only_me
I ÂM LÕSÉR ẞŪT.....
- 696
- 875
- 93
Update 225
Aaj Shadi ka din tha, subah sab jaldi uth gaye the, subah 8 baje tak to Beenamadam, Juhi, aur Bhargaviji aa bhi gaye the. Me taiyar ho kar kamare se bahar aaya to wo sab bethe hue the. Unhe dekh kar muje ascharya hua.
Shiv : Aap sab itna jaldi aa gaye? (Beenamadam saree pehne hue thi aur Juhi aur Bhargaviji ne indian dress pehna hua tha, sab khubsurat lag rahe the)
Bhargavi : Kya jaldi, abhi ek ghante me sab aa jayenge, aur tum ho ki abhi taiyar ho rahe ho. (Unhone muskurate hue narajgi jatayi)
Shiv : Nahi nahi, me taiyar hi hu.
Lata : Wo kabse uth gaya tha, aur sab kaam kar hi raha tha, mene hi usko kaha ki ja kar taiyar ho jaye.
Beena : Tum na uski jyada tarafdari maat kiya karo. (Wo muskurate hue boli, Lata ne sharma kar shir niche jhuka liya)Ab sharmati hi rahogi ki bataogi ki kya kya taiyari ki hai?
Lata : Sab saman ready hi hai, haldi ki rasmo ke liye appne jo kaha tha wo sab taiyar kar ke rakkha hai.
Beena : Thik hai, jara batao muje. (wo dono ander chali gayi, sath me Juhi bhi gayi, me aur Bhargavi bahar aa gaye, mandapwale bhi aa gaye the, wo kurshiya laga rahe the, Bhargavi jis tarha se bata rahi thi us tarha se me bhi unhe instruction dene laga, Swarnaji aur Vaiswi bhi aa gayi, wo dono car se aayi thi, waha aa kar)
Swarnaji : Goodmorning. (Unhone Bhargaviji ko dekh kar kaha)
Bhargavi : Good morning, aa gayi aap? (Unhone muskura ke kaha, Swarnaji ne muje bhi dekha aur muskurayi, mene bhi muskura ke jawab diya, Vaiswi ko bhi dekha, wo bhi muskurayi, dono achchhe se taiyar ho kar aayi thi, mene Vaiswi ko upar se niche tak dekha to wo sharmane lagi par boli kuchh nahi)Aap log ander chaliye, Beenaji haldi ki taiyariya kar rahi hai.
Swarnaji : THik hai (Wo dono ander jane lagi, Vaiswi ne jate hue apane baal ki lat ko kano ke pichhe le jate hue muje pyar se dekha, aur unke sath ander chali gayi, hum fir kaam me lag gaye. Kurshiya sab rakhwa di thi, pani ke jug bhi rakhwadiye the, uske baad wo log chale gaye, hum dono sab baat kar rahe the ki Kavyaji bhi aa gayi)
Kavyaji : (Bhargaviji ko)Hi, late to nahi ho gayi? (Unhone muskura ke kaha, wo bhi indian paridhan me thi)
Bhargavi : Nahi, abhi thodi der hai.
Kavya : (Shiv ko dekh kar)Hi.
Shiv : Hi, bahot achchhi lag rahi hai. (Meri baat se wo thoda sharma gayi) Aiye na aap ander chaliye, sab ander hi hai. (Unhone Shiv ha me hilaya aur wo ander chali gayi)
Bhargavi : Wo achchhi lag rahi hai to kya me buri lag rahi hu? (Unhone halki narajgi se muskurate hue kaha)
Shiv : Aap bhi kya, (Mene jhepte hue kaha)Aap bhi bahot khubsurat lag rahi ho, waise bhi aapko un kapado me dekhne ki aadat hai, aap jab bhi aise Indian kapade pehanti ho to bahot hi jyda khubsurat lagti ho.
Bhargavi : To fir kaha kyu nahi? (Apane chehre par narajgi lane ka prayas karte hue wo boli)
Shiv : Isme kehne ki kya baat hai. Aur waha sab the to nahi bola.
Bhargavi : To yaha me bhi to thi na, fir bhi tumne usko kaha. (Unhone ankhe nachate hue kaha)
Shiv : Galti ho gayi baba, sorry. (Wo hasne lagi)
Bhargavi : Aaj to fasnewale ho bachchu, sab ki sab ikattha honewali hai, dekhte hai kis kis ko sambhalte ho. (Wo muskura ke boli, me bahi jawab deta tabhi riksha aayi aur usme se Samim, Naziadidi aur aunty utari, aunty ne shir dhaka hua tha par Naziadidi aur Samim khule shir se hi thi, tino khubsurat lag rahi thi, me samne se reciev karne janewala tha par ruk gaya kyu ki fir Bhargaviji muj par tanj kasti, wo tino waha aa gayi)
Shiv : Namaste aunty, (Naziadidi ko dekh kar)Aap kab aayi? (Unhone dress pehna hua tha par unka pet thoda sa ubhara hua lag raha tha, meri najar us par gayi, jise unhone bhi dekha aur sharmate hue muskurayi,aur apane pet par hath rakkha)
Nazia : Kal sham ko hi aayi thi, kaise ho? Lagta hai bhul hi gaye tum to. (Bhargavi ko dekh kar)Namaste madam.
Bhargavi : Kya tum bhi, me yaha madam nahi hu. (Unhone muskurate hue kaha)
Shiv : Akele aayi kya?
Nazia : Nahi, wo chhodne aaye the.
Shiv : Ruke nahi wo?
Nazia : Nahi, unhe kaam tha to laut gaye, abhi subah hi nikale hai.
Shiv : Koi baat nahi aayie, sab ander hi hai.
Nazia : (Bhargavi ki aur dekh kar)Chaliye.(Bhargaviji bhi unke sath ander jane lagi to mene Samim ko dekha, har roz se alag wo bahot sharma rahi thi, wo kabhi muje dekhti to kabhi najare jhuka rahi thi, wo tino ander jane lagi to mene issare se Samim ko roka to wo aur sharmane lagi, wo tino thoda aage badh gayi thi, Naziane pichhe mud kar Samim ko dekha par wo Shiv ke sath khadi thi to unhone pukara nahi aur ander jane lagi)
Shiv : Bahot khubsurat lag rahi ho. (Samim sharmane lagi)
Samim :Thank you. (Bahot narmi se boli)
Shiv : Tum to puri badal gayi ho, kitna sharma rahi ho. (wo aur sharmane lagi)Bukhar kaisa hai?
Samim : Thik hu me.
Shiv : (Hichkichate hue)Dard to nahi hai ab? (Ye sun kar to Samim itna sharmane lagi ki kuchh boli hi nahi)Batao na, thik ho na tum?
Samim : Ha thik hu. (wo itna sharma rahi thi ki kya kahu)
Shiv :Tum itna sharma rahi ho to man kar raha hai abhi tumhe kiss kar lu. (Usne muje dekha aur fir muskurate hue najare jhuka li, sach keh raha tha me, ye roop uska alag hi tha, wo nayi naveli dulhan ki tarha sharma rahi thi, hum baat kar rahe the ki Pawansir aur Sneha madam bhi waha aa gaye)
Pawansir : Kaise ho Shiv?
Shiv :Achchha hu sir, namaste madam.
Sneha : Mar khayega jo ab madam madam kaha to. Inhe sir bulata hai to me teri madam nahi ho gayi, aa gaye sab.
Shiv : Ha aa gaye hai sab.
Sneha : to fir chalo ander, yaha kyu khade ho (Samim ko dekh kar)Koi private baat. (wo muskurayi, Samim bahot jyada sharma gayi)
Shiv : Nahi wo abhi abhi aaye hai na to baat kar rahe the, aap aiye na.
Pawansir : Thik hai to me chalta hu.
Shiv : Kyu sir, aap nahi ruk rahe?
Pawansir : Are bhai, haldi me mera kya kaam, ye aurto ki rasm hai to Sneha to hai hi, me baad me aunga.
Shiv : Thik hai sir (wo laut gaye, un dono ki aur dekh kar)Aap dono chaliye me aaya.
Sneha : Kyu tumhe kya kaam hai?
Shiv : Wo jhanvi ji nahi aayi to me phone kar ke puchh leta hu.
Sneha :Thik hai,chalo Samim. Yahi naam hai na tumhara,mene thik kaha na?
Samim : (Sharmate hue,)ji. (Wo dono ander gayi, mene Jhanvi ko phone lagaya, usne nahi uthaya, sari ring khatam hi hui thi ki unki gadi ander dakhil hui, wo gadi lock kar ke meri aur badhi)
Jhanvi : (Muskurate hue)Tumne yaad kiya aur me hajir.
Shiv : Kya hajir, aap hi last ho, kitni der laga di.
Jhanvi: Important log der se hi aate hai. (Kaisi lag rahi hu me)
Shiv : Bahot khubsurat, ab chaliye, sab wait kar rahe hai.
Jhanvi : to chalo na, mene kab mana kiya. (Hum dono ander jane lage)Waise sham ko dekhna, kaisi lagti hu me.
Shiv : Tum to bina kapado ke bhi sundar hi lagti ho. (Mene khinchayi ki)
Jhanvi : (wo sharma gayi)Gande, marungi tumhe. (Kehte hue usne Shiv ki bah pakad li. Waise bhi koi bahar tha nahi, sab ander busy the, hum dono bhi ander pahuch gaye, ander gaye to ander to puri taiyariya ho gayi thi, waha Gayatrididi ke bethne ke liye ek bajath rakkha hua tha, wab waha ass-pass bethe hue the, hum dono ander aaye to Swarnaji boli.
Swarnaji : Lo Shiv bhi aa gaya, ab honewali dulhan ko bula lo. (Lata uthi aur ander room se Gayatrididi ko le aayi, unke sath me Sarita didi bhi thi, Gayatrididi ne aa te hi pehle muje dekha, unke chehre par bahot sari khusi thi, unhe pile vastra hi pehnaye gaye the, mene hi muskura ke unhe dekha, fir unhe waha bich me bithaya gaya)Ab kon suruat karega?
Lata : Gayatri keh rahi thi ki uski haldi ki rasm ki suruat Shiv se hi ho.
Shiv : Me??? Muje kuchh nahi aata.
Beena : Isme na aane jaisa kuchh bhi nahi hai,aao yaha par. (Me waha par pahuch gaya) Juhi, tu inki photo lena.
Juhi : Ji bhabhi. (Kehte hue wo bhi apana phone nikalte hue khadi ho gayi)
Bhargavi : Ruko, me camera bhi sath me layi hu, tum us se photo nikalo. (Kehte hue wo gayi aur apane bag se wo camera nikal kar le aayi, aur Juhi ko diya)
Juhi : Par muje ye nahi aata.
Bhargavi :Are, simple hi hai, isme kuchh bhi muskil nahi hai, dekho me sikhati hu.
Beena : Aap usko sikhati rahegi to sham ho jayegi, aap hi photo nikalo, aur tu apane mobile se nikal. (Shiv ki aur dekh kar)Tu wo do patte utha. (Mene do patteleliye)Ab unhe tel me dubo kar iske pair,fir ghutne, fir hath ke panje, fir kohni fir kandhe fir gaal, par bari bari laga. (Lata ne Gayatrididi ke peticot ko unke ghutne tak utha diya, unke mehndi lage pair mere samne the, Mene waise hi karne laga jaisa karne ko kaha tha , Gayatrididi mujebahot pyar se dekh rahi thi,me bhi muskuraya,in palo ko, Juhi aur Bhargaviji apane camera me kaid karne lagi)Ab apane hatho me wo haldiki katori se haldi le aur waise hi kar. (Mene waise hi kiya, unke chehre par haldi lagne ke baad mene fir Beenaji ko dekha ki bas ho gaya na)Aise kya dekh raha hai, apani jeb se paise dhile kar aur uske hath me rakh.
Gayatri : Nahi, uski koi jarurat nahi.
Beena : Ye jarurat nahi sagun hota hai.
Shiv : Kitne rakkhu? (Waise bhi muje kuchh pata nahi tha)
Beena : Jitna marji ho rakh, ek rupaya bhi rakkhega to chalega.
Shiv : Aap bataona?
Beena : 101 nikal ke rakh, bas. (Mene waise hi kiya) Ab kon aayega? Lata tu aa. (Unhone Lata ki aur dekh kar kaha to wo hichkichane lagi)Kya hua aa. (Lata Shiv ki aur dekhne lagi, mene haa me issara kiya to wo uthi aur waise hi sab kiya jo mene kiya tha, par jab khatam hua to wo meri aur dekhne lagi, me samaj gaya ki kya majara hai to mene use bhi paise diye, usne rakh diya, fir Sarita, Ranjan aur Vina ne bhi kia aur sabne mujse hi paise liye, uske baad Beena madam aur fir ek ek kar ke sab aane lage, sab ne waise hi kiya aur sab paise dene lage, me side me betha dekh raha tha, sabki bari khatam ho chuki thi, Lata ko sare paise Gayatri se lene ko kaha, wo abhi le hi rahi thi ki kisi ne mere gal par kuchh laga diya, mene chaunk kar dekha to wo Swarnaji thi aur khilkhila kar has rahi thi, sab ki nigah hamari aur padi aur sabko samaj me aa gaya ki kya hua, unhone mere gaal par haldi laga di thi, me apane gaal se haldi pochhne laga hi tha ki Bhargaviji ne mere gal par haldi laga di, unhe dekh kar Beenaji bhi aane lagi, me uth kar jane laga to Bhargaviji ne muje pakad kar bitha diya, Beenaji ne bhi muje haldi laga di, har jagah hasi gunj rahi thi, Juhi ko bhi bahot maza aaya wo bhi haldi le kar pahuch gayi, mujse raha nahi gaya aur me bhi utha aur haldi le kar Juhi ko lagane ke liye lapka par wo bhagne lagi, to mene uske pichhe ja kar usko pakad liya aur usko haldi lagayi, uska pura muh haldi se bhar diya, pass me hi Bhargaviji thi to mene unko bhi rang diya, fir to jaise waha dhamal hi hone lagi, Ranjan, Vina sab muje lagane lage, mene bhi sabko lagaya, Naziadidi bhi aa gayi, unhone bhi muje haldi lagayi to mene unhe bhi laga di, Samim aur Vaiswi bethe hi the, wo bas muje dekh rahe the to me gaya aur unke galo par bhi haldi laga di, aunty bethi thi to unke galo par bhi laga di, waha bethe sabke chehre par haldi lag chuki thi, sab bahot has rahe the)
Swarna : Jisko lagani thi usko chhod kar sabko laga di tumne, ab ye kya lagayegi. (Wo bas has rahi thi, abhi bhi katore me kafi haldi thi, fir Lata, Sarita, Swarnaji, Beenaji, sab waha Gayatrididi ke pass beth gaye aur unke pure badan par haldi lagane lage, unki atkheliye jyada hi badhne lagi thi, Ranjan ne Gayatrididi ke blouse ke ander bhi hath dal diya tha, muje laga ki ab muje waha nahi rukna chahiye to me bahar nikal aaya, ander se hasi thahako ki aawaje aa rahi thi, me samaj sakta tha ki ander kya chal raha tha)(Ander sab mil kar Gayatri ke har ang par haldi laga rahe the, koi unke stan par to koi jhangho par to koi chaddi ke ander, Gayatri bahot sharma rahi thi par koi usko baksh nahi raha tha)
Beena : Lata, ja isko ander le ja aur iske pure badan par achchhe se haldi laga dena, koi bhi ang chhutna nahi chahiye, samji na. (Lata ne haa kaha aur wo Sarita aur Gayatri ander ke room me chale gaye, sabke samne to wo sab ho nahi sakta tha, Gayatri ko bahot sharm aa rahi thi par ye rasm hoti hi isiliye hai taki ladki ko pata chale ki ab sharm chhodni padegi, ab koi tumhare sare ango ko aise hi chhuega, aur sath me sare ang achchhe se saaf aur sundar bhi ho jate hai)(Me bahar betha tha ki waha Jhanvi aa gayi)
Jhanvi : Yaha kyu bethe ho? (Uske chehre par bhi mene haldi lagayi thi jo wo saaf kar ke aayi thi par haldi ka pila pan dikh raha tha)
Shiv : Tumhe pata hai na ander kya chal raha tha, fir kaise bethta.
Jhanvi : Tum bhi muh dho lo, sab apana muh saaf kar rahe hai.
Shiv : Jata hu abhi.
Jhanvi :Ab kya program hai?
Shiv : Abhi ek ghante baad panditji aayenge, fir kuchh mandap muhurat karna hai, uske baad sham ko Grahshanti hogi, fir khana aur shadi.
Jhanvi : To fir ab me ghar ja ke kapade badal kar aati hu, ye sab to haldiwale ho gaye hai.
Shiv : Ek kaam kar shakti ho?
Jhanvi : Isme puchhne ki kya baat hai.
Shiv : Wo Samim aur uske gharwale riksha se aaye hai, agar unhe bhi jana ho to sath le jao, aur aate waqt sath le aana.
Jhanvi : Ha thik hai, puchh lo. (Me ander gaya, ander koi muh dho raha tha to koi pochh raha tha, yahi sab chal raha tha, me Naziadidi ke pass gaya)
Shiv : Agar aapko ghar kapade badalne ke liye jana ho to, Jhanviji ja rahi hai, wo apko ghar chhod degi, wapas bhi le aayengi. (Nazia ne apani ammi ki aur dekha, unhone bhi ha kaha)
Nazia : (Par Nazia ke dimag me kuchh aur hi chal raha tha)Abhi nahi, baad me dekhte hai.
Shiv : Thik hai.
Bhargavi : E Shiv, kaha chala gaya tha?
Shiv : Me bahar hi tha.
Bhargavi : Chal pehle sabke sath group photo to le.
Shiv : Ha thik hai. (Vina ko)Bahar Jhanviji hai unhe bhi bula la.
Fir sabne photo khinchwayi, bahot masti chali, fir Vaiswi aur Swarnaji, Jhanvi ke sath chali gayi, Sneha bhi chali gayi, wo aur Pawan wapas aanewale the.Bhargavi bhi thodi der me aane ka keh kar chali gayi, Samim aur uska pariwar aur Beena aur Juhi wahi ruke the. Me bhi nahane chala gaya, Gayatrididi ko abhi nahi nahana tha.
Shiv ke waha ye sab chal raha tha par us se ulat dusari aur Sukhdev tention me betha hua tha, tension ki wajah thi, Udesinh ka phone, unka phone aaya tha ko wo milne aa rahe hai, barso se unke bich ek coldwar chal raha tha, par aaj wo khud samne se milne aa rahe the, wo uski kartoot aur swabhav se parichit tha, kis wajah se wo aa rahe hai wo bhi unhone nahi bataya tha, wo apane office me betha hua tha, jab uski receptionist ne call kiya ki Udesinhji aaye hai wo aapse milna chahte hai, to usnhone unko bhrjne ko kaha. Thodi der baad wo unke office me the sath me unka beta Prithvi bhi tha.
Sukhdev: Aiye, bethiye. (Ye usne khade ho kar kaha tha, Udesinh attitude se aas pass dekhte hue ek sofe par beth gaya, Pruthvi bhi dusare sofe par beth gaya, Sukhdev ne bethte hue kaha)Kahiye, kaise aana hua?
Udesinh : Wah, bahot khub, ghar aaye mehman se aise pesh aate ho, na koi mehman navaji na aur kuchh sidhe mudde par?
Sukhdev : Maaf kijiye (Usne beman se kaha)Kahiye kya lenge, chai ya coffee?
Udesinh : Me chai coffee nahi pita, kuchh mardowala ho to kaho. (Usne bhi rob se kaha)
Sukhdev : (Usne peon ko bulwaya aur whisky lane ko kaha.)Ab bataiye,kis wajah se aana hua?
Udesinh :Itne salo se jo hamari sampati par kabja kiye ho, uske bare me baat karne aaye hai.
Sukhdev : (Vyang se)Aapki sampati?
Udesinh : Hamari hi hai, kanoonan wo hamari hai.
Sukhdev : Achchha, wo kaise?
Udesinh : Wo hamare bhai ki sampati hai aur agar use kuchh ho jata hai tu sabse pehle us par haq hamara, matlab uske najdiki restedar ka hi banta hai.
Sukhdev : Par use kuchh hua nahi hai, wo abhi jinda hai.
Udesinh : Pata hai, par itne salo se coma me rehne ki wajah se court bhi yahi faisala sunayegi.
Sukhdev : To fir jaiye court. Me bhi yahi soch raha tha ki jo sampati aapne daba kar rakkhi hai uska bhi nivaran kiya jaye. Aapko bhi pata hai ki wo sab aapne avaidh rup se kabja kar ke rakkha hai. (Udesinh kuchh bolnewala tha ki darwaje par dastak hui, peon ander aaya aur tin glass waha rakh kar chala gaya, Udesinh ne ek glass uthaya, Pruthvi ne bhi uthaya,kyu ki undono ke bich aisa koi parda nahi tha, Sukhdev ne nahi uthaya)
Udesinh : Achchha avaidh roop se? (Kehte hue wo muskuraya)Bhulo maat ki Yogendra ne powerofattorny ki hui hai.
Sukhdev : Wo is liye kyu ki tab usko aapki sachchayi pata nahi thi.
Udesinh : Aur wo sachchhayi kya hai?
Sukhdev : Wo aap achchhi tarha se jante hai, Yogendra ke pure pariwar ko aapne khatam kar diya.
Udesinh : (Muskurate hue)Ye bas ek iljam hai,aur tum bhi jante ho ki court ne hi muje ba ijjat bari kar diya tha.
Sukhdev : Iska matlab ye nahi ki aapke sare paap dhul gaye hai.
Udesinh : (Ek chuski lete hue)Jab mene koi paap kiya hi nahi to dhounga kyu, agar tumhe lagta hai to sabit karo. (Sukhdev kuchh nahi bola) Dekho, tumhari bhalayi isime hai ki tum in sab se dur raho aur jo bhi Yogendar ka hai wo mere hawale kar do.
Sukhdev : (Muskurate hue apana glass uthata hai)Dhamki de rahe hai? (Udesinh bhi hairan tha ki ye muskura kyu raha hai)
Udesinh : (Peni najar se dekhte hue)Tum jante ho ki me kya kar sakta hu.
Sukhdev : Mere bhi hath bandhe nahi hai. Me apani sarafat ki had me hu, aap Yogendra ke bade bhai hai is liye aap se aap keh kar baat kar raha hu, warna...
Udesinh : (Muskurate hue)Tumhe lagta hai ki tum mera mukabala kar paoge?
Sukhdev : Mana ki aap bahot gire hue hai, par itna to me kar hi sakta hu.
Pruthvi : (Gusse se)Eeee.
Udesinh : Relax Pruthvi (Pruthvi ki aur issara kar ke kaha)
Pruthvi : Par papa...
Udesinh : Mene kaha ne ki Shant. (Pruthvi wapas beth gaya, Sukhdev ki aur dekh kar)Tumhe dar nahi lag raha?
Sukhdev : Aapne sahi samja, aur me kyu daru, kyu ki aapko ek baat pata nahi hai, agar me chahu to ye sari property, (Jor dete hue)aapki bhi, saari trust me chali jayegi.
Udesinh : Wo kaise?
Sukhdev : Yogendra ne apani sari jayedad apane bete ke yani Shivansh ke naam kardi thi thi, aur agar usko kuchh ho jata hai to wo sari trust me chali jayegi, aisa usne apani will me likha hai, shayad usko andesha hone laga tha.
Udesinh : Tum juth bol rahe ho.
Sukhdev : Jaisa apko sahi lage wo samajiye. Me to is liye ruka hua tha ki court bhi kisi khoye vyakti ko kuchh salo tak mrit nahi manta jab wo gum ho chuka ho aur uski body nahi mili ho, par agar aapne jabardasti karne ki koshsi ki to me ye dava court me kar dunga, aapko to pata hai mi mere pass to mera bahot kuchh hai, par aapke pass to sab hathiya hua hi hai, agar mene aisa kuchh kar diya to aapke hath me bhi kuchh nahi aayega, soch lijiye.
Udesinh : (Wo gusse se bhar gaya tha, usne apana glass niche jor se rakkha aur khada ho gaya)Chalo Pruthvi.
Sukhdev : Are itni jaldi bhi kya hai, khanawana kha kar jaiye. (Udesinh me gusse se usko dekha aur wo bahar nikal gaya)(Sukhdev bhi unhe jata dekh raha tha aur gehan vichar me khoya tha)
Udesinh aur Pruthvi dono bahar nikal gaye, Pruthvi gadi chala raha tha aur Udesinh pichhe betha hua tha. Wo vichar magn the.
Pruthvi : Aapko lagta hai ki wo sach bol raha tha?
Udesinh : Ho bhi sakta hai, hum koi risk nahi le sakte. Agar muje pata hota to me ye sab na karta, kuchh aur plan banata.
Pruthvi : Iska matlab ye sach hai ki wo sab aapne hi kiya tha.
Udesinh : Agar wo na kiya hota to abhi tum jo jindagi ji rahe ho wo na hoti, ye aish o aaram, ye aiyashi, ye sab na hoti, samaje.
Pruthvi : Par agar unhone jo kaha waisa kiya to kya hoga?
Udesinh : Wo waisa nahi karega, muje pata hai.
Pruthvi : Wo kyu?
Udesinh : Pehli baat, agar usko karna hota to kab ka kar chuka hota, aur dusati baat, wo aise to sari jayedad trust me nahi jane dega, kyu ki usko bhi ek wajah ne bandh rakkha hai.
Pruthvi : Kon si wajah?
Udesinh : Hai kuchh. Par abhi mudda wo nahi hai, aur abhi wo kuchh waisa karega bhi nahi, par wo kar bhi sakta hai, hume koi rasta dhundhna hoga. (Pruthvi bhi kuchh nahi bola, waise bhi usko ye sab pata nahi tha aur samaj bhi nahi aa raha tha, usko apani aiyashi me hi intrest tha, usko itna to yakin tha hi ki uska baap koi na koi tarika nikal hi lega)
Nahane ke baad jab me bahar ka kaam dekh raha tha, agale karyakram ke liye sab taiyariya kar raha tha.
Ander Nazia aur uski ammi aapas me baat kar rahe the.
Zoya : Sab chale gaye, Beenaji to apane kapade sath me le kar aayi hai. Hum kya aise kapado me rahenge?
Nazia : Nahi aami, me ja kar kapade le aati hu, aap yahi badal lena.
Zoya : Tu kaise jayegi?
Nazia : Me Shiv ke sath chali jati hu.
Zoya : (Wo sara majara samaj gayi, par boli kuchh nahi)Achchha thik hai.
Naziadidi ne muje bulaya. Me unke pass gaya,
Nazia : Agar tume ho to mere sath ghar chal sakta hai, hume kapade lane hai.
Shiv : Ha ha, kyu nahi, waise bhi abhi samay hai, sab taiyar honge, time to lagega.
Nazia : Thik hai, me aammi ko bol ke aati hu.
Uske baad wo dono waha se nikal gaye. Thodi der hi hui thi ki waha Mamta, uski saas aur uske sasur aaye. Ranjan aur Vina wahi bahar hi khadi thi, wo sab dekh rahi thi,Mamta ne uke pass aa kar kaha,
Mamta : Shiv yahi rehta hai?
Ranjan : (Muskurate hue)Ha, aap kon?
Mamta : (Wo usko kya bataye wo soch hi rahi thi)Shiv ko bula dogi?
Ranjan : Wo to abhi bahar gaya hai.
Mamta : Beenabhabhi ko tum janti ho?
Ranjan : Beenamadam, Shiv ki class teacher?
Mamta : Ha wohi.
Ranjan : Ha wo ander hi hai, aiye, me aapko unke pass le chalti hu. (wo sabko le kar ander gayi) Latadidi, Beenamadam kaha hai?
Lata : (Ranjan ke sath kuchh logo ko dekh kar)Wo kamare me hai, kyu? (Tabhi Juhi bahar aayi aur usne sab ko dekha)
Juhi : (Daudte hue unke pass pahuchi)Bhabhiiiiii. (Juhi ko dekh kar Mamta ke chehre par bhi khusi aa gayi)What a plesant surprice, aap to nahi aanewali thi na.
Mamta : Fir maan badal liya, kaisi hai?
Juhi : Bahot achchi (Apani mummy se gale milte hue)Mummiiiiii. (Fir papa ko)Papaaaaaa. (Fir Lata ko dekhte hue)Ye mere mummy papa hai aur ye meri bhabhi hai, Mamtabhabhi. (Ranjan ko)Beenabhabhi ko bol ki mere mammi papa aur Mamtabhabhi aaye hai.
Ranjan : Ha, abhi batati hu. (Beena bhi sunte hi turant aa gayi)
Beena : (Mamta ke pair chhune lagi)Didi. (Mamata ne unhe gale laga liya)Jhuk maat. (Beena ne unke mummy papa ke pair chhune chahe to unhone bhi mana kar diya, aur uske shir par hath rakh kar ashirwad diya)(Juhi ko)Inke liye kurshi le aa. (Ye sun kar Ranjan, Vina aur Juhi tino daudi aur unke liye kurshia leaayi, Sab beth gaye)Aap to nahi aanewali thi na.
Raginidevi : Mana karne ke baad bhi jaise uska dil yahi aane ko tadap raha tha, wo akeli kaise aati to fir hum bhi saath aa gaye, uska bahot maan tha aane ko to fir humne nahi roka. (Mamta muskura rahi thi)
Beena : Bahot achchha kiya aapne. (Fir unki baate chalne lagi)
Udhar Shiv aur Nazia ghar pahuch gaye the.
Nazia : Tum betho me kapade nikalti hu. (Me beth gaya)
Super dhamakedar bahut hi badhiya jabardast update Bhai