• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Laa-Waaris Part 2 .... Adult + Action +Thrill

part 2 likha jaaye


  • Total voters
    26

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,981
42,919
354
Hello everyone.

We are Happy to present to you The annual story contest of XForum


"The Ultimate Story Contest" (USC).


"Chance to win cash prize up to Rs 8000"
Jaisa ki aap sabko maloom hai abhi pichhle hafte hi humne USC ki announcement ki hai or abhi kuch time pehle Rules and Queries thread bhi open kiya hai or Chit Chat thread toh pehle se hi Hindi section mein khula hai.

Well iske baare mein thoda aapko bata dun ye ek short story contest hai jisme aap kisi bhi prefix ki short story post kar sakte ho, jo minimum 700 words and maximum 7000 words ke bich honi chahiye (Story ke words count karne ke liye is tool ka use kare — Characters Tool) . Isliye main aapko invitation deta hun ki aap is contest mein apne khayaalon ko shabdon kaa roop dekar isme apni stories daalein jisko poora XForum dekhega, Ye ek bahot accha kadam hoga aapke or aapki stories ke liye kyunki USC ki stories ko poore XForum ke readers read karte hain.. Aap XForum ke sarvashreshth lekhakon mein se ek hain. aur aapki kahani bhi bahut acchi chal rahi hai. Isliye hum aapse USC ke liye ek chhoti kahani likhne ka anurodh karte hain. hum jaante hain ki aapke paas samay ki kami hai lekin iske bawajood hum ye bhi jaante hain ki aapke liye kuch bhi asambhav nahi hai.

Aur jo readers likhna nahi chahte woh bhi is contest mein participate kar sakte hain "Best Readers Award" ke liye. Aapko bas karna ye hoga ki contest mein posted stories ko read karke unke upar apne views dene honge.

Winning Writer's ko well deserved Cash Awards milenge, uske alawa aapko apna thread apne section mein sticky karne ka mouka bhi milega taaki aapka thread top par rahe uss dauraan. Isliye aapsab ke liye ye ek behtareen mouka hai XForum ke sabhi readers ke upar apni chhaap chhodne ka or apni reach badhaane kaa.. Ye aap sabhi ke liye ek bahut hi sunehra avsar hai apni kalpanao ko shabdon ka raasta dikha ke yahan pesh karne ka. Isliye aage badhe aur apni kalpanao ko shabdon mein likhkar duniya ko dikha de.

Entry thread 15th February ko open ho chuka matlab aap apni story daalna shuru kar sakte hain or woh thread 5th March 2024 tak open rahega is dauraan aap apni story post kar sakte hain. Isliye aap abhi se apni Kahaani likhna shuru kardein toh aapke liye better rahega.

Aur haan! Kahani ko sirf ek hi post mein post kiya jaana chahiye. Kyunki ye ek short story contest hai jiska matlab hai ki hum kewal chhoti kahaniyon ki ummeed kar rahe hain. Isliye apni kahani ko kayi post / bhaagon mein post karne ki anumati nahi hai. Agar koi bhi issue ho toh aap kisi bhi staff member ko Message kar sakte hain.



Story se related koi doubt hai to iske liye is thread ka use kare — Chit Chat Thread

Kisi bhi story par apna review post karne ke liye is thread ka use kare — Review Thread

Rules check karne ke liye is thread ko dekho — Rules & Queries Thread

Apni story post karne ke liye is thread ka use kare — Entry Thread

Prizes
Position Benifits
Winner 4000 Rupees + Award + 5000 Likes + 30 days sticky Thread (Stories)
1st Runner-Up 1500 Rupees + Award + 3500 Likes + 15 day Sticky thread (Stories)
2nd Runner-UP 1000 Rupees + 2000 Likes + 7 Days Sticky Thread (Stories)
3rd Runner-UP 750 Rupees + 1000 Likes
Best Supporting Reader 750 Rupees + Award + 1000 Likes
Members reporting CnP Stories with Valid Proof 200 Likes for each report



Regards :- XForum Staff
 

Mian.Jee

New Member
67
102
33


Part 1 Short Detail
********************


mera nam raja ha. mai dushmani ke chalte apne parivar se alag hokr bhikariyo ke pass aa pohncha. bara saal ki umar me meri bhikari maa mujhe ye bata kar mari. wo meri maa nahi ha. mai apne parivar ko talash karne ke liye nikal pada. mujhe kidnap kar lia gaya. mujhe ek island par lejaya gaya. wahan mujhse mushaqat karawyi jati rahi. mera sharir lohe jitna mazbut ho gaya.

mai wahan apni team bana kar nikal bhaga. ek bhagte hue beech raste me mar gaya. mere dosto me zaheer meri present wife renu aur bad me dushman ban jane wala kutta dost sanjay island se bach nikalne me safal ho gaye.

bad me sanjay ki bahan ke devar ne akhil ne renu se shadi kar li. aur mujhe mar kar phenk dia. main zinda bach gaya. jogi basti ke ek baba ne mujhe bacha lia. apne sath le gaya. mera zeher se ilaj kia aur mere andr se zeher ko nikalne ke liye osha nam ki ek mahila se chudai karwayi. baba ki beti anju badi payari ladki thi. bad me wo kisi aur ki patni ban gai. wahi basti me ek sandhu baba tha. maine usse apne sharir ko halka banana seekha. mai sharir ko tikne se bhi halka bana lene ka gur seekh gaya tha. mai ek patte par bhi khada ho sakta tha. ud nahi sakta tha. lekin unchi se unchi building se aise kood sakta tha. jaise ek patta neeche aa kar girta ha

fir mai renu ko azad karne ke liye shahr aaya. mujhe maaya nam ki ek ladki mili. uski maa nirmala mili.. uske sath sex kia. maya se love kia... dushmano se badla lia aur renu ko azad karwa kar zaheer family ko liye basti ja pohncha.

mujhe pawan jo k ek scientist bhi the, wo mujhe mile. unka ek beta mera humshakal tha.. AK wo stoneman tha. meri hi tarah ka asadharan ladka. experiment ke chalte uska sharir pahad jitna mazbut tha. pahle wo mera dushman bana. fir mera dost ban gaya..

mai pawan aur uski patni ko leke basti poncha.. meri ek judwan bahan thi naina. wo london me rahti thi. wo kisi aur ke sath pali badhi thi. bad me hum dono mil gaye.. aur milkar apne parivar ko talash karne lage. fir humen hamari 4 bahne mili.. wo raw agent thi.. aise mai apne parivar se mil gaaya.. tab pata chala surinder naam ka ek banda mere papa ka dost tha. wohi hamara dushman tha..

mai apni family ko lekar ek island par aa kar rahne laga. surinder ka ek aur island tha. jahan uski hukumat thi. wo bada strong gangster tha.. maine apni team apni bahno ke sath naina aur renu ke sath wahan hulla bol dia.. pura island tabah kar dia.. mai surinder ke parivar ko maarna nahi chahta tha. lekin achanak se lift me blast ke chalte surinder ka pura parivar mara gaya. surinder ka ek beta bach gaya.. jiska naam aditya tha.. wo wahan se kasam khaa kar bhaag nikla.. wo humse badla lega.. apne parivar ki janon ke badle wo mere parivar ke ek ek parson ko jaan se maar dega..


aditya MDO nami do bhai bahno ki banai ek badi ORG ke paas ja pohncha. manila danila..

MDO dono bhai bahno ki banai ORG thi. dono bhai bahan apas me sex lover the. dono bade gangster the.fir dono ne socha wo bhi scientists ko kidnap karke koi superhuman type formula invent karenge. wo bhi superhuman ban jaayenge... tarah tarah ke experiments karte hue wo bohut kuch banne bhi lage...

idhar renu mere do bachhon ko karan aur zoya ko janam de chuki thi. maya meri 2 betiyon ko janam de chuki thi. naina mere 2 beton ko janam de chuki thi.. mere bachhon ki line lag chuki thi.


karan 7 saal ka ho gaya tha aur zoya meri beti ye dono mere bachhe mujhse aur renu meri patni se badhkar extraordinary ban chuke the. samandr me saans le sakte the. ek fish ke jaise tair sakte the. ghanton pani me rah sakte the. dono sara sara din pani me rahne lage. shaam aur kabhi raat der se ghar lauta karte the. aur hum koi chinta nahi rahti thi inki. hamare bachhe the. lekin skills me humse kahin badhkar the.


fr aditya ek experiment ke chalte bohut kuch ban gaya. wo aam isnan nahi raha tha. wo superhuman bhi nahi ban paya tha.. lekin hazaron lakhon insano se badhkar ban gaya tha.

MDO jiske sare adde humne india se ukhaad phenke the.. guzare 4 saal me, badli sarkar ke chalte fisre MDO india bhar me aas paas ke countries me sir uthane lagi thi.

raw ke chief ko hata kar maujuda sarkar ne apne mann chahe bande ko chief bana dia tha. desh ki army hamare sath thi. hidden way se hamari help kar rahi thi.


humen pure island samet jala kar raakh kar dene ka plan MDO aur aditya ne bana daala tha. wo apne parivar ki tukdon me devide hui laashen bhul nahi paya tha. isliye island par mesile daag dia gaya..

humen army aur raw ke privious chief davara advanve me hi khabar mil gai thi. aur hum island chhod nikal pade.

insan zaruri the. saman zaruri nahi the.. sab saman chhod hum ships par island se nikal pade

karan wahan nahi tha. wo samandr me door kahin tha. zoya uske peeche nikal padi. aur boli........ "mai karan ko lekar aaungi papa"

humne bohut roka par wo nahi mani. zoya aur karan jitne ek dusre ke liye the. utne hamare liye nahi the. jan the dono ek dusre ki..


door kahin samandr me jahan NASA walun ki bhi pohnch nahi thi. wahan jahan hazaron mile ke area par dhund hi dhund hamesha chhaai rahti thi

wahan ek bohut bada island tha. aur kai kabile wahan rahte the. wahan rah raha ek premi joda zeno ek sardar ki beti thi. ek gareeb balwani sharir wala ladka joel dono ek dusre se beinteha pyaar karte the. aise ek ho nahi sakte the.

ek pathar kahin kerala ke samanron me maujud tha.. tashtash naam tha pathar ka. sonehre rang ka pathar tha.. jis kisi ke hath wo pathar lag jata. wo pure island me senkron kabilon ka sardar ban jata.

joel wo pathar talash karne indian sea me aaya. tashtash nami pathar wo talash nahi kar paya aur suddenly karan mera beta woh pathar dekh anjane me hi usay chhoo betha. tashtash pathar ke karan ke sparsh me aate hi parkash se bhara ek blast hua. samandr me tufani hulchal machi jise humne bhi dekh lia tha...

karan us pathar ko khud se alag nahi kar paya. pathar karan ki hatheli se hi chipak sa gaya tha. tabhi joel roshni ka blast se jaan gaya. ye tashtash ki roshni ha.

joel karan ke pass pohncha aur tashtash nami pathar ko ek seep ke khaul me band kar gaya. karan behosh ho chuka tha. joel ko kuch samjh nahi aaya to wo tashtash ko ek samandri bail me lapet kar apni kamar se bandhta hua karan ko apne sath apne kabile me le gaya

idhar anju ke baba ne tashtash ke chalte samandr me uthti lahron samandre ke andr se uthti mixed rangon wali roshni ko dekh kar bol dia.... tashtash

hum nahi jante the. lekin baba ne kaha.. wo apni purvaju se tashtash ke bare me bohut kuch sun chuke han....


zoya 2 hi minat pahle hamare paas se gai thi.. baba ne kaha.. kisi insan ke chhoone se hi aisi roshni nikla karti ha....

tabhi baba ne kaha........ karan.. wo samandr ha tha.. ho sakta ha. karan ne us pathar ko chhoo lia ha. aisa ha to karan ke liye khatra ban sakta ha..

baba ki ye baat sunkar hum sab pareshan ho gaye the.




ab aap agle update se aage ki kahani jaanenge..
buhat bhariya
 

Mian.Jee

New Member
67
102
33
Update 1
**********




joel karan ko liye apne kabile ki orr nikal pada tha. karan ne tashtash pathar ko chhoo lia tha. tashtash ko chhoo lene se karan keval behosh hi hua tha. karan mara nahi tha. tashtash ki shakti karan ka nanha sa sharir jhel gaya tha. ye baat joel ke liye badi shocking thi. wo bar bar karan ko dekhne lagta tha. khud pyaar karne wala yuvak tha. karan ke liye uske dil me prem ki bhavanaen janam le chuki thi. warna matlabi hota to karan ko behosh wahi chhod kar tashtash lekar apne kabile ki orr nikal padta.


idhar jab karan ne tashtash ko chhuwa tha. tez roshniyon ka ek bhayankar blast hua tha. karan se ek saal chhoti uski bahan zoya usi orr hi aa rahi thi. pani ke andr thi. aur pani ke andr prakash zayada tha. zoya ki ankhen tez roshni ke sampark me aa gai. zoya turant ankhen band kar gai thi. zoya ko bhi apni ankhon ke peeche tez dard ka saamna karna pada tha. zoya cheekh padi thi. apni ankhon par hath rakh wo aur nahi aage badh paai thi.

bad me jab usne ankhen khol kar dekha to usay tez dard hone laga. wo pani me hi rahti aur koi badi fish ya koi aur jeev usay nigal sakta tha. isliye wo satah par aai aur lahron ke upar rehti hui tezi ke sath hamari taraf aane lagi. uski pani ke upar daudne ki speed bhi bohut zayada thi. ship ki speed se bhi zayada thi.

jald hi zoya hamare paas thi. kood par ship par aati wo meri god me aa bethi

mai zoya ki ankhon me dekhne laga. zoya ki ankhon me pani musalsal bah raha tha

mai zoya ki ankhon ko chumne laga to wo hath mere honto ke aage kar gayi. sab humen hi dekh rahe the

zoya: nahi papa. meri ankhon me pata nahi kaisi tez roshni ghum gai ha. mujhe bohut zayada pain aur jalan ho rahi ha. aap hont mat lagao papa. is samay mere andr ka zeher aap ke zeher se kahin zayada badha hua. aap ko nuksan ho sakta ha

baba: sahi kah rahi ho beta. beta tum pani ke andr thi. jab tashtash ki roshni ka dhamaka hua tha

renu ro rahi thi: zoya meri bachhi.. karan kahan ha

zoya to tashtash ka naam sunkar baba ko dekhne lagi thi

zoya: baba ye tashtash kyaa ha

baba zoya ko batane lage

zoya: zarur karan ne hi usay chhuwa hoga baba. samandr me hum dono bhai bahan ke siva koi nahi utarta ha. kahin karan ke sath... baba kyaa tashtash khatarnak ha

renu sisakne lagi: mera karan

sab usay sambhalne lage

baba: zoya beti tu mujhe bata. tashtash ki roshni kitne rangon me thi. aur tujhe sabse karib konsa rang laga. konse rang ko tumne apni ankhon me zayada paya ha

zoya: baba!. sabhi rangon ki roshni thi. sabz aur neela rang mujhe zayada feel hua baba

baba: sabz ya neela .. zara soch kar bataya

zoya ne ankhen band kari aur fir boli

zoya: sabz baba!..

baba khil uthe: tu sach kah rahi ha na meri bachii

zoya: haan baba

mai aur sab baba ko dekh rahe the.

baba khushi se bole: fir samjh lo raja beta tum aur renu beti tum bhi.. sabz roshni ke zayada hone ka matlab ha. tashtash ne karan bete ko nuksan nahi pohnchaya ha. laal rang ki roshni zayada hoti to fir karan ke liye khatra ho sakta tha. ab meri bhi chinta mukt hui. karan ke liye chinta mat karo tum sab. karan ko kuch nahi hoga. wo khud se hi hamare paas aa jaayega.

zoya: papa mai firse jaaun. ab meri ankhon me jalan kam hone lagi ha

renu ne jhat se zoya ko apni god me bitha lia aur usay chumne lagi

renu: mai janti hon meri jaan. tum humse bhi badhkar ho. lekin is maa ka bhi to kuch soch lia karo. abhi tum chhoti ho. aas paas ka samandr jana pahchana nahi ha. yahan ke jeev vishal aur khatarnak han. abhi tum trained bhi nahi hui puri tarah se.

zoya: mummy aap darti kyu ho

renu: darr!. kyaa tumhari mummy dil ki kamzor ha. nahi meri jaan. tumhare papa aur mai bohut bahadur han. dil ke bade mazbut han hum. lekin beta har baat ka ek samay hua karta ha. karan ko aa lene do.

zoya renu ke gaal ko chum kar boli: i love you mummy. par aap bhi ek baat palle se bandh len. zoya kabhi darr kar nahi jiyegi. zoya kabhi karan se alag rah kar bhi nahi jiyegi. karan aur zoya sath sath jiyenge bhi aur marenge

hum zoya ki karan ke liye mohabbat par khil utha karte the. kitni mohabbat thi dono bhai bahn me.

hum island par pohnch gaye. wahan pohnche hi the. zoya cheekh padi

sab usay dekhne lage

zoya hairan se aage badhi aur idhar udhar dekhne lagi. hum sab usay hairat se dekhne lage.

baba zoya ko ghor se dekh rahe the

zoya ne humen dekha. aur bhag kar aa kar uchhal kar meri bahun me aa gai. mere chahre ke karib karti hui badi hairat se boli

zoya: papa pata ye nahi achanak se kyaa ho gaya ha meri ankhon ko

mai chinta me aaya bola: kyaa ho gaya ha meri beti ki ankhon ko

zoya: papa meri ankhen trancparent ho gayi han. mujhe zameen ke neeche ka bhi dikhai dene laga hai..


mai hairan ho gaya: ye kyaa kah rahi ho zoya meri jaan

zoya aur bhi zayada hairani se boli: haan papa.. mujhe sab dikhai de raha ha


fir uchhal kar neeche utri aur mujhe dekh kar hasti hui boli: hehehe papa mujhe aap bina kapdo ke dikhai de rahe ho papa.

zoya sabko dekhne lagi. aur hum sab moh khole ankhen phaade zoya ko dekh rahe the

zoya fir zor se hasne lagi: hehehe.. hahaha.. huhuhu

renu: zoya beti tu hase kyu ja rahi ha. baat kya ha

zoya hasti hui boli: hehehe.. mummy.. hehehe.. mummy mujhe aap, papa aur sab ke sab.. hehehe.. nange dikhai de rahe ho.. hehehe..


aur hum sab shocked

mai to jhat se apna hath tangon ke beech me kar gaya

baba: tashtash... ye sab tashtash ki roshniyon ka kamal ha. dekha raja beta.. itni door se tashtash ki rang birangi roshniyon ne zoya ke andr kai shakti bhar di ha. zoya aar paar dekhne lagi ha. socho karan kitna bada shaktiman ban gaya hoga. agar tashtash ko chhone wala karan hi ha toh!.

aur hamare moh hairat ke maare khul gaye. zoya ki sab ko nange dekhne wali bat par kaiyon ke chahre sharam se laal ho gaye the.

aur renu apni beti ke andr aisi shakti ke aa jaane se khushi se bawali hone lagi thi. renu bhag kar zoya ke paas gai aur usay god me le kar chumne lagi.

zoya: mummy meri ankhon ke zeher se bachen aap

renu: tere andr ka zeher mujhse badhkar nahi ha meri jaan.. mai bata nahi sakti. kitni khushi mili ha mujhe teri ankhon ka jaan kar..

renu fir zoya ki ankhon me ghor se dekhti hui boli: aahh meri jaan. teri ankhon ke kitne rang utar aaye han. tu aur bhi kitni haseen ho gai.. teri ankhon ki kashish aur bhi kitni badh gai ha meri zoya. meri jaan

tabhi naina meri bahan meri wife karib aai aur zoya se boli: zoya tu apni ankhon ki shakti ko control me kar sakti ha na. ya abhi bhi tujhe sab nange dikhai de rahe han

zoya ne nazar ghuma kar sabko dekha. aur fir ankhen meech kar khol kar sabko dekha.. fir boli

zoya: naina mummy.. sab mere control me ha. mai shuru se hi yoga kar rahi hon na. ek hi pal me meri ankhen mere control me aa gai han

naina: to fir bata. yahan koi khatra to nahi ha na

zoya: khatra to nahi ha. lekin aur bohut kuch ha yahan

naina: kyaa ha yahan

zoya: gold ha naina mummy yahan. mujhe dikha ha yahan ki zameen ke neeche gold

sab khil uthe the. hum gareeb nahi the. fir bhi gold ki baat sunkar sab khushi se khil uthe the

renu: baba fir karan ka kyaa hoga.

baba: sari chitaen chhod do beta. jisne karan ko tumhari god me dia ha. usi uski raksha bhi karega..



ab dushman hath dho kar hamare peeche pad gaya tha. asani se humen bakhshane wala nahi tha aur hum hath par hath dhare nahi bethe rah sakte the. humen kahin aur secretly rahna hoga. ye island humen zayada samay tak suraksha provide nahi kar sakta tha.
buhat kamal ki update hai bro
 

Mian.Jee

New Member
67
102
33
bu
Update 2
**********



kismat jab rang badalti ha to insan chah kar bhi kuch nahi kar pata. hum par bhi kathin samay aa gaya tha. ek island se nikle to dusre se bhi nikalna pada. dushman ke sath sath doghale neta bhi hamare peeche pade hue the. island par mesile ke hamle se pura desh me hulchal mach uthi thi. aur army bade bade neta log media sab island ki orr aane lage the. aur aise me humen dusre island par bhi find out kia ja sakta tha. rakh ho chuke island par hamari lashen na milne par grand search operaion shuru kar dia jaata. hamare liye kahin chhup pana mumkin nahi rahta.

isliye humen ek bar firse perivious chief aur army chief davara khabar di. ho sake to samandr me door kahin bohut nikal jaao sab. warna gadbad ho jaayegi

hum kuch nahi tha. hamara pura kabila tha. hum hazaron me tha. aur hazaron ko khatre me daalna akalmandi nahi thi..


karan ke liye hum wahan nahi ruk sakte the. aur zoya, hum sab se zayada karan ke liye bekarar thi. par renu ne usay khud se alag nahi hone dia.

zoya: mummy aap meri itni chinta kyu karti han

renu: kyaa na karun. karan najane kahan chala gaya ha. ab agar karan ne sach me tashtash ko chhoo liya to kahan ja pohncha hoga. humen khabar nahi. aise me tum bhi mujhse door ho jaaogi to... nahi zoya meri jaan tum mujhe chhod kar na jao

zoya meri ankhon me dekh rahi thi. bohut kuch bol rahi thi zoya ki ankhen.

maine ankh maar di. tabhi zoya ki ankhon me chamak aur sukun utar aaya. zoya khamosh ho gai.

hamare paas ab sivaye africa jaane ke koi aur rasta nahi bacha tha. hazaron ki sankhya me jo hamare sath the. unki suraksha badi zaruri thi. saavdhani bartni zaruri thi. ab ki baar hamara dushman bada tha. wo door se hi mesile fire karke humen ek sath fanaa kar sakta tha.


hum africa ke liye nikal pade.

jab tak hum africa pohnche. tab tab island ki aag ko bujha dia gyaa tha. wahan hum nahi mile to manila danila ko khabari dia. aditya ko bhi khabar mil gai. hum pahle se hi hamle ke baare me jaan gaye the. pahle se hi apni jaan bacha kar nikal bhage the.

is baat par MDO ke dono borther sister manila danila to shant rahe. lekin aditya gusse se pagal ho gaya

aditya: kahan ja chhupe ho tum kayaro.. saamne aa kar mukabala karo mujhse. kasam khaai ha maine. apne parivar ke tukdon ke badle tum sab ke tukde kar dalunga. sab ko khun ke ansu rula dalunga.


khud kayar tha. ab tak konsa saamne aa kar mukabala kara tha usne. ek jaga bethe bethe jung lad raha tha. kayar khud tha. aur humen kayar kahe ja raha tha. hum to parivar ki sukraksha me vyast the. unke liye chintit the. warna wo to hamara ek war bhi sahn nahi kar sakta tha. ab to meri beti zoya aur karan humse bhi kahin badhkar shakti wale ban gaye the. kahan koi mere sher bete aur sherni beti ak saamna kar sakta tha koi.



udhar karan joel ke kabile pohnch chuka tha.
karan ko beech raste me hi hosh aa gaya tha. wo khud ko joel ki jakad me dekh kar hairan ho gaya tha. joel bhi karan ko hosh me dekh kar ruk gaya tha


joel: bhai tum hosh me aa gaye

karan aur bhi zayada hairan hua: bhai!.. tum kon ho

joel apne baare me batane laga. aur kuch bhi nahi chhupaya joel ne. sab detail me bata dia

karan: tum mujhe itni door le aaye. mere mummy papa aur sab mere liye pareshan ho gaye honge

poel: bhai!. mai tumhe apne sath laane par majbur tha. mujhe nahi pata tha. tum kahan se ho. fir tum behosh ho gaye the. wo tumhari dunya thi. mai wahan kisi ke samne nahi aa sakta tha. tumhe wahan chhod nahi sakta tha. tum behosh tha aur khatra tha, koi samandri jeeb tumhe nigal leta. fir tumne tashtash ko chhoo kar mere paas koi chara bhi nahi chhoda ha.


kran tashtash baare jan chuka tha. fir karan ne socha. ab jahan itni door aa gaya ha. aage bhi chala hi jata hon. karan joel ke sath uske island ja pohncha tha

aur joel ke sath karan ko dekh sab hairan rah gaye the. wahan joel ne sara sach bata dia

aur joel ka sach jaan kar karan ki ankhon me dekh kar sab karan ke saamne jhuk gaye the. sabne karan ko king maan liya tha.

joel ke kabile ke pujari ne karan ki ankhon me, karan ke hath ko, fir tashtash ke pathar ko dekh kar sab samjh liya tha. joel king banna tha tha tashtash ko pa kar. lekin karan bacha hone par bhi king ban gaya tha.

ye baat karan ke liye hairani bhari bat thi. lekin karan bohut khush hua. fir tashtash ki shaktiyon ka paryog kaise karna ha. karan ko samjhaya jaane laga

joel kuch udas tha.. karan ne joel ko udas dekha to karan ko zeno bhi udas dikhi. dono ab ek nahi ho sakte the. tashtash joel ka na hokar karan ka ho gaya tha. joel island ka king na bankar karan king ban gaya tha.

lekin karan bol pada: bhai!. bhai aap chinta na karo. ap dono ko mai ek karunga

joel khil utha. joel ka khila chahra dekh kar zeno ke chahre par bhi zindagi laut aai. joel ne karan ki baat zeno ko bata di. bad me zeno karan se mili

aur karan naughty hota hua bola: joel bhaiya ki kismat achi ha. warna kasm se aap itni hot ha. mai aap se shadi ke liye zarur soch bethta

aur zeno ko karan bohut pasand aaya tha. karan ki baaten zeno ko pasand aane lagi thi.


karan ne apna thikana zeno aur uske parivar ke sath kar liya. karan zeno parivar ki ankhon ka tara ban gaya. waise bhi king bankar wo har dil aziz ban gaya tha


wahan karan ne sabko mere bachpan se lekar ke ab tak ki kahani sunaa daali. aur sab ye jaan kar.. karan ka baap yani k mai.. bohut bada yudha hon. ek akela itne se lad gaya tha. fir mere kamalat.. meri bahno aur renu ke kamalat. mere andr ka zeher, renu ke andr ka zeher aur aisi hi kai baaten karan ne sab ko suna dali.



meri katha sunkar sab pukaar uthe the. hamara king aam king nahi ha. king ka pita mahaan king ha. sher ha. jayala ha. soorma ha..

aur pure island par mere charche ghar ghar hone lage. mai bina wahan pohnchhe hi har zubaan ke liye man pasand topic ban gaya tha.


tashtash pathar ke chalte karan ko milne wali thi dher sari alag alag shaktiyan.. lekin sabse badi do shaktiyan jo thi.. ek thi, karan gayab ho sakta tha. dusri thi, karan hawa me ud sakta tha.

matlab karan samandr ka raja bhi tha aur asmanon ka raja bhi. gayab ho sakta tha. pani me machhli ki tarah tair sakta tha. asamno me ud sakta tha.

karan wo ban gaya tha. jo koi nahi ban sakta tha. tashtash karan ki property ke tuar par wahin ek jaga rakh dia gaya. ab jab tak karan na chahta tashtash ko koi bhi chhoo kar uski shaktiyan pa nahi sakta tha.


karan ko koi cheat nahi kar sakta tha. usse tashtash ki shaktiyan chheen nahi sakta tha. karan poisenman, aquaman to tha hi. jald hi karan superman, ironman, invisibleman aur na jaane kya kuch banne wala tha.
buhat bhariyaaa
 
Top