• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Kundali Bhagya

Vega Star

Active Member
955
10,153
124
Update 87

Hum dono gaav ke chhote rasto par thodi der ghumte rahe, gaav itna bada bhi nahi tha to thodi hi der me hum ne sara gaav ghum liya.

Shiv : Tum bike bhi chala leti ho ye jaan kar ascharya hua.

Juhi : Isme ascharya ki kya baat hai, kyu ladkia bike nahi chala shakti.

Shiv : Chala shakti hai par mene jyada ladkio ko bike chalate dekha nahi.

Juhi : Me to bhaiya ki jeep bhi chala leti hu.

Shiv : Kya sach me, kassme bhi sab chala pata.

Juhi : Isme konsi badi baat hai, tum scooter to chala hi lete ho, bike ke gear samaj lo to fir bike bhi chala paoge, sikhna chahte ho?

Shiv : Ha ha, kyu nahi.

Juhi : Thki hai, to gaav ke bahar ke raste par chalte hai, waha jyada koi nahi hoga aur rasta bhi sidha hai. (Hum dono gaav se bahar aa gaye, usne bike roki) Ye dekho ise clutch kehte hai(Usne hath se leaver daba kar dikhaya) aur isse gear kehte hai (pair se daba kar dikhaya), iss bike me 5 gear hai, kisime 4 bhi hote hai, sabse upar neuteral aur uske baad me niche karte jaoge aise aise gear badalte jayenge, jab tak ye clutch nahi chhodoge, bike aage nahi jayegi. Ab pichhe beth jao, me tumhe dikhati hu. (Me beth gaya, aur usene muje thodi der bike chala kar dikhayi, kaise aur kab gear change karte hai wo muje samjaya, dikhne me to sab aasan lag raha tha) Chalo ab tum karke dikhao.

(Me bike par aage beth gaya, Juhi mere pichhe beth gayi) Chalo ab clutch dabao( Mene daba diya,) ab gear me dalo. (Mene dal diya)Ab clutch chhodo aur bike ko aage badhao. (Maine jaise hi clutch chhoda to ek jhatka laga aur bike band ho gayi, Juhi ek dum se meri pith se takrayi )Kya karte ho, aise ekdum se nahi, ahista se chhodna tha.

Shiv : Sorry, yaar, galti ho gayi.

Juhi : Chalo koi baat nahi, fir se try karo, dekho me dikhati hu( Wo mujse puri tarha se chipak gayi, uske stan meri pith me chubh rahe the, par uska dhyan sab sikhane me hi tha, mene bhi sikhne me dhyan diya, thodi der ki masakkat ke baad me bike chalane laga) Ha aise hi, dekha kitna aasan hai, bas speed ke hisab se gear badalte jao, aur jab rokna ho to clutch daba do. (Me bhi khus tah bike chalate hue, hum dono aise hi bike chalate rahe)Us aaur lelo.

Shiv : Kis aur?

Juhi : Uss aur(Apne hath se rasta dikhate hue)waha hamare khet hai. (Mene us aur mod diya, waha ek kachcha rasta tha, khet kafi bada tha, ander ek chhota makan bhi bana hua tha. Jab najdik gaya to wo bhi kafi bada tha, bahar se hi lag raha tha ki kam se kam char room ka ghar hoga. Aas pass kuchh majdur kaam kar rahe the, ek khatiya par Juhi ke bhai lete hue the. Mene thodi duri par bike rok di, bike aawaj sun kar wo khatiya par se khade hue.

Chandrapal : Are Juhi, tum yaha, aao aao.

Juhi : Ji bhaiya, bas aise hi ghumne nikale the to yaha aa gaye.

Chandrapal : Ha, waise bhi iss gaav me kheto ke alawa hai bhi kya., aao betho. E eee lila, makin ke liye pani le aao. (Mene dekha ki ek 50 saal ke karib ki aurat thi, fir bhi ye unhe naam se bula rahe the, wo bhi ji malik kehti hue, ander gayi aur pani ke do glass le aayi. Hum dono ne pani piya.)

Juhi : Sukriya, mausi.

Lila : Ari bitiya, ime sukriya kaisa, e to hamar kaam hai. (Juhi sach me sab ko ijjat dena janti thi)

Juhi : Bhaiya, hum thoda khet ghum lete hai, me Shiv ko apne khet dikha deti hu.

Chandrapal : Ha ha, kyu nahi, isne to ye sab kabhi dekha hi nahi hoga, jao dikhao isse. Isse bhi to pata chale ki hamari bahen ki kya hesiyat hai. (Wo jis tarha se baat kar rahe the us se lag raha tha ki wo muje meri aukat dikha rahe hai, par waise bhi meri to koi aukat thi hi nahi, to muje kya fark padnewala tha)

Juhi : Kya bhaiya aap bhi, (Muj se) Chalo Shiv. (Hum dono khet ki aur nikal gaye, bahot bada khet tha, ya yu kahe ki bahot sare khet the, kuchh me fasal lagi hui thi, kuchh me aam ke ped bhi the, kuchh duri par ped ek katar me dikh rahe the, Juhi muje sab bata rahi thi, konsi fasal hai, konse paid hai, hum chalte chalte kafi dur tak aa gaye, hum jaha the waha se to ab wo makan bhi nahi dikh raha tha.)Wo paid ki katar dikh rahi hai Shiv, uske pichhe ek talab bhi hai, dekhna chahoge.

Shiv : Jaise tum kaho. (Wo muskurayi aur hum un pedo ke nichhe aa gaye, sach me waha ka najara bahot hi jyada khubsurat tha, waha se ek rasta bhi dikh raha tha) Ye rasta?

Juhi : Ye rasta hume stadium ki aur le jayega, stadium hamare gaav ki taraf, saher se lagkar hai.

Shiv : Agar wo itna dur hai to me jaunga kaise, is se to achchha hai ki me wahi reh jau. Waise bhi muje nahi lagta ki tumhare bhai ko mere yaha rehne se koi khushi hui hai.

Juhi : Aisa kuchh nahi hai, unka swabhav thoda waisa hi hai. Papa to apni naukari ki wajah se bahar rehte hai, hafte me ek din aate hai, to sab bhaiya hi sambhalte hai, sab par hukum chalate chalate wo thode waise ho gaye hai. Par wo meri koi baat nahi talte, issliye tum unki chinta maat karo. Tum bhabhi se mile na, wo bahot achchi hai, wo bhabhi nahi, meri dost hai. Ha wo jyada bolti nahi par dil ki bahot achchhi hai, wo tumhara pura khayal rakkhegi. Aur rahi baat aane jane ki to tum bike ka istemal kar shakte ho.

Shiv : Dekhte hai, par agar kuchh aur intejam ho to behtar hai.

Juhi : Chhodo wo sab, apne mobile se meri kuchh taswir to lo, waise bhi pura mobile khali pada hai.

Shiv : Par muje nahi aata.

Juhi : Are isme konsi badi baat hai, lao tumhara mobile, me sikhati hu. (Fir usne muje tasvir lena sikhaya, mene uski kafi sari taswir li, usne mere sath selfi bhi li, usne muje video banana bhi sikhaya, kaffi der ghumne ke baad hum wapas us makan ke pass aagaye) Bhaiya, hum ghar chalte hai, ab bhukh bhi lagi hai, aap nahi aanewale?

Chandrapal : Tum dono jao, me aata hu thodi der me.

Hum dono waha se chale gaye. Ek majdur jo wahi pass me khada tha.

Majdur : Ye ladka kon hai, malik?

Chandrapal : Hai koi anath, meri bahen us par daya kha kar use yaha le aayi hai.

Majdur : Par ladka bahot badhiya hai malik, bitiyarani se uncha aur tagada hai.

Chandrapal : Ja apna kaam kar, tujse puchha kuchh.

Majdur : Maaf kijiye malik, me to waise hi keh raha tha. (Wo dar kar waha se bhag liya, Chandrapal jati bike ko dekh raha tha)

Hum dono ghar aa gaye.

Maa : Bahot der laga di?

Juhi : Ha maa, apne khet ki aur chale gaye the, Shiv ko sab dikha rahi thi. Ab bahot bhukh lagi hai.

Maa : Ha, khana taiyar hi hai, bahuuuuu, khana laga de.

Bhabhi : (Ander se hi awaj aayi) Ji maji, hath muh dho kar aa jaiye, sab taiyar hi hai.

Maa : Jao, dono muh hath dho lo aur rasoi me hi aa jao.

Hum dono ne khana khane beth gaye, bhabhi ne khana paros diya. Khana sach me bahot swadist tha, bhabhi paroste waqt bhi muj se jyada najare nahi mila rahi thi. Par dur beth kar muje dekh leti thi. Jaise hi unse najar milti to fir apni najar hataleti. Meri samaj me nahi aa raha tha. Khair hum dono ne khana khaya.

Juhi : Hum sham ko meri saheli ke ghar jayenge, tab tak agar tumhe aaram karna hai to kar lo.

Shiv : Thik hai, waise bhi muje padhayi karni hai. (Me padhayi karne upar chala gaya, Juhi ki maa bhi aaram karne chali gayi, bhabhi aur nanand rasoi me akeli reh gayi)

Juhi : Bhabhi aap nahi khaogi?

Bhabhi : Tumhare bhaiya aayenge, uske baad khaungi.

Juhi : Kya bhabhi aap bhi, unka koi thikana rehta hai, unhone bhi kitni baar bola hai ki kha liya karo.

Bhabhi : Wo sab chhod, Shiv ke saath tera kya sceene hai? Ab to tu use ghar tak le aayi.

Juhi : (Wo sharma to rahi thi, par udas bhi thi)Aisa kuchh nahi hai bhabhi, wo to camp ki wajah se use me yaha layi hu.

Bhabhi : Matlab tum dono me kuchh bhi nahi hai?

Juhi : Pata nahi bhabhi, kabhi kabhi to lagta hai kuchh hai, par kabhi lagta hai kuchh bhi nahi hai, wo kabhi mere karib nahi aata. Me khud uske karib jati hu fir bhi wo dur dur rehta hai.

Bhabhi : Aisa kyu?

Juhi : Pata nahi bhabhi, shayad wo meri bahot ijjat karta hai, to muje us nazar se dekhne me use dikkat ho rahi hai, ya fir wo anath hai to mujse dur rehta hai, pata nahi bhabhi.

Bhabhi : To ek bar baat karke dekh.

Juhi : Wo bhi ki thi, par uske baad bhi muje aisa hi lagta hai ki wo muje naraj nahi karna chahta iss liye mere karib hai, par wo apne dil se mere karib nahi hai.

Bhabhi : Teri bato se to yahi lagta hai ki wo ek achchha ladka hai, warna tere jaisi ladki agar samne se bole to kon pagal hoga jo mana karega.

Juhi : Ek baat puchhu bhabhi, aap use kyu ghur rahi thi?

Bhabhi : Me ghur nahi rahi thi, mene tuje pehle bhi bola tha, pata nahi kyu par wo muje jana pehchana sa lagta hai, aisa lagta hai jaise mene use pehle bhi kahi dekha hai. To me wahi soch rahi thi ki mene use kaha dekha hai?

Juhi : Jaha tak me janti hu, aap kabhi bhi us se nahi mili, na hi wo aap se mila hai.

Bhabhi : Wo hi to, meri bhi samaj me nahi aa raha hai. (Tabhi bhai ki gadi ki awaj aayi)

Juhi : Thik hai bhabhi, aap khana khao, me chalti hu, apne room me. (Chandrapal ander rasoi me aaya)

Chandrapal : Chal jaldi khana nikal. (Wo fatafat khana nikalne lagi, dono khana khane lage)Us fatichar par najar rakhna.

Bhabhi : Kiski baat kar rahe hai?

Chandrapal : Are wo launda hai na, kya naam hai, ha Shiv.

Bhabhi : Aisa kyu keh rahe hai?

Chandrapal : Juhi to bechari bholi hai, abhi use logo ki samaj nahi, wo fatichar sala anath, na jane kiski aulad hai, nadani me wo use ghar me le aayi hai, dekhna kahi kuchh chura na le.

Bhabhi : Muje to wo waisa nahi laga ji.

Chandrapal : Tuje jitna bola hai utna kar, waise bhi tumse buddhi ki apeksha to hai nahi. Pata nahi maa ne bhi kya soch kar ha keh di. Tu bas ghar ka dhyan rakhna, aise faticharm kangalo ne kabhi kuchh dekha nahi hota, sale kab hath saaf kar de pata nahi.

Bhabhi : Ji.

Me upar betha padhayi kar raha tha. Jab darwaje par dastak hui to mene pichhe mud kar dekha, waise to darwaja khula hi tha, waha bhabhi khadi thi.

Shiv : Ji bhabhi?

Bhabhi : Niche aa jao, Juhi tumhari rah dekh rahi hai.

Shiv : Aap chaliye, me abhi aaya. (Wo chali gayi, me niche aa gaya, Juhi apni maa ke sath bethi hui thi, abhi usne salwar, kurta pehna hua tha, aise kapdo me wo alag hi dikhti thi, me waha gaya aur uski maa ke pair chhue, unhone bhi ashirwad diya)

Juhi : Maa hum aate hai, Parul ke ghar ja rahe hai. (Hum dono Juhi ki saheli ke ghar chale gaye, bahar hame uske pitaji mile)

P ke papa : Are bitiya, tum, bahot dino baad aayi, kaisi ho?

Juhi : Ji achchhi hu, Parul kaha hai?

P ke papa : Wo ander hi hai, me jara kaam se ja raha hu, tum jao. (Unhone meri aur dekha to mene smile di, unhone bhi samne smile di, me darwaje ke pass hi khada tha, Juhi ander gayi, thodi der me wo dono hasti hui bahar aayi)

Parul : Are baap re, ye kon hai?

Juhi : (Uski bah par marte hue) Abhi to bataya, ye Shiv hai.

Parul : (Haste hue) Wo to muje bhi pata hai, par isse dekh kar laga ki kisi aur grah se aaya hai.

Juhi : Kya bol rahi hai, thodi sharm kar. Sorry Shiv, ye aisi hi hai.

Parul : Ha, aisi hu issiliye to teri saheli hu, waise maan na padega, ye teri takkar ka hai.

Juhi : (Fir se use marte hue)Kya bole ja rahi hai, maar khayegi.

Parul : Muje jo laga wo bol diya, baki muje to chinta thi ki koi tere jitna bhi milega ki nahi, par ye to tere bhi upar hai.

Juhi : Ab na tu pitegi muj se (Wo maarne ko hui, to Parul dudkar mere pichhe chhup gayi)

Parul : Bachao Shiv(Mene haste hue, Juhi ke hath pakadliye to wo ruk gayi) Dekha me na kehti thi, ye tere se bhi upar hai, bhai ab to hume bhi suport mil gaya hai, ab hum tujse darnewale nahi hai. Agar tu sherni hai to ab hamare pass bhi Sher hai.

(Ek awaj aayi): Are Juhi tum?

Juhi : Are Visnu bhaiya, kaise hai aap?

Visnu : Me thik hu, tum kaab aayi? Ye kon hai?

Juhi : Aaj subah hi aayi hu, ye Shiv hai bhaiya. (Unhone mujse hath milaya) Ye passwale saher ke sports camp ke liye aaya hai.

Visnu : Achchha, konsi sports?

Shiv : Daud.

Visnu : Chalo, fir to bach gaye.

Juhi : (Haste hue) Aisa kyu keh rahe ho bhaiya?

Visnu : Me bhi to hissa le raha hu, par me kusti me hissa le raha hu, agar ye kusti me hota to humara patta to kat jata na.

Juhi : Kya sach me, aap kaise janewale ho?

Visnu : Meri bike se.

Juhi : Aap, Shiv ko apne sath le jayenge?

Visnu : Ha kyu nahi.

Juhi : Chalo achchha hua, hamari problem solve ho gayi.

Uske baad hum waha kafi der ruke, dono bhai bahen kafi milansar the, Visnubhai bhi achchhe the, mujse wo dost ki tarha hi baat kar rahe the. Andhera hone par hum ghar laut aaye. Raat ka khana khaya, aur me apne kamare me aa gaya. Thodi der leta fir padhayi karne laga. Me padhayi me khoya hua tha ki mere kandhe par kisine hath rakkha, mene chauk kar dekha to wo Juhi thi. Me upar se nanga tha aur niche sift ek half pant pehna hua tha.

Shiv : Tum? Tumne to muje chauka diya. Itni raat ko yaha kya kar rahi ho?

Juhi : Kuchh nahi, tumse milne ka maan kia to aa gayi.

Shiv : Itni raat ko kisine dekh liya to kya sochega?

Juhi : Kya sochega, kyu me tumse milne bhi nahi aa shakti?

Shiv : Aisi baat nahi hai, par tumhare bhaiya ne ya tumhari maa ne dekha to achchha nahi lagega.

Juhi : Tum itna darte kyu ho?

Shiv : Me darta nahi hu, muje bas tumhari fikar hai.

Juhi : (Usne pyar se muje dekha) Me janti hu, par mera dil kia to me aa gayi. Agar tumhe achchha nahi laga to me chalijati hu. (Wo janelagi, to mene uska hath pakadliya)

Shiv : Chalo, bahar chalte hai. (Me upar se nanga tha to) Ek minute, me kuchh pahenleta hu.

Juhi : Rehne do, aise hi achchhe lagte ho.

Ab me kya kehta, hum dono bahar chhat par aa gaye, charo aur sannata chhaya hua tha, kahi se mendhak aur jinguro ki hi aawaje aa rahi thi. Mene jeep dekhi.

Shiv : Tumhare bhai aa gaye?

Juhi : Ha, aur sab so rahe hai. Kaisa laga tumhe mera ghar?

Shiv : Bilkul tumhare jaisa.

Juhi : (Muskura kar)Mere jaisa? Matlab?

Shiv : Tumhari tarha, pyara aur khubsurat.

Juhi : Kya me tumhe achchhi lagti hu?

Shiv : Ha lagti to ho.

Juhi : To fir muj se dur kyu bhagte ho?

Shiv : Achchhi lagti ho, iskamatlab ye to nahi ki me tumhe pakad lu. Muje meri hesiyat pata hai.

Juhi : Bhaiya ki dopahar ki baat ka bura laga?

Shiv : Unki baat ka bura kyu lagega,? Kya me apne bare me nahi janta.

Juhi : Itna sab jante ho to mere bareme nahi sochete?

Shiv : Sochta hu, issiliye to dur rehta hu. Kahi jane anjane me tumhe dukh na de bethu.

Juhi : Chahe dukh ho ya sukh, agar wo muje wo chahiye to? Aur aage chal kar shayad tum muje dukhi kar doge aisa khayal tumhe aa raha hai to abhi tum muje dukhi kar raheho uska khayal nahi aa raha tumhe?(Me khamosh raha, mene uski ankho me dekha to wo badi chah se muje dekh rahi thi) Kyu itna sochte ho, aage kya honewala hai kya pata, aage ka soch kar kyu me apne aaj ko kharab karu, kya tum muje itna bhi nahi de shakte.(wo udas chehre se mere shine se lag gayi, me usko udas nahi dekh shakta tha to mene use apni bahome bhar liya, hum dono thodi der waise hi khade rahe)(Juhi ka shir Shiv ki chhati ke upari bhag par tika hua tha, uske kan chhati se chipke hue the, to use Shiv ki dhadkan saaf sunayi de rahi thi, uske dhadakte dil ka ehsas pate hi usne apna ek hath uski chhati ke dusare bhag par rakhdiya aur use wo sehlane lagi)(Ajib si kasmakas chalrahi thi mere dil me, uske hath ka spars muje pighla raha tha)

Shiv : Ab jao, kisi ne dekh liya to kya hoga?

Juhi : Jise dekhna hai dekhe, me kuchh nahi janti, muje bas aise hi rehna hai.

Shiv : Meto iss liye keh raha tha ki kisine dekh liya to tumhari badnami hogi.

Juhi : Kya ijjat ka theka hum ladkione hi le rakkha hai, hamare maan ka hamare dil ka kuchh nahi.

Shiv : Thik hai baba, jitna marji hai utna raho, bas. (Me mehsus kar raha tha, uske pyar ko, mere bhi maan me uthalpathal machi hui thi, kya karu, hum dono kafi der tak aise khade rahe)

Juhi : (Bina Shiv ki aur dekhe) Shiv...

Shiv : Hmmmmm.

Juhi : Shiv...muje ... muje ...kiss karo na.

Shiv : Dekho Juhi...

Juhi : Muje kuchh nahi sun na aur na hi kuchh samajna hai. Kya tum muje itna bhi nahi de shakte?

Shiv : Aisi baat nahi hai par...

Juhi : (Apna shir utha kar meri aur dekhte hue) Kiss me Shiv. (Mera dil tej raftar se dhadak raha tha, mene mehsus kia ki uska bhi yahi hal hai, wo meri aur dekheja rahi thi, uska hath ab mere shine se upar jane laga, jab uska hath meri gardan par pahuch gaya to wo mere balo me hath dal kar use sehlane lagi) Kiss me Shiv.(Uski sanse tej chal rahi thi, chand ki madhdham rosni se uska pyara chehra damak raha tha, meri najar uske kanpte hotho par gayi, mene ek bar fir uski ankho me dekha to usne ha me gardan hilayi, mene apna hath upar uthaya aur uski gardan ko pakad liya, usne apni ankhe band kar di, jaise waqt tham gaya tha, muje koi awaj nahi sunayi de rahi thi, uska ek hath mere balo ko sehla raha tha to dusara meri pith ko sehla raha tha, me uski aur jhuka to wo apne panjho par thodi upar uth gayi, mene uske fadakte hotho ko dekha, dhadkan to jaise tej raftar se chal rahi thi, mene uski ankho ko dekha to wo band thi, wo anewale palo ka beshabri se intejar kar rahi thi. Maine apne hoth badhaye aur uske upar ke both ko apne hotho ke bich pakad liya,


kissing-kiss
uski pakad majbut ho rahi thi, me hole hole uske hoth ko chusne laga, wo bhi mere hotho ko chusne ka prayas karne lagi, koi jald baji nahi thi, humne ek dusare ko majbuti se pakada tha par hamare hoth ek najakat se ek dusare ke hotho ko chus rahe the. Mene uske niche ke hoth ko chumna suru kia, fir upar ke, aise hi bari bari me uske bhige hotho ko chum raha tha chat raha tha,

wo ankhe band kiye hue hi khadi thi, hum dono ki sanse tej chal rahi thi, thandi raat me bhi pashine ki bunde mathe par chamakne lagi thi. Pata nahi kitni der tak hum dono ek dusare ke hotho ko chumte rahe. Akhir kar mene hi hotho ko juda kia, wo abhi bhi mere hotho ki aur apne hoth badha rahi thi, mene uske chehre ko sehlaya to usne apni ankhe kholi. Nashe se bhari un ankho ko dekh muje bhi nasha hone laga, par mene apne aap ko sambhala.

Shiv : Juhi.

Juhi : Hmmmm.

Shiv : Ab to jao.

Juhi : Kyu mere sath aisa kar rahe ho Shiv?

Shiv : Meri baat ko samjo Juhi. Abhi hum kaha hai, kya ho shakta hai? Thoda to socho.

Juhi : Me sab samajti hu Shiv, par ye dil nahi samajta.

Shiv : (Mene uske Shiv ko sehlaya aur uske mathe par kiss kia)Abhi apne dil ko sambhalo. Jaldbaji me sab kharab ho shakta hai. Hum dono to sath me hi hai na.

Juhi : (Mere shine par apna shir tikate hue, meri chati ko sehlate hue)Hum dono sath me hai na, Shiv?

Shiv : Ha, hai (Uske hotho ko halke se kiss kar ke)Ab jao.

Juhi : (Mere hotho par halke se kiss kar ke)Good night!

Shiv : (Muskura kar) Good night!

(Hum dono ki khabar ke bahar do ankhe hume dekh rahi thi, wo bhi apne kamare ki aur laut gayi) (Juhi bhi waha se chali gayi, me use jata hua dekh raha tha, jab wo chali gayi to me bhi bistar par let gaya, abhi jo kuchh bhi hua tha usko sochte hue me bhi so gaya)

Subah jaldi uthne ki aadat ke karan me neend se jaag gaya. Me fir bhi leta raha, tabhi muje darwaje par dastak sunayi di. Muje pata tha ki ye Juhi hi hogi. Me utha aur aise hi upar se nange hi mene darwaja khola. Samne bhabhi khadi thi.

Shiv : Bhabhi! Aap.

Bhabhi : (Muje uparse se nanga dekhkar unhone apni najar jhuka li) Juhi ne kaha tha tumhe uthane ko, wo nahane gayi hai, tum bhi niche aa jao aur brush kar ke naha lo, me nasta bana rahi hu.(Wo jane lagi)

Shiv : Sorry, bhabhi, muje pata nahi tha ki aap ho, muje laga ki Juhi hai.

Bhabhi : (Wo bhi jate jate ruk gayi, aur muskurate hue)Iska matlab meri nanand ke samne tumhe sharm nahi aati, itna pass ho tum dono?

Shiv : Aisi baat nahi hai bhabhi, par hum dono sath me hi practice karte hai to ye sab hamare liye samanya hai.

Bhabhi : Kya wo bhi tumhare sath aise hi rehti hai?(Unki natkhat muskan se me jhep gaya)

Shiv : Nahi, mera wo matlab nahi tha, me aksar aisa ho jata hu, kyu ki kasarat kar ke pashine se bhige hue kapade me nikal deta hu na issiliye.

Bhabhi : Itna ghabra kyu rahe ho, me apni nanad ko janti hu, wo kaisi hai? Chalo tum kapade pahen kar niche aa jao.

Shiv : Ji, bhabhi.

Me niche gaya, brush kar raha tha ki Juhi bathroom se nikali. Bhige balo me towel lapete hue usne salwar kurta pehna hua tha, sach me itni lambai usko aur akarshak bana rahi thi. Kal raat ki nikat ta ke baad uske chehre par sharmili muskan tair rahi thi. Me uske iss roop ko ankhe fade dekh raha tha, jab wo tauliye me lipti mere samne hoti thi us se bhi kahi jyada akarshak wo isswaqt lag rahi thi. Mere aise dekhne se wo sharmate hue mukurakar ander chali gayi. Me pichhe mudkar use jate dekhne laga. Darwaje par ja kar wo ruki aur meri aur dekha, abhi bhi muje apni aur dekhta pa kar wo muskurayi aur ander chali gayi. Mene brush kia aur naha kar taiyar ho gaya. Ek bag me sports ke kapade liye aur me niche aa gaya. Juhi ki maa usi waqt aarti ki thali liye bahar aayi, sabne aarti li, mene unke pair chhue.

Maa : Sada khus raho, ye ek ladka hai jo hamesha mera ashirwad leta hai, kuchh sikh is se.(Juhi ko)

Juhi : (nakhare se)Kya maa, tum to aise keh rahi ho jaise me kabhi tumhare pair chhuti hi nahi(Wo uthi aur apni maa ke pair chhu kar)Lo ab khus?

Maa : Sada aise hi hasti khelti rahe meri bachchi, aur apni maa ki har baat mane.

Juhi : (Ruthne ka natak karte hue)Ashirwad me bhi apne bare me hi soch rahi ho, aur konsi baat nahi manti me tumhari jo aisa keh rahi ho?

Maa : Sab manti hai, siway ek ke.

Juhi : Wo bhi manungi, jab waqt aayega. Abhi betho aur chai nasta karo.

Maa : Abhi muje tulsi ki puja karni hai, me baad me khati hu, tum dono kha lo.

Bhabhi hame parosti gayi aur hum khate gaye, dudh aur parathe kha kar hum Parul ke ghar pahuch gaye. Visnu bhai ko sath le kar hum stadium ki aur nikal gaye. Raste me Juhi ne bike muje chalane ko de di. Daar ab kaam hota ja raha tha. Me bhi achchhe se bike chalane laga tha. Hum sab stadium pahuch gaye. Alag alag sports ke kafi ladke ladkia aaye hue the. Hum sab ek sakhs me pass pahuche. Juhi ne unke pair chhue.

Juhi : Kaise hai aap, Sir? (Unka naam Avinashsir tha)

Avinashsir : Are Juhi, kaisi ho?

Juhi : Aap ka ashirwad hai sir, mene kaha tha na, ye Shiv hai. (Mene bhi unke pair chhue, Visnubhai ne bhi chhue)

Avinashsir : Kaise ho Visnu?

Visnubhai : Thik hu sir.

Avinashsir : (Muje upar se niche tak dekhte hue)Ha to Shiv, height to achchhi hai tumhari, vaise to ye open camp hai par tumhare jitne dur se koi nahi aaya hai. Juhi ne tumhare bareme bataya hai muje. Achchhe se mehnat karna, jarur tarakki karoge.

Shiv : Ji Sir.

Avinashsir : Aur Juhi, ab tumhare kya plan hai?

Juhi : Sir, mene bhi ab national ka maan bana liya hai.

Avinashsir : Ye to achchhi baat hai, par tum itne time in sab se dur rahi to agar tumhe national khelna hai to fir se tumhe apne aap ko prove karna padega.

Juhi : Muje pata hai Sir.

Avinashsir : Agar pata hai to tumhe bhi iss camp me participate karna chahiye tha.

Juhi : Sir, achanak me naukari nahi chhod shakti, muje thoda time lagega, warna mere bhi maan me tha ki me iss camp se apni suruat karu.

Avinashsir : Tum hamari honhar bachchi ho, yahi se tum aage badhi ho, ek kaam kar shakte hai, last me jab yaha compition honge to tum usme participate kar dena, me tumhara naam dakhil kardeta hu. Waise bhi training to tum apne aap kar logi. Kya kehti ho?

Juhi : Sir, training to mene pehlese hi suru kar di hai, me aur Shiv, sath me hi training karte hai.

Avinashsir : Thats better, to fir der kis baat ki, apna bhi namankan dakhil kar do.

Juhi : (Khus ho kar ) Thank you sir, thank you very much.

Hum sab ne apna namankan dakhil karvadiya, aur fir hamari training suru ho gayi. Do pahar tak hamari training chali. Sham ko fir aana tha. Char ghante ka break tha to hum ghar chale gaye. Ab Juhi ka jane ka bilkul bhi maan nahi tha par jana jaruri tha. 2 baje ki uski train thi to wo chali gayi. Sham ko me aur Visnubhai training ke liye chale gaye.
 

Vega Star

Active Member
955
10,153
124
Waiting for next update
20 minutes pehle update diya, 9 minute me aapne padh bhi liya aur ab dusre ka wait kar rahe hai???
Bhai jo padha uske bare me bhi kuchh likha karo.
 

krish1152

Well-Known Member
5,612
16,374
188
Nice update
 
  • Like
Reactions: Abhishek Kumar98
Top