• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Kundali Bhagya

mass8787

Well-Known Member
2,156
3,994
159
Kahani bohut khubsurat morr pay aagay hay dekhna yea hay kay Beena kya Shiv ko us ka sahi huq dela sukay gee Shiv apna rajpat sumbhal sukay gaa apnay mata peta koo hoss may laa sukay tuu gaa bohut sunder lajawab update
 
  • Like
Reactions: Abhishek Kumar98

Awan Badshah

Well-Known Member
2,165
5,561
158
Update 214

Kamara ander se alisan tha, aisa lag hi nahi raha tha ki hum kisi hospital me hai, mene ek baat noticeki ki diwalo par bhi gadde lage hue the, waha ek nurse bethi hui thi jo hume dekh kar khadi ho gayi. Mene dekha ki waha ek lady niche fars par bethi hui hai, unka shir waha pade sofe par hai, mene Sukhdevji ki aur dekha to unhone ha me issara kiya, jiska matlab tha ki yahi Chandrikachachi hai, me unke najdik jane lagi, me unke side me ja kar khadi ho gayi, mene dekha ki wo hospital ka gown pehne hue thi, baal bandhe the par kahi jagaho se bahar nikal kar bikhare hue the, unki ankhe khuli hui thi, par aisa lag raha tha jaise unme bhi koi jaan nahi hai. Aise waqt me agar aapko pata chale ki ye mental petiant hai to aapko dar lagta hai, par pata nahi kyu muje koi dar nahi lag raha tha, me unke baju me beth gayi.

Beena : Chachiji. (Mene unko pukara, par unhone koi reaction nahi diya, mene fir Sukhdevji ko dekha, wo waise hi waha khade the, mene fir pukara)Chachiji. (Unhone fir koi reaction nahi diya)

Sukhdevji : Wo koi pratikriya nahi dengi, barso se aisi hi halat me hai.

Beena : Ye diwalo par gadde kyu lage hai?

Sukhdevji : Kabhi kabhar inhe daura padta hai aur wo aise hi bhagne lagti hai, apane bete ko pukarti hui wo kisi bhi disha me daud padti hai, takrane se kayi baar inhe chaut lag gayi thi is liye humne aisa kiya hai taki ise chaut na lage.

Beena : Chachijiiiii. (Mene unke hath par hath rakhte hue kaha, unke hath me bhi jaise koi jaan nahi thi, unhe is halat me dekh kar meri ankhe fir se bhar aayi, muje mehsus ho raha tha ki wo apane bete se kitna pyar karti hongi jo uski judayi me unki ye halat ho gayi, mene unka hath uthaya aur unke hath ko chumne lagi)Chachijiumm umm umm sab thik ho jayega chachiji. Itne barso ki aapki tapsya vyarth nahi jayegi, uparwala itna berahem nahi ho sakta, sab thik ho jayega. (Me dekh rahi thi ki itna me unse baat kar rahi thi par unke chehre par koi bhi bhav nahi the, bas wo sunya me dekhe ja rahi thi, mene Sukhdevji se puchha)Inhe yaha kyu rakkha hai, kya inhe ghar par nahi rakh sakte?

Sukhdevji : Pehle mene unhe ghar par hi rakkha tha, par kabhi kabhi wo itni wild tarike se behave karti hai ki inhe sambhalna muskil ho jata hai, aisa kabhi kabhi hi hota hai, par us samay doctor ki avasyakta hoti hai, is liye hume majburan inhe yaha rakhna pad raha hai. Hum aksar yaha aate rehte hai, aur Prakruti to jab bhi chhutti hoti hai, yahi waqt bitati hai.

Beena : Prakruti???

Sukhdevji : Meri beti, inki aisi halat dekh kar hi wo doctory padh rahi hai, keh rahi hai ki ek din inhe thik kar degi. Abhi wo hostel me hai, is hafte uki exam hai is liye hi nahi aayi, warna jab bhi chutti hoti hai wo aa hi jati hai.

Hum dono waha se bhi nikal gaye, mere maan me bahot sare sawal aur uljhane ghum rahi thi, mera maan kar raha tha ki me yaha se jau hi na, chachaji aur chachiji ko meri sakht jarurat hai, me buri tarha se fas chuki thi, kya karu samaj me nahi aa raha tha. Chachiji ko dekhne ke baad to muje puri tarha se yakin ho raha tha ki Shiv hi Shivans hai, Shiv ki sakal kafi unse milti thi, muje unki sakal me Shiv ke nain naksh saaf saaf dikhayi de rahe the. Dekh kar hi lag raha tha ki wo hi shiv ki maa hai, muje jald se jald ye gutthi suljani hogi, par dusari aur Shiv ka bhi sochna tha, kya karu samaj me nahi aa raha tha. Hum ghar pahuch gaye, Sukhdevji ko kuchh kaam tha to wo sham ko milne ka bol ke nikal gaye.

Us din dopahar me Karan mere room meaaya aur muje chalne ke liye bolne laga.

Shiv : Muje nahi aana hai, agar tumlogo ko jana hai to jao.

Karan : Are yar chal na, agar wo log fir aa gaye aur unhone fir ladkio ke sath badtamizi ki to.

Shiv : Tu aur me, har pal to unke sath nahi reh sakte na, us samay hum the to humne madad kar di, na me hamesha yaha rehnewale hu na tu.

Karan : Fir bhi chal na, aaj to wo humse dosti karne se mana nahi kar payegi, kitna achchha mauka hai, chal na bhai.

Shiv : Dekh Karan, muje unse dosti karne me koi intrest nahi hai, aur na hi me kisi lafade me padna chahta hu, to tu hi ja.

Karan : Tu chal raha hai (Usne Durvesh se puchha)

Durvesh : Nahi, me aaram karunga.

Karan : Dekh li tumhari dosti. (Kehte hue wo bahar chala gaya, usne dusare ladko ko taiyar kiya aur wo fir waha pahuch gaya, aaj wo ladkia nahi aayi thi, Karan ka mood off ho gaya, par aaya tha to fir wo apane dosto ke sath beth gaya,uski kismat kuchh jyada hi achchhi thi, aaj fir se wo log waha aaye, wo log car se utar rahe the ki unke piche ek aur car bhi waha aayi, usme se do aadmi nikale aur thodi duri par khade ho gaye. Karan utha aur baat karne ke liye ladkio ke pass pahuch gaya.)Hi. (Usne muskurate hue kaha, par abhi wo samajta us se pehle hi wo do aadmi waha aaye aur usko pakad liya, wo dar gaya aur chhutne ki koshis karne laga).

Prakruti : Ye wo nahi hai, chhod do use. (Unhone Karan ko chhod diya) dekhiye mister, aap humse dur rahe usme hi aapki bhalai hai.

Karan : Me to bas baat karne aaya tha.

Prakruti : Hame aapse koi baat nahi karni, aap ja sakte hai. (Karan mayus ho kar wapas apane dosto ke pass gaya aur wo sab waha se nikal gaye)

Jenny : Inhe bulane ki kya jarurat thi, aise to koi bhi ladka humse baat karne nahi aayega.

Prakruti : Mene kal papa ko bataya ki kya hua hai, wo to pehle se hi mujse bol rahe the ki aise akele rehna thik nahi hai, par mene hi mana kar diya tha, hostel me to waise bhi koi problem nahi hoti, isiliye me kehti hu ki bahar nahi nikalna chahiye, par tum manti hi nahi ho. Waise bhi agar tumhe ladko se dosti karni hai to tum akele bhi aa shakti ho, mene thodi na mana kiya hai, muje in sab me koi intrest nahi hai, muje bas ek achchhi doctor ban na hai, aur kuchh nahi.

Jenny : Jindagibhar kuwari rahegi kya?

Prakruti : Ha.

Jenny : Pagal hai kya?

Prakruti : Yahi mera bhagya hai.

Jenny : Kehna kya chahti hai tu, kuchh samaj me aaye aisi baat kar.

Prakruti : Tu chhod ye sab, ja juice ka order de.(Usne order de diya, par wapas aa kar fir puchha)

Jenny : tu amir hai ye to pata hai, infact hum sab amir hai, par aise security leni pade itne amir nahi hai hum.

Prakruti : Tu chhod na ye sab.

Jenny : Achchha chhod ye sab, kal wo ladka aaya tha wo kyu nahi dikha aaj.

Prakruti : Muje kya pata, aur muje kya lena dena.

Jenny : Aisa kyu keh rahi hai, kal usne tumhe bachaya tha.

Prakruti : Manti hu, par mene to nahi kaha tha use, wo khud bich me pada to me kya karu, waise bhi in ladko ko ladkio ki madad karne ka jyada shauk hota hai, chhodna use.

Me padhayi kar raha tha, Karan ne bataya ki waha kya hua, muje us bechare ki halat par taras aaya, par sun kar achchha bhi laga ki un ladkio ne apani security ka intejam kar liya hai, waise ye mere liye bhi naya tha ki aise kisi ki security ke liye jarurat pade, wo log jab us function me aaye the tab bhi security ke sath hi aaye the, khair muje kya lena, me fir se apani padhayi karne laga. Sham ko fir se jo training thi. Sir bata rahe the ki sarkar khiladio ko le kar kafi serious hai, aur wo chahti hai ki khiladi aage aaye, iske liye wo prayas bhi kar rahi hai aur kharcha bhi kar rahi hai, muje aise mauke ko hath se nahi jane dena chahiye aur jitna ho sake iska fayeda lena chahiye.

(Beena)Sham ko me aur Aiswwarya aunty baate kar rahe the, hamare bich ka topic Yogendrachacha aur Chandrikachachi hi the, wo unke bare me bata rahi thi, unki bato se itna jarur pata chal raha tha ki chacha aur chachi bahot achchhe insan the, jab mene unke sath hue hadse ke bare me puchha to unhe bhi jyada pata nahi tha. To mere pass ek hi rasta bachta tha wo the Sukhdevuncle. Raat ko wo khane ke waqt hi laute the, humne khana khaya aur fir waha bahar bagiche me hum sab beth gaye, waha bethne ke liye bhi sofe lage hue the.

Sukhdevji : Tumne khana thik se nahi khaya beti, kya ise apana ghar nahi samjti?

Beena : Aisi baat nahi hai uncle, bas khane ki ichchha nahi ho rahi thi, par fir bhi mene itna sara to khaya. (Usne muskurate hue kaha). Uncle please bataiye na, us din kya hua tha.

Sukhdevji : Us din kya hua tha aur kyu hua tha, ye jan ne ke liye tumhe unke atit ke bare me pata hona chahiye, tum itne salo se us ghar me ho, kya janti ho Yogendra aur Chandirika ke bare me?

Beena : Kuchh bhi nahi uncle, infact muje to abhi kuchh samay pehle hi pata chala ki mere sasurji ke alawa unke do bhai hai, me to bas yahi janti thi ki wo do hi bhai hai.

Sukhdevji : Udesinh ke dar se koi kuchh bhi nahi bolta, usne sabko dara ke rakkha hai, jiske business ko hadap kar betha hai, jiske paiso ko uda raha hai, usi ki sari nisani mita di hai usne.

Waise to Yogendra se meri mulakat London me hui thi, par uske sath rehne ke baad aur uske muh se sun ne ke baad muje uske bare me kafi kuchh pata chala, to me waise hi tmhe bata raha hu. Shivnarayan jo ki Yogendra ke pita the, unki char santan thi, Udesinh, Chandrabhan, Yogendra aur sabse chhoti Mansi. Shivnarayan bahot bade jagirdar the to paiso ki koi kami nahi thi. Par inhi paiso ne Udesinh ko swachand bana diya tha. Aye din gaav ki aurto aur ladkio ke sath uska naam sunayi deta tha, jagirdar ka ladka tha to koi kuchh kar nahi sakta tha, aur kahi na kahi Shivnarayanji ki bhi galti thi, unhone bhi apane bete ko roka nahi, din ba din uske kisse badhte hi gaye, to unhone uski shadi kar di, socha sayad shadi ke baad sudhar jayega, par koi fark nahi pada. Jis tarha se wo paise aur jayedad uda raha tha, dhire dhire jayedad me kami aane lagi thi. Yogendra ko in sab ke koi dilchaspi nahi thi, uske liye kitabe hi sab kuchh thi, wo padhayi me bhi tej tha. Bade hone ke baad aage ki padhayi ke liye wo London aa gaya, jaya college me meri mulakat us se hui thi, uske swabhav ke karan jald hi hamari dosti gehri ho gayi. Wo bahot mahetvakanshi tha, itna hoshiyar tha ki do sal baad hi usne padhte waqt hi ek office suru kar di, uske project ke karan uska kaam bhi badhta chala gaya, usne muje bhi apane sath mila diya, mere pitaji bhi bahot khus the us se, unhone bhi uske project me apana paisa lagaya. College ke akhari sal me uski mulakat Chandirika se hui aur meri Aishwarya se. Hum charo ka group ban gaya tha. Jab Mansi ki shadi thi to hum charo yaha aaye the, us waqt Yogendra ne Chandrika ki mulakat sab se karwayi. Yaha Shivnarayanji ne Yogendra ke liye ladki dekh rakhhi thi aur baat bhi chala rakkhi thi to unhe is baat se dhakka laga, par Yogendra apane pairo par khada tha, usne na jamin mangi thi na jayedad to wo kuchh bol nahi sakte the. Waise bhi yaha kafi karje ho gaye the, Udesinh ke karan kafi jamine vivado me fas chuki thi. Unhe Yogendra ke roop me apane kul ka uddharak najar aa raha tha. Unhone apani sammati de di par shart rakkhi ki wo yahi aa kar basega.

Yogendra ne bhi baat maan li. Do shal baad unki tabiyat bigadne par hum fir waha gaye the, mene aur Aishwarya ne shadi kar li thi. Hamari shadi ke pichhe bhi Yogendra ka bahot bada hath tha, usne hi Aishwarya ke gharwalo ko manaya tha. Humne London me hi shadi ki thi. Unhone marne se pehle Yognedra ki shadi dekhne ko kaha to Yogendra aur Chandrika ki shadi bhi ho gayi. Wapas aane ka vachan de kar fir hum London chale aaye, par ek shal me hi unke nidhan ki khabar aayi to Yogendra ko wapas aana pada. Unke nidhan ke baad unki vasiyat me sari jamino ka kartadharta Yogendra ko hi bana diya tha, agar dusare bhaio ko kuchh lena ho to bhi unhe Yogendra se hi ijajat leni padti. Chandrabhan ko koi dikkat nahi thi par Udesinh ko ye katayi manjur nahi tha. Yogendra ko in sab me koi dilchaspi nahi thi, uske khud ke pass itne paise the ki usko apane baap dada ki jayedad se koi sarokar nahi tha, par Shivnarayanji ne vasiyat me aisi sharte rakkhi thi ki Yogendra chah kar bhi jayedad unke naam nahi kar sakta tha. Jo jimmedari uske papa ne usko sounpi thi uske liyeye aur usne vada bhi kiya tha to usne yahi basne ka faisala karliya.

Usne najadiki saher se apana kaam suru kardiya aur dekhte hi dekhte uske naam ka danka yaha bhi bajne laga. Apane chhote bhai ke samne jhuk kar rehne ke karan Udesinh ander hi ander bahot jyada gussa tha, par wo kuchh kar nahi sakta tha, usko pata tha ki agar usne kuchh kiya to wo sadak par aa jayega, to usne aise batana suru kardiya jaise wo sudhar gaya hai. Udesinh ke waha ek beta aur do betia thi, Chandrabhanke waha bhi ek beta aur ek beti thi, mansi bhi do betioki maa ban chuki thi, par mere waha aur Yogendra ke waha abhi koi bhi santan nahi thi. Udesinh ko bhi lag raha tha ki Yogendra ke waha to koi santan hai nahi to uske baad sari jayedad uske bete ke naam hi honewali hai. Yogendra ke maan me bhi shayad yahi baat aa gayi thi. Usne apane badhte karobar me bhi apane bhaio ko samil kar liya aur unko bhi kuchh satta dene laga. Udesinh ka kaam bhi aasan honelaga tha, waise bhi Yogendra ka kaam badhta ja raha tha, humdono ne mil kar kayi rajyo me apani branch open karli thi. Videsho me bhi hamara karobar badh raha tha, to waha ki jimmedariya usne Udesinh aur Chandrabhan ko puri tarha se de di thi, akhari faisala Yogendra ka hi rehta, par kafi had tak usne wo sab unko sounp diya tha. Bahar se Udesinh itna sidha hone ka dikhawa kar raha tha ki humko bhi yakin ho gaya tha ki wo sudhar gaya hai. Sari jayedad jo chali gayi thi wo bhi sari wapas aa gayi thi aur upar se badhti ja rahi thi. Ghar me paise itne the ki kuchh nukasan ko Yogendra najar andaj kardeta tha, mene bhi kayi baar usko bataya tha par usne kaha ki wo uske bade bhai hi to hai. Aise hi kuchh saal bit gaye. Uparwale ki maherbani hui aur Chandrika garbhvati hui, mere waha bhi khsukhabari aanewali thi. Hum sab khus the, par Udesinh ne jab ye khabar suni to usko apane armano par pani firta najar aaya. Par wo kuchh nahi kar sakta tha, mere waha beti ka janm hua aur Yogendra ke waha bete ka janm hua. Ghar me khusiya jaise doguni ho gayi thi. Uska pehla janmdin usne badi dhum dham se manaya tha, usne jaise pure saher ko nauta diya tha, is se pehle kisi ne aisa bday celebration dekha nahi hoga.

Aishwaryadevi : Lagta hai aapki baate kam nahi hongi, me Beenabeti ke liye juce le aati hu.

Beena : Are nahi aunty, muje jarurat nahi hai.

Aiswaryadevi :Aise kaise jarurat nahi hai, tum maa ban ne wali ho, khate pite rehna chahiye. Me le aati hu. (Kehte hue wo uthi aur ander chali gayi)

Beena : Aage kya hua Uncle.

Sukhdevji : Aage jo hua uski to humne kalpana bhi nahi ki thi. Aiswarya bhi isiliye uth kar chali gayi, wo aisa din tha jisko hum kabhi yaad karna nahi chahte hai. Wo kya manhus din tha, aaj bhi sochta hu to lagta hai ki ye sara planning se kiya gaya tha, par kya kare, koi sabut nahi hai.

Beena : Aisa kya ho gaya tha?

Sukhdevji : Shivansh karib dhayi teen sal ka tha, xxxbh ka mela laga hua tha. Udesinh ne hi waha jane ka prastav rakkha tha, humne bhi is mele ke bare me bahot suna tha, to humne bhi jane ka faisala le liya. Mera pura pariwar, yogendra uski wife aur Shivans, Udesinh, Chandrabhan aur unki patni, itne log hum gaye the. Hum hamare sath security bhi le kar gaye the par jab darshan ke liye jana tha to hum bina sicurity ke hi gaye the. Waha jaise logo ka sailab aaya hua tha, itne log the ki puchho hi maat. Subah savere hi hum log ghat par snan karne pahuch gaye the, waha ka najara adbhut tha, sekado log waha snan kar rahe the, humne bhi waha snan kiya. Sab mazeme the. Itni subah bhi jaise log tham ne ka naam nahi le rahe the, suryoday abhi hua nahi tha, par waha light ka intejam badhiya tha, hum waha se wapas laut rahe the, waha temporary pul banaya hua tha, sab aram se chal rahe the, bhid itni thi ki sath chal pana bhi muskil ho raha tha. Udesinh ne Shivans ko utha rakha tha, Yogendra, Chandrika ko sambhal raha tha, mene bhi Prakruti ko uthaya hua tha aur Aiswarya bhi mere sath me hi thi, Aiswarya ko chalne me dikkat ho rahi thi to hum thoda pichhe reh gaye the, aage sirf Udesinh, Shivans aur unke thodi duri par Yogendra aur Chandrika chal rahe the. Pata nahi waha kya hua ki dhakka mukki ki wajah se aur bahot jyada boj aa jane ki wajah se pul ki ek rassi tut gayi, aur kuchh log pani me gir gaye, pani ka bahav tej tha to logo me bhagdad mach gayi, logo ka shor itna tha ki kuchh samaj me hi nahi aa raha tha, jaise taise me, meri beti ko uthaye hue tha aur Aiswarya ko sambhal raha tha, aage kya hua pata nahi chala, par muje Chandrika ki chikh sunayi di, wo itna tej chikhi thi ki itni awaj me bhi me usko sun sakta tha, mene Prakruti ko Aiswarya ko diya aur me us aur bhaga, Chandrika chilla rahi thi aur kuchh logo ne usko pakad rakkha tha, wo pani me dekhte hue chilla rahi thi, pani ke ander kafi log gir chuke the, muje Yogendra nahi dikh raha tha aur na hi Shivans dikh raha tha. Mene Udesinh ko puchha ki kya hua?

Udesinh : (Thoda gabhrate hue)Wo Shivans pani me gir gaya hai aur Yogendra usko bachane ke liye pani me kud gaya hai.

Sukhdevji : (Ye sun kar muje gehara sadma sa laga)Mene pani me dekha par kuchh dikhayi nahi de raha tha, pani ka bahav itna jyada tha ki dono beh kar kafi dur nikal gaye the, me Chandrika ke pass pahucha)Chandrikaaaa. (Chandrika ne muje dekha)

Chandrika : Bhaisahab wo.... (Usne pani ki aur issara kiya, uske aasu beh rahe the, wo gusse se Udesinh ki aur gayi)Ye sab isi ka kiya dhara hai, (kehte hue wo usko thappad marne lagi)

Udesinh : Mene kya kiya hai, bhid itni thi, aur dhakkamukki ho rahi thi, ek jor ka dhakka aisa laga ki wo chhut gaya mere hath se. (Usne apana bachav kiya)

Chandrika : (Usko apane bete aur pati ki chinta thi, na ki uski safayi ki)Shivanssssssssss, Shivansssssssss(wo jor jor se chilla rahi thi, fir usne gusse se Udesinh ko dekha) “Aaj tumne meri god ujadi hai, ye ek maa ka shrap hai tumhe, agar mere bete ko kuchh bhi hua to tumhara vans hi khatam ho jayega”.

Udesinh : Mene kuchh nahi kiya hai mera yakin mano, tumbhi dekh rahe ho ki kitni dhakkamukki ho rahi thi, hum pul ke kinare par the(Wo meri aur dekh kar kehne laga, muje to pata hi nahi tha ki kya hua hai to me kya kehta)

Sukhdevji: Wo jor jor se chillati rahi, akhir kar wo behosh ho gayi, waha khade suraksa karmi bhi apani boat le kar logo ko bachane me jut gaye the, Chandrika bhi behosh ho chuki thi, mene jaise taise ek suraksha karmi ko inform kiya, wo susro ko bula laya, jaise taise humne Chandrika ko waha camp me admit karwaya, me, Chandrabhan aur Udesinh, Yogendra aur Shivans ki khoj me lag gaye. Kafi mehnat massakaat ke baad hume ek camp me Yogendra mila, jis ke shir se khun nikal raha tha, doctor uske ilaj me lage hue the. Mene phone kar diye, helicoptor imergency service bhi aa gayi, Yogendra aur Chandrika ko najdiki saher ke bade aspatal me bhejdiya gaya. Mene waha Shivans ki bahot khoj ki par wo nahi mila. (Ye sab kehte hue Sukhdevji ki ankho me bhi aasu beh rahe the, aasu to meri bhi ankho se beh rahe the, waha pade jug se mene pani nikala aur unhe diya)

Beena : Sambhaliye apane aap ko uncle. (Unhone pani piya, par wo kuchh bol nahi rahe the, mene bhi kuchh nahi puchha, unhe sambhalne ka mauka diya)

Sukhdevji : Mene Shivans ko bahot dhundha, kayi log lapata the, kayi logo ki lashe mili thi, jis tarha se Chandrika ne Udesinh par iljam lagaye the mene police complain bhi kar di, Udesinh ki puchhtachh bhi hui, par koi natija nahi nikala. Ek aur Chandrika aur Yogendra bhi the, muje unko bhi sambhalna tha, Yogendra ka operation hua tha, wo coma me chala gaya tha, chandrika apane hosh kho chuki thi. Humne TV aur akhbaro me bhi istihar diye, par Shivans ka koi bhi pata nahi chala. Bade bade log lapata ho gaye the waha ek chhote se bachche ke bachne ki koi ummid nahi thi. Mere liye Yogendra aur Chandrika important the, unki sehat mere liye jyada mayne rakhti thi, to me Udesinh ke case par dhyan nahi de paya, sabut na hone ke karan uspar koi iljam sabit nahi hua, aur sach kahu to muje bhi pata nahi tha ki waha kya hua to me bhi kya kar sakta tha. Par itne salo ke tajurbe se muje lagta hai ki ye sab usik ka kiya dhara hai, usne waha ka sara karobar hathiya liya tha, pata nahi kab usne Yogendra se paper sign karwa liye the, jaha jaha unki hissedari thi waha sab ke liye unhone power of attorney pe sign karwaliye the. Jab mene us se puchha to unhone bataya ki ye sab Yogendra ne hi kiya hai. Waise bhi mere pass koi sabut to the nahi, aur kabhi sapane me bhi nahi socha tha ki aisa kuchh ho jayega, to muje kuchh pata nahi tha us bare me.

Beena : Aap ko kya lagta hai, kya Shivans bach sakta hai?

Sukhdevji : Muje nahi lagta, agar aisa hua to ye chamatkar hi hoga.

Beena : Mene uski photo ke liye kaha tha?

Sukhdevji : Dikhata hu. (Kehte hue wo khade hue aur ander chale gaye, wo jaise hi ander pahuche unki patni Aiswarya ander bethi mili)Yaha kyu bethi ho, tum juice lene aayi thi?

Aiswarya : Kya aapne sabkuchh bata diya? Mera matlab hai Prakruti ke bare me?

Sukhdevji : Nahi, par use kabhi na kabhi pata chal hi jayega, wo samajdar hai.

Aiswarya : Wo jo bhi ho, par aap samne se kuchh maat batana.

Sukhdevji : Muje pata hai, tum juice lekar jao, me album le kar aata hu.

Aiswarya : Konsa album?

Sukhdevji : Tum kuchh jyada hi chinta kar rahi ho, wo meri bhi beti hai, muje uska khayal hai, tum jao me aata hu.

Aiswarya : (Uske chehre par chinta dikh rahi thi, mayus kadmo se wo ander gayi aur juice le kar wo bahar aa gayi, Beena bhi kisi gehri soch me dubi hui thi)Lo beti. (Juice dete hue wo boli aur fir beth gayi, Beena fir soch me gum juice ke sip pine lagi, usko intejar tha to Shivans ke photo ka, uska dil dhak dhak kar raha tha, kya wo Shiv hi hoga?)
Fantastic update
 
  • Like
Reactions: Abhishek Kumar98

only_me

I ÂM LÕSÉR ẞŪT.....
677
842
93

Super update Bhai 💯
 
  • Like
Reactions: Abhishek Kumar98
Top