Zabardast fantastic updateUpdate ::: 90
*************
haveli ke andar pohnche to sab lawn me hi kursiyon par baith gaye... abb sone ki zarurat rahi thi aur na hi time.. sab wahi baith kar guzre samay ke baare me jaanne k liye bechain the.. main, naina aur renu hi nahi jaante the.. baaki shayad sab jaante the..
baba gehri soch me doob gaye.. sab unke charon or baith gaye the..
bahar jo bhi jung hui thi. baba bhi wo jung lad sakte the, parr jab unka aur betiyan kisi se kamm nahi the to fir unki zarurat hi kya thi.. aur sab humne karna bhi apne hisab se tha.. aisi situation me kisi k liye bhi khatra ban sakta tha.. aur hum koi khatra mol nahi le sakte the.. isliye kisi ko bhi shamil na karne ka faisla kiya tha.
humne aate hi baba se unki kahani sunne ka keh dia tha.. kahani sunne ke baad sabb asal baat tak sahi se pohnch sakte the..
fir ek lambe saans chhodte hue baba sab ko dekhne lage.. uske bad baba ne humen apni zindagi ke baare me batana shuru kar dia.. kuch to main pehle bhi didiyon se jaan chuka tha.. parr sab nahi jaan paya tha.. aur fir jaise baba hume batate didiyan vaise nahi bata sakti thee...
fir baba ne apni kahani humen sunaayi jisme surinder singh ka bhi zikar tha, aur bhi bohut se characters the usme .. kahani bohut lambi thi baba ki zindagi ki.....
main aap sabb ko kisi hadd tak short me batata hon...... sab jaanna zaruri bhi hai aap sabb k liye..
FLASHBACK
*************
baat tab ki hai jab sher singh 24 saal ka tha.. vaise to uske doston ki ek lambi line thi....... parr jaise jaise sher singh ne khud ko manwana shuru kiya, uske friends ki list to badhi hi thi..... desh ki seemayen bhi paar karne lagi thi.. sher singh jo rajasthan ka sher tha.. har dil azeez tha.. delhi ki ek nawab family se talluq rakhne wale feroz khan se bhi sher khan ki dosti ho gai.. feroz khan ke sath sher singh ki khub jamne lagi.. jab bhi dono milte to dono ek dusre ko apni zindagi ke baare me batane baith jaate..
feroz khan ko muhim jui ka pagalpan ki hadd junoon tha.. dunya ki har us jaga jana, jahan kam hi log jaya karte the..... behtreen shikari tha feroz khan... kai baar africa ke alag alag hisson me bhi ghoom aaya tha.. kai baar jaan jaate jaate bachi uski, parr uska junoon kamm nahi hua.. firse kuch samay baad wo ghar se kisi aur khatarnaak ilake ke liye nikal khada hota..
sher singh ko bhi shok hua to usne bhi feroz khan ke sath ek chakkar africa ka lagane ka soch liya....................
feroz khan to jata hi rehta tha.. sher singh uske sath jaane ko razi hua to feroz khan khush ho gaya......... use sher singh jaise ke sath africa jaane ka soch kar hi maza aane laga tha..
fir sabb tayyari karne lage.... aur 1 mahine baad sabb africa k liye nikal pade... feroz khan ke paas bohut se aise naqshay the, jahan par khazano ke paaye jaane ke amkaan hua karte the........ feroz khan lalchi nahi tha, par muhim jui ke zariye hasil hone wale khazane ka rassiya tha...... aisi hi life feroz khan jiya karta tha..
sher singh ke doston me se sher singh ne sirf surinder singh ko sath lejaane ka mann banaya .... surinder singh sher singh ko apne doston me sabse badh kar aziz tha.. uski family se sher singh ke pariwarik relations bann gaye the.. surinder singh ki behen nisha singh ne bhi sath jaane ka bol dia......... sher singh surinder singh ko to sath le jaana chahta tha, parr nisha singh ko nahi...... africa ke jungle har kisi ke liye surakshit nahi hua karte the.. jaan ka khatra bohut zayada hota tha, aksar jaane wale laut kar aaya hi nahi karte the.. kai lautte the to kai raah me hi tarha tarha ki museebton ka shikaar hokar marr jaya karte the.. aur fir nisha singh ladki thi.. to uske liye khatra aur bhi badh jaata..
feroz khan ko pata chala to
feroz khan:- jaane do use bhi hamare sath sher singh.. hamare sath aur bhi kuch ladkiyan hongi, mere kuch dost bahar ke han to unke gharon ki ladkiyan bhi sath hi jaayengi......... bohut se guards suraksha k liye bhi sath honge, to tension lene ki zarurat nahi hai...........
sher singh abb kuch nahi bol sakta tha.. wo chah kar bhi nisha singh ko mana nahi kar paaya.. nisha singh mann hi mann me sher singh ko apna pati maan chuki thi... sher singh bhi ye baat kisi hadd tak samjhta tha.. parr wo hamesha hi nisha singh ko apni sagi behen hi jaanta aaya tha.. wo chah kar bhi nisha singh se pyaar nahi kar sakta tha......... uska mann hi kuch aisa tha.. pyaar ke chakkron se door rehne wala.. aur fir wo nisha singh ko dil se behen bhi maan chuka tha.. dono gharon me family relations bohut strong bhi ho gaye the....
ye wo time tha, jab sher singh apne pariwar ke sath udaypur shehar me rehne lage tha..
sab pehle by air london pohnche ....... wahan feroz khan ke dost uska wait kar rahe the.. sab ek dusre se bade chaao se mile.. fir sab ek sath drawing room me baith kar coffee peete hue aage ki planning karne lage...... pure group me sher singh ki personality sabse badh kar thi.. sher singh ki look aur chehre ki chamak bhi sabse badh kar thi..mardana wajahat me bhi sher singh number 1 tha.... sab ladkiyan use bhav dene lageen... par sher singh ne kisi par dhayan nahi dia....... aur sabse alag thalag rehne laga...
2 din ki rest ke baad sab africe ke liye nikal pade............. sher singh ke sath africa jaane wali team me jo khaas characters the..
jaswant rana........age 45 .....feroz khan ka dost.. avinash aur nilesh ka baap
dharmesh rana.......age 24 ...son of jaswant rana .. avinash aur nilesh ka bhai
surinder singh......age 26.... sher singh ka dost
nisha singh.........age 24.... surinder singh sister
feroz khan..........age 28
jaggu...............age 33.......feroz khan bodyguard
karnal david........age 48.......feroz ka friend
rodolf..............age 47.......feroz friend
edward .............age 28.......feroz friend
anderson............age 30.......feroz friend
nathan..............age 25.......karnal david...son
sando...............age 24.......rodolf..son
saaria .............age 25.......rodolf...daughter
ena.................age 24.......rodolf...daughter
lora................age 24.......saaria...friend
leona...............age 23.......saaria...friend
aur bhi bohut se guards wo sath lekar chal rahe the.. kuch feroz khan india se apne sath lekar chal raha tha to kuch london se lekar sab chal pade the..
sab samandar ke raaste jaane wale the....... dusre din sab gaadiyon me baithe aur bandargaah ja pohnche..
sab fir saman samet ship par sawar hokar africa k liye nikal pade.....
sumandri jahaz ka safar, wo bhi samandar me rehte hue safar, sher singh, surinder aur nisha k liye bohut hi maze wala tha.. wo aisa safar pehli baar kar rahe the.. surinder ek chakkar europe ka laga chuka tha.. par sher singh nisha singh ke liye ye pehla chance tha.. dono desh se bahar the, dono ship par sawar samandar ke safar ka lutf uthane lage....... nisha singh sabse zayada khush thi.. uske mann ki chah puri ho rahi thi.. sher singh ek sath safar karna aur fir time spend karna uske mann ki chah thi..
sher singh khush tha.. pura desh wo ghoom chuka tha.. desh ka har chhota bada shehar aur hil station wo dekh chuka tha. africa ke bare me bohut kuch sun rakha tha usne... par kabhi desh se bahar jaane ka chance nahi bana tha..
ab wo desh se bahar hi nahi africa ke junglon me jaane wala tha, ye soch kar hi wo bohut excited tha........ dangerous life jeena to uska mann pasand khel tha..
par ladkiyan ko bhi ek aur adventure dikh gaya tha sher singh ki surat me.. angrez ladkiyan sher singh ke aage peeche ghoone lageen..apni adayen dikhane lageen.. aur sher singh sabse door door hi rehta.. nisha singh ye dekh kar andar hi andar jalne lagi thi.. use gori ladkiyon par ghussa aane laga.. par wo kisi se kuch keh nahi sakti thi.. wo sabse apne sher singh ko bacha nahi sakti thi.. aur fir sher singh uske hisab se uska tha, sher singh ke hisab se nahi..
jahaz ke safar me koi ladki aisi nahi thi, jisne sher singh ko pareshan na kiya ho.. ek sher singh ladkiyon se hamesha hi door rehne wala insaan tha, dusre sari ladkiyan hi uske jaanne waun se related thee..
saariya ne sabse zayada sher singh ko pareshan kiya.. jab bhi wo sher singh ko jahaz ke arshe par akela paati to uske paas ja pohnchti....
aise hi ek din shaam ke samay sher singh jahaz ke arshe par khada hua tha, k saariya uske paas aa gayi........ sher singh jo samandar ki lehron ko bade dhayan se dekh raha tha.. saariya ko mehsus nahi kar paaya..
saaria:- kya dekh rahe ho sher singh.......... jaisi lehren samandar me uth rahi hai, vaisi hi lehren mere dil me bhi uth rahi han
sher singh jo pehle se hi sabhi ladkiyon se tang aaya hua tha... wo palta aur saariya ko kandho se pakad liya....... sher singh ki ankhon me laalgi dekh kar saaria darr gayi..... sher singh ki pakad mazbut se mazbut tar hone lagi, to saariya ko dard hone laga
sariya:-s-sher singh..... sariya sher singh ki pakad se aur ankhon ki laalgi se darr gayi thi..
sher singh:- tum kahan chali gayi thi meri rani.. saalon se hi main tumhe khawab me dekh raha hon.. aaj ja ke kahi tum mere saamne aayi ho.. chalo naa khud ko samandar ki lehron ke sapurd kar den..
sher singh ki baat sunkar, uski ankhon ki laalgi aur deenwagi jaan kar saria ka gala khush hone laga.. use laga k sher singh par koi saaya hai, aur wo use rani samjh raha hai
saria:- k-kaun r-rani
sher singh:- tum ho naa mere khawabon ki rani, saalon se main tumhe apne saamne paane k liye bechain tha, abb jaa ke meri bechaini ko kuch rahat mili hai.. sher singh sariya ki ankhon me dekhte hue khoye khoye andaz me bola... chalo na samandar me kood ke pyaar karte han..... sher singh ka chehra saria ke chehre ke kareeb hone laga.. to saaria dehshat me aa gai aur cheekhne lagi.... puri taqat laga kar khud ko sher singh ke kabze se nikala aur bhaag khadi hui........
saaria ko bhaagte dekh kar sher singh muskurane laga.........
sher singh khud se hi..... aise hi tum sabb control me rahogi.. ab tum sabko bataaogi k mai pagal hon........ sher singh ke honto ki muskan gehri ho gai..
hahahahaha. tumne sahi kiya sher singh jo us chudail ko bhaga dia........ awaz sunkar sher singh ne mud kar dekha to saamne nisha ko paa kar wo firse jal bhun gaya
"aai gai ek aur, mera dimag chaatne wali"
nisha:- sach me hi ye samandar ka safar kitna romantic hai naa sher singh
sher singh:- to chalo na samandar ki lehron par terte hue pyaar karte han... sher singh ne nisha singh par bhi wahi pentra istemal karne ki koshish ki. par nisha singh bhi pure dino ki thi
nisha singh:- (sher singh ke hath tham kar) haan chalo na,(nisha singh nisaar hote hue boli) bohut maza aayega hum dono samandar ki lehron par honge aur koi bhi humen disturb karne wala nahi hoga...
sher singh:- nisha singh tum baaz kyun nahi aa jaati.. chhod kyun nahi deti mere baare me sochna.. mai ek sarrab hon, tumhare kisi kaam ka nahi hon..
nisha singh:- apni zindagi se kaun apna nata tod sakta hai sher singh.. kaise main khud ko baaz rakh sakti hon.. tum to meri saanson me bas gaye ho..
sher singh:- aur maine 1000 baar tumhe kaha hai k main tumse pyar nahi karta
nisha singh:- aur maine bhi 1000 baar tumse apne yaar ka ikrar kia hai.. tumhare liye hi to maine ye africa ka safar shuru kiya hai.. mai har dumm hi tumhare sath rehna chahti hon sher singh..
sher singh:- par main to har dumm tumhare sath nahi reh sakta
aisi hi nok jhok dono me hoti rehti thi...... nisha singh ek ziddi ladki bhi thi.. jo mann me soch leti thi karke rehti thi.. jis cheez ko paane ka mann bana le, use paane ke liye kisi bhi hadd tak utar aati thi.. parr sher singh k liye wo abhi limit me thi.
surinder singh aate hue dikha to nisha fir milne ka bol kar laut gayi...
surinder paas aaya to
surinder:- kya dekh raha hai samandar me. surinder ne sher singh ko ek bazo ghumar kar dusre kandhe se thaam liya... bohut yarana tha dono ka
sher singh:- samandar ka ye safar hamare liye kitna masroor kun hai naa
surinder:- haan te to hai. by air to bohut baar travel kiya hai, par by ship pehli baar.. sach me hi bohut maze ka hai ye safar
sher singh:- tu suna tera dil to laga hua hai naa sabme..
surinder:- dil ki kya baat karte ho sher singh. aas paas dher saari titliyan ghoom rahi han, safar bohut mast jaa raha hai.. surinder hassta hua bola.. surinder tharki nahi tha. par doston me rehte wo masti zarur kiya karta tha.. ladkiyon ko chhed bhi leta tha, par limit me rehte hue
sher singh:- kisi ke sath dance ka chance bana k nahi'
surinder:- haan ek american ladki ke sath 2 round dance kiya tha kal raat ko... jab tu mujhe wahi chhod kar khisak gaya tha.. surinder maze leta hua bola
sher singh:- chal fir aaj main bhi tera dance uski american ladki ke sath dekhonga.. dehkon to sahi, english dance tu kaisa karta hai.. sher singh ka mood bhi achha ho gaya tha..
nisha door khadi hui sab dekh rahi thi, wo gai nahi thi.. door khadi apne bhai ko aur sher singh ko dekh rahi thi
raat dinner ke baad sher singh bhi ship ke haal room me jaa pohncha.. wahan baithne aur drink ka alag se intezam bhi tha... jiska mann hota wo ek makhsoos jaga dance bhi kar sakta tha..
surinder aur sher singh dono ek table par baith gaye.. sher singh aur surinder ke apne liye shiskey order ki. ye sabb wo karte hi rehte the..
dono chuskiyan lete hue ek dusre se baat karne lage to ek american ladki haal room me dakhil hui dikhi. sher singh ne use dekha to
sher singh:- waah kya piece dhunda hai tumne surinder.. sach me hi kamaal ki sunder ladki hai
surinder hassta hua bola..... maine kaunsa iske sath shadi karni hai.. bass kuch dino ki enjoyment ha.. aur fir koi isse bhi badhkar mili to uske sath bhi thoda sa maza kar lunga..
sher singh bhi hassne laga, wo ladki dono ke paas aa pohnchi.. ek khali kursi par baithte hue sher singh ko dekhne lagi.. fir wo surinder se boli
ladki ka christina tha
chrintina:- suridner tumhara dost to personality me bohut badhiya hai.. surinder whiskey ki chuski le raha tha, christina ki baat suni to bhara hua ghoont uske mohn se bahar aa gaya.. wo hassne laga
surinder:- christina ek tum hi nahi ho jo iski tareef kar rahi ho, ship par maujud adhi ladkiyan to iske peeche han
christina sher singh ko upar se neeche tak dekhne lagi fir boli
christina:- wo sab galat bhi nahi karti.. ise dekh k to koi bhi iske aage peech ghoomne lage.. naam kya hai iska
surinder:- sher singh
charistina thodi si hindi bhi jaanti thi
christina:- sher matlab lion
surinder:- haan lion. ye asli sher hai..
sher singh:- bas karo kisi aur topic par bhi baat kar lo.. dono mujhe leke hi baat karne lage ho
christina:- sher singh mere sath dance karna pasand karoge...... surinder ko bhul kar wo sher singh se dance karne ko bolne lagi
surinder kuch bolta sher singh bol pada
sher singh:- nahi madam aap is gadhe ke sath hi dance karen.. mera mann nahi hai dance ka
sher singh ki baat par surinder singh, christina ka hath thaam kar uth khada hua aur thode faasle par pohnch kar jahan aur bhi couple dance kar rahe the. wahan dance karne laga.. christina bhi surinder ke sath dance kar rahi thi.. par uski nazar sher singh par hi rahi..
ek round kaise bhi karke surinder ne christina ki gand par ek laat maari aur use bhaga dia....... sher singh ke paas pohncha to
sher singh use dekh hassne laga
surinder:- ek to tere sath dosti karne ka koi fayda nahi hai.. ya to banda brahmchari ban jaaye... ya tu apni surat badal le... sala tere rehte meri value nahi badhne wali... bada khush tha main k chalo christina ke sath safar achha guzrega.. par nahi tu hai naa mere sath.. mera aise hi kabada hota rahega.. sher singh hassne laga
sher singh:- koi naa aur bhi to bohut si han, christina na sahi koi aur sahi.. uske sath maze kar lena
surinder:- haan wo to main karunga hi.. parr us time jabb tu mere sath nahi hoga
sher singh:- to fir tu maze kar aur main feroz khan se milkar aata hon
surinder khush ho gaya.. sher singh surinder ko maze maarne k liye chhod kar uth nikal pada aur surinder kisi aur ko taadne laga
sher singh haal se nikal kar feroz khan ke cabin ki or badh gaya... parr raste me hi use saaria ne fhar liya
saria:- sher singh tum pehle mujhe stupid bana rahe the naa..
saria ko dekh kar sher singh mann me bolne laga"firse aa gai museebat"
sher singh:- chalo mere sath main tumhe bataaon k main tumhe stupid bana raha tha ya nahi
sher singh firse badle hue lehje me bola
saaria:- y-ye t-tum firse kaise pehle jaise ho gaye.. abhi to tum theek the
sher singh ne saria ko apni bahun me bharte hue seene se laga liya aur uski gardan par hont laate hue achanak se hi dant saria ki gardan me halke se gaadh diye... aur lambi lambi saanse lene laga........
sher singh:- aahhh teri gardan se kitni zabardast kisam ki khushbu aati hai.. tere gale ki ragen kaise khun se bhari hui han.. aahh saalon se khun nahi piya, abb to khun ki mehak bhi mujhe mehsus hone lagi hai.... sher singh ki baat sunkar saria kaampne lagi.. wo khud ko sher singh se chhudwane k liye zor lagane lagi....
wo firse cheekhne hi wali thi k sher singh ki nazar kuch faasle par side me chhup kar khadi hui nisha par chali gayi..... sher singh ko idea aaya to usne saria ki gardan ko choom liya.... saria jo cheekhne wali thi.. wo sher singh ke choomne se sisak uthi
sher singh:- aahhh teri jawani kitni zabradast hai.. kitni mast khushbu aati hai tere jism se.. main to bin piye hi madhosh hone laga hon.. apne jism ka ek jaam mujhe bhi pila de saaria
sher singh ki awaz itni thi k kuch faasle par khadi hui nisha singh ne sun li.... use ek jhatka laga aur wo wahan thehar na saki wo bhaagti hui apne cabin me jaa ghusi
nisha ko jaate dekh kar sher singh ne firse apna chola badal liyaa.. saaria jo sher singh ki romantic baaton se sher singh ke uski gardan ko choomne se mast ho gai thi.. wo firse dehl uthi...... ek jhatke me wo sher singh se alag hui
saaria:- abb mujhe yakeen ho gaya hai k tum sach me hi pagal insan ho.. abb se kabhi mere samne matt aana
sher singh:- kahan jaa rahi ho meri jaane mann. zara thehar to sahi.. dekh rahi nahi, samandar ki lehron par dolta hua ye ship, fir chandni taaron bhari raat.. aahhh aise romantic mahol me mujhe chhod kar jaa rahi ho.. aao naa paas mere.. aao kuch pal pyaar bhari bita len
saaria sher singh ko aage badhta hua dekh kar chillate hue bhaag khadi hui
sher singh feroz khan k cabin me ja ghusa .. sher singh ko dekh kar feroz khan bola
feroz khan:- aao yaar tum kahan reh gaye the.. dekho to kaise budhe mujhe maat dene par tule hue han.........
feroz khan ke cabin me shatranj ki bisat bichhi hui thi.. sare angrez wahi maujud the.
lora aur leona bhi wahi maujud thee.. wo sher singh ko dekhne lagi .. sher unpar dhayan diye bina feroz khan ke sath baith gaya
sher singh shatranj ka manjha hua khiladi tha.. wo chess board ko dekhne laga..
feroz khan:- dekho sher singh dekho kaise rodolg me mujhe phansa dia hai.. rodolf ek businessman bhi hai.. bohtu tez dimag bhi hai to business ke sare pentre isne mere upar azma dale han.. mujhe to lagta hai aaaj is jahaz par meri shatranj ki zindagi ka the end hone wala hai..
sher singh shatranj ki bichhi bisat ko dekhne laga... fir wo rodolf ko dekhne laga
sher singh:- haan to mr rodolf main apne dost ki or se chaal chal sakta hon
rodolf:- ohh haan kyun nahi zarur chalo chaal.. hahaha parr tum bhi kuch nahi kar sakte, ye meri favourite chaal hai bachhe, isse bach kar nikal pana mumkin nahi hai
sher singh:- achha aisi baat hai to fir dekhte han.. sher singh ne fir rodolf ki chal ko ulatne k liye ek mohre ko sarka diya....
rodolf:- ohh..oho..oho .. khair koi baat nahi..... itna bol kar rodolg ne bhi sher singh ke mohre ko peetne ke liye paidal ko aage badha dia..
rodolf ke jawab me sher singh ne bhi fir ek mohra aage badha dia.
rodolf ke sath baaki sab bhi cheekh pade
rodolf:- ooohhhhhhhh .. namumkin khuda ki kasam namumkin ye chaal kahan se nikal aayi
feroz khan hassne laga
feroz khan:- kaha tha naa mere dost se badhkar koi nahi hai.. hahahahaha
rodolf:- zarur tumne koi cheating ki hai youngman.
baazi abhi khatam nahi hui thi.. sher singh ne chal par chaal kar rodolf ko aur bhi uljha diya tha.. shre singh ke jawab me rodolf ne ek chaal aur chal di......
rodolf ke chaal chalte hi uske sathi cheekh pade......... rodolf abb bach kar dikhao
rodolf:- enn.. kya maine galat chaal chal di hai.. rodolf ko achanak se ehsas hua k wo galti kar baitha hai..
sher singh ne rodolf ka dhayan biast par karte hue akhri mohra aage sarka dia to
rodolf uth kar khada ho gaya.. aur sher singh ko khench kar apne seene se laga liya. rodolf bhi ek bodybuilder insaan tha..
rodolf;- feroz khan tumne is ladke ka mujhse sahi se introduction nahi karwaya.. yaar ye ladka to puri dunya me hi tahalka macha kar rakh dega.. shatranj ka aisa khel maine apni puri zindagi kahi nahi dekha
sher singh ko rodolf ne khud se alag kar dia aur use ghorse aur pyaar se dekhne laga
feroz khan:- bataya to tha rodolf.. london me iska puri tarha se intro karwaya to tha.
rodolf:- abe chal hatt kameene kahi ke... aisa insan ka intro tumne mujhse kitne simple tarike se karwaya tha.. abe chutiye ye bohut khaas ladka hai
***********************************************************************************
ship ka safar sher singh k liye kabh acha to kabhi uljhan amez guzarne lagta..
saaria ko sher singh mental ban kar milta .. parr saaria khud bhi shayad mental case thi.. sher singh ne jaane kitne hi pentre uspar use kiya the parr wo thi k dhaak ka ek paat
wo kuch samay baad firse sher singh ke peeche pad jaati thi
nisha singh us raat ke baad do din sher singh se door rahi thi.. nisha bhi ajeeb character thi.. kehne ko wo sher singh se pyaar karti thi.. salon se use jaanti bhi thi.. use chahti bhi thi.. fir bhi use sahi se smajh nahi paayi thi.. us raat sher singh ne nisha singh ke saamne saria ki gardan par kiss kar di thi.. usse romantic baaten bhi kar li thee... nisha sher singh ki baaten sunkar, use saria ko choomte dekh kar sher singh se door ho gayi thi
do din me hi use andaza ho gaya k us raat sher singh ne use dekh liya isi liye wo us samay saia ke sath aise react kar raha tha..
teesre din wo firse sher singh ke peeche pad gai thi.. aise hi africa tak safar beeta
surinder ladkiyan badal badal kar masti karta raha.. nisha singh k sath dusri ladkiyon ne sher singh ka dimag chata hua tha..
ship angola ja pohnchaa........ sab ke sab masroor the .. sab ke khawabo ki sar zameen aa gai thi.. abhi to shehri area tha.. parr ship ke arshe par khade hue wo jungle ko bhi raaste me dekhte aaye the.. badi badi doorbeen thee sabke paas..
surinder ne sher singh ko peeche se apni bahun me bhar kar utha liya
surinder:- aahhh mere dost aaj teri waja se mujhe africa ki sar zameen par kadam rakhne ka moka mila hai.. adhure khawab aaj pure hue
sher singh:- haan adhure khawab pure ho goaye han hamare.. parr hum yahan tourist ban kar nahi muhim ju ban kar aaye han.. hum wahan jaane wale han.. jahan jaane wale askar laut kar nahi aaya karte .. main abb bhi kehta hon nisha ko yahi se by air wapis bhijwa do.. uske liye khatra zayada hai surinder yaar
surinder:- kuch nahi hota, itne sab to han na hamare sath.. aur fir tu bhi to jaanta hai k nisha sabki ladli hai, uske mann ki koi bhi chah hum adhuri nahi rehne de sakte.
sher singh kaise bhi kar ke nisha ko wapis bhijwana chahta tha, ek to khud uske liye nisha museebat thi, dusre africa ki muhim jui aksar hi jaan leva hoti hai. bohut si books me sher singh ne padh rakha tha.. aur africa ane se pehle bhi wo bohut si kitaben africa se related padh chuka tha.. wo bohut achhe se aise halaton ko samjhta tha..
parr surinder singh ya nisha singh is baat ko seriously nahi le rahe the.. sher singh ek lambi aur thandi saans chhod kar saamne angola ke seaport ko dekhne laga..
kuch hi der me sab ship se utarne wale the, aur hungamon se bhari zindagi shuru hone wali thi....
NOTE:__FLASHBACK KO ZAYADA NAHI KHENCHA JAAYEGA.. KOSHISH HOGI K FLASHBACK 4-5 UPDATES ME HI KHATAM HOJAAYE
bohut bohut shukriya bilal bhaiZabardast fantastic update
Awesome update bhai waiting for next updateUpdate ::: 89
*************
dono haveli pohnch kar upar wali manzil par bane ek kamre me ja ghuse.. wahi se sheeshe ki oot se bahar dekhne lage...... basti wale bhi sabb helicopter ko dekh chuke the.. wo bhi ek jaga jama hokar helicopter ko aata hua dekhne lage..
haveli me maujud sab apne apne hathiyar thaam kar position le chuke the.. ye sab dushmano k liye tha.. sab tayyari puri thi.. sab hi marne aur maarne k liye tayyar the... dushman kabhi bhi is taraf nahi aaya tha, par sab hamesha hi saavdhan raha karte the..
haveli ke tamaam mard hathiyar hathon me thame helicopter ko dekhne lage.. jald hi helicopter paas aane laga te sab jaan gaye k helicopter payal sisters se realted hai. wo hamesha hi is helicopter par aaya karti thee.. charon behne hi helicopter uda leti thi... is samay bhi un charon me se ek pilot bani hui thi..
upar kamre me maujud sher singh aur prabha singh bhi neeche aane lage..
haveli ke lawn me sab khade hokar helicopter ke land hone ka intezar karne lage.. haveli bohut badi thi, helicopter bhi haveli ke andar hi ek jaga land hone wala tha......... haveli ka gate bhi khol diya gaya.... basti wale andar aane lage.. sab hamesha hi charon behno ka milkar sawagat kiya karte the
is baar bhi wahi sabb tha
kuch hi der me helicopter heveli k upar tha.... sab use hi dekh rahe the.. sab bohut khush ho gaye the.. sab ke dil ek dumm se hi jhoomne lage the.. basti me ronaq jo badhne wali thi..
fir helicopter land hua, kuch der me fir sabb ek ek karke helicopter se bahar aane lage
sabse pehle charon behne hi bahar niklee theeee.. laila aur jagat ke chehre mask me chhupe hue the.. ye surprise tha sabke liye
shamsher singh aur uske pariwar wale sab heran reh gaye the.. aaj se pehle kabhi aisa nahi hua tha k charon behne apne sath kisi ko laayi hon.. par is baar to chaar ka izafa ho chuka tha
renu,veer singh aur naina singh bhi, laila aur jagat ke sath maujud the.. haveli wale khush to the, par heran bhi the..
paanch anjaan logon ke sath charon ghar ki betiyan aayi thee, to ghar wale pehle jaisa bartao nahi kar sake the.. sab wahi khade hue sabke paas aane ka intezar karne lage
************************************************************************************
helicopter me baitha main sabke sath apne pariwar walun ke paas jaa raha tha,jaise jaise basti paas aati ja rahi thi, vaise vaise dil ki dhadkan bhi shor machane lagi thi...
main darinda sift bhi bann gaya tha. par dil se main raja hi tha, jo narm dil rakhta tha, sab se pyar karta tha.. apno ke liye to main behadd narm tha..
basti paas aayi to dhadkano ka shor aur bhi badhne laga, naina ka bhi kuch aisa hi haal tha.. mere ek bazo ko thaame hue wo kabhi mujhe to kabhi bahar dekh rahi thi..
basti nazar aane lagi.. payal di aur dusri sab humen basti baare batane lagee, laila maa bhi bohut bechain thee.. jald se jald wo sab ke beech pohnch jaana chahti thee
helicopter haveli ke upar pohncha to hum sab haveli me maujud sabko dekh kar khush ho gaye.. sabb hamare liye hi maujud the.. par wo kuch jaante nahi the
ritika aaj helicopter ki pilot thi, usne helicopter ko land kiya.. laila maa aur jagat mama ke chehre mask se cover kiye hue the, sab neeche utre to sab ko dekh kar dil khushi se jhoom uthe.. sabki nazron me herangi bhi hum sabb dekh paa rahe the..
meri didiyan sabse pehle aage badheen, unke sath laila maa thee, jagat mama peeche
mere, renu aur naina ke sath the.. hum normal kadmon se aage badhne lage
mann to tha k ek long jump lagaon aur pal bhar me hi sabke paas ja pohnchu.. ghar ke sab afrad ki pics maine aur naina delhi me hi dekh li thee.. delhi me bhi ek kothi thi meri behno ki..
maa baba dada dadi aur dusre sabb meri nazron ke saamne the, aur mere andar toofan aaye hue the.. khud par bhi control rakhna tha, aur dusron ko bhi control se bahar hone se bachana tha..
payal di ne bataya tha k maa baba aur dusre sab mere liye aur naina k liye bohut tadpe the, main akela waris tha is khandan ka.. mai hi sabse door ho gaya tha.. bohut dard saha tha sabne..... parr sab bhagwan par vishwas banaye hue the.. dard ko apne andar daba kar ek normal life ji rahe the..
achhe samay ka intezar kar rahe the.. aaj wo achha aur khushgawar samay laut aaya tha.
aaj sab mil rahe the..
main sab ko dekh raha tha, aur sab ankhon me hairat liye hum sab ko dekh rahe the.. meri didiyan aur laila maa jab paas pohnchne wale hue to meri maa laila maa ko ghorse dekhne lagi.. apne liye to dil bol diya karta hai k dekho jo dil me basa hai, wo laut aaya hai.. laila maa ki kahani jo fake laila maa ne batayi thi, wo sari kahani sahi thi..
meri maa laila maa ko ghorse dekhne lagi.. laila maa ka chehra mask me dhaka hua tha, par ankhen to nahi, laila maa ki ankhen to helicopter me baithte hi namm hone lagi thi... unke dono bete bhi saamne maujud the. kaise laila maa khud par control kar paati.. bohut mushkil unhe ho rahi thi..
meri maa bhi to laila maa ke sath saalon rahi thi.. dono ek do jism ek jaan ban gai thee.. kaise fir meri maa laila maa ko na pohnchanti.....
meri maa cheekh padi
maa:- lialaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa....... abb laila maa se bhi sehn nahi hua .. mask utaar phenka aur bhagti hui jaa kar maa ke gale lag gai.. maa aur laila maa dono hi phoot kar rone lagi theeeeeee..
maa ke mohn se laila naam sunte hi sabko jhatka laga.. main naina aur jagat mama peeche peeche rehte sab ko dekh rahe the.. laila maa ke dono bete to jaise girne wale ho gaye the..
laila maa aur meri maa dono khub awaz me rone lagi thee.. dada dadi, chacha chachi, unke bachhe sab khushi se aansu bahane lage the
main,naina aur renu chalte hue dada dadi ke paas pohche aur jhuk kar unke paon chhu liye.. sab kabhi maa aur laila maa ko to kabhi humen dekh rahe the..
apnu k liye dil me lehren si uthne lagti han.. laila maa barson baad mili thi, jab unhe kidnap kiya gaya tha to mere baare me sirf wahi jaanti thee... naina bhi uske pati ke paas thi.. wo nahi bacha, laila dushmano ke hath ja lagi..
abb wo lauti thi, to uske sath ek anjaan admi mask me tha, aur ek jawan ladka aur do ladkiyan bhi sath thee.. main aur naina asli surat me the. hamare chehre kisi se match nahi karte the
parr kisi hadd tak mumaaslat thi hamare chehron me.... sab pehle hairat se humen dekh rahe the.. maine,naina aur renu ne dada dadi ke paon chhuwe to dono ko jhatka laga.. foran hi dono ne humen kandhon se thaam kar khada kar dia.......
humse bhi control chhootne laga tha, hamari ankhen bhi namm hone lagi thi.. hum khade hue to dada aur dadi kaampte hue humen dekhne lage, hamari ankhon me nami dekhi to foran hi wo haqeeqat ko bhi paa gaye the
mera veer singh.. dada ke mohn se nikla
meri naina beti.. naina ko dadi ne bhi pehchan liya tha.. renu bhi dadi ke saamne thi, parr dadi ne naina me apni poti pehchan li thi..
hum dono ne sarr hila diye....... foran dadi ne naina ko aur dada ne mujhe apni bahun me bhar kar seene se laga liya.......... sab kabhi maa ko to kabhi humen dekh rahe the.. achanak se hi cheekho pukaar shuru ho gai..
sab jaan gaye k laila akeli nahi aayi hai, ghar ke khoye hue bachhe bhi sath hi laayi hai.......baba aur dusre sab hamare paas aa gaye the.. maa jo laila maa ke gale lagi ro rahi thee.. charon behne maa aur laila maa ke gird maja thee...
maa ne bhi mujhe aur naina ko sabke sath dekh liya tha, wo bhi jaan gai thee sab.. dil ko dil se raah hoti hai wo bhi sab samjh gai thee..
maa rote hue meri ankhon me dekhne lagi.. main jo dada ke gale se laga hua tha, maa ko dekhne laga.. maa ki ankhon me chamak badhi aur fir maa laila maa ke gale se alag hokar laila maa se pochhne lagi........ laila maa ne maa ko bata dia.. main hi uska gumshuda gohre hatat hon
maa achanak se hi ghash khaa karne lagee to didion ne maa ko thaam liya
dada bhi rote hue mujhse lipte mujhe choomne lage... dadi bhi naina ko choomne lagi
renu ko meri chacheri behno ne aur chachi ne apni lapet me le liya.. hamare sath aai thi to wo bhi khaas hi thi..... renu se milte hue wo renu se poochhne lagee..
mere baba aur dusre sab humen gher kar khade ho gaye the.. kisi ka bhi dhayan jagat mama ki or nahi hua tha, pehle sabne dekha tha par fir hamare milan me unhe bhul gaye the.. wo abhi bhi mask me the.. to sab nahi jaante the k wo kaun hai.. unse sabb baad me aur tasalli se milte..
dada:- tu laut aaya mere bachhe.. bohut saal intezar karwaya tune..
dada ne mujhe dusron k liye khud se alag kar dia tha.
raja;- haan dada ji, bhagwan ne jitna azamana tha azma liya. jitni kurbani hum sabb se chahi thi.. wo hum de chuke..
dada:- sahi kaha tumne mere sher.
baba:- mere seene se bhi lag jaa mere sher bete, aaj tak kabhi bete ko seene se laga nahi paaya hon..
mujhe baba ki awaz sunaai di to main baba ki aur palta.. baba nam ankhon se mujhe dekhne lage.. fir hum dono hi badi betabi se ek dusre ke gale se ja lage... baba ne puri power se mujhe kassna shuru kar dia...... hahahaha baba apne bete ko check kar rahe the k unka beta dikhne me hi unke jaisa hai ya sach much
ye parkh bhi hoti hai aur bepanah pyaar bhi... mujhe baba se milkar behad sukun mila
fir baba bhi mujhe choomne lage.. baar baar mujhe apne seene se lagane lage.....
maa bhi laila maa aur meri behno ke sath hamare paas pohch gai.. fir ek ek kar sab mujhe aur naina se milne lage......... dadi to mujhe chhodna hi nahi chahti thi.. parr sab pyaar abhi to nahi luta sakti thi.. abhi sab bhi to mujhse milna chahte the..
main maa ke gale se mila to maa jo saalon khud par kaabu paaye hue the, ek beta janma tha meri maa ne, baaki sab ladkiyan hi thee.. wo beta bhi usse door ho gaya tha, ek maa ke liye ye kitni dard bhari baat ho sakti hai.. ek maa hi samjh sakti hai, aur koi nahi...
maa humen janam dekar apna doodh bhi sahi tarha se nahi pila saki thi k hum unse alag ho gaye the..
maa ne bhi mujhe kass ke apne chaati se laga liya.. maa bhi baba ki tarha se mujhe kabhi choomti to kabhi apne gale se laga leti...... maa khush thi behad khush
parr jis maa ne apne jigar ke tukdon se judaai ka saalon lamba safar tay kiya ho.. use thakan to ho hi jaati hai.. maa bhi achanak se hi meri bahun me sust padne lagi.. maa apna pyaar mujhpar lutate lutate behosh hone lagi.......... main andaza laga sakta tha.
maine maa ko girne nahi dia.. maa ko maine apni god me utha liya.
payal di ne jagan mama ka bhi sabko bata dia tha, wo bhi sabse mil chuke the, sabb unhe dekh kar bohut shocked hue the.. laila maa aur hum dono bhai behen mil gaye to jagat mama ke zinda hone wala jhatka bhi sab sehn kar gaye the..
sab bohut khush the..
chacha chachi se unki betiyon se mila...main chacha chachai ka bhi to beta tha, unki betiyon ka bhai tha..
laila maa apne dono bachhon ko apni bahun me bhare hue thee.. basti ke logon par nazar padi to wo bhi sab aankhon me aansu liye hue humen hi dekh rahe the...
dada unke paas chale gaye.... aur sabse baat karne lage.. maa ki halat ka sabko hi andaza ho gaya tha..
meri behne aur cousins mujhe aur naina ko lekar andar jaane lagee.... basti walun se bhi milna zaruri tha.. parr maa meri bahun me thi
main andar bistar par maa ko lita kar naina aur sabb ko bata kar bahar laut aaya
dada, dadi, baba, chacha, jagat mama sab basti walun ke sath hi the
daba ne ek side se mujhe apne ek baazo me liya aur basti walun se bole
dada:- dekho basti walun bhagwan ne mera sher beta mera pota mujhe lauta dia hai.. dekha kaise gabhri jawan bankar lauta hai mera pota..
dada ki to khushi ka koi thikana hi nahi tha..
ek bazurg:- ye sab bhagwan ki kirpa hai rana saab, itne saalon ke intezar ke baad bhagwan ne aapko firse aapka iklota waris lauta dia hai..
2nd bazurg:- rana saab aap bhi to bhagwan ke bandon se bohut prem karte han, kaise fir wo aapke iklote waris na lautate..
baba:- sahi kaha chacha ji aapne .. bhagwan apne bandon ko khushi de kar bhi azmata hai aur dukh de kar
chacha:- humen hamare sabar aur vishwas ka phall bhi to mil gaya hai chacha......
dada:- veer beta mil lo in sabb se bhi, ye sab bhi tumhare apne han..
main to shuru se hi sabke liye dil me pyaar rakhne wala raja tha.. mujhe bhi sabse vaise hi lagao hone laga jaise mere pariwar ko sabko se tha
fir main sabse mila.. jagat mama bhi sabse mile.. 40 minutes humen wahi lag gaye, basti wale pure pariwar ke liye khaas the... to mere liye bhi wo khaas hi hue
dunya se door basti thi, aur basti me sabb ek samman rehte the ek pariwar ke jaise rehte the..
fir sab andar jaane lage.. jagat mama ko rest karne k liye ek room de diya gaya.. wo wahi ek kamre me chale gaye..
andar maa ko bhi hosh aa chuka tha, maa naina ko aur laila maa ko apni bahun me liye bed par baithi hui thee.. renu meri didiyon ke paas thi... sudha aur saadhna mere chachi ki betiyan wo bhi renu aur didiyon ke sath thee..sab unke aas paas maujud the... maa kabhi naina ko choomti to kabhi laila maa ko.. laila maa chhoti thi, aur maa ki ladli to maa ko unse bhi bohut pyaar tha.. laila maa ke dono bete laila maa ki god me sarr rakhe lete hue the, unki ankhen abhi bhi namm thee..
mujhe aate hue dekha to unki ankhen mujhpar hi thehar gayi.. badi ajeeb situation thi.. maa ki mamta ko itni jaldi chain kaha milne wala tha.. maa to kai dino tak hume apne anchal se bandh kar rakhti to tabb hi unhe chain mil sakta tha..
baba ne maa ko mujhe dekhte hue paya to.. baba ko masti soojhne lagi
baba ne mujhe firse apne seene se laga liya.......
baba:- prabha tumhare paas naina hai naa, laila bhi ab tumhare paas laut aai hai to
mere paas mere bete ko rehne do.. mujh gareeb par itni nawazish to kar hi sakti ho, akhir tumhara pati hon...........
maa jo mujhe dekh rahi thi.. unke chehre par muskan aa gai.. baki sabb baba ki baat par hass diye.. dadi jo mujhe kamre me aate hue dekh kar firse mere paas aa gai thi.
baba ke seene se mujhe alag kiya..
dadi:- bhul jaao sher singh, mera pota mere liye laut kar aaya hai.. prabha k paas naina hai to tere paas bhi 4-4 sherniyon jaisi betiyan han
dada, mere aur dadi ke paas aane lage to dadi ne ghoorte hue hatheeli khadi karke unhe wahi ruk jane ko bol dia
dadi:- aap bhi sun leejiye.. main nahi dunga apne pote ko tum dono ko.. jaao kisi aur ko apna pota bana lo
rajesh chacha:- maa veer mera beta bhi hai naa
aditi chachi:- aur mera bhi
sudha sadhna:- veer bhai hamara nahi hai kyaaaaaaa.?
sab nautanki par utar aaye the.. maa aur baba kabhi humen to kabhi ek dusre ko dekhte.
bohut dikh rahe the wo aur baaki sabb bhi..... ghar ki asli ronaq laut aai thi
dadi:- jab tak mera mann nahi bhar jaata, jab tak saalon ki tadap mit nahi jaati, veer singh sirf mera hi rahega...... dadi kadakdaar awaz me boli... jaise sab ko apna faisla suna rahi hon..
sudha aur sadhna uth kar aage aaye aur dadi ke ek ek hath ko pakad kar mujhe dadi ki pakad se nikal dia.........
fir mujhe dono ne milkar apni bahun me liya aur
sudha:- dadi bhai uska hai jispar bhai ka kabza hai..
sadhna:- ab dekho na dadi kitni asani se humne bhai ko aapse chheen liya, fir kaise aap keh sakti han, veer bhai sirf aapke han..
dadi natak karte hue aansu bahane lagee..
dadi:- is budhi ke paas kuch to rehne do.. is umar me main abb kahan se itni taqat laaon k apne pote ke liye tum sabb se lad sakon.. (dono hath upar utha kar) ae humen khushiyan lautane wale mujhe firse jawab bana de, mujhe firse taqat de de.. main apne pote ko sab se chheen lon.............
dadi ke andaz par koi aisa nahi tha, jo hassaa na ho.. maa bhi is baar khub zor se hassne lagi.. main naina ko dekhne laga, naina ki ankhen namm thee, wo sab ko dekh rahi thee, sabke pyaar ko dekh rahi thi.. jabse hosh sambhala tha, apne pariwar se door the, abb mile the to khusiyan ki moosla dhaar barish hone lagi thi...
renu ko dekha, wo bhi bohut khush nazar aa rahi thi.. pata nahi uske baare me pichhle 40 mint jo main bahar guzar kar aaya tha, sab renu ke baare me jaan gaye the ya nahi.
jo bhi tha, par renu bhi bohut khush theee... wo bhi is sabb mahol ko bohut enjoy kar rahi thi
dadi:- hass lo hass lo is budhi par.. chal naina beti tu to meri ho jaa.. veer sabke liye hai to tu fir mere liye hi bachi hai.. chall abbb nikal maa ke anchal se aur dadi ke anchal me chhup jaa...
hume paa kar to sab ke hi khil uthe the, dadi aisi hongi maine to socha bhi nahi tha.
naina:- dadi baat zor azmaayi par aa kar khatam hui thi, to abb main bhi to maa ke anchal me hon, aur aap abhi bhagwan se keh rahi thee k bhagwan aapko jawani aur taqat de ta k aap bhai ko sabse chheen sake.. yahan bhi aisa hi koi chakkar hai, dekhti nahi han aap kaise maa ne mujhe apne ek baazo me lapeta hua hai
naina kaunsa peeche rehne wali thi, wo bhi apne rang me lautne lagi thi.. meri didiyan jo kabse chhup baithi hui thee.. wo bol padee
payal :- dadi hum han naa aapki asli potiyan
archana:- haan dadi jitni humen aapki zarurat hai, utni to bhai ko ya chhoti ko nahi hai'
urvashi:- main bhi apni dadi ko kisi ko nahi dungi.. dadi sirf hum chaaron behno ki han..
ritika:- hum charon behne ek samman han to fir main kyun dadi se door rahun
dadi ka khun bohut badh gaya tha charon ki baat par
dadi:- shabash meri sherniyo aaj tum charon ne milkar apni dadi ki laaj rakh li ha, warna is budhiya ka kispar zor chalta..
dadi ne apni dono bahen phela deen aur charon ko apne apni bahun me simatne k liye ishara kiya,... charon jo maa ke paas hi thee. wo uthee aur dadi ki bahun me samane k liye dadi ki or badhne lagee
baat shuru ho chuki thi masti mazak ki chhed chhad ki.... sab milkar is khushi ke palon ko enjoy kar rahe the..
to koi aisa to tha nahi jo is sabb me shamil na hota.. sab ek dusre se badhkar perform kar rahe the
sudha aur sadhna ne mujhe apni bahun me bhara hua tha.. to chacha chachi, dada aur baba khali hath reh gaye the..
jaise hi charon didiyan aage badhen to teeno dadi ke saamne aa gaye aur charon didiyon ko dadi ki pohnch me aane se pehle hi apni lapet me le liya
charon ne ek ek didi ko apne hisse me le liya aur dadi sabka mohn dekhti reh gayi... dadi baari baari sabko dekhne lagi.... sabko dekh kar bed par maujud maa, laila maa, laila maa ke dono beton ko dekha aur fir apni chhaati par dohatthar maarti hui vavela karne lagi
dadi:- haaye main lut gai, haaye mere paas abb koi bhi nahi raha... haaye itna bada pariwar hote hue bhi mere paas koi bhi nahi raha.. sabne milkar mere bachhon ko mujhse chheen liya.. koi nahi bacha mera sath dene wala..
dadi apne dupatte se nakli aansu saaf karte hue side padi ek kursi par baith gaiii
dadi bohut badi nautanki baaz aurat thi.... rone jaisi awaz aur andaz me wo master theee......... sab masti bhul kar zor zor se hassne lage.........
renu uthi aur dadi ke paas aa gai aur dadi ko apne gale se laga liya.. dadi ne renu ko dekha, renu ko kiss bhi kiya.. parr apna natak jaari rakha... sab aur bhi zor zorse hassne lage..
bohut der tak sab hasste rahe fir ekdummm se hi sabb shaant bhi pad gaye
sabb jazbati hone lage.. muddaton baad khushiyan mili thee.. muddaton baad chhoot chuke rang firse lautne lage the.. pyaar bhi sabne kar liya tha, masti bhi kar li thi.
khub hansi mazak bhi kar liya tha
dard mile to aansu behte han.. dard mile to chehre murjha jaate han
gumshuda khushiyan milen to bhi aansu behne lagte han.. khushiyan mile to chehre aur dil khil uthte han..... parr aansu aur dard ek sath firse laut bhi aate han..
sab ekdumm se puri tarha se enjoy karke, hass hass kar andar ke gham ko khatam karke, andar se khud ko wash karke firse jazbati ho gaye the.. 19 saal baad asli khushiyan mili theee.... 19 saal pehle jo kahkahe sabke kahi kho gaye the, wo firse haveli me goonjne lage the......
dard ke baad khushiyan mili to khushi itni badhi k sehn karni mushkil hone lageeee..
koi nahi aisa tha jo aansu nahi baha raha tha.. maa firse naina ko choomne lagi thi. laila maa ko bhi choomne lagi thi.. laila maa ke bete bhi firse uth baithe the.. wo firse apni maa ko pyaar karne lage the.. kabhi apni maa ke hathon ko choomte to kabhi gaalon ko to kabhi ankhon ko....
dadi jinti nautanki kar sakti thee, wo kar chuki thee... sab khul kar hans chuke the.. andar se khud ko wash kar chuke the.. to firse aansu bahane lage the..
sudha aur sadhna jo mujhe dadi se chheen kar dadi ko chhed rahi thee.. dono behne milkar mere seene par chehra dhare hue aansu baha rahi theee.. bhagwan ne unko bhai nahi diya tha.. mujhe unka bhai bana kar dunya me bheja tha..... mere liye dono naina aur meri didiyan thee.. aur main dono k liye unka saga bhai.....
chacha chachi baba aur dada bhi ankhon me nami liye kabhi sabko dekhte to kabhi kamre ki chhat ko dekhte .. matlab chhat se paar wo asmaan ko dekh rahe the.. wahan nazar naa aane wale bhagwan ko thanks bol rahe the.. unhe firse wo khushiyan mil gai thee.. jo unse door ho gai theee...
jitni der masti mazak aur hassne me beeti thi, utni hi der sab milkar imotional bhi rahe the
dadi ekdumm se uthi aur
dadi:- chalo sab utho hum bhi bohut badi bhol ho gai, humen haveli me andar aane ki bajaye seedha pehle mandir jaana chahiye tha....... kitne matlabi han hum, khud ki khushiyon ki chakkar me bhagwan ko dhanyavaad karna to bhul hi gaye.....
dadi ki baat par sabko jhatka laga.. maa samet sab hi ek jhatke me bed se utar kar khade ho gaye.... baaki sab bhi ekdumm se apni apni feelings se bahar aaye aur mandir jaane ki tayyari karne lage.....
************************************************************************************
time bohut achhe se guzar raha tha.. jitna pyaar hum par lutaya jaa raha tha uski koi hadd nahi thi.... abhi hamari guzri zindagi bare koi bhi baat nahi hui thi.. baat sirf aur sirf pyaar ki ho rahi thi, saalon ke tadap ki ho rahi thee.. sab masti mazak kar rahe the.. sab ek dusre me samaye rahe the..
aise hi pyaar bhare pall pitate hue time guzar raha tha... shaam ke baad hum mandir the... chhota sa mandir basti me banaya gaya tha.. jitne log the usi hisab se mandir bhi tha.. basti ke sab log bhi mandir aa gaye the..
mandir se wapsi par sab haveli laut aaye.... basti ki light ka intezam nahi tha.. parr haveli par solor system laga hua tha.. aur wo haveli ki basic zarurat ko pura karne k liye bohut tha...
dinner karne k baad firse ek mehfil hui ll jo 12 baje tak chali thi....
************************************************************************************
raat ke 3 baje kai gadiyan basti me dakhil hui... fir dekhte hi dekhte sari gadiyon puri basti me phel gayi
pehle gadiyon ki lights band thee.. jab sab basti me phel gaye to sari gadiyon ki lights on kar di gayi
6 gadiyon ne haveli ko charon aur se gher liya tha... bohut se gunde un gadiyon se nikal kar haveli me ghus chuke the.. haveli andhere me doobi hui thi.. guns ke sath torch bandh kar sare gunde haveli ke andar maujud sabko dhundne lage..sabke sab bohut saavdhani se aage badh rahe the
kuch minton me hi saare gunde haveli ki khaak chhan kar haveli ke bahar maujud ek gadi ke paas ja pohnche
ek gunda:- sir puri haveli khali hai, koi bhi nahi haveli me
sir:- ye kya bakwas kar rahe ho, 40 mint pehle to sab haveli me hi maujud the.. sote me hi wo ghayab kaise ho sakte han.?...... gadi me baitha hua admi cheekh pada tha..
gunda:- sir humne haveli ka chappa chappa chhaan mara hai.. parr koi bhi haveli me nahi mila
foran hi 1 helicopter bhi haveli ke upar mandlaane laga.....
sare gunde seedhe hokar khade ho gaye, unka boss aa gaya tha..
helicopter haveli ke kuch doori par land hua.... ek admi uske andar se niklaa.. gadi me baitha hua admi bhi gadi se nikla aur helicopter se bahar aane wale boss ki or badh gaya
boss:- kya hua avinash koi mila nahi kyaaaaaaaa..
avinash:- haan boss puri haveli hi khali padi hai
boss:- to dhundo sabko.. aaj koi bhi yahan se bach kar nikalna nahi chahiye
avinash:- aisa hi hoga boss, koi bhi bach kar nikal nahi paayega..
boss ek gaadi me jaa kar baith gaya.. aur avinash sabke sath milkar haveli me sabko dekhne laga.. par koi nahi mila. fir pata chala k basti me maujud saare ghar bhi khali pade han, basti ke sare log kahi ja chhupe the
avinash boss ke paas pohnchaa
avinash:- boss puri basti khali padi hai
boss:- to dhundo sabko..... boss chillaya. tum yahan kya jhak maarne k liye aaye the..
boss aur avinash dono baat kar hi rahe the k ekdumm se basti me maujud gaadiyon par lagi hui lights jhannake se break hone lagee.. kahin silencer lagi guns se nikalne wali goliyan sabhi gadiyon ki light ko fir gundon ko nishana banane lageee...
boss foran hi gaadi se bahar aaya aur helicopter ki aur bhaagne laga...... uske sath bohut se gunde bhi the, jo uski security k liye the....... human face liye hue kuch robot bhi sath me the.......
avinash bhi ekdumm se bokhla gaya tha.. use kuch samjh nahi aa rahi thi, wo kya kare
kahi se ek goli chali aur avinash ki taang me ghus gai.. avinash chillate hue gir pada... avinash ko chillate sunkar boss aur bhi tezi se bhaagne laga.. ek goli aur chali jo boss ki bhi taang me ghus gai... boss bhi cheekhta hua gir pada.. guards ne use uthaya aur lekar helicopter ki or bhaagne lage.. par namaloom disha se chalne wali goliyan unko bhi dher karne lagee.. boss firse cheekhta hua gir pada...
basti me abb dhuaan dhaar firing hone lagi thee.. gunde kisi ko dhund nahi paa rahe the.. andaze se hi wo firing karne lage.. heavy machine guns basti ke kachhe gharon ki deewaron ko udhedne lageee... par kahi se ek goli aati aur machine chalane wale ka kaam tamaam kar deti
idhar avinash gira hua hi reengne laga, wo bhi kaise bhi karke helicopter tak pohch jana chahta tha, wo bhi boss ke sath yahan se farar ki sochne laga tha..
boss bhi reengta hya helicopter ki aur badhne laga, helicopter firing ke shuru hote hi start ho chuka tha.. ek goli aai aur pilot ke sarr me ghuss gai.. helicopter bina pilot ke kaise udd sakta tha.. uska pankhaa pure zor se ghoomte hue aas paas ki mitti ko uda raha tha.. robots ne boss ko uthaya aur lekar helicopter ki aur speed se daudne lage...... sath hi gunde bhi boss ko cahron aur se gher kar bhaag rahe the..
akhir kaar boss helicopter ke paas pohnch hi gaya.. boss ko lagne wali goliyan uske gundon ko aur robots ko lag rahi theee....
door basti me maujud gunde bhi khud ko bachane k liye basti se nikalne lage
yahan boss ki goodluck ho gai.. basti se wapis lautne wale gunde goliyon ke aur boss ke beech aane lage.. robots jo apne boss ki raksha karne se pehle hi sarr me lagne wali goliyan se bekaar hote jaa rahe the.. wo bhi apne boss ko bacha paane me kamyab nahi ho paa rahe the.. parr bohut se gundon ke aa jaane se boss ko bachane me asaani ban gai thi..
boss helicopter par sawar hua, mare hue pilot ko helicopter se neeche phenka aur khud pilot seet par aa baitha, wo khud bhi pilot tha.. bohut ne gunde aur ek robot apne boss ki suraksha k liye dhaal bann gaye the..
boss fir helicopter ko hawa me le udaa.. ek goli aur chali jo uske seene me chhed karti hui ghus gayi thi..
baaki bache hue gunde bhi ek ek karke marne lage.. avinash helicopter tak pohnchta usse pehle hi helicopter udd chuka tha
avinash:- boss mujhe bhi apne sath le jaate .. helicopter ko door jaate hue avinash dekh raha tha.. wo door jaate hue helicopter ko hasrat se dekh raha tha
************************************************************************************
islanad par jab laila maa ne bataya k jagat mama bhi zinda han aur sath k cell me kaid han, to sab us aur badh gaye the..
meri chhati hiss ne mujhe bata dia tha k kuch gadbad hai.. aisa hi renu aur meri behno ko bhi laga.. par kisi ne bhi us time koi baat nahi ki thi
mumbai shehar me pohnche, kothi me laila maa aur jagat mama ka treatment shuru karwaya, fir dono ko neend ke injection de diye gaye
jagat mama ke andar detective chip inject kar di gayi...... uske kapdo ka intezam bhi humne hi kiya tha, emri behne raw me thee to bohut kuch aisa tha unke paas k avinash ki ek ek movement ko wo jaan jaati..
ek bohut chhota sa mike bhi jagat mama ke kapdo me laga dia gaya... wo aisa tha dekh kar koi bhi jaan nahi sakta tha..
raw walun k liye wo bohut kaam ki cheez thi..... abb hamare kaam aa rahi thi..
do din jagat mama khamosh rahe fir teesre din wo hamare saamne khul kar aa gaye..
avinash ne jagat mama ke fake accident ke baad mama ko kidnap karwa kar apne paas rakh liya tha.. wo unke jaise bann kar, ya apne kisi admi ko banwa kar hamari family me shamil hona chahta tha... maa, baba aur pariwar walun ko dhunda uska maksad tha... badle k liye wo saalon se bechain tha
hum sab milkar plan banane lage.. avinash ke plan ko jaan kar hi sab plan sahi se ban sakta tha......
usi plan ke chalte hume pata chala k teesra bhi abb saaamne aana chahta hai.. teesra jiske baare me hum kuch jaante nahi the..
hum basti pohnche to avinash ke plan ko achhe se jaante the... maa se milte hue maine hi maa ko halka sa nakhun chhubha dia tha.. warna to maa avinash ko apna bhai maan leti.. aur gale milkar rone lagti. isliye mujhe maa ko behosh karna pada tha..
aisa to fir hum hone nahi de sakte the..
raat ko jab avinash haveli se bahar nikla to hum sab jaag rahe the....
basti me jab sabb aaye the to suraksha ke chalte ek bada basement bhi bana liya gaya tha.. avinash ke basti se nikalte hi sab ko usi basement me transfer kar dia gaya tha. puri basti ke logon ko bhi bata dia gaya tha k khatra kis tarha se aage badh raha hai.
hum total 7 the.. do bhai mil gaye the laila maa se.. baba the aur basti ke bhi kuch log the jo hamare kaam aa sakte the.... par humne is ladaai me kisi ko bhi shamil nahi kiya..
ye ladai bohut khatarnaak ho jaati agar kisi se koi mistake ho jaati .. avinash aur boss bohut se gunde lekar basti me ghusne wale the..
fir wahi hua hum sabhi puri basti me phel gaye aur boss ke aane ke baad ek ek karke sabko dher karne lage.....
haveli ke paas ritika aur urvashi thi .. plan par amal karte hue sabne firing shuru kar di... avinash ko aur boss ko landga kar dia gaya.......
parr badluck boss ko uske robots ne bacha liya,
gundon ko ek ek karke humne maar dia.... robot ke sarr me bullets lagti to uska system kam chhod deta aur wo dher ho jata
boss helicopter le udaa.. uski kismat ne saath de dia tha... warna aaj wo bach kar nahi nikal sakta tha.. parr avinash to hamare hath lag hi chuka tha..
ab us teesre ko bhi hum kahin se dhund nikalte...
baaki bache hue gunde bhi dher ho chuke the.. hum sab ek sath ho gaye.... basti k hi ek ghar ki chhat par chhupe hue laila maa ke dono bete rahul aur deepak jinka abhi intro nahi dia hai maine..
wo bhi sabb dekh chuke the.. wo bhi aa gaye.. fir wo basement me gaye aur sabko le aaye.......
mai renu aur meri behne sab avinash ke gird khade the aur wo humen dekh bohut ghabraya hua lag raha tha...
hum sabb bol kuch nahi rahe the.. bass avinash ko ghoor rahe the.. smile paas kar rahe the.. hathon me guns liye hue the hum sabb
kuch minto me sabb bhi hamare paas pohnch gaye
raja:- maa, baba dekho kaise avinash aapke pairon me pada hua hai..
maa aur baba aage badhe aur avinash ke saamne ja pohnche....
maa:- to tu aa hi gaya mere pairon me avinash.
baba:- kayar hai tu saale.. dushmani bhi ki to namardon ki tarha, jis tarha tere bhai aur pita ne ki thi.. mardangi to un dono me bhi naam ko nahi thi..
maa:- bol kaun hai wo teesra
baba:- abb chhupaa kar karega bhi kyaa tu.. tu to abb nahi bachne wala.. uska kayar ka naam bhi bata do.......
avinash achanak se hi hassne laga
sab use dekhne lage
avinash:- teri kismat achhi thi sher singh jo tu sabko lekar yahan aa kar chhup gaya. warna to tu aur tera pariwar kabka finish ho chuka hota...
baba:- naam bata us teesre ka jiske bal par tu itna sab kar guzra..
avinash:- haan abb batana hi padega sher singh.. main apna badla tujhse nahi le saka, parr surinder singh zarur tujhse balda lega.. usne zindagi me ek hi galti kari ha.. jo wo aaj yahan aa gaya.. warna to use pakad paana tujh jaison k liye mumkin nahi hai
baba:- surinder singh... ye kya bakwas hai, surinder singh.... uski hi waja se to maine tere bhai aur pita ko maara tha.. wo kyun mujhe aur mere pariwar ko maarne ki sochega
maa:- sher singh ji shayad main kuch samjh rahi hon.......
baba:- kya samjh rahi ho tum prabha
maa:- pehle yahan ka sab nipta lo.. fir aram se baithte han..
avinash ke andar ek detective chip thi, jiski waja se boss uske baare me sab jaanta rehta tha.. wo nikal kar use basement me shift kar dia gaya.....
basti wale sab milkar gundon aur robot ki lashon ko thikane lagane lage......... hum sab haveli ke andar jaane lage... wahi baith kar hum aaj hi sab kuch jaan lena chahte the..
TOTAL WORDS:--6144
Nice update bhai waiting for next updateUpdate ::: 90