Update ::: 19
*************
main phirse hosh me to nahi aaya tha lekin mujhpar ghashi ki si kafiyat rahi..
usi neem behoshi ki kafiyat me maine ek ladki ki awaz suni. zayada kuch nahi bass itna hi samjh me aaya.
"3 goliyaan lagi...bhagwan ne bachaya..hairat angez..bhagwan ki kirpa hui hai baba ispar"""
mujhe puri tarha se hosh aaya to main abhi bhi us takhte par leta tha lekin is baar mujhe rassiyon se nahi bandha gaya tha, bass ek ehsaas tha, warna maine sarr utha kar nahi dekha tha.
maine sar ghuma kar dekha to mujhe ek masoom surat wali ladki dikhi. wo mujhe hi tukar tukar dekh rahi thi. meri ankhen khulte hi usne bada masoom sa chehra bana kar mujhse poochha..
ladki:- tumhara naam kya ha....
raja:- rrra.raa.raja..
ladki:- mera naam anjali hai. aur tum mere baba ki jhonpdi me ho. tum yahan se hilna matt abhi tum thek nahi ho, main baba ko bula ke laati hun.
main bhi khud ki condition samjh gaya tha, aur ye bhi jaan gaya tha, k mujhe inse koi khatra nahi hai, balke inhu ne hi to mujhe zindagi di hai..
kuch der baad ek 45 age ke baba andar aaye, unki dhaadi adhi kali aur adhi brown thi.
baba:- raja naam hai naa tumhara.
raja;- ji
baba:- beta tumhari halat bohat kharab thi, isliye tumhe humne bandh diya tha,
shayad raat me tumhari ankh hkuli ho... aur tumne khud ko bandha hua paya lia ho.
raja:- ji baba ji, main rat ko hosh me aya tha.
baba:-beta humen tumhare zakhmo ka ehsaas tha, kahin hamare sote me tumhe hosh aa jaye aur tum uthne ki koshish karte hue firse zakhmi na ho jaao, iske liye humen shama kr dena, ys sabb tumhari bhalaai ke liye kiya gaya tha, abhi bhi tum theek nahi hue ho, tumhe abhi bhi kuch din aise hi lete hue guzarne han... mera khayal hai tumhe sabb yaad nahi hoga.. tumhare sath kya kya hua tha.
raja:- ji baba ji main goliyan lagte hi behosh ho gaya tha.. bass jo akhri baat yaad hai wo ye k mujhe kisi khaai me phenk dene ki baat ho rahi thi.
baba:- beta kisi ne tumhe goliyan maar kar khaai me phenk diya tha, wo to bhagwan ki karni aisi hui k tum darakho ki shakhon me phans gaye warna jitni oonchaai se tumhe phenka gaya tha, tumhara bach paana mumkin nai tha..
baba ki baat sunke mere honto me ek dard bhari muskan aa gai.
raja:- baba mujhe itni jaldi maut nahi aayegi, jab tak main apni renu ko us daldal se nikal nahi leta, main marr nahi sakta.
baba aur anjali meri baat sunke heran reh gaye..
baba:- beta lagta hai tumhari kahani badi dard bhari ha, lekin beta abhi tum kam bolo abhi tumhare seene ke zakhm theek hone me time lagega.. tumhe bachane ke liye maine badi mehnat ki hai, warna jaisi tumhari halat thi, tumhe shayad koi doctor bhi na bacha sakta tha ... tumahri saans na hone ke barabar thi, aur tumhare sharir ki kai haddiyan bhi toot chuki theen, aur tumhare hath to kai dino se sahi chamde me band rehne ki waja se galne lage the. ye to maine apne khandaani sanyaas se kaam lekar tumhe bachaya hai, warna tumhe bachana asaan nahi tha.raja beta kuch aur baten bhi hain jo fir tumhe bataaonga.
main baba ki baat samjh to nahi lekin maine baba se kuch nahi poochha.
kuch der baba mujhse baten karte rahe aur mere liye kuch jadi bootiyon ko koot kr nayi dawayi banane ka bol kar chale gaye..
anjali mujhe dekh kar muskurane lagi, badi payari aur masoom ladki thi, kuch der me ek ladka andar aaya aur mujhe dekh kar khush hua aur mera haal chaal poochne laga, mere kuch bolne se pehle hi.
anjali:- jagan tumhe ise dekh ke nahi lagta ye abhi sahi nahi hai, aur baba ne ise bolne se mana kiya ha.
jagan:- are meri jaan mujhe bhi pata ha, tera mehman abhi pura sahi nahi hua, lekin mera poochna to banta hai naa..
anjali:- to mujhse poochh le naa.main yahan kis liye bethi hui hun.
jagan:- chal theek hai, ab tu hi bata kya haal hai tere mareez ka..
anjali:- main kyun bataon tujhe, pehle hi mujhse poochhna chahiye tha na..
anjali thoda nakhra karte hui boli. anjali ke masoom chehre par nakhra karna bada hi bhala lag raha tha. main samjh gaya k dono ka koi chakkar hai, lekin jagan ko dekh ke lagta tha, k wo bhi anjali ke liye mukhlis hai. bada prem dikha mujhe dono me. anjali masoom si shakal bana kar jagan naam ke ladke se nakhre karte hue baat kar rahi thi..
jagan:- galti ho gai mujhse meri maa, abb to bata de, kya haal hai tere mareez kaa...
anjali hassti hui boli
anjali:- haan abb aya na line pe.. mera mareez theek hai, baba aur dawayi banane me lage hue han.
jagan:- ye to achchi baat hai k tumhara mareez theek hai. aur baba kaam me masruf han, fir to achchi baat hai. ab to tujhse baat karne ka samay mil hi jaayega, warna jab dekho apne baba se chipki rehti ho, kabhi mere saath bi chipak...
jagan aage bolta anjali ne kohni jagan ke pet me maar di. aur ankhen dikhati hui boli
anjali:-(ankhen dikhati hui) ae jagan jaa jaa, jaa ke apni maa se chipak, main kyun chipku tujhse..
jagan:- to fir theek ha, main jaa raha hun apni maa se chipakne..
anjali:- haan ja ja, jagan tu bada ganda ho gaya hai. main baba ko bataaogi, tu mujhse aisi baten karta hai.
jagan:- mujhe pata ha tu nahi batayegi, main hi ja kar baba ko bata deta hun..
k anjali mujhse chipakti nahi hai.
ye bol kar jagan bahar jaane laga, aur anjali ghabra kar khadi hui aur jagan ke peeche bhaagne lagi, jagan hassta hua bahar bhaag gaya, anjali bhi mujhe chhod kar uske peechhe bhaag gai.
mujhe dono ko dekh kar bohat achha laga, aur mujhe meri renu yaad aa gai..
renu se main aisi masti to nai kar saka tha, time hi nahi mila tha, warna renu ke sath to main har tarha ki life jeena chahta tha. lekin halat ne bada hi bhayanak rukh badla tha. hum dono hi ek ek dusre se door ho gaye the, aur dilon me zakhm bhi an gint lag gaye the.
10 mint k baad anjali andar aai aur mujhe dekh kar sharmane lagi.
ajnali:- raja wo to bass aise hi mujhe chhed raha tha, main aisi ladki nai hun.
raja:- haan mujhe pata hai tu badi achchi ladki hai.
anjali:- haan, main bhi to jagan se keh rahi thi, k main achchi ladki hun, aur wo har waqt mujhse gandi gandi baten krta rehta hai..
raja:- to jagan se keh diya kar k tujhe tang na kiya kare..
anjali:- main kyun roku usay, mujhe bhi uski baten aur shararten achchi lagti han...
fir apne mathe par hath marte hue boli..
anjali:- baba ne tumhe bolne se mana kiya hai naa, to tu abb kuch matt bolna.
mujhe jab se hosh aaya tha main khud me bohat kuch badla hua mehsus kar paa raha tha, lekin anjali aur baba k aa jane se main khud par ghaur nahi kar paya tha.
main itna hi bolne se thak gaya tha, main khud par ghaur karne laga, k mujhme kya kuch change aa chuka hai..
main abhi bhi khud ko hila nhi sakta tha. main pura nanga tha ya adha ue bhi sahi se nahi jaanta tha. main apne sarr ke ilawa baaki ke badan ko mehsus nahi kar paa rah tha.
maine to ye bhi nai poochha tha k mujhe behoshi me din kitne guzar chuke han.. ye to maine andaza laga liya tha, k jitni goliyan mujhe lag chuki thee, jaldi hi to main theek hone se raha..
mujhe bohat zayada heat bhi mehsus ho rahi the, mere khoon me ek lawa sa daudta hua mujhe mehsus ho rha tha... aur ek ajeeb si smell mere andar naak se ghusi hui thi. raat jab mujhe hosh aaya tha tabb mujhe ye smell mehsus nai hui thi.
maine nazar ghuma kar apne shoulder ko dehkne ki koshish ki to anjali kuch kuch samjh gai..
anjali:- baba ne tumhare saare sharir par tail ki malish ki hai. el saanpo aur jadi bootiyon se bana hua baba ka khaas tail hai, iksi waja se tum apne sharir ko nahi hila sakte.. aur tum abb khud ko hilane ki koshish bhi matt karna, warna main teri gardan par bhi tail ki maalish kar dungi, aur fir tum bass ankhen khole puttar puttar mujhe dekhte hi rahoge..
serious bolte bolte anjali badi adaa se boli. jaise mujhe abhi punishment de de gi..
baba andar jhonpdi me aaye aur anjali ko bahar jaane ko bol diya. anjali foran hi bahar chali gai..
baba ne jhonpdi ka darwaza andar se band kiya aur chalte hue mere paas aa k thehar gaye.
baba:- raja beta pehle maine anjali ki waja se tumhe sabb nahi bataya tha. beta tumhe bachane ke liye mujhe jadi bootiyon ke sath apne poorvaj ki khandaani vidhi ka prayog bhi karna pada... is sabb ke chalte humme kuch badlaao bhi aayenge. parr abhi tumhe sabb pata nahi chalega.
dheere dheere tumhare andar badlaao aana shuru honge i... raja beta tumhare zakhmo ko theek karne ke liye aur tumhare andar khoon ki kami ko pura karne ke liye maine jadi botiyon ke sath saanpo ki kanchli bhi koot kar tumhe khila di thi. tum to hosh me the nahi, isliye tumhe kisi baat ka pata nahi chala.
tumhe behoshi me 15 din beet chuke han. abb tumhare zakhm bhi zayada tar bhar chuke han. aur tumhare khoon me bhi abb zeher shamil ho chuka hai. wo zeher tumahre liye khatarnak kitna hai, wo abhi sahi se bataya nahi ja sakta. mere paas koi aur chara bhi nahi tha, isliye maine ye khatra mol liya tha. ye sabb mere poorvajoon ki umar bhar ki kamai hai, jo maine tumhe bachane k liye laga di. mujhe koi shak to nahi hai, k tumhe kuch ho jaayega.. mere baap dada bhi yahi sabb karte rahe han. tumhare andar ke badlaao ka samay rehet ho pata chalega.
jaise maine tumme jeene ki chaah dekhi hai, mujhe lagta hai k tum sabb sehn kar paaoge, warna jo maine tumhe khila diya hai, usay sehn karna kisi ke liye itna bhi asaan nahi tha. ise khaane wale aksar marr jaate han, lekin tum ise kha kar bach gaye ho...
ek bat main tumhe aur bata dun, beta k abb tumhare andar ka ghusaa bohut badh chuka hai. abhi jo lap tumahre badan par kiya gaya hai, us waja se tum kaabu me ho warna tumhare liye khud par kaabu paana mumkin nahi tha, aur jabb takk tumahre zakhm puri tarha se sahi nahi hote tumahre liye isi jaga lete rehna hi sahi hai.. tum khud me garmi to mehsus kar hi paa rahe hoge. ye bhi abhi maalish ki waja se kaabu me hai, warna ye itni badh jaati k tum khud par se kaabu kho kar kisi ko daboch chuke hote.
raja beta isse tumhari sambhog shakti bhi bohat badh jayegi. isliye is baat par khaas dhayan dena.. kahi khud par kaabu bhul kar kisi ki izzat se na khel jaana.
baaki baldaao ka tumhe baad me pata chalega..
sabb tumhe batane se sahi samjh bhi nahi ayega, jab tum par beetegi, tabb tum sab hi samjh jaoge..
abhi main tumhare liye kuch aur laaya hun. ye tumhare zakhmo ke liye hai, abb tum hosh me ho to, khud par kaabu rakhna, isme kuch zeher bhi shamil hai, tumhe dard to bohat hoga, jalan bhi behisaab hogi. parr abbb tumhe behsoh karna sahi nahi hai. abb tumhe apne andar ki shakti ka paryog karna hai. khud se ladte hue is sabb par kaabu paana seekho, abhi kai din aur lagne wale han.isi dard aur jalan se tumhe roz hi 2 baar guzarna hai.
main baba ki saari baaten sun kar heran paeshan ho gaya, pehli baat to main 15 din se behsosh tha, aur dusri mujhme zeher bhi hai, aur baba ne mujhe bachane ke liye kitne alag alag tarike istemaal kiye the. main bach kaise gaya tha. itna khaatrnaak tarika ilaj wo bhi mujhpar safal raha tha.
mere andar ke system ne zeher ko bhi accept kar liya tha... main yahi soch raha tha k baba bole..
baba:- raja beta abb tum khud ko andar se mazboot banaao. main apna kaam shuru karne wala hun..
raja:- ji baba ji, aap apna kaam shuru karen.
main maalish ki waja se hilne julne ki shakti to kho hi shuka tha, lekin andar ka to sabb vaisa hi tha, abb baba ke naye ilaj se pata nahi mujhe khud par kitna kaabu paana tha.. vaise baba ki baten sunkar main ek baar to andar se hil hi gaya tha..
upar se to main nanga hi tha, neeche se pata nahi.
main khud ke zakhmo na to dekh sakta tha aur n ahi puri tarha se mehsus kr pa raha tha. abb baba kuch karne wale the to dekhna tha k kitna dard aur kitni jalan hoti hai.
baba ne mujhe dekha aur fir ek payala utha kar usme se kuch mere seene par undel diya, mujhe payale se bhaap uthti hui dikhi thi, garam to hoga hi lekin mujhe kuch feel nahi hua.
haan par bohut hi tez cuhbhti hui boo zarur mere nathno se takra kar andar ghusti chali jaa rahi thi, jo mere liye bohat uljhan ka sabab bani. parr baba ko is sabb ki adat thi, wo araam se apne kaam me lage rahe.
baba mere seene par apni do ungliyon se maalish karne lage. wo shayad mere zakhm the, lekin abhi bhi mujhe kuch mehsus nahi hua, pata nai mere zakhm bhar gaye the, ya sunn hue pade the.. mujhe laga main ye bhi sehn kar paane ki shakti khud me rakhta hun, isliye main relax ho gaya.
lekin 2 hi mint me mere seene par tez aag si jalti hui mujhe mehsus hone lagi. aur mere liye usay bardashrt karna mushkil hone laga, mujhe apne zakhm ka bhi ehsaas hone laga tha, shayad pehle oil ki malish ki waja se main kuch bhi sahi se mehsus kar paane ki halat me nai tha.
lekin ab pehle wale tail ki malish ka asar kahtam hua to mujhe apne zakhm ka ehsaas hua aur mujhe apne seene par kuch harkat si bhi feel hone lagi, shayad baba ke malish karne se kuch badlao aaya tha..
mujhe apne seene ki aag apne zakhm se hokar andar utarti hui mehsus hone lagi, main jo pehle tez boo se disturb ho raha tha, wo disturbance ab dard me badal gai thi.
meri cheekhen nikalne lageen, lekin baba apne kaam me lage rahe.. mujhe apna chehra paseene se bheegta hua mehsus hone laga. mera paseena beh kar meri ankhon me aane laga to maine apni ankhen band kar leen. lekin dard kam nahi ho pa raha tha..
jalan aur dard itna badha k mere liye khud par kabu pana mushkil hone laga, main apne sarr ko idhar udhar patakne laga. sarr ke siva main apne jism ke kisi bhi hisse ko harkat nahi de sakta tha. agar main khafa hone ki halat me hota to to ek jhatke me hi uth kar bhaag khada hota...
abb mere paas rneu ki yaadon ke ilawa koi chara nahi tha, is dard se bachne ke liye. lekin jalan aur dard ki inteha thi, jo mujhe renu ki yaadon se bhi judne nahi de rahi thi, parr renu ki yaaden itni bhi kamzor nahi thi, jo mujhpar haavi na hoti, beinheta jalan aur dard dheere dheere peeche hatne laga aur renu ka chehra meri ankhon ke saamne aane laga, jabb mujhe renu ke chehre par duikh aur dard ki inteha dikhi to main apna sabb kuch bhul gaya, aur renu ke aise chehre ko dekh kar mere andar ek aag si jalne lagi, renu ke masoom chehre par dard ko laane walun ke liye main ik toofan banne ka khud se ehd karne laga, renu par zulm karne walun ke liye maine zindagi bhayankar banane ka faisla kar liya.
renu ke badan ko pamaal karne walun ko main is dunya me aisi bhayankar halat me la khada karunga, k wo apne kiye hue par pal pal rote rahen, jin ko apne paison aur power ka ghamand hai, sabb ka unse chhen lunga, sabbki power khatam kardunga, aur sabki izzat do kodi ki bana kar rakh dunga.
renu ki yaad ne mujhe mere dard aur jalan se to nijaat dila di, parr jo kuch hum dono par beet chuka tha, wo bhi bohat dard bhara tha, kahan hum apni ek alag dunya me jeene lage the, hum se hamari wo dunya hi chhen li gai.
nahi chheni to nahi gai, parr hamare dilon ko zakhmi bohat kar diya tha. renu aur main to kabhi bhi ek dusre se alag nahi ho sakte the.
baba kitni der tak mujhe aag me jalate rahe mujhe yaad nahi, maine renu ki yaadon me khoya hua tha...
baba ki awaz aai.
baba:- raja beta mera kaam abhi tak ke liye itna hi tha, aur bohut achche beta jo tumne khud kar kaabu paa liya, maine pehle hi keh diya tha k tumme jeene ki chaah hai, warna ye sabb sehn karna asaan nahi hai.. main khud kabhi bhi apne banaye hue nuskhon ka paryog karne ki himmat nahi rakhta.. tumme bohat himmat hai beta.. aise hi apni himat banaye rakhna, dekhna bhagwan ki kirpa se tum bohut jald hi theek ho jaaoge.
raja:- baba ye sabb aap ki mohabbat hai. warna.........
baba:- nahi beta, bhagwan ke diye hue hunar ko main logon ki bhalaai ke liye kaam me lata hun, ye sabb bhagwan ki leela hai, warna main to kuch bhi nahi hun.
baba apna kaam khatam karke chale gaye aur main firse renu ki yaadon me khone laga..
*******************************************************************************
Location: Akhil Kothi
**********************
jabb kothi par hamla hua to akhil ke papa rajeev agarwal kothi par maujud nahi the, warna renu ko yahan se le jaana itna bhi asaan nahi tha.
tahir baig jab renu ko le kar chale gaye the, to kisi ko kuch pata nahi chala tha.
renu ke siva sabb gharwale hi drawing room me bethe hamle ko le hi discuss karne lage. kisi ko kuch samjh nai aaya k hamla karne wale kaun han, aur uska maqsad kya tha. police aai thi lekin fir unko jaldi wapis bhi bhej diya gaya tha.
sabb ke mann me tha k renu upar room me hi hogi.. wo yahan se kahan ja sakti hai, itni tight security me wo yahan se bhaag to sakti nahi, isliye sabb hi renu ki taraf se befikr the.
rajeev ko pata chala to usne renu ka bhi poochh liya. jab usay pata chala k wo apne room me hogi, to wo ghusse se bolne laga.
rajeev:- tum sabb stupid ho, renu ke liye bhi hamla kiya ja sakta hai, tum me se koi ye bhi nahi samjh saka, jaao aur jaldi se renu ko check karo, mujhe nahi lagta k renu room me hogi.
aur fir kuch hi der me sabb ko pata bhi chal gaya k renu room me to kya, puri kothi me kahin bhi nahi hai. sabb ke hi totay ud gaye. kisi ko kuch samjh hi nahi aaya k renu ke liye kaun aa sakta hai. jitna un sabb ne suna tha k raja aur renu ka koi nahi hai.. dono is dunya me akele han.
rajeev kisi meeting ke liye out of town gaya hua tha, aur fir wahi raat bhi ruk gaya tha, usay apne guards aur dono beton par bohat ghussa aaya.
renu ko koi aa kar kothi se le gaya hai, ye baat rajeev ke liye khaas nahi thi,
koi uski kothi me ghus kar renu ko le gaya tha, ye uski sehn shakti se bahar tha.
itni sakht security me bhi koi usay le kar chala gaya tha, rajeev ke liye ye sabb sehn karna muhskil tha aur wo aag bagola hota hua foran hi kothi ke liye nikal pada.
sanjay ki family ko bhi pata chala to wo bhi sabhi aa gaye..
prakash chauhaan:- akhil beta ye sabb kya ha, aur aisa karne ki himmat kaun kar sakta hai.
renu akhil ke hath se nikal gai thi, jis waja se wo bohat tilmilaye hua tha, aisa uske sath pehle kabhi nai hua tha, aaj tak uska ya uske papa ka saamna karne ki himmat koi nahi kar paya tha. aaj koi aaya aur renu ko kothi se nikaal kar le gaya aur saath hi kuch guards ko bhi maar gaya. akhil bhi apne papa ke jaise hi ghuse me tha. lekin prakash chauhaan ki baat sun kar khud par kaabu paate hue bola..
akhil:- uncle main is baare me kya keh sakta hun, main to khud heran hun, ye sabb kya ha, agar renu ya raja ke liye ye sabb kiya gaya hai, to pehle bhi to ye sabb kiya ja sakta tha, main nahi jaanta kaun hai wo, jo renu ki madad kar raha hai, wo itna daring hai k kothi me ghus kar renu ko hi le udaa, aur kisi ko pata bhi nahi chala.
sanjay bhi ye sabb dekh kar kuch tension me tha, lekin usay zayada fark nahi pada, uski behen aur jija surakshit the, wo yahi dekh kar relax tha..
1 ghante baad rajeev bhi kothi par pohnch gaya. aate hi wo ghusse me ek sufe par baith gaya..
rajeev:- kuch samjh me aaya ye kaun log ho sakte han..
jatin:- nai papa hum kuch bhi samjhne se qasir han.
rajeev:- jahan tak maine samjha hai, wo ye hai k raja aur renu ka koi himayeti hai, jo dono ko hi bachana chahta tha, wo shayad pehle hi dono ko bacha lete, parr hamari security ki waja se aisa kar nai sake, aaj jo raja ke sath hua, usi waja se hi ye sabb hua hai, koi to hai aisa jo raja aur renu dono ka humdard hai.. pata lagwaao wo kaun hai, uski himmat bhi kaise hui meri kothi par halla bolne ki. uski maa ko beech sadak par nagna karke na daudaya to mera naam bhi rajeev agarwal nahi...
akhil ek kaam aur bhi karo, abhi to wo hone se raha, suba pehle time jahan raja ko phenka gaya tha, wahan dekho raja ki lash padi hai ya nahi. mujhe nahi lagta k raja abb wahi hoga.. agar koi renu ke lye itna sabb kar sakta hai to raja ke liye zarur kuch na kuch kiya gaya hoga...
akhil:- theek hai papa main lakhan ko bol deta hun, wo check suba karle ga.
aise hi baaton me suba bhi ho gai to akhil ne lakhan ko raja ke liye bol diya.
akhil:- lakhan ja kar dekho raja k lash padi hai ya ghayab hai, agar koi junglee janwar kha gaya hai, to uska dhaancha dhundo. lekin jaldi karo.
fir pura din hi raja ko dhunda jaata raha lekin raja kahin nahi mila...
ranjeev ka shak sahi nikla raja mara nahi tha, usay bacha liya gaya tha..
sabb milkar hamla karne walun ko dhundne lage... lekin kisi ka kahin se bhi pata nahi chal raha tha. tahir baig ne kachcha kaam nahi kiya tha.
********************************************************************************
Location: Zaheer House
*************************
15 din beet chuke the, renu ko zaheer ke ghar me rehte hue. in 15 dino me renu ne khud ko room tak hi mehdou rakha hua tha, usay ek chup si lag gai thi, kabhi kabhi koi zaruri baat hoti to kar liya karti thi, sabb hi renu ke liye bohat dukhi the. aur jitna ho sakta tha renu ka dard kamm karne ki koshish me lage hue the.
renu ka dard tha hi itna k koi chah kar bhi usay kamm ya khatam nahi kar sakta tha, renu aur raja ki to dunya hi ujaad di gai thi. aisa dard koi kamm kaise kar sakta tha..
renu sabb se hi achche se baat karti thi, bass kisi ki rulane wali baten sun kar sabb ko chup rehne ko bol deti thi. renu ne rona chhod diya tha, wo bohat shaant ho gai thi.
renu ko yakeen tha k raja mara nai hai,raja uske liye wapis aayega, aur renu raja ke aane ka intezar kar rahi thi.
zaheer ke mohn ka infection ek baar firse bigad gaya tha, zaheer ki ek aankh theek thi, dusri ankh abhi bhi vaisi hi thi. chehre se neeche ka infection 90% theek ho chuka tha. daldal ke keechad ne aur fir dhup lagne ki awaj se azheer ki puri body hi inefeted ho gai thi .
zaheer ke liye chalne ka masla hal ho chuka tha, pehle zaheer ki jaangon ke jod par injection zayada tah, jiss ki waja se wo chal nahi paa raha tha. zaheer ka chehre ke ilawa baaki sharir ka infection khatam ho chuka tha.
abb zaheer ke mohn ka infection firse bigad gaya tha.
zaheer khud ko lachar samjhne laga tha, raja ke liye wo dukhi to tha hi, lekin renu ka sun kar k wo har waqt room me hi rehti hai aur bohat kamm bolti hai, isse zaheer bohat dukhi tha, lekin wo renu ke liye kuch kr bhi to nahi sakta tha.
sanjay uske bad zaheer se milne nahi aaya, sanjay ko apni zindai wapis mil gai thi, to uske liye baaki sabb khatam ho gaya tha...
sanjay ke liye island par khud ko safe rakhne ke liye ek team ki zarurat thi, isliye wo sabhi ke sath achche se raha.
shayad aage bhi achcha hi reha agar akhil aur uski behen raja aur renu ke sath aisa sabb na karte....
parr baat to yahan sanjay ke khandani khooon ki thi, sanjay ke baaki family member agar aise the to sanajy ko bhi to baaki abb ke jaisa to hona hi tha.
sanjay ne raja ki himmat se zindagi paai thi, lekin wo sabb bhul gaya tha, parr wo ye bhi bhul gaya tha, k raja ke sath jaisa kiya gaya hai, wo wapis bhi laut sakta hai, aur fir wahi zindagi sanjay se wapis bhi chhen sakta ha, jise bachane ke liye raja ne angint baar khud ko bhi daao par laga diya tha.
raja ne jitna dumm sanjay ko bachane ke liye lagaya tha, abb usse bhi kai guna zayada dumm raja me aane wala tha, aur raja abb sanjay aur suke khandaan ke liye maut bann kar aane wala tha.................
*******************************************************************************