• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Kundali Bhagya

Game888

Hum hai rahi pyar ke
3,039
6,133
143
Update 184

Nirmaladevi ki najar Shiv par tiki hui thi, Mamta jab apani maa se alag hui to usne dekha ki wo kisi ko dekh rahi hai, usne pichhe dekha.

Mamta : Tumne pehchana nahi maa, ye Juhi hai meri nanand. (Narmadadevi ne Juhi ko dekha wo aage aayi aur uske pair chhune lagi, to usne ashirwad diya par fir wo Shiv ko dekhne lagi)

Narmadadevi : Ye?

Mamta : (wo apani maa ka chehra padhne ki koshis kar rahi thi, unke chehre par bhi wahi bhav the jo usne pehli bar Shiv ko dekha tha tab uske chehre par the)Ye Shiv hai maa, family friend hai. (Mamta ne jaanbuj kar Juhi ka friend nahi kaha)

Narmadadevi : (Shiv bhi aage aaya aur usne pair chhue, Narmadadevi ne apane aap ko sambhalte hue ashirwad diya)Jite raho, Aao ander aao. (Beena ka dil joro se dhadak raha tha, usko jis baat ka andesha tha wo hi ho raha tha, uski saas ka chehra saaf bata raha tha ki wo Shiv ko pehchan ne ki koshis kar rahi hai, par abhi kuchh puchhna sahi nahi tha, wo kuchh nahi boli, Narmadadevi apani beti ko sath liye ander ki aur mudi par ek bar fir usne Shiv ko dekha, fir wapas mud kar dono ander jane lage, Beena ne dekha ki Mamta ki chal me thodi langdahat hai, uski ankho me aviswas tha, usne gaur se dekha, to mehsus kia ki wo sambhal kar chal rahi hai, uska matha thanka)

Beena : (Maan me)Shiv unke waha tha, kahi didi ne kal raat Shiv ke sath sambandh to nahi banaye, wo kaise kar sakti hai aisa, nahi koi aur baat hogi, par unki chal to yahi bata rahi hai. Wo sab janti hai, agar andesa sahi hua to fir Shiv kya ho sakta hai wo unhe bhi pata hai fir wo aisa kaise kar sakti hai. (Par mauke ki najakat ko dekhte hue wo kuchh nahi boli, sab ander aa gaye, Narmadadevi baar baar Shiv ko dekh rahi thi)

Mamta : (Dhire se)Kya hua maa, aise kya dekh rahi ho use?

Narmadadevi : Nahi, kuchh nahi (Thoda sambhalte hue wo boli, fir apani beti ko halka dant te hue)Aise kaise aagayi, ghar me function hai aur tu aise aayegi, taiyar kyu nahi hui?

Mamta : Ghar se taiyar ho kar aati kya, kapade aur gehne sath le kar aayi hu, abhi taiyar ho jaungi.

Narmadadevi : Jaldi kar beta, hume bhaisahab ke ghar jana hai.

Mamta : Thodi der lagegi, maa. (Juhi ki aur dekh kar)Chalo, tum bhi taiyar ho jao.

Juhi : Me thik hu.

Mamta : Aise kaise, kayi log pehlibar tumhe dekhenge, kya kahenge ki Mamta ki nanand taiyar bhi nahi hui, chalo tum, (Shiv ko)Tum bhi taiyar ho jao.

Beena : Aap taiyar ho jaiye, me isko dusare kamare me taiyar hone ke liye le jati hu. Aao Shiv.

Narmadadevi : (Jis tarha se Beena baat kar rahi thi, Narmadadevi ko laga ki uski bahu is ladke ko janti hai) Tum janti ho beta ise?

Beena : H ha, maaji, wo meri hi school me padhta hai. (Narmadadevi ne ankhe chhoti kar ke dekha, Beena najare bachate hue)Chalo Shiv. (Me apana bag liye unke pichhe pichhe chal pada)

Narmadadevi : (Maan me)Ye itna jana pehchana kyu lag raha hai, ya mera bhram hai, ise dekh kar aisa kyu lag raha hai jaise me isse janti hu, pehle bhi dekh chuki hu. Aisa kaise ho sakta hai? (Wo soch me pad gayi thi)Mamta keh rahi hai ki family friend hai, bahu keh rahi hai uske school me padhta hai, samaj nahi aa raha. Aur sabse badi baat wo use yaha kyu le kar aayi hai? (Wo sochne lagi)Shyada damadji aa nahi sakte hai to dono akele kaise aati, ha isiliye use apane sath layi hogi. Par uska chehara kyu itna jana pehchana lag raha hai?

Beena : (Shiv ko apane kamare me le aayi, aur ander jate hi)Kal Mamtadidi ke sath rahe the?

Shiv : (Achanak hue sawal se me unhe dekhne laga, waise wo sab janti thi to chhupane ka koi matlab nahi tha)Ha. Kyu?

Beena : (Usko yakin nahi ho raha tha ki sab jante hue bhi Mamtadidi ne Shiv ke sath raat gujari, bhale hi abhi ye baat confirm nahi hai par fir bhi andesha to hai hi, fir kaise wo iske sath reh sakti hai)

Shiv : (Beena ko soch me duba dekh)Kya hua, kya soch rahi hai? (Usne normal tarike se hi kaha)

Beena : (Apani soch se bahar aate hue)Kuchh nahi, kapade laye ho?

Shiv : Isme kya burayi hai, aapke waha function hai, me aise hi thik hu.

Beena : Jyada bolo maat (Narajgi se wo ek aur gayi aur apani almari se kapade nikalne lagi, kapade le kar wo Shiv ke pass aayi)Isse pehan lo.

Shiv : (Mene dekha ki wo naye kapade the, Shirt aur pant)Iski kya jarurat hai, kiske hai?

Beena : (Usko ghur kar dekh kar)Kisi ke kapade tumhe aayenge kya? Me le kar aayi thi, ab pehan lo ise.(Wo bhale hi naraj dikh rahi thi par unka mere prati pyar bhi dikh raha tha, mene unke hath se kapade le kar side me rakh kar mene unko baju se pakad liya, wo dar gayi aur darwaje ki aur dekhne lagi)Kya kar rahe ho? Koi dekh lega. (Me unko thoda side me le gaya, wo dar rahi thi)

Shiv : Kya hua? Kis baat par gussa ho? (Wo meri ankho me dekhne lagi, hum dono ek dusare ko dekh rahe the, wo puri traha se taiyar thi, is roop me me unhe pehli bar dekh raha tha, me unke chehre ko dekh raha tha, wo sharma gayi aur najare jhuka kar)

Beena : Tum par gussa nahi hu.

Shiv : To kis par ho?

Beena : Chhodo us baat ko, taiyar ho jao.

Shiv : Pehle ek kiss do.

Beena : Kya? (wo chaunki) Pagal ho gaye ho kya? (Unhone ghur ke dekha, me waise hi khada raha, wo apane aapko chhudane lagi)Koi aa jayega Shiv (Unhone dhimi awaj me kaha)

Shiv : Ek kiss do.

Beena : (Bebasi se)Kyu tang kar rahe ho, koi aa jayega na. (Muje bhi pata tha ki jyada der karna thik nahi hai to mene unka chehra thama to wo meri ankho me hi dekhne lagi, me jhukne laga, wo muje dekh rahi thi)

Shiv : Aap aaj aise bahot khubsurat lag rahi hai. (Unke chehre par halki muskurahat aa gayi, wo taiyar thi is liye mene halke se unke hotho par kiss kia, unhone koi virodh nahi kia)

Beena : (Muskurate hue)Pagal, jaldi se taiyar ho jao. (Mene unhe chhod diya to wo muskurate hue bahar chali gayi, me kapade pahan ne laga, Beena, Mamta wale kamare me gayi, darwaja ander se band tha to usne khat khataya, thodi der baad thoda sa darwaja Juhi ne khola, Beena ko dekh kar usne unhe ander aane diya, Mamta saree pehan rahi thi)

Juhi : (Beena ko)Bhabhi, ise bandh dijiye na (Wo choli pehne hue thi jo pichhe se khuli thi, Beena uski doro bandhne lagi)

Beena : Sachme tu kitni lambi hai. (Juhi muskurane lagi, dori bandhne ke baad wo makeup karne lagi, Beena, Mamta ke pass pahuch gayi, usne ek baar Juhi ko dekha fir dhire se uske kaan me boli)Langda kar kyu chal rahi ho aap? (Mamta jhep gayi, dono ki najare mili par fir Mamta ne najare jhuka li, Beena ne apani baat aage badhyi)Sab jante hue bhi.... (Usne apani baat adhuri chhod di)

Mamta : (Wo sambhal chuki thi)Ab baki kya hai bhabhi, wo hamari kokh me pal rahe bachche ka baap hai, ye aap juthla nahi sakti.

Beena : (Wo janti thi ki Mamta sahi keh rahi hai, to usne baat ko nahi khincha, baat ko badalte hue)apne dekha ki maaji usko kaise dekh rahi thi. Muje to dar lag raha hai.

Mamta : Dekho bhabhi, agar ye wohi hai to fir ye baat kisi na kisi din to bahar aani hi hai, waise Mummy ne kuchh bhi kaha kya? Nahi na, aise koi kuchh bhi nahi keh sakta, aur waise bhi kitne hi log hote hai jinki sakal kuchh kuchh milti hoti hai.

Beena : Par fir bhi khayal rakhna hoga, jitna ho sake Shiv ko bade chacha se dur hi rakhna hoga, samaj rahi ho na aap.

Mamta : Par wo waha aayega to sab dekhenge hi, aur wo hai hi aisa ki kisi ki najar na pade aisa ho nahi sakta.

Beena : Aap samaj nahi rahi ho, Babaji ne bhi kaha tha ki uski jaan ko khatara hai, mera to dil betha ja raha hai, kya aap use kho sakti hai?

Mamta : Marungi ek jo aisi baat muh se bhi nikali to, kisi ki majal hai jo use chhu bhi sake, me jinda hu abhi. (Wo halke gusse se boli, fir Beena ko samjate hue)Aap khamkha chinta kar rahi hai, kuchh nahi hoga, kya aap use kuchh hone degi?

Beena: (Beena ne bhi naa me shir hilaya) Par abhi wo chhota hai. (Usne chinta jatayi)

Mamta : (Muskurate hue)Muje to nahi lagta, aur muje yakin hai ki aapko bhi nahi laga hoga ki wo chhota hai(Wo natkhat sa muskurayi)

Beena : (Sharmate hue)Aap bahot kharab ho gayi ho, me yaha chinta se mari ja rahi hu aur aap uske sath...

Mamta : Wo jo bhi ho, par ab wo kisi aur nate se juda hua hai humse, aur me ya aap use badal nahi sakte, to kyu itni fikar karne ki, sab uparwale par chhod dijiye, wo jo bhi karega sahi karega, aur agar jaisa aap keh rahi hai ki ye wo hi hai, to bhi darne ki baat nahi hai, kyu ki agar ye wohi hai to iska matlab hua ki wo bach gaya hai, to socho ki jab wo ek chhota bachchha tha tab koi uska kuchh nahi bigad paya to ab to wo bans sa lamba ho gaya hai, kis ki majal hai jo use hath bhi lagaye.

Juhi : (Us aur aate hue)Me taiyar hu, aap dono kya gusur pusur kar rahi hai?

Beena : (Juhi ko dekhte hue)Ye kitni badi ho gayi hai na, aur kitni khubsurat bhi, puri shadi ke layak ho gayi hai. (Unki baat sun kar Juhi sharma gayi)

Mamta : Ghar me to sab kab se keh rahe hai, ye hi bhag rahi hai.

Beena : Kab tak bhagegi, isko bhi khute se bandhna hi padega.

Mamta : (Usko chhdete hue)Ha wo bhi badawala khuta.

Juhi : (Sharm se pani pani ho rahi thi)aap dono bahot gandi ho me bahar ja rahi hu,(Kehte hue wo bahar bhag gayi, dono jor jor se hasne lagi)

Beena : Aap jaldi se taiyar ho kar niche aao, me jati hu, jo jo lekar jana hai wo ek baar dekh leti hu.

Mamta : Mera bhi bas ho hi gaya hai, bas dus minute.

Beena niche chali gayi, uski saas naukaro ko sab keh rahi thi aur saman gadi me rakhwa rahi thi.

Beena : Me rakhwadeti hu maaji, aap betho.

Narmadadevi : Isme kya bahu, me thodi na kuchh kar rahi hu, bas keh rahi hu, waise bhi sab ho gaya hai, sab taiyar ho gaye kya?

Beena : Ha bas ho hi gaye hai, aa rahe hai. (Apani saas ki ankho me dekh kar)Ek baat puchhu maaji?

Narmadadevi : (Muskurate hue)Are puchh na beti, isme puchhnewali kya baat hai?

Beena : Aap Shiv ko aise kyu dekh rahi thi?

Narmadadevi: (Unke chehre se muskan gayab ho gayi, wo apani bahu ko gaur se dekhne lagi, fir kuchh soch kar) Pata nahi bahu, par muje laga ki jaise me usko janti hu, kuchh jana pehchana sa lag raha tha, waise hai kon wo, kiska ladka hai?

Beena : Wo ek anath hai.

Narmadadevi : (Unke mathe par bal pad gaye)Sach me?

Beena : Wo yaha pehle kabhi nahi aaya, fir aapko kaise laga ki wo jana pehchana hai?

Narmadadevi : Pata nahi beti.

Beena : Ho sakta hai ki aap uske jaise kisi sakhs ko janti ho.

Narmadadevi : Pata nahi beti.

Beena : Aapne Yogendrachacha ko to dekha hi hoga?

Narmadadevi : (Muskurate hue)Dekha kaise nahi hoga (Par bolte bolte hi unki ankhe chaudi hone lagi, fir unke chehre par ajeeb se bhav aane lage, jaise wo kuchh soch rahi ho, wo kabhi Beena ko dekhti to kabhi kahi aur)

Beena : Kya hua maaji?

Narmadadevi : (Asamjans me thi wo jaise unko viswas nahi aa raha tha apani hi soch par)

Beena : Kya soch rahi ho aap maaji?

Narmadadevi : Meri samaj me nahi aa raha hai kuchh, me kab se soch rahi thi ki isko kaha dekha hai, par jab ab tumne Yogendra ka naam liya to chehra spast ho raha hai, wo Yogendra aur Chandrika ka hi mila jhula rup lag raha hai, par ye kaise ho sakta hai?

Beena : (Uska sharir kanp raha tha, uski jaban sath nahi de rahi thi)aa aap ko yakin hai ki ye unke jaisa hai?

Narmadadevi : (Unke chehre par bhi hawaiya udi hui thi, wo bhi viswas nahi kar pa rahi thi)Yogendra hi is ghar me sah se uncha hai, aur Chandrika ka chehra to koi pagal hi bhul sakta hai, is ladke ka chehra jyada tar Chandrika se milta jhulta hai, par ye kaise mumkin hai? (Tabhi waha Mamta aayi)

Mamta : Kya hua bhabhi (apani maa ko dekhte hue)Kya hua maa? Koi gadbad hai kya?

Beena : Maaji ko lagta hai ki Shiv ka chehra Chandrika chachi jaisa hai.

Mamta : Kya keh rahi ho maa, kya sach me?

Beena : Hum Shiv ko waha nahi le ja sakte. (Usne jaise faisala sunaya)

Mamta : Are par bhabhi...

Beena : Agar usko bade chacha ne dekh liya to? (Wo dar rahi thi)

Mamta : Bhabhi aap kuchh jyada hi soch rahi ho (Apani maa ko dekhte hue)Maa tumhe yakin hai ki wo chachi ke jaisa dikh raha hai, matlab kya ye Shivansh ho sakta hai?

Narmadadevi : Pata nahi beti, par aisa lag to raha hai, par wo to mar chuka hai. (Tabhi Shiv aur Juhi aate dikhayi diye)

Mamta : Iske samne abhi koi baat maat karna. (Sab chup ho gaye par tino ki nigahe muj par hi tiki hui thi, Beena madam aur Mamtabhabhi muje dekh rahi thi wo samaj me aa raha tha par wo aaunty muje jaise dekh rahi thi samaj nahi aa raha tha, wo muje dekh kar jaise pehchan ne ki koshis kar rahi thi, me unke najdik pahucha)

Juhi : Hum taiyar hai.

Beena : Tum nahi aa rahe waha. (Beena ne jaise hukum diya, meri samaj me kuchh nahi aa raha tha, me unhe dekh raha tha)

Juhi : Kyu?

Mamta : (Sambhalte hue muskurayi)Are wo to aise hi keh rahi hai, tum jao, wo kuchh saman hai wo jeep me rakhwa do. (Mene Beenamadam ko dekha, unke chehre par chinta thi, par Mamtabhabhi ne kaha tha to me aur Juhi jeep ki aur badh gaye)Kya kar rahi ho bhabhi?

Beena : (Apani saas ko dekh kar)Kya lagta hai maaji? Kya abhi bhi aap wohi kahengi?

Narmadadevi : Ha beti, wo waisa hi lag raha hai, par ye kaise mumkin hai?

Beena : Dekhliya, agar maaji ko lagta hai to dusaro ko bhi lag sakta hai, use hum waha nahi le ja sakte.

Mamta : Aap to aise keh rahi hai ki wo Shivans hi hai, me manti hu ki maa juth nahi bol rahi, par babaji ne jaise kaha tha Shiv ko waha anusthan me hajir rehna hai.

Narmadadevi : (Chaukte hue)Babaji ne aisa kaha? Kyu? Wo usko kaise jante hai?

Mamta : (Mamta khud ulajti ja rahi thi, kya kahe kya na kahe kuchh samaj me nahi aa raha tha)Maa wo.. maaa . (Usko kuchh suj hi nahi raha tha)

Narmadadevi : Ye chal kya raha hai, koi kuchh batayega muje? (Tabhi mobile baja, ye Chandrabhan ka phone tha)Hello.

Chandrabhan : Kaha reh gaye tum log, sab log aa rahe hai, tum logo ka hi pata nahi hai. Kar kya rahi ho tum?

Narmadadevi : Hum bas aa hi rahe hai, Mamta bhi aa gayi hai wo bas taiyar ho rahi thi.

Chandrabhan : Jaldi aao (Kehte hue usne phone kaat diya)

Narmadadevi : Ji. (Unhone phone rakh diya)Jaldi chalo, tumhare babuji ka phone tha.

Beena : Par maaji hum usko kaise le ja sakte hai? (Unhone Shiv ki aur dekha)

Narmadadevi : (Sochte hue)Meri kuchh samaj me nahi aa raha, par usko mare hue salo ho chuke hai, ye wo kaise ho sakta hai?

Beena : Ek baar maan bhi le ki ye wo nahi hai, par fir bhi agar aisa andesa bhi hua to iske liye dikkat ho sakti hai na? aap tauji ko to janti hi hai.

Narmadadevi : Ye to sach hai, ye wo hai ki nahi wo baad ki baat hai par agar badebhai sahab ko shaq bhi hua to... (Darte hue)Nahi nahi.

Mamta : To kya kare? (Kuchh soch kar)Iska huliya badal de?

Beena : Abhi itna time nahi hai (Kuchh soch kar)Ek kaam kar sakte hai, mask! Ha yahi sahi rasta hai.

Mamta : Par wo akela mask lagakar ghumega to waise bhi sab usko hi dekhenge.

Beena : Dekhne do, par mask ki wajah se koi pehchanto nahi payega, muje to abhi sahi lag raha hai, aur agar koi puchhega to bol denge ki flu ki wajah se usne mask pehna hua hai, taki kisi aur ko virus na lage.

Narmadadevi : Jo karna hai jaldi karo, waha tumhare babuji gussa ho rahe honge.

Mamta : Thik hai, chaliye, par mask kaha se milega?

Beena : Yaha medical me dekh lenge warna Juhi aur Shiv ko saher bhejenge.

Mamta : Thik hai chalo. (Sab bahar aa gaye, Narmadadevi ab aur Shiv ko dekh rahi thi)Chalo mummy (car ka darwaja kholte hue wo boli, Narmadadevi usme beth gayi, Mamta bhi waha beth gayi)

Beena : Aap chalo, me unke sath aati hu (Kehte hue wo jeep ki aur badh gayi, aage beth kar) Chalo. (Wo jis aur bata rahi thi Shiv us aur gadi chala raha tha, ek medical shop ke samne ruk kar)Wo medical mask hota hai na, jo doctor pehante hai wo le aao. (Usne Shiv ko kaha)

Shiv : Mask!, uski kya jarurat hai?

Beena : Jo kaha hai wo karo. (Me gaya aur puchha to unke pass tha)

Shiv : Hai, kitne lene hai?

Beena : Char panch le lo. (Mene mask le liye)

Shiv : (Unko mask dete hue)Lijiye.

Beena : Apane pass rakkho aur ek pehan lo.

Shiv : (Ascharya se)Me pehanlu? Kyu?

Beena : Jo bola hai wo karo, aur ha waha mask maat nikal na, kisi ke samne bhi nahi, agar koi puchhe to boldena ki flu hai, thodi jukam ki acting bhi kar dena taki kisi ko shak na ho. Juhi, tum iska dhyan rakhna.

Juhi : Par baat kya hai bhabhi?

Beena : Abhi samjane ka time nahi hai, baad me baat karenge, abhi jitna keh rahi hu wo karo. (Mene mask pehan liya, unhone muje gaur se dekha)Thik hai chalo.

Beena tention me thi, usko to pura yakin ho gaya tha ki ye Shivans hi hai, use ye bhi pata tha ki sirf sakal milne se ye sabit nahi ho jata ki ye Shivans hi hai, kyu ki kayi logo ki sakal milti hai, ye to nahi hota ki bachche apane maa-baap ki carbon copy ho, par kayi lakshan hote hai jo unke sath mel khate hai, aur ye roz dekhne walo ko pata nahi chalta par koi pehlibaar agar usko dekh raha ho to use fauran pata chal jata hai. Wo bich bich me Shiv ko sab samjati rahi, kisi se jyada baat karne se bhi mana karti rahi, agar babaji ka adesh na hota to wo ise waha lati hi nahi. Akhir kar wo waha pahuch gaye.

Hum waha pahuche to gate khula hua hi tha, par darwan khada tha, aaj mehman jyada the to gate khula hi rakha tha, wo Beena madam ko pehchanta tha to usne salam kia, me aram se gadi chala raha tha, ye ek bahot badi kothi thi, aisa lag raha tha jaise koi mahel ho, main gate se haveli kafi antar par thi, ek jagah mandap lagaya gaya tha, uske niche sofe lagaye gaye the, kafi log aa chuke the, waha chahel pahel lagi hui thi, mehmano se jyada to naukar chakar lag rahe the, wo sara kaam kar rahe the, hum jaise hi ander pahuche to ek aadmi daud kar aaya, usne darwaja bhi khola, wo log niche utar gaye, me betha tha.

Beena : Tum bhi utar jao Shiv, wo gadi park kar dega. (Me utar gaya aur unke pass gaya, Beena madam kisi naukar ko kuchh hidayate de rahi thi, mene Juhi ko dhire se kaha)

Shiv : Ye mahel hai kya?

Juhi : (Muskurate hue)Muje kya pata?

Shiv : Madam aur bhabhi to bahot bade khandan se lag rahe hai, unhe dekh kar lagta nahi ki wo itne bade ghar ki hai.

Juhi : Kyu?

Shiv : Dono kitni saral rehti hai, kabhi laga hi nahi ki wo itne bade khandan ki bahu beti hai.

Juhi : To kya hum chhote hai? (Usne nakhare se kaha) Aise hi nahi wo hamari bhabhi hai.

Shiv : (Muskurate hue)Mene aisa kab kaha. (Tabhi Beena madam aa gayi aur Mamtabhabhi bhi waha aa gayi, wo muje dekh rahi thi)

Mamta : (Beena ko)Ye sahi hai, aise koi anjan use pehchan nahi payega. (Juhi ko)Tum ise le kar side me betho)

Juhi : Thik hai. (Waha kafi log bethe hue the, me aur Juhi ek aur badhne lage, par jaisa ki hota hai humari height ki wajah se har kisi ka dhyan hamari aur ja raha tha, hum dono ek jagah ja kar beth gaye, ek waiter pani le aaya, humne piya.) Pata nahi sabko kya ho jata hai, aise ghurte hai jaise koi alian dekh liya ho.

Shiv : (Muskurate hue)Ye koi nayi baat thodi na hai, relax yaar.

Juhi : Tumhe mask kyu pehnaya hai?

Shiv : Muje kya pata?

Juhi : Kuchh ajeeb chal raha hai, tumhe nahi lagta?

Shiv : Chhodo na, hume kya karna hai.

Beena aur Mamta ander gayi, ander bhi sab bhaga daudi chal rahi thi, abhi Babaji aaye nahi the par unke chele aa gaye the aur wo sab intejam kar rahe the, wo dono Swarna se milne pahuchi, wo bhi taiyar hi bethi thi, Krupali bhi wahi thi.

Mamta : Kaisi ho?

Swarna : To time mil gaya?

Mamta : Kaisi hai Kapu?

Krupali : Achchhi hu didi, aap kaisi ho, namaste bhabhi.

Unme bas idhar udhar ki baate ho rahi thi, tino ander se bechain thi, par Krupali ki wajah se baat nahi kar rahi thi.

Swarna : Kapu, dekh to babaji aaye ki nahi?

Krupali : Kaha didi, aaye hote to pata nahi chal jata.

Swarna : (Halke gusse se)Ak baar dekh to, bas aise hi bolti hai.

Krupali : (Nakhre se uthte hue)Jab dekho tab dant ti rehti ho, me koi chhoti bachchi nahi hu. (Kehte hue wo bahar nikal gayi)

Swarna : (Jaise hi wo bahar gayi)Kya hua?

Beena : Maaji ne bhi use pehchan ne ki koshis kar rahi thi, jaise unko janti ho.

Swarna : (Chinta se)To ab kya hoga?

Beena : Abhi to temporary solution kia hai, aage dekhte hai.

Swarna : Wo kya? (Fir Beena ne sab baate batayi, wo tino guspus hi kar rahi thi, abhi unki baat khatam hi hui thi ki Krupali ander aayi, usne dekha ki tino kuchh guspus kar rahi hai par jaise hi wo aayi tino chup ho gayi, par tino ke chehre par chinta jarur thi)

Krupali : Thodi der me aane wale hai. (Unko dekhte hue)Kya hua?

Swarna : Kuchh nahi, hum to aise hi baat kar rahi thi.

Krupali : Muje buddhu samajte ho kya, aap tino koi baat kar rahi thi, muje dekhte hi chup ho gayi, nahi batani to koi baat nahi, aap baat karo, me jati hu (Kehte hue wo jane lagi)

Mamta : Are sun to, aisi koi baat nahi hai, tu to kham kha naraj ho rahi hai. Hum bhi bahar hi chal rahe hai. (Kehte hue wo tino bhi bahar nikal aayi, Padma bhi kaam me lagi hui thi, aaj bada din tha, wo bahar aayi aur sab dekhne lagi, kafi log aaye hue the, wo unse milne lagi, tabhi Swarna ki najar ander aate hue apane saas sasur nanand aur pati par padi, wo us aur chal di)

Swarna : (Saas sasur ko pranam kia, pati ko muskura kar dekha aur Vaiswi se gale mili)Aa gaye aap, aayiye. (Wo unhe ek aur le jane lagi)(Me kone me betha tha, mene bhi Vaiswi ko dekha par me betha raha)(Swarna ne Mamta aur Beena ko bhi milwaya, uski mummy bhi aa gayi aur Padma bhi, unhe aage ki katar me lage sofe par bithaya, wo log pehli baar yaha aaye the to swagt to banta tha. Pruthvi ne bhi dekha tha par wo dur hi raha, waise bhi usko in sab me koi khas ruchi nahi thi, par majboori me rukna pad raha tha, kyu ki wo bhi paresan tha ki bachcha nahi ho raha tha, log uski mardangi par pith pichhe has rahe the, Udesinh abhi najar nahi aa raha tha, Chandrabhan aur Akash to sab dekhne me lage hue the)

Me aur Juhi apani hi bato me lage hue the, ki tabhi Babaji ka agaman hua, ghar ke sab darwaje ki aur badhe aur dusare mehman kautuhal se dekh rahe the, kuchh naukaraniya un par fulo ki varsha kar rahi thi, Chandrabhan, Narmadadevi , Kamnadevi aur gahr ke sab log unko pranam karte hue unhe yagyakund ki aur le ja rahe the. Me bhi un babaji ko dekh raha tha, wo bahot shant the, unhe jaise koi fark hi nahi pad raha tha, wo bas shanti se chale ja rahe the, aur hath utha kar sabko ashirwad de rahe the. Unko waha lagi ek badi si kurshi par bithaya, aur Chandrabhan aur uski patni ne unke pair dhoye, khabar milne par Udesinh bhi waha aaya, itne sare mehman the to sabko dikhane ke liye usne hath jode par uske chehre se lag raha tha ki usko hath jodna bhi gawara nahi.

Babaji : (Muskurate hue)Lagta hai aapko mera aana pasand nahi hai.

Udesinh : (Usne dant pise par chehre par aane nahi diya)Aisi koi baat nahi hai.

Babaji : (Muskurate hue)Muje gyat hai ki aapko in sab me koi dilchaspi nahi hai, par ab isme me kya kar sakta hu, aapko bulana pada aur muje aana pada.

Chandrabhan : Aisa kuchh bhi nahi hai babaji, wo unko ye sab pasand nahi, (Pani dete hue)Lijiye pani pijiye)

Babaji : (Muskurate hue)Me abhi kuchh bhi grahan nahi karunga, sab anusthan ke baad.

Chandrabhan : Jaisa aap kahe.

Babaji : Sab log aa gaye hai?

Chandrabhan : Ki babaji, takriban sabhi log aa gaye hai, par jaisa mene aapko bataya tha ki Yogendra ki family se koi bhi nahi hai.

Babaji : Thik hai wo sab me dekh lunga, aap sab ko yagya kund ke pass aane ke liye kahiye.

Chandrabhan : Ji. (Wo sabko bula bula kar ikattha karne lage, Udesinh pariwar, Unke khud ka pariwar, sab takriban waha maujud the, tabhi unki nigah darwaje se aati ek gadi par padi, bahot mehngi gadi thi, aur unme se jo sakhs utara unhe dekh kar wo us aur jane lage)

Udesinh : Inhe kyu bulaya hai?

Chandrabhan : Jaruri tha bhaiya. (Wo us aur chal pade, unhe jata dekh wab us aur dekhne lage)(Mehmano ki nigah bhi us aur thi, sab jante the ki itni mehngi gaadi desh me kuchh ginechune logo ke pass hi thi, to ye jo bhi hai wo bahot bada aadmi hai, me aur Juhi bhi us aur dekh rahe the, usme se jo sakhs nikala wo suit boot me tha aur kuchh gurd bhi unke sath me the)

Shiv : Kon hai ye?

Juhi : Muje kya pata, me thodi na kisi ko janti hu.

Shiv : (Muskurate hue)Chid kyu rahi ho, mene to bas aise hi puchha tha. (Mene dekha ki dusari aur se ek aurat nikali aur ek ladki bhi jisne safed wastra pehne hue the. Shir par pallu bhi tha, dekh kar muje wo kuchh jani pehchani lagi to me gaur se dekhne laga)

Chandrabhan unhe mandap ki aur le aaya, unlogo ko sab dekh rahe the aur khas kar ke us ladki ko jo safed wastrome thi. Soneri rango se kalakari ki gayi thi, wo apani najare jhukaye badi shalinta se chal rahi thi, dekhne bhi bahot jyada khubsurat thi wo.

Beena : (Pass me khadi Mamta ko)Kon hai ye log, pehle to kabhi nahi dekha inhe?

Mamta : Me bhi nahi janti, me bhi kabhi nahi mili inse. Koi bahot bade log lag rahe hai. (Wo chalte hue waha pahuch gaye the, Usne Udesinh aur unki patni ko dekh kar hath jod kar namaskar kiya, Udesinh ne koi pratikriya nahi di, balki uske chehre par halka rosh tha, par Kamnadevi ne muskurate hue hath jod kar jawab diya)

Kamnadevi : Aiye bhaisahab, aaiye bahenji, kaise hai aap?

Sukhdev : (Muskurate hue)Me achchha hu bahenji, aap kaisi hai?

Kamnadevi : Iswar ki kripa hai bhai sahab, bahot arse baad dekh rahi hu aapko, aap to is aur aana bhul hi gaye.

Sukhdevi : Kya kare bahenji, kuchh logo ko hamara aana pasand nahi, aur waise bhi yaha hai kon jo hum aaye?

Kamnadevi : Aisa kyu keh rahe hai, kya hum nahi hai, aap to aisa keh rahe hai ki sirf Yogendrabhai sahab se hi aapka rista hai.

Chandrabhan : Bate ho hoti rahegi bhaisahab, aap birajiye. (Unko ek aur le jate hue, wo tino us aur chalne lage to)Tum nahi beti, tum yahi ruko. (Us ladki ne apane maa-baap ko dekha to uski ma Aiswarya ne ankho se ha ka issara kia to wo ruk gayi, Chandrabhan ne apni patni Narmadadevi ki aur dekh kar)Dekh kya rahi hai, ise apane sath bithayiye. (Narmadadevi muskurate hue aage aayi to us ladki ne jhuk kar unke pair chhue)

Narmadadevi : Jiti raho beti, sada khus raho.

Kamnadevi :(Kamnadevi bhi aayi)Kaisi ho beti, bahot badi ho gayi ho, agar Sukhdevbhai ke sath na hoti to pehchan bhi na pati (us ladki ne unke bhi pair chhue, unhone bhi ashirwad diya)Jiti raho beti, sada khus raho. Aao, hamare sath betho. (Kehte hue wo unhe le jane lagi)

Beena : Ye inhe hamare sath kyu bitha rahe hai, kya ye iss pariwar se hai?

Mamta : Muje kya pata, wo unhe hamare bich bitha rahe hai to lagta to aisa hi hai ki wo hamare pariwar se hi hai. Pata nahi kya kya chhupa hua hai is pariwar me?

Thodi der me puja suru ho gayi, sabke hatho me mangal kamna ke sath laal dhaga bandha gaya, ek dhaga babaji ne Beena ke hath me diya aur uske kaan me kuchh kaha.

Beena : Ji babaji. (Fir Mamta aur Swarna ki aur dekh kar)Aap mere sath aayiye. (Wo tino ander ghar ki aur jane lagi, Mansibua se raha nahi gaya)

Mansibua : Kaha ja rahe hai ye log?

Babaji : (Muskurate hue)Lagta hai aap ko sab jan na hota hai kyu?

Mansibua : (Jis tarha se babaji ne kaha tha, dusare log hasne lage, jhepte hue)Me to bas aise hi keh rahi thi. (Waise to dusaro ko bhi kuchh pata nahi tha par koi kuchh bola nahi, socha ki baad me puchh lenge, wahi wo tino ander gayi aur jate hue hi Beena ne phone lagaya)

Shiv : (Mere phone par Beena madam ka phone dekh kar me chaunk gaya, mene phone uthaya)Hello.

Beena : Tum akele ghar ke aander aao.

Shiv : Kaha?

Beena : Tum darwaje par aao to.

Shiv : Thik hai. (Juhi ko)Me abhi aaya.

Juhi : Kaha ja rahe ho? Kiska phone tha?

Shiv : Bahot sawal puchhti ho, me thodi der me aaya. (Waha sab ka dhyan puja ki aur tha, aas pass ke logo ne muje dekha par aise hi dekha, me waha se nikal kar ghar ki aur gaya, darwaje par hi muje Beena madam dikhi)

Beena : Mere sath chalo. (Me unke pichhe ho liya, wo muje ek kamare ke pass le gayi, wo ek puja ghar tha, bahar sab chal raha tha to ghar me waise bhi bahot kaam log hi the aur jo the wo naukar hi the)Jute bahar nikal do. (Mene jute nikale aur ander gaya, ander dekha to Swarnabhabhi aur Mamtabhabhi bhi the, meri kuchh samaj me nahi aa raha tha)Mask hatao. (Mene mask nikal diya, wo Swarnabhbhi muje dekh kar muskurayi, mene bhi smile se jawab diya)Daya hath aage badhao. (Meri to kuchh samaj me nahi aa raha tha par mene hath aage badhya, unhone tino ne ek sath ek dhaga mere hath me bandha, me bas dekh raha tha, wo tino bahot pyar se muje dekh rahi thi, dhaga bandhne ke baad)Ab tum jao, aur ha, msg dekhte rehna, agar aage jarurat padi to me tumhe msg karungi. (Meri to kuchh bhi samaj me nahi aa rraha tha to me wapas laut gaya)

Waha Shiv ke jate hi tino ek dusare ko dekhne lagi, tino ek dusare ki raazdar thi, tino ke chehre par ek ashim khusi thi, tino aapas me gale mili, bhale hi koi kuchh bol nahi raha tha par, jaise hajaro baate ho rahi thi. Fir tino ne bagwan ko pranam kia aur wapas yagya ki aur chal padi. Wo waha pahucihi aur apane apane sthan par beth gayi. Sabke maan me kayi vichar chal rahe the. Par koi kuchh bola nahi. Babaji ne anusthan suru kia, takriban ek ghante baad anusthan pura hua. Babaji ne fir tino ke hath se hi akhri nariyal ka hom karwaya.

Padma : (apani saas ko)Babaji aisa kyu kar rahe hai, ye tino hi kyu sab kar rahi hai, kya me is ghar ki bahu nahi hu?

Babaji : Jo kehna hai mujse kaho beti?

Padma : Kuchh nahi babaji.

Babaji : Me janta hu ki aap sabke maan me kayi prashna hai, hum ye hawan kyu karwa rahe hai wo shayad kayi log nahi jante, ye anusthan, ye hawan hum is liye karwa rahe hai ki aapke pariwar me agali pidhi ka aagman ho. Aaj ye hawan ho raha hai to unke hi prayas se ho raha hai beti.

Kamnadevi : Me kuchh samji nahi babaji.

Babaji : Putri, aap ye to janti hai ki apki purti yani Swarnabeti maa ban ne wali hai, par aap ye nahi janti ki ye dono bhi maa ban ne wali hai.

Kamnadevi : Kya?

Narmadadevi : Kya?

Sabke chehre par ascharya aur khusi dono the.

Udesinh : Matlab aapne kham kha ye sab karwaya (Usne berukhi se kaha)

Babaji : (Muskurate hue)Kuchh logo ke karmo ki saja pura pariwar bhugat raha hai Udesinhji, jis waqt se inlogo ke maan me iske liye pachhtawa aaya usi waqt se unke shir se kale saye hatne lage, inpar bholenath ki kripa hui, aur inhe ye sukh prapt hua.

Narmadadevi : Bataya nahi tune, aur tune bhi. (Narajgi se apani bahu aur beti ko dekhte hue wo boli)

Babaji : Inhe kuchh maat kahiye, mene hi mana kiya tha, abhi khatara tala nahi hai, ye anusthan unki salamati ke liye hi kiya gaya tha.

Prithvi : Agar ye maa ban rahi hai to ye kyu nahi? (Usne gusse se apani patni Padma ki aur issara kiya)

Babaji : Ye to Shiv hi jane. (Unhone muskura kar kaha)

Prithvi : (Khade hote hue)Mene to pehle hi kaha tha ki ye sab dhong hai, muje koi viswas nahi in sab me, (apni maa ko dekh kar)aap ke kehne par me yaha aaya, dekh liya na sab. (Kehte hue wo waha se chala gaya, Padma aasu bahane lagi)

Udesinh : Ye sab ho kya raha hai? (Usne gusse se babaji ki aur dekha)

Babaji : (Unhe jaise koi dar hi nahi tha)Ye kya ho raha hai wo tumhe samajna hai, uski to maher barasne lagi hai, tum par kyu nahi hui wo tumhe sochna hai.

Chandrabhan : (Baat ko bigadte dekh)Bhaisahab, aap shant ho jaiye, ye kam khusi ki baat hai ki hamari tin betiya maa ban ne wali hai, Padmabeti bhi ban jayegi, agar aaj uparwali ki kripa in par hui hai to us par bhi hogi, aapke ghar ki beti bhi maa ban rahi hai na. (Udesinh ne gusse se dekha par itne mehmano ke samne wo apana tamasa nahi banana chahta tha, to wo chup ho gaya, sab mehmano ki aur hath jod kar)Us aur bhojan ka prabandh kiya gaya hai, aap prasthan kijiye. (Sab uth kar us aur jane lage)(Waha ek aur sakhs tha jo bola to kuchh nahi par ander bahot jyada dukhi tha, wo sakhs tha Krupali, wo khud ye sab tane sehan kar rahi thi, aaj uski sasural walo ko bhi pata chal gaya tha ki uski bahen bhi maa ban ne wali hai, to wo tention me thi)
Funtastic updates
 
  • Like
Reactions: Abhishek Kumar98

Ek anjaan humsafar

Well-Known Member
2,470
3,415
143
Excited I Want GIF by Chimpers
 
Game888

Hum hai rahi pyar ke
3,039
6,133
143
Eagerly waiting for next update bro
 
  • Like
Reactions: Abhishek Kumar98

Vega Star

Active Member
961
10,331
124
Update 185

(Pichhale update me mene galti se Beena ki saas Nirmaladevi ko Narmadadevi likh diya tha)

Krupali ki saas thodi tej swabhav vali thi, yaha ho raha drama wo dekh chuki thi, wo ye bhi janti thi ki ye sab vidhi kis liye ki ja rahi thi, uski bahu bhi abhi tak koi khuskhabari suna nahi payi thi, aur isi wajah se wo log bhi is anusthan me samil hone aaye the, ab tak wo kayi upay ajma chuke the, mantra tantra aur doctor, sabkuchh to wo try kar chuke the, is baat ko lekar kayi bar wo apani bahu ko suna bhi chuki thi. Wo(Daminidevi) uska pati(Raghvendrasinh) aur uska beta (Vashisth) bhi bhojan jaha tha us aur chal diye. Sari vyavstha suyojit tarike se ki gayi thi, waha table kurshi bhi lage hue the, par wo waha bethe nahi, bas ek jagah par khade rahe, waise bhi wo ladkewale the to ijaat lena to jaise unka haq tha.

Daminidevi : Mene kitani baar kaha tha par meri baat koi sunta hi kaha hai, aaj dekh liya na, uski bahen bhi maa ban rahi hai, me na kehti thi ki isme hi khot hai, par tum logo ko meri baat sunayi kaha deti hai.

Raghvendrasinh : Ab yaha bhi maat suru ho jana, dekh nahi rahi, wo log bhi chintit hai tabhi to itna sab kar rahe hai.

Daminidevi : Aap to boliye hi maat, aapko to bas muje chup karana hota hai, aap khud dekh lo, ye sab kyu ho raha hai? Kyu ki dikkat in logo me me hi hai, inki wajah se hi hamara vans aage nahi badh pa raha hai, baat sirf Krupali ki nahi hai, uska sara khandan vaisa hi hai, aapko to bas paise hi dikhe the, shadi karne se pehle kitna kuchh dekhna padta hai, vaise bhi uski bahen bhag gayi thi, aise ghar ki ladki ko lana hi nahi chahiye tha. (Vashisth chup hi raha, kyu ki wo janta tha ki uaki maa se bahes karke koi fayeda nahi, aur ab to usko bhi baat sahi hi lag rahi thi)(Wahi dusari aur)

Kamnadevi : Beti (Krupali ko)Tumhare gharwale khane ki aur gaye hai, jara unka dhyan rakh.

Krupali : (Uski sakal rone jaisi ho gayi thi)Muje nahi jana.

Kamnadevi : Aisa kyu keh rahi hai, ja dekh unhe, kahi kuchh chahiye hoga to.

Krupali : Tum kuchh nahi janti maa, waise bhi meri saas hamesa mujko sunati rehti hai aur ab to aur sunayegi, Swarnadidi maa ban rahi hai, aur me...(Bolte bolte unski ankho me aasu bhar aaye)

Kamnadevi : Are babaji ne kaha na ki ab sab thik ho jayega, tu kyu chinta karti hai, chal me bhi tere sath chalti hu, wo ladkewale hai, khayal rakhna hamara kartavya hai. (Krupali ne aasu pochhe aur dono us aur chal padi, wo log abhi bhi waha khade the)Are aap log khade kyu hai, bethiye na. (Usne muskura kar kaha, Krupali ki saas ne bhi nakali muskurahat se jawab diya)

Daminidevi : Hum bas beth hi rahe the.

Kamnadevi : (Ek waiter ko bulaya)Yaha sab achchhe se serve karna, ye hamare khas mehman hai. (Wo ha keh ke chala gaya)Aap log bethiye (Wo sab ek ek kurshi par bethne lage, apni beti ko)Tum bhi beth jao beti, aur dhyan rakhna ki inhe kisi kism ki taklif na ho)

Krupali : Ji mummy. (Wo bhi beth gayi, waiter aake khana parosne lage)

Kamnadevi : Aap log itminan se khana khayiye, me dusare mehmano ko dekhti hu. (Fir Daminidevi ne juthi muskan se hami bhari, wo chali gayi).

Daminidevi : Ab to pata chal gaya na tumhe ki dikkat tumhari aur se hi hai. (Krupali kya bolti, bas najare jhukaye bethi rahi)

Vashisth : Maa, abhi ye sab bate karna jaruri hai kya, jo bate karni hai wo ghar ja kar karenge na.

Daminidevi : Ghar ja kar kyu, agar dikkat inlogo me hai to hum kyu dare, bade log honge to apane ghar me, hum kya kum hai kya? Dekho bahu, me saaf saaf keh deti hu, agar 6 mahino me koi khus khabari na mili to fir tum apana dekh lena. (Krupali ki ankhe num hone lagi, ek do bunde tapak bhi padi).

Vashisth : Maaaa...

Daminidevi : Tu to chup hi reh, me jo keh rahi hu tere bhale ke liye hi keh rahi hu, ye aasu dekh ke me pighalne wali nahi hu.

Raghvendrasinh :Achchha thik hai, ab shant bhi raho. (Wo fir kuchh bhi nahi boli, Krupali bhi najare jukaye bethi rahi, na khana khaya na kisi ne usko khane ke liye kaha bhi)

Wahi kuchh duri par ek table par Vaiswi aur uske gharwale bhi khane ke liye bethe hue the, Swarna unka dhyan rakh rahi thi, par Vaiswi ki najar baar baar Shiv ki aur hi ja rahi thi, wo aur Juhi ek jagah khade hue the, bhale hi Shiv ne mask pehna hua tha par wo usko pehchan gayi thi, par apane gharwalo ki wajah se wo waha nahi ja pa rahi thi, wo Shiv se milna chahti thi.

Beena ke gharwale bhi waha aaye hue the, wo bhi khane bethe hue the aur Beena wahi thi. Uski maa( Harshadevi) ke chehre par khusi saaf chhalak rahi thi.

Harshadevi : Tune bataya bhi nahi, humse kya chhupana tha?

Beena : (Sharmate hue) Aisi baat nahi hai maa, muje bhi abhi abhi pata chala hai (Juth).

Harshadevi : Pagal hai kya tu, aisi baate pata nahi chalti kya?

Beena : (Apane papa ki wajah se wo sharma rahi thi)Aisi baat nahi hai maa, wo kabhi kabhi din jyada ho jate the to mene socha tha ki waisa hi hoga, itne saalo me to kabhi aisa hua nahi tha.

Harshadevi : Doctor ke pass gayi thi ki nahi?

Beena : Ha ma, mene checkup karwaliya hai, sab thik hai.

Harshadevi : Chalo, uparwale ka sukar hai, me to hamesa chintit rehti thi, aaj kal waise bhi aise case badhte ja rahe hai, bhale mene kuchh kaha nahi par ander hi ander daar laga rehta tha.

Beena : (Usko bahot sharm aa rahi thi)Aap kao, me dusare mehmano ko dekhti hu. (Wo sharmati aur muskurati waha se nikal gayi, wo ja rahi thi ki usko uski saas mil gayi)

Nirmaladevi : Kaha bhagi ja rahi hai, thoda aaram se chal. (Beena ruk gayi, Nirmaladevi ne muskurate hue kaha)Tu ghar chal, tuje to me dekhti hu. (Beena bhi muskura rahi thi)Itni badi baat thi aur tune muje bhi batana thik nahi samja. (Juthi narajgi se wo boli)

Beena : Aisi baat nahi hai maaji, muje bhi thode din pehle hi pata chala hai, me batanewali hi thi. (Usne shir jhuka ke jawab diya)

Nirmaladevi : Chal koi nahi, abhi sab mehmano ka khayal rakh, hum aaram se baat karenge, waise bhi tune jo khuskhabari di hai uske samne to teri har galti maaf hai. (Usne gaal sehlate hue apani bahu ko kaha, aur uske shir par hath rakhte hue)Sada sukhi raho, aur dudho nahavo puto falo. (Unke chehre par khusi mano chhalak rahi thi, do ankhe unko hi dekh rahi thi, wo ankhe thi Padma ki, ki tabhi uske kandhe par ek hath aaya)

Kamnadevi : Kya dekh rahi hai? (Padma ne palat kar dekha to uski saas thi, usne turant najare jhuka li,)

Padma : kuchh nahi maaji.

Kamnadevi : Tu kyu dil chhota karti hai, tere nashib me bhi ye khusi jarur aayegi. (Apani saas se ye baat sun kar usne jo aasu rok rakkhe the wo chhlak aaye) Are pagali roti kyu hai, sab thik ho jayega, ja abhi sabka khayal rakh, hamari ek hi to bahu hai.

Padma : Ji maaji (Kehte hue usne apane aasu pochhe aur ek aur badh gayi)

Chandrabhan apani patni ko liye Sukhdevji ke paas aaya.

Chandrabhan : Aap khade kyu hai, khana kha lijiye.

Sukhdev : Nahi, hume ijajat dijiye, hum nikalte hai.

Nirmaladevi : Aise kaise jane de bhai sahab, waise bhi aap is aur ka rasta to jaise bhul hi gaye hai, aaj humne isse bhi kitne saalo baad dekha hai. Tum to hame janti bhi naho hogi kyu beti?

Prakruti : Hum jante hai aapko, papa ne sabki tasvir hame dikhayi hai.

Nirmaladevi : Kitna mitha bolti hai ye, kahi meri hi najar na lag jaye, aur khubsurat to aisi hai jaise apsara dharti par aa gayi ho. (Ye sab sun kar jaha sabke chehre khil jane chahiye the wahi, sab ke chehre par udasi thi) Nirmaladevi, ek baat kahu bhaisahab, bura maat maaniyega.

Sukhdev : Kahiye na, me kyu bura manuga.

Nirmaladevi : Pichhali baato ko bura sapna samaj kar bhula dijiye aur aage ki sochiye, aisi pyari bachchhi ka ye haal mujse bardast nahi ho payega, aaj ke jamane me kon in baato ko itni jyada tavajju deta hai, wo sab koi maine nahi rakhta hai, aap iss ful si beti ka sochiye aur wo sab bhul jaiye.

Sukhdev : Me bhi yahi chahta hu bhabhi, par bhagya ko koi badal saka hai, aur kundali jo kehti hai wo ho kar rehta hai, ek baar me ye galti kar chuka hu, ab dobara karne ki himmat nahi hai.

Nirmaladevi : Aap hi samjayi ye bhabhi (Aiswaryadevi), aisi baato kya kya matlab hai is jamane me.

Aiswaryadevi : (Dukhi maan se)Ek baat puchhu aapko, agar aap ye sab nahi manti to fir aaj ka ye din hi na hota, aaj apne jo bhi anusthan rakwaya, ye pooja rakhwayi, wo kyu rakhwayi fir?

Nirmaladevi : Ab kya kahu isme, dubte ko tinke ka sahara samaj lijiye. Wo jo manhusiyat kahe ya kisi ka paap kahe, jiska prabhav tha is ghar par, par aap hi dekhiye, aaj hamare ghar me bhi khusiya lauti hai, to is se aap yahi samaj sakte hai ki jiski wajah se ye sab tha usne hume maaf kiya hai, tabhi to aaj hum ye din dekh rahe hai.

Sukhdevi : Shayad aap sahi keh rahi hai ki usne sayad aapko maaf kar diya hai par me nahi kar paunga, aaj bhi me isiliye aaya tha ki dekh saku ki itna sab karne ke baad bhi wo insan kaisa hai, kya aapko lagta hai ki usko apane kiye par koi pachhtava hai, usne hum sab ko wo ghav diya hai jo kabhi nahi bhar sakta, waise bhi ab in sabka koi matlab nahi reh jata, aap hume ijajat dijiye, hume jana hoga.

Chandarabhan : Khana kha kar to jaiye.

Sukhdev : Is ghar ka khana to kya, pani bhi mere liye haram hai. Muje aapse koi sikayat nahi hai, par kahi na kahi aap sab bhi uska hissa ho, (Hath jod kar)hume ijajat dijiye.

Nirmaladevi : Bas ek minute rukiye bhai sahab. (Wo waha se turant gayi aur Swarna, Beena aur Mamta ko lekar aayi, aur sath me ek thali me mithayi bhi le kar aayi) Dekhiye bhai sahab, aaj is ghar me khusiya aayi hai, aur me dil se prathna karti hu aur ashirwad deti hu ki is bachchi ka bhagya bhi usko wo sabhi khusi de jiski ye haqdar hai, aap bhale hi kuchh na khaye, aur me aapko keh bhi nahi sakti, par is bachchi par to mera adhikar hai, aap chaho ya naho chaho par aap is baat ko juthla bhi nahi sakte, me ise aise bina kuchh khaye nahi jane de sakti, meri itni to baat aap maan hi sakte hai na? (Beena, Swarna aur Mamta, tino ek dusare ko dekh rahi thi, waise bhi wo inhe janti nahi thi aur na hi kuchh pata tha unhe, par waha mamla bahot jyada gambhir dikh raha tha, to wo tino chup hi rahi)Ye do meri betiya hai, Mamta aur Swarna aur ye meri bahu Beena hai, jaisa ki aapne aaj suna ye ummid se hai to ye baat sabit ho gayi ki inko to maafi mil gayi hai, mere hath se na sahi par inke hath se to bitiya ka muh karwa hi sakti hu. (Sukhdev aur Aiswaryadevi ne ek dusare ko dekha, waha khadi Prakruti ko to kuchh bhi samaj me nahi aa raha tha, waha Beena, Mamta aur Swarna bhi is khubsurat ladki ko dekh rahe the, wo bhi use nahi pehchante the)

Sukhdev : Thik hai bhabhi, jaisa aapko thik lage, me janta hu ki aap ke dil me koi mail nahi hai aur aap iska achchha hi chahti ho.

Nirmaladevi : Swarna, beti iska muh mitha karwao. (Unhone Prakruti ki aur issara kiya)

Swarna : Ji, chachi. (Wo aage badhi aur ek tukada le kar Prakruti ko khilane lagi, dono ek dusare ko jante nahi the, to ek dusare ko dekh rahe the)

Nirmaladevi : Aap jante hi hai, ye Udesinhbhai sahab ki ladki hai, aap unse hi khafa hai par fir bhi mene isike hatho se muh mitha karwaya hai.

Sukhdev : Mene kaha na bhabhi, muje koi etraj nahi hai, jaisa apko thik lage. (Swarna ke shir par hath rakh kar)Sukhi raho beti. Tumhare baap ke karmo ki saja me tumhe nahi de sakta. (apane ek body gaurd ko issara kia to wo baag le kar aage aaya, bag khol kar usme se ek 500 le noto ki gaddi nikal kar Swarna ke hath me di, itne sare paise dekh kar Swarna ne chaunk kar apani chachi ko dekha). Unhe kya dekh rahi ho, agar ye unka haq hai to ye mera haq hai, kyu bhabhi. (Nirmaladevi bas muskurayi, Mamta bhi aage aayi aur Prakruti to mithayi khilayi, Sukhdev ne unhe bhi waisi hi gaddi di. Fir bari aayi Beena ki, usne bhi Prakruti ko mithayi khilayi, aur jab Sukhdev use bhi ashirwad de rahe the)

Beena : Me aapko kya kahu pata nahi, isliye uncle hi keh rahi hu, agar koi bhul ho to maaf karna.

Sukhdev : Tum is ghar ki bahu ho to meri beti hi hui. (Unhone muskura kar kaha)

Beena : Me aapko janti hu, (apani baat ko sahi karte hue)Matlab ki mene suna hai. (Wo hichkicha rahi thi, kya baat kare kaise baat kare samaj nahi aa raha tha)

Sukhdev : (Wo uski hichkichahat ko mehsus kar pa raha tha)Kya baat hai beti, jo kehna hai kaho.

Beena : Nahi, aisi koi baat nahi hai. (Wo kya kahe kuchh samaj nahi aa raha tha)

Sukhdev : (Muskurate hue)Thik hai, (Fir apani jeb se purse nikal kar usme se ek visiting card aur paise ki gaddi dete hue)Ye mera card hai.

Beena : Ji uncle, thank you.

Sukhdev : (Nirmaladevi ki aur dekh kar)Ab to ijajat hai na? (Unhone muskurate hue hath jod kar kaha)

Nirmaladevi : (Muskurate hue, Prakruti ki aur dekh kar)Beti, ab sab sahi ho raha hai, tu fikar maat kar tera bhi bhagya badlega, muje yakin hai ki khusiya ab dastak de rahi hai.( aur Nirmaladevi ne to usko gale se laga liya aur dher sare aashirwad diye)

Sukhdevi : (Prakruti ki dekh kar)Beta, sabke ashirwad le lo. (Prakruti ne sabke pair chhue, Beena, Swarna aur Mamta hichkicha rahe the, par unhone ashirwad diya, wo log chale gaye, par Nirmaladevi naam ankho se dekhti rahi)

Mamta : Kon the maa ye?

Nirmaladevi : Bahot lambi kahani hai beti, baad me baat karenge, abhi sab mehmano ka khayal rakkho.

Mamta : Par ma itne paise?

Nirmaladevi : Tumhari di hui khuskhabari ke badale tumhe ashirwad ke taur par diye gaye hai, ab chalo, dusare mehmano ka bhi khayal rakhna hai, aur wo ladka kaha hai?

Beena : Shiv ki baat kar rahe ho aap?

Nirmaladevi : Ha wohi, uska muh tumne band karwadiya hai wo khayega kaise? Uska khayal rakkho.

Chandrabhan : Kiski baat kar rahe ho tum log?

Nirmaladevi : Kisi ki nahi, aap chaliye. (Wo unhe khinch kar le jane lagi)

Chandrabhan : Kisi ladke ki baat kar rahi thi aur ab mujse keh rahi ho kisi ki nahi.

Nirmaladevi : Abhi chaliye, baad me batati hu.

Vaswi bahana bana kar hi apane gharwalo se chhup kar Shiv ke paas pahuch gayi.

Vaiswi : Hi (Shiv ko dekh kar muskurate hue, fir Juhi ko dekh kar)Hi didi.

Shiv : Tum yaha?

Vaiswi : Ye meri bhabhi ka ghar hai to me to houngi hi, sawal to muje puchhna chahiye ki tum yaha?

Juhi : Ye hamare sath aaya hai.

Vaiswi : Tumne mask kyu pehan rakkha hai?

Shiv : Taki tumhari najar na pade na. (Majak me)

Vaiswi : Very, funny. Tumne mask pehna ho ya muh dhak kar rakkha ho, me kya nahi pehchanungi? (Muskura ke wo boli)(Juhi ne halki narajgi se muje dekha to me thoda ghabra gaya aur Vaiswi ko dekhne laga, usne apani baat sahi ki)Mera matlab hai itna lamba to mene aaj tak koi dekha hi nahi, kamse kam apani pehchan me to nahi hi dekha fir kaise na pehchanti. Aap log yaha kyu khade ho, khana nahi khana kya?

Juhi : Nahi, abhi baad me khate hai.

Vaiswi : Yaha aanewale ho bataya bhi nahi muje. (Usne mithe gusse se danta)

Shiv : Muje bhi nahi pata tha (Mene bhi darte hue kaha, ye dar uske dantne ka tha ya Juhi ke pas hone ka muje samaj nahi aa raha tha)

Vaiswi : Wapas kab aanewale ho?

Shiv : Shayad kal. (Mene Juhi ki aur dekh kar kaha, jaise puchh raha hou).

Vaiswi : Achchha thik hai, me chalti hu. (Kehte hue wo muskura kar chali gayi, aur jate jate palat kar bhi muje dekha aur muskurayi, mene darte darte Juhi ko dekha to wo muje ghur hi rahi thi, tabhi Beenamadam waha aa gayi, mene rahat ki saas li)

Beena : (Muskurate hue)Bhukh to nahi lagi na?

Shiv : Lagi hai, par khau kaise? (Mene mask ki aur issara kar ke kaha)

Beena : (Aas pass dekh kar)Waise khana hai to kha lo, ab jyada dikkat nahi hai, jyadatar log kha kar ja chuke hai.

Shiv : Me to majak kar raha tha, aap sab kab khanewale ho?

Beena : (Muskura kar )Bas thodi der me.

Shiv : Thik hai, to fir sab sath me hi khayenge. (Beena muskurate hue chali gayi, Juhi ki aur dekh kar)Tumhara muh to khula hi hai na, tum kuchh kha lo. (Juhi aur mere bich kab se yahi bate chal rahi thi ki akhir mujko mask kyu pehnaya gaya hai, par na koi jawab mere pass tha aur na Juhi ko kuchh samaj aa raha tha, par jis tarha se mujko mask pehne rakhne ke liye bola tha muje pehanke rakhna hi pada, waise mujko thodi thodi baat pata thi aur kab se me yahi sab dekh raha tha, par waise bhi me kisi ko janta nahi tha to muje kuchh samaj nahi aa raha tha, me kisi bhi tarha se is family me fit nahi beth raha tha, me bato aur milwaye gaye logo ko mila kar sab samajne ki koshis kar raha tha par kuchh samaj me nahi aa raha tha, aur waise bhi me yaha jyada logo se mila bhi nahi tha. Par itni baat to wo samaj raha tha ki baat gambhir thi, warna aise hi Beena madam mujko muh dhakne ko nahi kehti, par abhi waqt nahi tha puchhne ka to mene abhi chup rehna hi sahi samja. Par muje lag raha tha ki Beena madam ko koi galat fehmi hi hui hai)

Krupali ke pariwar ke log bhi ja chuke the, aur Padma ke gharwale bhi ja chuke the, aur waise bhi un dono ka maan nahi lag raha tha. Jab Padmane ek kone me bethi Krupali ko dekha to wo uske pass chali gayi.

Padma : (Muskurahat lane ka prayas karte hue)Aap yaha akeli kyu bethi hai, kuchh khaya aapne?

Krupali : (Muskurahat lane ka prayas karte hue)Nahi bhabhi, kuchh maan nahi kar raha.

Padma : (Uske pass bethte hue)Me samaj sakti hu. (Uske chehre par udasi thi)

Krupali : Aisa kyu hua bhabhi?

Padma : (Wo uski baat ko samaj rahi thi)Ab isme me kya keh sakti hu, jaisa tumhara hal hai waisa hi mera bhi hai.

Krupali : Humse kaha galti reh gayi bhabhi, me to ek achchhi beti bani achchhi bahu bhi bani aur ek achchhi patni bhi bani, fir mera nashib aisa kyu?

Padma : (Uske hath par hath rakhte hue)Sab kismat ka khel hai, par ek baat kahu agar bura na mano to.

Krupali : Kahiye na bhabhi, ab bura man ne ko reh hi kya gaya hai.

Padma : (Thoda najdik aate hue)Muje lag raha hai ki koi na koi baat jarur hai jo sabse chhupayi ja rahi hai.

Krupali : (Gaur se dekhte hue)Aisa kya hai, aur apko aisa kyu lag raha hai?

Padma : Aap to thi nahi yaha, par ek bar babaji ghar par aaye the, unhone ek alag room me Mamtadidi aur Beenadidi se baat ki thi.

Krupali : (Gaur se dekhte hue)Kya baat ki thi?

Padma : Wo to pata nahi, par unka is tarha alag ja kar baat karna muje ajeeb laga.

Krupali : Kya ajeeb laga?

Padma : Ye anusthan kis liye rakkha gaya? kyu ki hamare ghar me bachche nahi ho rahe the, hai na? (Krupali ne ha kaha) to us waqt to unki bhi aisi koi baat nahi thi aur na me maa ban rahi thi, to agar us bare me hi baat karni thi to bato me muje bhi samil karna chahiye tha, par babaji ne sirf undono se hi baat ki.

Krupali : Aisa kyu?

Padma : Muje kya pata? Par baat kuchh to hai.

Krupali : Aisi kya baat ho sakti hai?

Padma : Tum dekh rahi ho na ki aaj bhi Beenadidi, Mamtadidi aur Swarnadidi ko hi bheja gaya, na tumhe kaha na muje, kyu? (Krupali shanka se dekh rahi thi)Aur ek baat, ye tino ab aapas me kitna ghulmil gayi hai, aur jab bhi mauka milta hai kuchh na kuchh ghusar pusar karti rehti hai, jaise hi koi najdik aata hai baate band ho jati hai.

Krupali : Ha, sahi kaha aapne, mene bhi mehsus kiya hai.

Padma : Hai na, koi to baat jarur hai jo sabse chhupayi ja rahi hai.

Krupali : Aisi kya baat ho sakti hai?

Padma : Mene jan ne ki koshis ki thi par koi fayeda nahi hua, aap aur Swarnadidi to sagi behne hai, aap unse puchhogi to wo jarur batayegi. (Usne gaur se krupali ko dekha, wo soch me pad gayi thi)

Krupali : Thik hai bhabhi.

Padma : Par fir aap bhi unke dal me samil maat ho jana, jo kuchh bhi ho muje jarur batana (Usne jaise request ki)

Krupali : Aisa kyu keh rahi ho aap?

Padma : Muje aisa lag raha hai jaise sabne mujse kinara kar liya hai, ab meri kya galti hai isme ki meri shadi unse hui hai, hame koi puchhta hai kya, muje to yaha aake sab pata chala, ab me isme kya karshakti hu ki wo aur apke papa...(Bolte bolte wo ruk gayi)

Krupali : (wo sab samaj rahi thi, wo apane papa aur apane bhai ko janti thi)Aap fikar maat karo bhabhi, chache kuchh bhi ho, me aapke sath hi hu, aur me jarur pata karne ki koshis karungi ki akhir baat kya hai, waise bhi ye meri bhi jindagi se juda hua hai. (Tabhi waha Mansibua bhi aa gayi)

Mansibua : Yaha beth kar dono kya bate kar rahi ho? (Usne bhi juthi muskan ke sath kaha)

Krupali : Kuchh nahi bua, aiyena. (Usne bhi muskurane ka prayas karte hue kaha)

Manishabua : Kya bate ho rahi thi nanand aur bbhabhi me?

Padma : Kuchh nahi buaji, hum to aise hi bate kar rahe the.

Mansibua : Me sab samaj rahi hu, me koi bachchi nahi hu, na batana ho to maat batao. (Usne apane chehre par narajgi lane ka prayas karte hue kaha)

Padma : Aisi koi bhi baat nahi hai buaji, hum sach me aaise hi baat kar rahe the. (Usne safayi dene ka prayas kia)

Mansibua : Koi baat nahi, ek baat kahu, muje to ye sab ek dhong lag raha hai.

Krupali : Kis bareme baat kar rahi ho aap?

Mansibua : Are yahi sab, ek aur to ye kaha gaya ki ye sab bachho ke liye kia ja raha hai aur pata chal raha hai ki bachhe to pehle se hi aa chuke hai, sab dhong hi to hai. (Dono kuchh nahi boli)Mene kuchh juth kaha kya? Mana wo tumhari bahene hai aur bhabhi bhi par unhone ye baat sabse chhupa ke rakkhi thi, mana ki bhabhi ko Swarna ke bareme pata tha, par waha Nirmalabhbhi ko to apani beti aur bahu kisi ke bare me nahi pata tha, aisa kaise chal raha hai sab. (Dono chup hi rahi, kya bolti dono)Tum dono kya chup bethi ho, kuchh samaj bhi aa raha hai ki nahi.

Padma : Isme hum kya kahe buaji.

Mansibua : Gadhi ho gadhi dono, yaha koi na koi khichadi to pak hi rahi hai, bethi raho dono. (Kehte hue wo khadi hui aur waha se chali gayi, Krupali aur Padma dono ek duare ka muh takti rahi, tabhi Kamnadevi aayi)

Kamnadevi : Tum dono yaha kya bethi ho, khana nahi hai kya? Sab khane beth rahe hai. (Dono khadi ho gayi)Chalo ab mera muh kya tak rahi ho. (Wo unke pichhe pichhe chalne lagi, ek taraf Chandrabhan, Jignesh aur kuchh aur mard bethe hue the, aur dusari aur Nirmaladevi aur kuchh aurte bethi hui thi)

Padma : Swarnadidi aur sab kaha hai?

Kamnadevi : Wo sab ander bethe hai.

Padma : Kyu?

Kamnadevi : Ab muje kya pata.

Padma : Khane hi bethe hai na wo?

Kamnadevi : Ha.

Padma : Hum bhi wahi bethenge.

Kamnadevi : Thik hai, par kha lena (Pyar se apani bahu aur beti ko kehte hue)Aur dil chhota maat karo, tumhara bhi din aayega. (Dono ne muskurane ki koshis ki)Jao.

Padma : Chaliye didi. (Usne Krupali ka hath pakada aur ander ki aur chalne lagi)Dekha didi, yaha sabke sath bethne ki bajaye wo aalag ander bethi hai, kuchh to baat jarur hai.
 
only_me

I ÂM LÕSÉR ẞŪT.....
746
937
93

Nice update Bhai 💯
 
  • Like
Reactions: Abhishek Kumar98
Top