Update 28 Flashback 13
Adza AURTHER aur king ek aise kamre me the Jahan Charo taraf sise ki diwar thi .tabhi king ek sise ki tarf Gaye aur kaha .
King - shield activate
Tabhi ek aawaz aai shield activate in 5 4 3 2 1 shield activated.aur fir aawaz band ho gayi .
Tabhi king bole ye hamare yahan ka artificial intelligence (AI) hai ab hum bat Kar sakte hai aur ek tarf apne right hand ko utha KE isara karte hai tabhi wahan Hawa me kuch Kursiyan aa jati hai aur sab waha ja KE baith jate hai .
Fir adza kahta hai Han to AURTHER ab tum apne sawl puch sakte ho.
Tabhi AURTHER kahta hai AAP log acchi tarh se jante hai ki Mai Kya kahunga aur Mera sawal Kya hai to ye formalities dikhana band kijiye please
Tabhi adza kahta hai thik hai AURTHER agar tum yahi chahte ho to yahi sahi .
Lekin tumhari kahani se pahle bhawishyawani ke bare me Jan lo ye to tum bhi jante ho ki tum agar zinda ho to sirf aur sirf bhawishyawani ke wajah se lekin kaise ye Janna chahte ho to suno .
Ye bhawishyawani tab ki hai jab king of council zeon ke pita Lord of council TRIMANDUS ne yaha apni neev rakhi aur Baki grahon ko basaya tabhi ek bhawishyawani hui ki king TRIMANDUS aur king zeon ke bad Jo Lord of council banne ke layak hoga wo yahan se bohot dur kisi dusre grah ka hoga .aur bhawishyawani ne ye bhi bataya tha ki zeon ki ek beti hogi jiska pati kahlane ka haq sirf us nawjavan ko Jaye ga .is bat par king TRIMANDUS ne bhawishyawani se krodh me kaha ki hum aisa hargiz nahi hone denge kisi dusre grahwasi ka hamse Mel namumkin hai jis par sabhi grahwasiyon be sahmati jatai tabhi bhawishyawani se aawaz aai tumhe manna hoga TRIMANDUS aur Mera dava hai ki tum zarur manoge tabhi bhawishyawani ki aawaz band ho gayi .
King TRIMANDUS ne Socha ke unhone bhawishyawani ko badal Diya hai magar wo nahi jante the ki anjane me hi sahi unhone Kya Kar diya hai .
Kuch mahine bad TRIMANDUS ka ek beta hua jis ka name unhone zeon rakha isi tarh salo bit Gaye kuch na hua unhe laga bhawishyawani sirf mazak hai magar ye unki bhul thi zeon KE bade hote hi ek din wo kisi janwaro ka sikar karne Gaye hue the tabhi achanak ek aakh ko choundhiya Dene wali raushni aasman me ujagar Hui aur fir ZEBION planet ke sath sath sare grah hilne lage har ek imarat girne lagi magar Kamal ki bat KE parinda bhi us se mar mari Raha tha bus sub kuch barbad hota ja Raha tha us waqt Tak ZEBION planet bhi tarakki par tha . TRIMANDUS bhi pareshan the apne sare Shashank ko aazmane ke bad bhi unhe kuch samajh na aaya tab unhe bhawishyawani ki yad aai aur unke man ka ghamand chur hua .
Unke bhawishyawani ke yad karte hi wo raushni gayab ho gayi aur bhawishyawani TRIMANDUS KE samne prakat hoti hai
Bhawishyawani ke TRIMANDUS KE samne aate hi TRIMANDUS apni bewakufi ke liye bhawishyawani se mafi magte hai jis par bhawishyawani unse kahti hai ki humne tumhari bhul usi waqt maaf Kar di jis waqt tumne sachhe Mann se hame yad Kiya .
Tabhi TRIMANDUS kahte hai hame aapki sharte manzur hai lekin hum us navjawan ko pahchanege kaise aur wo yahan kaise aayega .aur hum ye kaise Jan payenge ki wo accha hai ya bura hai .
Is par bhawishyawani ki aawaz aati hai usko pahcanne me aapke logo ko koi paresani nahi hogi kyunki wo mara hua hoga .aur use yahan lane ki zimmedari Meri hai na ki aapki aur wo accha hai ya bura hai ye aapme se kisi ko sochne ke ke zarurat nahi hai kyunki use chuna Gaya hai har ek sansar har ek grah me santulan banaye rakhne ke liye .
Tabhi TRIMANDUS kahte hai sirf ek sawal agar wo mar Chuka hoga to wo yahan Raj karne ke yogya kaise hoga .
Ispar bhawishyawani ki aawaz aati hai wo mara hua hoga magar sirf kuch dino KE liye aur uski purani Zindagi ki yaden hi use nayi manzil dikhayegi aur fir bhawishyawani ki aawaz aani bhi band ho gayi .
Isi tarh adza AURTHER ko ZEBION se Jude har bat batate hai ki kaun dost hai kaun dushman jab sari bate adza AURTHER ko Bata dete hai tab AURTHER kahta hai .
Iska Matlab mujhe yahan lane wali bhawishyawani hai lekin Mai hi kyun
Mai to is layak Tak nahi Jo apni bahan aur pyar ko bacha saka .
Ispar king zeon AURTHER ke kandhe par hath rakh Kar kahte hai ek waqt me Mai bhi lachar tha tumhari tarah .tumhe himmat se Kam Lena hoga aur bhulo mat ki tumhe chuna Gaya hai .
Tabhi AURTHER kahta hai Mai itni badi Zimmedari KE liye taiyar nahi hun tabhi king kahte hai hum tumhe taiyar karenge
Waise bhi jis earth grah se tum aaye ho wahan ab tumhara kuch hai nahi bura mat manna lekin ye sach hai der saver tumhe ye swikar karna hi hoga .