- 8,204
- 18,175
- 174
Update 2
**********
kismat jab rang badalti ha to insan chah kar bhi kuch nahi kar pata. hum par bhi kathin samay aa gaya tha. ek island se nikle to dusre se bhi nikalna pada. dushman ke sath sath doghale neta bhi hamare peeche pade hue the. island par mesile ke hamle se pura desh me hulchal mach uthi thi. aur army bade bade neta log media sab island ki orr aane lage the. aur aise me humen dusre island par bhi find out kia ja sakta tha. rakh ho chuke island par hamari lashen na milne par grand search operaion shuru kar dia jaata. hamare liye kahin chhup pana mumkin nahi rahta.
isliye humen ek bar firse perivious chief aur army chief davara khabar di. ho sake to samandr me door kahin bohut nikal jaao sab. warna gadbad ho jaayegi
hum kuch nahi tha. hamara pura kabila tha. hum hazaron me tha. aur hazaron ko khatre me daalna akalmandi nahi thi..
karan ke liye hum wahan nahi ruk sakte the. aur zoya, hum sab se zayada karan ke liye bekarar thi. par renu ne usay khud se alag nahi hone dia.
zoya: mummy aap meri itni chinta kyu karti han
renu: kyaa na karun. karan najane kahan chala gaya ha. ab agar karan ne sach me tashtash ko chhoo liya to kahan ja pohncha hoga. humen khabar nahi. aise me tum bhi mujhse door ho jaaogi to... nahi zoya meri jaan tum mujhe chhod kar na jao
zoya meri ankhon me dekh rahi thi. bohut kuch bol rahi thi zoya ki ankhen.
maine ankh maar di. tabhi zoya ki ankhon me chamak aur sukun utar aaya. zoya khamosh ho gai.
hamare paas ab sivaye africa jaane ke koi aur rasta nahi bacha tha. hazaron ki sankhya me jo hamare sath the. unki suraksha badi zaruri thi. saavdhani bartni zaruri thi. ab ki baar hamara dushman bada tha. wo door se hi mesile fire karke humen ek sath fanaa kar sakta tha.
hum africa ke liye nikal pade.
jab tak hum africa pohnche. tab tab island ki aag ko bujha dia gyaa tha. wahan hum nahi mile to manila danila ko khabari dia. aditya ko bhi khabar mil gai. hum pahle se hi hamle ke baare me jaan gaye the. pahle se hi apni jaan bacha kar nikal bhage the.
is baat par MDO ke dono borther sister manila danila to shant rahe. lekin aditya gusse se pagal ho gaya
aditya: kahan ja chhupe ho tum kayaro.. saamne aa kar mukabala karo mujhse. kasam khaai ha maine. apne parivar ke tukdon ke badle tum sab ke tukde kar dalunga. sab ko khun ke ansu rula dalunga.
khud kayar tha. ab tak konsa saamne aa kar mukabala kara tha usne. ek jaga bethe bethe jung lad raha tha. kayar khud tha. aur humen kayar kahe ja raha tha. hum to parivar ki sukraksha me vyast the. unke liye chintit the. warna wo to hamara ek war bhi sahn nahi kar sakta tha. ab to meri beti zoya aur karan humse bhi kahin badhkar shakti wale ban gaye the. kahan koi mere sher bete aur sherni beti ak saamna kar sakta tha koi.
udhar karan joel ke kabile pohnch chuka tha.
karan ko beech raste me hi hosh aa gaya tha. wo khud ko joel ki jakad me dekh kar hairan ho gaya tha. joel bhi karan ko hosh me dekh kar ruk gaya tha
joel: bhai tum hosh me aa gaye
karan aur bhi zayada hairan hua: bhai!.. tum kon ho
joel apne baare me batane laga. aur kuch bhi nahi chhupaya joel ne. sab detail me bata dia
karan: tum mujhe itni door le aaye. mere mummy papa aur sab mere liye pareshan ho gaye honge
poel: bhai!. mai tumhe apne sath laane par majbur tha. mujhe nahi pata tha. tum kahan se ho. fir tum behosh ho gaye the. wo tumhari dunya thi. mai wahan kisi ke samne nahi aa sakta tha. tumhe wahan chhod nahi sakta tha. tum behosh tha aur khatra tha, koi samandri jeeb tumhe nigal leta. fir tumne tashtash ko chhoo kar mere paas koi chara bhi nahi chhoda ha.
kran tashtash baare jan chuka tha. fir karan ne socha. ab jahan itni door aa gaya ha. aage bhi chala hi jata hon. karan joel ke sath uske island ja pohncha tha
aur joel ke sath karan ko dekh sab hairan rah gaye the. wahan joel ne sara sach bata dia
aur joel ka sach jaan kar karan ki ankhon me dekh kar sab karan ke saamne jhuk gaye the. sabne karan ko king maan liya tha.
joel ke kabile ke pujari ne karan ki ankhon me, karan ke hath ko, fir tashtash ke pathar ko dekh kar sab samjh liya tha. joel king banna tha tha tashtash ko pa kar. lekin karan bacha hone par bhi king ban gaya tha.
ye baat karan ke liye hairani bhari bat thi. lekin karan bohut khush hua. fir tashtash ki shaktiyon ka paryog kaise karna ha. karan ko samjhaya jaane laga
joel kuch udas tha.. karan ne joel ko udas dekha to karan ko zeno bhi udas dikhi. dono ab ek nahi ho sakte the. tashtash joel ka na hokar karan ka ho gaya tha. joel island ka king na bankar karan king ban gaya tha.
lekin karan bol pada: bhai!. bhai aap chinta na karo. ap dono ko mai ek karunga
joel khil utha. joel ka khila chahra dekh kar zeno ke chahre par bhi zindagi laut aai. joel ne karan ki baat zeno ko bata di. bad me zeno karan se mili
aur karan naughty hota hua bola: joel bhaiya ki kismat achi ha. warna kasm se aap itni hot ha. mai aap se shadi ke liye zarur soch bethta
aur zeno ko karan bohut pasand aaya tha. karan ki baaten zeno ko pasand aane lagi thi.
karan ne apna thikana zeno aur uske parivar ke sath kar liya. karan zeno parivar ki ankhon ka tara ban gaya. waise bhi king bankar wo har dil aziz ban gaya tha
wahan karan ne sabko mere bachpan se lekar ke ab tak ki kahani sunaa daali. aur sab ye jaan kar.. karan ka baap yani k mai.. bohut bada yudha hon. ek akela itne se lad gaya tha. fir mere kamalat.. meri bahno aur renu ke kamalat. mere andr ka zeher, renu ke andr ka zeher aur aisi hi kai baaten karan ne sab ko suna dali.
meri katha sunkar sab pukaar uthe the. hamara king aam king nahi ha. king ka pita mahaan king ha. sher ha. jayala ha. soorma ha..
aur pure island par mere charche ghar ghar hone lage. mai bina wahan pohnchhe hi har zubaan ke liye man pasand topic ban gaya tha.
tashtash pathar ke chalte karan ko milne wali thi dher sari alag alag shaktiyan.. lekin sabse badi do shaktiyan jo thi.. ek thi, karan gayab ho sakta tha. dusri thi, karan hawa me ud sakta tha.
matlab karan samandr ka raja bhi tha aur asmanon ka raja bhi. gayab ho sakta tha. pani me machhli ki tarah tair sakta tha. asamno me ud sakta tha.
karan wo ban gaya tha. jo koi nahi ban sakta tha. tashtash karan ki property ke tuar par wahin ek jaga rakh dia gaya. ab jab tak karan na chahta tashtash ko koi bhi chhoo kar uski shaktiyan pa nahi sakta tha.
karan ko koi cheat nahi kar sakta tha. usse tashtash ki shaktiyan chheen nahi sakta tha. karan poisenman, aquaman to tha hi. jald hi karan superman, ironman, invisibleman aur na jaane kya kuch banne wala tha.