho aur mene kaha ki dus lakh aur tumhare papa pachas lakh dene ki soch rahe ho, tum samaj rahi ho na me kya keh raha hu.

Prakruti : (apane dant piste hue par normal awaj rakhne ka prayas karte hue)Me sab samaj rahi hu.

Shiv : To ek kaam karo, apane papa se hi puchho ki unki najar me apani beti ki kitni kimat hai.

Prakruti : Ye kya bakwas kar rahe ho, wo bhala kyu meri kimat tay karenge?

Shiv : Exactly, apane papa se keh dena ki tum bikau nahi ho, tum anmol ho, agar wo tumhari jaan ki kimat tay kar rahe hai to wo galti kar rahe hai, mene paiso ki chah me tumhe nahi bachaya.

Prakruti : (Wo itni khus ho gayi ki wo bistar par khadi ho gayi aur kudne lagi aur nachne lagi)(Yaha me koi jawab na aata dekh hello hello kar raha tha)(Thodi der kudne ke baad usko sunayi diya ki Shiv samne se hello hello kar raha hai tu usne khud ko sambhala aur kaha)Hello.

Shiv : Tumhari saas kyu ful rahi hai.

Prakruti : (Apani khusi chhupate hue)Nahi kuchh nahi, (Shiv ko aur parakhte hue)Tum apana hi nuksan kar rahe ho, maang lo jo mangna hai, papa inkar nahi karenge, aur agar karenge to bhi me unhe mana lungi.

Shiv : Mene kaha na ki muje koi paise nahi chahiye.

Prakruti : (Uske chehre par muskan thi)Kyu apana nuksan karwa rahe ho, mere papa bahot bade aadmi hai, tum soch bhi nahi sakte utne bade. Tumne shayad naam to suna hi hoga, Sukhdevsinh kayi industrio ke malik hai.

Shiv : Kya kaha Sukhdevsinh? (Mera maatha thanka, shayad mene ye naam pehle bhi suna ho par us waqt mene jyada dhyan nahi diya tha, par abhi Udesinhji ne apane chhote bhai ke dost ka naam bhi Sukhdev hi bataya tha, kya ye dono ek hi hai? Mere maan me sawal ghumne laga)

Prakruti : Ha Sukhdevsinh. Suna hai na naam?

Shiv : Ek baat batao, kya tum Udesinhji ko janti ho?

Prakruti : (Chaunkte hue)Tum unhe kaise jante ho?

Shiv : Matlab tum janti ho.

Prakruti : Ha janti hu, par tum kyu puchh rahe ho? (Prakruti janti thi ki Udesinh kon hai, uske papa ne sab bataya tha, uske samne fir se ek baar fir wo sab aa gaya, uske haath kaamp gaye, wo Shiv se baate karte hue apana atit bhul hi gayi thi, wo serious ho gayi)

Shiv : (Uski awaj serious ho gayi thi, muje samaj aa gaya ki kuchh to gadbad hai)Kya tum Yogendraji ko ko janti ho?

Prakruti : (Uske hath pair sab kanpne lagi, wo fir bistar par dhadam se beth gayi)Ha janti hu. (uski awaj me kampan saaf mehsus ho raha tha, wo soch bhi nahi sakti thi ki Shiv inke bare me kaise janta hai, par uska pura vajud hi jaise kanp raha tha, uska Shiv se baat karna mukil ho raha tha)Me phone rakhti hu, me baad me baat karungi. (Me usko rokna chahta tha par us se pehle hi usne phone kaat diya, me apane phone ko dekhne laga, me aur jan na chahta tha, par jis tarha se Prakruti ki aawaj badal gayi thi mene phone nahi lagaya, me kuchh pal waha betha sochta raha, aur sab samajne ki koshis karta raha ki mene aisa kya puchh liya jo Prakruti itna ghabra gayi thi, mene to saral sa sawal hi puchha tha, me bas confirm karna chahta tha ki Sukhdevji wahi hai ki nahi, uski bato se itna to pata chal gaya tha ki ye wahi hai, aur wahi Udesinhji ke bhai ke dost hai, matlab wo jante honge ki Yogendrasinhji kaha hai, (Achanak uske dimag me ek baat kondhi)Ek minute, Udesinhji ne bataya ki Yogendrasinhji coma me hai, me Prakruti ke sath hospital gaya tha to waha koi ilaj karwa rahe the, (Me dimag par jor dalne laga)Kya wo coma me the? Kya Prakrutine aisa kuchh bataya tha? Kyu mere dimag se nikal gaya hai? (Me dimag me jor dene laga, aksar jo chiz hamare kaam ki nahi hoto usko dimag apani memory se nikal deta hai, us waqt mere liye wo baat itna mayne nahi rakh rahi thi to muje yaad nahi aa raha tha ki unko hua kya tha, par kahi na kahi mera dil keh raha tha ki shayad wo wahi the, aur agar me sabki baat par yakin karu to wo shayad mere papa ho sakate hai, tabhi mera dil us waqt bechaini mehsus kar raha tha shayad, muje lagne laga tha ki shayad wo hi mere papa the, par yakini taur par nahi keh sakta tha, kyu ki abhi to me ye bhi nahi janta tha ki me Shivans hu bhi ya nahi, me jitna soch raha tha aur suljane ki koshis kar raha tha mejaise aur ulajta jaa raha tha, mera maan kiya ki me ek baar Prakruti ko phone laga du, par fir mene khud ko rok liya, me waha se utha aur ghar ki aur chal diya)

Beena ki najare Shiv ko dhundh rahi thi, uske saas sasur aur pati aage taiji ke sath bethe hue the aur wo Padma ke sath kitchen me thi.

Padma : EK baat puchhu , kisko dhundh rahi ho aap? (Padma kabse dekh rahi thi ki Beena ki najare idhar udhar ghum rahi hai, usko lag raha tha ki wo us ladke ko hi dhundh rahi hai, wo ye bhi janti thi ki wo unke hi school me padhta hai to wo janti hogi, par jis tarha se wo dhundh rahi thi kahi na kahi uske ander shaq paida kar raha tha, kafi der dekhne ke baad usne puchha tha)

Beena : (Khud ko sambhalte hue)M me kisko dhudhungi, me to bas ghar dekh rahi thi, kafi dino baad aayi hu na, to bas dekh rahi thi.

Padma : (Muskurate hue)Muje laga ki aap kisi ko dhundh rahi ho, waise wo bahar daud ki practice ke liye gaya hai. (Padma ne bhi tir chala diya, aur Beena sach me charo khane chit ho chuki thi par usne chehre se ye dikhne nahi diya aur khud ko sambhal kar)

Beena : K kiski baat kar rahi ho aap? Kya bhai sahab daud ki practice ke liye gaye hai?

Padma : Aapne shayad suna nahi thik se, mene kaha ki wo gaya hai, gaye hai aisa nahi kaha, kya me unke liye is tarha ki bhasa ka prayog kar shakti hu?

Beena : To fir kis ki baat kar rahi ho aap?

Padma : Me Shiv ki baat kar rahi thi, wo apka student, muje laga shayad aap usko dhundh rahi ho.

(Padma ne sidhe hi bol diya)

Beena : Me kyu usko dhundhungi, ha waise wo dikhayi nahi diya, muje laga shayad apane kamare me hoga. Aur isme kya hai, pata nahi tauji ne usko yaha kyu bulwaya hai, aap janti ho kya is bare me?

Padma : (Anjan bante hue)Nahi, muje to kuchh nahi pata, par wo kuchh Yogendra ka beta aisa kuchh maaji se baat kar rahe the, meri samaj me nahi aaya ki wo kya baat kar rahe the. (Ye sun kar to Beena ke hosh hi ud gaye, wo janti thi ki uske tauji samaj chuke hai ki Shiv kon ho sakta hai, aur waise bhi us se jyada to wo apane bhai ko jante the to wo usko yakinan pehchan gaye honge ki Shiv ke ander uske maa baap ki chavi dikhti hai, ye sun kar to uska dil aur ghabra gaya ki tauji ne maanliya hai ki Shiv wahi hai, pata nahi ab aage kya hoga ye soch kar hi uska dil darne laga)(Apani devrani ke chehre ke badalte bhav dekh kar wo samajne ki koshis kar rahi thi ki akhir isko kyu itna tension ho raha hai)Kya hua, kis baat ka tention ho gaya aapko?

Beena : Tension?, kaisa tention, me to bas soch rahi thi ki Yogendhrachacha ke ladke ki kya baat kar rahe honge. Waise tauji najar nahi aa rahe, hame yaha milne ko bulwaya aur wo hi nahi hai.

Padma : Maaji bata rahi thi ki aa rahe hai abhi, raste me hai. (Beena ko samaj nahi aa raha tha ki kya honewala hai)

Me waha pahucha to ghar me sab ko dekh kar me thoda jijhak gaya.Muje dekh kar sabki nigahe meri aur ho gayi, Gigneshji bas aise hi dekh rahe the par baki sabki nigahe jaise muje dekh kar chamak rahi thi.

Kamnadevi : Aa gaye beta, aa jao, sab ghar ke hi hai. (Wo Shiv ki jijhak ko bhanp gayi thi)

Nirmaladevi : Wo hame janta hai, kyu beta? (Mene muskurate hue sab ke pair chhue, Jigneshji ne hath milaya) Jignesh ne bataya tha ki tum aaye ho, ghar kyu nahi aaye? (Me kya bolta, bas muskuraya) Mene Beena ko bhi danta tha ki aise kaise sidhe tumhe yaha chhod diya, hamare ghar bhi aa sakte the na. (Kitchen me aawaj aa rahi thi to dono samaj gayi ki Shiv aa gaya hai, Beena ka dil kiya ki daud kar bahar chali jaye par Padma ki wajah se wo ruk gayi thi aur khud ko sambhal liya tha)

Padma : (Fir jaise chhed rahi ho)Apka student aa gaya hai, milna nahi hai aapko?

Beena : Abhi mil hi lenge, abhi ye thoda kaam hai jo nipta lete hai. (Padma uske chehre ko padhne ki koshis kar rahi thi, pata nahi kyu usko Shiv kuchh rahasyamayi lag raha tha, wo ye to nahi soch pa rahi thi ki in dono ke bich koi sharirik sambandh honge, bas wo ye mehsus kar pa rahi thi ki Shiv unke liye kuchh khas hai)(Bahar)

Kamnadevi : Tum kapade badal lo, sab pashine se bhig gaye hai, tab tak tumhare uncle bhi aa jayenge.

Shiv : Ji badi ma. (Me upar chala gaya)

Nirmaladevi : (Ascharya se)Isne aapko badima kaha?

Kamnadevi : (Muskurane lagi) Ha kaha, to?

Nirmaladevi : (wo ander se hil gayi thi, kyu ki wo jo soch rahi thi agar wo sach hai tabhi wo uski taiji lagtimatlab badi ma) Par ye aapko badima kyu keh raha hai?

Kamnadevi : Isme konsi badi baat hai, mene hi usko ye kehne ko kaha hai.

Nirmaladevi : Par kyu?

Kamnadevi : Tumhare sab sawalo ke jawab mil jayenge, abhi wo aa rahe hai, wo aapse baat karenge.

Nirmaladevi : (Apani jethani ka hath pakad kar)Kya aapko bhi lagta hai ki ye wohi hai?

Kamnadevi : (Halka sa muskurate hue)Kyu itni besabar ho rahi ho, abhi sab pata chal jayega.

Nirmaladevi : Batao na didi, mujse to raha nahi jata.

Kamnadevi: Abhi unko aane de sab pata chal jayega, unhone kaha hai ki wo hi aa kar baat karenge.

Nirmaladevi : Mera dil dhadak raha hai didi, batao na, kya me jo soch rahi hu wo sahi hai, jis din se usko dekha hai pata nahi kyu muje aisa lag raha hai ki ye unka hi beta hai. (Abhi tak wo jis baat ko dar ki wajah se juban par nahi la pa rahi thi wo ab khul kar bol rahi thi, pehle unko dar lag raha tha ki kahi ye wahi ho aur uske jeth fir se usko koi nuksan pahucha de to? Par abhi unke hi ghar me unki patni hi uske sath rista banaye bethi hai to uski himmat khul rahi thi aur wo apane jajbad khul kar rakh rahi thi)

Kamnadevi : Agar aisa lag raha tha to pehle bataya ku nahi?

Nirmaladevi : Kaise kahti didi, dil me dar tha, aur me khud yakin nahi kar pa rahi thi ki ye sahi bhi ho sakta hai, usko dekh kar kabhi aisa lagta hai jaise Yogendrabhaisahab ko dekh rahi hu ya kabhi lagta hai jaise Chandrika ko dekh rahi hu, dono ki chavi usme dikhayi deti hai, me sach keh rahi hu na?

Kamnadevi : Ha baba tum sach keh rahi ho.

Chandrabhan : Ye sach hai bhabhi, kya ye wahi hai?

Kamnadevi : Sach kahu bhaisahab to muje bhi nahi pata, par pata nahi kyu usko dekh kar aisa algta hai, apke bhai bhi bata rahe the ki... (wo bolte bolte ruk gayi)

Chandrabhan : Kya bata rahe the?

Kamnadevi : Abhi kuchh maat puchhiye mujse, unko aa jane dijiye, wo sab batayenge, warna aap jante hi ho ki wo kitna gussa karte hai. Aur waise bhi me jyada nahi janti, unko aa jane dijiye.

Udesinh : Kisko aa jane dijiye? (Sab khade ho gaye, Nirmaladevi ne turant shir par pallu le liya)

Kamnadevi : Hum aapki hi baat kar rahe the. (Udesinh waha aaya to sabne bari bari pair chhue)

Uesinh : Beena bahu nahi aayi?

Kamnadevi : Beena, Padma ke sath kitchen me hai.

Udesinh : Achchha achchha, betho sab. (Sab khamosh ho gaye the, abhi tak sab jo sawal puchh rahe the wo khamos bethe the, jab thodi der hui aur Udesinh kuchh nahi bola to Chandrabhan ne kaha)

Chandrabhan : Hume kyu bulwaya tha bhaiya?

Udesinh : Batata hu, pehle khanawana to kha lo? (Chandrabhan ne apani bivi ki aur dekha jo issara kar rahi thi ki puchhiye na)

Chandrabhan : Abhi khane ka time kaha hua hai bhaiya, abhi der hai, aap bata dijiye.

Udesinh : Achchha thik hai, Beena ko bhi yaha bulwa lo. (Nirmaladevi ne Jignesh ko issara kiya to wo kada hua aur kitchen me ja kar unhe bahar aane ko kaha, Beena shir par pallu liye bahar aayi aur Udesinh ke pair chhue)Jiti raho, kaisi ho bahu.

Beena : Aapka ashirwad hai.

Udesinh : (Apani bivi ki aur dekh kar)Shiv kaha hai?

Kamnadevi : Wo apane kamare me gaya hai, abhi daud ke aaya hai to fresh hone gaya hai.

Udesinh : Achchhi baat hai. (Sab ki aur dekh kar) Mene aap sab ko ek khas baat ke liye bulaya hai, waise to me chahta tha ki Swarna, Krupali aur Mamta ko bhi bulwa lu, par unse baad me baat karenge, pehle hamare ghar me baat hona jaruri tha. (Sab gaur se sun rahe the) Tum sab Shiv se to mile hi ho, aur shayad tumhe bhi wahi laga tha jo muje laga hai. Pichhale kuchh samay se me us se mila aur us se baat ki, uske bare me jan ne ki koshis ki, uske bhutkal me kuchh jyada jan ne ko nahi hai, par jitna bhi mene jana us se muje ye lag raha hai ki ye shayad wo ho sakta hai jo hume lag raha hai. (Usne sab ko gaur se dekha, sab usko sun rahe the) Tum sab sahi anuman laga rahe ho, me Shivans ki hi baat kar raha hu, jab baat karte hai Shivans ki to ye baat apane aapme hi bahot badi ho jati hai, kyu ki yaha baat sirf ye nahi hai ki wo Yogendra aur Chandrika ka ladka hai ki nahi, par baat ye bhi ho jati hai ki wo itnibadi jayedad ka varis hai ki nahi. Hum aise hi nahi keh sakte ki hume lagta hai ki ye wahi hai aur sab maan jayenge, kyu ki hame bhi yakin hona chahiye aur koi thos karan bhi hona chahiye. Khair wo bhi me pata kar hi lunga, par tab tak me chahta hu ki aap usko wahi samje jo aapka dil samaj raha hai, tumhe kha lagta hai Chandrabhan.

Chandrabhan : Jo aap kahe bhaiya, usko dekh kar aisa jarur lag raha hai ki ye wo ho sakta hai, par yakini taur par kehna aur sabke samne sabit karna thoda kathin to hai.

Udesinh : Ek baat me aur bhi kehna chahta hu, muje pata hai ki sab meri pith pichhe mere bare me kya sochte hai. (Udesinh ne sab par najare daudayi to sab ki najare jhuk gayi) Ye ek aisa kalank hai jo me barso se apane mathe par le kar ghum raha hu, par shayad uparwale ne muje ye kalank mitane ka avsar diya hai. Me sabit kar dena chahta hu ki me uska dusaman na kabhi tha na abhi hu. Wo ek hadsa tha jo hua. To me ye chahta hu ki ye sabit hota rahega ki wo ye hai ki nahi, par me usko apane Yogendra aur Chandrika ka beta manta hu aur usko wahi sthan dena chahta hu jo usko milna chahiye. Kya kehna hai tum sabka? (Beena bahot khus ho gayi thi, bhale hi uska maan abhi manne ko taiyar nahi tha, ki ye itni asani se is baat ko swikar kar rahe hai, par jo bhi ho Shiv ko uska uchit sthan mil raha tha)

Chandrabhan : Jaisa aap kaho bhaiya, waise bhi usko dekh kar hi lagta hai ki ye wahi hai. Hume Sukhdevji ko bhi inform kar dena chahiye.

Udesinh : Uski chinta tum maat karo, wo me apane hisab se kar lunga, par me nahi chahta ki uska aur uski beti ka saya bhi Shivans par pade.

Chandrabhan : Par ye kaise mumkin hai?

Udesinh : Mene kaha na ki na matlab na. Uske kiye ki saja me itne salo se bhugat raha hu, ab uski bari hai, tum sab jante hi ho ki tab kya hua tha, kya tum logo ko nahi lagta ki in sab ka jimmedar wo hi hai, usne apani beti ki khatir hamare bete ko bali chadhadiya. (Sab khamos the)

Padma : Aap kis bare me baat kar rahe hai pitaji? (Padma ko kuchh samaj nahi aa raha tha ki akhir kis bare me baat ho rahi hai, to uske muh se anayas hi nikal gaya)

Uesinh : (Udesinh ne jaise hi apani bahu ko dekha to wo kaanp si gayi, usne najare jhuka li) Tumhe ye sab jan ne ki jarurat nahi hai, aur kisi ko wo baat dohrane ki jaurat nahi hai, wo me dekh lunga. (Udesinh ke aisa keh dene se kisi ki himmat nahi hui ki koi aur kuchh aage puchhe, tabhi Shiv sidhio se utarta hua dikha, sab uski aur dekhne lage)(Jaise hi meri najar sab par padi to me jijhak sa gaya, sab muje aise dekh rahe the jo muje samaj nahi aaya, me unke pass aa gaya) Aao Shivans, betho yaha. (Unhone muje Shivans keh kar bulaya to muje kuchh ajeeb laga, par me kuchh bola nahi, aur unke pass beth gaya) To jaisa mene aap sab ko bataya ye hamara Shivans hi hai, muje to koi shak nahi hai, aap logo ko is bare me kuchh kehna hai? (Koi kuchh nahi bola bas sab Shiv ko dekh rahe the) Muje lagta hai sab ne maan liya hai, to muje aur kuchh kehne ki koi jarurat nahi hai, tum log betho me fresh ho kar aata hu. (Keh kar wo uthe aur apane kamare ki aur badh gaye, jaise hi wo apane kamare me gaye turant Nirmaladevi uthi aur Shiv ke pass ja kar beth gayi aur uska chehre sehlane lagi)

Nirmaladevi : Isko pehli bar dekha tha tabhi muje laga tha ki ye koi apana hai, iske chehre ko dekh kar samaj me nahi aa raha tha ki kya ye sach hai jo me soch rahi hu, par uparwale ne hamari sun li didi, Shivans laut aaya hai.

Kamnadevi : Sach keh rahi ho tum, (Wo bhi khadi hui aur Shiv ki dusari side beth gayi)Ab samaj aaya ki ye muje kyu badima keh raha tha.

Nirmaladevi : Aap to badi chhupirustam nikali didi, akele akele apane bete se pyar ladane lagi, hume khabar bhi nahi ki (Usne ruthte hue kaha aur sath me unki ankho me aasu chhalak aaye)

Kamnadevi : Ab me kya kehti, muje to abhi bhi yakin nahi aa raha ki ye hamare bich betha hai. (Wo Shiv ka hath pakad kar usko chumne lagi)(Dono apana apana pyar jata rahi thi wahi Beena dur khadi ye sab dekh rahi thi, jis baat ki usne kalpana ki thi wo din akhir kar aa gaya tha, usko khusi thi ki Shiv ko uski pehchan mil gayi hai par sath me dukh bhi ho raha tha ki ab wo uska devar hai aur unke bich kis tarha ka sambandh hai, usko bahot sharm aa rahi thi, wo kaise ab Shiv se pyar karegi usko samaj nahi aa raha tha, ek aur uski kokh me Shiv ka ansh pal raha tha aur dusari aur wo uska dewar lagta tha, aur devar bete ke saman hota hai.

Padma : Chaliye hum khana dekhte hai (Usne Beena se kaha)

Beena : Ha chaliye.

Padma : (Kitchen me ja kar, Dhire se )Aapko sach me lagta hai aisa?

Beena : (Khud ko sambhalte hue Padma ko dekhne lagi)Kis bare me keh rahi ho?

Padma : Yahi ki ye Yogendrachacha ka ladka hai.

Beena : Abhi to tauji ne kaha aur wo dono bhi to maan rahi hai.

Padma : Muje nahi pata ye kyu maan rahi hai, aisa thodi na hota hai, pitaji kyu keh rahe hai wo samaj me aata hai par inhe kyu aisa lagta hai?

Beena : Tauji kyu keh rahe hai aisa? (Padma jijhak si gayi, wo khud ko kosne lagi ki uske muh se kya nikal gaya, wo chup ho gayi)Batao bhabhi, aapko kya lagta hai ki Tauji kyu isko Shivans keh rahe hai?

Padma : (Wo gabhrane lagi ki ab wo kya kahe, usko is bare me kuchh bhi kehne se uske pati ne mana kiya tha)Muje kuchh nahi pata, ye to bas aise hi muh se nikal gaya tha, chaliye khana lagwate hai, (keh kar wo dur bhag gayi, Beena usko dekhne lagi, uska dil gabhra raha tha ki ye aisa kyu keh rahi hai, jarur koi baat hai, par wo dur chali gayi thi aur waha dusare naukar bhi the to wo kuchh puchh nahi payi, thodi der baad sab khane ke liye ikattha hue)

Udesinh : Tum sab khana khao, me aur Chandrabhan thodi der baad khate hai. (Sab ko pata tha ki wo aisa kyu keh rahe hai to kisi ne apatti nahi jatayi, wo dono bahar loan me chale gaye, me aur Jitneshji sabhi ladies ke sath khane beth gaya, dono aunty muje pyar se khilane lagi, me mana kar raht tha par dono bari bari muje khila rahi thi, me ye to samaj raha tha ki Udesinhji muje kyu Shivans bana rahe the par in dono ka to koi swarth nahi tha aur fir bhi dono maan rahi thi ki me Shivans hu, iska matlab kuchh to baat hai jo ye log itni aasani se swikar kar rahe hai ki me Shivas hu, mene dekha ki Beenamadam muje dekhti thi par jab bhi me unki aur dekhta to wo najare jhuka leti thi, muje unse bhi baat karni thi par abhi aisa koi mauka nahi tha, Jignesh ko kuchh samaj nahi aa raha tha, waise bhi usko ye sab yaad nahi tha, to wo bas sab dekh raha tha)(Bahar loan me Udesinh aur Chandrabhan bethe the, dono ke hath me glass the)

Udesinh : Tumne kuchh kaha nahi Chandu. (Wo akele me aksar is tarha se hi bulate the)

Chandrabhan : Isme kuchh kehne ki kya gunjais ai bhai.

Udesinh : To tum meri baat se sehmat ho na ki yahi wo hai.

Chandrabhan : Isme kya shaq hai, uske nain naksh hi batate hai ki wo un dono ka hi ladka hai. (Waise to Udesinh ye janta hi tha, par log itni asaani se maan rahe the to ye baat uske liye khatare ki bhi ghanti thi, wo Shiv ko Shivans banana chahta tha, par agar wo sach me Shivans hai to ye uske liye ek khatare ki baat jarur thi, wo maan me is bare me bhi planing kar raha tha ki Shiv ko to yahi lagna chahiye ki wo hi usko Shivans bana raha hai, na ki wo Shivans hai)Ab aage kya socha hai aapne?

Udesinh : Kis bare me puchh rahe ho?

Chandrabhan : Agar ye Shivans hai to fir ye sab ko batana padega, kya Shivans ne apane maa baap ke bare me nahi puchha? Wo bhi apane maa baap se milna chahta hoga na.

Udesinh : In sab bato ki fikar karne ki tumhe jarurat nahi hai, wo sab me dekh lunga, kya karna hai kaise karna hai wo sab mene soch liya hai.

Chandrabhan : Sukhdev ko bhi batana padega.

Udesinh : Mene kaha na ki wo sab me dekh lunga, aur waise bhi usko bataye bagair thodi na chalega. (Uska chehra dekh kar koi bhi bata sakta tha ki wo kisi gehri planing soch raha hai, dono me chuppi rahi, bas dono glass me se ghunt bhar rahe the. Fir idhar udhar ki baate hone lagi aur dono jaam par jaam pite gaye. Uske baad dono ne khana khaya, fir wo sab ghar ki aur nikal gaye, Beena baar baar Shiv ko dekh rahi thi par jab Shiv usko dekhta to wo najare nahi mila pati thi, wo Shiv ko apane sath le jana chahti thi par aisa mumkin nahi ho paya, par uski saas ne Shiv ko kal ghar aane ko kaha to wo thodi khus ho gayi thi)

Shiv uske kamare me chala gaya, Padma ne apane pati ko phone kiya to usne bhi kaha ki wo der se aayega to wo bhi apane kamare me chali gayi, yaha Kamnadevi aur Udesinh bhi apane kamare me aa gaye the, dono ne sonewale kapade pehan liye the.

Kamnadevi : Me Shivans ko dekh kar aati hu, wo thik se soya ki nahi.

Udesinh : (Wo waise bhi nashe me tha aur usko neend aa rahi thi) Thik hai. (Kamnadevi khus hote hue Shiv ke kamare ki aur badh gayi, usne bhi sonewala gown pehan liya tha, usne jab Shiv ka darwaja kholna chaha to wo ander se band tha to usne darwaja khatkhataya, thodi der baad darwaja khula to Shiv tauliya lapete hue tha, anayas hi uski najar Shiv ke pure sharir par gayi, uska majboot sharir dekh kar uske chehre par muskan aa gayi, wo pyar se usko sarah rahi thi, uske maan me aisa waisa kuchh nahi tha, par fir bhi usko khusi ho rahi thi ki uska beta itna majboot hai.

Shiv : Aaap??

Kamnadevi : Kyu? Me nahi aa shakti kya? (wo kamare me aa gayi) Me bas dekhne aayi thi ki tuje kisi chij ki jarurat to nahi hai na.

Shiv : Nahi badima, me bas sone hi ja raha tha.

Kamnadevi : Chal me tuje sula deti hu.

Shiv : Nahi badima, me so jaunga.

Kamnadevi : Ha janti hu ki tu bada ho gaya hai, par humne to tumhara bachpan kho diya hai na, to hume to apane arman pure karne de. Par tuje sharm aa rahi hai to me chali jati hu. (Unhone juthmuth ruthne ka bahana kiya)

Shiv : Aisi koi baat nahi hai.

Kamnadevi : (Khus hote hue)To chal fir. (Me towel lapete hi let gaya, Kamna ko bhi andaja tha to wo bhi kuchh nahi boli, wo uske shir ke pass let gayi wo thodi upar ko thi, jaise tek lagaye bethi ho, to adhi leti aur aadhi bethe hue, wo uske shir ko apane daye hath aur apane sharir ke bich rakhe hue baye hath se uska chehra aur uske baalo ko sehlane lagi)Kitna chhota tha tu aur ab dekho kitna bada ho gaya hai. (Unhone jhuk kar pyar se uske chehre ko chuma to unke stan Shiv ke chehre se takra gaye, par na Shiv ne kuchh notice kiya na Kamnadevi ne, kyu ki dono hi sudhh pyar ki anubhuti kar rahe the)(Wo fir se suru ho gayi aur muje mere bare me batane lagi, sath me wo mera chehra aur baal sehla rahi thi, sach me dil me ek sukun sa bhar raha tha, meri ankhe bhi bojil hone lagi, aur kab me so gaya muje hi pata nahi chala, Kamna ki bhi aankh kab lag gayi usko pata nahi chala, par raat me kuchh aawaje hui to uski neend tut gayi, usne apane shine se chipke Shivans ko dekha, jo gehri neend me so gaya tha, usne ahista se usko achchhe se sulaya aur bahar nikali, usne dekha ki uska beta ladkhadate hue yaha waha takrate hue sidhiya chadh raha hai, usko gussa aaya aur usne Shivans ke kamare ka darwaja band kiya aur waha khadi rahi, Jab Pruthvi upar aaya to usne apani maa ko waha gusse se khadi hui dekha, wo nashe me tha par fir bhi apani maa ko dekh kar wo thoda dar gaya.

Pruthvi : Maa tum?

Kamnadevi : Ye koi waqt hai ghar aane ka, aur jab dekho tab piye hue hi hote ho, ghar ka kuchh khayal hai ki nahi. (Pruthvi chup chap sun raha tha)

Pruthvi : Tum yaha kya kar rahi ho?

Kamnadevi : Me Shivans ko sulane aayi thi.

Pruthvi : Wo koi Shivans vivansh nahi hai, harami kahi ka.

Kamnadevi : Tujse kya baat karu, khud to hosh me hai nahi, anab sanab baak raha hai, ja apane kamare me ja, itni achchhi bahu la kar di fir bhi ghar pe rehne ka namo nisan nahi hai. (Padma bhi jag chuki thi to apane kamare ke darwaje par khadi sun rahi thi)

Pruthvi : Kya khak achchhi hai, Sali maa bhi nahi ban payi hai, log muje tana dete hai, meri pith pichhe muje namard kehte hai, usko kya gharm me padi rehti hai.

Kamnadevi : Ye kya bakwas kar raha hai, ja so ja, muh se kitni badbu aa rahi hai. Pata nahi baap bete ko iske bagair chalta hi nahi hai. Ja so ja, aur baat karni hai to hosh me kiya kar. (Pruthvi ladkhadate hue apane kamare ki aur jane laga to Padma daud kar bistar me let gayi aur sone ka dhong karne lagi, Kamnadevi apane kamare me chali gayi, aur Pruthvi apane kamare me)

Pruthvi : (apani bivi ko soya dekh kar)Sali kutiya, kaise soyi hai, kamini, apane yaar se chudwa aayi fir bhi maa nahi bani aur sab mujko dosh dete hai, hikkkk. (Padma sab sun rahi thi, uski ankho seaasu chhala aaye)E uth Sali, dekh tera pati aaya hai. (Par Padma hili bhi nahi)Eee uth na, (Par wo nahi hili, Pruthvi bhi nashe me tha to side me ludhak gaya aur sone laga, Padma ne apane aasu pochhe aur sone ka prayas karne lagi)

Aaj sham ko Krupali Shiv ke saher aayi thi, wo apani bahen Swarna ke ghar ruki thi, wo doctor se checkup ke bahane aayi thi, par uska dil to Shiv se milne ko tadap raha tha, par sham ko der se aayi thi to Shiv se milne ko nahi ja sakti thi aur nahi wo aisa kuchh keh sakti thi, kal doctor ko dikhane ko jana tha, abhi tak usne Swarna ko bhi nahi bataya tha, na hi kisi aur ko bataya tha, wo chahti thi ki sabse pehle wo Shiv ko bataye, waise wo pehle hi Shiv ko keh chuki thi par ye baat confirm nahi thi, par ab ye baat confirm ho chuki thi ki wo maa ban rahi hai, wo bahot khus thi aur isiliye wo Shiv se milne aayi thi, par usko Shiv se milne ka tarika najar nahi aa raha tha, raat ko usne socha ki Shiv se ek baar baat kar le par wo Shiv ko surprise dena chahti thi to jaise taise usne khud ko sambhala tha. Wo dusare din ka intejar kar rahi thi.

Yaha Subah pata nahi kyu meri aankh jaldi nahi khuli, shayad school jane ki tention nahi thi to ankh jaldi nahi khuli. Kamnadevi jag chuki thi aur wo apane subah ke nityakram me lagi hui thi, Padma bhi subah uth kar niche chali gayi to usko uski saas mil gayi.

Kamnadevi : (Pyar se)Suprabhat beti.

Padma : (apani saas ke pair chhute hue)Suprabhat maaji.

Kamnadevi : Usne raat ko koi bakheda to nahi kiya tha. (Pruthvi ke bare me puchh rahi thi, Padma ne najare jhukaye bas naa me shir hilaya) Tu usko samjati kyu nahi, roz raat ko der se aata hai, tumhe sambhalna chahiye sab. (Padma kya bolti wo bas khamos khadi rahi) Aaj uthne de usko, me daant ti hu usko. Ye Shivu kyu nahi utha abhi? (Unhone jaise khud ko hi sawal kiya) Wo keh raha tha ki usko roz subah practice karni hoti hai, ja to beta, jara dekh usko, utha de jara.

Padma : (Uska maan to nahi tha par uski saas ne kaha tha to usne kaha)Ji maaji. (Wo fir se upar gayi aur Shiv ke darwaje ke pass khadi ho gayi, uske ander thodi chid bhi thi ki usko Shiv ko uthana pad raha hai. Usne darwaje par dastak di, aur thodi der intejar kiya par ander se koi jawab nahi aaya, uska gussa thoda badh raha tha)Pata nahi kya kar raha hai? (Usne fir darwaja khat khataya par fir bhi koi jawab nahi aaya, chidte hue usne darwaje ka handle ghumaya to darwaja khul gaya, usko ascharya hua)Darwaja bhi khula rakh kar so raha hai. (Wo badbadayi, usko pata nahi tha ki uski saas ne hi darwaja band kiya tha to ander se khula hi tha, wo ander aayi to AC band tha sirf fan chal raha tha aur Shiv bistar par leta hua tha, par usko dekh kar hi Padma ke sharir se ek jhurjhuri si daud gayi, kyu ki Shiv sirf underwear me leta hua tha, pass me towel pada hua tha, ek baat to usko gussa aaya ki ye aise kaise so raha hai, par tabhi uski najar Shiv ke underwear me bane ubhar par padi, uska dil dhadakan chuk gaya, usko aisi halat me dekh kar uska gala sukh gaya, ek pal ke liye uski nigah us ubhar par chipak si gayi, par turant hi usne khud ko sambhala, ek pal ke liye to usne socha ki yahi se laut jaye, par apani saas ko kya jawab degi, ye soch kar wo aage badhi, wo apani najar us ubhar se bacha rahi thi, wo usko dekhna nahi chahti thi, jaise taise wo najdik pahuchi, Shiv gehri neend me tha, usne ek najar uske chehre par dali, wo sach me ek akarshak purush tha to do pal to uski nigah thehar si gayi, par dusare hi pal uske maan me thodi chid bhar aayi, wo aise hi to nahi utha sakti thi kyu ki agar wo usko aise hi uthati to Shiv ko pata lag jata ki usne usko kis hal me dekha hai to usne chaddar li aur uske upar kamar tak dal di, aur usko uthane lagi.)Aiiiiii uthoooo. (Par wo gehri neend me hi tha, usne chidte hue hath aage badhaya aur uske kandhe ko hillaya)Aiiiiiii uthoooooo. (Hilane se Shiv jaag gaya aur hadbada ke bola)

Shiv : Hmmmmmm.

Padma : Kya hummmm uthooo. (Usne chidte hue kaha)

Shiv : (Hoshme aate hue)Hhh haaaa.

Padma : Maaji ne uthane ko kaha tha, muft ka bistar mil gaya hai to ghode bech kar sote rahoge? (Usne chidte hue kaha aur waha se jane lagi)Maaji keh rahi thi ki practice par nahi jana hai kya?

Shiv : (Wo pura hosh me aa gaya tha aur jati hui padma ko dekh raha tha, ek baar fir uski najare unke kulho par ja tiki, wo aisa nahi chahta tha par ye ho hi jata tha, tabhi wo bhi pichhe mudi aur usne dekh liya)

Padma : Apani najaro ko sambhal ke rakkho, warna ankhe hi nahi rahegi. (Usne gusse se kaha)(Me unhe dekhne laga, unke chehre par gussa saaf dikh raha tha, unhone gusse se muje dekha aur bahar chali gayi, me bistar se utha aur khud ko galiya dene laga)

Shiv : Aise kya baar baar teri nigah waha chali jati hai, aisa kya hai jo tune nahi dekha, sab kuchh tho hai tere pass, kham kha naye pange khada karta rehta hai, chal beta uth aur apane laksh par dhyan de. (Me fatafat taiyar hua aur niche chala gaya, mandir se ghanti ki aawaj aa rahi thi, meri nigah Padmaji par padi unhone bhi muje ek pal gusse se dekha, me waha se bahar nikal gaya)

Bahar ki taji hawa ne maan aur bhi prafullit kar diya, me gaav se daudte hue jane laga, aaj bhi log muje dekh rahe the par jaise unhone kal dekha tha to bas nigah dal lete the aur apane kaam me lag jate the, me daudte hue bahar ki aur nikal gaya, bahar jate hi mene daud tej kar di, daudte daudte me nadi tak pahuch gaya, par kal jis aur gaya tha us se thodi dusari aur chala gaya, nadi ka kinara ret wala tha. Jaha daudne me muje jyada takat lagani pad rahi thi. Par muje ye aur achchha laga, pairo ki aur jyada kasarat ho rahi thi, mene ek jagah ko chuna jo thodi sidhi satah thi aur patthar bhi nahi the, me waha daudne laga aur is aur se us aur aur us aur se iss aur daudte hue practice karne laga.

Thodi dur par kaam kar rahi un mahilao ki najar bhi waha thi, unhone bhi dekha ki aaj is aur ane ki jagah wo ladka dusari aur gaya hai.

Ek aurat(Jiska naam Dhaniya tha) : Ladka to sarif lagta hai, warna log aksar jhakne ke bahane is aur chale hi aate hai.

Ek ladki (Jiska naam Sarla tha): Aisa kya unhe dekhna hota hai jo ladke aisa karte hai chachi?

Dhaniyachachi : Ladko ko hamara pichhwada bahot pasand hota hai, usko dekhne hi to aate hai. Agar tuje kisi ko apane pichhe ghumana hai to usko apana pichhwada achchhe se dikha de, tere pichhe pichhe ghumega fir wo. (Keh kar wo hasne lagi to dusari aurte bhi hasne lagi)

Sarla : Kya chachi aap bhi, muje kya jarurat hai jo me aisa karungi, me to hamesa khud ko chhpa kar rakhti hu.

Dhaniyachachi : Tu khud ko jitna bhi chhupa le, jis din koi manpasand mil gaya us din khud hi apani salwar ka nada khol kar uske samne ghodi ban jayegi, kyu Jamuna?. (Sab thahaka mar kar hasne lagi, wo ladki sharm aur gusse se laal ho gayi)

Sarla : Kya chachi aap bhi, kitni gandi ho aap.

Dhaniyachachi : Abhi ye baate tuje gandi lag rahi hogi, jis din teri jawani apana asar dikhayegi tab tuje pata chalega. (Sarla kuchh nahi boli, wo gussa hone ka natak kar rahi thi par usko ye sab sun na ander se bahot achchha lag raha tha, uski nigahe us ladke ki aur ja rahi thi jo abhi yaha se waha daud laga raha tha, usko samaj nahi aa raha tha ki wo aisa kyu kar raha hai)

Sarla : Chachi, wo ladka yaha se waha kyu daud laga raha hai?

Chachi : Muje kya pata, ja khud hi puchh le. (wo fir hasne lagi)

Sarla : Me to bas aise hi puchh rahi thi apko nahi pata to maat batao, bevajah has kyu rahi ho.

Chachi : Me kyu hasne lagi, tuje jan na hai to ja, ja kar puchh le.

Sarla : Mene kaha na, me to bas aise hi puchh rahi thi, kabhi kisi ko aisa karte dekha nahi, aur kitna lamba hai wo, aise to sirf thakur sahab ke ghar ke log hai, kya ye unke waha aaya hua hai?

Chachi : Lagta hai teri maa ko batana padega ki ladki jawan ho rahi hai, ladko me ras le rahi hai. (wo fir majak bana kar hasne lagi)

Sarla : Aap hamesa hi galat matlab nikalti ho, mene aisa kya keh diya, kya apke maan me sawal nahi ho rahe? Mene to bas puchh liya. (In logo ki aise hi baate chal rahi thi, me apani dhun me practice kar raha tha, wo sab kaam khatam kar ke jane lagi, jate jate bhi sabki nigaye us ladke ke upar hi thi)

Jamuna : Ye thakta nahi hai kya, kab se dekh rahi hu, bas daude ja raha hai, daude ja raha hai.

Chachi: Ha, sach me bahot takat hai lagta hai, itne me to hamare gaav ka koi bhi fuss ho jata, lagta hai lumbi daud ka ghoda hai. (Chachi ne arthpurna dhang se Jamuna ko kohni mari to dono hasne lagi, Sarla kuchh nahi boli wo apani saheli Rupali ke sath chal rahi thi, dono ki najare us ladke ki aur hi thi)

Sarla : (Fusfusate hue)Kon hai ye?

Rupali : Muje kya pata, mene bhi kabhi dekha nahi. Kitna sundar hai na? Shayad saher se aaya hai, rang bhi kitna gora hai, itni gori to ladkia bhi nahi hai hamare gav me. (Dono sahelio ki nigaye us par hi tiki hui thi, unke ander bhi kuchh alag hi tarange daud rahi thi)

In sab se anjan me thodi der aur kasarat karta raha, fir me daudte hue waha se jane laga, muje raste me un aurto ka jhund dikhayi diya par me apani hi daud me nikal gaya, wo aurte bhi apas me gus puss karti hu apane apane ghar ki aur jane lagi.

Krupali : (Swarna se) Didi doctor ke pass jana hai to Shiv ko bulwa lete hai.

Swarna : Par wo to yaha nahi hai.

Krupali : (Ye sun kar uska dil beth gaya)Kaha gaya hai wo?

Swarna : XXXX gaya hai.

Krupali : (Ascharya se)Kya? Wo hamare gaav gaya hai? Kab?

Swarna : Do teen din pehle.

Krupali : Aapne bataya nahi muje? (Usne narajgi se kaha)

Swarna : Kyu? Me kyu batati tuje?

Krupali :(Krupali khud ko sambhalte hue)Mere kehne ka matlab hai ki wo hamare gaav kyu gaya hai?

Swarna : Ye muje nahi pata, pitaji ne bulaya hai. (Swarna ne anjan bante hue kaha)(Karupali ka dil beth gaya, kya kya soch kar wo yaha aayi thi aur kya ho gaya, ab wo aage ka plan banane lagi, usne maan me soch liya ki jald se jald yaha sab nipta kar wo waha chali jayegi) (Swarna aur Krupali dono doctor ke waha chale gaye, Swarna ko laga tha ki iska aur Shiv ka kuchh hua nahi to ye abhi bhi waisi hi hai, par usko nahi pata tha ki wo maa ban ne wali hai, Jab doctor ne Krupali ko check kiya to usne kaha ki wo maa ban ne wali hai, jo ki Krupali pehle se janti thi kyu ki usne apane waha check karwaliya tha, wo to bas yaha Shiv se milne aaayi thi)

Krupali : (Doctor se)Me janti hu doctor, mene waha check karwaya tha, par aapne meri dawai ki thi to socha ki aapko bhi dikha du, waise ek request thi, aap abhi didi ko maat batana, me khud thode dino baad sabko bata dungi, me koi risk nahi lena chahti.

Doctor : Me samaj sakti hu, koi baat nahi me nahi bataungi. Par aap sab dawaiya achchhe se leti rehna, aur waha kaha apane dikhaya hai uski details muje bhej dena, aur ha koi bhi complication lage to mujse baat karna.

Krupali : Ji doctor, thank you. (Sab formalities khatam kar ke dono apane ghar ki aur nikal gayi)

Swarna : Kya kaha doctor ne?

Krupali : Sab thik hai, dawai lete rehne ko kaha hai.

Swarna : Tu fikar maat kar, jald hi tu bhi maa ban jayegi. (Usne apani bahen ka hosala badhaya)

Krupali : Ji didi. (Wo to bas yaha se jane ko soch rahi thi) Didi me kya soch rahi thi, me aaj hi nikal jati hu.

Swarna : Kyu, aayi hai to ek do din ruk ja.

Krupali : Nahi didi, Diwali bhi aa rahi hai, muje jana hoga.

Swarna : Achhha thik hai, me sab intejam karwadungi.

Krupali : Thank you didi.

Swarna : Pagali. (Krupali maan me plan bana rahi thi ki wo yaha se to nikal jayegi par apane ghar kya bahana banayegi, diwali ke samay par uske gharwale usko jane nahi denge. Uska dil Shiv se milne ko jaise tadap raha tha)
Superb update
 
My143mysweet

New Member
30
69
18
Update 259

Krupali ghar se nikal gayi, raste se hi usne Shiv ko phone lagaya. Shiv abhi abhi naha kar nikala tha.

Shiv : (Phone ko dekh kar ascharya se)Hello.

Krupali : Tum waha mere ghar gaye muje bataya bhi nahi. (Usne narajgi se kaha)

Shiv : Apke pitajine muje bulaya tha, kyu kya hua?

Krupali : Me tumse milne tumhare saher aayi thi, aur tum ho ki yaha ho hi nahi.

Shiv : Aap waha gayi thi?

Krupali : Aur nahi tho kya, muje tumse urgently milna tha, mebhagi bhagi yaha aayi aur tum ho ki bina bataya yaha se chale gaye, kam se kam bata to dena chahiye tha.

Shiv : Mujt thodi na pata tha ki aap waha aaogi, aur agar aa rahi thi to kam se kam muje phone to kar dena tha.

Krupali : Me tumhe surprise dena chahti thi, yaha to ulta me hi surprise ho gayi. Ab pitaji ko kya kaam aa pada do tumhe waha bulwaya tha, kya tumhe aur paiso ki jarurat padi thi? Agar aisa tha to muje kehte, mene kaha tha na tumhe. (Krupali to aise haq se daat rahi thi jaise apane premi ko daat rahi ho)

Shiv : Muje koi paiso ki jarurat nahi aa padi thi, unhone kisi aur kaam se muje bulwaya tha.

Krupali : Aisa kya kaam pad gaya?

Shiv : Abhi aap kaha ho, muje to trafic ki awaj aa rahi hai.

Krupali : Me wapas apane saher ja rahi hu, tumse milne aayi thi, tum mile nahi to kya karti, wapas ja rahi hu.

Shiv : Koi khas kaam tha?

Krupali : Kyu? Tumse milna koi khas kaam se kaam hai kya? Lagta hai tumhe milne ki koi khwahis nahi hai, hai na?

Shiv : Mene aisa to nahi kaha.

Krupali : (Thoda dhire se)Tum milo, tumhari to me khabar leti hu, abhi cab me hu, jyada bol nahi paungi warna abhi tumhari khabar le leti, (Thoda ruk kar)Kab tak ruknewale ho?

Shiv : Wo pata nahi hai, abhi filhal to yaha hu.

Krupali : Mera wait karna, me kaise bhi kar ke aaungi waha, muje bataye bagair waha se maat nikalna, samje?

Shiv : Ha thik hai, ghar pahuch kar call kar dena.

Krupali : Aisi juthi fikar maat dikhao, jab phone karna tha to kiya nahi aur ab juthi juthi fikar dikha rahe ho. (Me kuchh nahi bola)Achchha rakhti hu, par yaad rakhna, muje bataye bagair nikalna nahi, samje?

Shiv : Ha thik hai. (Unhone phone rakh diya, me soch me pad gaya ki wo mujse milne waha kyu pahuch gayi, mene kapade pehne aur niche chala gaya, niche aunty bethi mera hi intejar kar rahi thi)

Kamnadevi : Aa gaye tum?

Shiv : Ji badima. (Table par nasta na dekh kar)Aapne nasta kar liya?

Kamnadevi : Tuje khilaye bagair me kha leti bhala, wo to Nirmala ka phone aaya tha ki usko chai naste ke liye yahi bej dena. (Jor se aawaj lagate hue)Bahuuuu, o bahuuuu.

Padma : Ji maaji. (Ander se bahar aate hue)

Kamnadevi : Shivu aa gaya hai.

Padma : Ji maaji.

Kamnadevi : (Meri aur dekhte hue)Padma bhi tumhare sath aa gahi hai, tumhe raste na pata ho shayad. (Me kuchh nahi bola, mene Padmaji ko dekha to wo narajgi se muje dekh rahi thi, meri samaj me nahi aaya) Ab khade kya ho jao, Shivu ko bhukh lagi hogi.

Padma : Ji maaji. (Kehte hue wo bahar ki aur jane lagi, me bhi unke pichhe pichhe bahar ki aur nikal gaya, bahar ja kar wo ek car me driving seat par beth gayi, wo naraj thi aur gussa bhi kar rahi thi to mene pichhe bethna hi sahi samja to me pichhe ka darwaja khol kar beth gaya, tab bhi unhone muje gusse se dekha)

Shiv : (Meri samaj me nahi aaya) Ab kya kiya mene, aap gussa ho to me pichhe beth gaya.

Padma : Me tumhari driver nahi hu jo malik ki tarha pichhe beth gaye. (Unhone chidte hue kaha, me bahar nikala aur aage beth gaya, aur maan me gussa karne laga, in ladkio ko samajna namumkin hota hai, unhone car aage badha di) (Darasal Padma ko jana nahi tha, par uski saas ne jor de kar usko jane ke liye taiyar kiya tha to wo thodi gussa thi)(Wo car chala rahi thi, me sirf aage dekh raha tha, thodi hi duri par Beenaji ka ghar aa gaya, agar chal kar aate to dus minute me pahuch jate, par shayad wo chal kar aana nahi chahti thi, bade logo ki bade chonchle, yaha bhi me pehle aa chuka tha, ye haweli unke jitni badi to nahi thi par fir bhi kafi badi thi, shayad aas pass jagah thodi kaam thi, aur yaha waha jaisi security nahi thi. Unhone car khadi ki aur me bahar nikal hi raha tha ki Beenaji ki saas bahar aa gayi, meri aur aate hue)

Nirmaladevi : Aa gaye beta, (Me jhuk kar unke pair chhune laga to unhone muje rok diya aur muje gale laga liya)Mere pair nahi meri chhati se lag beta, jab gaya tha to kitna chhota tha, aur ab dekho, baho me sama bhi nahi raha hai. (Unki awaj se hi lag raha tha ki unka gala bhar aaya hai, me bas aise hi khada tha, thodi der baad unhone muje dekha to unki ankhe sach me bhig chuki thi, unka pyar dekh muje bhi kuchh hone laga)

Shiv : Aunty.

Nirmaladevi : Aunty nahi beta, chachi hu teri, bhale tere liye me ajnabi sahi, par mera to apana hai tu. (Unhone fir muje gale lagaliya to mene bhi unhe apani baho me bhara, meri najar Padmaji par padi to wo muje gusse se dekh rahi thi, meri samaj me nahi aaya ki wo muje kyu aise dekh rahi hai. Padma: (maan me gussa kar rahi thi) khud ko aise dikha raha hai jaise sach me inka khoya hua bhatija ho, wo to bholi hai par ye ek number ka chunt hai, kaise khud ko wahi dikha raha hai, me sab janti hu ki ye sabko dokha de raha hai. Muje kuchh kuchh to samaj me aa raha hai ki pitaji kya kar rahe hai, aur isko bhi kuchh de rahe honge ye sab karne ke liye.

Nirmaladevi : (Shiv ko )Aa ander aa (Padma ko)Aur tu kya khadi hai waha, ye ajnabi hai yaha se tera to apana ghar hai, kya tuje bhi nimantran dena padega?

Padma : (Apane chehre par hasi laane ka prayas karte hue)Nahi chachiji, me to bas.

Nirmaladevi : Aao ander chalo dono. (wo Shiv ko apane sath liye hi ander gayi, Padma pichhe pichhe ander gayi) Bahuuuuuu. Shivu aa gaya hai. (Shiv ko) aa beta(Wo usko sidha dinning table par hi le gayi)Tuje bhukh lagi hogi, meri wajah se tu late ho gaya.

Shiv : Nahi aisi koi baat nahi hai. (ek naukarani apane hath me kuchh khane ka saman liya waha aayi aur pichhe apane hath me tray liye Beenamadam bhi aayi, unke hath me tray me dudh ka bada glass bhi rakkha hua tha, hamari nigahe mili to do pal hum dono ek dusare ko dekhte rahe, par turant hi unhone najare ghuma li aur chalte hue table ke pass pahuchi, mere samne unhone dudh ka glass rakhdiya aur parathe bhi the. (Padma sab ascharya se dekh rahi thi, wo naukrani apane sath chai ka sab le kar aayi, aur Beena, Chachi aur uske samne chai rakhne lagi)

Nirmaladevi : Beena ne bataya ki tu chai nahi pita. (wo muskurate hue boli)(Padma ne Beena ko dekha to dono ki najre mili, par turant Beena ne najare hata li jaise kaam me ho aur sab nasta sabke samne karne lagi)Sab isine banaya hai, subah se kitchen me lagi hui hai.

Padma : Lagta hai kafi kuchh janti hai iske bare me. (Beena ander se thodi hil gayi par khud ko sambhalte hue)

Beena : Roz hamare waha aata hai ye, Juhi aur Ye dono sath me hi to practice karte hai, to sab pata hai. (Padma kuchh nahi boli aur chai nasta karne lagi, usko bhi bhukh lagi thi, Nirmala Shiv ke pass me hi bethi thi)

Nirmaladevi : Paratho ke sath makkhan nahi diya isko. (apani bahu ko daat te hue wo boli)

Beena : Usko aise hi pasand hai, dudh me mene badam pista aur sab dala hua hai. (Beena jaise apani saas ko safayi de rahi thi)

Nirmaladevi : Achchha achchha. (Shiv ko)Beta sharmana nahi, ye bhi tera hi ghar hai. (Mene muskurate hue unhe dekha, hum sab ne nasta kiya, parathe waqayi swadist the, uske baad hum sab aage sofe par beth gaye, me aur aunty ek sofe par, Beenaji ek sofe par aur Padmaji dusare sofe par.)Badebhaisahab kuchh bhi kahe par mere dil ne to maan liya hai ki tu hi hamara Shivans hai, sach kehti hu, jab pehli bar tuje dekha tha tabhi hi laga tha ki tu mera apana hai. (wo mera shir aise sehla rahi thi ki mere baal tak bigad rahe the, wo fir apani unglio se hi usko sawarti thi) Pata nahi wo konsa mahus din tha jis din tu hamse alag ho gaya, pata nahi kaise kaise din dekhe honge tune, soch kar hi ruh kaanp jati hai, uparwale ka laakh lakh sukar hai ki tu sahi salamat hai. (Unki ankhe fir bhig gayi, unhone apani ankhe pochhi) Ab tu aa gaya hai to sabse pehle Chandrika se mil aana, wo to bechari bawali ho gayi hai, na khud ka hos raha na duniya ka. (Unki ankhe fir chhalak aayi) (Mera bhi maan kar raha tha ki ek baar unhe milne jau, par kaise jau samaj me nahi aa raha tha, agar ye baat tay hoti ki me hi unka beta hu to haq se sab se pehle me wo hi kaam karta, par yaha to aisa kuchh pakka hai hi nahi, sab apane apane tark laga rahe hai, par fir bhi muje kaise bhi kar ke unhe milna hai kyu ki mera dil bhi ab unhe milne ko tadap raha hai, par me ek dum se koi khatara nahi lena chahta, muje soch samaj kar hi kadam badhana hoga, me nahi chahta ki Udesinh ko me koi mauka du, abhi muje unke hisab se hi chala hoga, mere liye itna hi kaafi hai ki wo dono sahi salamat hai, me nahi chahta ki meri wajah se unke upar ko khatra aaye) Ek taraf to dil chahta hi ki turant unse mile par dusari aur ye bhi dar laga rehta hai ki waha jayega to Sukhdevbhai sahab se mila padega aur aisa hua to fir wahi sab hoga, muje bhi badebhai sahab ki baat me sachchai najar aati hai, ye sab usi ki wajah se hua hai, us waqt agar sabne iska virodh kiya hota to aisa kuchh hota hai nahi.

Shiv : Kya hua tha, kis baat ka virodh kiya hota?

Nirmaladevi : Chhodna wo sab purani baate, jo hona tha wo ho gaya, koi tal nahi paya, par ab tumhe unlogo se dur hi rehna chahiye, bhaisahab koi na koi rasta jarur nikalenge, jaha itne saal bit gaye waha ye kuchh din bhi bit jayenge.

Padma : Aap kis bare me baat kar rahi ho chachiji, aisa kya hua tha us samay.

Nirmaladevi : Chhodna bahu, ab purani bato ko yaad kar ke kya fayeda, jo galti ho gayi so ho gayi, wo baate na maan ne ka natija Yogendra bhi bhog rahai hai, Chandrika bhi, ye bhi aur hum sab bhi. Ab un baato ko wahi dafan kar diya jaye wahi achchha hai. Mera beta sahi salamat laut aaya hai ye kya kaam hai. (Beena ke maan me bhi kayi sawal the aur Padma ke maan me bhi par wo janti thi ki unhe abhi uttar nahi milega to wo dono kuchh nahi boli) In sab bato ko chhodo aur mere bete ko aaram karne do, ja beta aaram karna hai to.

Shiv : Abhi kya aaram karna, waise bhi me din me aaram nahi karta, yaha kuchh karne ko hota nahi isliye muje jabardasti aaram karna padta hai.

Nirmaladevi : Agar aisa hai to jao khet ghum aao, ya fir gaav ghum aao. Khane ke waqt par aa jana wapas.

Padma : Gaav me ghumne jaise hai kya, aur khet me bhi ja ke kya karna?

Nirmaladevi : Hum yahi hai to hame lagta hai ki waha ghumne me kya hai, par ye dono to bahar hi rehte hai, inhe achchha lagega, agar tum nahi jana chahti to (Beena se)Tum le jao isko, waise bhi isko car chalana aata hi hai.

Beena : (Waise bhi Beena ko Shiv se baat karni thi to wo turant taiyar ho gayi)Ji maaji, me chalijati hu.

Padma : (Wo maan me gusaa hone lagi, ye kaha fas gayi me, khud ko sambhalte hue wo boli)Me bhi akele kya karungi, me bhi chalti hu. (Beena ko achchha nahi laga par wo kya kehti, so tino waha se nikal gaye, Shiv ne car chala li aur wo dono pichhe beth gayi, car chal padi, Padma ne Beena ke fule hue pet ko dekh kar kaha)Kab ki date di hai doctor ne.

Beena : (Apane pet par hath rakhte hue)Tin mahine baad ki date hai.

Padma : Aapko dekh kar lagta hai ki itna intejar nahi karna padega, ye jald hi aapki god me hoga.

Beena : (Ascharya se)Hoga se kya matlab hai aapka, hogi bhi ho sakti hai.

Padma : Aksar gavo me ye sab baate hoti rehti hai, log garbhvati strio ko dekh kar hi samaj jate hai ki ladka hoga ki ladki.

Beena : Achchha, wo kaise (Uski utsukta badh rahi thi)

Padma : Agar garbhvati stri ka pet bahot bada nahi hota aur uska sharir bhi agar jyada masal nahi hota to samajme aa jata hai ki ladka hi hai, aur apke lakshan bhi wahi issara karte hai.

Beena : Lagta hai tumhe in sab ki bahot knowledge hai.

Padma : Ab kya kahu aapse, jo bin bachcho ki hoti hai wahi ye sab gyan batorti rehti hai, mera bhagya apke jitna achchha to hai nahi to bas idhar udhar se gyan hi bator leti hu. (Uske chehre par pida ubhar aayi, Beena ne uska hath pakad liya)

Beena : Kyu fikar karti ho aap, aapko bhi ye sukh milega, sab achchha ho jayega. (Mere kaan me unki bate pad rahi thi par me car chalne me hi dhyan laga raha tha, aur waise bhi muje unki bato me kya padna, mene raste ke liye Beenamadam se puchha to unhone muje rasta dikhaya, hum sab khet par pahuch gaye, aaj waha koi nahi tha, matlab ki na Pruthvi tha na Udesinh, sab apane apane kaam me lage hue the, car ko aate dekh Sukhi unki aur dekhne lagi, wo wahi bahar kaam kar rahi thi, jaise hi uski najar pichhe bethi aurto par padi wo turant waha pahuch gayi)

Sukhi : Are chhoti malkin aap log?

Padma : Kya chachi, kitni baar kaha hai ki muje chhoti malkin maat bualiye. (Usne mithi narjgi se kaha)

Sukhi : Ab chhoti malkin ko chhoti malkin na kahu to aur kya kahu, are aaj to do do malkin sath me aayi hai. (wo khus hote hue boli)

Beena : Inko aap jo kehna hai kaho, me kaha se aapki chhoti malkin ho gayi?

Sukhi : Aap jo bhi kaho par aap bhi to malik ki bahu ho to chhoti malkin hi hui, aaiye aaj is taraf kaise aana hua?

Padma : Socha ki aan khet hi ghum aaye, (Shiv bhi car se bahar aa chuka tha aur aas pass dekh raha tha)

Sukhi : Aap bethiye me pani lati hu. (Kehte hue wo jaldi se ander chali gayi, hum sab wahi lagi kurshio par beth gaye, Beena Shiv ko dekh rahi thi)

Beena : Kitna achchha lagta hai na yaha? Tumhe kaisa laga Shiv?

Shiv : Achchhi jagah hai? Jab bhi aata hu achchha lagta hai. (Tabhi Sukhi hath me pani liye waha aa gayi aur sab ko diya)

Padma : Kya chal raha hai chachi? Sab thik hai na? (Generally puchha)

Sukhi : Ab hamara kya hai, bas kat rahe hai din. (Wo thodi udas dikh rahi thi)

Padma : Kya hua chachi, koi paresani hai kya?

Sukhi : Nahi, aisi koi baat nahi hai, bas chalta rehta hai, aap bataiye kya banau aap ke liye?

Beena : Abhi kuchh banane ki jarurat nahi hai, hum abhi khana kha kar hi nikale hai, bas tahelne aaye the, aur kuchh nahi.

Sukhi : Aaj to badal bhi nahi hai, aisi dhup me aap kaha yaha tehlne aayi, aaram se ghar me hi rehti, aisi halat me jyada ghumna achchhi baat nahi hai. (Uske pet ko dekhte hue kaha)

Beena : Ghar me betha rehna bhi achchhi baat nahi hoti, thoda thoda ghum fir na chahiye, sehat achchhi rehti hai, kya aap in halat me ghar me bethi rehti thi?

Sukhi : hamara kya hai, hume to aadat hai, jab Sarvan mere pet me tha tab bhi me kheto me kaam karne aati thi.

Beena : to fir, ghumna firna sehat ke liye achchha hota hai, aaj to hum isse ghumane lagye hai. (Shiv ki aur issara karte hue)

Sukhi : Ek baat puchhu malkin, ye kon hai, kayi baar yaha aaye hai, surat bhi kuchh jani pehchani lagti hai, bade malik se to puchh nahi sakti thi.

Beena : Ye Yogendrachacha ka ladka hai. (Beena ne janbuj kar ye bataya)

Sukhi : Kya? Tabhi me kahu ki ye itne janepehchane kyu lag rahe hai, par unke bare me to kuchh aur hi suna tha humne. Chalo achchha hai, uparwale ka lakh lakh sukar hai ki ye sahi salamat hai (Ab wo meri aur gaur se dekh rahi thi) Sach me ye unki hi chhabi hai. (Padma bhi Sukhi ko dekh rahi thi, usko samaj nahi aa raha tha ki akhir sach kya hai, uska pati kehta hai ki ye wo nahi hai, aur jisko dekho wo ye kehta hai ki ye wahi hai, uska dimag confuse ho raha tha)

Padma : Ek baat batau chachi, abhi is baat ki pusti nahi hai ki ye wahi hai, sab ko bas lagta hai ki ye wahi hai.

Sukhi : Ab me kya janu ye sab, par mene chhote malik ko dekha hua hai, ab to kafi baras ho gaye unhe dekhe, par fir bhi muje unka chhehra achchhe se yaad hai, wo bahot saral swabhav ke the, wo aksar yaha sab ki madad kiya karte the, unhone hamari bhi bahot madad ki thi, Sarvan ke paida hone me dikkat ho rahi thi, mere bachne ki bhi ummid nahi thi, unhone hi pass ke saher ke aspatal me muje bharti karwaya tha aur humse paise bhi nahi liye the, aise devtasaman aadmi ka chehra kaise bhul sakti hu me. Inhe dekh kar sach me unki yaad taja ho jati hai. Muje aaj bhi yaad hai, kaise inka(shiv ki aur issara kar ke) janam din manaya jata tha, pure gaav ko nauta diya jata tha. (Unki baat sun kar muje bahot sukun mehsus ho raha tha) Par ek baat samaj nahi aayi, ye to bademalik ke sath aaye the, aur humne to kuchh aur hi suna tha.

Padma : Kya suna tha?

Sukhi : ab me kya kahu chhotimalkin, humne to jo suna wahi mana tha, par ye to bade malik ke sath hi aaye the aur jab aap hi keh rahi hai ki ye wo hai to matalb bade malik bhi jante honge, lagta hai sab juthi afwahe thi. Bhale hi laakh burayi sahi par wo aisa to nahi kar sakte the. (Uske muh se kya nikal gaya ye soch kar wo khud dar gayi, Padma ki aur dekh kar)Maaf karna chhoti maalkin, muh se nikal gaya. (Padma samaj rahi thi ki wo uske sasur aur pati se darti hai so apane muh se bure insan nikal jane se wo dar rahi thi ki kahi unhe na pata chal jaye, par Padma ke liye ye koi nayi baat nahi thi, wo janti thi ki uske pati kya gul khilate hai, Padma ne kuchh nahi kaha bas fiki si muskan di)(Sukhi baat badalte hue)Aap log agar ghumna chahte hai to ghum aaiye, me Sarvan ko bhejti hu sath me, agar kuchh fal val todne ho to wo tod dega.

Padma : Uski koi jarurat nahi hai, waise bhi yaha gumne jeisa kya hai, mere liye to koi nayi baat nahi hai.

Beena : Shiv aaya hai to usko ghuma lo, me aisi halat me aise ubadkhabad rasto par nahi ja sakti warna me hi chali jati. (Beena ne asamrthta dikhayi)

Shiv : Nahi koi baat nahi, hum yahi beth te hai.

Beena : Ab aye hi ho to ghum lo, tumhe to koi dikkat nahi hai na Padma?

Padma : Koi baat nahi, le jati hu. (Wo thoda muh bigadte hue khadi ho gayi, mera koi maan nahi tha unke sath jane ka par ab wo khadi ho gayi thi to me bhi khada ho gaya)

Beena : Tum dono ja aao, tab tak me kuch banva deti hu, aaoge to bhukh lag jayegi. (Hume bolne jaisa kuchh tha nahi to hum dono nikal gaye, wo aage aage chal rahi thi aur me unke pichhe pichhe, kheto ke kinare bani pagdandi pe chalte hue hum aage badhne lage, dono hi chup the, thodi dur aage jane ke baad wo boli)

Padma : Tum yaha kyu aaye ho?

Shiv : (Muje unki baat samaj nahi aayi)Aap kehna kya chahti hai?

Padma : Itne bhole nahi ho jo meri baat samaj na sako, muje pata hai ki tum wo nahi ho jo sab samaj rahe hai, pitaji ne tumhe kisi kaam ke liye yaha bulwaya hai.

Shiv : Agar janti hai to fir puchh kyu rahi hai.

Padma : Me jan na chahti hu ki akhir tumhe yaha chacha ka beta banakar kyu bulwaya gaya hai?

Shiv : Abhi to apane kaha ki aap janti hai, fir kyu puchh rahi hai?

Padma : Jyada hoshiyar ban ne ki koshis mat karo, sidhe sidhe batao ki yaha kyu aaye ho? Paiso ke liye hi na?

Shiv : apko kya lagta hai?

Padma : Sidhi baat ka sidha jawab dena nahi aata tumhe.

Shiv : Aur apko kyu lagta hai ki muje kyu jawab dena chahiye?

Padma : (Uske aise jawab se Padma ko gussa aa raha tha)Pata nahi kyu pitaji ne tumhe yaha bulwaya hai, ek baat apane dimag me achchhe se bitha lo, jaisa tumhe dikh raha hai waisa sab hai nahi.

Shiv : Kehna kya chahti hai aap?

Padma : Ye tumhe sab pata chal jayega, tumhe lag raha hoga ki yaha sab sahi hai, jis din sab samaj me aayega tab pata chalega tumhe.

Shiv : Kya pata chalega? (Hum waha pahuche waha kuchh log kaam kar rahe the, wo uth kar unhe pranam karne lage par wo bina koi jawab diye aage chalti rahi, me bhi unke pichhe chlata raha, waha aage kuchh paido ki katar lagi hui thi, hum unke niche hote hue aage badhne lage, hamari bat kuchh samay ke liye band ho gayi)

Padma : Yaha jaha tak tumhari najar ja rahi hai wo sab hamari jamin hai, Tum jante nahi mere pati ko, ye jo harkate tum kar rahe ho na, agar unhe pata chal gaya to kat ke kaha dafna denge pata hi nahi chalega tumhe.

Shiv : Agar itni hi jamine hai to fir aur jamine kyu chahiye apke pitaji ko? Aur aisi kya harkat kar di mene jo aap muje ye dhamki de rahi hai. (Muje pata tha ki wo kis bare me baat kar rahi hai par fir bhi me anjan hi raha, unhone palat kar muje ghur kar dekha, me bas muskuraya, wo aur gusse se muje dekhne lagi)

Padma : Abhi thik se bade bhi nahi hue tum, kyu apani jaan gavana chahte ho?

Shiv : Par mene aisa kiya kya hai wo to bataiye, aisi kya harkat kar di mene jo apani jaan gavani pade.

Padma : Tumhe pata hai ki me kya baat kar rahi hu, aur jitne bhole tum dikhte ho utne bhole tum ho nahi, me sab samaj rahi hu.

Shiv : Thank you. (Mene muskurate hue kaha to wo fir ruki aur muje dekhne lagi)

Padma : Kis baat ka thank you?

Shiv : Apne kaha na ki me bhola dikhta hau, to prasansa ke liye thank you.

Padma : Shayad tumhe samaj me nahi aa raha, ye sab hamara ilaka hai, yaha ke log bhi hamare hai, yaha se gayab hue to koi puchhne bhi nahi aayega, yaha tak ki police aur prasasan bhi nahi. To apani had me raha karo, warna binawajah mare jaoge.

Shiv : Fir se thank you. (wo fir muje ghur ke dekhne lagi) Ye thank you iss liye ki aapko meri fikar hai.

Padma : Muje koi fikar vikar nahi hai, me bas tumhe cheta rahi hu. (Wo bolte bolte chal rahi thi ki unka pair ek chhote patthar par pada to unka balance bigad gaya aur wo girne ko hui hi thi ki mene turant unhe pakad liya, par sochne ka samay jyada tha nahi aur mene pichhe se hath aage kiya tha to mera hath unke bade stan par chala gaya aur unka ek stan mere panjhe me sama gaya, mene ye janbuj kar to kiya nahi tha, par durbhagya mera ki ye sab ho gaya, wo kathor stan mere panjhe me the, wo sambhal kar khadi hui aur gusse se boli) Tumhari himmat kaise hui muje aise chhune ki?

Shiv : Sorry, mene jan buj ke nahi chhua tha, apko bachane ke liye pakada tha aapko.

Padma : Tum kya samajte ho? Me samajti nahi kya, tum janbuj ke ye sab kar rahe ho, chhota bachcha samaj ke samja rahi hu to shayad tumhari samaj me nahi aa raha, agar mene Pruthvi ko batadiya kit tum muje kis tarha dekhte ho to tumhari kya halat hogi wo tum soch bhi nahi sakte.

Shiv : Mene kaha na ki mene janbuj kar nahi kiya, aur mene apko un najaro se dekha hi nahi tha, aur na hi abhi mera koi irada tha apko chhune ka, aage se aap girnewali hongi to me kuchh nahi karunga chahe aap gir kyu na jao. (Mene bhi halke gusse se kaha, to wo muje gusse se dekhne lagi pa fir shant ho gayi, aur aage chalne lagi, wo kuchh bol nahi rahi thi) Agar apko lagta hai ki mene ye janbuj kar kiya hai to apane pati ko bata do, aur mene aapko janbuj kar dekha bhi nahi tha, bas najar chali gayi thi. (wo ruk gayi aur mud kar meri aur dekha, kuchh pal wo muje dekhti rahi, fir aage badhne lagi)

Padma : Pata nahi in kheto me dekhne jaisa hai kya? (Wo jhunjhlate hue boli).

Shiv : Ye to apani apani najar par depend karta hai, kon kis najar se dekhta hai.

Padma : Achchha, tum kis najar se dekh rahe ho? (Taunt marte hue wo boli, par meri samaj me nahi aaya ki wo kiski baat kar rahi hai, kheto ki ya khud ki)

Shiv : Ek baat bataiye, aapko kya najar aa raha hai in kheto me?

Padma : Aur kya najar aana hai, khet hai aur kya?

Shiv : wo to muje bhi pata hai, par kuchh to najar aata hoga aapko?

Padama : Muje aisa kuchh khas najar anahi aata, khet hai to khet hai.

Shiv : Do minute rukiye. (wo ruk gayi aur meri aur dekhne lagi)Ye khet sirf khet nahi hote, sab ko apane apane hisab se sab najar aata hai, jaise agar kishan ye khet dekhta hai to usko apani mehnat najar aati hai, achchhi fasal dekh kar usko apana aanewala bhavishya khushal najar aata hai, agar koi jamindar isko dekhega to usko paise najar aate hai, agar koi scientist dekheta to usko ek chhote se bij se nikala ek jiv najar aayega, jo apani jati ko aage badhane ka prayas kar raha hai, premi jode ko romance karne ki jagah najar aayegi, wahi bachcho ko khelne kudne ka ek aur tarika najar aayega, har koi apane apane hisab se dekhta hai.

Padma : Achchha, par tumhe kya najar aa raha hai?

Shiv : Filhal to muje ye kudrat ka hasin najara najar aa raha hai (Mene janbuj kar unhe upar se niche dekhte hue kaha)(Uske kehne ka matlab samajte hue Padma fir gussa ho gayi)

Padma : Muje lagta hai hume wapas chalna chahiye, kafi dur nikal aye hai hum.

Shiv : Kyu dar lag raha hai?

Padma : Apani jamin par khadi hu, me kyu darungi?

Shiv : Shayad mujse dar lag raha ho.

Padma : Me kyu darungi tumse? Yaha kis ki himmat hai jo Pruthviraj ki Padma ko hath bhi laga kar dekhe.

Shiv : Nauta de rahi ho kya? (Mene bhi chheda)

Padma : Apani ghatiya soch apane pass hi rakkho, Padma itni sasti nahi hai aur itni najuk bhi nahi hai jo kisi aire gaire ko chhune bhi de, log bhale kuchh bhi samje, par muje pata hai ki tum sirf ek paltu ho jo paiso ki haddi dekh kar yaha dum hilane aaye ho, (Unki baat se muje itna gussa aaya ki mera maan kiya ki unka wo hal karu ki wo yaad rakkhe, par mene khud ko sambhala, mera chehra laal ho gaya tha, jise dekh kar wo boli)Kyu bura laga na? isiliye keh rahi hu, apani aukat maat bhulo, aur apani nigaho ko sambhal ke rakkha karo.

Shiv : Ye meri ankhe hai, inhe agar kuchh achchha najara dikhega to ye dekhengi, agar aap Padma hai to me bhi Shiv hu, kisi ke baap se bhi nahi darta, aur meri fitrat nahi hai ki me aisi waisi chijo ko dekhu, chaliye muje bhi nahi ghumnahai, jo dekhna tha wo dekh liya. (Keh kar me ghum gaya aur wapas chalne laga)(Padma usko dekhti rahi, wo aage aage ja raha tha, usne bhi apane kadam badha diye, dono chalte hue wapas usi jagah aa gaye jaha se wo chale the)

Beena : Badi jaldi gaye?

Shiv : Aap aayi hoti to aur samay lag jata, ajnabio ke sath gumne ka kaha maza ata hai. (Shiv ne bina dekhe Padma ko sunaya to Padma bhi ander se gussa ho gayi)

Padma : Kisi ne nauta nahi diya tha, bhabhi ne kaha to me le gayi thi tumhe.

Beena : Are tum dono to jaghadne lage, kya hua? Kuchh hua kya?

Padma : Kya hoga? Pata nahi khud ko kya samajta hai. (Kehte hue wo makan ke ander chali gayi)

Beena : Kya hua Shiv? Ye kyu itna gussa hai aur aise lehje me baat kar rahi hai?

Shiv : (Sambhalte hue)Kuchh nahi hua, wo bas keh rahi thi ki me yaha paiso ki wajah se aaya hu, me koi unke chacha ka ladka nahi hu, aise hi sab suna rahi thi muje.

Beena : Unhe abhi kuchh pata nahi hai to aise bolrahi hogi, Tune kuchh kaha to nahi?

Shiv : Me kyu kahuga, muje kya lena dena unse. Aur mere bhi palle ye baat nahi pad rahi ki aap ko kyu lagta hai ki me wahi hu?

Beena : Kyu ki tu hai, unki bato ka bura maat laga, wo samajti nahi hai na is liye aisa keh rahi hai. Muje pata hai ki tu wahi hai... (Abhi wo kuchh bolnewali hi thi ki Sukhi apani bahu ke sath hath me dudh liye aayi, to hamari baat ruk gayi) Padma nahi aayi?

Sukhi : Nahi wo ander hi bethi hai, sab se baat kar rahi hai, aap log lijiye na. (Mene dekha ki unki bahu ghunghat tane hue hi thi, meri samajme nahi aaya ki wo aisa kyu kiye hue hai, me unhe dekh raha tha par unka chehra dhaka hua tha, par halka halka dikh raha tha, mene dekha ki unhone bhi muje dekha par fir apani nigahe fer li, mene bhi unse najar hata li)

Beena : Dudh sirf ye pita hai, mere liye kyu le aayi?

Sukhi : Aisi halat me dudh achchha hota hai, chai se kya milega aapko, jab yaha taja dudh hai to fir chai kyu pini, aap dudh pijiye. (Beena ne bhi muskurate hue dudh utha liya, sukhi wahi beth gayi thi to aur aage baat nahi hui, wo bas idhar udhar ki baate kar rahi thi, uske baad hum Beenaji ke ghar ke liye nikal gaye)

Yaha Udesinh ne Sukhdev ko phone lagaya tha. Phone par Udesinh ka naam dekh kar Sukhdev ke chehre par sikan dikhi, par fir khud ko swasth karte hue usne phone utha liya.

Sukhdevi : Hello. (Bina kisi utsah ke)

Udesinh : Kaise ho Sukhdev?

Sukhdev : Ye puchhne to phone nahi kiya hoga aapne. (Taunt me)

Udesinh : Bilkul sahi keh rahe ho, waise bhi muje kya fark padta hai ki tum kaise ho, waise mera bhai kaisa hai?

Sukhdev : Aaj bahot dino baat bhai ki yaad aayi. (Udesinh has pada, jab wo ruka to Sukhdev ne fir kaha)Kahiye kis liye phone kiya aapne?

Udesinh : Tumhari ye baat bahot achchhi lagti hai muje, dil me chahe laakh galiya nikal rahi ho par juban se tumhare hamesa respect hi milti hai.

Sukhdev : Sab ka apana apana nature hota hai, jaise kuchh logo ke sath agar aap bhalayi bhi karo to bhi wo bichchhu ki tarha kaat hi lete hai.

Udesinh : (Fir has pada)Ha ha ha ha, chalo koi baat nahi, aaj me bahot khud hu to tumhari baat ka bura nahi manunga. (Sukhdev kuchh nahi bola)Puchhoge nahi ki kyu khus hu?

Sukhdev : Bataye bagair to aap rahenge nahi, kahiye.

Udesinh : Tumhare liye ek khus khabari hai, ya ho sakta hai ki dukhkhabari bhi ho.

Sukhdev : Sidhe mudde ki baat kijiye.

Uesinh : Mera bhatija laut aaya hai.

Sukhdev : Kaha gaya tha wo?

Udesinh : Tum to aise anjan ban rahe ho jaise tum jante hi nahi ho.

Sukhdev : Jignesh muje bata kar thodi na jata hai ki wo kaha ja raha hai, aur uske laut aane ko kis tarha ki khuskhabari bata raha hai aap.

Udesinh : Yaar sach me tum bahot mazakiya ho, mera ek hi bhatija hai kya.

Sukhdev : Jaha tak muje pata hai aapka ek hi bha...ti....ja.... (Bolte bolte uski juban ladkhada gayi)

Udesinh : Lagta hai ab samaj me aaya tumhe.

Sukhdev : Aaj din me hi suru ho gaye hai kya?

Udesinh : Tumhari kasam Sukhdev, subah se ek bund gale ke niche nahi gayi hai, ha par aaj sham ko jarur ji bhar ke piunga.

Sukhdev : Kya kehna chahte hai aap, saaf saaf kahiye.

Udesinh : Is se kitna saaf saaf kahu, mera bhatija yani Shivans laut aaya hai.

Sukhdev : (Uski aawaj kaanp gayi)Kya b bat kar rahe hai aap?

Udesinh : Wahi jo tu samaj raha hai, wo mil gaya hai muje.

Sukhdev : Kaha hai wo?

Uesinh : Me tumhe kyu batau.

Sukhdev : Agar tumne usko kuchh kiya na to yaad rakhna, is baar me apani sari hade bhul jaunga.

Uesinh : Ha ha ha ha.....(wo joro se hasne laga, kafi der wo thahaka maar maar kar has raha tha uske baad khud ko sambhalte hue wo bola)Muje to laga tha ki tum laakh sawal karoge, par tum to badi aasani se maan gaye, abhi tak to tumne usko dekha tak nahi aur maan gaye ki wo muje mil gaya hai.

Sukhdev : (khud ko sambhalte hue)Muje pata hai ye sach nahi hai, kya yahi bakwas karne ke liye aapne phone kiya tha.

Udesinh : Tumhe kya lagta hai me mazak kar raha hu? bilkul nahi, tum samaj nahi rahe ho, muje wo nahi, par tumhare tale ki chabi mil gayi hai, aur rahi baat man ne ki, ki wo wo hai ki nahi, wo to jab tum usko dekhoge to samaj jaoge. (Sukhdev ko pashina aane laga, usko dar lagne laga ki wo agar sach keh raha hai to Shivans uske changul me hai, wo kisi bhi tarha usko bachana chahta tha)

Sukhdev : Muje milna hai us se.

Udesinh : Milwa denge, milwa denge, itni jaldi bhi kya hai, tumne is daulat ke liye bahot tarsaya hai muje, ab bari tumhari hai, aur ek baat dhyan se sun lo, Shivans ab meri hi baat manega, usko jo me kahunga wahi wo karega, samje. Chalo rakhta hu, fir baat karunga.

Sukhdev : Hello... helloooooo. (Par samne se phone cut ho gaya tha)

Udesinh : Ab tuje samaj aayega ki tumne kis se panga liya hai.

Sukhdev apane phone ko dekhte hue soch raha tha ki uski baat me jara bhi sachchayi ho sakti hai kya?

Aiswarya : (Dopahar ke khane ke waqt)Kya hua beti, kha kyu nahi rahi hai?

Prakruti : (apani soch se bahar aate hue)Nahi kuchh nahi mummy.

Aiswarya : Kya kuchh nahi, mene tuje kaha ki diwali ki shoping kar le, uske liye bhi mana kiya tumne, khane par bethi hai aur fir bhi dhyan kahi aur hai, akhir tere dimag me chal kya raha hai?

Prakruti : Apane bhagya par ro rahi hu mummy, ye kaisa bhagya likha hai mera, aap keh rahi ho ki ye sab meri kundali me likha hai, kya ye sab sach me sach hota hai?

Aiswarya : Ab kya kahu me beti.

Prakruti : Aap itni padhilikhi ho, papa bhi hai aur muje bhi itna padha rahi ho, par fir bhi hum sab in sab bato par viswas kar rahe hai, kitni ajeeb baat hai.

Aiswarya : Hum bhi viswas nahi karte the beta, hum bhi in sab bato ko nahi mante the, par jaisa kuchh hua, wo dekh kar hume bhi viswas karna pada, ab dudh ka jala chhachh bhi funk funk kar piyega, aisi halat ho gayi hai hamari. Par tu ye sab kyu soch rahi hai, muje nahi batayegi? (Prakruti chup rahi, wo bas apani maa ko dekh rahi thi)Tu us ladke ke bare me soch rahi hai na? (Prakruti ascharya se apani maa ko dekhne lagi) Me maa hu teri, sab samajti hu, sach sach bata, kya soch rahi hai tu uske bare me.

Prakruti : (Chhupate hue)Aisi koi baat nahi hai mummy, me kuchh nahi soch rahi hu uske bare me.

Aiswarya : Mujse bhi chhupayegi?

Prakruti : Batanelayak aisa kuchh hai bhi nahi mummy, aap jo soch rahi ho aisa hamare bich kuchh bhi nahi hai, usne aur mene pehle hi ek dusare ko keh diya tha ki hamare bich aisa waisa kuchh bhi nahi hai aur na kuchh hoga.

Aiswarya : Ye sab aisi bate hoti hai jo koi plan kar ke nahi kar sakta, aur me saaf dekh sakti hu ki tumhari ankho me kya hai, agar tumhare dil me kuchh hai to baat kar us se.

Prakruti : Kya baat karu mummy jab aisi koi baat hai hi nahi.

Aiswarya : Ab kya kahu me tujse, ye to tuje hi tay karna hai ki kuchh hai ki nahi.

Prakruti : (Baat ko ghumate hue)Papa ne kaha tha ki usko paise chahiye honge, to mene us ko ye bhi kaha ki jo chahe mang sakta hai.

Aiswarya : To kya usne kuchh jyada mang liya? (Wo bhi thoda chintit ho gayi)

Prakruti : Nahi mummy, usne to saaf mana kar diya, upar se keh raha tha ki apane papa se puchho ki wo meri kitni kimat samajte hai, agar tumhari kimat dene ki takat hai to baat kare, kyu ki me anmol hu uske liye.

Aiswarya : Itna to wo keh raha hai, fir dikkat kya hai?

Prakruti : Kya keh raha hai?

Aiswarya : Uski najar me tum anmol ho iska matlab wo tumse pyar karta hai, tabhi to aisa keh raha hai.

Prakruti : Aap galat samaj rahi ho mummy, wo bas muje ye keh raha tha ki ek baap ke liye uski beti anmol hoti hai to wo meri jaan ke badale me kimat kaise tay kar sakte hai. Wo alag hai mummy, wo dusaro jaisa nahi hai.

Aiswarya : Wo tumse pyar karta hai ki nahi ye to pata nahi par muje lagta hai tum uske pyar me jarur pad gayi ho.

Prakruti : Aisa kuchh bhi nahi hai mummy, mene apane dimag se ye sab fijul ki baate nikal di hai, aap janti ho ki me aisa waisa kuchh bhi nahi kar sakti, na me kar sakti hu na meri kundali muje ijajat deti hai. (aiswarya bhi dukhi ho gayi, uske chehre par bhi nirasa saaf dikh rahi thi)

Aiswarya : Chhod ye sab, jo hoga uparwala dekhega, humne kisi ka kya bigada hai jo wo hamare sath galat karega, tu khana kha.

Prakruti bhi khana khane lagi, par maan me wahi sab chal raha tha, wo soch rahi thi

Prakruti : Wo Yogendra uncle ke bare me kyu puchh raha tha, kya wo mere bare me bhi janta hoga? Aur jaisa mummy keh rahi hai kya sach me muje us se pyar ho gaya hai, par ye kaise ho sakta hai, mene khud ko samja liya tha ki me in sab se dur hi rahungi, meri jindagi ka ek hi maksad hai, doctor ban na aur logo ki seva karna, me kyu in sab bato ko soch rahi hu, muje in sab se dur hi rehna chahiye, par fir bhi ek baat baar baar mere dimag me aa rahi hai ki wo Yogendra uncle ke bare me kyu puchhh raha tha?

Raat ko Sukhdev apane ghar pahucha, wo pura din paresan raha tha, jab se uski Udesinh se baat hui thi wo sab tark vitark kar raha tha ki kya aisa ho sakta hai jo wo bata rahe the. Uska dimag keh raha tha ki ye koi chal hai, kyu ki ye sambhav nahi tha, wo isi kasmakas me tha.
Vakahi bahut mast update hai bhai
 
Boomerang

New Member
28
50
13

Wow super 👌 bahut hi jordar update Shiv ne bhi Padma ko mutod javab diya uske hi jaban me
 
londonmifin

New Member
6
23
3

Fabulous job dumdar update 👏 👍 👌
 
ghtyy57

Kafi shandar damdar update
 
The Real Kaiju

New Member
21
29
13
Maza aa gaya bhai
Barack Obama Applause GIF by Obama
 
  • Like
Reactions: komaltodkar

Himanshu kumar

Live your life celebrating not victory
289
346
79

Bahut jyada rochak hote ja rahi hai kahani maja a Gaya
 
komaltodkar

New Member
6
38

शानदार बहतरीन
 
Killer heart

New Member
16
33

Bahut khub jordar update bhai
 
Shaidarling

New Member
30
74

Bahut umda likhte ho bhai
 
  • Like
Reactions: kalukalamkaliya
Top