ckkhandu
Active Member
- 1,441
- 2,487
- 143
Mera man aur padne ka kar rha . Lekin man hai ki Manta hi nhi bhai thoda long update do bhaiUpdate 290
Me aur Prakruti ghar ki aur ja rahe the, wo car chala rahi thi aur me side me betha tha, par maan me yahi sawal chal raha tha ki ab me kya karu, kyu ki agar uski mummy ne muje dekha to wo turant pehchan legi. Prakruti bhi car chalate hue soch rahi thi, wo itna to samaj rahi thi ki jo kuchh bhi hua tha wo sab Shiv ki wajah se hua tha, Chandrikaaunty ka thik hona Shiv ki wajah se tha, aur uncle thik hue the wo bhi kahi na kahi Shiv se juda hua tha kyu ki wahi aunty ko waha le gaya tha. Kuchh samay pehle usko pata chala tha ki Shivans wapas aa gaya hai, usko samaj nahi aa raha tha ki wo kyu khus nahi ho rahi thi, bhale hi baad me pata chala ki wo Shivans nahi tha koi nakali tha, par ek baar ke liye usko khus hona hi chahiye tha kyu ki samajdar hone par uske maa baap ne usko samja diya tha ki kya hua tha. Is hisab se to Shivans ke lautne par usko khus hona chahiye tha, jo daag uske mathe par laga hua tha wo mit gaya tha, par fir bhi wo khus nahi ho payi thi, halaki tab wo jyada khus hui thi jab usko pata chala ki wo Shivans nakali hai. Chandrikaaunty aur uncle dono Shivans ke mata pita the, jo Shiv ne unke liye kiya wo sab Shivans ko karna chahiye tha, par ye sab Shiv kar raha tha, uska dimag samaj nahi pa raha tha ki aisa kyu. Jab Shiv ne nakali ban kar unse milne ki baat kahi tab bhi wo maan gayi thi, wo kyu Shiv par itna jyada yakin kar rahi thi. Ye sab sochte hue usne ek do baar apane baju me bethe Shiv ki aur dekha, Shiv ke chehre par bhi paresani saaf najar aa rahi thi.
Prakruti : Kya hua? Kyu paresan ho?
Shiv : Nahi to, aisi koi baat nahi hai.
Prakruti : Kyu juth bol rahe ho, tumhara chehra bata raha hai ki tum paresan ho, kis baat se paresan ho?
Shiv : (Khud ko sambhalte hue)Aisi koi baat nahi hai, me bas uncle aunty ke bare me soch raha tha.
Prakruti : Tum to unhe maa papa keh rahe the na, ab fir uncle aunty?
Shiv : Jo sach hai wo sach hi hai, chahe me kuchh bhi manu, par hakikat to nahi badalnewali.
Prakruti : To tumhe lagta hai ki wo thik hue wo nahi hona chahiye tha, hai na?
Shiv : Me aisa kaise soch sakta hu, wo thik ho jaye is se badi kya khusi ho sakti thi?
Prakruti : Par unke thik hone se tum unke pass nahi reh paoge, yahi soch kar paresan ho rahe ho na?
Shiv : Ha, aisa to hoga hi, par me khus hu ki wo thik ho gaye.
Prakruti : Tumhara unke sath lagav, koi sayog to nahi ho sakta. (Akkhir uske muh se wo nikal hi gaya jo uske dimag me tha)
Shiv : (Chaunkte hue)Kya kehna chahti ho?
Prakruti : Me kuchh kehna nahi chahti, me bas ye keh rahi hu ki ye kaise sambhav hua ki wo tumhari wajah se thik ho gaye, jab koi apane hosh me hota hai to hum koi bhi baat keh ke unhe kuchh sochne par ya samajne par majboor kar sakte hai, par jab wo hosh me na ho aur tab thi agar wo tumhari baat mante hai to ye tumhari chalaki nahi par sach hi ho sakta hai.
Shiv : Me samja nahi. (Me dar raha tha ki wo samaj na le ki me hi unka beta hu)
Prakruti : Me bhi nahi samaj pa rahi hu, bas mere maan me jo chal raha hai wahi bol rahi hu aur samaj ne ki koshis kar rahi hu. Tumhe pata hai, kuchh dino pehle koi unka beta ban kar unke ghar aaya tha, par wo nakali nikala. (Me kuchh nahi bola) Agar wo asali hota to apane maa baap ka dhyan rakhta, par nahi, aisi feeling to sirf apane ko hi aa sakti hai. (Prakruti kya bolna chahti thi wo me samaj raha tha)
Shiv : Tumhe kaise pata ki wo nakali hi tha?
Prakruti : Agar asali hota to aaj usko tumhari jagah par hona chaiye tha.
Shiv : Par me bhi to nakali hi hu na? to fir wo meri jagah kaise ho sakta hai.
Prakruti : (wo bhi soch me pad gayi)Pata nahi. (Uska ghar aa gaya tha, city ke bich me itna bada ghar dekh kar me chakit tha, usne car gate ke samne khadi ki to gate khulne laga, bada sa lohe ka gate bahot majboot lag raha tha, jaise hi car ander dakhil hui waha khade char security guard me salam kiya, par car ke shise band the aur usne car aage badha di, bahot bada ghar tha, ghar kya mahel hi lag raha tha, gate se ghar bhi kafi dur tha, bich me bada garden bhi tha, gav me Udesinh ki haveli thi waisa hi bada tha ye, par wo gaav tha aur ye saher, waha ki tulna me ye aur jyada mehnga tha. Waha car ke liye jagah bhi alag thi aur waha kuchh car bhi khadi thi, sab mehngi thi. Usne ek jagah car khadi ki.)
Shiv : Me yahi rukta hu.
Prakruti : Aisa kaise? Aur wo sab banane me samay bhi lagega, tab tak tum kya yahi rukna chahte ho.
Shiv : Koi baat nahi, me yahi khada rehta hu.
Prakruti : Pagal ho kya, chalo. (Mere pass aur koi vikalp nahi tha, me aur wo dono ghar ke darwaje ki aur badhe, me ghar hi dekh raha tha)
Shiv : Tumhara ghar to bahot bada hai. (Prakruti sirf muskurayi)(Hum dono ander dakhil hue, ander kayi naukar apane apane kaam me lage hue the, wo muje ek taraf bani bethne ki jagah par le gayi, waha sofe lage hue the, ghar itna bada tha ki utni jagah me to ek society ban jaye.)
Prakruti : Tum betho me aati hu. (Jate jate usne kisi ko muje pani dene ko kaha)(Wo ek kamare ke pass gayi aur dastak di)Mummy.
Aishwarya : Darwaja khula hi hai. (Prakruti darwaja khol kar ander dakhil hui, uski mummy ander sofe par beth kar kuchh padh rahi thi wo kitab unhone side me rakh di)Itni jaldi wapas aa gayi?
Prakruti : Me wapas nahi aayi hu, kuchh kaam ke liye aayi hu.
Aishwarya: Kaisa kaam?
Prakruti : Wo kuchh mug ka pani banana hai.
Aishwarya : Mug ka pani? Matlab?
Prakruti : Wo bimar logo ko mug ubal kar uska pani pilate hai na, wo.
Aishwarya : Kyu?
Prakruti : (apane shir par marte hue)Are! Me to batana bhul hi gayi, mumma aapko pata hai, Chandrika aunty aur Yogendra uncle thik ho gaye hai.
Aishwarya : (Sofe se khadi hote hue)Kya? (Uske chehre par dher sara ascharya tha)
Prakruti : Ha mummy, uncle bhi coma se bahar aa gaye hai.
Aishwarya : Kya! Sach me! (Uske chehre par khusi chhalak rahi thi)
Prakruti : Aunty ne hi muje ye bana ke lane ko kaha hai.
Aishwarya : Chandrika ne tumse kaha?(Usko jaise yakin nahi ho raha tha)Wo tuje pehchan gayi? Aur kya kaha?
Prakruti : Unhone muje ashirwad bhi diya, waise aur kuchh to nahi kaha hai abhi, waise bhi wo uncle ki tabiyat ko le kar paresan hai to jyada kuchh to nahi kaha par wo muje mere bare me sab puchh rahi thi ki kya kar rahi ho, mummy papaa kaise hai wo sab.
Aishwarya : Ye kab hua, aur tu muje ab bata rahi hai, thehar abhi me tumhare papa ko phone karti hu.
Prakruti : Phone baad me kar lena, muje abhi wo bana kar do, muje le kar hospital wapas jana hai. Aur Shiv bhi niche wait kar raha hai.
Aishwarya : Kon Shiv? (Wo Shiv ke bare me janti thi ki wo uska dost hai, par wo confirm karna chahti thi)
Prakruti : Kya kon? Aap janti to hai, mene bataya tha na.
Aishwarya : Wo tumhare sath kya kar raha hai?(Ab jab usko pata tha ki uski beti ki saas aur sasur hosh me hai aise me wo agar Shiv se mil rahi hai to usko jhatka sa laga)
Prakruti : Aisa kyu bol rahi ho aap?
Aishwarya : Ab kya samjau me tumhe, par wo tumhare sath me kyu hai, tumne nahi kaha tha ki tumhara uske sath koi lena dena nahi hai.
Prakruti : Ha kaha tha aur yahi sach hai, uski apani jindagi hai. (Thoda dukhi hote hue wo boli)
Aishwarya : To fir wo tumhare sath kyu hai, aur tu usko ghar tak bhi le aayi? Kya chal raha hai tere dimag me?
Prakruti : Aisa kuchh bhi nahi hai jaisa aap soch rahi hai, wo bas mera achchha dost hai aur kuchh nahi. Aur wo yaha kyu hai wo bahot lambi kahani hai, me baad me aapko samjadungi, pehle muje wo bana kar dijiye, aap kisi ko bol kar banvao, muje le kar wapas hospital bhi jana hai.
Aishwarya : Achchha thik hai, chal. (Wo dono niche ki aur jane lage, upar se utarte hue Aishwarya ne dekha ki bethak lounge me koi ladka betha hai, uski pith unki aur thi, wo dono kitchen me gayi aur waha safe ko sab samja diya, Aishwarya ke dimag me Shiv hi chal raha tha, Prakruti ko)Tu yahi beth, me us se milti hu.
Prakruti : ME yaha kya karungi, me bhi chalti hu na.
Aishwarya : Mene kaha na ki tum yahi betho, muje us se baat karni hai. (Wo halka sa dant te hue boli, Prakruti ne muh bana liya aur wahi beth gayi, Aishwarya bahar nikali aur jaha Shiv betha tha us aur gayi, uski najar Shiv par hi thi, wo jaise jaise Shiv ki aur ja rahi thi wo maan me soch rahi thi ki kya baat karni hai, wo bas usko jaan na chahti thi, pehle Prakruti ne uske bare me bataya tha, wo janti thi ki kahi na kahi Prakruti shayad us se pyar kar bethi hai, wo bas us se mil kar usko jan na chahti thi, par jaise hi wo uske pass gayi usko dekhte hue jaise chaunk si gayi)Tum??????? (Shiv ne jaise hi dekha ki koi aaya hai usne mud kar dekha aur Prakruti ki mummy ko dekh kar wo bhi chaunk sa gaya, wo jis baat se dar raha tha wahi uske samne thi, wo apani jagah par khada ho gaya)Tum Shiv ho???? (Aiswarya ko mano yakin nahi ho raha tha, uska dimag jaise tej ho gaya, wo janti thi ki yahi wo ladka hai jisne Prakruti ko bachaya tha aur yahi wo ladka hai jo Udesinh ke sath mila hua hai)
Shiv : Namaste aunty.(Me jitna shant ho sakta tha me hua)
Aishwarya : Tumhari himmat kaise hui yaha aane ki?
Shiv : Muje Prakruti apane sath layi hai.
Aishwarya : Wo tumhe layi hogi Kyu ki usko tumhara asali chehra nahi pata hai. (Me kuchh nahi bola, wo sofe par beth gayi par unke chehre par kathorta thi) To tumhi logo ne uske upar hamala karwaya ta aur fir usko bachane ka natak kiya taki wo tumse impress ho jaye, kyu sahi kaha na?
Shiv : Mene aisa kuchh bhi nahi kiya hai.
Aishwarya : Muje kya bevakuf samajte ho? Tum aur Prakruti kaise ek dusare ke najdik aaye muje nahi pata kya, wo samajti hai ki tum uski jaan bachanewale ho, par wo nahi janti ki ye sara jaal tumhara hi bichhaya hua hai.
Shiv : Aap kya keh rahi hai me samaj nahi pa raha hu.
Aishwarya : Mere samne bhole ban ne ki acting maat karo. Bhale hi pakke sabut nahi mile par hum itna to jaan chuke hai ki us samay Prakruti par hamala Udesinh ke aadmione karwaya tha, aur fir tumne usko bachaya tha. Ab hume ye bhi pata hai ki udesinh ne hi tumhe Shivans ban ne ka natak karne ke liye paise diye hai, iska sidha matlab hai ki tum dono ne mil kar ye koi ganda tarika socha hai jis se Tum Prakruti ko apane jaal me fasa sako.
Shiv : Kya? Wo hamala Udesinhji ne karwaya tha?
Aiswarya : Wah! Kya acting karte ho!. Par tumhari ye chale muh par nahi chalnewali.
Shiv : Me sach me nahi janta jo aap keh rahi hai. Aur me kyu Prakruti ke sath ye khel khelunga?
Aishwarya :Ye to tumhe hi pata hoga? Tumhe Udesinh ne kiraye par rakkha hai to tumhe hi pata hoga ki tumhara kya maksad hai?
Shiv : Mera koi maksad nahi hai, aur na hi muje pata hai ki wo hamala kisne karwaya tha, us waqt tak to me Udsinhji se sayad mila bhi nahi tha.
Aishwarya : Tumhari in bato ka muj par koi assar nahi honewala, batao kis irade se tumne meri beti ke sath dosti ki? Usko nuksan pahuchane ki sochna bhi maat, agar meri beti ko kuchh bhi hua to na tum bachoge na wo Udesinh. Tumhe pata bhi hai ki hum hai kon?
Shiv : Muje is se koi fark nahi padta, aur na hi mere dil me Prakruti ko nuksan pahuchane ka koi maksad hai.
Aishwarya : Ab ye bhi keh do ki tum aur Udesinh mile hue nahi ho, unhone tumhe paise de kar kiraye par nahi rakkha.
Shiv : Ye sach hai ki unhone muje apane kisi kaam ke liye paise diye hai, par usme Prakruti ki kahi bhi baat nahi hai.
Aishwarya : Matlab tum maante ho ki tumne Shivans ban ne ka natak kiya tha.
Shiv : Ha, mene unki baat mani thi, par uske mere karan hai. Aur me nahi samajta ki muje aapko ye sab batana chahiye. Agar aapko lagta hai ki me Prakruti ko koi nuksan pahucha sakta hu to turant aap Prakruti ko ye sab bata dijiye, taki wo mujse dur rahe. (Aiswarya kha janewali najaro se Shiv ko dekhne lagi, Shiv ke chehre ka aatmvishwas dekh kar wo khud bhi dang thi) Muje agar usko nuksan pahuchana hota to wo mere sath kayi dino se hai, wo mujse milne mere anathalay bhi aayi thi, agar muje nukasan pahuchana hota to mere pass kayi moke the. Rahi baat Udesinhji ki to mene unka ghar chhod diya hai. Uske baad hum mile bhi nahi hai na kisi tarha ka sampark kiya hai. (Tabhi Prakruti waha aayi, Shiv khada tha aur uski maa sofe par bethi thi, dekh kar hi lag raha tha jaise dono me koi bahes ho rahi ho aur uski maa Shiv ki jaise puchhtach kar rahi ho)
Prakruti : Maa wo mug ka pani taiyar ho gaya hai. (Prakruti ne dur se dekha tha ki dono kuchh baat kar rahe the, Shiv kuchh bol raha tha, par abhi dono chup the) Kya baat hai, aap dono kya baat kar rahe the?
Shiv : Agar pani taiyar ho gaya hai to tum muje de do, me le jata hu.
Prakruti : Aisa kyu keh rahe ho, kya baat hai mummy?
Aishwarya : Tumhare kaam ki baat nahi hai, aur tum muje ye batao, tumhe to Chandrika aunty ne ye mug ka pani lane ko kaha tha na? ye tumhare sath kyu hai?
Prakruti : Chandrika aunty ne muje aur Shiv dono ko ye pani lene jane ko kaha tha. (Prakruti ko kuchh bhi samaj me nahi aa raha tha)
Aishwarya : (Ye ek aur ascharya tha uske liye)Kya! Chandrika isko janti hai?
Prakruti : Ha, wo janti hai.
Aishwarya : (Ascharya se badi aankhe karte hue)Wo kaise janti hai isko?
Prakruti : Ye lambi kahani hai, me aapko bataungi.
Aishwarya : Baad me kyu, abhi batao. (Wo thoda gusse se boli, wo ek bhi pal gavana nahi chahti thi, usko pata tha ki ek bhi pal gawana matlab uski beti ko nuksan, aur wo ye bhi jan na chahti thi ki kya sach me ye ladka Shivans hai, kyu ki us se Chandrika mil chuki hai aur wo ab thik bhi ho gayi hai jaisa Prakruti ne bataya, to Chandrika ne kaise usko apana beta maan liya? Kya wo sach me Shivans hai?)
Prakruti : Ma agar me sidhe sidhe bata dungi to aapko sab samaj me nahi aayega, abhi aap bas itna samaj lijiye ki Shiv wo Shivans ban ne ka natak kar raha hai taki uncle aur aunty ki bimari thik ho jaye.
Aishwarya : Matlab tu janti hai ki ye Shivans ban ne ka natak kar raha hai? (Aiswarya ka dimag hi chakara raha tha) Matlab isne Chandrika aur Yogendrabhai sahab ko bhi dokha diya hai?
Prakruti : Usne koi dokha nahi diya hai, usne Chandrika aunty ko sab sach sach bata diya hai, usne aunty se kaha hai ki wo Shivans nahi hai Shiv hai.
Aishwarya : Meri to kuchh samaj me nahi aa raha hai. (wo samaj hi nahi pa rahi thi ki akhir chal kya raha hai, aur ye ladka kar kya raha hai?)
Prakruti : Isliye to me keh rahi hu ki aapa aise bich me se sab samaj ne ki koshis karogi to aapko bhi samaj me nahi aayega aur abhi hume ye khana le kar hospital jana hai, me aapko baad me sab samja dungi.
Aishwarya : Me bhi chalti hu tu dono ke sath?
Prakruti : Thik hai mummy, par me kya keh rahi thi, humne sirf uncle ke liye ye banaya hai, kya hum aunty ke liye bhi khana le le?
Shiv : Uski jarurat nahi hai, Krupalididi ka msg aaya tha ki wo khana le kar hospital aa rahi hai. Aishwarya : (Aishwarya ne fir ghur kar Shiv ko dekha, kyu ki abhi abhi usne kaha tha ki usne Udesinh ka ghar chhod diya hai, aur ab keh raha hai ki uski beti unke liye khana le kar aa rahi hai)(Maan me)Kitna kamina hai ye, kitna juth bolta hai, par abhi kuchh bhi kehna vyarth hai, pehle muje ye jan na hoga ki Chandrika aur iske bich kya baat hui hai, kya wo Shivans hai? (Prakruti ko)Chalo.
Wo tino bahar nikale, Prakruti driving seat par bethi aur uski maa uske baju me beth gayi aur Shiv pichali seat par beth gaya, car fir Hospital ki aur chal padi. Wo log hospital pahuch gaye, bich me kisi ne jyada baat nahi ki, sab car park kar ke nikal hi rahe the ki ek car usne samne aa kar ruki, usme se Krupali nikali, uske hath me tiffin tha, wo muskurate hue unke samne aayi.
Krupali : (Aiswarya ko dekh kar) Namaste aunty. (Kehte hue usne unke pair chhue)
Aishwarya : Jiti raho. Kaisi ho?
Krupali : Me achchhi hu, Kaisi ho Prakruti? (Prakruti ne bhi kaha achchhi hu)
Aishwarya : Ek hi saher me rehte hai par lagta nahi hum ristedar hai.
Krupali : Aisi baat nahi hai aunty, par ghar ke kaamo me kaha fursat milti hai. (Usne bas aise hi kaha)
Aishwarya : Ab ye maat kehna ki ghar ke kaam tumhe khud karne hote hai.
Krupali : Aisa to nahi hai. (Wo muskurate hue boli, dono ko pata tha ki in bato ka koi matlab nahi hai, wo bas opcharik baate hi kar rahe the)Aiye ander chalte hai, muje to abhi bhi yakin nahi ho raha tha ki chacha aur chachi thik ho gaye hai. (Usne Shiv ko dekha)
Aishwarya : Ha, chalo, muje bhi abhi Prakruti ne bataya, me bhi utsuk hu unse milne ke liye. (Wo aage badhe to Krupali aur Aishwarya sath the, Prakruti pichhe Shiv ke sath ho gayi to Aiswarya ne uski aur aise dekha to dar ke mare turant Prakruti undono ke sath ho gayi, wo tino aage aage chal rahe the aur Shiv unke pichhe, charo hospital ke ander gaye, ander kamare me jaise hi wo dakhil hue Chandrika ne us aur dekha, Aiswarya aur Chandrika ki jaise hi najare mili, chandrika apani jagah se khadi ho gayi, Aiswarya tej kadmo se uski aur badhne lagi, Chandrika bhi do kadam badhi aur dono ne ek dusare ko gale laga liya)
Aishwaraya : chandrika.
Chandrika : Aiswarya. (dono ne ek dusare ko kas ke gale laga liya)
Aishwarya : Tum sach me thik ho gayi! (Aishwarya ki ankhe khusi me chhalak aayi, Chandrika ki ankhe bhi num ho gayi, dono kuchh der tak ek dusare ke gale lagi rahi, Shiv dekh raha tha ki dono me kafi achchhi bonding hai, is sukhad pal ka najara Krupali aur Prakruti bhi dekh rahi thi)
Prakruti : Aap dono aise hi gale lagi rahengi ki uncle ko wo soup bhi pilayengi. (Dono muskurate hue alag hue aur ankhe pochhne lage) Lagta hai aap dono achchhe friend hai.
Aishwarya : Friend nahi, hum dono behne hai, bhale riste se na sahi par maan se to jarur hai. Bhai sahab kaise hai? (Yogendra ki aur dekhte hue wo boli)
Chandrika : Coma se to bahar aa gaye hai, par abhi kamjor hai, to jyadatar sote rehte hai.
Aishwarya : Wo sunenge to bahot khus honge, me abhi unhe call lagati hu. (wo call lagane lagi, Krupali aur Shiv dono ek bowl me soup nikalne lage, Prakruti bhi unhe madad karne lagi, usne video call lagaya tha to thodi der baad bistar me leta Sukhdev dikhayi diya)Hello.
Sukhdev : (Neend me)Kya hua Aishwarya, kyu neend se jagaya muje?
Aishwarya : Aapko disturb kiya uske liye sorry, par baat hi kuchh aisi thi, muje pata hai aapke waha raat hai, par yaha to din chadh aaya hai.
Sukhdev : (Dhyan se dekhte hue)Tum hospital me kyu gayi ho?
Aishwarya : Aapko ek khus khabari deni hai.
Sukhdev : Prakruti ka bhai ya bahen aanewala hai kya? (Usne majak kiya)
Aishwarya : Kya kuchh bhi bolte ho, dekhte bhi nahi ki kaha hu me. (Unki baat sabne suni thi to sab has rahe the aur Prakruti ne Shiv ki aur dekha aur sharma gayi, kyu ki uske samne hi uske maa papa ne aisi baat ki thi)
Sukhdev : Bas majak kar raha tha....Achchha batao kaha ho tum? Aur kya khus khabari hai?
Aishwarya : Me tumhe kisi se milvati hu. (Kehte hue wo Chandrika ke pass gayi aur dono ab Sukhdev ko screen par najar aa rahe the, wo jinhe dekh raha tha wo nayi baat nahi thi par wo usko dekh kar muskura rahi thi ye dekh kar uski puri neend ud gayi, wo bistar me beth gaya)
Chandrika : Namaste bhaisahab.
Sukhdev : Bhabhiiiiiiii, aap pehchan rahi ho muje?
Chandrika : Ha wo swasth hai ab.
Sukhdev : Ye to sach me bahot badi khus khabari di tumne, par ye hua kaise? Aap thik to hai na bhabhi?
Chandrika : Ha me thik hu. Aap kaise hai?
Sukhdev : Aap se baat kar ke me kitna khus hu me bata nahi sakta bhabhi. (Sukhdev ke cherhe par sach me khusi jhalak rahi thi)
Aishwarya : Abhi ek aur surprise hai, khus ko sambhaliye ga. (Sukhdev ki nigahe screen par chipa si gayi thi, tabhi usko screen par Yogendra dikhayi diya, wo so raha tha par uske chehre par oxygen mask nahi tha, Chandrika unhe jagane lagi)
Chandrika : Yogendra, yogendraaa. (Sukhdev ko yakkin nahi ho raha tha jo wo dekh raha tha, uski ankhe hairat se badi ho gayi jab Yogendra ne ahista se apani ankhe kholi)
Sukhdev : Yogendraaaaa (Wo lagbhag chilla hi pada, yogendra ne apani ankhe us mobile par tikayi, wo kuchh bolne ki koshis karne laga par uske hoth sukh rahe the)Yogendraaaa, kaisa hai mere yaar? (Bolte bolte sukhdev ki ankhe hi bhar aayi, Aishwarya janti thi ki abhi wo puri tarha swasth nahi hai is liye usne screen apani taraf mod di)Aiswarya, muje dekhne do use, muje baat karne do.
Aishwarya : Wo coma se bahar aa gaye hai par abhi kamjor hai, par pehle se kahi behtar hai.
Sukhdev : Me kal subah ki flight se wapas aa raha hu. (Ye baat chandrika ne suni to usne Aiswarya se mobile manga to Aishwarya ne mobile usko diya)
Chandrika : Aise kaam chhod kar aane ki jarurat nahi hai, hum yaha thik hai, sab hai yaha.
Sukhdev : THik hai bhabhi, me jald se jald kaam nipta kar waha aata hu. (Aiswarya ne fir mobile le liya)Ye sab kaise hua?
Aishwarya : Muje bhi abhi sab nahi pata, par mene jaise hi suna mene aapko turant phone kar diya, me baad me aap ko sab baat bataungi, thik hai.
Sukhdev : Ha thik hai, tum un dono ka khyal achchhe se rakhna.
Aishwarya : Ye bhi koi kehne ki baat hai. Chaliye me rakhti hu, me bhi abhi tak Yogendrabhai sahab se nahi mili. (Unhone fir phone rakh diya, Krupali apane hath me soup le kar khadi thi aur Shiv bed ko pichhe se upar kar raha tha, fir chandrika chammach se Yogendra ko soup pilane lagi, Shiv wahi khada tha, thodi der baad jab unke hotho se thoda soup bahar nikala to turant Shiv ne ek kapade se unke hoth pochh diye, ye sab Aishwarya dekh rahi thi, wo dekh sakti thi ki Shiv kaise unki dekhbhal kar raha hai, Chandrika bhi ekdum shant thi jaise Shiv ki upasthiti se wo purntaya santust thi, Aishwarya ko samaj nahi aa raha tha ki akhir chal kya raha hai, par is waqt ye sab puchhna usko sahi nahi laga to wo bas apni beti ke sath khadi thi, thodi der unhe soup pilane ke baad Yogendra ne muh fer kar mana kar diya to Chandrika ne katora wapas rakh diya aur unka muh pochh diya.)
Chandrika : Dekhiye kon milne aaya hai. (Kehte hue usne Aishwarya ko dekha to Aiswarya thoda aage aayi)
Aishwarya : Kaise hai bhaisahab? (Yogendra ne thoda muskuraya diya, hoth thode fadfadaye)Bas bas bhai sahab, aap jyada stress maat lijiye, sab thik ho gaya hai, aage bhi sab achchha hi hoga, bas aap jaldi swasth ho jaiye. Aap Prakruti se mile hai na? (Prakruti ko khinch kar apane sath late hue)Ye Prakruti hai, meri beti.
Chandrika : Mene milwaya tha, wo jante hai.
Aishwarya : Achchhi baat hai, par ye sab hua kaise? (Ek bar usne Shiv ki aur bhi dekha jaise puchh rahi ho ki ye kon hai aur yaha kyu hai, uska dil teji se dhadak raha tha, kyu ki ab usko yakin honelaga tha ki yahi Shivans hai, par wo Chandrika ke muh se sun na chahti thi)
Chandrika : Baad me baat karte hai. (Krupali ki aur dekh kar) Tum kaise aa gayi?
Krupali : Me aapke liye khana le kar aayi hu.
Chandrika : Thik hai, Shivu ko de do, aur tum bhi agar baki ho to tum bhi kha lo.
Krupali : Aur aap?
Chandrika : Me thodi der baad khaungi. (Krupali ne Shiv ki aur dekha)
Shiv : Me bhi thodi der baad hi khaunga.
Chandrika : (Wo samaj gayi ki uski wajah se wo abhi nahi kha raha hai) Achchha thik hai, khana nikalo, me kha rahi hu bas. (Wo jaise Shiv ko dant te hue boli to Shiv bas muskuraya)
Aishwarya : Aap log khana khaiye, me aur Prakruti bahar bethe hai.
Krupali : Aap bhi kha lijiye thoda(Usko pata nahi tha ki wo dono bhi waha hongi, wo bas Shiv aur chachi ke liye hi khana layi thi)
Aishwarya : Nahi, hume ghar ja kar bhi khana hai aur subah ke naste ke baad me der se hi khana khati hu. (Krupali ne Chandrika ki aur dekha, Chandrika bhi samajti thi ki yaha koi party to chal nhi rahi hai, thoda adjust to karna hi tha)
Chandrika : Koi baat nahi. Waise yaha bethna ho to yahi beth sakte ho, hume koi apatti nahi hai.
Aishwarya : Aap log khana khaiye, muje Prakruti se thoda kaam hai.
Chandrika : Jaisa tum thik samjo. (Fir wo dono bahar nikal gaye kyu ki waise bhi Aishwarya ko ab bahot jaldi thi sari baat jan ne ki, wo dono bahar nikale aur cantine ki aur gaye, dono ek table par beth gaye aur unhone dono ke liye juice ka order de diya)
Aishwarya : Ab muje sari baat batao.
Prakruti : (Usko samaj nahi aa raha tha ki kaha se suru kare, par uski maa thi to sach to batana hi tha) Aap mere aur Shiv ke bare me to janti hi hai(Wo hichkichate hue boli kyu ki usne apani maa ko apane aur Shiv ke bare me pehle bataya tha)
Aishwarya : Hmmmm.
Prakruti : Jab wo us time mila tha tab sayong se me usko uncle wale hospital le gayi thi, us waqt usko unki kahani pata chali thi. Uske baad mene aapko bata diya tha ki kyu hum alag hue the. (Chandrika bahot dherya se aur gaur se sun rahi thi) pehle jab hamari baat hoti thi tab wo muje uncle aur aunty ki tabiyat ke bareme puchhta tha. Shayad usko unki kahani sun kar koi lagav ho gaya hoga, uske baad abhi kuchh din pehle usne muje phone kiya aur kaha ki wo uncle aur aunty se milna chahta hai. Pehle to mene mana kar diya ki koi ajnabi nahi mil sakta unhe par wo apani baat par ada raha, waise bhi me sath me thi to koi khatara to nahi tha aur wo sirf milna chahta tha, usne kaha ki wo ek anath hai aur usko unki fikar ho rahi hai bas wo sirf milna chahta hai to fir me maan gayi aur wo yaha milne aa gaya. (Wo thoda ruki aur apani maa ke chehre ko padhne ki koshis karne lagi, uske baad usne baat aage badhayi) Jab hum aunty se mile tab usne unse kaha ki wo unka beta hai. Uski is baat se aunty ki tabiyat me badlav aane lage.
Aishwarya : Usne aisa kaha ki wo unka beta hai?
Prakruti : Muje bhi ascharya hua tha, to mene us se puchha bhi tha ki usne aisa kyu kaha? To usne bataya ki wo waise bhi anath hai, maa baap ke pyar se dur hai, usne bas aise hi apane maan ki baat keh di thi, usne socha tha ki waise bhi aunty kuchh samaj to sakti nahi hai to aisa kehne se uske dil me dabi baat bhi wo keh dega aur kisi ko koi fark bhi nahi padega. To is liye usne aisa kaha tha.
Aishwarya : Hamm fir?
Prakruti : Par aunty ki tabiyat me badlav aaya aur doctor ne bhi kaha ki agar wo thik ho sakti hai to juth bolne me koi burayi nahi hai, muje bhi aisa laga to fir mene wo natak chalu rakhne ke liye permission de di. Wo aunty ke bete ki tarha unse baat karne laga aur aunty thik ho gayi.
Aishwarya : Matlab wo juth bol kar unhe dhoka de raha hai.
Prakruti : Aisa bhi nahi hai, usne aunty ko sab bata diya ki wo juth bol raha tha aur wo unka beta nahi hai.
Aishwarya : Par muje to aisa nahi laga ki Chandrika usko koi gair samaj rahi hai.
Prakruti : wo uncle ki wajah se, unhone hi Shiv ko kaha ki wo uncle ke samne ye natak jari rakhe, ho sakta hai ki wo bhi thik ho jaye, aur hua bhi waisa hi, uncle bhi coma se bahar aa gaye, par abhi unhe sach nahi bataya hai.
Aishwarya : Ye sab karne se pehle tuje nahi lagta ki tumhe muje ya apane papa ko ye batana chahiye tha.
Prakruti : Muje laga tha ki muje aapko batana chahiye, par... muje dar tha ki aap mana kar doge. (Wo thoda darte hue boli)
Aishwarya : Agar usne unhe nuksan pahuchaya hota to?
Prakruti : Muje pata tha ki aisa nahi hoga, Shiv aisa nahi hai.
Aishwarya : Tu janti hi kitna hai usko jo aisa keh rahi hai? (Aishwarya usko Udesinh aur uske riste ke bare me batana chahti thi par fil hal usne khud ko rok liye, wo is baat ki teh tak jana chahti thi)
Prakruti : Me janti hu usko, wo achchha hai.
Aishwarya : Agar wo achchha ban ne ka natak kar raha ho tab?
Prakruti : Aisa nahi hai.
Aishwarya : Tuje kya samaj hai, soch agar wo tumhe ya in dono ko marne ke liye kisi ke dwara bheja gaya ho tab?
Prakruti : Aisa nahi ho sakta, aur waise bhi agar wo muje marna chahta to wo muje bachata nahi aur fir bhi agar maan bhi le ki wo koi nuksan pahuchana chahta hai to hum to aksar milte the, wo jab chahe muje nuksan pahucha sakta tha.
Aishwarya : Fir bhi tumhe ye baat itni sahaj nahi leni chahiye thi, ye to uparwale ka sukar hai ki kuchh hua nahi warna tuje pata hai kya ho sakta tha?
Prakruti : Aap to hamesa muje bachchi hi samajti hai, me ab badi ho gayi hu.
Aishwarya : Pata hai muje kitni badi ho gayi hai. (Wo usko dant te hue boli, Prakruti bhi muh fula ke unko dekhne lagi)Achchha thik hai, aage se aisi koi bevkufi maat karna. Kuchh ho to hume bata diya karo.
Prakruti : Thik hai.
Aishwarya : Chalo ander jate hai. (Unhe kafi samay ho gaya tha to wo ander jane lage, waise bhi Aishwarya ko Chandrika se is baare me baat karni thi, wo ander gaye to sab khana kha chuke the, Yogendra bhi abhi so rahe the, Sab wahi sofe par bethe the, Me uth kar papa ke pass chala gaya kyu ki muje pata tha ki Prakruti ki mummy ko mera waha hona pasand nahi tha, Krupali bhi wahi thi, Aishwarya soch rahi thi ki kaise baat kare, kyu ki wo Krupali ke samne sab khul kar baat nahi karna chahti thi)Raat ko tum yahi sonewali ho? (Unhone chandrika se puchha)
Chandrika : Ha.
Aishwarya : Thik hai me bhi aaj raat yahi ruk jaungi.
Chandrika : Aisi taklif lene ki jarurat nahi hai, Shivu bhi hai yaha. (Aishwarya ke gale tak aa gaya ki wo puchh le par fir wo ruk gayi)
Aishwarya : Usko bhi aaram mil jayega, waise wo kaha rehta hai?
Krupali : Wo mere ghar rehta hai.
Aishwarya : (Maan me)Wahi hi rahega na, tumhare baap ka jo aadmi hai. (Samne se)Ha tho achchhi bat hai na, wo ghar chala jayega, usko bhi aaram mil jayega.
Chandrika : Thik keh rahi ho tum, hum aisa hi karenge. (Aishwarya ki maan ki murad puri ho gayi, use bas raat ka intejar karna tha)
Aisa feel ho rha hai Jase koi movie ka seen chal rha hai outstanding Bhai Maza agya update read kr ka , Dil krta hai daily mil jaye update but Hume malom hai aisa possible nhi hai kue k 100 dunia ka Kam HOTA hai busy routine, phir bi shukriya joh ap etni busy hone k bad bi time nikalty Hain , keep it upUpdate 290

Bhaut Hee Shandar Aur Lazawab Update Diyaa Hee 

Funtastic update broUpdate 290