• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Kundali Bhagya

Sharadh

Member
161
228
43
Update 147
Jhanvi aaj bahot khus bhi thi aur dukhi bhi thi, Khus isliye thi ki aaj uski Shiv ke sath dosti ho gayi thi, jis tarha se Shiv ne aaj use kiss kia tha wo manjar baar baar uski ankho ke samne aa jata tha, wo apani ankhe band kiye us manjar ko yaad karti rehti thi, usko muskurate hue dekh ke uski maa ne bhi puchha tha par wo taal gayi thi, aur apane room me ghus gayi thi, jaya wo takiye se lipat kar Shiv ko mehsus kar rahi thi, halaki uske samband pehle bhi ek ladke se rahe the jab wo videsh me padh rahi thi par ye sab usko kuchh alag hi mehsus ho raha tha. Wo pehle kiss bhi kar chuki thi aur sex bhi, par jis tarha ka anubhav usko Shiv ke sath hua tha uski tulna nahi ki ja sakti thi. Wo nahi chahti thi ki apane past ko yaad kare par fir bhi kahi na kahi wo Shiv ko apane past ke sath compare kar hi leti thi. Bhale hi Shiv ne uske sath gusse me ya kisi ranjis ke chalte uske sath wo vyavhar kia tha par fir bhi use wo karan bhi achchha hi laga tha, kyu ki agar waisa na hua hota to shayad Shiv ne uske sath wo sab kia bhi na hota, to use koi gila sikva nahi tha.
Khusi ke sath wo dukhi bhi thi, kyu ki use ab Shiv ki fikar thi, aaj usne apane papa ke virudh ja kar Shiv ke liye kuchh kia tha, wo us officer se mili thi aur us se sab puchha tha, ab usko pata tha ki ye sab uske papa ne hi karwaya tha, to wo dukhi thi, ek to wo anath bachche the aur sathme Shiv tha, use ab Shiv ki ki harkat bhi kahi na kahi sahi lag rahi thi, wo gussa tha, to usne ye sab harkat kar di thi, aur sathme wo bhagvan ka sukriyada bhi kar rahi thi ki usne koi complain nahi ki, warna Shiv aur musibat me fas jata. Wo baar baar Shiv ko is musibat se nikalne ka rasta dhundh rahi thi, usne officer se jo baat ki thi us hisab se to wo anathalay par kabja karne ka pura plan bana chuka tha. Aaj kal ki modern aur khubsurat ladki hone ke nate nate instagram par uske bahot sare followers bhi the, uske dimag me ek khichadi pak rahi thi, par wo kare ki na kare uski duvidha thi. Jab wo khane ke liye niche gayi tab wo baar bar apane papa ko dekh rahi thi, roz ki tarha uska bhai to aaya nahi tha, wo baar baar soch rahi thi ki uske papa aisa kaise kar sakte hai.
Kamalnath : Kya baat hai beti, kya soch rahi ho?
Jhanvi : (Hadbadate hue)Nahi to, kuchh bhi nahi.
Kamalnath : Khane par dhyan do.
Jhanvi : Ji papa. (Wo fir khane lagi, jyada to khaya nahi gaya to wo jaldi hi uth gayi, aur apane room me chali gayi)
Kamalnath : (Apani patni se)Kya hua hai isse?
Shikhadevi : Muje kya pata, apko pata hoga, wo pura din to site par rehti hai, to apko hi pata hoga na, me kuchh kehti hu tab aap uski hi side lete ho, ab wo badi ho gayi hai, shadi wadi ka kuchh socha ki nahi, wo nalayak chhota hai fir bhi uske liye ladki pasand kar di aur badi beti ke bareme nahi socha.
Kamalnath : Tere nalayak bete ko kon pasand karega, ye to Prakashrao hamare ehsano ke niche daba hua hai to maan gaya, baki meri beti to hira hai, videsh me padhi likhi hai, uske liye ladko ki kya kami.
Sikhadevi : Are, par ab biyah ke layak ho gayi hai, to dhundhna padega na, agar kisi ko apane aap dhundh liya to kya ijjat rahegi hamari, agar ladka thik hua to bhi chalega, par kisi aise waise ke sath lag gayi to kisi ko muh dikhane layak nahi rahenge.
Kamalnath : Tum khamkha uske pichhe padi ho, wo samaj dar hai, wo aisa waisa kuchh nahi karegi.
Sikhadevi : Meri to aap kabhi sunte hi nahi, agar kuchh unch nich ho gayi to fir muje maat kehna.
Kamalnath : Ab shanti se khana khao aur muje bhi khane do.
Night suit pahen kar abhi Jhanvi leti hi thi ki Shiv ka phone aa gaya, jaise hi uski najar Shiv ke naam par padi wo sharma gayi, aur muskurane lagi, fir usne phone uthaya, aur muskurate hue kaha
Jhanvi : Hello.
Shiv : (Jhanvi ne itna pyar se hello kaha ki me sunta hi raha)
Jhanvi :(Thoda jor se)Helloooo.
Shiv : (Hadbada ke)Haa hello.
Jhanvi : Kya hua, awaj nahi aa rahi thi kya?
Shiv : Nahi nahi, aisi koi baat nahi. Khana kha liya?
Jhanvi : (Bistar par sidha lete hue)Ha kha liya, tumne?
Shiv : Mene bhi. (Dono khamos ho gaye)Ek baat puchhu?
Jhanvi : Hmmmm.
Shiv : Aapko bura to nahi laga?
Jhanvi : (Sharma gayi aur muskurayi, par sambhal kar kaha)Ek to galat vyavhar karte ho aur fir puchhte ho bura to nahi laga.
Shiv : (mere muh se sorry nikalne wala tha, par me ruk gaya)Mene kaha tha ki me sorry nahi kahunga, kyu ki muje jo sahi laga wo mene kia, agar aapko bura laga ho to aagge se dhyan rakhunga.
Jhanvi : (Uske chehre par muskan aa gayi)Buddhu.
Shiv : Ab kyu buddhu kaha?
Jhanvi : (Maan me: budhdhu na kahu to kya kahu, agar bura laga hota to aise baat kar rahi hoti)Khair chhodo vo sab, Me us officer se mili thi, mene aise hi sab puchha jaise usko lage ki papa ne puchh ne ko bola ho. (Shiv dhyan se sun ne laga)Yaar wo sab plan kar ke betha hai, agar kagjat jama nahi hue to wo sach me waha kabja kar lega. (Jhanvi ne dukhi swar me kaha, jise sun kar Shiv bhi niras ho gaya) Par ek baat pata chali hai, jis tarha se wo bata raha tha, us se ye laga muje ki dastavej ki copy to jal gayi thi par tax ki rashide bach gayi hai, par wo usne papa ko de di hai.
Shiv : Oh!
Jhanvi : Muje lagta hai ki wo office me honi chahiye, me kal ja kar dekhti hu, waha.
Shiv : Par ab jyada time nahi bacha hai.
Jhanvi : Muje pata hai, uske liye mene ek plan socha hai.
Shiv : Kya?
Jhanvi : Hum ye khabar failayenge ki anath bachcho ki jamin hadapne aur unhe beghar karne ki sarkar ki sajis. Is tarha ka ek chhota sa video bana kar use social media aur news par failayenge.
Shiv : Us se kya hoga?
Jhanvi : Us se hame logo ka support milega, waise bhi koi nahi chahega ki anath bachche beghar ho jaye. Me apane isnsta par post karungi aur jitne bhi log hai unhe aage forward karne ko bolungi.
Shiv : Par is se to aapke papa aap par gussa ho jayenge.
Jhanvi : Pehle mene bhi ye socha tha, par agar papa ne kuchh kaha to me keh dungi ki muje thodi na pata tha ki aap ye sab kar rahe ho. Muje laga tha ki sarkari tantra ye sab kar raha hai is liye mene ye kia.
Shiv : Aap badi chalak ho.
Jhanvi : Ban na padta hai, jab ghee sidhi ungli se na nikale to ungli tedhi karni hi padti hai.
Shiv : Video kaisa banayenge?
Jhanvi : Hume kuchh logo ko ikattha karna chahiye jaise wo log tumhe support kar rahe ho aur anathalay ke band hone ke khilaf ho, wo kuchh nare ware lagayenge aur hum uska video bana denge aur fir use faila denge.
Shiv : Par log kaha se aayenge?
Jhanvi : (Kuchh sochte hue)School me tumhare dost to honge, to ek kaam karo kal school me jitne bhi dost ho unhe bula lena.
Shiv : Par mere dost jyada nahi hai.
Jhanvi : Are jitne bhi ho chalega.
Shiv : Kab bulau?
Jhanvi : School ke hai to school ke baad hi aayenge, kitne baje school chut ta hai tumhara.
Shiv : Sadhe barah baje.
Jhanvi : Thik hai me tumhare anathalay 12 baje pahuch jaungi, aur dusare jinko bhi jante ho unko bhi bol dena.
Shiv : Thik hai, kal milte hai.
Jhanvi : Thki hai, bye (Wo aur bhi kuchh romance ki baate karna chahti thi, par abhi ye mauka sahi nahi tha, wo kal ke liye plan banane lagi, usko apane kuchh dosto ki yaad aayi, usne phone lagaya)
Jhanvi : Hi, Karuna.
Karuna : Hi jhanvi, kaisi hai? Is waqt phone kia?
Jhanvi : Ek kaam tha, sun (Usne use sab samjaya)
Karuna : Tuje kya jarurat pad gayi, anathalay keliye ye sab karne ki, kahi social activist to nahi ban ne wali.
Jhanvi : Nahi aisa kuchh nahi hai, wo hamare yaha kaam karta hai, usko madad ki jarurat hai, bol tu aayegi ki nahi?
Karuna : Jarur aaungi. Waise bhi kisi anath ki madad to karni hi chahiye, us bechare ke pass hoga bhi kya, kon uska support karega, koi nahi me aa jaungi.
Jhanvi : Me dusaro ko bhi bol deti hu, wo apane dosto ko layega, hum sab jayege, 10-15 log ho jayenge to bhi chalega.
Karuna : Thik hai to fir kaha milenge?
Jhanvi : XXX cofee shop par 11:30 ko milte hai, me dusaro ko bhi bol deti hu. (Fir usne dusare dosto ko bhi phone kia, sabko phone karne ke baad use chain mila aur wo so gayi)
Subah jab wo cofee shop par pahuchi to koi nahi aaya tha, use tintion hone lagi. Thodi der baad use Karuna dikhi, wo uske boyfriend ko le kar aayi thi. Aise hi kayi ladkia aur kuchh ladke bhi ho gaye. Wo log milkar hi 10 to ho gaye the.
Jhanvi : Thank you sabka, aap sab ek bahot nek kaam karne ja rahe ho.
Karuna : Ab fomality chhod, hume yahi late ho gaya hai 12:30 to yahi ho gaye, chalo ab chalte hai.
Jhanvi : Ha chalo (Karuna aur ek ladki uske sath hi gadi me beth gayi, baki sab gadi aur bike se aa rahe the, jab wo anathalay ke pass pahuche to kafi log ikattha dikh rahe the)
Karuna : tu to keh rahi thi ki hum hi honge (Jhanvi bhi hairan thi, waha kam se kaam 100 se jyada log the, saha gate par hi police khadi thi.
Police : Aap gadi bahar laga dijiye. (Jhanvi hairan paresan thi, usne gadi side me lagayi, jis lady officer ne use kaha tha wo fir uske pass aayi)
Jhanvi : Madam, yaha kya ho raha hai?
Bhargavi : Tum Jhanvi ho na?
Jhanvi : Ji madam, aap kaise janti ho muje?
Bhargavi :Shiv ne bataya tha, waise tumhara idea achchha hai, tum ander jao.
Karuna : (Hairani se dekhte hue)Jhanvi, yaha to sab banner liye aaye hai.
Jhanvi : (Jhanvi bhi hairan thi, wo idhar udhar sab dekh rahi thi, kayi aadmi aur aurte aayi hui thi, kisi kisi ke hath me slogan likhe hue banner bhi the, waha use kuchh patrakar bhi dikhe, ek aurat jisne bahot mehngi saree pahen rakkhi thi wo anathalay ke bachcho ko ek jagah par bitha rahi thi, aur kuchh ladkia un bachcho ko sambhal rahi thi, utne me use Shiv aata hua dikha, wo hairni se Shiv ko dekh rahi thi, uske sath tin ladkia thi aur wo police officer bhi, usme se ek ko wo pehchanti thi, Shiv school bag liye hue tha, aur dusari do ladkia bhi, ek bina bag ke thi, Shiv bhi use hairan dikh raha tha, jaise use bhi yakin na ho raha ho, wo aas pass dekhte hue aage badha to Jhanvi uski aur gayi.
Jhanvi : Shiiiiiv.
Shiv : Madam, ye sab? (Shiv jaise usi ko puchh raha tha)
Jhanvi : Me tumse puchh rahi hu, ye sab kya hai?
Bhargavi : Ye sab unke sath aaye hai (Bhargavi ne jis aur issara kia tha us aur Shiv ne dekha, waha use Manisha madam dikhi, jo sab ko samja rahi thi) Waise bhi me aanewali thi par unhone force bhi mangwai thi to me sabke sath aayi. (Shiv Manisha ki aur badhne laga to sab uske sath chal diye)
Jhanvi : Tum yaha kaise?
Vaiswi : Shiv, mere sath hi padhta hai, par aap yaha kaise didi?
Jhanvi : Shiv hamare sath hi kaam karta hai.
Shiv : (Sab Manisha ke pass pahuch gaye the)Madam.
Manisha : Are Shiv, aa gaye tum.
Shiv : Madam, itne sare log?
Manisha : Ab samajik karyakarta hu to log to sath honge hi, tumne kal raat ko hi bola to kaam log aaye hai, ek do din ka time dete to pura maidan bhar deti, chalenge na itne log?
Shiv : (Khus hote hue)Bahot hai madam.(Jhanvi ko) Kyu madam chalenge na itne log, waise abhi dusare aa rahe hai.
Manisha : Kon? (Utne me bahar raste par bahot sara shor sunayi dene laga, school uniform pahne lagbhag 200-300 bachche cycle se aate dikhe aur unke sath kuchh teacher bhi.) Tumhari school ke bachche.
Shiv : Ha madam, mene apane dosto ko kaha, to Vaiswi ne kaha ki sabko bol do jisko aana hoga wo aayega, to mene principal sir ko kaha to unhone anounce karwadiya ki jisko bhi Shiv ki madad ke liye jana ho wo uske anathalay ko jaye, sir ne ek ghante pehle hi school bhi chhod di thi. (Beena madam aur kuchh teacher bhi aaye the, me unke pass gaya)Thank you for comming sir and madam.
Varunsir : Are bhai isme thank you ki kya baat hai, tum hamari school aur saher ke nami khiladi ho, itna to kar hi sakte hai.
Beena : (Madam ne muskurate hue muje dekha aur kaha)Me Lata ki madad karti hu. (Kehte hue wo Latadidi jo bachcho aur sabko sambhal rahi thi us aur chali gayi)
Karuna : (Dhimi awaj me, Jhanvi se)Tu to keh rahi thi ki kaam log hone, lagta hai ki isko to sara saher janta hai, tune sirt ek raat ka samay diya fir bhi isne to pura mela laga diya. (Jhanvi kya bolti, wo khud hairan thi)
Bhargavi bahar ki aur nikal gayi aur sab ko katar se khada karne lagi, utne me ek speaker se bhari hui gadi aayi.
Shiv : Ab ye kya hai?
Manisha : Ab itne sare log hai to sabke kano me awaj pahuchni chahiye na, to DJ wale ko bula liya. Mike ki madad se sahuliyat hogi.
(Utne me waha pani ke jug se bhara hua ek tempo ander aaya)
Shiv : Ab ye kya hai?
Manisha : Ye mene nahi kia. (Abhi hum soch hi rahe the ki Pawansir aur Sneha madam aate dikhayi diye, aur pawansir us pani wale ko ek aur issara karte hue use kuchh kehne lage, Sneha madam hamari aur aayi)
Shiv : Aiye madam, ye pani?
Sneha : Pawan bata rahe the ki itne log ikattha ho rahe hai to pani to chahiye hoga, aur yaha aa kar dekha to bahot sare bachche bhi dikhayi de rahe hai to unhone snacks ka bhi order kar diya hai. (Jhanvi to ankhe fade sab dekh rahi thi)
Manisha : Aap ka bahot bahot sukriya, waise muje pata nahi tha ki bachche bhi aanewale hai warna me pehle se intejam karwa deti.
Sneha : Shiv ke liye aapne kia ya mene kia ek hi baat hai. Aap log baate kijiye Me Lata ke pass jati hu.
Juhi : Me bhi aati hu madam, tumhara bag muje de do Shiv, me tumhare room me rakh deti hu. (Jhanvi aur uske friend to Shiv ko mil rahi itni ehmiat dekh kar hairan ho rahe the, kaha wo soch kar aaye the ki kisi anath ki madad karne ja rahe hai aur kaha itne sare log uski madad ko pahuch rahe the)
Manisha : Ab dhyan se suno Shiv, waha mike ke pass ja ke sab ka sukriya karna aur fir apani samasya batana (Jhanvi se)Jhanvi agar me tumhe aage karu to tumhe koi problem to nahi hogi na.
Jhanvi : Kaisi problem.
Manisha : Bhale hi hum sarkar ke nirnay ke khilaf ye kar rahe hai par tum bhi janti ho ki ye hum tumhare papa ke khilaf kar rahe hai, to fir tumhe dekh kar tumhare papa bhadak na jaye. Waise bhi unka aur hamara 36 ka ankda hai.
Shiv : Ye baat Vaiswi par bhi lagi hoti hai.
Vaiswi : Mujpar kyu?
Shiv : Kyu ki tumhare papa bhi samil hai. To aagar aap dono dur rehna chaho to hume koi apatti nahi hai.
Jhanvi : Mene to kal hi kaha tha ki papa ne muje nahi bataya hai to wo to mujse puchhne se rahe, kyu ki agar wo muje puchhenge to me khud puchhungi ki aap kyu virodh kar rahe hai, aur muje lagta hai ki wo muje to nahi kahenge ki in sabke pichhe wo hai.
Manisha : Smart girl.
Vaiswi : Muje bhi thodi na pata hai to mere sath bhi same situation hai.
Manisha : (Shiv ki aur muskura kar dekhte hue)Tumhare ye do hathiyar dekh kar hi tumhara dusman hathiyar dal dega. Jit tumhari hi hogi, chalo us aur waha Jhanvi aur Vaiswi ko Shiv ke agal bagal khada rakhna aur ha Shiv in sab me tum Kamalnathji ka ya Prakashraoji ka jikar bhi maat karna, tumhe sirf ye kehna hai ki sarkari kacheri se aisa notice aaya hai aur hum inka virodh kar rahe hai aur hum mana nahi kar rahe hai par hume kuchh waqt diya jaye, itni sort notice par ye sambhav nahi hai, aur waise bhi is anathalay ke trusty nahi rahe to hume kagjat dhundhne me time lag raha hai, hum in sab ka ek video banayenge, media to hajir hai hi.
Manisha madam ke kahe anusar me bich me khada ho gaya, mike mene apane hath me le liya, meri ek aur Jhanvi khadi thi to dusari aur Vaiswi khadi thi, Manisha madam bhi khadi thi, tabhi Kavya ji bhi aati dikhayi di, wo Vakil ke kapado me hi thi, shayad court se sidha hi aayi thi, mene unhe bhi bula liya, mene Bhargavi madam ko bhi mike ke pass aane ko bol diya. Samne sab bahar ke log khade the, matlab school ke bachche aur baki sab, meri dahini aur Anathalay ke sab log the, Latadidi, Saritadidi, Gayatrididi, Ranjan Vina, dusare bachche aur Juhi, Snehamadam, Beenamadam. Bhargavi madam bhi aa gayi aur hamare sath khadi ho gayi.
Shiv: Dosto aur yaha aaye sabhi mahanubhavo ka me dil se abhar vyakt karta hu, aaj mera shina chauda ho gaya hai, muje khud nahi pata tha ki mere sath itne log jude hue hai, mere prati aapka sneh dekh kar mera dil bhar aaya hai. Sabse pehle me Jhanvi ji ka sukriya karna chahunga, kyu ki ye sara karyakram inka hi idea hai, unhe hum anatho par aur hamare anathalay par itni daya aayi ki wo hame bachane hamare sath aa gayi(Jhanvi ne sabki aur dekh kar hath jode, aur meri aur dekh kar muskurayi). Ye Vaiswi hai jisne sare school ko is karyakram ke sath jod diya hai(Itne sare logo ke samne apana naam sun kar Vaiswi sharma gayi, aur Shiv ki aur dekhne lagi). Sath me me hamare sahere ki suraksha me khadi Bhargavi madam ka bhi abhari hu (Bhargavi ne bhi sabko namaste kia), aur Kavya madam jo kanuni taur par hamare sath judi hui hai(Kavya ne sabko namaste kia). Aur sath me me samajik karyakarta Manisha madam aur unke sathiyo ka bhi aabhari hu jo hamara hosala badhane hamare sath upasthit hai(Manisha ne hath jod kar sab ka abhivadan kia). Ek baar in sabke liye taliya baja kar inka swagat kijiye. (Pura maidan talio se gunj utha). Me ye nahi keh raha ki hum is jagah kar bin adhikarik taur par apana haq jamana chahte hai, me khud karib tin sal ka tha jab me yaha Jankidas ji ke sath aaya tha, tab bhi ye anathalay tha, to aisa to mumkin hi nahi ki bina kisi registration ke ye anathalay khada ho, aaj Jankinathji hamare bich nahi hai aut unhone ek sajjan ki tarha is anathalay ko banaya hai aur aaj tak chalaya hai, wo aise insan the ki neki kar aur dariya me daal. Muje yakin hai ki unhone ye sab aise hi to khada nahi kia hoga, par abhi hame us bare me nahi pata hai, to hamari sarkar se darkhvast hai ki wo hum anath bachcho ko beghar na hone de, hame samay diya jaye taki hum is se jude dastavej dhundh sake. Itne kam vakt me hume is ghar se be dakhal na kare. Me jyada kuchh to nahi janta par hamare sath khadi Kavya madam is bare me achchhe se samja sakti hai. (Mene mike Kavya madam ki aur badha diya)
Kavya : Sabko namaskar, jaisa ki Shiv ne bataya ki ye ho nahi sakta ki ye anathalay bina kisi dastavej ke khada hua ho, aap sabko pata hai ki yaha ke bhrast manager ne apane niji lalach ke chalte kuchh gadbad ki hai, kanuni taur par nahi par hame bhavnatmak taur par is masale ko dekhna hoga, meri sarkar se gujarish hai ki wo is mamle ko dekhe aur bachcho ko beghar hone se bachaye. (Unhone Shiv ko mike wapas diya)
Shiv : Hamare sath judi samajik karyakarta Manisha madam se me gujarish karunga ki wo kuchh kahe. (Shiv ne Manisha madam ki aur mike badha diya)
Manisha : Namaskar dosto, jaisa ki Shiv ne kaha ki me ek samajik karyakarta hu to mera ye farj banta hai ki samaj me ho rahe is anyay ka me virodh karu, yaha reh rahe chhote chhote bachcho ke liye ek mahan atma ne ye anathalay banvaya aur unke palan poshan ke liye har mahine paise diye taki samaj me upekshit ye bachche apani rah chun sake, kisi na kisi karan se in bachcho ko samaj se bahar kia gaya, inke shir se maa baap ka saya chhin gaya, kya sarkar itni be dard ho gayi hai ki wo in bachcho ko raste par le aana chahti hai, me gujarish karungi un netao ko jo samaj ki awaz hai, me gujarish karungi un samaj ke thekedaro ko jo iss samaj ko ek nayi raah dena chahte hai, kon log hai jinko in bachcho ko beghar karne me apana fayeda dikh raha hai, me sarkar se gujarish karti hu ki aise dhan ke lalchi logo ko be nakab kare jinhe ye chhote bachche bhi nahi dikh rahe, dikh raha hai to bas kuchh paise, unhe bhi ek din upar jana hai aur bhagvan ko jawab dena hai, kya muh dikhayenge wo uparwale ko, me sarahna karti hu in Jhanvi aur Vaiswi jaisi ladkio ki jo is anyay ke khilaf khadi hai, inhe dekh kar lagta hai ki bharat ka bhavisya suraksit hai, me chahungi ke aap sab ek baar inke liye taliya bajaye. Aur inka hosala badhaye (Sab taliya bajane lage, Vaiswi pehli bar itne logo ka samna kar rahi thi to use sankoch ho raha tha par Jhanvi ko dekh kar usne bhi sabke samne hath jode) Jhanvi hamare MLA Kamalnath sahab ki beti hai, aur Vaiswi bhi ek saher ke janemane builder Prakashrao ji ki beti hai, me unke mata-pita ko bhi dhanyavad karti hu aisi nidar beti samaj ko dene ke liye. (Sabne fir se taliya bajayi) Sathme me chetavani bhi deti hu sarkar ke un adhikario ko jo kisi ke hath ki kathputali ban kar aisa ghinouna kaam kar rahe hai, agar unhone is anathalay ko hath bhi lagaya to hum yaha dharna denge, aur jarurat padi to amarnant upavas bhi karenge. (Sabne fir taliya bajayi)
Thodi der aise hi karyakram chala fir sab ko nasta khila kar vida kiya gaya. Shiv ne sab ka sukriya kia, Sare school ke bachche ghar laut gaye, karyakarta bhi chale gaye to Bhargavi madam bhi Shiv se mil kar chali gayi.
Kavya : (Shiv ko)Aisa hal to mene bhi nahi socha tha, par jo hua achchha hua (Jhanvi ko) Tumhara sujav achchha tha, me dekh rahi hu ki is se bahot kuchh hoga, logo ka sarkar par dabav aayega, par tumhare papa khafa honge, par jaisa tumne kaha ki wo khul kar tumhe kuchh nahi keh payenge. (Shiv se)Chalo me chalti hu, dekhte hai aage kya hoga. (Sab se vida le kar wo chali gayi)
Vaiswi : (Jhijhak te hue)Hum bhi chalte hai (Wo aur Samim sath me thi)
Shiv : Ek baar fir se tumhara sukriya, tumne hi idea dia tha to itne bachche aa gaye.
Vaiswi : (Sharmate hue)Mene kuchh nahi kia, mene to bas sujav diya tha.
Jhanvi : Sujav dena bhi bahot badi baat hoti hai Vaiswi, kabhi kabhi tanav ki vajah se musibat me ghira insan kuchh nahi soch pata, ek sujav se usko rasta mil jata hai taki wo apani musibat se bahar aa sake, tum bahot samajdar ho.
Vaiswi : Aap sab aise hi meri badayi kar rahe ho, sara idea to aapka hi tha, aapne hi himmat dikhayi, apane papa ke khilaf jana koi aasan kaam nahi hota.
Lata : Shiv ke sath ek se badhkar ek dost hai, pata nahi kyu par aap sabka sath use har musibat se nikal hi leta hai.
Shiv : Sach kaha aapne, issiliye to me kehta hu ki koi kami nahi hai meri jindagi me, kya hua ki me anath hu, jab itne log mere sath hai to me anath kaise hua. Thank you Vaiswi, Samim, Harsh, Mahesh, tum sab ka sukriya.
Mahesh : Ek to dost bolta hai aur sukriya bhi karta hai, apana sukriya apane pass rakh, hume nahi chahiye. (Sab hasne lage, fir wo sab bhi chale gaye)
Mene Sneha madam, Pawan sir, Manisha madam aur baki sab ko bari bari vida kia, bachcho ko pehle hi ander bhej diya tha, sabko vida dene ke baad pure maidan me faila kachara saaf kia Ranjan aur Vina ne bhi madad ki sham hone ko aayi thi to me aur wo dono ander gaye.
Sarita : Najar utar apane hiro ki Lata, isko to aaj meri hi najar lag jayegi.
Ranjan : Isko kisi ki najar nahi lagnewali, har ek najar ko katnewali itni sari kali kali ankho wali khubsurat ladkia iska pehra bhar rahi hai, dekha nahi aapne.
Lata : Bahot bolne lagi hai tu, dekha nahi tune, wo sah hamare liye hi aayi thi, taki hamare shir se ye sahara na chhin jaye.
Ranjan : Aapko lagta hai ki agar ye na hota to ye sab aati, rehne do didi muje maat behlao.
Lata : Marungi me tuje jo aisa kaha to aur kya burayi hai agar wo sab iski wajah se aayi to, Sarita sahi keh rahi hai iski najar utarni padegi, na jane iske jaisi kitni usko najar laga rahi hogi.
Ranjan : Me koi najar nahi laga rahi, aur meri najar lagegi bhi nahi, me to bas aise hi keh rahi thi, uska itna rutba dekh kar muje khusi nahi ho rahi kya, me khus hu aur bahot bahot jyada khus h.
Lata : Thik hai maan li teri baat,ab usko chhodo aur use aaram karne do.
Shiv : Aaram kaha didi, me stadium jata hu, waha ek aur boss hai jo meri rah dekh rahi hongi.
Muskurate hue me apane room me gaya aur kapade badal kar waha se nikal gaya, jab me Juhi ke ghar pahucha aur bel bajayi. Juhi ne darwaja khola muje dekh kar muskurayi aur jaise hi me ander gaya muje pakad kar diwal ke sahare khada kar diya aur joro se muje kiss karne lagi, thodi der hum dono kiss karte rahe, kiss karne ke baad me alag hua, wo muje dekh kar muskura rahi thi.
Shiv : Kya hua, aate hi pakad liya.
Juhi : Baat hi maat kar, abhi mere ander kya ho raha hai na me bata nahi sakti, aisa lag raha hai ki tumhe pura ka pura kha jau.
Shiv : Aare bapre, tumhare ander chudail to nahi ghus gayi. (Wo bhi muskurayi)
Juhi : Tum betho me dudh lati hu. (Wo muskurati hue ander chali gayi)
Waha jab Vaiswi ghar pahuchi to wo bahot khus thi, jaise hi wo ghar me gayi to uski maa ne puchha.
Sandhyaji : Kaha reh gayi thi, tuje phone kia fir bhi utha nahi rahi thi.
Vaiswi : Puchho maat mummy, aaj ka din aisa tha ki me kabhi bhul nahi sakti.
Sandhyaji : Kaha gayi thi wo bata nahi rahi hai aur paheliya buja rahi hai, kaha gayi thi?
Vaiswi : Anathalay gayi thi mummy, wo Shiv hai na usko aur anathalay ko bachane ke liye apana support dene ke liye.
Sandhyaji : Kyu kya hua? (Fir Vaiswi ne sab bataya, Swarna bhi sab sun rahi thi, sab sun kar use Shiv ki chinta hui)
Ek naukar : Malkin, bitiya tv par aa rahi hai.
Sandhyaji : TV par, kon aa rahi hai?
Naukar : Vaiswi bitiya, mene mobile me dekha.
Sandhyaji : TV chalu kar to. (Naukar ne TV chalu kia to news me wo dikha rahe the, usme Shiv bol raha tha, thodi der wo sab dekhte rahe)To yaha thi tu.
Vaiswi : Ha mummy, koi anathalay ko band karwana chah raha tha (Usne apane papa ka naam nahi liya kyu ki use abhi bhi yakin nahi tha ki uske papa ne aisa kia tha)school ke bahotsare bachche aur teacher bhi aaye the waha.
Sandhyaji : Tuje kya jarurat thi waha jane ki.
Vaiswi : Me musibat me thi to Shiv ne meri madad ki thi na, to me kyu pichhe rehti.
Sandhyaji : Thik hai, par bata ke jaya kar, kinti chinta cho rahi thi muje.
Sham tak to sare saher me video viral ho chuka tha. Kamalnath ke kano tak bhi ye baat pahuch chuki thi. Ghabra kar us officer ne bhi Kamalnath ko phone kia.
Officer : Kamalnath ji, me ye kya dekh raha hu, aapki beti hi unko bachane me sath de rahi hai, agar meri bate samne aa gayi to meri naukari chali jayegi, kuchh kijiye.
Kamalnath : Kuchh nahi hoga, tum bas apana muh band rakkho. (Usne gusse se phone rakh diya, Prakasrao bhi wahi betha tha) Is Jhanvi ko in sab me padne ki kya jarurat thi, wo samaj nahi rahi hai ki wo Manisha uska istemal kar rahi hai, usne mere hi samne meri beti ko khada kar diya hai, ab me apani beti ko kuchh kahunga to use batana padega ki in sabke pichhe mera hi hath tha. (Usne jhunjhala kar table par hath mara) Sathme tumhari beti ko bhi lapete me le liya. (Prakashrao ko dekh kar kaha)
Prakashrao : Wo uske school me hi padhta hai aur usne meri beti ko bachaya tha to wo to usi ka sath degi na, par muje nahi laga tha ki ye log intna bada game khel jayenge. Ab kya karenge.
Kamalnath : Kya karenge se kya matlab hai, agar sabko pata chal gaya ki in sabke pichhe hum hai to har jagah hamari thu thu hongi, aage election me MLA to kya chaprasi bhi nahi banayenge, ek jamin ke chakkar me hamara ghar bhi bik jayega, bhul jao us jamin ko aur us Shiv ko bhi, sala kya chij hai pata hi nahi chalta, ek do nahi puri line lagadi hai usne. Abhi uske upar hath dalne jayenge to aag hamare ghar tak pahuch jayegi, teri beti aur meri bhi beti uske support me khadi hai, abhi filhal us jamin ko bhul jao, us officer ko keh do ki use jo karna hai wo apane hisab se kare, wise bhi uske documnet hai nahi to wo apane hisab se karyawahi kare, hamara koi lena dena nahi hai. Me jata hu ghar (Kehte hue wo khada ho gaya)Sala dimag kharab ho gaya (Kehte hue wo bahar nikal gaya).
Bro bahut hi katarnak update ye kamalnath aur prakash rao ke muh par ek jordar Thapad hai.
Shiv ki sare problem sirf ek meet ne solve ho jayegi waisa khatarnak plan tha ye..
 
Last edited:

Saim1005

Active Member
1,323
1,569
143
Bohat he bariya Update tha bhai maza aa gaya
Too good
Ab dekhty hain agay kamalnath aur parkashrao kya krty hain shiv ko barbad krny k lia

Aur jhanvi aur vaswai gar ja k kya batati hain
 
Ranasahib

Member
151
355
78

Maja aa gya update ka 👍👍👍
 
Ek anjaan humsafar

Well-Known Member
2,487
3,462

Lene ke dene pad Gaye Shiv ke dushmanon KO💥 , yeh toh kamaal hi ho Gaya 💐 Shiv ke liye! Janhvi aur Vaiswi toh takhta hi palat diya morcha sambhal Kar💣. Manisha MDM bhi kuch Kam Nahin thi aur sone pe suhagaa ho Gaya Uske liye 😳 aur anathalay ke liye💖. Waah, kya masterstroke tha Bhai 😱, congrats 👍 for the mind-blowing update. Awaiting your upcoming amazing update ✍️
 
Bhupinder Singh

Well-Known Member
2,001
4,975
158

Nice update
 
Top