Update 199
Shiv bike chala raha tha, Jhanvi pichhe bethi thi, bethe bethe hi muskura rahi thi, usne apane nailpolice kiye hue bade nakhun wale hath se Shiv ka kandha pakad rakkha tha,, uska maan to tha ki Shiv ki kamar par ya uski jhangh par hath rakkhe, par usko sharm bhi aa rahi thi, is liye usne kandhe par hi hath rakkha hua tha. Waise wo itni najdik bethi thi ki uske stan kabhi kabhi Shiv ki pith se ragad kha jate the, ye ragad uske ander ek hulchul paida kar rahi thi, uske nipple bhi kadak ho gaye the, usne sharmate hue Shiv ko mirror se dekha to uske chehre par bhi muskurahat thi jo bata rahi thi ki Shiv ko bhi uske stan ka ehsas hai, par wo fir bhi pichhe nahi hui, usko bahot achchha lag raha tha, sath me uske dimag me ye bhi chal raha tha ki aaj to shayad sab kuchh hoga, aaj Shiv ko pata chal jayega ki wo kuwari nahi hai, wo kaise shiv ko batayegi, ki wo pehle bhi kisi ke sath so chuki hai, Shiv uske bare me kya sochega, yahi sab uske dimag me fir ghumne laga, rasto par thode thode gadhdhe bhi the, to wo kabhi jor se Shiv ko pakad leti thi, shayd Shiv ko uske nakhun bhi chubh rahe honge, par wo dar jati thi to kya kar sakti thi. Aise hi dono site par pahuch gaye.
Jab usne apane papa ki gadi waha dekhi to usko ascharya hua, tabhi uske papa aur Prakash uncle ek makan se bahar aaye aur office ki aur aane lage, unki bhi nigahe un par pad chuki thi, Shiv ne apani bike thik uske papa ki car ke bagal me hi roki, wo niche utar gayi, tab tak wo dono bhi chal kar unke pass pahuch chuke the, wo apane papa ki ankho me sawal spast dekh rahi thi, usko bhi thoda asahaj lag raha tha.
Jhanvi : Papa! Aap yaha?
Kamalnath : Ha, mene socha ki ek bar site ko dekh lu, aur bhi thoda kaam tha to aaye the hum. (Shiv par ek najar dal kar)Tum kaha se aa rahi ho? Aur tumhari car kaha hai?
Jhanvi : Papa, wo... (apane aap ko sambhalte hue)Wo anathashram me kaam chal raha hai to Pawanji ne request ki thi to me waha chali gayi thi thodi der. (Thoda ruk kar) Yaha aana tha aur Shiv bhi aa raha tha, raste kharab ho gaye hai to me iske sath hi aa gayi. (Jaise taise usne safayi di)
Kamalnath : (Shiv ki aur dekha, fir Jhanvi ki aur)Aisa kya kaam tha waha?
Jhanvi : Wo ek room waha banva rahe hai aur kuchh saman waha aanewala tha, ye school me tha to Pawanji ne muje kaha ki ja kar dekh lu, wo hamare partner hai to me kaise unhe mana karti.
Kamalnath : Hmmm. Abhi me yaha hu to agar tumhe ghar jana ho to ja sakti ho.
Jhanvi : Kyu papa, waise bhi ghar ja kar kya karungi?
Kamalnath : (Wo soch me pad gaya, kyu ki wo apani beti ke yaha rehte kuchh kar nahi sakta tha, to soch kar bola)Aaj ek client aaneala hai, us se mulakat karni hai, me nahi chahta ki tum yaha ruko to ghar chali jao.
Jhanvi : Aisa kyu papa, agar client aa raha hai to me bhi mil lungi, waise bhi me yaha kaam sikhne to aati hu.
Kamalnath : Wo thoda tedha aadmi hai, (Fir kuchh soch kar) thik hai, par agar muje sahi laga to hi me tumhe bulaunga, warna office me maat aana.
Jhanvi : (Usko kuchh samaj nahi aaya par fir bhi usne kaha)Thik hai papa. (Kehte hue wo us aur jane lagi jaha kaam chal raha tha, usne bas ek bar Shiv ko dekha) (Meri to kuchh samaj me nahi aa raha tha, kya kya sochte hue hum dono yaha aaye the aur yaha kuchh alag hi mahol ban gaya tha, unhone apani beti ko office me aane se mana kiya tha to me bhi Jhanvi ke pichhe pichhe jane laga to Kamalnath ne muje roka)
Kamalnath : Tum thehro,. (Me ruk gaya, Jhanvi ne bhi ek bar meri aur aur ek baar apane papa ki aur dekha fir wo aage badh gayi, wo bhi udas thi ki wo kya kya soch kar aayi thia aur yaha kya ho gaya)(Kamalnath Shiv ki aur dekh kar)Gadi me kuchh saman pada hai wo upar le kar aao.
Shiv : Ji. (wo dono ander chale gaye, mene car ki pichhli seat par kuchh saman dekha to me usko lene laga, mene dekha ki waha sharab ki ek bottle thi, kuchh packets the, cigarate bhi thi,mene sara saman , liya aur office me aa gaya, main chair par Kamalnath bethe hue the aur samne Prakash rao bethe hue the)
Kamalnath : (Meri aur dekh kar)Waha rakh do. (Unhone waha table ki aur issara kiya, mene sara saman waha rakh diya)(Kamalnath ko waise to bahot chid aa rahi thi Shiv par, wo uski ladki ko ghuma raha tha, par wo kuchh bol nahi raha tha, waise bhi wo sirf uske pichhe beth kar hi aayi thi to kya kehta). Kya kaam chal raha hai tumhare waha? (Usne aise hi puchha)
Shiv : Wo ek room banwarahe hai, security ke liye.
Kamalnath : Paise kon de raha hai, Pawan?
Shiv : Nahi, kuchh paise trustysir de rahe hai aur kuchh paise donation se lenewale hai.
Kamalnath : Achchha maang rahe ho, (Prakashrao ki aur dekh kar)Hamare accont se bhi kuchh paise donate kar do, waise bhi in becharo ke pass kya hi hoga. (Unhone jis tarha se bola aur jis tarha ke unke havbhav the, muje gussa aaya par me kuchh nahi bola)
Prakashrao : (Wo bhi vyang se muskuraya)Thik hai, me Pawan se baat karta hu.
Kamalnath : (Shiv ki aur dekh kar)Aur bhi kuchh chahiye to maan lena, hichkichana nahi, waise bhi maa-baap to hai nahi tum logo ke, aise maang maang kar hi to gujara karna padta hoga. (Me kya bolta, baat kadvi thi par sach hi thi) Sharab pite ho?
Shiv : Ji nahi Sir.
Kamalnath : Sharmao maat, agar pite ho to bolo.
Shiv : Ji nahi Sir, me nahi pita.
Kamalnath : Ha kaha se pi sakte ho, khane ke liye hi muskilse paise milte honge wo bhi maang kar, to sharab to bahot dur ki baat hai. Peg banana aata hai?
Shiv : Nahi sir. (Waise bhi muje samaj nahi aaya, kyu ki kabhi pi hi nahi thi)
Kamalnath : Me sikhata hu. Wo botle uthao. (Mene bottle utha li) Kholo. (Me kholne laga)Aise nahi, lao mere pass. (Mene unke hath me botle di, unhone dhakkan ke pass se uska seal nikala phir thoda niche se thoka aur fir dhakkan khola)Aise kholte hai.
Shiv : Waise bhi ye buri chij hai, to isko sikhne ka koi matlab nahi, aur khiladio ke liye ye waise bhi achchi nahi. (Kamalnath kuchh nahi bola, bas muskuraya)
Kamalnath : Ander glass rakkhe hai, fridge se ice aur pani le aao. (Me le aaya) Glass me do ice cube dalo, ha, fir sharab dalo, (Me dalne laga)Bas. (Me ruk gaya) Waise hi dusara glass bhi bhar do. (Mene waise hi kiya)Ab thoda pani dalo. (Peg taiyar the, mene unhe de diye)(Kamalnath Shiv ko uski aukat dikha raha tha, Prakash rao bhi muskurate hue sab dekh raha tha, Kamal nath ne ek dish me chakhna nikalne ke liye bhi kaha, mene wo bhi nikal diya, wo jis tarha se muje keh rahe the muje lag raha tha ki wo muje apani aukat dikha rahe the, par isme kuchh galat bhi nahi tha, me unke waha kaam karta tha to muje kya dikkat hoti, undono ne glass takra kar apas me cheers kia aur pine lage, me wahi khada tha, thodi der baad meri aur dekh kar)To tum khiladi ho?
Shiv : (Sale ko pata tha fir bhi puchh raha tha)Ji Sir.
Kamalnath : Tumhe kya lagta hai, kya hasil kar loge tum?
Shiv : Pata nahi sir, par koshis karna mera farz hai.
Kamalnath : (Vyang se muskurate hue)Koi nahi puchhta aise logo ko, chane ke bhav bikte hai aise log, sarkar sirf apane fayde ke liye istemal karti hai inhe. (Me kya bolta, me chup raha) Cricket wicket khelte to kuchh hota bhi, par in sab se kuchh nahi honewala. (Me bas sun raha tha) Par uske liye bhi achchhi coaching jana padta hai, aur tumhare liye muskil hai, tum thehre anath, kon tumhare pichhe paise barbad karega, kyu ki coaching jane ke baad bhi koi guarantee nahi hai ki tum achchhe khiladi ban hi jaoge. Chhodo ye sab aur kaam par dhyan do, shayad kuchh bhala ho jaye. (Unhone apana glass khatam kar diya, tabhi unke phone par call aaya)Hello...ha site par hi hu, me location bhejta hu,... thik hai. (Meri aur dekh kar)Tum jao, fir bulata hu tumhe.
Me waha se nikal gaya, pata nahi kya kya gyan de raha tha muje, me waha gaya jaha Jhanvi khadi thi aur Pinkesh bhi tha waha par. Jhanvi muje bahar le gayi.
Jhanvi : Kya kar rahe the, kuchh keh rahe the kya papa?
Shiv : Nahi, wo mujse peg banva rahe the.
Jhanvi : Kya? Wo sharab pi rahe hai yaha?
Shiv : Unki jagah hai, wo jo chahe kare.
Jhanvi : Par tumse ye sab kyu karwa rahe the?
Shiv : Unka naukar jo hu.
Jhanvi : Kya bakwas kar rahe ho, waise bhi tum yaha naukari nahi karte, chale jate waha se, kya fark padta hai. (Jhanvi ko bilkul achchha nahi laga tha)
Shiv : Chhodiye na, kya fark padta hai. Thoda sa kaam karne me kya lut jata hai.
Jhanvi : Me unse baat karti hu.
Shiv : Rehne dijiye, wo client aanewala hai waha, phone aaya tha. (Hum aise hi baat kar rahe the ki waha do car aayi, hum dur the waha se, Pichhali car me se do log daudte hue aaye aur aagewali car ka darwaja khola, usme se sigar pita hua ek vyakti bahar nikala lag bhag 50 ke aas pass ka hoga wo, dur se hi uske gale me pehni badi si sone ki chain dikh rahi thi, usne ek baar idhar udhar dekha, gadi me se dusare tin log bhi niche utar gaye the, uske aadmi sare hatte katte the, un do logo ke sath wo vyakti ander office me dakhil ho gaya.
Vyakti : To yaha mere paiso se party chal rahi hai.
Kamalnath : Aiye aiye Raghuvirji, ye sab aapki khatirdari ke liye hi mangwaya hai. (Kamalnath ne khade hote hue kaha, usne Raghuvir se hath milaya aur unhe waha sofe par bethne ke liye kaha, uske dono aadmi darwaje par hi khade the) Bethiye. (Usne ek aur glass liya aur apane hatho se ek peg bana kar uski aur badhaya, Raghuvir ne glass le liya) Aapne aane ki taklif kyu ki, hamari baat phone par ho to gayi thi.
Raghuvir : (glass me se ek sip lagate hue)Baat hue bhi 10 din ho gaye hai.
Kamalnath : Me koshis kar hi raha hu, thoda aage pichhe ho jata hai, Sarkari kaam hai.
Raghuvir : Wo hamara lookout nahi hai, ye sab tumhe dekhna hai, hume nahi, humne paise diye matlab hamara kaam hona chahiye.
Kamalnath : Thode dino me wo jamin aapki ho jayegi, aap fikar maat kijiye.
Raghuvir : Tum jante ho ki me tumhari baat sun bhi lunga par wo nahi sunega, jante ho na.
Kamalnath : Unko bich me lane ki kya jarurat hai, waise bhi aapka kaam ho gaya hi samjo.
Jhanvi chalte hue office ke pass aa gayi thi to me bhi uske pichhe pichhe aa gaya tha. Waha khade do aadmio ne hume roka, tisara aadmi car ke pass khada tha.
Jhanvi : (tikhe swar me)Muje ander jana hai.
Aadmi : Nahi ja sakti, ander meeting chal rahi hai.
Jhanvi : Janti hu, Kamalnath mere papa hai. (Shayad wo aadmi janta tha to usne jane diya, par muje rok diya)Ye mere sath hi hai, yaha kaam karta hai. (Usne hum dono ko ander jane diya, hum upar pahuche to darwaje par khade do aadmio ne hamara rasta roka)
Aadmi : E ladki, kaha ghus rahi ho.
Jhanvi : Tum hote kon ho muje rokne wale, papaaaa, papaaaaa.
Kamalnath : Jhanvi??? (Us aadmi ko)Meri beti hai, aane do. (Usne hamara rasta chhod diya, hum dono ander dakhil hua)
Jhanvi :Papa.
Kamalnath : (Jhunjlate hue)Tum kyu aayi, mene kaha tha na ki jaruat hogi to bulaunga.
Jhanvi : Aise kaise client hai ye, inke aadmi muje hi ander nahi aane de rahe the. (Jhanvi ne thode gusse se kaha)
Raghuvir : To ye tumhari beti hai. (Usne Jhanvi ko upar se niche tak dekhte hue kaha)
Kamalnath : Ji, ye bhi kaam sikh rahi hai to yaha hai. (Fir Jhanvi ki aur dekh kar)Tum jao abhi.
Raghuvir : Ise bhi rehne dijiye, waise bhi ye sikh rahi hai to usko bhi samaj me aana chahiye na ki kis tarha kaam hota hai, (Shiv ki aur dekh kar)Ye ladka kon hai?
Kamalnath : Ye yaha kaam karta hai.
Raghuvir : To isko bahar bhejo, naukaro ka kya kaam yaha.
Jhanvi : Ye naukar nahi hai, ye yahi rahega. (RAghuvir ne Kamalnath ki aur dekha aur vyang se muskuraya, uski hasi bahot kuchh keh rahi thi, Kamalnath ko gussa to bahot aaya par kya bolta)
Raghuvir : Thik hai, rehne do, muje kya fark padta hai. (Usne glass se ek sip aur liya) Ha to Kamalnath, ya to humara kaam karo ya fir paise lautao, kya karna chahte ho tum?
Kamalnath : Aapka kaam ho jayega, bas kuchh dino ki maholat dijiye.
Raghuvir : Samay hi to nahi hai, itne samay to hamne wait kiya ab kitna wait kare. Muje lagta hai tumse ye kaam nahi hoga, tum paise lauta do.
Kamalnath : Uski jarurat nahi padegi, ho jayega kaam mene kaha na.
Raghuvir : Lagta hai liye hue paise kharch ho gaye hai. (Usne kutil muskan ke sath kaha)
Kamalnath : Aisi baat nahi hai, paise lautana koi badi baat nahi hai, par jab uski jarurat hi nahi to fir kyu lautana, aur aap jante hai mere alawa ye kaam aur koi nahi kar sakta.
Raghuvir : Ye tumhari galatfehmi hai, paiso se kya nahi ho sakta.
Jhanvi : Kis kaam ki baat ho rahi hai papa?
Kamalnath : Tum chup raho kaha na.
Raghuvir : Tere baap ne ek jamin hamare naam karne ke liye paise liye hai, ab wo jamin hamare naam karwane me waqt laga raha hai.
Jhanvi : Aap is tarha se mere papa se baat nahi kar sakte, wo keh rahe hai na ki aapka kaam ho jayega.
Raghuvir : (Muskurate hue)To kare na, mene kaha roka hai.
Jhanvi : Papa, aap aise logo se kaam hi kyu karte hai, de dijiye inke paise wapas.
Kamalnath : Tum chup rahogi thodi der. (Raghuvir ki aur dekh kar) aap thode samay ki maholat de dijiye, ho jayega sab. Sarkari kaam hai, thoda aage pichhe hota hai.
Raghuvir : (Waise bhi usko Jhanvi ki bato se thoda gussa aa gaya tha)Muje kuchh nahi sun na, tum paiso ka intejam karo. (Usne thode gusse se kaha)
Jhanvi : Papa aap iski baat kyu sun rahe hai, paise muh par mariye aur dafa kijiye.
Raghuvir : Ai ladki, tu kya samaj rahi hai, yaha chhoti moti baat ho rahi hai, 10 crode lautane hai tere baap ko, samaj rahi hai kuchh, abhi bachchhi hai tu, sahi kehta tha tere baap, tera yaha koi kaam nahi hai, aur waise bhi ladkio ki akal ghutno me hoti hai,tu chup hi reh to achchha hai.
Shiv : (Waise to muje koi lene dena nahi tha par jis tarha se usne Jhanvi se baat ki muje gussa aa gaya)Aap is tarha se baat mat kijiye.
Raghuvir : (Khade hote hue)Ab tu muje sikhayega ki kaise baat karni chahiye, nikal bahar yaha se. (Usne gusse se muje kaha, fir Kamalnath ki aur gaya aur uska gireban pakad kar)Ab to tu abhi hi paise lautayega.
Jhanvi : Chhod unhe. (Apane baap ki beijjati par wo chup na reh saki aur usne aage badh kar Raghubir ko dhakka de diya, wo do kadam dur gaya)
Raghuvir : Sali muj par hath uthati hai, kehte hue wo aage badha aur Jhanvi ki aur jhapta to me bich me aa gaya, mene aur kuchh kiya nahi par sirf samne khada ho gaya)(Raghuvir ne apane aadmio ki aur dekha)Salo, yaha khada rehne ke liye aaye ho. (Wo dono aage badhe aur ek ne jhanvi ko pakad liya aur dusare ne muje, waise bhi me koi bakheda nahi karna chahta tha to me bas khada raha)(Kamalnath ki aur dekh kar gusse me)Ab tu paise abhi lautayega, varna teri is beti ki me yahi faad dunga. (Abhi uska bolna khatam bhi nahi hua tha ki uske muh par ek laat padi, aur wo niche gir gaya, mene jor se us aadmi ke ghutne par bhi laat mari jisne muje pakad rakkha tha, usne muje chhod diya aur karahte hue niche beth gaya, ye dekh kar dusare aadmi ne Jhanvi ko chhoda aur meri aur lapka par me taiyar tha aur mene jor se uske chehre par ghhusa maara to usko din me tare dikh gaye)
Jamin par pade Raghuvir ko visvas hi nahi ho raha tha ki abhi kya ho gaya, wo khada hua aur apne coat me rakkhi hui pistol nikal li aur meri aur taan di.
Raghuvir : Tune muje laat mari sale. (Abhi wo goli chalanewala hi tha ki mene table par rakhe paper wait ko unke hath par demara, unke hath se pistol chhut gayi, par goli chal gayi, ye to ganimat thi ki goli kisi ko lagi nahi)Aahhhhh (Usne apana hath pakad liya, me gaya teji se lapka aur pistol utha li aur usiki pistol ko uske hi kanpatti par laga di, goli ki awaj sun kar niche se wo teen aadmi bhi upar aa gaye the)
Shiv : Vahi ruk jao. ( apane boss ki kanpatti par lagi pistol ki wajah se wo ruk gaye. Sab hairani se muje dekh rahe the, me bhi samaj raha tha ki kya ho gaya hai, par is tarha se baat bigad jayegi)
Shiv : (Shant hote hue)Dekhiye Raghuvir ji, ladayi jhagade se koi fayeda honewala nahi hai. Baat kar ke bhi masala suljaya ja sakta hai. (Raghuvir gusse se ghur ke us ladke ko dekhne laga) (Mene Kamalnath ki aur dekh kar kaha)Sir, kya aapko lagta hai ki inka kaam ho jayega?
Kamalnath : (Wo bhi sadme me tha, achanak usko hosh aaya)H haa, mene sab set kar diya hai, kuchh dino me ho jayega, mene kitno ko hi is kaam ke liye paise de diye hai.
Shiv : (Unhone hamara anathalay hathiyane ki koshsi ki thi is liye muje shak hua)Kya ye illigal kaam hai?
Kamalnath : Nahi, bilkul nahi, par system hi aisa ho gaya hai ki upar se niche tak sabko paise dene padte hai.
Shiv : To inka kaam sure ho jayega na.
Kamalnath : Ha, jald hi ho jayega.
Shiv : (Raghuvir ki aur dekh kar) Sir, madam abhi chhoti hai, wo ye sab nahi samajti, apane papa ke sath is tarha ke vyavhar se wo bhadak gayi, nadani me galti kar gayi, par aap to samaj dar hai (Mene unke shir se pistol dur ki)Sorry, mene bhi aap ko maar diya, par sab achanak ho gaya.
Raghuvir : (Meri aur gusse se dekhte hue)Samja rahe ho ki dhamka rahe ho? (Mere hath me pistol ko dekh kar wo bole)
Shiv : Sorry sir, me bas samja raha tha(Mene pistol unko wapas ki, ye khatarnak bhi ho sakta tha par mene risk liya, unhone pistol mere hath me se li aur mere hi shir par laga di)
Raghubir : Ho to tum bhi bachchhe hi, apane hath me ayi baji gava di tumne.
Shiv : (Shanti se)Nahi sir, ye sab aise nahi sulaj sakta, aur sach kahu to abhi bhi ye baji me apani aur kar sakta hu, par aise hal nahi nikalega. Is liye keh raha hu. (Raghuvir achambit tha is ladke ki shanti se, usne abhi thodi der pehle hi us ladke ki sfurti dekhi thi aur takat bhi, ek laat ne hi uske jaise aadmi ko din me tare dikha diye the, usne pistol apani jeb me rakh di)
Raghuvir : (Muskurate hue)Bahadur ho, aur sfurtile bhi. Sath me samaj dar bhi ho. Aao betho. (Unhone muje apane pass bithaya, unki naak se khun nikal raha tha to mene apana rumal nikala aur unki aur badhaya, wo kuchh nahi bole to mene behte khun ko saaf kiya aur use daba diya, wo muskuraya)
Shiv : Sorry sir. (Mene fir se unki maafi mangi)
Raghuvir : (Apane aadmio ko)Tum log jao. (Ek aadmi langdata hua aur ek aadmi apana chera dabata hue waha se bahar chala gaya, Raghuvir fir muskuraya)Dikhte bachhe ho par ho nahi, Kya naam hai tumhara.
Shiv : Ji Shiv.
Raghuvir : Kamalnath, soch kar to kuchh aur hi aaya tha, par is ladke ki khatir tumhe samay de raha hu, dil khus kardiya isne, bahot samay baad aisa diler dekha hai.. (Usne apana glass uthaya aur ek hi ghut me baki sharab pi gaya)(Jhanvi ki aur dekh kar)Sorry beti, muje waise sabd istemal nahi karne chahiye the, mera sach me aisa irrada nahi tha, bas me dhamki de raha tha. Jab paiso ki lenden ka mamla hota hai to logo ke sath sakhti baratni padti hai.
Jhanvi : Muje bhi maaf kar dijiye uncle, mene bhi aapko dhakka de diya.
Raghuvir : Koi baat nahi beti, waise bhi aajkal aisi bahadur ladkia kaha milti hai jo apane baap ki gustakhi me ek shabd nahi sun sakti. (Kamalnath ki aur dekh kar)Kamalnath tum nashibwale ho jo aisi beti ke baap ho. Thik hai, di tumhe mahulat, par jald hi kaam niptao. (Kehte hue wo bahar nikal gaya, Kamalnath aur Prakashrao bhi pichhe pichhe bahar nikale. Hum dono bhi niche gaye, dekha to majdoor aur Pinkeshbhai bhi waha khade the, shayad unhone bhi goli ki awaj suni thi. Raghuvir apane aadmio ke sath waha se nikal gaya, hum sab wapas fir se office me aaye)
Kamalnath : (Sofe par bethte hue ek lambi saas chhodi aur glass me thodi daru dali aur peg banaya aur ek hi saas me pi gaya. Me aur Jhanvi khade the, prakasrao bhi samne beth gaya tha, Jhanvi ki aur dekh kar)Ab kya kahu tumse, mene mana kiya tha na tumhe yaha aane se, tum nahi janti dhandhe me kaise kaise log hote hai, agar tumhe kuchh ho jata to?
Jhanvi : Agar muje bussiness karna hai to muje bhi alag alag tarha ke kayi log milenege, unse kaise nipatna hai muje bhi samajna hi hoga.
Kamalnath : (Prakashrao ki aur dekh kar) Kass mera beta aisa hota.
Jhanvi : Kya me aapki beti hu to koi dikkat hai aapko?
Kamalnath : (Muskurate hue)Nahi, par tum sada to mere sath rehnewali nahi ho na, chali jaogi kisi din.
Jhanvi : (Unke pass beth te hue)Me sada aapke pass hi rahungi.
Kamalnath : (Muskura ke)Kass aisa ho sakta.
Jhanvi : Aap Shiv ko kuchh nahi kahenge?
Kamalnath : (Shiv ki aur dekh kar)Sach kahu to ye muje samaj hi nahi aata. Fir bhi thank you.
Shiv : Nahi sir, isme thank you kaisa, me aapke yaha kaam karta hu, ye to mera farz tha.
Kamalnath : (Fir muskuraya)Isiliye keh raha tha ki tum muje samaj nahi aate, mere waha hajaro log kaam karte hai, par aisa to mene nahi dekha kabhi. Khair chhodo ye sab, chalo Prakashrao, ghar chalte hai. (Kehte hue wo khada hua aur sath me Prakashrao bhi khada ho gaya)(Jhanvi ki aur dekh kar)Chalo tum bhi chalo.
Jhanvi : Aap jaiye, muje abhi apani car bhi lene jana hai.
Kamalnath : Thik hai, (kehte hue wo bahar chala gaya, sath me Prakashrao bhi, dono car me beth gaye aur car aage badha di)Kya hai ye ladka?
Prakashrao : Aap itna kyu bhav de rahe hai use, waise bhi wo anath hai, awara to hoga hi, aur aise awara log hi aise hote hai.
Kamalnath : (Muskurate hue)Tu bhi na ek number hai.
Idhar Jhanvi sofe par beth gayi, me khada tha.
Jhanvi : Khade kyu ho betho. (Me samne sofe par bethne laga to usne kaha)Waha kyu beth rahe ho, yaha betho. (Apane baju ki jagah par issara karte hue wo boli to me uth kar waha beth gaya, usne meri baju pakad li)Kyu kiya ye sab?
Shiv : Kya kiya?
Jhanvi : Usne mere bareme galat baat puri bhi nahi ki thi ki tumne use maar diya, kyu?
Shiv : (Wo bahot pyar se muje dekh rahi thi)Isme kya, me kaise bardast kar sakta hu ki koi mere samne tumhe aisa kuchh kahe. (Jhanvi Muskurayi aur sidhi beth gayi aur ek glass me whiskey dalne lagi, fir barf aur fir pani) Ye kya kar rahi ho?
Jhanvi : Aaj mood ho raha hai, waise bhi kabhi kabhi chalta hai. (Kehte hue usne ek Sip bhari aur apani ankhe band kar ke shir hilaya)
Shiv : (Unka chehra dekh kar hi laga ki unko swad pasand nahi hai)Kya hua?
Jhanvi : (Muh bigadte hue)Swad kadava hai. (Kehte hue plate se ek waffer uthayi aur muh me rakkhi)
Shiv : Agar itana bura hai to fir pi kyu rahi hai?
Jhanvi : Bas aise hi (Kehte hue wo muskurayi aur fir se ek sip liya aur fir muh bigada aur ek waffer apane muh me dali) Pistol dekh kar tumhe dar nahi laga?
Shiv : Utna samay hi nahi tha ki kuchh sochu, bas ho gaya jo hona tha.
Jhanvi : Papa sach hi keh rahe the, tum samaj me nahi aate. (Keh kar wo muskurayi)
Shiv : Ab muskura kyu rahi hai?
Jhanvi : To aur kya karu, achchhe achchho ki pistol samne dekh kar fat jati hai, aur tumne bina ek pal gawaye uske hath me paperweight de mara. (Wo aise hi baate kar rahi thi aur sath me sip laga rahi thi, thodi der ke baad uske upar nasha havi hone laga, usne Shiv ko dekha, uske chehre se muskan gayab thi, usne dusara peg banaya aur pine lagi, wo chup thi aur kuchh soch rahi thi)
Shiv : Kya hua, kya soch rahi hai? (Wo kuchh nahi boli aur do char aur sip pi gayi)Kya baat hai, paresan dikh rahi ho?
Jhanvi : Me achchi ladki nahi hu Shiv.
Shiv : (Muje hasi aa gayi)Daru piti ho is liye?
Jhanvi : (wo bilkul nahi hasi)Isliye nahi.
Shiv : To?
Jhanvi : I am not virgin. (Unhone najare jhukaye hue hi kaha)
Shiv : To ?
Jhanvi : (Usne Shiv ko ascharya se dekha, wo uske chehre ko padhne ki koshis karne lagi)Tumhe koi fark nahi pada?
Shiv : Aur ye fark kis liye padna chahiye?
Jhanvi : Kya tumhare dil me mere liye kuchh bhi nahi hai? (uske chehre par udasi chhlak aayi)
Shiv : (Me bhi serious ho gaya tha, kyu ki ye ek sensetive mudda tha, unki ankho me muje sab saaf najar aa raha tha aur me us se bachna chahta tha)Aap jo soch rahi hai wo mumkin nahi hai.
Jhanvi : (Wo aise muskurayi jaise mera mazak uda rahi ho)Achchha, me kya soch rahi hu?
Shiv : Wo me...
Jhanvi : Jo hamare bich pehle hua hai, fir wo kya tha?(Me chup raha, bolta bhi to kya bolta)Wo ladki, kya naam hai, ha Bholi, wo virgin hai to achchhi hai, hai na?
Shiv : Baat yaha Bholi ki nahi hai, aur aapke virgin hone ya na hone se koi fark nahi padta, ye aapki life hai, aap jaise chahe jiye, aur aapka virgin hona ya na hona aapke character ka certificate nahi hai.
Jhanvi : (Apana glass rakh kar meri bah se kas ke lipat te hue)Me to yahi soch kar paresan thi ki jab tumhe pata chalega ki me virgin nahi hu to pata nahi tum mere bareme kya sochoge, isliye us din mene tumhe aage badhne se roka tha, par me ab dur nahi reh sakti Shiv.
Shiv : Yahi problem hai, meri jindagi pehle se ulji hui hai, aap keh rahi hai ki aap virgin nahi hai to achchi nahi hai, me bhi virgin nahi hu, to fir me bhi achchha nahi hua na. (Jhanvi gaur se Shiv ko dekhne lagi)
Jhanvi : Kon hai wo?
Shiv : Ek nahi hai. (Mene bas itna kaha, wo thodi der muje dekhti rahi, fir usne apana baki bacha glass uthaya aur ek hi ghut me sara pi gayi).